Sunni Ahle Bait aur Panj Tan 55
Ahle Sunnat Wa Jamat Mein Ahle Bait aur Panj Tan Pak Ka Khaas Maqam o Martaba H, Inko Sirf SHIA Nahi Mante Balki Asl Ye Hai Ki Panj Tan aur Ahle Bait Sunniyon K Hi Hai.
Haan Ahle Bait Ki Tarif (defination) Sunniyon Ka Alag Hai Aur Shiyon Ka Alag. Panj Tan Pak Mein Ikhtilaf Nahi Hai.
1. PANJ TAN
“Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Sayyadain Hasnain (Imam Hasan aur Hussain) Ka Haath Pakad Kar Irshad Faramaya Jis Shaks ne Mujhse Muhabbat Rakhi Jis Shaks Ne In Dono se Muhabbat Rakhi Aur Jisne Inki WALIDA (HAZRAT FATIMA) aur Inke Walid Se Muhabbat Rakhi Woh Mere Saath Jannat Me Hoga”
References :
(Imam Ahmad Ibn Hambal ne Al Musnad, Vol :01, Pg : 412 - 13, Hadees :576)
(Imam Haytami Al-Sawa'iq al-Muhriqah Pg : 103)
Musnad Ahmad
1. Huzur Muhammad Mustafa Sal Lallahu Alayhi Wa Sallam
2. Maula Ali R.A
3. Imam Hasan R.A
4. Imam Husain R.A
5. Bibi Fatima Zehra R.A
Ye Panj Tan Pak Hai. Inki Naam Ki Fatiha Karke Inke Wasile Se Dua Karo Toh Har Mushkil Se Mushkil Kaam Aasan Hojata Hai. Lakhon Musalmano Ne Ye Azmaya Hai.
===
2. Ahle Bait
Bait Matlab Ghar Ahle Bait Matlab Huzur K Gharwale, Inka Zikr Aksar Quran o Hadees Mein Aata Hai.
Aur Jo Imam Hasan O Husain R.A Ki Nasl Hai Unko Ahle Bait e ATHAR aur SAYYED Bhi Kehte Hai.
MAULA ALI R.A inki aulad nahi hai isliye SAYYED Nahi Hai, Ahle Bait Hai.
Sayyed Wo Jo Hazrat Sayyeda Fatima Zehra R.A Ki Aulad (Hasnain) Ki Nasl Se Ho. (Maula Inki Nasl Nahi)
Huzoor (SAWS) ki Ahle Bait kaun hai muqtasar
Huzoor (SAWS) ki Ahle Bait yani Aapki Aulaad aur Azwaaj e Mutahharaat (Pak Bibiyaan) jo tamaam mominoo ki maayein hai. Sab ke sab qabil e ahteraam aur layak e tazeem. Aulaad mein sabse bada rutba... Hazrat e Fatima tuz Zahra (Raziyallahu ta’ala anha) ki hai aur Bibiyoon mein Hazrat Khadijatul Qubra, Hazrat Ayesha Siddiqa (Raziyallahu anhuma) ka hai. Hazrat Imam Hasan (RZ) wa Hazrat Imam Husain (RZ) Huzoor ke maqbool nawase aur jawanaan jannat ke sardaar hai. Hazrat Fatima tuz Zahra (RZ) Jannati auratoon ki sardaar hai. Har Musalman ko chahiye ke tamaam sahaba aur Ahle bait (RZ) se dili mohabbat aur neik gumaan rakhe. Jab inka naam le to “Raziyallahu anhu ya anha” kahe, garz dil aur zuban har tarha se inki tazeem baja laye. Inse badhgumani rakhna ya inki shaan me be-adbi karna bahut bada gunah hai balke khauf e kufr hai.
Huzur Ki Biviyan Jo Mominon Ki Maan Hai Ye Sab Bhi Ahle Bait Hai -
Ahle Bait Mein Hazrat Ameer Hamza R.A aur Hazrat Abbas R.A Jo Huzur K Chacha Hai Wo Bhi Shamil Hai.
