ZAQAT 

Maali FARZ Salana Ibadat (maali) Hai Jo Sahib E Nisab K Liye Hai. 
(Har Musalman K Liye Zaqat Farz Nahi, Iska ELM Hasil Karna Sab Pe FARZ Hai)

Allah ﷻ Quran E Majeed  Me irshad Farmata hai...


↪Al Qur'an '-

الذين ينفقون اموالهم باليل والنهار سرا و علانية فلهم اجرهم عند ربهم ج ولا خوف عليهم ولا هم يحزنون

(Paara-3, Ruku-6)

Tarjuma -
Wo Log jo Apne Maal ko Raat aur Din mey Chupey aur Aelaaniya Taur par Khairaat karte hey unke liye unka Sawab He unke Rab ke Paas unko Na Kuch Andesh ho na kuch Gam.

SHAN-E-NUZOOL :- 
Ye Aayat-e-Kareema Hazrat e Abu-Bakr Siddiq Radi Allahu Ta'ala Anho ke Haq Mey Nazil Hui jabke aap ne Raah-e-Khuda mey 40,000 Deenaar Kharch kiya tha.

10,000 Raat mey aur 10,000 Din mey aur 10,000 posheeda aur 10,000 Aelaaniya.

Maalum huwa k Chupey taur par aur Aelaaniya Raat aut Din mey Apne Maal ko Khairaat karne wale Aesi Izzat wale hey k Allah Ta"ala un par Khauf o Gam Nahi Taari Karega.

Al Qur'an :-

مثل الذين ينفقون اموالهم فى سبيل الله كمثل حبة انبتت سبع سنابل قى كل سنبلة مائة حبة ط والله يضعف لمن يشآء ط والله واسع عليم

(Paara-3,Ruku-4)

Tarjuma :-
Unki Misaal jo Apna Maal Allah ki Raah mey Kharch karte hey Us Daana ki Tarah he jisne Ugaaye 7 Baaley har Baal mey 100 Daane. Aur Allah us se bhi Zayaada Badhaata he jiske Liye Chahta he. Aur Allah Wus'at wala Ilm wala he.

Maalum Huwa k Allah ki Raah mey Kharch karna Khuwah Wajib ho jaese Zakat wa Sadqa-e-Fitr Wagairah Khuwah Nafl jese Kisi Talib-e-Ilm ko Kitab Khareed kar dena ya Shifa-khana wa saraaye bana dena ya Murdo ke Isaal-e-Sawab ke liye Teeja,Daswa,20wa,40wa ke Tareeqa par Gurba o Masaakeen ko Khana Khilaana har soorat mey Allah Ta'ala ke Us Karam Be-paaya ka Mustahiq he Jo Aayat-e-Kareema mey Mazkoor huwa is liye k Infaaq Fi Sabilillah Mutlaq he Lihaaza har Momin jo Khuloos ke sath Raah-e-Khuda mey Kharch kare wo us In'aam ka Zaroor Mustahiq hoga.

Al QURAN :

Jo Log Sona & Chandi Jama Karte Hain Unhe Dardnak Azab Ki Khushkhabri Suna Do, jis Din Jahannam Ki Aag Me Wo Tapaye Jayenge, aur unse Unki Peshaniyan Aur Karwaten Aur Peethe Dagi Jayengi Ye Woh Hai Jo Tum Ne Apne Nafs Ke Liye Jama Kiya Tha, To Ab Chakho Jo jama Karte The,

{PARA-10, SURE TAUBAH AYAT-35}

Apne Malo Ki Zakat Na Dene Walo Par Kis Tarah Ka Azab Hoga Huzoor Nabiye Akram صلى الله تعالى عليه وسلم Ka Irshad Suniye...

HADEES:
Jo Sone & Chandi Ka Malik Ho Aur uska HAQ Ada Na Kare To Jab Qayamat Ka Din Hoga uske liye Aag Ke pattar Banaye Jayenge...

