Namaz Mein Galti Ka Elm Tab Hoga Jab Namaz K Sharait, Faraiz aur Wajibat Ka Elm Hoga. Islye Yahan Har Cheez Ki Detail Darj Karna Zaruri Hai.

Bahot Si Galti Karne Se Kohi Farq Nahi Padhta Namaz Ho Jati Hai - Jaise Kohi Mustahab Ya Sunnat Tark Ho.

Magar Jab Wajib Tark Hota Hai Toh Sajda e Sahw Karne Se Uska Nuqsan Khatam Hojata Hai aur Namaz Durust Ho Jati Hai. Sajda e Sawh Ki Detail Bhi Is Post Mein Hai.

Farz aur Shart Mein Se Kuch Bhi Tark Hua Toh Namaz Hoti Hi Nahi. Phir Se Dohrana Padega aur Agar Waqt Nikal Gaya Toh QAZA Padhni Hogi.

NAMAZ K FARAIZ 7 Hai
Takbeer e tahreema yani Allahu akbar kah kar namaz shuru karna.

Iske alawa namaz me jab Allahu akbar kaha jata hai wo sab sunnat hain. Sirf Namaz ke shuru me jo kaha jata hai wahi Allahu Akbar kahna farz hai. Isko chodne se namaz nahi hogi .

Namaz ke doosre arkan ke waqt jo Allahu akbar kaha jata hai use takbeer e intiqal kahte
Jin namazo me qayam farz hai usme takbeer e tahreema ke liye bhi qayam farz hai . Agar kisi ne Allahu akbar kaha phir khada ho gaya to uski namaz shuru hi nahi hui .

Takbeer e tahreema me Allahu akbar kahna wajib hai .

Takbeer e tahreema ke liye dono hatho ko kano tak uthana sunnat hai .

Dono hatho ko takbeer se pahle uthana sunnat hai.

 ☪️☪️☪️
Qayam yani namaz me khada hona hai . Aur qayam ki kami ki janib had ye hai ki haath phailaye to ghutno tak hath na pahunche . Aur poora qayam ye hai ki seedha khada ho .

Qayam ki miqdar itni der tak hai jitni der qirat hai .
[30/09, 4:36 pm] Sarosh Bahaduri: Farz, Wajib, Edain aur Fajr Ki Sunnat Mein qayam farz hai . 
Agar bagair uzr ye namaz baith kar padhega to namaz na hogi .
Aik pair par khada hona makrooh e tahreemi hai . Aur agar kisi uzr majboori se aisa kiya to koi harj nahi .
Agar kuch der ke liye bhi khada ho sakta hai , Chahe takbeer e tahreema hi kah le to itni der tak khada hona farz hai . Khada hokar itna kah le phir baith jaye .
Qayam me 4 ungul ka fasila rakh kar khada hona sunnat hai .
Namazi ko qayam ki halat me apni nazar sajda ki jagah rakhna sunnat hai .
Agar koi shakhsh itna kamzor hai ki masjid me jamat ke liye jane k baad , Khade hokar namaz na padh sakega . Aur ghar me padhe to khada hokar adh sakta hai , To ghar me khade hokar padhe . Jamat mayassar ho to jamat se warna tanha padhe.

☪️☪️☪️
QIRAT (Namaz Ka Teesra Farz)

Qirat farz hone ka matlab ye hai ki , Aik ayat padhna farz hai . Farz ki pahli 2 rakato me aur witr , sunnat aur nafil ki har rakat me Imam aur akele padhne wale par farz hai .

Aik choti ayat jis me 2 ya 2 se zyada kalimat ho padh lene se farz ada ho jayega . Aur agar aik hi harf ki ayat ho jaise Saad , Noon , Qaaf to uske padhne se farz ada na hoga .
Farz ki kisi rakat me qirat na ki , ya sirf aik hi rakat me qirat ki to namaz fasid ho gai .
Surah fatiha poori padhna wajib hai . Fatiha me se aik lafz ka bhi chodna tark e wajib hai .
Alhamdu padhne me agar 1 lafz bhi bhool kar vhoot jaye to sajda e sahu kare .
Alhamdulillah  ke saath surat milana wajib hai . Yani 1 choti soorat ya 3 choti ayat , Ya 1 badi ayat jo 3 choti ayat ke barabar ho .
Farz namaz ki pahli 2 rakato me Alhamdu ke saath surat milana wajib hai .
Witr , sunnat aur nafil ki har rakat me Alhadu ke saath surat milana wajib hai .
Imam ne jehri namaz me qirat shuru kar di ho to muqtadi sana na padhe . Balki khamosh rah kar qirat sune kynki qirat ka sunna wajib hai.

