Elm E Gaib Mustafa Hadees 35
ELM E GHAIB E MUSTAFA ﷺ
(Ba Ata E Allah)
Ilm e ghaib us ilm ko kaha gaya hai na to kisne dekha, na to kisne ne sunna ,na to kisne mahsoos kiya. Mustafa jaane rehmat ﷺ ki ilm ke bare mae Allah taala Quran main farmata hai
QURAN:-
وَلَوْلَا فَضْلُ اللَّهِ عَلَيْكَ وَرَحْمَتُهُ لَهَمَّتْ طَائِفَةٌ مِنْهُمْ أَنْ يُضِلُّوكَ وَمَا يُضِلُّونَ إِلَّا أَنْفُسَهُمْ ۖ وَمَا يَضُرُّونَكَ مِنْ شَيْءٍ ۚ وَأَنْزَلَ اللَّهُ عَلَيْكَ الْكِتَابَ وَالْحِكْمَةَ وَعَلَّمَكَ مَا لَمْ تَكُنْ تَعْلَمُ ۚ وَكَانَ فَضْلُ اللَّهِ عَلَيْكَ عَظِيمًا
Aur ae mehboob agar allah ka fazl o rehmat tum par na hota ( ف۲۹۷ ) toh un mein ke kuch log yeh chahtay ke tumhe dhoka day dein aur woh apne hi aap ko behka rahay hain ( ف۲۹۸ ) aur tumhara kuch nahi beegarain ge ( ف۲۹۹ ) aur allah ne tum par kitaab ( ف۳۰۰ ) aur hikmat utari aur tumhe sikaya diya jo kuch tum nahi jantay they ( ف۳۰۱ ) aur allah ka tum par bara fazl hai ( ف۳۰۲ )
[ 4: 113 ]
Is ayat main Allah keh raha hai ki ae habeeb hum ne aap ko sekha diya jo kuch aap nahi jantay the. Allah ne aap ko kitna ilm diya wo Allah hi janta hai. Ab sawaal ye hota hai kya Allah taala ne kise koi ilm e ghaib diya ya nahi. Allah taala quran main farmata hai
QURAN:-
مَا كَانَ اللَّهُ لِيَذَرَ الْمُؤْمِنِينَ عَلَىٰ مَا أَنْتُمْ عَلَيْهِ حَتَّىٰ يَمِيزَ الْخَبِيثَ مِنَ الطَّيِّبِ ۗ وَمَا كَانَ اللَّهُ لِيُطْلِعَكُمْ عَلَى الْغَيْبِ وَلَٰكِنَّ اللَّهَ يَجْتَبِي مِنْ رُسُلِهِ مَنْ يَشَاءُ ۖ فَآمِنُوا بِاللَّهِ وَرُسُلِهِ ۚ وَإِنْ تُؤْمِنُوا وَتَتَّقُوا فَلَكُمْ أَجْرٌ عَظِيمٌ
Allah musalmanoon ko is haal par chorney ka nahi jis par tum ho ( ف۳۵۱ ) jab taq judda nah kardey ganday ko ( ف۳۵۲ ) suthray se ( ف۳۵۳ ) aur allah ki shaan yeh nahi ke ae aam logo tumhe ghaib ka ilm de dein haan allah chuun laita hai apne rasoolon se jisay chahay ( ف۳۵۴ ) to imaan lao allah aur is ke rasoolon par aur agar imaan lao ( ف۳۵۵ ) aur parhaiz gari karo to tumahray liye bara sawab hai
[ 3: 179 ]
Is ayat se pata chala Allah taala chuun laita hai apne rasoolon main se matlab ye hai Allah jis chahe ilm e ghaib ata kar deta hai. To Allah taala ne apne Rasul ﷺ ko ilm e ghaib ata kiya. Ab aaiye Allah taala apne habeeb se ilm k bare main kya keha hai
QURAN:-
يَا أَيُّهَا النَّبِيُّ إِنَّا أَرْسَلْنَاكَ شَاهِدًا وَمُبَشِّرًا وَنَذِيرًا
Ae ghaib ki khabrain batanay walay ( nabi ) beshak hum ney tumhe bheja haazir nazir ( ف۱۱۰ ) aur khushkhabri deta aur darr sunana ( ف۱۱۱ )
[ 33: 45 ]
Is ayat main Allah ke raha hai hum ney tumhe bheja haazir nazir aur khushkhabri deta aur darr sunanaa. Jab aap haazir nazir , khushkhabri aur dar sunane wala in teeno ko milaye toh wo hota hai ilm e ghaib jo Allah ne apne habeeb ko diya.