Unpar Jahnnam Ki Aag Bhadkai Jayegi, aur unse uski karwat aur peshani aur peeth dagi jayengi, jab thande Hone Par Ayge Phir Waisa hi Kiya Jayega... 
Ye mamla us Din Ka Hai Jiske Eik Din Ki MIQDAR 50000 Saal Hai (Qayamat Ka Din) aur Oontun Ke Bare Me Farmaya Jayega jo uska HAQ Ada nahi Karta Qaymat Ke Din Use Eik Khule Maidan Me Litaya Jayega Aur Wo Oont mote Mote Hoke Aayge Aur use Pairon Se Kuchlege aur Danton Se Katege, jab Oonton Ki Jamat Khatm Hogi To Phir Gaye (cow) & Bakriyan aayengi aur Apne Seengon Se Maregi Aur Khuron Se Rondegi

{صحيح البخاري، كتاب الزكاة، باب زكاة البقر، جلد-1، صفحہ-492، الحديث 1460}

Hadees:
RASUL ALLAH صلى الله تعالى عليه وسلم Farmate Hain, Jo Qaum Zakat Ada Nahi Karti Wo Qahet Me Mubtela Hogi (tarah tarah ki bimariyan aasmani Afaten Khuskh saali wo deegar masayeb)

المعجم الأوسط، جلد-3، صفحہ276، الحديث-4577.

Hadees:
Hazrat Umar Farooq رضي الله تعالي عنه Se Riwayat Hai Huzoore Pak صلى الله تعالى عليه وسلم Ka Irshade Aali Hai, Jo Maal Kushki (zameen pe) aur Tari (Pani Me) Talf (barbad) Hota Hai Wo Zakat Na Dene Se Talf Hota Hai.

الترغيب والترهيب، كتاب الصدقات، الترهيب من منع الزكاة، جلد-1، صفحہ-308، الحديث-16.

Zakat Na Dene Ke Azabat Aur Zillaten Huzoor Nabiye Akram Noore Mujassam Fakhre Adam O Bani Adam صلى الله تعالى عليه وسلم Ke Irshadaat Ki Roshni Me.....

Hadees:
Faqeer Hargiz Nange Bhooke Hone Ki Takleef Na Othayege Magar Maal Daron Ke Hathon, To Aye Maldaro Sun Lo, Allah Tum Se Sakht Hisab Lega Aur Dardnak Azab Dega

الترغيب والترهيب، كتاب الصدقات، جلد-2، صفحہ-275، رقم الحدیث-5.

Hadees:
Dozakh Me Sab Se Pehle 3 Shakhs Jayenge Unme Ka Ek wo Maaldar Jisne Apne Maal Me Se Allah Ka HAQ Ada Nahi Kiya...

 صحیح ابن خزيمة، كتاب الزكاة، باب ذكر إدخال مانع الزكاة النار.....إلخ، جلد-4، صفحہ-8، الرقم الحديث-2249.

Hadees:
Sahi Sanad Se Ye Hadees Hazrat Abdullah Bin Masood رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Marwi Hai Farmate Hain, Hame Hukm hua Namaz Padhe Zakat Den,Jisne Zakat Na Dee uski Namaz Qubool Nahi....

المعجم الكبير، جلد-10، صفحہ-103، الرقم الحديث-10095.

Hadees:

Hazrat ALQUMA Kehte Hain Huzoor ﷺ Ne Farmaya Tumhare Islam Ka Pura Hona Ye Hai ki Apne Malon Ki Zakat Do...

مجمع الزوائد، كتاب الزكاة، باب فرض الزكاة، جلد-3، صفحہ-198، الرقم الحديث-4326.

Hadees:
Hazrat Abdullah Ibne Umar رضي الله عتهما Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Jo Allah O Rasool Pe imam Laya,  Wo Apne Maal Ki Zakat Ada kare,Jo Allah O Rasool Pe iman Laya Wo HAQ Bole Ya Chup Rahe Lekin Buri Baat (Gali/Galoch/jhagda) Zaban Se Na Nikale,  Jo Allah O Rasool Pe iman Laya Wo apne Mehman Ki Izzat Kare...

المعجم الكبير، جلد-12، صفحہ-324، الرقم الحديث-13561.

Mas'ala Zakaat Wajib hone k lie Chand Sharte Hai .

01 Musalman Hona
02 Baligh Hona
03 Aaqil Hona
04 Aazad Hona
05 Maalike Nisaab Hona
06 Pure Taur Par Maalik Hona
07 Nisaab Ka Deen Se Farig Hona
08 Nisaab Ka Haajate Isliya Se Farig Hona
09 Maal Ka Naami Hona
10 Ek Saal Guzarna


Mas'ala:- Zakat Farz Hai Uska Munkir Kafir Aur Na Dene Wala Fasiq Aur Qatl ka  Mustahaq- Aur Adaa Karne Me Der Karne Wala Gunahgar Wa Mardood Ashhadah..

