5 Waqt ki Namaz Har Musalman mard aur Aurat Par Waqt ki Pabandi k Saath FARZ hai.
Namazi Allah Ka Wali Hota Hai (Bey Namazi K Muqable)
Namaz deen ka sutoon hai.
Namaz ke beshumar fazail aur barkaat hain. 
Is liye mo’min ke liye zaroori hai ke Namaz ke Sharait, Faraiz, Wajibat aur Sunnate jan le aur agar namaz me koi galti ho to kya karna hai ye bhi jan le take namaz sahi tareeqe se ada kar sake aur iske barkaat hasil kar sake. 

Sharaite Namaz : 
Namaz ke liye 6 sharait hain :
Inke bagair namaz hogi hi nahi ya’ni phir se dohrani padegi.

(1) Taharat (2) Satre aurat (3) Waqt (4) Istikbale qibla (5) Niyyat (6) Takbeere tehrima

(1) Taharat – Ya’ni Namazi ka badan, kapde aur namaz ki jagah har qism najasta se paak ho aur namazi begusl aur bewuzu na ho.

(2) Satre aurat – Ya’ni badan ke jis hisse ko chupana zaroori hai wo dhanka hua ho. Pura badan dhanka ho ye behtar hai. Mard ka badan kam se kam naaf se lekar ghutno ke niche tak dhanka, ghutne khule na rahe.
Aur aurat ka tamam badan dhanka hona siwa e munh aur hatheliya aur paanv ke talwo ke. Sar ke latkate hue baal, dono kaan, gardan, kalaiya aur takhne bhi dhankana zaroori hai.

(3) Waqt – Ya’ni Namaz ke liye jo waqt muqarrar hai wo namaz usi waqt me padhi jaae aur Makrooh waqt me koi namaz na padhi jaae.
(4) Istikbale qibla – Ya’ni Ka’aba shareef ki taraf munh karna.

(5) Niyyat – Ya’ni jis waqt ki jo namaz (Farz, wajib, sunnat ya nafl ya Kaza) padhna ho dil me uska pakka irada karna ke ‘ye namaz padh raha hu’.
In pehli 5 sharto ka takbeere tehrima se pehle aur khatme namaz tak maujood rehna zaroori hai warna namaz na hogi.

(6) Takbeere tehrima – Ya’ni Niyyat ke baad kaano tak haath uthakar ‘Allahu akbar’ kehna.
Iske saath hi namaz shuru ho jaaegi, Ab agar namazi koi kaam khilafe namaz kiya ya kisi se kuchh baat ki ya kuchh bola ya kuchh khaya ya piya to namaz tut jaaegi. 

Faraize Namaz : 
Namaz me 7 chize farz hain, Jin me se kisi 1 ke bhi chhutne par namaz na hogi aur fir se sahi tarah padhna hoga.

(1) Takbire tehrima – Pehli takbir (Allahu akbar) kehte hue namaz shuru karna.
(2) Kayam – Itni der khada rehna jitni der me farz Qira’at ada ho.
(3) Qira’at – Tilawate Qur’an (Kam se kam 3 chhoti aayate ya 1 badi aayat padhna).
(4) Rooku – Itna jhukna ke hath badhae to ghutno tak pahunch jaae.
(5) Sujood – Mathe ka zameen par is jamna is tarah ke sath me kam se kam dono paanv ki 1-1 ungli ka pet zameen se laga ho.
(6) Qa’ada e aakhirah – Namaz ki rak’ate puri karne ke bad itni der bethna ke puri ‘attahiyyat’ padhi ja sake.
(7) Khurooje bi-sun-ihi - Ka’ada e aakhirah ke bad apne irade wa amal se ya’ni Salam ke saath namaz khatm karna. 

Wajibate Namaz : 
▪▪►Takbeere tehrima me lafz ‘Allahu akbar’ kehna.
▪▪►Puri Surah Fatiha (Alhamdu shareef) padhna. Har rak’at me Qir’at se pehle ek hi martaba Alhamdu shareef padhna.
▪▪►Surah Fatiha ke baad Surah ya Aayat milana. (Farz ki sirf 2 rak’at me aur Witr, Sunnat aur Nafl ki har rak’at me).
▪▪►Farz namaz me teesri aur chothi rak’at me sirf Surah Fatiha tak hi padhna, Qir’at na padhna.
▪▪►Alhamdu aur Surah ke darmiyan Aameen aur Bismillah ke siwa kuchh aur na padhna.
▪▪►Witr me Qir’at ke bad Takbire Qunoot aur Dua e Qunoot padhna.
▪▪►Qira’at khatm karke foran Rukoo karna.
▪▪►Rukoo ka har rak’at me ek hi baar hona.
▪▪►Kauma yani rukoo ke baad sidha khada hona.
▪▪►Sajde me har paanv ki 3-3 unglio ka pet zameen par lagna.
▪▪►Jalsa ya’ni 2 sajdo ke darmiyan sidha bethna.
▪▪►Ek sajde ke baad doosra sajda hona ke dono sajdo ke bich koi rooqn na aane paaye.
▪▪►Sujood ka har rak’at me 2 hi baar hona.
▪▪►T’adile arqan ya’ni Rukoo, Kauma, Sujood, Jalsa me kam se kam 1 bar subhan allah ke barabar thehrna.
▪▪►2 farz ya 2 wajib ya wajib wa farz ke darmiyan 3 baar subhan Allah kehne ke barabar der na karna.
▪▪►Qa’ada e ula (Agarche nafl ho).
▪▪►Har Qa’ade me pura Tash’hhud padhna. Farz, witr aur sunan rawatib me Qa’ada e ula me tash’hahud se aage na badhana. 
▪▪►Doosri rak’at se pehle Qa’ada na karna. Char rak’at me teesri rak’at me qa’da na hona.
▪▪►Dono salam me lafz ‘Assalaam’ ka hona, (sath me ‘Alaykum’ kehna sunnate mo’akkida hai).
▪▪►Aayate sajdah padhi ho to sajda e tilawat karna.
▪▪►Sahu hua to sajda e sahu karna.
▪▪►Har farzo –wajib ka uski jagah par ada hona yani jo pehle ho wo pehle aur jo piche ho wo piche hona.

Agar jama’at se namaz padhta ho to :
▪▪►Imam ka har johari namaz me buland aawaz se aur gair-johri namaz me aahista qir’at karna.
▪▪►Imam jab qir’at kare buland aawaz se ya aahista muqtadi ka kahmosh rehna.
▪▪►Siwa e qir’at ke tamam faraizo wajibat me (Takbeere tehrima se lekar Salaam tak) Imam ki pairwi karna. 
▪▪► Eidain ki namaz me 6 takbire. Eidain me doosri rak’at me takbire rukoo ke liye ‘Allahu akbar’ kehna.


Namaz ki Sunnate : 
Namaz me taqriban 51 baate sunnat hain, Un me se kuchh is tarah hain :

Takbeer se pehle haath kaano tak uthana aur phir ‘Allahu akbar’ kehna.
Sana, Ta’awwuz, aur Tasmiyah aahista se padhna.
Alhamdu sharif padhne ke bad aahista se ‘Aameen’ kehna.
Ta’adile arqan me Takbeerate inteqal (Allahu akbar) kehna. Aur Rooku se khade hote waqt 'Sami’allahu liman hamidah' aur 'Rabbana laqal hamd' kehna.
Rooku me Tasbih ‘Subhan rabbiyal azeem’ aur Sujood me Tasbih ‘Suubhan rabbiyal a’ala' padhna.
Qa’ada e aakhirah me Duroode Ibrahimi aur phir Dua e masurah padhna. 

SAJDA E SAHAW : 
Jo chize namaz me wajib hai unme se agar koi wajib bhule se chhut jaae to uski kami ko pura karne ke liye Sajda e sahaw wajib hai.

Tareeqa :
Namaz ke aakhir me Qa’ada e aakhira me Attahiyyat padhne ke baad dahini taraf salaam fer kar 2 sajde kare aur phir Qa’ada me shuru se Attahiyyat wagairah sab padhkar salaam fer de.