☪️☪️☪️
RUKU
Ruku yani itna jhukna ki hath badhaye to hath badhaye to hath ghutne ko pahunch jayen . Ye ruku ka adna darja hai.

Mukammal ruku ye hai ki peeth seedhi bicha de .
Har rakat me sirf 1 hi ruku kare agar bhool kar  ruku kiye to sajda e sahu wajib hai .
Ruku me se kam 1 martaba Subhan Allah kahne ki miqdar tak rukna wajib hai .
Ruku me 3 baar Subhan Rabbial Azeem kahna sunnat hai . 3 Baar se kam kahne me sunnat ada na hogi .
Ruku ki tasbih kahte waqt عظیم   ki  ظ ko Khoob ehtiyat se ada kare . Kuch log Jeem ada karte hain ye sakht gunah hai . Kynki Azeem Aur ajeem ke mano me zameen o aasman ka farq hai . سبحان ربی العظیم ka mana hai paak hai mera rab  jo azmat wala hai . Aur Ajeem ka mana goonga hota hai . aur ye mana Allah ki taraf karna skht mana hai .
Ruku me jane ke liye Allahu akbar kahna sunnat hai .

☪️☪️☪️
SAJDA
Namaz ka 5wan farz – Sajda
Insan ko sab se zyada khuda ka qurb sajde ki halat me hasil hota hai .

Sajda yani peshani , naak , Dono haath ki hatheliyan , Dono ghutne Aur pair ki ungliyan zameen par lagna hai .

Sajda ke masal
Paon ki 1 ungli ka pet zameen se lagna farz hai . Agar kisi ne istarah sajda kiya ki dono pair zameen se uthe rahe to namaz na hogi . Balki agar sirf ungliyon ki pet zameen se lagi tab bhi namaz na hui.
Sajda me dono pair ki ungliyon ke pet zameen se lagna sunnat hai . Aur har pair ki 3 ungli ka zameen se lagna wajib hai .
Sajda 10won unliyon ka qibla ki taraf hona sunnat hai .
Har rakat me 2 baar sajda karna farz hai .
Aik sajda ke baad fauran dosra sajda wajib hai . Yani dono dono sajdon ke darmiyan koi rukn e fasil na ho .
Aik rakat me 2 hi sajda karna aur 2 se zyada sajda na karna wajib hai .
Sajda me kam az kam 1 baar Subhan Allah kahne ke waqt ki miqdar tak rukna wajib hai .
Sajda me jane ke liye aur uthne ke liye Allahu Akbar kahna sunnat hai .
Dono sajdon ke darmayan seedha baithna wajib hai .
Sajda me naak ki taraf nazar karna mustahab hai

☪️☪️☪️
Qaada e Akheera
Namaz ka chatta farz Qaada e akheera / Namaz ke faraiz
Qaada e akheera yani wo baithak ki jis ke baad salam pher kar nama poori ki jati hai . aakhiri qaada me poora tashahud padhna wajib hai .

Aham masail
Qaada e akheera me tashahhud ke baad durood shareef aur duaye masoora padhna sunnat hai .
Afzal ye hai ki durood shareef me Durood e ibrahim padhe .
Durood shareef ke baad duaye masoora arabic me padhen . Gair arabic me padhna makrooh hai .
Qaada me ungliyon ko apni halat par chode rakhe . Yani ungliyan na khuli hui hon aur na mili hui hon balki unki halat par chod de .
Qaada e uoola me  bhi poora tashahhud padhna wajib hai . Aik lafz bhi agar chodega to tark e wajib hoga . Aur sajda e sahu karna padega .

☪️☪️☪️
Namaz ka saatwan farz – Khurooj e bi-sunehi
Khurooj e bi-sune’hi yani apne irade se namaz se bahar aana .

Salam lafze *Assalam* se hi pherna zaroori hai .

Sirf 1 Salam Farz Hai.
Dusra Sunnat.

