Ameer Muawia R.A Katib e Wahi o Sahabi 53
Hazrat Ameer Muawia رازي الله تالا أنه Ka Bugz Jahannam Mein Le Jane K Liye Kafi Hai Kiyun K Wo Sahabi e Rasul Hai. Aap Ki Shaan Mein Kuch Hadees o Aqwal -
Huzoorﷺ Nay Hazrat Ameer Muaviya kay LIye Dua farmai ki “ aye Allah is {Ameer muaviya} ko ilm Ata Farma isko Hidayat Ka Rasta Dikhane Wala Aur Hidayat Yaafta Bana Aur Isko Hidayat Ata Farma Aur Iskay Zariye Dusron Ko Hidayat Ata Farma
*{kanzul umal vol13 page 349}*
Tirmizi Ki Bab ul Manqib Mein Hadees Hai ki”Hazrat Omer Bin KHattab nay Hamas bin Umair bin Sa,ad Ko Maazol Kar Kay Hazrat Ameer Muaviya ko Waali Banaya tu Logon Nay kaha Aap Nay Umair Ko Maazol Kar Kay Hazrat Ameer Muaviya ko Ameer Muqarar Farma Diya is per Hazrat Umair Nay Kaha Hazrat AmeerMuaviya Ka zikr Khair say Hi Kiya Karo Kiyun Kay Main Nay Nabi Karim Ko Farmate Suna Ya Allah in {Ameer Muaviya }Kay Zariye Logon ko Hidayat Day [Jame Tirmizi vol 2 page755]
Huzoor ﷺ irshad Farmate Hain Aye Allah {Hazrat} Ameer Muaviya ؓ Ko Quran Aur Hisab Ki Taleem Daye Use Zameen Ki Badshahi Ata Farma Aur Use Azab Say Azab Say Bacha
{Al Muajjam ul Kabeer vol 19 page 439
Nabi Karim ﷺIrshad Farmate Hain “Mere Raaz Muaviya Bin Abu Sufiyan ؓHain Tu Jis Nay in Say Mohabbat Ki Wo Najat Pa Gaya Aur Jis Nay in Say Bugaz Rakha Halak Hogaya”
{Al Riyaz Ul Nazra Page 218}
Huzoor ﷺ irshad Farmate Hain abubakar Meri Ummat Mein Sab Say Bada Naram Dil Aur Meharban Hai Phir Aap Nay Baqiya Manaqib Khulafa e Araba Zikr Farmaye Uskay Bad Sahaba Ki Dusri Jamat Ka Aap Nay Tazkira Farmaya Aur Aap Nay Hazrat Ameer Kay Mutaliq Farmaya Muaviya Bin Abi Sufiyan Meri Ummat Mein Sab Say Ziyada Burdbaar Aur Sakhi Hai
*Al Mukhtar Fi Usol sunnah page 154)*
Ek Airabi Nabi karim ﷺ kay paas aaya aur bola kay mujh say khushti lado Tu ussay Hazrat Ameer Muaviya Radi Allah Anha Nay kaha main Tujh say Khushti Ladta hun tu (isper) Nabi karim ﷺ Nay irshad Farmaya kay(Hazrat Ameer) Muaviya Kabhi Maglob Na hun gay chunancha Hazrat Ameer muaviya Nay us Airabi Ko pachad diya Jab Jange siffain Ho chuki Tu Hazrat Ali Radi Allah Anah Nay (Arwa say) kaha kay Agar tum is Hadees zikar Kar Detay Tu Main Muavuya radi allah anah say Jang Na karta
*izalatul khulafa vol 4 page 516*
”Ahle sunnat Ka muttafiqa Faisal Hai kay sahaba Kiram Kay Bahami Ikhtelafat per Bahas Wa Mubahisa Na kiya Jaye unki Burai Say Zubane Rok li Jayen unaky Fazail Wa Mahasin Ka izhar Kiya Jaye jo Waqiyat Aur ikhtelafat Ronuma Howe Uneh Allah Kay Sapurd Kiya Jaaye jaisa kay Hazrat Ali Hazrat Talha Hazrat Zuber Hazrat Aaisha Hazrat Ameer muaviya Radi allah anha wagera kay ikhtelafat ka zikar kiya gaya hai*
*_Ghuniyat ul Talibeen _*
Ye Gaus e Azam R.A Ki Kitab Hai
Hazrat Ibne Abbas say Pocha Gaya Kay Aap Hazrat Ameer ul Mominin Ameer Muaviya Kay Baare Mei Kya Raaye Hai Jab Ki Wo witar KI Ek hi Rakaat Padhtay Hain Hazrat Ibne Abbas Nay Farmaya BE shak Wo Faqeeh Hain
*Bukhari Shareef vol 2 page 436*