Sab 11 se 13 Biviyan Bhi Shamil Hai. Saari Auladen Jo Hui aur Parda Farma Gayi Bhi Shamil Hai.
Ramla Bint Abi Sufyan Ka Dusra Naam Umme Habiba Bhi Hai. Jo Muavia R.A Ki Behan aur Yazeed Paleed Ki Fupi Hai. Ye Hai Complication Jisse Aawam GUMRAH Hoti Hai.
===
Iske Ilawa Kuch Aur Baatein Jaana Behtar Hoga -
Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Apni Aulado Ko Teen Baatein Sikhao
i) Apne Nabi Ki Ulfat Wa Muhabbat
ii) Ahle Bait E Athar ki Ulfat Wa Muhabbat
iii)Quran E Karim Ki Qiraat
References :
(Al Jaame Ul Kabeer Vol : 01, Hadees : 924)
(Jaame Ul Ahadees Vol : 01, Hadees : 961)
(Imam Hussamul Hindi Kanjul Ummat Vol : 12, Pg : 560, Hadees :45409)
(Al Fath Ul Kabeer Vol : 01, Pg : 59)
(As Sawaiqe Muharika Pg : 577)
Hazrat Abdullah ibn Abbas Radi Allaho Anho Se Rivayat Hai Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya
أَحِبُّوا اللَّهَ لِمَا يَغْذُوكُمْ مِنْ نِعَمِهِ وَأَحِبُّونِي بِحُبِّ اللَّهِ وَأَحِبُّوا أَهْلَ بَيْتِي لِحُبِّي
Tum Allah Se Uski Naemato ki Wajah Se Muhabbat kiya karo Jo usne Tum Par Ki Hai, Mujhse Muhabbat Rakho ALLAH ki Muhabbat ki wajah Se aur Mere Ahle Bait Se Muhabbat Rakho Meri Muhabbat Ki Wajah Se”
References :
(Jamai Tirmizi, Vol :06, Pg :437, Kitabul Manakib, Hadees : 3789)
(Mishkaat Ul Masabeeh, Vol : 2, Pg : 573)
"Huzoor Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Mai Tumhare Darmiyan Do Chiz Chodta Hoon Jab Tak Inhe Na Chodoge Hargiz Gumraah Na Honge Ek Kitabullah Ek Meri Aal”
References :
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 04, Pg : 72, Kitab Marifat E Sahaba, Hadees : 4634)
(Imam As Sawaiqe Muharika Pg :145-146)
Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ko Farmate Huwe Suna AYE LOGO MAINE TUM ME WO CHEEZ CHODI HAI KI JAB TAK TUM UNKO THAME RAHOGE GUMRAAH NAA HOGE ALLAH KI KITAB AUR MERI ITRAT YAANI AHLE BAIT”
References :
(Jamai Tirmizi Vol :06, Pg : 435,Kitabul Manakib,Hadees : 3786)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Awsat Vol : 05, Pg : 89, Hadees : 4757)
(Imam Tabrani Al Mujam Ul Kabir Vol : 03, Pg :66, Hadees : 2680)
(Ibn Kathir Tafseer Ibn Kathir Vol : 04, Pg : 114)
“Nabi E Karim صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Meri Ahle Bait Ki Misaal Kashti E Nooh Ki Tarah Hai, Jo Isme Sawar Hogaya Usne Nazaat Paayi Aur Jisne Isse Mukhalifat Ki Wo Ghark Hogaya”
(Imam Hakim Al Mustadraq Vol : 02, Pg : 406, Hadees : 3370)
Imam Hakim Farmate Hai Ye Hadees Imam Muslim ki shart pe Sahi Hai
12 Imam
PanjTan
Ahle Bait
Ye Sab SUNNI Hai.