Masail : 
(1) Agar koi wajib bhule se chhut gaya aur uske liye sajda e sahaw na kiya aur namaz khatm kar di to phir alag se sajda e sahaw kaafi nahi, balke namaz dohrana wajib hai.
(2) Agar qasdan koi wajib chhod diya to sajda e sahaw kaafi nahi, balke namaz dohrana wajib hai.
(3) Ek namaz me kai wajib chhut gae to ek hi baar 2 sajda e sahaw kaafi hai, alag alag zyada sajda e sahaw karne ki zarooarat nahi.
(4) Jo baate namaz me farz hai agar unme se koi baat chhut gai to namaz na hogi aur sajda e sahaw se bhi ye kami puri ki ja sakti, balke phir se padhna farz hai.
(5) Jo baate sunnat ya mustahab hai inke chhutne se bhi sajda e sahaw zaroori nahi balke namaz ho gai, lekin inko qasdan chhodna nahi chahiye.
(6) Namaz me koi galti ki wajah se sajda e sahaw wajib hua ho, aur bhul jaae aur Qa’ada e aakhira me Attahiyyat , Duroode Ibrahimi, Dua e Mashura padhkar salam fer diya to agar foran sajda e sahaw kare aur phir Qa’ada me Attahiyyat wgairah sab padhkar salam fer de to namaz ho jaaegi.
(Agar koi aisa kaam nahi kiya jo namaz ko faasid karne wala ho, ya’ni wuzu nahi toota ya kuchh kalaam nahi kiya ya kuchh khaya piya nahi ya apni jagah se chala nahi, Aur agar salaam ferne ke baad aisa koi kaam kar liya to wo namaz phir se puri dohrani padegi.
.....

Mafhoom-e-Hadees: Rasul Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya- 
Jo Shakhs Namaz Pabandi Se Aada Karega Tou Yeh Uss Ke Liye Qayamat Ke Din Noor Hogi,
(Iskey Imaan Aur Allah Se Iski Wafadari Ki) Daleel Hogi,
Aur (Jahannum Se) Nijaat Ka Sabab Ban Jayegi.
Aur Jo Shakhs Namaz Ki Pabandi Nahi Karega Tou
Namaz Uss Ke Liye Roshni, Daleel Aur Nijaat Ka Sabab Nahi Banegi
Aur Woh Qayamat Ke Din Qaroon, Hamaan Aur Obai Bin Khalaf Ke Saath Hoga”.
(Ahmed: Hadith no.6576)

Jahannam me ek waadi hai jiska naam *wail* hai uski garmi ka ye haal hai ki usse jahannam bhi panaah maangta hai usme bey namazi daale jayenge.
Paara 30,surah maoon,aayat 4
Bahare shariyat,hissa 3,safah 7

Momin aur kaafir ke darmiyan farq sirf namaz ka hai.
Nisaayi, jild 1,safah 81
.....
5 waqt k NAMAZI se ALLAH PAAK k 5 wadey.

1. RIZQ ki tangi dor kr doonga.

2. QABAR ka azab taal doonga.

3. AAMAL NAMA seedhy haath mein doonga.

4. PUL-E-SIRAT se bijli ki raftar se guzar doonga.

5 JANNAT mein baghair hisaab k dakhil kr doonga.
........
Jinko Namaz Ki Complete Detail Chahiye Wo Aage Bhi Padhe -
.....

🔘"Namaz Ki Fazilat"🔘

🔸Iman Ki Durusti Aur AQIDE Ki Pukhtagi Mutabiq Ahlesunnat O Jamat Ke Bad Har Musalman AQIL O Balig Mard O Aurat Par Tamam Fara'iz Me Ahem Farz NAMAZ Ka Padhna Hai......

🔹Namaz Ki Ahmiyat O Afadiyat Par Quran O Hadees Me Jagah Jagah Fazilaten Warid Hui Hain...

🔷Iske Ada Par Sakht Takeed Aur Tark Par Sakht Wa'eeden Aai Hain....

🔶Allah Jallah Majdahu Irshad Farmata Hai....

↪QURAN:-

   

🔶Ye Kitab (Quran) Parhezgro Ko Hidayat Hai Jo Gaib (Allah, farishte jannat Jahanna & mehshar etc) Par iman Laye, aur Namaz Qayam Rakhte Hain...

📓{Sure BAQRAH Ayat-3}

↪QURAN.....

   

🔷Kharabi Hai Un Namaziyon Ke Liye Jo Apni Namaz Se Be-Khabar Hain, 

WAQT Guzar Kar Padhne Uthte Hain...

📓{Sure Maoon Ayat-5}

🔷Jahanna Me Eik Wadi Hai Jiski Sakhti Se Jahannam Bhi Panah Mangta Hai Uska Naam Wail Hai, 

🔶WAQT Guzar Kar Namaz Padhne Wale Usme Dale Jayenge....

🔷Allahu Akbar Sirf Be-WAQT Padhne Walon Ka Ye Haal Hoga Aur Jo Padhte Hi Nahi Hai unka Kya Banega??????

✅HADEES:

🔷Hazrat Abdullah Bin Masood Ne Huzoor صلی اللہ علیہ و سلم Se Pucha Allah Pak Ko Sab Se Pasand Kaunse Aamal Hai?

Farmaya Huzoor Ne, 

WAQT Ke Andar Namaz Padhna, Pucha Phir?

🔶Farmaya Maa Baap Ke Saath Neki Karna.....

Pucha Phir???

Farmaya. Allah Ki Raah Me Jihad Karna...

📕{Sahi Bukhari, Kitab Mawaqitus'salat, Jild-1, Page-196, Hadis No-527}

✅HADEES:

🔷Ek Saheb Ne Arz Ki Ya Rasu'lallah صلی اللہ علیہ وسلم Allah Ko Sab Se Ziyadah Kya Pasand Hai????

Farmaya, WAQT Me Namaz Padhna, 

🔶Jisne Namaz Chhodi Uska Koi Deen Nahi, 

Namaz Deen Ka Sutoon (Khamba) Hai...

📘{Shabul iman, jild-3, page-39}

✅HADEES:

🔷Hazrat ABU HURAIRAH Se Marwi Hai Farmaya Huzoore Pak Ne, Jo Shakhs Apne Ghar Se Taharat (wazu & gusl) kar Ke Farz Ada Karne Masjid Gaya Uske Eik Qadam Me 1 Gunah Mit'ta Hai Aur aur Dusre Qadam Pe 1 Darja Baland Hota Hai.....

📚{SAHI MUSLIM, KITABUL MASAJID, Hadees No-666}

✅HADEES:

🔷Sarkare Azam Ne Farmaya Musalman Ke Pure Badan Ko Aag Khayegi (Jo Musalman Apni Shamate Nafas ki Bina Par Jahannam Me Jayga Uske) Siwaya Aazaye Sujood (sajde Me Badan Ka Jo Hissa Zameen Par Lagta Hai Use Chhod Kar) Ke, Allah Pak Ne Unka Khana Aag Par Haram Farma Diya....

🔶{SUNANE IBANE MAJAH, BAB SIFTUN'NAR, Hadees-4326}

✅HADEES.

🔷Huzoore Akram Sallallahu Alaihi Wassalam Ka Irshade Girami Hai......

🔶Allah Bande Ko is Haal Me Ziyadah Pasand Farmata Hai Ki Wo Sajde Me Apna Muh Khak (zameen) Par Mal Raha Ho...

📙{Tabrani, jild-4, Hadis No-6085}

✅HADEES:

🔶Har Shaye (Chiz) Ki Alamat (nishan, jisse wo pehchani jaye) Hoti Hai Aur iman Ki Alamt Namaz Hai....

📘{Mazkhooz Az Bahar-e-shariat Hissa-3, page-439, Ba-hawala munyatul musalli}

✅HADEES:

🔷Namaz Deen Ka Sutoon Hai Jisne Use Qayam Rakha Usne Deen Ko BAQI Rakha Aur Jisne Use Chhod Diya Usne Deen Ko Gira Diya....

📚{Bahar-e-shariat}

✅HADEES:

🔶Islam Me uska Koi Hissa Nahi Jiske Liye Namaz Nahi Hai....

📚{Kanzul ummal, jild-7, page-133}

🔷Tarikeen namaz Jo imano Aqide Ki Badi Badi Baten Karte Hain is Farmane Rasool Sallallahu Alaihi Wassalam Se Ibrat Hasil Karen.....

✅HADEES:

🔷Jisne Namaz Ki Hifazat Kee wo Qayamat Ke Din Uske Liye Noor Aur Daleel Aur Nijat Hogi....

🔶Aur Jisne Namaz Ki Hifazat Na Kee uske Liye Na Noor Na Daleel Na Najat hogi Aur Qayamat Ke Din Wo Qaroon Firon Haman aur Ubai Bin Khalf Ke Saath Hoga

📚{Musnade imam Ahmad Bin Hambal}

✅HADEES:

🔷SAHABA NAMAZ KE CHHODNE WALE KO KAFIR JANTE THE, 

Jinme Hazrat Umar, 

Hazrat Abdur Rahman, 

Hazrat Abdullah Bin Masood, Hazrat Abdullah Bin Abbas,

Hazrat Jabir Bin Abdullah Aur Hazrate muaaz aur Abu Hurairah Ka Yahi Mazhab Hai Ki Be-namazi Kafir Hai.....

🔷Imam ahmad Bin Hambal Abdullah Bin Mubarak aur imam Nakhi Ke Nazdeek Bhi Be-namzi Kafir Hai.....

