Qaza E Umri Padhne Ka Tariqa 23
Jis par qaza namaz bahot kasrat se hain wo asani ke liye agar yu bhi
ada kare to jaayez hai k har Ruku aur har sajde me 3, 3 baar
سبحٰن ربی
العظیم. سبحٰن ربی الاعلٰی
ki jagah sirf ek baar hi kahe magar ye
hamesha har namaz me yaad rakhna chahiye k jab Admi pura pahoch jaaye us
waqt سبحٰن ka س shuru kare aur jab العظیم ka م khatam kare us waqt ruku se
sar uthaaye. Isi tarah sajde me bhi jab pura pahoch jaaye us waqt tasbeeh
shuru kare aur jab tasbeeh khatam ho jaaye us waqt sajda se sar uthaaye
Dosri takhfeef ye k farzo ki teesri aur chauthi rekaat me surah Fatiha ki jagah sirf “سبحٰن اللہ” teen baar keh kar ruku me chale jaayen magar wahi khayal zaruri hai k seedhe khade ho kar tasbeeh shuru karen aur tasbeeh puri khade khade keh kar ruku ke liye sar jhukaayen. Ye takhfeef sirf farzo ki teesri aur chauthi rekaat me hai…. witron ki teeno rekaato me Surah Fatiha aur Surah dono zaruri parhi jaayen
=====
SAWAL
asar ki qaza e umri asar ñamaz ke baad padh sakte hai……jab ki asar ke baad koi namaz ke nahi padni chahiye
JAWAB
Sooraj guroob hone ke 20 mint pahle tak padh sakte hain magar logo ke saamne na padhe tanhaai men padhe
*والله تعالٰی اعلم*
.....
Gair Muaqida Sunnat aur Nafl Namaz TARK Karke Qaza E Umri Padhna Behtar Hai.
Jis shakhs ki 5 Namaazo ki qaza baaqi ho to unko ada kiye baghair koi bhi Nafl Namaaz na parhein, balke ziyada se ziyada waqt nikaalakar apni qaza Namaazein puri karein, yahaan tak ke 5 waqt ki Namaazo ke saath jo ghair muakkadah sunnatein aur naflein hain unki jagah par qaza parhein.
Fataawa Razwiya: 10/179 & 180
Bahaar-e Shari'at: 4/55 @ Raddul Mohtaar: 1/646
Fataawa Razwiya: 8/158
....
🔘"Qaza Namzen Padhne Ka Tariqa"🔘
✅MAS'ALA:
🔷Jiske Zimmah Qarz Namazen Hon Agarche Unka Padhna Jald Se Jald Wajib Hai Magar Baal Bachchon Ke HUQOOQ Aur Apni Zaruriyaat Ki Wajah Se Takheer (Der) Kar Sakta Hai,
🔶Lihaza Karobar Bhi Kare Aur Jo WAQT Fursat Ka Mile Usme Qaza Bhi Padhta Rahe Yahan Tak Ki Sab Puri Ho Jaye....
📚{Qanoon-E-Shariat, Hissa-1,Page-153}
✅Mas'ala:
🔷Jis WAQT NAFIL Padhta Ho Unhe Chhod Kar Unke Badle Qaza Namaze Padhe, Albatta Taraveeh & 12 Rakat sunnate Moakkedah Na Chute......
📚{Raddul Mohtar, Jild-2, page-646}
✅Mas'ala:
🔶Jiski Kuch Salo Ya Kai Salon Ki Namaze Qaza Hui Wo Is Tarah Kare.......
🔷Masalan 50 Saal Ka hai, Aur namaz ki Pabandi 5 Saal Se Kar Raha Hai, To is tarah hisab jode,Ki Balig 15 Saal Me Hua To 15 Se 45 Tak Yani 30 Saal Ki Namze Qaza Hui,
🔶AB 30 Saal Ki Qaza 5wo WAQT Ki Is Tarah Padhe.........
🔷Padhte WAQT YE Niyat kare Sab se pehle Jo Fajr Meri Qaza Hui Wo Padhta Hun, uske Bad Aur Fajr Ki Hi Qaza Padhe To Kahe Uske Bad Ki Ada Karta Hun Phir uske bad ki.....
🔶Isi tarah Zohar Asar Magrib & Isha Me Niyyat Kare Sab Se Pehli Jo Qaza Hui Phir Uske Bad Ki Phir Uske Bad Ki....
🔷Aur jise Ye Bhi Yad Na Ho Ki Kitne Saal Ki Qaza Hui To Wo Bhi Padhte WAQT Ye Niyyat Kare Ki Sab Se phel Jo Fajr Qaza Sab Se Pehle Jo Zohar Qaza Hui 5 namazo ka naam le kar Phir Uske Bad Ki Fajar Phir Uske Bad Ki Zohar Phir uske Bad Ki Asar, isi Tarah padhta Rahe Yahan Tak Use Yaqeen Ho Jaye Ki Mere zimma Ab Koi Qaza Baqi Nahi.....
