Qurb E Elahi 
Ka Safar Sachchi TAWBA Se Shuru Hota Hai. Isliye Gunah (Sagira o Kabira) aur Tawba Ka ELM Hasil Karna Har Musalman Mard o Aurat Par FARZ Hai.

Sufiya Qurb E ALLAH Hasil Karne Ki Koshish Mein Apni Zindigi Laga Dete Hai. Isliye Har Silisila E Tariqat Mein Tawba, Wara' (watchfulness) Ki Taaleem Pehle Di Jati Hai. 

SACHCHI TAUBA KAISE KARE?
Sachchi Tauba Ki 3 Shart Hoti Hai Agar Ye Paayi Gai Toh Tauba Ko Kamail Sajhe Aur 100% Yaqeen Rakhe Ki Gunah Ko Allah Ne Apne Fazal o Karam Se Mita Diya

1. Gunah Par Sharminda Hona 
(Apni Galti Maana)

2  Gunah Ko Phir Se Nahi Dauhrane Ka Pakka Irada Karna aur Uspar Qayam Rehna

3. Tauba Sirf Allah Ki Raza Hasil Karne K Liye Hona
(Dunyavi Kisi Qism Ka Dikhawa Wagaira Na Ho, Under Pressure Na Ho)

Allah Sirf DIL Dekhta Hai 
(Surat Shakal Maal Daulat Nahi Dekhta)

DIL Mein Asal Sharmindigi Ho Tab Kaam Banega!

Aur Agar Insaano Ka Gunahgaar Hai
Jaise Zulm Kia Ghapla Kia Loot Maar Kia Chori Kia Geebat Chugli Bohtan Kia Toh Pehle INSAAN Se Bhi Mafi Talab Kare

Agar Kisi Ki Chori Kia Ho, Ghapla Kia Ho, Loot Maar Kia Ho Aur Us Paise Se HAJJ Karke Allah Se Maafi Talab Kare Toh GUNAH Badhe Ga Kum NAHI Hoga.

Wo Paisa Pehle Return Karo
Phir Us Insaan Se Maafi Mango

Aur Phir Allah Ki Bargah Mein Sachchi TAUBA Karo.

Phir Allah Ki Rehmat Se Ummeed Rakho Ki Wo Maaf Farma Dega.

Shariyat aur Tariqat Dono Alag Nahi Hai Balki Shariyat Doodh Ki Tarha Hai Aur Tariqat Malai Hai. Begair Shariyat Ki Pabandi Kare Tariqat Mein ENTRY Hai Hi Nahi. 

☪️☪️☪️
Shariat Ki Pabandi Se Roohaniyat (Tariqat) Ka Talluq -

Jo Ye Falsafa Rahte Hai Ki Shariat Alag aur Tariqat Alag Wo Galat Hai. 
Shariat Ki Pabandi Matlab 
Aqida Durust
Gunah Tark
Neki Mein Izafa
Darajat Ki Bulandi
Ushi Se ROOHANIYAT Badhti Hai 
Qalb Mein Neki Ka Noor Jama Hona Hi Rohhani Taraqqi Hai
Lekin Ye Noor Gunah Se Mand Padh Jata Hai Ya Zaye Hojata Hai (ab gunah se bachna bi zauri) 
LEAKAGE HOGA TOH NOOR NAHI JAMA HOGA.
Ab Jo Jitna NOOR Jama Kar Le Wo Utna Hi Bada BUZURG

Iske Baad Thoda ADVANCE Level Par Jana Hai Roohaniyat Mein Toh -
LEVEL 2
Kisi Achche Silsile Mein Achche Peer Se BAYT Hojao
Shajra Padha Karo
Uski Fatiha Kara Karo
Panj Gang Qadri Hisar K Saath Daily Karo
Phir Peer Se Ilteja Karke QALB Jari Kara Lo
Uske Baad Baki 6 Roohani Lataif Bhi Waqt K Saath Jari Hojayenge

EXPERT LEVEL Par Aajaoge.