Nabi Karim irshad Farmate Hain meri ummat mein say Jo giroh Sab Say Pahle Bahri Jihad Kare ga Un kay Liye Jannat Wajib Hogai bukhari sahrif vol 2 page107
Bukhari sharif
Hi mein Dusri Jaga Riwayat Milti Hai ki sahaba kiram Nay Hazrat Ameer Muaviya Kay Sath milkar Sab Say pala Bahri Jihad kiya Bukhari sharif vol 2 page 66,67
Ameer Muwaiya SAANI Umar رضي الله عن Hain
SANAD :-
Imam Abu Baker Al Khallal Rh— > Abdullah bin Muhammad bin Shakir— > Abu Usama— >Hammad bin Zaid — >Muammar — >Imam Al-Zuhri rehmatullahi Alahi Farmatey Hain
عمل معاوية بسيرة عمر بن الخطاب سنين لا يخرم منها شيئ
Ameer Muwaiya Ne Sayedna Umar Radillahu anhu Ke Seerat Par Saalon Saal Aise Amal Kiya KE Zarra Barbar Bhi koi Kami Nahi ki
“Isnaad Sahih”
[As-sunnah Abu Bakr Khilaal Jild 01, Safa 444, Hadees number 653)
Hazrat Abdulla Bin Umar رضي الله عن Farmatey Hain Allah Ke Nabi ﷺ Ne Irshad Farmaya Aaye Muawiya رضي الله عنه Tu Mujh Se Hai Aur Main Tujhse Hun Aur Tu Mere Saath Jannat Ke Darwaze Per Yun ikhatta Hoga Jis tarah Ye Angusht e Sahadat Aur Darmiyan Wali Ungli Ek Saath Hain Aur Apni Dono Ungliyaun Ko Milaya Kar Farmaya
Reference Book*
_Kitab As Sunnah_Imam Al-Khallal Jild 01, Safa 454, Hadees 704
♥ Rasool Ullah S.A.W Ne Irshad Farmaya- Mere Sahaba Raz Ka Ikraam Karo Aur Unki Izzat Karo..
(Al-Majamul Ausaat Lit Tibrani Jild 3 Safa 204, Raqam-2929)
♥ Hazrat Ameer Muawiya Raziallahu Anhu Mashoor Sahabi Aur Musalmano Ki Maa Hazrat Umm E Habiba Raziallahu Anhaa Ke Bhai Aur Kaatib e Wahee Hain…
♥ Inka Pura Naam Abu Muawiya Bin Abu Sufyaan Bin Harb Raz Hai..
♥ San 7 Hijri Me Islaam Qubool Kya Magar Waldain Ke Khauff Se Izhaar Na Kya…
♥San 8 Hijri Fatah E Makka Ke Baad Jab Aapke Waldain Islaam Le Aaye To Aapne Islaam Ka Izhaar Kiya
Shaik Abdul Qadeer Jilani Rah Farmate Hain-“Main hazrat ameer
muawiya ke raaste pr baitha rahu (aur saamne se unki sawaari) aa jaaye aur unke ghode ki dhool udd
kar mujhpe pad jaaye to main isse khud ke liye nijaat ka zariya samjhunga..”
(Gunyatul Talibeen)
🏁🏁🏁🏁🏁
Saha Sitta ki mash-hoor kitab Tirmzi Shareef mein Imam tirmzi Rahmatullah alaihe ne Hazrat Ameer muawiya Radi Allahu anh ki fazilat wali hadees bayan karne se pahle 'Abwabul Manaqib' jild 2,safah no 224 par yun unwan qayem kiya “Manaqib muawiya bin Abi Sufyan Radi Allahu anh ya'ani Hazrat Abu Sufiyan ke bete Hazrat Muawiya Radi Allahu anh ke fazail ka bayan”.
Hadees shareef ki ma'aroof kitab 'Mishqat Shareef' mein “Baab Jameul Manaqib” ki dusri fasal mein Hazrat Ameer Muawiya Radi Allahu anh ki shan wali ahadees darj ki gai hain.
Sahi Bukhari Jild1,Safah 410 ki ye hadees ke 'meri ummat ka pahla lashkar jo samundar par karke jihad karega usne apne upar jannat wajib karli' is hadees ke tehat Imam Ibn Hajar Asqalani Fatahul Bari mein likhte hain hai ke “Is hadees mein Muawiya Radi Allahu anh ki fazilat hai”
Ghause Paak Radi Allahu anh farmate hain ke Sare Ahle Sunnat is par muttaffiq hain ke sahaba karam Ridwanullah alaihim ki jangon mein bahas se baaz raha jaye aur unhe bura kahne se parhez kiya jaye,unke fazail aur unki khubiyan zahir ki jayen.