Har Insaan Ki Namaz Mein FARQ Hota Hai.
Aur Namaz Ko Khoob Concentration Se Farz,Wajib,Sunnat aur Mustahab K Saath Afzal Waqt Mein Padhna Namaz K Sawab Ko Badha Deta Hai

NAMAZ AWR USKE WAJIBAAT AWR UNKI TAFSEELAAT :

Mandarja Zel Baatein Namaz Ke Liye Aur Wajib Zaroori Hain, Agar In Mein Se Koi Wajib Bhool Kar Gaya Chhut To Sajda E Sahw Wajib Hai, Aur Agar Jaan Kar Boojh Chhoda To Sajda E Sahw Se Kaam Nahin Chalega , Dobara Padhni Padegi.

1. Takbir E Tahreema Mein Lafz "Allahu Akbar" Kehna.
2. Surah Fatiha Ko Is Tarah Padhna Ke Uska Ek Bhi Lafz Na Chhute.
3. Surah Fatiha Ke B'ad Kam Se Kam 3 Chhoti Ayatein Ya Ek Badi Ayat Jo 3 Chhoti Ayaton Ke Barabar Ho Padhna.
4. Farz Namaz Ki Pehli 2 Ra'katon Mein Surah Fatiha Ke Sath Surah Milana.
5. Witr, Nafl Aur Sunnat Ki Har Ra'kat Mein "Alhamdu ..." Ke Sath Surah Milana.
6. Alhamdu Sharif Ka Surah Se Pehle Padhna.
7. Surah Padhne Se Pehle Alhamdu Sharif Sirf Ek Hi Bar Padhna.
8. Alhamdu Sharif Aur Surah Ke Darmiyaan Fasl Na Karna Y'ani Aameen Kehne Bismillah Sharif Ke Alawa Aur Kuchh Na Padhna, Na Hi Khaamosh Rehna.
9. Qira'at Ke B'ad Foran Ruku 'Karna.
10. Qauma Y'ani Ruku 'Se Seedha Khada Hona, Aur Kam Se Kam Ek Bar Sub'han Allah Kehne Ki Miqdaar Theharna.
11. Har Ra'kat Mein Ek Hi Ruku 'Hona.
12. Har Ra'kat Mein 2 Sajde Hona, 2 Se Kam Ya 2 Se Zyada Na Hona.
13. 2 Sajde Ke Darmiyaan Jalsa Y'ani Seedha Baithna.
14. Ek Sajda Ke B'ad Foran Dusra Sajda Karna K Donon Ke Darmiyaan Koi Rukn Faasil Na Ho.
15. Sajda Karte Waqt Donon Paun Ki 3 -3 Ungliyon Ka Zameen Par Pet Lagana.
16. T'adeel E Arkaan Y'ani Har Rukn Ko Itminaan Se Ada Karna Y'ani Ruku ', Sajda, Qauma Jalsa Mein Aur Ek Bar Sub'han Allah Kehne Ki Miqdaar Theharna.
17. Dusri Ra'kat Se Pehle Qa'dah Na Karna.
18. Qa'dah E Ula Karna Agarche Nafl Namaz Ho.
19. Qa'dah E Ula Aur Qa'dah E Akhirah Mein Puri "Attahiyyat" Padhna.
20. Farz, Witr, Aur Sunnat E Mokadah Ke Qa'dah E Ula Mein "Attahiyyat" Ke B'ad Kuchh Na Padhna, Na Khaamosh Baithe Sochte Rehna.
21. 4 Ra'kat Ki Namaz Mein Teesri Ra'kat Par Qa'dah Na Karna Aur Chauthi Ke Liye Foran Khade Ho Jana.
22. Jehri Namazon Mein Imam Ka Buland Awaaz Se Qira'at Karna.
23. Sirri Namazon Mein Imam Aur Munfarid (Tanha Namaz Padhne Wala) Ko Aahista Qira'at Karna.
24. Witr Mein Dua Ae Qunoot Ke Liye Takbir Akbar Allahu Kehna.
25. Witr Ki Namaz Mein Dua E Qunoot Padhna.
26. Eidain Ki Namaz Mein 6 Zayed Takbirein Kehna.
27. Eidain Ki Namaz Mein Dusri Ra'kat Ke Ruku 'Mein Jane Ke Liye (Allahu Akbar) Kehna.
28. Ayat E Sajda Padhne Par Sajda E Tilawat Karna.
29. Sajda E Sahw Wajib Hone Ki Soorat Mein Sajda E Sahw Karna.
30. Har Farz Aur  Har Wajib Ko Apni Jagah Ada Karna Y'ani Tarteeb Ke Khilaaf Na Karna.
31. 2 Farz Ya 2 Wajib Ya Wajib Aur Farz Ke Darmiyaan 3 Martaba "Sub'han Allah" Kehne Ki Miqdaar Waqfa Na Karna.
32. Jehri Aur Sirri Namazon Mein Imam Ke Pichhe Ba Waqt E Qira'at Chup Rehna.
33. Qira'at Ke Siwa Tamam Wajibaat Mein Imam Ki Mutab'at Karna.
34. Donon Salam Mein Lafz "As-Salam" Kehna, Alaykum Wajib Nahin.