(Aalamgiri Wa Bahar)

Zakat Shariat Us Ko Kehte Hai k ALLAH Ke lie Maal Ke Ek Hissa ka Jo Shar'a Ne Muqarrar kiya hai Musalman Faqeer Ko Malik Bana de 
*Mas'ala*:- Mubah Kar Dene se Zakat Ada na hogi Maslan Faqeer Ko Zakat Ki Niyat Se Khana Khila Diya to Zakat Ada Na Hogi Islie k Ye Maalik Kar dena Na Hua Ha Agar Khana De de k chahe khae ya le jae to Ada Ho gai Yu Hi Zakaat Ki Niyat Se Kapda de diya to Ada Ho Gai..
(Durre Mukhtar)

Mas'ala:- Maalik Karne Me Ye Bhi Zaruri Hai k Aise ko Zakaat de Jo Qabza karna Janta Ho Yaani Aisa Na ho Jo Phenk de Ya Dhoka khae Nahi To Ada Na hogi Jaise Chote Bachche Ya Pagal Ko Zakaat dene se Ada Na hogi Jis Bachche Ko Itni Aql Na ho to Us Ki taraf Se Uska Baap Jo Faqeer ho Woh Qabza kare ya us Bacche ka Wasi Ya Woh k Ye Bachcha Jis ki Nigrani Me hai Woh Qabza Kare.
(Durre Mukhtar, RadalMuhtar, Bahar)*_

(Qanoon-E-Shariat, Part:- 01 Page No:- 145) .

Zakat ke masarif  Saat ( 7 ) hai.

(1) Faqeer 
(2) Miskeen
(3) Aamil
(4) Riqaab
(5) Gaarim
(6) Fee Sabilillah
(7) Ibne Sabeel

01:- Faqeer wo shakhs hai jiske paas kuch ho magr na itna ke nisaab ko puhuch jaaye yaa nisaab ki qadr ho to uski haajate asliya me mustagraq ho , maslan rehne ka makan pehenne ke kapde khidmat keliye londi gulam, ilmi shugl rakhne wale ko deeni kitabe jo uski zaroorat se zada na ho jiska bayan guzra. Yonhi  agr madyon hai aur dain nikalne ke baad nisaab baqi na rahe, to Faqeer hai agrche uske paas 1 to kyaa kai nisaabe ho.

02 :- Miskeen wo hai jiske pas kuch na ho yaha tak ke khane aur badan chupane keliye iska muhtaj hai ke logo se sawal kare aur ise Sawal halal hai, faqeer ko sawal najaez ke jiske pas khane aur badan chupane ko ho use bager zaroorat wo majboori sawal haram hai (Aalamgiri)

03 :- masla: Aamil wo hai jise badshahe Islam ne zakat aur ushr wasool karne keliye muqarrar kiya, use kaam ke lihaaz se itna diya jaaye ke usko aur uske madadgaro ka mutawassit tor pr kaafi ho, magr itna na diya jaaye ke jo wasool kar laya hai uske nisf se zada hojae..

04:- Riqaab se murad makatib gulam ko dena ke is maale zakat se badale kitabat ada kare aur gulami se apni gardan riha kare

05:-  Gaarim se murad madyon hai yani uspr itna dayn ho ke use nikalne ke bad nisaab baqi na rahe agrche uska auro pr baqi ho magr lene pr qaadir na ho, magr shart ye hai ke madyon hashmi na ho.
masla:Fee sabilillah yani raahe khuda me kharch karna uski chand soorte hai, maslan koi shakhs mohtaj hai ke jihad me jana chahta hai, sawari aur zaade raah uske pas nahi, to use maale zakat de sakte hai ke he raahe khuda me dena hai agrche wo kamane pr qadir ho. Yaa koi haj ko jana chahta hai aur uske pas mal nahi usko zakat de sakte hai, magr use haj keliye sawal karna jayz nahi. 
Yaa taalibe ilm ke ilme deen padhna yaa padhana chahta hai use de sakte hai ke ye bhi raahe khuda me dena hai balke taalibe ilm sawal karke bhi maale zakat lesakta hai, jabke usne apne Aap ko usi kaam keliye faarig kar Rakha ho agrche kasb pr qaadir ho. Yonhi har neyk baat me zakat sarf karna fee sabilillah hai, jabke batore tamleek ho ke bager tamleek zakat ada nahi hosakti ( Durre mukhtar wagera)

06 :- Masla: buhut se log maale zakat islami madaris me bhej dete hai unko chahiye ke mutawalli madrase ko itla de ke ye maale zakat hai taake mutawalli us maal ko juda rakhe aur maal me na milae aur gareeb talba pr sarf kare, kisi kaam ki ujrat me na de warna zakat ada na hogi.