(Ghaniyatul Talibeen page 178)
Har Sahabi e Rasul Jannati Jannati!
Ye Baatein Yaad Rakhna -
Harzt Ameer Muawia R.A Se SULAH Imam Hasan R.A Ne Karwai Thi
Aur Yazeed Paleed Par Talwar Imam Husain R.A Ne Uthai Thi.
Sunni Wo Jo
Imam Hasan R.A Ki Suleh Ko Bhi Mane aur
Imam Husain R.A Ki Jung Ko bhi mane.
Hazart Ameer Muavia R.A Ka Nalayak Fasik Beta Yazeed Paleed Tha.
Hazrat Ameer Muawia R.A Ko Jab Gaus e Azam Sayyed Zade Hokar Kuch Nahi Kehte
Iska Matlab Wo Apne Walid *Imam Hasan R.A* Ka Naqsh Qadam Par Hai.
--
🏳️🏁
Maulai Ya Tafzeeli Mujawar Ya Qawwal K Saath Rehne K Nuqsanat -
1. Jahalat Aam Hogi
2. Deen Se Duri Hogi
3. Farz o Wajib Tark Hoga
4. Aqaid Bigad Kar Gumrah Hojayenge
5. Ulema Ko Gaali Denge
6. Phir Sahaba Ko Gaali Denge
7. Phir CHARAS Bechenge aur Kharidenge (sufi nasha hai thoda chalta hai inme)
8. Phir MATKA JUA Khelenge (mazar par matke ka number nikalne ka amal mashoor hai)
9. Phir ZALEEL Hokar Marjayenge
10. Phir Qabr Ka Aazab
11. Phir Jhannam
--
Jung e Siffin
(Maula Ali Razi Allahu Tala Anhu v/s Hazrat Muavia Razi Allahu Tala Anhu)
Jung e Jamal
(Maula Ali Razi Allahutala Anhu vs Hazrat E AAISHAH Siddiqa Razi Allahu Tala Anha)
MasLak e Ala Hazrat Mein In Dono Jungon Mein
*HAQ PAR MAULA Hi THE.*
Aur Baki Hazrat Ki Larzish o Khata Ka Pehlu Mana Gaya Hai.
Magar MAULA Ne Inke Upar LANAT ya BadDua Na Farmai.
(Sahaba K Arz Karne K Bawajud Bhi. SABR Par Rahe)
Ye Mamla Aisa Hai Jo Aalim Hota Hai Ispar Baat Hi Nahi Karta aur Jo Tasawwuf Janta Hai Wo Bhi Khamosh Rehta Hai.
Mulk e Shaam (syria) Jahan Se Ameer Muavia Ka Talluk Hai Wahan 40 Abdal Wali Hadees Bhi Hai.
Toh Mulk e Shaam K Muslamano Par Taqeed Karna Ye Aqalmandi Nahi
Shurai Ubaid radiallahu Anhu Se Rivayat Hai Hazrat Ali Radi Allahu Anhu Jab Iraq Me They To Unki Mauzoodgi Me Ahle Shaam Kay logo Ka Zikr Kiya gaya. Logo Ne Kaha Aye Ameerul Momineen Ahle Shaam Par Lanaat Karein, Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ne Farmaya Nahi Mai Un Par Lanaat Nahi Karunga, Maine Rasool Allah ﷺ Se Suna Hai Shaam Me Abdaal Raha karte Hai Jinki Tadad 40 Hai. Jab Unme Se Koi Ek Intekal Farmata hai to Allah Taala Uski Jagah Dusre Ko Mukarrar kar deta hai Aur Unhi Kay Sadqe tum par barish hoti hai Unhi Kay Sadqe Rizk Ata Kiya Jaata Hai Tum Dushmano Par Fateh paate Ho Aur tumse Musibat Taali Jaati Hai”
References :
(Musnad Ahmad Ibn Hanbal Vol : 01, Pg : 438, Hadees : 896)
(Hafiz Ibn Kathir, Jami Al Masaneed Wa Sunan , Vol : 01, Pg : 230/231, Hadees :2920)
(Mishkat Al Masabih , Baab Zikr E Yamani ,Hadees : 6015)
(Imam Tabrani Al Majma Ul Kabeer Vol : 10, Pg : 181, Hadees : 10390)
(Imam Haythami Mazma Uz Zawaid, Vol : 10, Pg : 63)
Mafhoom e Hadith:
“Jis Shakhs Ko Iss Haal Me Mout Aaye Ki Wo Ilm Hasil Kar Raha Ho, Taa’ki Iss Ke Zariye Islam Ko Zinda Kare(Faila Sake) Tou Uss Ke Aur Ambiya Ke Darmiyan Jannat Me Sirf Ek Darjah Ka Farq Hoga”.
[Mishkat Sharif: Hadith no.231]
الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