NAMAZ KI SUNNATEIN AUR UNKI TAFSEELAAT :

Mandarja Zel Baatein Namaz Mein Sunnat Hain, Unka Ada Karna Ba’is E Sawab Chhodna Bura Aur Mehroomi Hai , Sunnaton Ko Hargiz Chhodna Nahin Chahiye Qasdan Chhodne Se Sawab Mein Kami Aur Namaz Naaqis Ho Jati Hai, Magar Sajda E Sahw Waajib Nahin Hota Aur Sunnat Chhodne Ki Aadat Bana Lena Sakht Bura Aur ‘Ataab Aur ‘Azaab Ka Sabab Hai.

1) Takbir E Tahreema Ke Liye Donon Haathon Ko Uthana.
2) Mardon Ko Takbir E Tahreema Kehne Se Pehle Donon Haathon Ko Kaanon Tak Uthana.
3) Aurton Ko Mondhon Tak Donon Haathon Ko Uthana.
4) Hatheliyon Aur Ungliyon Ke Pet Qibla Ki Taraf Rakhna.
5) Haathon Ki Ungliyon Ko Apne Haal Par Rehne Dena Na Khoob Kushada Karna Na Aapas Mein Mili Hui Rakhna.
6) Takbir Kehte Waqt Sar Na Jhukana Balki Seedha Rakhna.
7) Witr Mein Qunoot Ki Takbir Se Pehle Donon Haathon Ko Uthana – Mard Kaanon Tak Aur Aurat Mondhon Tak.
8) Eidain Mein Zaayed Takbiron Se Pehle Donon Hathon Ka Uthana.
9) Har Takbir Mein Lafz Allahu Akbar Ki “Ra” Ko Jazam Padhna.
10) Ek Rukn Se Dusre Rukn Ki Taraf Muntaqil Hote Huye Rukn Ko Allah Ki “Alif” Se Shuru Karna Aur Akbar Ki “Ra” Par Khatm Karna.
11) Imam Ka Buland Awaaz Se “Allahu Akbar” Aur “Samiallahu Liman Hamidah” Kehna.
12) Takbir E Tahreema Ke B’ad Haath Ko Na Latkana Foran Baandh Lena – Mard Naaf Ke Niche Aur Aurat Seene Par.
13) Imam Ki Takbiron Ki Awaaz Muqtadiyon Tak Pahunchane Ke Liye Ba-Waqt E Zarurat Mukabbir Muqarar Karna.
14) Qayaam Mein Paun Ke Donon Panjon Ke Darmiyaan 4 Angul Ka Faasla Rakhna.
15) Qayaam Ki Haalat Mein Thodi Der Ek Paun Par Zor Dena Thodi Der Dusre Paun Par Wazan Dena.
16) Imam Aur Munfarid (Tanha Namaz Padhne Wala) Ko Sana’, Auzubillah, Aur Bismillah Padhna Aur Aahista Padhna Aur Muqtadi Ko Sirf Sana’ Padhna.
17) Pehle Sana’ Phir Auzubillah Uske B’ad Bismillah Padhna Aur Unke Darmiyaan Waqfa Na Karna.
18) Eidain Ki Takbir E Tahreema Ke B’ad Imam Aur Muqtadi Ko Sana’ Padhna Aur Takbiraat E Waajiba Ke B’ad Y’ani Pehli Rak’at Ki Chauthi Takbir Ke B’ad Sirf Imam Ka T’auuz Aur Tasmiyah Padhna.
19) Surah Fatiha Khatm Hone Par Aameen Kehna Aur Aameen Aahista Kehna.
20) Pehli Rak’at Ke B’ad Har Rak’at Ko Bismillah Padh Kar Shuru’ Karna.
21) Ruku’ Mein Jate Waqt Allahu Akbar Kehna.
22) Ruku’ Mein Kam Se Kam 3 Bar “Sub’hana Rabbiyal Azeem” Kehna.
23) Ruku’ Ki Haalat Mein Mard Ka Ghutnon Ko Haathon Se Pakadna Aur Haathon Ki Ungliyon Ko Khoob Khuli Hui Rakhna.
24) Ruku’ Mein Aurat Ka Sirf Ghutnon Par Hath Rakhna Aur Ungliyon Ko Mili Hui Rakhna.
25) Ruku’ Mein Mard Ka Itna Jhukna Ki Peeth Seedhi Ho Jaye.
26) Aurat Ka Sirf Itna Jhukna Ki Haath Ghutnon Tak Pahunch Jaye.
27) Ruku’ Mein Mard Ka Sar Ko Peeth Ke Barabar Rakhna Na Bilkul Jhukaye Na Uncha Karke Rakhe.
28) Aurat Sar Ko Peeth Se Uncha Rakhe.
29) Mard Ka Ruku’ Ki Haalat Mein Taangon Ko Tedhi Na Rakhna Bilkul Seedhi Rakhna.
30) Aurton Ko Ruku’ Mein Taangon Ko Tedhi Rakhna Mardon Ki Tarah Seedhi Na Rakhna.
31) Ruku’ Se Khade Hone Ke Liye Imam Ka “Samiallahu Liman Hamidah” Kehna Aur Buland Awaaz Se Kehna.
32) Muqtadiyon Ko Ruku’ Se Khade Hone Ke Liye “Rabbana Lakal Hamd” Ya “Rabbana Wa Lakal Hamd” Kehna.
33) Tanha Farz Namaz Padhne Wale Ko “Samiallahu Liman Hamidah” Aur “Rabbana Lakal Hamd” Donon Kehna.