🔶Haan hamare imam sarkar abu hanifa & bahot se Sahaba Be-namzi ko Kafir Nahi Jante Magar Yahi Kya Kam Hai Ki Bade Bade Sahaba Ne Kafir kaha???

📚{جامع ترمذی، ابواب الایمان، باب ما جاء في ترک الصلوة، الحديث-۲۶۳۱}

🔷Ba-Gaor Padhe Ye Sab Allah Ke Mehboobe Azam Sallallahu Alaihi Wassalam Ke Farameen aur uske Sohbat Yafta Jannati jamat sahaba ke AQWAL Hai kya isse Badh Kar Kisi Ki Baat Ho Sakti Hai...

🔶Namazo Ka Chhodna Aur Shafat Pe Nazan Hona Ya Kisi Pe Takya Kar lena Ki Falan Kaam Aajyega ye Mahez Kham Khali Aur Jhooti Aas Hai....

🔵NAMAZ KI QISME FIQHI ISTILAHAAT 🔵

🔘FARZ: 

🔷Wo Hukm hai Jiska Lazoom DALEEL QATA’I se saabit ho.

🔘Daleel Qata’i 3 Cheezein hain:

🔶1.Qur’an ki Aayat Jiske Ma’na me A’immah ka Iqtilaf Na ho.

🔷2.Hadees Mutawatir, 

Jis Hadees ke Raavi is Qadar Zyadah ho ke Un Sab ka Jhoota hona Aqlan Muhaal ho. 

Aur Ye Zyadati Shuroo’ se Akheer Raavi tak har Tibqah me rahe.

🔷3.Ijma’-e-Ummat se Jaise 5 Waqt ki Namaz.

FARZ ka MUNKAR KAAFIR hai.

🔶Bila Uzr Chhorne wala FAASIQ aur AZAAB-E-ALEEM KA MUSTAHIQ hai.

🔘FARZ KI 2 QISMEIN HAIN:

🔵1.FARZ-E-AYN: 

🔷Ya’ni Jiska adaa karna Har Shaqs par Zaroori ho. 

🔶Jaise Namaz, 

Rozah, 

Zakath, 

Hajj, 

Islami Aqaa’id aur Farz Ibadaton ka seekhna. 

🔷Isko bila Uzr chhorne wala FAASIQ aur GUNAH-GAAR hai.

🔵2.FARZ-E-KIFAAYAH: 

🔶Jo Ek 2 Aadmiyon ke adaa karne se Sab ke Zimmah se Utar Jaayega. 

🔷Koi bhi Na kare to Sab Gunahgaar honge Jaise Namaz-e-Janazah, 

Aalim-e-Deen banna.

🔷NAMAZ KE FARAA’IZ: se Matlab Wo Cheezein hain ke Inke Chhoot Jaane se Namaz Nahi hoti. Aur Namaz Lautaana FARZ hota hai.

🔶WAAJIB: Wo Hukm hai Jiska Lazoom DALEEL ZANI se saabit ho.

🔘Daleel Zani 3 Cheezein hain:

🔷1. Qur’an ki Aayat Jiske ma’ne me Doosra bhi Ahtemaal (possibility) ho.

🔶2. Aisi Hadees Jiske Raavi bohat Na ho ke TAWATUR ke darjah ko Pohnche.

🔷3. Qiyaas Ahle Ijtihaad.

Waajib ki misaal FARZ Namaz ki Jama’t, Eidein ki Namaz waghera.

🔘WAAJIB KI 2 QISMEIN HAIN:

🔵1.WAAJIB-E-AYN: 

🔶Jiska adaa karna Har Musalman par Alhaidah Alhaidah WAAJIB hai. 

🔷Jaise Namaz WITR, 

Namaz EID waghera.

🔵2.WAAJIB-E-KIFAAYAH: 

🔶Aisa Waajib hai ke Agar Kuch Musalman adaa Karein to Sab ki taraf se adaa ho Jaaye, 

Warna Sab Gunahgaar honge Jaise Tableegh-e-Deen.

🔷NAMAZ KE WAAJIBAAT Ka Hukm Ye hai ke Jiska Namaz me Adaa Karna Zaroori hai. 

🔶Isko Qasdan chhorne se Namaz to ho Jati hai magar NAAQIS Ya’ni MAKROOH-E-TEHREEMI, 

WAAJIB AL-I’AADAH hoti hai.

🔷Haan.! Agar Wajib bhoole se Chhoot Jaaye to Uske liye Sajdah Sahoo kaafi hota hai. 

🔶Haan.! Agar Sajdah Sahoo Na kiya to Namaz Waqt ke andar Lautaani WAAJIB hai.....

🔘SUNNAT:

🔷Jis Cheez ko Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ne Ya Sahaba-e-Kiraam (rizwaanullahi ajma’een) ne Kiya ho Ya Karne ka Hukm diya ho.

🔘SUNNAT 2 QISMEIN HAIN:

🔵SUNNAT-E-MU’AKKIDAH:-

🔶Wo Kaam Jise Huzoor (sallallahu alaihi wa sallam) Aksar Karte rahe ho Ya Karne ke liye farmaya ho. 

🔷Aur bila Uzr Kabhi Na Chhora ho Jaise SUBAH (FAJAR) ki Sunnatein. 

Iska Chhorna GUNAAH hai.

🔵SUNNAT-E-GAIR MU’AKKIDAH:-

🔶Wo Kaam Jise Huzoor (sallallahu alaihi wa sallam) ne Aksar kiya ho,

🔷Aur Kabhi bila Uzr Chhor bhi diya ho. 

Aisi SUNNAT ke chhorne se GUNAAH Nahi hota Jaisa ke Asar ki Sunnatein.

🔘Phir SUNNAT ki Aur 2 Qismein hain:-

⚫SUNNAT-E-AYN: 

🔷Jiska adaa karna Har Musalman ke liye Alhaidah Alhaidah Sunnat hai Jaise Aam Sunnatein.

⚫SUNNAT-E-KIFAAYAH: 

🔶Aisi Sunnat ke Agar Kuch Musalman adaa karein to Sab ki taraf se Adaaygi ho Jaaye Warna Sab par Sunnat Chhorne ka Baar rahega Jaise A’itekaaf.

⛔NOTE-1: 

🔷Jis Sunnat ka Saboot Hadees-e-Mutawatir se ho Uska MUNKAR KAAFIR ho jata hai aur Jis Sunnat ka Saboot Hadees-e-Mash’hoor se ho Uska Munkar FAASIQ ho jata hai.

🔶Agar Sunnat ka saboot Hadees Ahaad se hai to Uske Munkar ko BID’ATI kehte hain.

🔷Agar Sunnat Ittifaqan TARK ho Jaye to Kuch HARJ Nahi. 

Agar Aadat Kar li to Uske TARK par Usko Malaamat karna chahiye. Wo Gumraah hai aur Shifa’at se Mehroom rahega.

⛔NOTE-2: 

🔷Namaz me Sunnat-e-Mu’akkidah qasdan Ya sehvan chhoot Jaaye to Namaz Makrooh Tanzeehi hogi. 

🔶Namaz ka I’aadah Ya’ni Dohraana Nahi hai, 

Albatta Sawaab Kam ho Jaayega.

🔘MUSTAHAB: 

🔷Jis kaam ke karne ka Sawaab Huzoor (sallallahu alaihi wa sallam) ne bayaan farmaya ho, aur Us par Khud bhi amal kiya ho, aur Wo Ibadat ke Baab se ho Aadat ke Baab se Na ho.

🔶Mustahab ke karne me Sawaab hai, 

Na karne me Koi Azaab Nahi hai. 

🔷Mustahab ka Munkar Na to Kafir hai Na Faasiq, 

Na Bid’ati. Haan Karne wala Sawaab aur Fazeelat ka Mustahiq hai.

🔘MUBAAH: 

🔷Wo Kaam Jiske Karne me Na Sawaab ho aur Na, Na karne me Gunaah ho.

🔘NAFL:

🔶Jis cheez ki Fazeelat aayi ho aur Karne me Sawaab ho,

Aur Chhorne me Azaab Na ho, Nafl ko Mustahab, 

Mandoob aur Tatoo’ bhi kehte hain.

🔘HARAAM: 

🔶Wo Kaam Jiski Hurmat aur Mukhalifat Daleel Qata’i se sabit ho Jaise Jhooti Gawaahi dena, Choghli, 

Chori, 

Sharaab peena, 

Sood lena, 

Rishwat, 

Juwa waghera.

HARAAM ka Munkar Kaafir ho jata hai,

🔷Aur baghair Uzr ke Iska Murtakib FASIQ aur MUSTAHIQ Azaab wa Saza hota hai.