07 :-MASLA: Ibne sabeel yani musafir jiske pas maal na raha zakat le sakta hai,  agrche uske ghr maal maojood ho magr usi qadr le jisse hajat poori hojae zada ki ijazat nahi.

ZAQAT SE MUTALIQ ZARURI SAWAL JAWAB

Q.1 Zakat ke Laghui Ma'ni Btaiye
Jawab: Paaki aur Badhotri ke hai

Q.2 Zakat ki Sha'rai Tareef kijye
Jawab: Maal Makhsoos ka Makhsoos Sharait ke sath kisi Mushtahiq Zakat ko Malik banana.

Q.3 Kitna sona ho to Zakat Farz hoti hai?
Jawab: Sade Sat Tola ya is se ziyada ho

Q.4 Kitni chandi ho to Zakat Farz hoti hai?
Jawab: Sade bawan Tola ya is se Ziyada ho

Q.5 Kitna Rupaye Ho to Zakat Farz hoti hai?
Jawab: Iski Maliyat Sade bawan Tola Chandi ke bara-bar ho..

Q.6 Kitna Male Tijarat ho to Zakat Farz hoti hai ?
Jawab: Iski Maliyat Sade bawan Tola chandi ke bara bar ho..

Q.7 Agr kuch sona hai, Kuch chandi hai, Ya kuch sona hai, Kuch Nagat Rupaye hai, Ya kuch chandi hai, Kuch Maale Tijarat hai, Inko mila kar Dekha jaye To Sadhe bawan Tola chandi ki Maliyat banti hai is Surat me Zakat Farz hai ya nhi ?
Jawab: Farz hai

Q.8 Charne wale Maveshiyi par bhi Zakat Farz hai ya nhi ?
Jawab: Farz hai

Q.9 Ashri Zamin ki Payda-waar par bhi Zakat Farz hai ya nhi ?

Jawab: Farz hai

Q.10 Ek sahab Nasab shaks ko Darmiyan sawal me 35 hazar ki Aamdani hui, To ye 35 hazar bhi Amwale Zakat me Shamil kiye jaye ge ya nhi? 
Jawab: Shamil kiye jaye ge..

Q.11 Sanatkaar ke paas do kism ka Maal hota hai, Ek kham maal, Jo chizo ki Taiyari me Kam Aata hai, Aur Dusra Taiyar shuda Maal, In dono kism ke Malo par Zakat Farz hai ya nhi ?
Jawab: Farz hai

Q.12 Mashinari aur Deegar wo chize Jin ke Zariye Maal Taiyar kiya jata hai,in par Zakat Farz hai ya nhi ?
Jawab: Farz hai

Q.13 Istahe-Mal wale Zewrat par Zakat hai ya nhi ?
Jawab: Zakat hai

Q.14 Zakat Angrezi Mahino ke hisab se Nikali Jayegi ya Hijri (kamri) mahino ke Hisab se Nikali jayegi ?
Jawab: Kamri Mahino ke hisab se Nikali jayegi

Q.15 Flat agar is Niyat se liya gaya tha ke is ko Farokht karenge is par Zakat wajib hogi ya nhi ?
Jawab: Wajib hogi-

Q.16 Flat kharidte waqt To Farokhat karne ki Niyat nhi thi, Lekin Baad me Farokht krne ka Irada ho gaya To is Par Zakat Wajib hai ya nhi ?
Jawab: Jab Farokht kardiya jaye Aur Rakam par Ek saal guzar jaye Tab Zakat Farz hai- Agr Phle se Sahibe Nisab hai To ye Rakam Nisab me mil Jaye gi

Q.17 Jo Flat Rehaish Makan ke liye kharida Gaya ho Us Par Zakaat Hai Ya Nahi ?
Jawab: Nahi

Q.18 Agar flato  ki Kharid Wa Farokht ka Karobaar kiya jaye aur Farokht krne ki Niyat se flat Kharida jaye To Zakat kis Tarha Ada ki Jaye gi?
Jawab: Inki kul Maliyat par Zakat Her saal wajib hogi..