34) “ Samiallahu Liman Hamidah” Ki “ Ha” Ko Saakin (Jazam) Padhna Aur “Daal” Ko Khinch Kar Na Padhna K “D” Ke Bajaye “Da” M’alum Ho.
35) “Samiallah” Ki “Seen” Se Sar Uthana Shuru’ Karna Aur “Liman Hamidah” Ki “Ha” Par Seedha Khada Hona.
36) Ruku’ Se Khade Hokar Haathon Ko Na Baandhna Balki Latka Hua Chhod Dena.
37) Sajda Mein Jate Huye Aur Sajde Se Sar Uthate Huye “Allahu Akbar” Kehna.
38) Ruku’ Se Seedha Khada Ho Kar Sajde Mein Jate Waqt Pehle Donon Ghutne Zameen Par Rakhna Phir Donon Haath Phir Naak Phir Peshani Jabki Koi Uzr Na Ho.
39) Donon Sajdon Ke B’ad Khade Hote Waqt Zameen Se Pehle Peshani Phir Naak Phir Donon Haath Phir Ghutne Uthana.
40) Har Sajda Mein Kam Az Kam 3 Bar “Sub’hana Rabbiyal A’ala” Kehna.
41) Sajde Mein Donon Paun Ki Dason Ungliyon Ke Pet Zameen Par Lagna, Aur Unka Qibla Rukh Hona, Jabki Koi Uzr Na Ho.
42) Sajda Ki Haalat Mein Donon Haath Ki Ungliyaan Aapas Mein Mili Hui Qibla Ki Taraf Hona.
43) Sajda Mein Mard Ka Apne Baazu Ko Karwat Se Aur Pet Ko Raan Se Juda Rakhna.
44) Aurat Ko Simat Kar Sajda Karna, Y’ani Baazu Ko Karwat Se, Pet Ko Raan Se, Raan Ko Pindliyon Se, Aur Pindliyon Ko Zameen Se Chipkaye Rakhna.
45) Sajda Mein Mard Ka Apni Kalaiyaan Aur Kohniyaan Zameen Par Na Bichhana Balki Hatheliyaan Zameen Par Rakh Kar Kohniyaan Upar Ko Uthaye Rakhna.
46) Aurat Ka Sajda Mein Kalaiyaan Aur Kohniyaan Zameen Se Lagaye Rakhna.
47) Donon Sajdon Ke Darmiyaan Mard Ka Is Tarah Baithna Ki Baayaan (Ulta) Qadam Bichha Kar Y’ani Mod Kar Us Par Baithe Aur Daayaan (Seedha) Qadam Is Tarah Khada Rakhe Ki Ungliyaan Qibla Ki Taraf Hon Agar Koi Uzr Na Ho.
48) Aurat Donon Paun Daahini (Seedhi) Taraf Nikaal De, Aur Baayein (Ulte) Surin Ko Zameen Par Rakh Kar Baithe, Donon Q’aedon Mein Isi Tarah Baithe.
49) Donon Sajdon Ke B’ad Khade Hote Waqt Donon Panjon Ke Bal Ghutnon Par Haath Rakh Kar Khada Hona.
50) Q’adah E Ula Ke B’ad Teesri Rak’at Ke Liye Uthte Waqt Zameen Par Haath Ko Tek Kar Na Uthna, Balki Ghutnon Par Rakh Kar Uthna.
51) Mard O Aurat Ka Donon Q’adon Mein Usi Tarah Baithna Jis Tarah 2 Sajdon Ke Darmiyaan Baithe The.
52) Q’adah Mein Daayaan Haath Daahini Raan Par Aur Baayaan Hath Baayein Raan Par Is Tarah Rakhna Ki Ungliyon Ke Sire Ghutnon Ke Paas Qibla Ru Rahein, Aur Ungliyon Ko Apni Haalat Par Rehne Dena, Na Khuli Rahein Na Mili Hon.
53) Sunnat E Ghair Mokadah Aur Nafl Namazon Ke Q’ada E Ula Mein Attahiyyaat Ke B’ad Durood Sharif Aur Dua E Maasoora Padhna.
54) Dua E Maasoora Ko ‘Arbi Zabaan Mein Padhna.
55) Attahiyyaat Mein “Ash’hadu-Al-La-Ilaaha-Illal-Laah” Padhte Waqt Daahine Haath Ki Shahadat Ki Ungli Uthana, Is Tarah Se K Daayein Haath Ki Chhungliya (Chhoti Karn Ungli) Aur Uske Paas Waali Ungli Ko Band Karna, Aur Bich Ki Ungli Aur Anguthe Ko Mila Kar Halqa Ki Shakl Mein Bana Dena Phir “La” Par Shahadat Ki Ungli Uthana Aur Lafz “Illa” Par Gira Dena, Aur Haath Ki Hatheli Ko Pehle Ki Tarah Seedhi Bichha Dena, Na Ki Mutthi Baandhe Huye Rakhna.
56) Namaz Puri Karne Ke B’ad “As-Salamu Alaykum Wa Rahmatullah” Kehna.
57) Salam 2 Bar Kehna, Pehle Daayein Taraf Phir Baayein Taraf.
58) Imam Ka Donon Salam Buland Awaaz Se Kehna.
59) Salam Pherne Mein Chehra Itna Pherna Ki Pichhe Se Ek Taraf Ka Rukhsaar Dikh Sake.

