Ustad K Huquq aur Madrason Ki Ahmiyat 63
USTAD (deeni) K Huquq
Fatawe Razvia Jild 24 Mein Imam e Ahle Sunnat Ne Bahot Saare Ustad K Huquq Darj Farmaye Hai. Jisme Se Kuch Yahan Likh Deta Hu.
1. Jisse Elm e Deen Ka 1 LAFZ Bhi Seekha Ho Wo Bhi USTAD Hi Hota Hai.
(Baaz Jagah 1 Baab Ya 1 Mas'La Bhi Bayan Karte Hai)
2. Sunni Ustad Ka Ehteram Walidan Se Bhi Zyada FARZ Hai.
3. Ustad Roohani Baap Hota Hai.
4. Usdad Se Pehle Bolna, Oochi Aawaz Mein Baat Karna, Uske Aage Chalna, Uski Jagah Par Baithna, Uske Bistar Par Sona Sab Khilafe Adab Hai. (Uski Gair Maujudgi Mein Bhi)
5. Ustad Ka Haq Walidan aur Tamam Musalmano Se Zyada Hai.
6. Ustad K Liye Apne Maal Mein Bukhl Karan Mana Hai.
7. Ustad Agar Hadiya Qaboo Kare Toh Uspar Kohi Ehsaan Nahi Blaki Shagirdon K Liye Behtar o Sa'dat hai
8. Imam Abu Hanifa K Nasdik Ustad Ki NASLON Ki Bhi Tazeem Karna Zaruri Hai
9. Aalim Ka Haq Jahil Par aur Ustad Ka Haq Shagird Par Ek Jaisa Hai
10. Ustad Ki Geebat Ki Jagah Baithna Mana Hai
11. Ustad Ki NaShukri Khaufnaak Bala aur Tabah Kun Bimari Hai.
Maula Ali Razi Allahu Tala Anhu Farmate Hai (mafhoom)
Agar Kohi Mujh Ko 1 Harf (lafz se bhi kum) Sikha De Toh Mein Uska GULAM Ban Gaya.
Wo Chahe Mujhe Gulami Mein Rakhe, Chahe Aazad Kar De aur Chahe Bech De.
🏴🏳️🏁
Ulema Farmate Hai Ustad Ka Adab Nahi Karne Wala Allah Ko Razi Nahi Kar Sakta.
(FIQH k Usool Se Bahi Sahi Hai FARZ Ka Tark Gunah e Kabira)
Jiski Kitab Padh Kar Elm e Deen Hasil Karte Hai Wo Bhi USTAD Hi Hai.
Jaise Imam Gazali Ki Kitab Aksar Log Padhte Hai Wo Unke USTAD Hi Hai Magar Unka Martaba Mujadid Ka Hai Isliye Behtar Aur Ooche Lafzon Mein Yaad Kia Jata Hai.
IMAM
Elm e Deen Ka 1 Baab Ya Masla Kisi Ko Bata Do Ya Sikha Do Toh Uska Sawab Wahin Mehdud Nahi Rehta.
Usko Khuda Apne Karam Se TA QAYAMAT Jaari Farma Deta Hai.
(Ab Chahe Wo Fayle Ya Nahi)
12. Ustad agar galti kare toh usko tokna mana hai.
(Haan Ba Adab Tariqe Se Akele Mein Ishara De Sakte Hai)
Sab Ustad MUFTI Nahi Hote Galti Ka Chance Hota Hai.
KUCH JAHIL o BADMASH Log Sikhane Wale Ki Khami Dhundte Rehte Hai Isko Elm Hasil Ho Bhi Jaye Tab Bhi Khuda Ki Raza Nahi Hasil Hoti.
Aise Hi Log GUMRAH Hote Hai.
Jaise
Ibne Taimiya
Elm Bahot Tha Magar Gumrah o Kafir Hua
13. Bachpan Se Le Kar Budhape Tak Jis Jis Ne Elm Sikha aur Bataya Sab USTAD Hi Hai.
Chahe Shagird MUFTI Ban Jaye aur Bachpan K Quran Ka Qayda Padhane Wale Ustad Kum Elm Ho.
🏁
Ye Masail Batana Zaruri Hai
Aawam Bahot Zyada Badmash Ho Gayi Hai.
Free Mein Baithe Baithe Kohi Elm Sikha Deta Hai Toh Usko Halke Mein Le Lete Hai.