⚫MAKROOH: 

🔷Ya’ni Na-Gawaar (Na-Pasandeedah) aur Bura.

🔵MAKROOH 2 QISMEIN HAIN:

🔘MAKROOH-E-TEHREEMI:-

🔷Jiski Mumaani’at aur Na-Pasandeedgi Daleel Zani se ho. Aisa bura Kaam Jo Haraam ke qareeb qareeb ho. 

🔶Makrooh-e-Tehreemi ka Munkar Kafir to Nahi hota lekin Amal me laane wale Fasiq aur Azaab ka Mustahiq hota hai.

🔘MAKROOH-E-TANZEEHI:-

🔷Tanziyah ke ma’na PAAK wa SAAF hain. 

Makrooh-e-Tanzeehi aisa Fa’l hai Jo Paak-baaz ko Nahi karna Chahiye. 

🔶Ya’ni aisa bura Kaam Jiski buraayi ma’mooli ho, 

Shari’at me Gair-Munaasib samjha jaata ho, 

🔷Iska chhorna Achha hota hai, aur Karna PAAK-BAAZI ke khilaf hai. 

Bach Jaaye to Sawaab ka Mustahiq hota hai.

⛔NOTE: 

⚫Namaz me Makrooh-e-Tehreemi se bachna Zaroori hai aur Iske karne se Gunaah hota hai. 

Aur Makrooh-e-Tanzeehi ka Karna Khilaf-e-Aulaa hai......

🔷NAMAZI KE AAGE SE GUZARNEWALA JANTA KE US PAR KYA GUNAH HAI TO ZAMIN ME DHANS JAANE KO GUZARNE SE BEHTAR JAANTA....

📚(FATAWA-E-AALAMGIRI)

🔶JAB BANDA NAMAZ ADA KARTA HAI TO USKE GUNAH USKE SAR PE RAKH DIYE JATE HAI JAB WO SAJDA KARTA HAI TO GUNAH GIR JAATE HAI....

📚(MUSNAD-E-IMAAM AHMAD)

🔷Jo Shakhs 5Paanch Waqta NAMAZ JAAMAT Ke Sath Ada Kare ALLAH TA'ALA Usko 70 HAJJ Ka Sawaab Ata Karega....

📚[TAZKIRATUL WAEZEEN]

🔶Jo Shaks Apne Ghar Se Wazu Kar Ke FARZ NAMAZ Ada Karne Ke Liye Masjid Jata Hai

To Usko HAJJ Ke Liye AHRAM Bandhne Wale Ki Tarah Sawab Milta Hai ....

📚(Abu Dawood)

🔷Agar Log Jaan Le Ke Isha Aur Fajr Ki NAMAZ Ki Kitni Fazilat Hai To Wo Zarur Usme Sharik Ho Agarche Unhe Ghasit-Ghasit Kar Aana Pade....

📚(Bukhari Sharif)

🔶"ALLAH ke nazdeek jaldi wo DUA Qubul hoti he jo sajde me kee jaye

Isliye DUA SAJDE me kiye karo"

📚(Muslim Sharif)

🔷"DAUDTE HUE NAMAZ KO JAANA MAKROOH HAI."

📚(RADDUL MUKHTAAR)

🔶"JALTI HUI AAG KE

SAMNE NAMAZ PADHNA MAKROOG HAI

LEKIN CHARAG YA LALTEN KE SAMNE NAMAZ PADHNE ME KOI KARAAHAT NAHI."

📕(DURR-E-MUKHTAR Jild:1 S:438)

🔷"NAMAZ TARIKA-E-AMBIYA-E-SAABEKIN HAI

NAMAZ MA'REFAT-E ILAAHI KA NOOR HAI NAMAZ ISLAM KI JAD HAI FARISHTO KI MUHABBAT KA WASILA HAI"

🔶NAMAZ QABR KA BICHHAUNA NAMAZ MUNKAR-NAKIR KO QABR ME MURDE KI TARAF SE JAWAB DEGI NAMAZ QABR ME QAYAMAT TAK MURDE KI MADADGAR BANI RAHEGI

🔷"NAMAZ ME BAGAIR UJR HATH SE MAKKHI,

MACHHAR UDAANA MAKROOH HAI."

📕(FATAWA-E-AALAMGIRI JILD-1 SAFA-102)

🔘MAS'ALA:

🔷"NAMAZ ME TOPI GIR PADI TO EK HATH SE UTHA KAR SAR PAR RAKH LENA BEHTAR HAI

AUR AGAR BAAR BAAR GIR PADTI HO TO NA UTHANA ACHHA HAI."

🔶SUSTI SE NANGE SAR NAMAZ PADHNA YANI TOPI SE BOJ MALUM HOTA HAI

YA GARMI LAGTI HAI

IS WAJAH SE TO YE MAKRUH-E-TANJIHI HAI..

📚(RADUL MUKHTAR)

🔶NAMAZ KO HAQEER KHYAL KARKE NANGE SAR PADHE

JAISE NAMAZ KOI SHANDAR CHEEZ NAHI KI TOPI KA EHTEMAM KIYA JAYE TO YE KUFR HAI....

📕(RADUL MUHTAR Jild:1 Safa:431)

🔘MAKRUHAAT:

🔷KAPDE YA BADAN YA DAADHI MOOCHH SE KHELNA

SAJDE ME JAATE WAQT AAGE YA PEECHHE SE DAMAN YA CHADAR YA TAHBAND UTHA LENA KAPDA LATKAANA YAANI SAR YA KANDHE PAR KAPDA,

CHADAR WAGAIRAH IS TARAH DAALNA KI DONO KINARE LATAKTE HO.....

📕(RADUL MUKHTAR Jild-1 Safa-429)

🔘NAMAZ KE MAKRUHAT:

🔶KISI EK AASTIN KO AADHI KALAEE SE ZYADA CHADHANA

DAAMAN SAMET KAR NAMAZ PADHNA IDHAR UDHAR MUH FER KAR DEKHNA....

📚(RADUL MUKHTAR)

🔘NAMAZ KE MAKRUHAAT:

🔷ATTAHIYYAT ME YA DONO SAJDO KE DARMIYAN

DONO HAATHO KO RAAN PAR RAKHNE KI BAJAAY ZAMEEN PAR RAKH KAR BAITHANA.

📕[AALAMGIRI J-1,S-99]

🔘NAMAZ KE MAKRUHAAT:

🔷UNGLIYA CHATKHANA

AASMAN KI TARAF NIGAAH UTHANA 

MARD KA SAJDE ME KALAAIYO KO ZAMEEN PAR BICHAANA.

🔘MAKRUHAAT:

🔷NAMAZ ME BILA UJR PAALTI MAAR KAR BAITHNA

NAMAZ ME DAAYE BAAYE JOOMNA

ULTA QUR'AN MAJEED PADHNA...

📕(DURR-E-MUKHTAR J-1,S -429)

🔘NAMAZ KE MAKRUHAAT:

🔷NAMAZ ME KAMAR PAR HAATH RAKHNA..

🔶NAMAZ KE ILAAWA BHI KAMAR PAR HAATH NA RAKHNA CHAHIYE

YE TAMAM BAATE MAKRUH-e

TAHRIMI HAI AGAR NAMAZ ME YE MAKRUHAAT HO JAAYE

TO USKO DOHRA LENA CHAHIYE.

📕(DURR-E-MUKHTAR JILD-1, SAFA-429)

🔘NAMAZ TOD DENE KE AA'ZAR:

(YANI KIN KIN SOORTO ME NAMAZ TOD DENA JAIZ HAI):

🔷KOI DUB RAHA HO YA

AAG SE JAL JAYEGA 

YA ANDHA KUE ME GIR PADEGA AUR YE USKO BACHANE KI QUDRAT RAKHTA HO TO US PAR WAJIB HAI KI NAMAZ TOD KAR USKI MADAD KE LIYE DAUD PADE...

📕(RADDUL MUHTAR JILD-1,SAFA-440)

🔶IN SOORTO ME NAMAZI PAR WAJIB HAI KI

NAMAZ TOD KAR UN LOGO KO

BACHAE YUHI AGAR KOI KISI KO QATL KAR RAHA HO

& WO FARIYAD KAR RAHA HO

SAAMP WAGAIRAH MAAR NE KE LIYE JAB KI KAAT LENE KA SAHI DAR HO TO NAMAZ TOD DENA JAIZ HAI.

📚(DURR-E-MUKHTAR SAFA:440)

🔷PESHAB PAAKHANA QABU SE BAAHAR MALUM HUA

YA APNE KAPDE PAR ITNI KAM NAJAASAT DEKHI JITNI NAJAASAT KE HOTE HUE NAMAZ HO SAKTI HAI.

YA NAMAZI KO KISI AJNABI AURAT NE CHHU DIYA

TO IN TEENO SOORTO ME NAMAZ TOD DENA MUSTAHAB HAI...