{Makhooz Az, KUTBE FIQHE HANAFI}
✅Mas'ala:
🔶Mard Ho Ya Aurat 15 Saal Me Balig Hote Hain unpe Namaz Roza Wagera Farz Ho Jata Hai.........
🔷Aurat Kam Se Kam 9 Baras Me & Maximum 15 Years Balig Ho Jati Hai.........
🔶Aur Mard Kam Se Kam 12 Saal Me & Ziyadah Se Ziyadah 15 years Me Balig Ho Jata Hai...
🔷15 Baras Wale Ko chahe Mard Ho Ya Aurat Shariat Me Balig Mana Jata Hai Chahe Balig Hone Ki Nashiniyan Pai Jaye Ya Na Pai Jaye
📚{Qanoon-E-Shariat, Hissa-1, Page-154}
⚫Qur'an :-
حافظوا على الصلوت والصلوة الوسطى وقوموا لله قانتين
📓(Paara-2,Ruku-15)
🔵Tarjuma: -
🔶Nigehbaani karo sab Namazo ki aur Beech ki Namaz ki.
Aur Khade ho Allah ke Huzoor Adab se.
🔷Is Aayat e Kareema se Namazo ki Farziyat Maalum hui aur uske Andar Qayaam ka Farz hona bhi Saabit huwa.
⚫Qur'an: -
فسبحن الله حين تمسون و حين تصبحون وله الحمد فى السموت والارض وعشياً وحين تظهرون
📓(Paara-21,Ruku-5)
🔵Tarjuma :-
🔶To Allah ki Paaki Bayaan karo jab Shaam ho aur Subah ho.
Aur usi Ki Tareef he Aasmaano aur Zameen mey Aur kuch din rahe aur Jab Zohar Ka Waqt ho.
🔷Is Aayat-e-Kareema mey paancho(5) Namazo ke Awqaat Bayaan kiye gaye hey Chunanche Hazrat-e-Ibne Abbas RadiyAllahu Ta'ala anho se Daryaaft kiya gaya k kya Namaz-e-Panjgaana ka Bayan Qur'an paak mey he ? Farmaya haa, aur ye Aayatey Tilawat Farmaayi.
⚫Qur'an :-
ان الصلوة تنهى عن الفحشاء والمنكر
📓(Paara-21,Ruku-1)
🔵Tarjuma:-
🔶Beshak Namaz Be-hayaai aur buri baat se Rokti he.
🔷Is Aayat-e-Kareema se Maalum huwa k Jo Shakhs Khuloos ke Saath Namaz ka Paband Ho aur Usko Achi Tarah adaa kare to wo ek na ek din Un Tamaam Buraaiyo k Tark kar dega jin mey Wo Mubtala he. Hazrat e Anas Radiy Allahu Ta'aala anho se Marwi he k Ek Ansari Rasul Allah SallAllahu Alaihe wa Sallam ke Sath Namaz padha karta tha aur Bahut se Kabeera Gunaho ka Irtekaab Karta tha Huzoor SallAllahu Alaihe wa Sallam se Us ki Shikayat ki gayi. Farmaya us ki Namaz kisi Roz us ko in baato se Rok degi Chunanche Bahut hi Qareeb Zamaana mey us ne Tauba ki aur Us ka Haal behtar ho gaya. Hazrat e Hasan RadiyAllahu Anho ne Farmaya jis ki Namaz usko Be-hayaai aur Mamnoo'aat se na Roke wo Namaz hi nahi.
⚫Qur'an -
اقيموا الصلوة ولا تكونوا من المشركين
📓(Paara-21,Ruku-7)
🔵Tarjuma :-
🔶Namaz Qaaim rakho Aur Mushriko mey se na ho.
🔷Maalum huwa k Namaz na padhna Mushriko ki Alaamat he.
Lihaaza is se Gaflat baratne Wale Musalman Is Aayat-e-Kareema se Hidayat Haasil kare.
--
Fajr Ki Qaza Namaz K Talluk Masail -
Q. Fajr Mein Der Se Aankh Khuli aur Namaz Qaza Hone Mein 3 Se 4 Minute Hai, Aisi Surat Mein Kia Karen?
A. Imam e Azam Abu Hanifa R.A K Nazdik Pehle Wuzu Kare Phir Waqt Bacha Toh 2 Rikat Farz Padhe.
(Wazu Short Mein Kar Sakte Hai, Sirf 4 Farz Kare - kohni samet haath dhona, chehra, sar ka masah aur takhne samet pair ka dhona)
Aur
Namaz Bhi Short Mein Padhe (Jaise Qaza e Umri Padhte Hai)--
Imam Zufar R.A jo Imam e Azam K Shagird Hai Wo Aisi Surat Mein TAYAMMUM Ki Ijazat Bhi Dete Hai.