Kohi Agar Ye Dawa Kare Ki Wo Tariqat Ko Manta Hai Shariyat Ki Zarurat Nahi Wo Gumrah Hai aur Jhoota Bhi. Shariat Ko Hi Nahi Manaege Toh Phir Har Mahina Chand Kiyun Dekhte Hai, Taharat Kiyun Karte Hai, Nikah Kiyun Karte Hai? Ye Sab Bhi Shariyat Se Hi Hai.
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا تُوبُوا إِلَى اللَّهِ تَوْبَةً نَّصُوحًا
Eh Iman walon Allah ke samne sachchi tauba karo
اے ایمان والوں  اللہ کے سامنے سچی توبہ کرو  
एह ईमान वालों अल्लाह के सामने सच्ची तौबा करो
O you who have believed, Repent to Allah with sincere repentance
Surah Tahrim 66:8
Ye Allah Farma Raha Hai,
Ksse - Iman Walon Se (Aap Se Hum Se) Sachchi Tauba
(Matlab Aise Tauba Jiske Baad Wo Gunah Repeat Na Ho) Repeat Hua To Tauba Sachchi NAHI Hai.

Tauba Ka Tariqa Agar Gunah Hua Ho Ya Hojaye Fauran Astagfar Padho Ya Dil Hi Mein Kaho ALLAH Maaf Farma aur Pakka Irada Karo Ki Ye Gaalt Kam Aap Kabhi Nahi Karoge! Phir Kuch Namaz Padho Ya Sadqa Karo.
(Mustahab Hai)

Gunah Kisi Ko Batane Ki Zarurat Nahi Islam Mein DIRECTLY Allah Se Maafi Mango! Christian Log Priest K Paas Jate Hai Confession Karte Hai, Islam Mein Waisa Nahi. Aur Agar Gunah Maaf Na Ho Toh RasulAllah Ka Wasila Pesh Karo! Allah Raheem Hai.

Aur Agar Jab Wo Apni Jano Par Zulm
Kare To Ai Rasul Tumhare
Huzoor Hazir Ho'n Aur Phir ALLAH se
Ma'afi Chahe Aur RASOOL UN KI
SHAFA'AT FARMAE to zaroor ALLAH ko Bahot Tauba Qubool Karne Wala
Maherban Pae'n
(Quran 4:64)

Jo Neki Kare Wo Apne Bhale Ko Aur
Jo Burai Kare To Apne Bure Ko Aur
Tumhara Rab Bando Par Zulm Nahi
Karta
(Quran-41:46)

Yeh Nabi Musalmano'n Ka Un Ki Jaan
Se Zyada Malik Hai
(Quran 33:6)

Ai Hamare Rab Bakhsh De Hamre
Gunah Aur Jo Zyadatiya'n Hamne Apne Kam Me Ki'n Aur Hamare
Qadam Jama De Aur Hame'n In Kafir
Logo'n Par Madad de
(Quran 3:147)

Ai Rab Hamare Tu Hamare Gunah
Bakhsh De Aur Hamari Buraiya'n
Mahu Farmade Aur Hamari Maut
Achcho'n K Sath Kar
(Quran 3:193) 

Ai Hamare Rab Mujhe Bakhsh De Aur
Mere Maa Bap Ko Aur Sab
Musalmano'n Ko Jis Din Hisab Qa'em
Hoga
(Quran 14:41)

Aur Isliye K Qayamat Aane Wali Isme
Kuch Shak Nahi Aur Yeh K Allah
Uthae Ga Unhe Jo Qabro'n Me Hain
(Quran: 22:7) 

Aur Tum Arz Karo K Ai Mere Rab Teri
Panah Shayateen K Waswaso'n Se
(Quran 23:97.) 