📚(DURR MUKHTAR

&

RADDUL MUKHTAR J-1, S-440)

⚪"Masail-E-Namaz"⚪

⚫Namaz Shuru Karne Se Qabal Kuch Chizen Shart Hain Jab Tak Wo Na Paai Gai Namaz Shuru Hogi Hi Nahi........

⚪Kuch Chizen Namaz Me Farz Hai Jab Tak Wo Ada Na Hogi Namaz Hogi Hi Nahi...

⚫Kuch Wajibat Hain Agar Wajib Ko Qasdan Chhoda To Gunehgar Hua Aur Namaz Ka Phir Se Padhna Wajib Hai.....

⚪Agar Bhool Se Wajib Chhoda To Aakhri Me Sajdah Sahu Kar Le.....

⚪Aur Kuch Baten Namaz Me Sunnate Hai, jinko Chodne Ki Adat Banana Gunah Aur Bhool Se Chhot Jaye To Koi Harj Nahi.........

⚫Aur Kuch Chizen Mustahab Hain Jinko Karna Sawab Hai Aur Chhod Dene Par Koi Gunah Nahi......

⚪Jo Pehle Ke Part Me Bata Diya Gaya hai

↪Namaz Shuru Karne Se Qabal in Baton Ka Paya Jana Zaroori Hai

         🔵Shara'it-E-Namaz🔵

🔶TAHARAT 

(Namazi Ke Kapde Aur Badan Aur Jis Jagah Namaz Padh Raha Hai Us Jagah Ka Pak Hona)

🔷SATRE AURAT 

(Namazi Ka Apne Badan Ka Wo Hissa Jiska Chupana Farz Hai Use Chupana)

🔶Yani Kam Se Kam Naaf Se Ghutno Tak Ka Chupana Farz Hai, isse Kam Chupa Hai To Namaz Shuru Hi Nahi Hogi....

Alhamdulillah Aaj Ke Daur Me Kapdon Ki Kisi Ko Kami Nahi Hai....

↪QURAN....

🔷Har Namaz Ke WAQT Kapde Pehno,

📓{Para-8, Sure Aaraf Ayat No-31}

🔶ISTEQBALE QIBLAH 

(Namaz Me Qibla Ki Taraf Muh Karna)

🔷WAQT Ka Hona 

(Kisi Namaz Ko Waqt Se Pehle Padhne Se Wo Hui Nahi,,, 

Aur Waqt Guzar Kar Padhne Se Ho To Gai Magar Qaza Aur Sawab Bhi Kam}

🔷NIYYAT 

(Dil Me Pakka irada Namaz Ka Ho)

🔶TAKBIRR TEHRIMA 

(Yani Niyyat Bandhte WAQT Jo Allahu Akbar Kahi Jati Hai isko Takbire Tehrima Kehte Hain Iske Saath Hi Ab Namaz Shuru Ho Gai.

📚{Raddul Mohtar, BAB SHURU'TUS SALAT, Bahsul Qayam, Jild-2, Page-162}

    🔘(FARA'IZ-E-NAMAZ)🔘

🔷TAKBIRE TEHRIMA 

(Ye Shart Bhi Hai & Farz Bhi)

🔶QAYAM 

(Namaz Me Sidha Khade Hona)

🔷QIRAT

(Quran Ki Kam Se Kam 1 Ayat Padhna, Chahen Namaz Sunnat Ho Ya Farz Nafl Ho Ya Wajib Akele Padhe Ya imam Bane, Haan imam ke Piche Hai To Qirat Na Kare Chahe Koi Namaz Ho}

🔶RUKOO 

(Itna Jhukna Ko Hath Ghutno Se Lag Jayen)

🔷SUJOOD 

(Mathe Ka Zameen Se Lagana Is Tarah Ki Paon Ki 1 ungli Ka Pet Zameen Se Laga Ho) 

Har Rakat Me 2 Sajde Farz Hai.

🔶QADATE AKHIRAH 

(Yani Namaz Ki Rakaten Puri Hone Ke Bad Itna Baithna ki Attahiyyat Me Rasuluhu Tak Padha Ja Sake)

🔷KHURUJE BESUN'IHI (Namaz Ke Akhri Qayde Me Apne Iradah Wo Amal Se Namaz Ko Khatm Kar Dena......

📘{Bahar-e-shariat, Hissa-3, Page-516}

✅Mas'ala:

🔷MUQTADI Ke Liye Ye Bhi Farz Hai Ki Apne imam Ki Namaz Ko Sahi Khayal Kare,

🔶Uske Nazdeek Agar imam ki Namaz Sahi Nahi Hai To Khud Uski Na Hui,

Imam Ki Ho Gai...

📗{Durre mukhtar, jild-2, safah-173}

⚫"NAMAZ KI SUNNATEN"⚫

🔷Takbire Tehrima Ke Liye Hath Uthana,

🔶Haton Ki Ungliyon Ko Apne Haal Par Chhodna,

🔷Hatheliyon Aur Ungliyon Ke Pet Ka Qibla Rukh Hona,

🔶Takbir Kehte WAQT Sar Na Jhukana,

🔷Takbir Aur Takbire Qunoot, Aur Takbire Eidain (Eidul Azha & Eidul Fitr ki 6-6 Takbirat) Me Kano Tak Hath Uthana Iske ILAWA Kahi Hath Na Uthana Sunnat Hai,

🔶Aurat Ke Liye Sunnat Ye Hai Ki Kandhon Tak Hath Othaye,

🔷Imam Ho To Use Allahu Kabar & Sami'allahuliman Hamidah & Salam Zor Se Kehna,

Sana Padhna Aur AuzuBillah & Bismillah Padhna Aur Ye Sab Ahista Padhna,

🔶Rukoo Ke Liye Allahu Akbar Kehna Aur Rukoo Me Ghutno Ko Hath Se Pakadna, 

🔷3 Bar Subhana Razbbilyal Azeem Kehna,

🔶Rukoo Me Peeth Khoob Bichi Hui Rakhe Yahan Tak Ki Pani Ka Pyala Rakha Jaye To wo Taher Jaye, 

🔷Rukoo Se Uthte WAQT imam Ka Sami'allahuliman Hamidah Kehna Aur MUQTADIYON Ka Allahumma Rabbana Wa Lakal Hamd Kehna, 

🔶Akele Namaz Padhne Wale Ka Dono Kehna, sajde Ke Liye jate & Uthte Huye Aur Sajde Me 3 Baar Subhana Rabbiyal Aala Kehna Aur Sajde Me Hath Ka Zameen Par Rakhna Sunnat Hai,

🔷Sajde Me Jate Huye Pehle Ghutne  Phir Hath Phir Nak Phir Peshani Rakhna Sunnat Hai Aur Wapas Hote Huye Iska Ulta Kare, 

🔶2 Sajdo Ke Beech Jalsa Karna (baithna) Aur Sidha Qadam Khada & Ulta Bicha Hua Rakhna aur Hathon Ka Rano Pe Rakhna Sajde Me Ungliya Qibla Rukh Hon Aur Ungliyan Mili Hui Rakhna, 

🔷Sadje Me Pair Ki 10wo ungliyan Qibla Roo Hona sunnat Hai, 

🔶Dusri Rakat Ke Liye Uthte WAQT Ghutno Par Hath Rakh Kar Panjo Ke Bal Uthe Yahi Sunnat Hai, 

🔷Qada Me Baithne Ke Liye ulta Pair Bichaye Aur Dono Sureen (chutad) Uspe Rakhe Aur Sidha Pair Khada Ho Uski Ungliyan Qibla Ki Simt Ho Hath Rano Pe Rakhna Is Tarah Ki Ungliyon Ke Sire Ghutno Se Qarib Ho,

🔶Shahadat ke WAQT Kalme Ki Ungli LA Par Utahye Aur Illah Par Gira De, Farz Namaz Ki 3ri & 4thi Rakat Me Sure Fatiha Padhna Afzal Hai 3 Bar Subhan'allah Kehna Bhi Jayez Hai Aur 3 Tasbeeh Padhne Ki MIQDAR Tak Chup Raha Tab Bhi Namaz Ho Jayegi Magar Chup Na Rehna Chaiye,

🔷Namaz Me Durood Sharif Padhte WAQT Huzoor & Hazrat Ibaraheem Ke Naam Se Pehle Sayyedna Lagana Behtar Hai...

📚{Bahare-E-Shariat, Hissa-3, page-521}

🔘MAS'ALA:

🔷Agar Imam Ki Awaz Sab Muqtadiyon Ko Nahi Pahochti Hai To Behtar Hai Ki Koi MUQTADI Bhi Baland Awaz Takbir Kahe, 

Taki Sab Ko Awaz Paohche, 

Aur Agar Sab Ko imam Ki Awaz Pahochti hai To Bila Zarurat mukabbir Banna Makrooh Hai...