QURAN:-
عَالِمُ الْغَيْبِ فَلَا يُظْهِرُ عَلَىٰ غَيْبِهِ أَحَدًا
Ghaib ka jannay wala to apne ghaib par ( f ۴۸ ) kisi ko musallat nahi karta ( f ۴۹ )
[ 72: 26 ]
QURAN:-
إِلَّا مَنِ ارْتَضَىٰ مِنْ رَسُولٍ فَإِنَّهُ يَسْلُكُ مِنْ بَيْنِ يَدَيْهِ وَمِنْ خَلْفِهِ رَصَدًا
Siwaye apne pasandeeda rasoolon ke ( ف۵۰ ) ke un ke agay peechay pehra muqarrar kardaita hai ( ف۵۱ )
[ 72: 27 ]
Upper ki do ayat jis main ek ayat se pata chala Allah taala kise koi ilm e ghaib ata nahi kar tha dusre ayat se ye pata chala ki siwaye apne pasandeeda rasoolon ko. To Allah taala ka ilm jaati aur nabi ka atai. Allah ko kisne nahi diya is liye jaati aur nabi ko Allah taala ne ata farmaya hai is liye atai, Allah ne nabi ko ata kiya ilm. Ab aur ayat ko dekhe
QURAN:-
وَمَا هُوَ عَلَى الْغَيْبِ بِضَنِينٍ
Aur yeh nabi ghaib batanay mein bakheel nahi
[ 81: 24 ]
Agar ye maan liya jaye ki Allah taala ne apne habeeb ko ilm e ghaib ata nahi kiya ko aap is ayat se bare main kya kahinge is main Allah taala ke raha hai yeh nabi ghaib batanay main bakheel nahi yane kanjosi nahi karte. Kanjosi karne se liye hona lazim hai nabi ke pas ilm e ghaib hai kiliye Allah ne farmaya yeh nabi ghaib batanay mein bukheel nahi.
Ab aaiye kuch hadees ki roshni main
HADEES:-
حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ وَاقِدٍ، حَدَّثَنَا حَمَّادُ بْنُ زَيْدٍ، عَنْ أَيُّوبَ، عَنْ حُمَيْدِ بْنِ هِلاَلٍ، عَنْ أَنَسٍ ـ رضى الله عنه ـ أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم نَعَى زَيْدًا وَجَعْفَرًا وَابْنَ رَوَاحَةَ لِلنَّاسِ، قَبْلَ أَنْ يَأْتِيَهُمْ خَبَرُهُمْ فَقَالَ " أَخَذَ الرَّايَةَ زَيْدٌ فَأُصِيبَ، ثُمَّ أَخَذَ جَعْفَرٌ فَأُصِيبَ، ثُمَّ أَخَذَ ابْنُ رَوَاحَةَ فَأُصِيبَ ـ وَعَيْنَاهُ تَذْرِفَانِ ـ حَتَّى أَخَذَ الرَّايَةَ سَيْفٌ مِنْ سُيُوفِ اللَّهِ حَتَّى فَتَحَ اللَّهُ عَلَيْهِمْ ".