12 IMAM
(Ye Sab Sunniyon K Imam aur Ahle Bait Hai)
Isme Se Kohi Bhi Shia Nahi Isme Se Kohi Bi Tabarra Nahi Kiya Isme Se Kohi Bhi Maula Ali R.A Ko KHUDA Nahi Manta Kohi Bhi Matam Nahi Kia Kisi Ne Bhi Mutta Nikah Nahi Kia.
Sab Sunniyon K BADE Buzurg Hai.
1 Imam Ali R.A
2 Imam Hasan R.A
3 Imam Hussain R.A
4 Imam Zain-ul Abideen R.A
5 Imam Mohammad Bakr R.A
6 Imam Jaffer-e- Sadiq R.A
(15 se 22 Rajjab Kunde Ki Niyaz Inke Naam Se Hoti Hai)
7 Imam Musa-e-Qazim R.A
8 Imam Ali Raza R.A
9 Imam Mohammad Taqi R.A
10 Imam Ali -un Naqi R.A
11 Imam Hasan Askari R.A
12 Imam Mohammad Mehdi (Jo Isa A.S K Saath Akhri Waqt Mein Ayenge)
Shia Toh In Naamon Par Sirf FITNA Karte Hai aur Sahaba Ko Gaali Dene Ka Bahana Banate Hai. Public ko CONFUSE Karte Hai.
Ab Padho Shia Kis Kis Sahabi Ko Gali Dete Hai, Jisko Wo SAWAB Samajhte Hai Aur TABARRA Kehte Hai -
1. Abu Sufyan R.A
2. Ameer Muavia R.A
3. Abu Bakr R.A
4. Umar Faruq R.A
5. Usman Gani R.A
Huzur Ki 3 Biviyan
6. Hazrat Aisha R.A
(Ye Abu Bakr R.A Ki Beti Hai)
7. Hazrat Umme Habiba R.A (Ye Ameer Muawia R.A Ki Behan Hai)
8. Hazrat Hafsa R.A (Ye Hazrat Umar Faruq R.A Ki Behan Hai)
6 7 8 Umm ul Monineen (Momino Ko Maan Hai) aur Ahle Bait Hai. Shia Inko AHLE BAIT Hi Nahi Mante.
==
Shiyon Ka Harba
(Sunniyon Ko Date Mein Confuse Karna)
18 Zil Hajj
Shahadat Hazrat Usman Gani R.A
Isme Khushi Manate Hai
EID E GHADEER Nikale Hai.
Eid e Gadir Agar Hazrat Usman Gani R.A K BUGZ Mein Karega Toh JAHANNAM Pakki.
Waise Hi
22 Rajjab
Wisal Hazrat Ameer Muavia R.A
Isme Imam Jafer Sadiq R.A Ki Niyaz Rakh Diye
Jab K 15 Rajjab Ko IMAM Ki Wisal Hui.
Ye BUGZ E MUAVIA Bhi JAHANNAM Le Jayega.
Jo Bhi
*KUNDAY KI NIYAZ*
Bugz e Muawia Ki Niyat Se Karega Wo Jahannam Ka Kutta
Jo Bhi
*EID E GADEER*
Bugz e Usman Ki Niyat Se Karega Wo Jahannam Ka Kutta
==
Ahle Sunnat K Nasdik Panj Tan, Ahle Bait, Ummahatul Mumineen (Huzur Ki Sab Biviyan, 4 Khulafa Rashideen, Ashra Mubashshira Sab Ka Ek Khas Muqam Hai. In Sab Ka ELM Hasil Karna FARZ Hai.