📗(Raddul mohtar, jild-2, page-209)

🔘MAS'ALA:

🔶Koi Agar Rukoo Ki Tasbeeh Me Subha'na Rabbiyal Azeem Me Zo (ظ) Ko Ada Na Kar Sake To Wo Subhana Rabbiyal Kareem Padhe...

📚{Bahare-E-Shariat, Hissa-3, Page-525}

🔘"MAKROOHATE NAMAZ"🔘

🔷Makruhe Tehrimi Ye WAJIB Ke MUQBLE Ka Hai, 

Ise Bar Bar Karna Haram Tak Paohchata Hai, 

🔶Agar Namaz Me Makroohe Tehrimi Paya Gaya To Us Namaz Ka Lautana Wajib Hai...... 

🔷Makroohe Tanzihi, 

Wo Amal Hai Jise Shariat Ne Pasand Nahi Kiya Lekin Karne Par Azab Nahi Lekin Chhod Dena Sawab Hai, 

🔶Ye SUNNATE MOAKKDEAH Ke MUQABLE Me Hai,,,,

Namza Me Ye Baten Makrooh Hai...

🔷Badan Kapde Dadhi Se Khelna, 

🔶Sajde Me jate & Uthte Kapda Sametna, 

🔷AgarChe Dhool Se Bachne Ke Liye Ho Aur Bila Wajah Ho To Aur Ziyadah Makrooh Hai,

🔶Kandhe Par Kapda Is Tarah Dalna Ke Dono Kinare Latakte Hon Ye Sab Makroohe Tehrimi Hai........ 

📚{الفتاوي الهندية، كتاب الصلاة، الباب السابع فيما يفسد الصلاة.... إلخ، جلد-1، صفحه-105}

🔷Aasteen Chadhana Daman Sametna Namaz Se Pehle Kare Ya Namaz Me Makroohe Tehrimi Hai,,,,,,

🔶Pakhana Peshab Ya Riyaah (Hawa) Ne Galba Kiya To Isi Halat Me Namaz Padhna Makroohe Tehrimi Hai,,,,,,

(Pehle In Chizon Se Farig Ho Phir Namaz Padhe)

🔷Agar Beech Namaz Me Ye Halat Hui To namaz Ka Todna Wajib Hai Agar Isi Tarah Namaz Padha To Gunehgar Hua,,,,,, 

📚{ردالمحتار،كتاب الصلاة، باب ما يفسد الصلاة وما يكره فيها، جلد-2، صفحہ-492}

🔷Jooda Bandhna (Mard Ke agar Baal Lambe Ho To Unhe Bandhna) Makroohe Tehrimi Hai, Aurat ke Liye Nahi,,,,, 

🔶Namaz Me Ungliyan Chatkana Ungiyon Ki Qainchi Badhna Eik Hath Ki Ungli Dusre Hath ki ungliyo Me Dalna Bhi Makruhe Tehrimi Hai,,,,,,,

🔷Namaz Me Kamar Pe Hath Rakhna Makroohe Tehrimi Hai,,,,,,,

🔶Idhar Udhar Dekhna Asman Ki Taraf Nigah Karna, 

Kapde Me Is Tarah Lipat Jana ki Hath Bhi Bahar Na Ho, 

🔷Naak & Muh Ko Chupana Bila Zarurat Khansna Makroohe Tehrimi Hai,,,,

🔶Jis Kapde Pe Jandar Ki Tasveer Ho Use Pahen Kar Namaz Padhna Yun Hi Musalle Par Tasveer Hona Ya Namazi Ke Age Piche Dayen Bayen Sajdah Ki Jagah Tasveer Ka hona Ye Sab Makroohe Tehrimi Hai,,,,,,

📚{بهارشریعت، حصہ سوم، صفحه-627}

🔘MAS'ALA:-

🔷Ulta Quran Padhna, 

Rukoo Sajde Me Peeth Sidhi Na karna, 

Yun Hi Qauma & Jalsa Me Sidha Hone Se Pehle Sajde Me Jana, Qayam ke ilawa Kisi Aur Jagah Quran Padhna,

Imam Se Pehle MUQTADI Ka Rukoo Aur Sajd Me jana Aur Sar Uthana Ye Sab makroohe Tenrimi Hai.....

📚{Bahare-E-shariat, Hissa-

3,Page-629}

🔘MAS'ALA:-

🔶Sirf pajama Ya lungi Pahen ke Namaz Padhna kurta aur chadar Maujood Ho To Makroohe Tehrimi Hai,

🔷Agar Dusra kapda nahi To Muaaf Hai,....

📚{Fatawa Hindiya, jild-1, page-106}

🔘Mas'ala:-

🔷Qabze Ki Zameen Par Namaz Padhna, 

Paraye khet jisme Fasal Maujood Ho Aur Jutai kiye huye khet Me Namaz Padhna Yun Hi Qabr Ke Samne Namaz Padhna Makroohe Tehrimi Hai....

📗{Durre Mukhtar, jild-2, page-54}

🔘Mas'ala:-

🔶Kuffar ke Ibadat Khano Me Namaz Padhna Makrooh Hai Balki Wahan To Jana Bhi Mana Hai.....

📗{Raddul Mohtar, jild-2, page-53}

🔘Mas'ala:-

🔷Namaz Me Ungliyon par Ayaton aur Tabihaat ka Ginna Makrooh hai,

🔶Masjid Me apne liye jagah fix karna ki wahi Namaz padhuga makrooh hai....

📕{Fatawa Alamgeeri, jild-1, page-108}

🔘Mas'ala:-

🔷Aam Raasta, kachra Dalne ki jaga, 

Muzbah

 (janwar zabah Hone Ki Jagah, Qabrastan, 

Gusal khana,

Maweshi khana,

Astabal,

Pakhane ki chhat,

Aur jangal Me Bila Sutrah Namaz Padhna Makrooh Hai....

📚{Bahare-e-Shariat, Hissa-3, page-637}

🔘Mas'ala:-

🔶Sanp Wagera Marne ke Liye Agar Usse Taklif Ka Sahi Andesha Ho Ya Koi Janwar Bhag Raha Ho Use Pakad Ne Ke Liye, Ya Bakriyon Par Bhediye Ke Hamle Ka Khauf Ho, 

🔷Yun Hi Apne Ya Paraye Ka 1 Dirham Ka Nuqsan Ho Raha Ho Masalan Doodh Ubal Jayega Ya Gosht Tarkari Ya Roti Jal Jayegi Ya Koi Uchakka Paise Lekar Bhag Raha Ho In Sab Surton Me Namaz Todne Ki ijazat Hai...

📚{Bahare-e-Shariat, Hissa-3, page-637}

🔘Mas'ala:-

🔶Koi Musibat Zadah Pukar Raha Ho, 

Ya Koi Doob Raha Ho Ya Jal jayega Ya Andha Admi Koyen Me Gir Jayega in Sab Surton Me Namaz Ka Todna Wajib Hai Agar Use Bachane Ki TAQAT Hai To...

📗{Durre Mukhtar, jild-2, page-514}

⚫Namaz Ke Makroohat Ko Mazeed Tafseel Se Janne Ke Liye Bahare-e-Shariat Ka Mutala Kare,

Note-

☑Jeb Me Not I card coins etc Wagera Ho To Koi Harj Nahi,,,,,

⚫"Namaz Me Quran Padhne Ka Bayan"⚫

🔘Ahem Masayel Dhiyan Se Padhen.........

✅MAS'ALA:-

🔷Fajr Magrib Aur Isha Ki Pehli 2 Rakaton Me Aur Juma Eidain O Taraveeh & Ramzan Ki Witr Ki Tamam Rakaton Me imam Par Jaher (zor se Quran Padhna) wajib hai,

🔶Zohar Asar Ki 4ron rakaton Me Magrib ki Tisri & Isha ki Tisri & 4thi Rakaton Me imam Pe Ahista Quran Padhna Wajib Hai

📚{Bahar-E-Shariat, Hissa-3, Page-544}

✅MAS'ALA:

🔷JAHER Ke Maana Ye Hai Ki Pehli Saf Wale Sun Sake Aur Ye Adna Darja Hai,, 

🔶Aala Darja Ye Hai Ki Uski Koi Had Muqarrarr Nahi,,, 

Aur Ahista Padhna Ye Ki Khud Sun Sake,,,

🔷Is Tarah Padhna Ki 1 Ya 2 Admi Sunte Hon Ye Ahista Padhna Hua Jaher Nahi...

📚{Durre Mukhtar, jild-2,Safah-308}

✅Mas'ala:

🔶Haajat Se Ziyadah Awaz Tez Karna Jo Apne Aur Dusron Ke Liye Ba'ise Takleef Ho Ye Makrooh Hai...