NAMAZ KI KUL 6 SHARTEIN HAIN :
1.     Taharat
2.     Satr E Aurat
3.     Istaqbal E Qibla
4.     Waqt
5.     Niyyat
6.     Takbir E Tahreema

Hukm: Upar Jin Sharton Ka Zikr Hua Hai, Un Mein Se Agar Koi Ek Shart Bhi Bila Uzr Sahi Na Payi Jaye, Qasdan Ho Ya Bhool Kar To Namaz Hogi Hi Nahin.

SHARAYET E NAMAZ KI TAFSEELAAT 

1.     Taharat: Y’ani Namazi Ke Badan Ka Hads E Akbar (Jis Se Ghusl Wajib Hota Hai) Hads E Asgar (Jis Se Wazu Tut’ta Hai) Aur Najasat E Haqeeqiya Qadr E Maane’ (Yani Utni Najasat Jis Se Namaz Durust Na Ho) Se Pak Hona, Yun Hi Kapde Aur Namaz Padhne Ki Jagah Ka Najasat E Haqeeqiya Qadre Maane’ Se Pak Hona Namaz Ki Pehli Shart Hai.

2.     Satr E Aurat: Y’ani Namazi Ke Badan Ke Wo Tamam Hisse Jin Ka Chhupana Farz Hai, Un Ko Namaz Ki Haalat Mein Chhupa Hua Rakhna Namaz Ki Dusri Shart Hai. Mard Ke Liye Satr E Aurat Naaf Ke Niche Se Lekar Ghutnon Ke Niche Tak Hai, Aur Aurat Ke Liye Uska Saara Badan, Siwaye Munh Ki Tikli, Hath Ki Hatheliyon Aur Paun Ke Talwon Ke.