2 Saal Madrase Mein Full Time 2 Zaanu 8 Ghanta Laga Kar
Chadi Kha Kar
Ubla Chana Kha Kar
Seekho Ge Tab Samjhe Ga
Aaj K Zamane Mein Jo
72 Batil aur 1 Haq Bata De Wahi Sab Se Bada USTAD Hai.
Mufti Ho Ya Na Ho.
14. Agar kohi kisi kitab se padh kar ya bayan sun kar ya ulema se puch kar bhi elm sikhata ho wo bhi USTAD hai.
(Saari Kitab Toh Kisi Ko Bhi Zubani Yaad Nahi Hoti)
Sab Dekh Ka Sun Kar Padh Kar Puch Kar Hi Batate Hai
Balki Jo Apni Marzi Se Bataye Wo GALAT Hai, Wo USTAD Nahi Hota.
Ustad Ki Shagird Se Umeed Sharai -
1. Wo Uske Sikhaye Hue Elm Ko Yaad Rakhe ya Mehfuz Kare
2. Khud Uspar AMAL Kare
3. Logon Mein Aam Kare (khiyanat na kare)
4. Marne K Baad Bhi Silsila Jaari Rakhe
5. Fuzul Kaamon Mein Waqt aur Zindigi Barbad Na Kare
6. Gaflat Aur Gunah Se Bache aur Duron Ko Bhi Bachae
7. Neki Khud Kare Aur Dusron Ko Bhi Huqm De
15. Ustad Ki Khushamat Karna JAYEZ Hai.
(Aam Logon Ki Mana Hai)
16. PEER Bhi USTAD Hi Hai Balki Usse Badh Kar Hota Hai Kiyun K Har Ustad PEER Nahi Hota.
(Peer Shariat Ka Paband; Kamil Peer Ki Baat Ho Rahi Hai)
Jinko Lagta Hai WALIDAIN Ka Maqam Ustad Se Bada Hai
Wo Apne Walidain Se Puch Lo
Allah Kaun Hai
Kahan Hai
Kaisa Hai
Uska Qurb Kaise Hasil Ho
Agar Walidain Ko Ustad Se Bada Haq Mil Jaye Toh
Chor Ka Beta Chor
Daaku Ka Beta Daaku
Ye Silsila Kabhi Khatam Hi Nahi Hoga.
MADRASON Ki Ahmiyat
Hazrat Imam Mohammed GAZALI (shafaii) Rehmat Ullahi Tala Alayh
1058 A.D Mein IRAN Mein Paida Hue.
Aap K Walid Aalim Nahi The Magar Unki Khawahish Thi Ki Mere 2 Bete Aalim e Deen Bane.
Lekin Bachpan Mein Hi Aap K Walid Ka Intekal Hogaya.
Intekal K Baad Maal o Asbab Baqi Nahi Rahe Ki Bachchon Ki Taleem Puri Ki Jaye.
Lihaza Aap Ko MADRASE Mein Dakhila Lena Pada aur Saare Intezamat (Padhna - Khana - Pina - Sona - Rehna - Kapda Wagaira) Madrase Mein Hi Hua.
Aur Ummat Ko Waqt Ka MUJADDID IMAM GAZALI Ata Hua.
Islam Kitabon Se
Madrase Mein Seekha Jata Hai.
Dargahon Par Man Gadhat Kisse Kahaniyan Hi Suno Ge.
Iski Kohi Value Nahi Hai.
TEXT BOOK ISLAM
Seekhna Asal Elm e Deen Hai.
Elan e Nubuwat K Baad
Huzur Ne
MASJID
MADRASA (suffa)
Pehle Tameer Kia.
Hospital
School
Liabrary
Wagaira Ye Itna Zaruri Nahi Jitna Masjid Madrasa Hai
Imam Jafer Sadiq Razi Allahu Tala Anhu Ne Apne Shagird Ko Huqm Diya
"Kitab Taak Se Le Aa"
Shagird Ne Pucha
"Taak Kidhar Hai?"
Hazrat Ne Jawab Diya
"8 Saal Hogaya Tujhe Ye Nahi Pata Is Kamre Mein Taak Kidhar Hai?"
Shagird Ne Jawab Diya
"Mein Ne Kabhi Apni TAWAJJO Ustad Se Hatayi Nahi Isliye Mujhe Pata Hi Nahi Chala"