Wo Jo Iman Lae Aur Un K Dil ALLAH
Ki Yad Se Chain Pate Hain .Sun Lo
ALLAH Ki Yad Hi Me Dilon Ka Chain
(Al Quran)

To Jo Iman Lae Aur Achche Kam Kiye
Un K Liye Bakhshish Hai Aur Izzat Ki
Rozi
(Quran22:50) 

Ai Maheboob Beshak Ham Ne Tumhe
Be Shumar Khoobiyan Ata Farmai
(Quran 108:1) 

Ai Iman Walo ALLAH Se Daro Aur
Sachcho K Sath Ho
(Quran 9:119) 

Beshak Tumhare Pas Tashreef Lae
Tum me Se Wo Rasool Jin Par
Tumhara Mashaqqat Me Padna Giran
Hai Tumhari Bhalai K Nihayat
Chahne Wale Musalmano Par Kamal
Maherban Maherban
(Quran 9:128) 

TAUBA Allah Se Karo Wasila RasulAllah Ko Banao! Tauba Jald Qabool Hogi, Qayamat Mein RasulAllah Ki Shifaat Bhi Naseeb Hogi! Tauba ki qabuliat ke liye mundarja zail sharait h- 

1.Agar ittifaqan gunah ho jaye to fauran Allah Ta’ala ko yaad kare der na lagaye aur yeh samjhe ke uske siwa koi nahi hai jo maaf kare. Jaan boojh kar gunah par ade na rahen .
Allah Ta’ala farmata hai :
“Aur mut-taqi woh log hain ke jab woh behayai ka koi kaam ya apni jaano par koi zulm kar baithte hain to ( fauran ) Allah ko yaad karte hain aur ( usse )apne gunaaho ki maafi mangte hain aur Allah ke ilawa gunaaho ko maaf kar bhi kaun sakta hai aur woh jaan boojh kar kisi burey kam par ad nahin jate. “
( Al-Imran : 135)

2.Agar nadani se gunah kar baithe to fauran tauba kare, der na kare. maut ke waqt tauba karna bekar hai .
Allah taala farmata hai :
“Allah Ta’ala sirf unhi logon ki tauba qubool farmata hai jo nadani se koi bura kaam kar baithte hain aur phir bohat jald tauba kar lete hain, Allah Ta’ala aise hi logon ki tauba qubool farmata hai aur woh bade ilm wala, badi hikmat wala hai .”
“Allah aise logon ki tauba qubool nahi farmata jo ( musalsal ) bure kaam karte rahte hain yahan tak ke jab un mein se kisi ko maut aane lagti hai to kahta hai ( Ai Allah) mein ab ( un bure kamon se ) tauba karta hun aur Allah un logon ki tauba qubool nahi farmata jo kufr ki haalat mein mar rahe hote hain, un ( sab ) logon ke liye Allah ne dard naak azaab tayyar kar rakha hai.”
( An-Nisa: 17, 18)

3. Tauba karne ke baad nek amal kare aur us gunah ko phir na kare .
Allah taala farmata hai :
“Aur jo shakhs tauba kare aur nek amal kare to woh goya Allah ki taraf yun rujoo karta hai jaisa ke rujoo karne ka haq hai .”
( Al -furqan: 71 )
Allah Ta’ala farmata hai :
“Magar woh gunahgaar jo gunah kare phir ( us ) gunah ke baad uske badle neki kare to yaqeenan mein bohat bakhshne wala behad meharban hun.”
(An-Naml-11)

4. Khulus niyat se tauba kare .
Allah Ta’ala farmata hai :
“Ai imaan walo, Allah se khalis dil se tauba karo, qareeb hai ke tumhara Rab tumhari buraiyon ko door kar de aur tum ko aisi jannaton mein daakhil kare jinke neeche nahrein bah rahi hain .”
(Al Quran)

5.Gunah kitney hi ho gaye hon tab bhi Allah Ta’ala se naumeed na ho Allah Ta’ala se sachey dil se tauba karen. Allah Ta’ala tauba qubool farmayega .
Allah Ta’ala farmata hai :
“Kaho Ai mere woh Bando jinhon ne apni jaano par zayad-ti ki hai Allah ki rehmat se mayoos na hona yaqeenan Allah saare gunah maaf farma dega yaqeenan woh bohat bakhshne wala nihayat rahem karne wala hai .”
(Al- Zumar : 53)