Q.19 Jo Makan Kiraye Par diya hai, Uski Zakat ka kya Hukm hai ?
Jawab: Uske Kiraye par Jabke Nisab ko Pahuche To Zakat wajib hogi..

Q.20 Haj ke liye Rakhi hui Rakm par Zakat hai ya nhi ?
Jawab: Zakat wajib hai-

Q.21: kisi ko hum Zakat de aur usko batayen nhi to Zakat adaa ho jayegi ya nhi? 
Jawab: Adaa ho jayegi.

Q.22: Mulazim Ne izaa'fi tankhuwah ka mutal'baa kiya to malik Ne Zakat ki niyat se izafaa kr diya, kya Uski Zakat adaa hui ya nhi?
Jawa: Zakat adaa nhi hui.

Q.23: kya income tax adaa krne se Zakat adaa ho jati h?
Jawab: Zakat adaa nhi hoti.

Q.24: Apne maa baap, aur apni aulaad, usi tarha  shohar biwi ek dusre ko Zakat de skte h ya nhi?
Jawab: Nhi.

Q.25: jo log khud sahibe Nisaab ho unko Zakat dena jayiz h ya nhi?
Jawab: Nhi.

Q.26: AanHazrat Sallalahu Alaihi wasallam k khandaan  (Hashmi Hazraat) ko Zakat de skte h ya nhi?
Ans :- Nhi.

Q.27: Apne bhai, behan, chacha, bhateeja, mamu, bhanje, ko Zakat dena jaez h ya nhi? 
Ans :- jaez h agr mustahaq hai.

Q.28:-AanHazrat Sallalahu Alaihi wasallam k khandaan Yani : Aale  Ali, Aale Aqeel, Aale jaa'far,Aale Abbas, Aale Haris bin Abdul Muttalib, in paanch buzurgon ki nasal se ho to usko Zakat di ja skti h ya nhi?
Ans :- Nhi.

Q.29:- Agr sayyed ghareeb aur zarurat mand ho to unki khidmat kese krni chahiye? 
Ans :- Zakat o sadqaat k alawa dusre fund se.

Q.30:- Sadaat ki Zakat q ni di jati?                          
Ans :- Zakat logo k maaal ka mail h.

Q.31:- Sayyed ki ghair sayyed biwi jo Zakat ki mustahaq ho Zakat di ja skti hai ya nhi? 
Ans:- Usko Zakat de skte hai.

Q.32:- Maaldaar biwi ka Ghareeb Shauhar Biwi k alawa dusro se Zakat le skta  ya nhi?
Ans :-  Le skta hai

Q.33:- Ghair Muslim ko Nafli Sadqa de Sakte h , kya wo Zakat aur Sadqa Fitre k bhi Mustahaq hai?
Ans :- Nhi.

Q.34:- Madaris Arbiya  me Zakat dena Jaez hai ya Nahi? 
Ans :-  Behter hai bewajah Deen ki Asha'at ke.

Q.35:- Sahibe Nisaab log bhi khud ko Miskeen Zahir karke Zakat hasil kr lete h, iskaaa kya Hukum h? 
Ans :- Unko Zakat lena Haram hai.

Q.36:-Chand Wusool Karne wale ko Zakat se Muqarrar hissa dena Jaez hai ya Nahi?
Ans :- Jaez Nahi.

Q.37:- Zameen Barish k Pani se Sairaab hoti hai To Paidawaar Uthne k waqt uss pr kitna hissa Allah Tala ke Raste me dena  Wajib hai? 
Ans :- Daswan(10) hissa.

Q.38:-Agr Zameen ko  khud Sairaab kiya jata h to Uski Paidawaar ka kitna Hissa Sadqa krna Wajib hai?
Ans :- Beeswan(20) Hissa.

Q.39:- Ek Mulk ki Currency se Zakat adaa kar k dusre Mulk bheja jaye Zakat ki adaayegi ka Aitbaar kis Mulk ki Currency ka hoga?
Ans :- Jis Mulk ki Currency se Zakat adaa ki gayi.