📚{Raddul Mohtar, Jild-2, Safah-304}

✅Mas'ala:

🔷Din Ki Nawafil Me Ahista Padhna Wajib Hai, 

Raat Ki Nawafil Me Ikhteyar Hai Agar Akela Padh Raha Ho To,,, Agar Jamat Se Raat Me Nafl Padh Raha Ho To Jaher Wajib Hai...

📚{Bahar-e-Shariat, Hissa-3, Page-545}

✅Mas'ala:

🔷Jehri Namazon Me (fajr, magrib, isha) Me Akele Padhne Wale Ko Ikhtiyar Hai (chahe Zor Se padhe Ya Ahista} Aur Behtar Yahi Hai Ki Zor Se Padhe Agar Namaz Apne WAQT Me Padh Raha Ho To, 

Agar Qaza Hai To Ahista Wajib Hai...

📚{Alamgiri, Jild-1, Page-72}

✅Mas'ala:

🔷Agar Sure Fatiha Ke Bad Sure Milana Bhool Gaya Tha Aur Rukoo Me Chala Gaya To Wapas Khada Ho Phir Sure Milaye Phir Rukoo Kare Aur Akheer Me Sajdah Sahu Kare, 

🔶Agar Dobara Rukoo Nahi Kiya Tha To Namaz Hi Nahi Hui....

📚{Bahar-e-Shariat Hissa-3, Page-545}

✅Mas'ala:

🔶Izterari Halat Me Masalan WAQT Jate Rehne Ka Khauf Hai Ya Dushman Ya Chor Ka Dar Hai Aisi Halat Me Safar Ho Ya Hazar (apne maqam par) Agar Wajibaat Chhodne Pade To iski ijazat Hai.....

🔷Masalan Fajr Me Itna WAQT Tang Hai Ki Sirf Eik Ayat Hi Padh Sakta Hai To Eik Hi Padhe,

Magar Suraj Baland Hone Ke Bad Is Namaz Ko Dobara Padhe...

📚{Durre Mukhtar, jild-2, Page-317}

✅Mas'ala:

🔶Sunnate Fajr Padh Raha Tha Aur Jamat Na Milne Ka Dar Ho To Sunnat Namaz Me Sirf Wajibat Pe Hi Amal Kare, 

Sana Auzubillah Bismillah Chhod De Aur Rukoo Sajde Me Sirf 1-1 Hi Tasbeeh Padhe...

📚{Bahar-e-Shariat, Hissa-3, Page-546}

.....

⚫"Jamat Ke Masayel"⚫

🔘Dhiyan Se Padhen.....

Musalman, 

AAQIL (Aql Wala) Baalig (ladki 9 Sal Me Balig Hoti Hai & Ladka 12 Sal Me), Hurr (Azad) Qadir 

(jisme Jamat Me Shamil Hone Ki Qudrat Ho) Par Jamat Wajib Hai.....

🔘JAMAT Bila Wajah 1 Bar Bhi Chhodne Wala Gunehgar Aur Musta'hiq Saza Ka Hai....

🔘Aur Kai Bar Tark Karne Wala FASIQ Mardudush ShaHadah (Yani wo kisi Mamle Me Gawahi De To Uski Gawahi Maani Nahi Jayegi) Hai Aur Use Sakht Saza Dee Jaye..

🔘Agar Uske Parosiyon Ne Sukoot Kiya 

(khamosh Rahe To Wo Bhi Gunehgar Hain......

📚{Bahar-e-Shariat, Hissa-3, Page-582}

✅Mas'ala:

🔷In Surton Me Jamat Chhdone Ki Ijazat Hai,,,

📌Bimar Jise Masjid Tak Jane Me Mushaqqat Ho,

📌Apahij, 

Jiska Paon Kat Gaya Ho, 

Jis Pe Falij Gira Ho,

📌Itna Budha Ki Masjid Tak Nahi Ja Sakta, 

📌Andha Agarche Andhe Ko Koi Masjid Tak Le Jane Wala Ho, 

📌Sakht Barish Shadeed Kichad Sakht Sardi Sakht Andhera Aur Aandhi Tufan, Maal Ya Khana Talf (zaya) Hone Ka Andesha, 

📌Qarz Khah (jinse Qarz Liya Ho unke milne ka Dar) Ke Milne Ka Khaof Aur Ye Tang Dast Ho 

(Dene Ki Halat Me Na Ho) ,

📌Zalim Ka Khaof Pakhana Peshab Ka Galba Riyaah (Hawa nikalna) ki shadeed Hajat, 

📌Khana Hazir Hai Aur Sachchi Bhook Lagi Ho, Qafla Chale Jane Ka Andesha (isi Tarah Train Bus Jahaz ki Chhootne Ka Andesha) Mareez Ka Timadar Agar Jamat Me Shamil Hua To Mariz Ko Taklif Hogi... 

📌Ye Sab Jamat Tark Karne Ke Uzr Hain......

📚{Bahar-e-Shariat, Hissa-3, Page-584}

✅Mas'ala:

🔶2 Logon Me Jamat Hui To muqtadi Agarche Ladka Ho wo imam Ki Dayhni Janib (sidhe Hath Ki Taraf) Khada Ho, 

🔷Bayen Taraf Ya Piche Khada Hona Makrooh Hai... agar 2 Ya Usse Ziyadah Ho To imam Ke Piche Khade Hon

📚{Durre Mukhtar, Jild-2, Page-270}

✅Mas'ala:

🔷2 Logo Me Jamat Hui 1 imam Ki Sidhe Taraf Khada Tha Ab Koi Aur Aaya To imam Aage Badh Jaye Ya Ye MUQTADI Piche Hat Jaye.....

🔶Ya Aane Wala Use Piche Khich Le Ye Sab Surten Jayez Hain....

📚{Raddul Mohatar, Jild-2, Page-370}

✅Mas'ala:

🔷Pehli Saf Me Jagah Khali Thi Aur Piche Ki Saf Bhar Gai To Saf Ko Cheer Kar Jaye Aur Pehli Saf Ko Pura Kare....

🔶Hadees Me Hai Jo Saf Ki Kushadgi (space) Ko Bhare Uski Magfirat Ho Jayegi..

📚{Fatawa Hindiyah, Jild-1, Page-89}

✅Mas'ala:

🔷Muqtadi Ne Tamam Rakaton Me imam Se Pehle Rukoo Sajdah Kiya To Imam Ke Salam Pherne Ke Bad 1 rakat Bagair Qirat Ki Padhe....

📚{Fatawa Hindiya, Jild-2, Page-90}

⚫"JAMAT SE NAMAZ PADHNE KI FAZILAT"⚫

🔘Tajdare Madina Huzoor PurNoor Janabe Mohammadur Rasulullah Sallahu'alaihi'wasallam Ke Farameene Aqdasah.....

✅HADEES:

🔷Jamat Se Namaz Padhna Akele Padhne Se 27 Darja Afzal Hai...

📕{Sahi Bukhari, kitabul Azan, jild-1, page-232, Hadees No-645}

✅HADEES:

🔶Jisne Kaamil Wazu Kiya (pura & Achcha) aur imam ke sath namaz Padhi Uske Gunah Bakhsh Diye Jayenge...

📚{Sahi ibne Khuzaimah, Hadees No-1479}

✅HADEES:

🔷Kisi Gaon Ya Jangal Me 3 Log Hon Aur Namaz Jamat Se Na Padhi To unpe Shaitan Musallat Ho Jata Hai, 

jamat ko lazim Jano Bhediya Usi Bakri Ko Khata Hai Jo Rewad Se Alag Ho...

📚{Sunane Nisai, Hadees No-844}

✅HADEES:

🔶Eik Sahabi Abdullah Bin umme Maktoom Ne Arz kee Ya Rasulullah Madine Me Muzi Janwar (taklif Dene Wale) Bahot Hain, aur Mai Ankhon Ka Andha Hun To Kya Mai Ghar Pe Hi Namaz Padha Karu?????

🔷Sarkar Ne irshad Farmaya,

Haiyya Las' salah & Haiyya Lal Falah Sunte Ho????

Arz Kee, 

Haan,

Farmaya Phir Hazir Ho...

📚{Sunane Nisai, kitabul imamah, Hadees No-878}

🔶Mamuli See Baat Ya Uzr Ki Bina Par Masjid Me Jane & jamat Se Mehroom Hone Wale Hazraat Ibrat Hasil Kare,

✅HADEES:

🔷Jise Ye Achcha Maloom Ho Ki Kal Allah Se islam ki Halat Me Mile (musalmam ho kar mile), Use Chahiye Ki 5wo Namazo Ki Muhafizat Kare...