HAZRAT ANAS رضي الله عنه se riwayat hai ki Rasool Allah ﷺ tak pahonch gayi un ki mout ki khabar pehlay se Zaid , Jaffer aur Ibn Rawaha ki shahadat ke awam ko mutala kiya tha. Rasool Allah ﷺ ne kaha," Zaid ( fouj ke commander ke tor par ) parcham le liya aur shaheed kiya gaya tha, is ke baad Jaffer usay le kar shaheed kiya gaya the, aur is ke baad Ibn Rawaha usay le kar shaheed kiya gaya tha." Is waqt paighambar ki ankhen ansoo baha rahay thay. Unhon ne kaha ke" is ke baad parcham Allah ( yani Khalid ) ki talwaron ke darmiyan aik talwar se liya gaya tha aur Allah ( yani musalmanoon ) fatah un ko banaya. ", shaamil
(SAHIH BUKHARI:- 4262)
Is hadees main aya hai ki rasool allah ﷺ madina main rehkar aap ne jihad ki khabar baata rahe hai ki ab Zaid shaheed kiya gaya hai, jaffer ab shaheed kiye gaya hai ye bhi ilm e ghaib main shaamil hai.
Ye toh kuch bhi nahi ek aur hadees ki roshni main
HADEES:-
وَرَوَى عِيسَى، عَنْ رَقَبَةَ، عَنْ قَيْسِ بْنِ مُسْلِمٍ، عَنْ طَارِقِ بْنِ شِهَابٍ، قَالَ سَمِعْتُ عُمَرَ ـ رضى الله عنه ـ يَقُولُ قَامَ فِينَا النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم مَقَامًا، فَأَخْبَرَنَا عَنْ بَدْءِ الْخَلْقِ حَتَّى دَخَلَ أَهْلُ الْجَنَّةِ مَنَازِلَهُمْ، وَأَهْلُ النَّارِ مَنَازِلَهُمْ، حَفِظَ ذَلِكَ مَنْ حَفِظَهُ، وَنَسِيَهُ مَنْ نَسِيَهُ
HAZRAT UMAR BIN KHATTAB رضي الله عنه se riwayat hai, aap ne kaha ke aik martaba nabi kareem ﷺ ne minbar par kharray ho kar hamein waaz farmaya aur ibtidaye Khalq ke baray mein hamein khabar di. Yahan tak ke jab jannat walay apni manzion mein daakhil ho jayen ge aur jahannum walay apne thikanon ko pahonch jayen ge ( wahan tak saari tafseel ko aap ne bayan farmaya ) jisay is hadees ko yaad rakhna tha is ne yaad rakha aur jisay bhoolna tha woh bhool gaya ..
(SAHIH BUKHARI:- 3192)
Is hadees main hai ki aap hadees fdfa ne khabar di yahan tak ke jannat walay jannat main daakhil ho jayen ge aur jahannum walay jahannum main daakhil ho jayen ge, is ka ye maana hua aap huzoor fdfa ne apna ilm e ghaib bata diya.
Aise abhi aur sahi hadees hai jis se yeh pata chalta hai Rasool Allah ﷺ ko ilm e ghaib tha.
Is liye ye kaha jata hai
Jo ho chuka hai jo hoga, huzoor jante hain,
Teri aata say Khudaya, huzoor jaante hain.
Khuda ko dekha nahin aur eik maan liya,
Ke jantay thay sahaba, huzoor jantay hein.
Isliye Ahle Sunnat Wa Jamat Ka Aqida Hai RasulAllah Ko Allah Ka Diya Hua Elm E Gaib Hai,
Allah Ka Elm E Gaib Uske Khud Se Hai.
Ata aur Khud Ka FARK Hai.
Khuda K Elm Aur Nabi K Elm Ka Kohi Muqabla Nahi Hai,
Nabi Allah K Gulam Hai,
Allah Ka Elm Agar 7 Samandar Se Syada Hai Toh Nabi Ka Elm 1 Boond Bhi Nahi,
Aur Agar Nabi Ka Elm 7 Samandar Se Zyada Hai Toh Saari Dunya Ka Elm Ek Boond Bhi Nahi.
Har Fitne Ka Radd Farz e Azam Hai.
Shia Rafzi
Wahabi Deobandi
Qadyani Ahmedi
Ye Saare Aaj K Bade Fitne Hai.
Ahle Sunnat Wa Jamat Se Inka Kohi Talluk Nahi.