Q.40:- Rihaishi ghar, Jism k kapde, Ghar k samaan, Sawari mai Zakat farz hai ya Nahi? 
Ans :- Nahi.

Q.41:- Jawahir jese moti, Yaqoot pr Zakat farz h ya nhi jab k wo tijarat k liyen na ho?
Ans :- Nhi.

Q.42:- Zakat ki adaayegi kb wajib hogi? 
Ans :- Nisaab pr Qumri saal ka guzarna Shart h.

Q.43:- Agr saal k shuru mai Nisaab Qamil ho, phir saal k darmiyaan  kam ho jaye Lekin Nisaab se kam na ho phir saal k aakhir m Nisaab  Qamil ho jaye to Zakat wajib hogi ya nhi? 
Ans :- wajib hogi.

Q.44:- ek Shakhs  shuru saal malik Nisaab ho gya, darmiyaan saal mai us maal mai aur izafaa ho gya, izafaa tijarat se hua ya kisi ne tohfaa diya ya viraas ka maal mila ho, barahaal izafaa ho gya, ab poore maal pr Zakat wajib hogi ya shuru saal k maaal pr?
Ans :- poore maal pr wajib hogi.

Q.45:- jo Shakhas Apne Tamaam maal ko sadqa kr de aur Usme Zakat ki niyat na kre to isse Zakat saqit ho jayegi ya nhi? 
Ans :- Saqit ho jayegi.

Q.46:- Agr koi Shakhs ka faqeer k pass qarz ho Aur Woh Zakat ki niyat se uske zimme ko bari karde to Zakat ki adaayegi sahi hogi ya nhi? 
Ans :- Adaayegi sahi nhi hogi.

Q.47:- Sona chaandi ki Zakat  mai sona sona aur chaandi ka tukda wazan se nikale ya qeemat adaa kren? 
Ans :- ikhtiyaar hai.

Q.48:- Masarif Zakat mai faqeer kise kehte h?
Ans :- wo Shakhs hota h Jo Nisaab m kam ka malik hota h.

Q.49:- Masarif Zakat m  miskeen kisse kehte hai
Ans :- jo bilkul kisi chiz ka malik na ho.

Q.50:- Masarif Zakat m aamil kisse kehte h ?
Ans :- wo Shakhs hota h Jo Zakat aur Ashar  ko ikhatta krta hai aur islaami Hukumat  ki taraf se muqarrar kar dah hota hai.

Q.51 Masarife Zakat me  Makrooz kise kahte hai ?
Jawab: Ye wo Shaks hai Jis Ke Zimme Qarz ho, Apne Qarz ki Adayegi ke baad Nisaab kamil ka Maal na Rah jata ho- Tijarti Qarz ka Mas'ala Alag hai

Q.52 Masarife Zakat me Musafir se kya Muraad hai?
Jawab: Jis ka Apne Watan me Maal ho, Lekin Uska Maal Safar me khatm ho chuka ho aur Mangwane ka koi Zariya bhi na ho

Q.53 Musafir par Zakat ki kitni Raqam Kharch krna Durust hai ?
Jawab: Itni Miqdaar Sarf ki Jaegi ke wo Apne Watan Pahonch sake-

Q.54 Zakat ki Tamam Kismo par Zakat Sarf krna Jaez hai ya kisi Ek Qism par Sarf karna Jaez hai ? 
Jawab: Dono Jaez hai

Q.55 Kafir ko Zakat Dena Jaez hai ya Nahi ?
Jawab: Jaez nhi

Q.56 Maal-dar ko Zakat dena Jaez hai ya Nahi ?
Jawab: Jaez nhi

Q.57 Maaldaar Bachche par Zakat Sarf krna Jaez hai ya nhi ?
Jawab: Jaez Nahi

Q.58 Bani-Hashim aur Unke Gulamo par Zakat Sarf krna Jaez hai ya Nahi?
Jawab: Jaez Nahi

Q.59 Malike Nisab ka Zakat ko Apne Usool par Jese Baap, Dada, Upar tak Sarf krna Jaez hai ya Nahi ?
Jawab: Jaez Nahi

Q.60 Malike Nisab ke Apne Firoo par Jese, Beta, Pota, Niche Tak Zakat ko Sarf karna Jaez hai ya Nahi ?
Jawab: Jaez Nahi