Ashra Mubashshra
(10 Aise Sahaba Jinko Dunya Mein Jannat Ki Basharat Di Gayi)
Ye Sahaba Ki Jamat Mein Afzal Hai
Ashra e Mubashhara ke naam hazbe zail hai:-
1. Hazrat e Abu Bakr Siddique (RZ)
2. Hazrat e Umar e Farooq (RZ)
3. Hazrat e Osman e Ghani (RZ)
4. Hazrat e Ali e Mortaza (RZ)
5. Hazrat e Talha (RZ)
6. Hazrat e Zubair (RZ)
7. Hazrat e Abdur Rahman bin Aouf (RZ)
8. Hazrat e Saad bin Abi Waqaas (RZ)
9. Hazrat e Sayeed bin Zaid (RZ)
10. Hazrat e Abu Ubaida bin Jarrah (RZ)
Inn tamaam ke alawa aur Sahaba ki nisbat bhi Jannati hone ki Hadees e Sharifa mein basharatein aayi hai.
--
Ambiya K Talluq Se Ahle Sunnat Ka Sahi Aqida -
☪️☪️☪️
AMBIYA
Ambiya Sab Mard The Na Koi Aurat Nabi Hui Aur Na Koi Jinn.
Nabiyon Ka Bhejna ALLAH Ta’ala Par Wajib Nahi, Usne Apne Karam Se Logon Ki Hidayat Ke Liye Nabi Bheje.
Nabi Hone Ke Liye Us Par Wahee Hona Zaroori Hai, Yeh Wahee Chahe Farishte Ke Zariye Ho, Ya Bagair Kisi Waste Aur Zariye Ke Ho.
Nabuwwat Aisi Cheez Nahi Ki Aadmi Ibadat, Yaa Mehnat Ke Zariye Hasil Kar Sake.
Balki Yeh Mehaz ALLAH Ta’ala Ki Dein Hai, Jise Chahta Hai Apne Karam Se Deta Hai.
Nabi Ka Masoom Hona Zaroori Hai, Isi Tarah Masoom Hone Ki Khusoosiyat Farishton Ke Liye Bhi Hai.
Nabiyon Aur Farishton Ke Siwa Koi Masoom Nahi, Kuch Log Imam’o Ko Nabiyon Ki Tarah Masoom Samajhte Hai, Yeh Gumrahi Aur Bad-Deen Hai.
Nabiyon Ke Masoom Hone Ka Matlab Yeh Hai Ki Unki Hifazat Ke Liye ALLAH Ta’ala Ka Wada Hai.
Isiliye Shari’at Ka Faisala Hai Ki Un Se Gunaah Ka Hona Muhaal Aur Namumkin Hai.
ALLAH Ta’ala Imam’o Aur Badi Waliyon Ko Bhi Gunaaho Se Bachata Hai, Magar Shari’at Ki Roshni Mein Un Se Gunaah Ka Ho Jaana Muhaal Nahi.
Koi Ummati Ilm, Ibadat Aur Nekiyon Mein Nabi Se Nahi Badh Sakta, Balki Barabar Bhi Nahi Ho Sakta.
ALLAH Ta’ala Ne Nabiyon Par Bandon Ke Liye Jitne Ahkaam Naazil Kiye Woh Sab Unhone Pahucha Diye.
Nabi Apni Qabron Mein Usi Tarah Zinda Hai Jaise Duniya Mein The, ALLAH Ta’ala Ka Wada Pura Hone Ke Liye Ek Aan Ko Unhein Maut Aai Aur Fir Zinda Ho Gaye.
ALLAH Ta’ala Ne Apne Nabiyon Ko Gaib Ki Baatein Batayi Hai, Zameen Aur Aasmaan Ka Har Har Zarra, Har Nabi Ki Nazar Ke Saamne Hai.
Yeh Gaib Ka Ilm ALLAH Ta’ala Ke Ata Farmane Se Hai.
Ambiya Alaihimussalam Shirk, Kufr Aur Har Aisi Cheez Se Paak Aur Masoom Hai.
Jis Makhlook Ko Nafrat Ho Jaise Jhooth, Khyaanat Aur Jahalat Wagairah Buri Siftein.
☪️☪️☪️
الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