3.     Istaqbal E Qibla: Y’ani Namaz Ki Haalat Mein K’abah Ki Taraf Munh Karna, Namaz Ki Teesri Shart Hai.

4.     Waqt: Y’ani Islam Ne Namazon Ke Liye Jo Awqaat Muqarar Kiye Hain Unka Shuru’ Ho Jana, Namaz Ki Chauthi Shart Hai, Agar Waqt Se Pehle Namaz Padhi To Na Hogi.

5.     Niyyat: Y’ani Takbir E Tahreema Se Pehle Jis Namaz Ke Padhne Ka Irada Hai Uska Dil Mein Pukhta Irada Karna, Namaz Ki Panchwein Shart Hai. Niyyat Dar Asl Dil Ke Irade Ka Naam Hai, Magar Zaban Se Niyyat Ke Alfaaz Keh Lena Mustahab Hai.

6.     Takbir E Tahreema: Yani Niyyat Ke B’ad Namaz Shuru’ Karne Ke Irade Se Wo Alfaaz Kehna Jo Khaas Allah Ta’ala Ki Ta’zeem Par Dalalat Karte Hain, Jaise Allahu Akbar, Allahu Ajal, Allahu A’zam, Allahu Kabeer, La Ilaha Illal Laah,Tabarakallah, Sub’han Allah, Ya Alhamdulillah Wagairha, In Alfaaz Ke Keh Lene Se Namaz Shuru Ho Jayegi Magar Lafz Allahu Akbar Kehna Wajib Hai, Usko Dusre Alfaaz Se Badalna Makrooh E Tahreemi Hai, Takbir E Tahreema Namaz Ki Chhati Shart Hai.

Namaz Mein Galti Ho Jaye Toh Sajda e Sahw Karen

SAJDA E SAHW WAJIB HONE KI SOORATEIN :

Ø  Namaz Ke Wajibaat Mein Se Koi Wajib Bhool Kar Chhut Jaye Maslan Farz Ki Pehli 2 Rak’aton Mein Surah Fatiha Bhool Jaye Ya Surah Milana Bhool Jaye

Ø  Ya Kisi Wajib Ko Us Ki Jagah Se Muqaddam Ya Muakhkhar (Aage Ya Pichhe ) Kar De Maslan Surah Pehle Padhe Aur Alhamd Uske B’ad Padhe

Ø  Ya Kisi Wajib Ki Adayegi Mein Ek Rukn Y’ani 3 Bar Sub’han Allah Kehne Ki Miqdaar Khada Sochta Raha Ki Kya Padhun?

Ø  Ya Kisi Wajib Ko Dobara Ada Kare, Maslan Surah Fatiha Ko Farz Ki Pehli 2 Rak’aton Mein 2 – 2 Bar Padhe Ya Sirf Pehli Mein 2 Bar Padhe.

Ø  Ya Kisi Wajib Ko Badal De Maslan Imam Jehri Namaz Mein Aahista Aur Sirri Mein Buland Awaaz Se Qira’at Kare

Ø  Ya Namaz Ke Farzon Mein Se Kisi Farz Ko Uski Jagah Se Hata Kar B’ad Mein Ada Kare Maslan Pehle Sajda B’ad Mein Ruku’ Kare

Ø  Ya Kisi Farz Ko Mukarrar Ada Kare Y’ani Jis Farz Ko Ek Rak’at Mein Ek Hi Bar Ada Karna Hai Us Ko 2 Bar Ada Kare Jaise Ruku’ 2 Bar Ada Kare Ya Jis Farz Ko 2 Martaba Ada Karna Hai Us Ko 2 Se Zyada Bar Ada Kare Maslan Ek Rak’at Mein 2 Sajde Ke Bajaye 3 Ya 4 Sajde Kare. In Sab Suraton Mein Sajda E Sahw Wajib Hai.

SAJDA E SAHW KE 3 TAREEQE

Tareeqa No1: Sajda E Sahw Kisi Kami Ki Wajah Se Wajib Hua Ho Ya Kisi Zyadati Ki Wajah Se Usko Ada Karne Ke Liye Hanafi Maslak Mein 3 Tareeqe Hain. Pehla Tareeqa Ye K Aakhri Qa’dah Mein Puri Attahiyyaat Padhne Ke Bad Dahini (Seedhi ) Taraf Salam Phere, Uske Ba’d 2 Sajde Kare Aur Donon Sajdon Mein Hasbe Dastoor “Sub’hana Rabbiyal A’la” Padhe, Phir Sajde Se Sar Utha Kar Qa’dah Mein Baithe Aur Dobara Attahiyyaat, Durood Sharif Aur Dua E Maasura Padh Kar Namaz Se Nikalne Ke Liye Donon Taraf Salam Phere. (Alamgiri Pg. 65, J1)