Magar Namaz Dohrana Hoga Wuzu Karke Makrooh Waqt K Baad.
☪️☪️☪️
☪️☪️☪️
Hadees -
HUZOOR صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Irshaad Farmaya Jo Namaz Se So (sleep) Jaaye Ya Bhool Jaaye To Jab Yaad Aaye Padh Le Ki Wahi Us Ka Waqt Hain!
*(02)Fukaha E Kiram* رحمهم الله السلام Farmate Hain Sote Me Ya Bhoole Se Namaz Qaza Ho Gayi To Us Ki Qaza Padhni Farz Hain!
Albatta Qaza Ka Gunah Us Par Nahin Magar Bedar Hone Aur Yaad Aane Par Agar Waqte Makrooh Na Ho To Usee Waqt Padh Le Taakheer Makrooh Hain!
*📚(01)MUSLIM SAFAH 346 حديث 684)*
📚(02)BAHARE SHARI'AT JILD 1 SAFAH 701)
☪️☪️☪️
Mahine Mein Ek Ya Do Baar Neend Gehri Hojaye Aur Fajr Qaza Hojaye
Ya Dawa Kha Kar Soya Ho Neend Gehri Hogai
Ya Thakawat Ya Bimari
Ye Sab Halat Mein GUNAH e KABIRA Nahi Hota.
--
☠️☠️☠️
Shaitaan Ka Makr o Fareb
Jo Musalman Neki Ka Irada Karta Hai Usko Sahaitaan Kai Tariqon Se Behkata Hai
Uski NIYAT Ko Kharab Ya Halka Kar Deta Hai
Uske WAQT Ko Kum Darje Ki Ibadat Mein Zaye Kardeta Hai
Jaise Ushi 1 Ghante Mein Insaan Elm e Deen Hasil Kar Sakta Hai (jo FARZ hai) aur Behek Gaya Wahi 1 Ghanta Muraqebe Mein Laga Dega Jo Mustahab Hai.
Allah Shaitan K Fareb Se Bachaye!
Mahfum-e-Hadees:
Rasool’Aallah (Sallallahu
Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
Jis Shakhs Ko Sirf *Duniya* Ki Fikr Ho To
Allah Ta’ala Uske Kaam Me *Pareshaani* Daal Dega,
*Aur Uski Muflisi Dono Aankhon Ke Darmiyan Kar Dega
*Aur Duniya Usko Utni Hi Milegi Jitni Uski Taqdeer Me Likhi Hai...
Aur Jiski *Niyat Aakhirat Ki Taraf Ho Tou Allah Ta'ala Uske Sab Kaam Durast Kar Dega* ,...
*Aur Uskey Dil Me Be-Parwahi Daal Dega
Aur Duniya Bila Shuba Uske Pass Aayegi”.
– (Sunan Ibn Majah)
“Duniya ki Misaal Aakhirat ke Muqable me Aisee hai Jaisey Tum me se Koi Apni Ungli Samandar me Daley Phir Dekhey ki Kitna Paani Uski Ungli me Lagta hai.”
(Matlab Samandar (akhirat) K Aur (dunya) 1 Boond Bhi Nahi)
[Sunan Ibn Majah, Vol-3, 989-Sahih]
Shaitaan Tumko (Garibi/Tang Dasti/Faqeeri) Se Darata Hai aur Bure Kaam Karne Kehta Hai.
(Mafhoom)
Quran Sureh Bakra Ayat 268
☪️☪️☪️
FARZ vs NAFIL (mustahab)
Pehli Baat Ye Hai Iska Kohi Comparison Hai Hi NAHI Ye Toh Aap K Samajh Mein Aajaye Iskiye Likh Raha Hu
1. 2 Rikat Namaz Farz 2000 Rikat Nafil Se Bhi Zyada Behtar Hoti Hai
2. 100 Rupya Farz Sadqa (ZAKAT) 100000 Rupya NAFIL Sadqe Se Bhi Behtar Hota Hai
3. Elm e Deen (Farz Uloom) Mein Invest Kia Hua 1 Saal Zindigi 50 Saal K Nafil Muraqebe Se Behtar Hota Hai
4. Elm e Deen (farz uloom) Sikhana Aur Faylana Sab Se AFZAL Zikr Mein Se 1 Hai Jo Marne K Baad Bhi JARI Rehta Hai (sawab e jaria)
5. 1 Farz Roza Agar Qaza Hojaye Toh Pura Saal Bhi Nafil Roza Rakhne Se Uski Fazilat Hasil NAHI Hogi
Oont K Saamne Bakri Ka BachchaAur Suraj K Aage Chirag Ka Kohi Muqabla Nahi Hosakta.