Ahle Sunnat Wa Jama't Jiski Pehchan ab Maslak e Ala Hazrat Hai Is Haq Mazhab Mein Ambiya o Sahaba Ki Afzalyat Ki Tarteeb Ye Hai -

A. Ambiya Ki Muqaddas Jamat Mein (Jisme Taqriban 124000 +/- Ambiya Hai) Afzal RASUL Hai Aur Rasul e Azam - Imam ul Ambiya Huzur Muhammed Sallallahu Alayhi Wa Sallam Hai.

(Nabi Us Bashar (Insan) Ko Kehte Hain. Jise Allah Ta’ala Ne Logo Ki Hidayat Ke Liye Wahi Bheji Ho, Aur Rasool Bashar Hi Ke Sath Khas Nahi.
Balke Malaika (Farishto) Me Bhi Rasool Hain.
Almo’taqad Me Zikr Hai Ke Mash’hoor Ye Hai Ke Nabi Wo Hai Jis Par Wahi Bisshara Ho, Aur Agar Tableeg Ka Bhi Hukm Ho To Wo Rasool Hai).

B. Ambiya K Baad Sahaba Ki Jamat Hai Jinki Afzalyat Ki Tarteeb Ye Hai - 
☪️☪️☪️

Sahaba Ki Afzaliyat Ki Tartib -

1. 4 Khulafa e Rashideen
2. Ashra Mubashshara
3. 313 Badri Sahaba
4. Ahle Ohad
(Isme Huzur Ki Sab Hi 11 se 13 Biviyan Bhi Shamil Hai)
6. Ashabe Awwalin (Makki Sahaba)
7. Ashabe Muhajireen
8. Ashab e Ansar (Madni Sahaba)
9. Ashab e Bait e Rizwan
10. Phir Saare Sahaba

C. Sahaba K Baad Tabaeen 
(Saf e Awwal K Tabaeen Bhi Aam Sahabi K Barabari Nahi Kar Sakte)

D. Tabaeen K Baad Taba-Tabaeen 

--

Hazrat Gaus e Azam Abdul Qadir Jilani Razi Allahu Tala Anhu Ki Afzalyat Tabaeen K Baad Hai

Hazrat Imam E Azam Abu Hanifa Razi Allahutala Anhu Gaus e Azam Se Afzal Hai. (Wo Saf e Awwal K Tabaee Buzurg Hai)

Hazrat Ameer Muavia Razi Allahu Tala Anhu (Katib e Wahii aur Sahabi e Rasul) - Gaus e Azam aur Imam e Azam Se Bahot Afzal Hai

Imam Husain o Hasan Razi Allahu Tala Anhu Hazrat Ameer Muavia Rz Se Bahot Afzal Hai (Hasnain Karimain Ahle Bait Hai)

Maula Ali Razi Allahu Tala Annu Se Harzar Muavia Ka Afzalyat Mein Kohi Muqabla Hai Hi Nahi. (Maula 4 Khulafa Mein Hai)

--'

Ashra Mubashra K Naam Tartib K Saath:

  1. Hazrat Abu Bakar Sadique (RA)
  2. Hazrat Umer Farooq (RA)
  3. Hazrat Usman (RA)
  4. Hazrat Ali (RA)
  5. Hazrat Zubair Ibn Al-Awam (RA)
  6. Hazrat Talha (RA)
  7. Hazrat Abdul Rehman bin Auf (RA)
  8. Hazrat Abu Ubaidah Ibn Al Jarah (RA)
  9. Hazrat Saad Ibn Abi Waqas (RA)
  10. Hazrat Saeed Bin Zaid (RA)
--
☪️☪️☪️
AMBIYA 

Ambiya Sab Mard The Na Koi Aurat Nabi Hui Aur Na Koi Jinn.

Nabiyon Ka Bhejna ALLAH Ta’ala Par Wajib Nahi, Usne Apne Karam Se Logon Ki Hidayat Ke Liye Nabi Bheje.

Nabi Hone Ke Liye Us Par Wahee Hona Zaroori Hai, Yeh Wahee Chahe Farishte Ke Zariye Ho, Ya Bagair Kisi Waste Aur Zariye Ke Ho.

Nabuwwat Aisi Cheez Nahi Ki Aadmi Ibadat, Yaa Mehnat Ke Zariye Hasil Kar Sake.

Balki Yeh Mehaz ALLAH Ta’ala Ki Dein Hai, Jise Chahta Hai Apne Karam Se Deta Hai.

Nabi Ka Masoom Hona Zaroori Hai, Isi Tarah Masoom Hone Ki Khusoosiyat Farishton Ke Liye Bhi Hai.

Nabiyon Aur Farishton Ke Siwa Koi Masoom Nahi, Kuch Log Imam’o Ko Nabiyon Ki Tarah Masoom Samajhte Hai, Yeh Gumrahi Aur Bad-Deen Hai.

Nabiyon Ke Masoom Hone Ka Matlab Yeh Hai Ki Unki Hifazat Ke Liye ALLAH Ta’ala Ka Wada Hai.

Isiliye Shari’at Ka Faisala Hai Ki Un Se Gunaah Ka Hona Muhaal Aur Namumkin Hai.

ALLAH Ta’ala Imam’o Aur Badi Waliyon Ko Bhi Gunaaho Se Bachata Hai, Magar Shari’at Ki Roshni Mein Un Se Gunaah Ka Ho Jaana Muhaal Nahi.

Koi Ummati Ilm, Ibadat Aur Nekiyon Mein Nabi Se Nahi Badh Sakta, Balki Barabar Bhi Nahi Ho Sakta.

ALLAH Ta’ala Ne Nabiyon Par Bandon Ke Liye Jitne Ahkaam Naazil Kiye Woh Sab Unhone Pahucha Diye.
Nabi Apni Qabron Mein Usi Tarah Zinda Hai Jaise Duniya Mein The, ALLAH Ta’ala Ka Wada Pura Hone Ke Liye Ek Aan Ko Unhein Maut Aai Aur Fir Zinda Ho Gaye.
ALLAH Ta’ala Ne Apne Nabiyon Ko Gaib Ki Baatein Batayi Hai, Zameen Aur Aasmaan Ka Har Har Zarra, Har Nabi Ki Nazar Ke Saamne Hai.

Yeh Gaib Ka Ilm ALLAH Ta’ala Ke Ata Farmane Se Hai.

Ambiya Alaihimussalam Shirk, Kufr Aur Har Aisi Cheez Se Paak Aur Masoom Hai.

Jis Makhlook Ko Nafrat Ho Jaise Jhooth, Khyaanat Aur Jahalat Wagairah Buri Siftein.
☪️☪️☪️

Ulul Azam 
Ambia Ki Jamat Muqadds Mein Jo Sab Se AFZAL Hai Unki Tarteeb
1. Nabi e Kareem Muhammed Mustafa Sal Lal La Hu Alayhi Wa Sallam
2. Hazrat Ibraheem Alayhi Salam
3. Hazrat Musa Alayhi Salam
4. Hazrat Esa Alayhi Salam
5. Hazrat Nooh Alayhi Salam (Aadam e Sani)
In 5 Ambiya Ko ULUL AZAM Kehte Hai.
Ye 5 Sabhi Insaan, Farishton, Jinnon Aur Sabhi Allah Ki Maqhlooq Se AFZAL Hai.

Jo Gumrah Wahabi NABI Ko Apne Jaisa Samajhta Hai Usko Ye Post Zarur Padhaye.

الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