Mas’ala: Sajda E Sahw Ke Waqt Attahiyyaat Ke B’ad Agar Salam Nahin Phera Aur Sajda E Sahw Kar Liya To Bhi Jaiz Hai Magar Aisa Karna Makrooh E Tanzihi Hai. (Alamgiri Pg. 65 J1)

Mas’ala: Agar Bhool Kar Donon Taraf Salam Pher Diya Aur Fouran Yaad Aa Gaya Ki Sajda E Sahw Karna Hai To Usi Waqt Sajda E Sahw Kare Phir Attahiyyaat Wagirah Padh Kar Salam Phere, Namaz Ho Gayi, Ba-Sharte Ki Koi Aisi Chiz Jo Namaz Ke Manafi Ho Na Payi Gayi Ho, Magar Qasdan Donon Taraf Salam Pher Diya Aur Yaad Tha Ki Sajda E Sahw Karna Hai To Is Soorat Mein Namaz Lautani Padegi, Sajda E Sahw Se Kaam Na Chalega. (Alamgiri Pg. 65 J1, Fatawa Razaviyya Pg. 638, J 4)

Mas’ala: Agar Munh Saamne Kiye Huye Salam Ke Alfaaz Kahe Chehra Phera Nahin Aur Sajda E Sahw Kar Liya To Bhi Namaz Ho Gayi Lautane Ki Zarurat Nahin. Imam Fakhrul Islam Alaihir Rahma Ne Isi Ko Ikhtiyaar Farmaya Hai. (Fatawa Amjadiya, Pg. 281, J1)

Tareeqa No. 2: Dusra Tareeqa Ye Hai Ke Aakhri Qa’dah Mein Attahiyyaat, Durood Sharif Aur Dua Padh Kar Dahini Taraf Salam Phere Aur Sahw Ke Liye 2 Sajde Kare, Phir Qa’dah Mein Baith Kar Sirf Attahiyyaat Padhe Aur Donon Taraf Salam Phere, Durood Sharif Aur Dua Padhne Ki Zarurat Nahin. (Fatawa Amjadiya Pg. 281, J1)

Tareeqa No. 3: Teesra Tareeqa Ye Hai Ki Aakhri Qa’dah Mein Attahiyyaat , Durood Sharif Aur Dua Padh Kar Dahini Taraf Salam Phere Aur Sahw Ke 2 Sajde Kare, Phir Baith Kar Qa’dah Mein Dobara Attahiyyaat , Durood Sharif Aur Dua E Maasura Padh Kar Donon Taraf Salam Phere. ( Alamgiri Pg. 65, J 1, Fatawa Amjadiya Pg. 281, J 1)

Hazrat E Sadrush Shari’ah Maulana Amjad Ali Azmi Alaihirehma Musannif E Bahar E Shari’at Alaihir Rahma War-Ridwan Mazkura Teenon Tareeqon Ke Bare Mein Farmate Hain, Sab Durust Hain In Mein Se Koi Soorat Makruh Bhi Nahin Hai Aur Ye Sab Tareeqe Mazhab E Hanafi Ke Mutabiq Hain. (Fatawa Amjadiya Pg. 281 J 1)


Mufsidat e Namaz
Jin Cheezon Se Namaz Toot Jati Hai
1. Namaz mein baat karna.
2 Kisi ko salam karna ya jawab dena
3. Dard, takleef ki waja se awaz nikalna ya karahna.
4. Apne imam ke ilawa kisi ko luqma dena (Yani ghalti batana).
5. Namaz mein Quran Majeed ko dekh kar parhna.
6. Quran Majeed parhne mein koi aesi sakht ghalti karna ke mana badal jaye.
7. Khana peena thookna.
8. Qibla ki taraf se bila uzar seena pher lena.
9. Satar khul jana.
10. Qehqaha maar kar hansna.
11. Amal e kaseer karna yani koi aesa kaam karna ke dekhne wala samjhay ke yeh admi Namaz ki halat mein nahi  hai, jaise mobile istemal karna, zip lagana, button lagana, lace bandhna wagaira

Yeh Mufsidat e Namaz hai jin ke karne se Namaz toot jati hai.

Namaz K Aur Bhi Masle Masail Janne K Liye Hamara Post No. 31 Zarur Padhe Aur Usko Aam Kare.