Q.61 Malik Nisab Biwi Shohar par aur Malik Nisab Shohar apni Biwi par Zakat sarf kar sakta hai ya nhi ? 
Jawab: Jaez nhi

Q.67 Masjid ya Madarsa ki Tameer ya rasta ya pal ke Duroost krne me Zakat sarf krna Jaez hai ya nhi?
Jawab: Jaez nhi

Q.63 Maiyat ko kafnane ya Maiyat ke Farz ko Pura krne me Zakat sarf krna Jaez hai ya nhi ?
Jawab: Jaez nhi

Q.64 Zakat ki Adayegi Bagaer Tamlik (Malik bnana) ke Sahi hoti hai ya nhi ?
Jawab: Nhin

Q.65 Zakat Rishte daro par Padosiyo par sarf krna Jaez hai ya nhi
Jawab: Bahtar hai

Q.66 Mukamal Nisab ke Bakadr Zakat Ek shaks ko deba Durust hai ya nhi ?
Jawab: Makru-Wa-Tanzihi hai

Q.67 Makruz par is ke Karze ki Adayegi ke-liye Nisab se Ziyada sarf krna Makru hai ya nhi ?
Jawab: Makru nhi

Q.68 Bager Zarurat ke Ek Jaga se dusri Jagah Zakat ko Muntakil krna kesa hai ?
Jawab: Makru Tanzihi hai

Q.69 Apne Rishte-daro ke liye Zakat ka Muntakil krna kesa hai ?
Jawab: Makru nhi hai 

Q.70 Masjid ya Madrse ki Tameer ya Raste ya pul ke durust krne me zakat sarf krna Jaez hai ya nhi ?
Jawab: Jaez nhi

Q.71 Ek Shaksh Jo Zakaat Ka Mustahak nhi, Lekin wo doctor banna chahta hai, Kya Usko Zakaat Di Ja Sakti Hai?..l
Jawab:- Sadka e  Nafila Se Uski Madad Ki Ja Sakti Hai

72 Sawal:-AGAR Zakaat Kisi Gareeb Gair Muslim Ko De di Jaie To Ada Ho Jaigi Ya Nhi?...
JAWAB:-Zakat Ada Na Hogi....

73 Sawal:-Kya Apne Mustahak Zakat Bhai Ko Zakaat Ki Di Ja Sakti Hai?....
Jawab:- Di Ja Sakti Hai....

74 Sawal :-Kya Mustahak Zakat. Chahere, mamere, khalere, Bhai Ko Ya Apne Bhatije Ko Zakaat De Sakte Hai?....
Jawab:- De Sakte Hai.

75 Sawal :-Kya Madarsa Ke Mahatmam Ya Nazim Ko JO Taiba Ki Wakail Hote Hain Zakat Di Ja Sakti Hai?....
Jawab:- Di Ja Sakti Hai Balke Afzal Hai....

76 Sawal:-Zakat Ki Adaidgi Ke Lene Sone Ki Ki mat Farwakhat Ka Aaitbaar Ho ga Ya kimat khareed Ka??....
Jawab:-Kimat Farwakhat.

77 Sawal :-Sone Pr Zakaat Moujada Kimat Ke Hisaab Se Hogi Ya Kharedne Ke Waqt Ke Kimat Ke Hisaab Se Hogi?...
Jawab :-Moujada Kimat Ka Aaitbaar Hoga..

78 Sawal :- Kya Zakat Mustahak Apne Bhanje Ki Taaleem Pr Kharch Kr sakte Hain?..
Jawab :- Haan'us Ko De Di Jaie Take Wo Maaliki Ban Jaie...

79 Sawal :- Kya Naabalig Beta Ya Beti Ke Maal pr bhi Zakaat dena Farz Hai?.
Jawab :- Nahi. ....

80 Sawal :- Kya Nafli Sadka Ka goasht Sadka Karne Wala bhi khud ISTEMAL kr Sakta Hai?...
Jawab :- Kar Sakta Hai. ..

81SAWAL :- Kya Larki Zakat Ki Rakam Apne Walidain Ko De Sakti Hai?..
Jawab :- Nhi.....

82 Sawal :- Sadk e  wajiba Hisse Nazar Wagerah Ka goasht kya Sadka dene Wala khud kha Sakta Hai??...
Jawab :-  Nahi......