(Namaze Panjagana Ko Ba-jamat Padhe)

📚{Sahi Muslim, Hadees No-257}

✅HADEES:

🔶Agar Jamat Chhodne Wala Janta Ki Jamat Me Kya Fazilat Hai To Ghutno Ke Bal Hazir Hota...

📚{Al mojamul kabeer, Hadees-7886}

✅HADEES:

🔶Jo Allah Ke Liye 40 Din Ba-jamat Namaz Padhe (5wo waqt ki) is Tarah Ki Takbire Oola (imam ki pehli Takbeer) Na Chhute uski Liye 2 Bar'aten (azadiyan) Hain.

1-Naar Se (Dozakh Se)

2-NIFAQ Se (munafiq Hone Se)

📚{jame Tirmizi, Hadees No-241}

✅HADEES:

🔷Allah Uske Farishte Pehli Saf Walo Par Durood (rehmat) Bhejte Hain, logon Ne Pucha Ya Rasulullah Dusri Saf Walon Par????

Phir Farmaya Allah Aur Uske Farishte Pehli Saf Walo Par Durood Bhejte Hain, logon Ne Pucha Ya Rasulullah Dusri Par???

🔷Aapne Farmaya Phir Dusri Par Bhi, aur Farmaya, Safon Ko Barababar Karo Kandhon Ko Milao apne Bhaiyon Ke Liye Narm Raho, aur Kushadgi (space) Ko Band Karo Q Ki Shaitan Tumhare Beech Bhed Ke Bachche Ki Tarah Ghus Jata Hai

📚{Musnade imam Ahmad Bin Hambal, Hadees No-22326}

🔶Namaz Ba-jamat Padhne Ki Hadiso Me Badi Fazilat Aai Hai, Aur Ise Tark Karne Par Sakht Se Sakht WaEiden irshad Hui...... 

🔷Afsos Sad Afsos Aaj Hamari Aksariyat Ne Masjidon Me Jana Chhod Diya, 

🔶Na Hi Apni Qaza Namazo Ko Khayal Hai... 

islam Aur sunniyat Ke Zabani Dawon ka Hamare Ye Haal Hai ki Hum Se Bada Sunni Shayed Hi Dunya Me Koi Ho.....

🔷Aur Haal Ye Hai Ki Apne Pyare Rasool Ke Farman Se Muj Mode Huye Hain aur unhi ki Shafa'at Par Nazaan Hain jinke Ye Irshad Hai,,, Aur kuch To Jangli peereo Faqiron Mujawaron Ne Logo Ko Be-bak kiya....

🔶Allah ke Bando Hamare Pyare Nabi ka Hi Farman Hai Islam Me Uska Koi Hissa Nahi Jisne Namaz Chhod Dee......

🔷Namaz Padho Apne Ghar Walo Ko Padhwao Apne Bachcho Pe Sakhti Karo Ahlesunnat Ki Masjidon Ko Apne Sajdon Se Aabad Karo Aur Suchche Pakke Sunni Jannati Bano........

⚫"Qaza Namazo Ka Bayan"⚫

🔘Jis Kaam Ka Bandon Ko Hukm Diya Gaya use WAQT Me Karna Ada kehlata Hai Aur WAQT Ke Bad Karna Qaza Hai, 

🔘Ada To WAQT Me Hi Kiya Magar Koi Kharabi Hui Us Kharabi Ko Sahi Karna Ei'Aadah Kehlata Hai......

✅Mas'ala:

🔷Bila Uzre Sharie Namaz Qaza Karna Bahot Sakht Gunah Hai... 

🔶Us Par Farz Hai Ki Uski Qaza Padhe, 

Aur Sachche Dil Se Taubah Kare, 

Taubah Se Der Karne Ka Gunah Muaaf Ho Jayega...

🔷Aur Sirf Taubah Hi Se Baat Nahi Banne Ki Balki Use ada Kare Aur Jo Der Hui Uski Taubah Kare, 

Sirf Taubah Hi Kare Aur Namaz Qaza Na Padhe To Gunehgar Ab Bhi Hai...

📚{Bahare-E-Shariat, Hissa-4, Page-700}

✅Mas'ala:

🔷AKHEER WAQT Me Namaz Ki Niyyat Bandh Lee Phir WAQT KHATM Hua To Ye Namaz Ada hai Qaza Nahi,

🔶Magar Fajr Edain Juma Ki Namazo Me Agar Salam Se Pehle WAQT Nikal Gaya To Namaz Nahi Hui.. 

Dobara Padhni Hogi..

📗{Durre Mukhtar, Jild-2,page-627}

✅Mas'ala:

🔶Koi So Raha Hai Ya Namaz Padhna Bhool Gaya To Jise Maloom Ho Uspe Sote Ko Jagana Ya Bhule Ko Yaad Dilana Wajib Hai...

📗{RADDUL MOHTAR, Jild-2,Page-33}

✅Mas'ala:

🔷Qaza Namazo Ke Liye Koi WAQT Moayyan (fix) Nahi Umr Me Jab Bhi Padega Uske Zimme Se Ada Ho Jayegi,

Magar Suraj Nikalte Dubte Aur Zawal Ke WAQT Na padhe...

📕{Alamgiri, jild-1,page-121}

✅Mas'ala:

🔶Aisa Mareez Ki ishare Se Bhi Namaz Nahi Padh Sakta Agar Ye Halat 6 Namazo Tak Rahi To un Chhuti Hui Namazo ki uspe Qaza nahi...

📕{Alamgiri, Jild-1,page-121}

✅Mas'ala:

🔷Jo Namaze Jaisi Chuti Waisi hi Qaza Padhe....

Masalan Safar Me Namaz Qaza Hui 4 rakat wali ab Qaza 2 Hi Padhe Agarche Apne maqam par padhta ho,,,

🔶Agar AQAMAT (Apne maqam par) Me Namaz Chuti To Safar Me Jab Qaza Padhega To Puri 4 padhe...

📕{Alamgiri, Jild-1,page-121}

✅Mas'ala:

🔶Jiski Kai Kai Namaze Chuti Ho Wo Padhte WAQT Tarteeb ka khayal rakhe Yani jo namaz pehle hai use pehle padhe jaise fajr phir zohar & asar phir Magrib & isha phir witr...

🔷Ya 2 Ya 3 hi waqt ki namaz chuti ho Tab Bhi jo namaz pehle Hai use pehle padhe jaise magrib pehle isha Bad Me...

📕{Alamgiri, jild-1,page-121}

✅Mas'ala:

🔶Jiski isha Qaza Hui Wo Fajr Me Pehle isha padhe phir Fajr Agar khayal kiya ki waqt tang hai is liye pehle fajr padhu aur fajr padha magar waqte fajar Ab Bhi BAQI Hai To uski Fajr Ki Namaz Na Hui..

🔷Ab agar 2 Namazo Ki Gunjaish Hai To pehle isha padhe Phir Fajr,,, agar 1 ki hi hai To fajar phir padhe

📕{Alamgiri, jild-1,page-122}

✅Mas'ala:

🔷Juma ke Din Fajr Qaza Hui To pehle fajr Padhe Phir Juma Padhe Agarche Juma Ka KHUTBA Hota Ho...

📕{Alamgiri, jild-1,page-122}

✅Mas'ala:

🔷Kis Shakhs Ki 1 namaz Qaza hui Magar Nahi janta ki kaunsi Thi... 

To use 1 Din Ki sab namaze (5 waqt ki) Padhni Hai,,,

🔶Aur 2 din ki 2 namaze Qaza hui magar yad nahi kaun kaunsi thi To 2 din ki puri 5-5 Namaze Extra Padhen...

📕{Alamgiri, jild-1,page-707}

As Salato Was Salamo Alayka 

Har Fitne Ka Radd Farz e Azam Hai.
Shia Rafzi
Wahabi Deobandi
Qadyani Ahmedi
Ye Saare Aaj K Bade Fitne Hai.
Ahle Sunnat Wa Jamat Se Inka Kohi Talluk Nahi.
☪️☪️☪️

"ACHHAAYI KA HUKM DENA AUR BURAAYI SE ROKNA *WAJIB* HAI. IS PAR UMMAT KA IJMAA’ HAI."
--
Hadees-

"ALLAH TA’ALA SAB LOGON KO BAAZ LOGON KE AMAL KE SABAB AZAAB NAHI DETA MAGAR JAB KE WOH APNE DARMIYAAN BURE KAAM HOTE DEKHEIN AUR USEY ROKNE KI TAAQAT RAKHTE HUWE NA ROKEIN. AGAR UNHONE AISA KIYA TO KHUDA E TA’ALA AAM AUR KHAAS SAB KO AZAAB DEGA." 

(MISHKAAT SHAREEF, SAFHA 438)
☪️☪️☪️

Jitan Elm Hasil Karliya Unta Logo Ko Bhi Bato.

الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