Q 83 Biwi apne showhar ko Zakat NAHI de sakti magar baaz sirton mein Heela a Sharai k Zarye Biwi Apne Showhar ko Bhi Zakat De sakti Hai (iska provision shariat mein hai). Jaise CRISIS Ho, Zayada Gair Sudi Qarz Ho Wagaira.


Heela e Sharai Matlab 

1. BIWI PEHLE ZAKAT KISI MUSTAHIQ KO DEY (Zakat Ki Niyat Se)

2. Phir Wo Mustahiq Wo Raqam (Ya Puri, Ya Zyada, Ya Thoda Kum) Showhar Ko HADIYA Kar dey.

Q. 84 Sasur Ka Damad Ko Zakat Dena JAYEZ Hai (Agar Mustahiq Ho)

Q. 85 Bivi Zakat Deti Hai Aur Showhar K Pass Nisab Ki Raqam Nahi Toh Wo (showhar) Kisi Aur Se Bhi ZAKAT Le Sakta Hai.

Usme (84 aur 85) Se Wo Biwi Par Bhi Kharch Kare Toh Kabahat Nahi. Ye Bigair Heela E Sharai k Bhi Ho Sakta Hai.

Q.86 QARZ Par Diye Hua Maal Ki Zakat K Masail.

(Jiska Pata Nahi Ki Kab Wapas Milega)

A. Qarz Par Diya Hua Maal Ka Asal Malik Dene Wala Hota Hai Lihaza Iski ZAKAT Dene Wale Par FARZ Hai.

Iski Zakat Ada Karne Ki 2 Surat Hai

1. Jab Qarz Par Diya Hua Maal Ka 20% Wapas Aajaye Tab Jitne Saal Guzre Utne Ki Zakat Ada Kare. Agar Ye Bhari Pade Toh

2. Har Saal Nikalta Rahe 

B. Agar Qarzdaar Maal Dene Se Inkar Karde Aur Isko Wasul Karne Ka Kohi Sabut aur Gawah Nahi Tab Ispar ZAKAT Farz Nahi Hogi.

(Duba Hua Paisa "Bad Debt")

In Tamam Muqadsas irshadat Ko Padhne Ke Bad Bhi Koi Kam Naseeb Zakat Ki Ahmiyat Ko Na Samjhe Aur Apne Maal Ko Burai Se Azab Se Pak Na Kare To Us Badbakht Ka Kya ilaj ?

Kis Qadar Afsos Ka MAQAM Hai Ki Is pak Mahine Me Kitne Musalman Aise Hain jinke Ghar Chulha Nahi jalta Aur Koi To Wo Hai Jiske Pas Rakhne Ki Jagah Nahi Magar use YE TAUFEEQ Nahi ki un Garibon Nadaron Mufliso Ki Khabar Le.....

Allah Hum Sabko Hidayat Naseeb Kare..

آمِيّنْ آمِيّنْ آمِّيْنَ يَا رَبَّ الْعَالَمِيْنَ


Masla

☪️☪️☪️

Q. Agar Kohi Khoob Sadqa o Khairat (donation & charity) Karta Hai Magar Gunah Se Nahi Bachta aur Farz Wajib (Namaz Roza Wagira) NAHI karta toh uska kia hoga?

A. Sadqa o Khairat Jo Farz o Wajib Hai (zakat fitra qurbani wagaira) Uska Sawab Zyada Milega Aur Jo NAFL Hai (jaise khairat) Uska Kum Magar SAWAB Milega.

Raha Sawal Akhirat Mein Kia Hoga Toh Uske Bure Aamal Ek Azdaha Saanp Ki Tarha Hai aur Neki Khargosh Ki Tarha,

Khargosh Ko Azdaha NIGAL Jayega.

Alhirat K Wabal Se Bachne K Liye Kafi Nahi Hoga.

Akhirat K Wabal Se Bachne K Liye GUNAH Tark Karna Zaruri Hai.

As Salato Was Salamo Alayka 


Har Fitne Ka Radd Farz e Azam Hai.
Shia Rafzi
Wahabi Deobandi
Qadyani Ahmedi
Ye Saare Aaj K Bade Fitne Hai.
Ahle Sunnat Wa Jamat Se Inka Kohi Talluk Nahi.
الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