Hadees
Abu Said Al-Khudri RaziAllahu anhu se riwayat hai ke Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :”Bani Israel mein 1 shakhs tha jis ne 99 khoon na-haq kiye they phir woh (nadim ho kar ) masla poochne nikla. Woh ek darwesh(monk) ke paas aaya aur usse poocha kya is gunah se tauba qubool hone ki koi soorat hai?
Darwesh ne jawab diya ke “Nahin “.
Yeh sun kar usne us darwesh ko bhi qatal kar diya ( aur 100 khoon pooore kar diye ) phir woh ( doosron se ) poochne laga. Aakhir is ko ek darwesh ne bataya ke falan bastii mein chala ja ( woh adhe raste bhi nahi pahuncha tha ke ) uski mout waqey ho gayi. Martey martey usne apna seena us bastii ki taraf jhuka diya( jaha usne ummid ki thi ke uski tauba qubul ho jayegi).Aakhir rehmat ke firshton aur azaab ke firshton mein bahum jhagda hua( ke kaun usey le jaye Rahmat ke farishte kahte hain ke uski rooh ko ham le jayenge kyunki ye tauba ka pukhta irada rakhta tha, azaab ke farishte kahte hain ke uski rooh ko ham le jayenge kyunki ye sakht gunahgar tha ) lekin Allah Ta’ala ne us Nasra naami bastii ko ( jahan woh tauba ke liye ja raha tha ) hukum diya ke uski mayyat ke qareeb ho jaye aur doosri bastii ko ( jahan se woh nikla tha ) hukum diya ke uski mayyat se door ho ja. Phir Allah Ta’ala ne firshton se farmaya ke ab dono ka faasla dekho aur ( jab naapa to ) us bastii ko ( jahan woh tauba ke liye ja raha tha ) ek balisht mayyat se nazdeek paaya is liye woh bakhsh diya gaya.
Sahih Bukhari :3470

Hazrat ALI Radiyallahu Ta’ala Anhu farmate hain ke, Jab HUZOOR Sallallahu Alaihe Wasallam ke wisaal farmane ke kuch roz baad ek aaraabi Qabr e Anwar par haazir hua aur Qabr e Anwar ki khaak apne sar par daalne ke baad kehne laga:
“YA RASOOLALLAH Sallallahu Alaihe Wasallam! Jo kuch aapne farmaya hum ne suna aur Aap se humne Quraan ki ye aayat bhi suni ke
‘Jo log apni jaano par zulm kar baithe wo aap ke paas haazir ho.’
Aye ALLAH ke RASOOL Sallallahu Alaihe Wasallam! Main apni jaan par zulm kar baitha hu aur ab gunaahon ki muafi ke liye Aapke paas aaya hun.’
Aaraabi ne ye kaha to Qabr Anwar se aawaaz aayi ke, ‘Jaao! ALLAH ne tumhe bakhsh diya.’
SUBHANALLAH.
(Hawala: Hujjatullah Alal A’alamin, Safa-777)

Awlia Allah K Waisila Bhi Tauba K Liye Pesh Kar Sakte Hai, Ye Ayat 

"To Beshak ALLAH unka Madadgar Hai
Aur Jibrail aur Nek Iman Wale aur
Us k Bad Farishte Madad Par Hai".
(Quran 66:4)
Nek Iman Wale Mentioned Hai
Sahaba 
Awlia
Yahan Tak K Hafiz E Quran Ka Wasila aur Shaheedon Ka Wasila Bhi Mubarak Hai.

"Qayamat ke din Jahanamiyo ko sabse kam aazab yeh hoga ke aag ke Jute pahnaye jayege jinki garmi se uska dimag khoulta hoga"
(Muslim)

"Logon ko utni jaldi maff kar diya karo jitni jaldi tum ALLAH say muaafi ki umeed rakhte ho".
Hazrat Umar Khattab R.A

"Jo Istigfar karta rehta hai, Wo Gunah par adne wala Shumar nahi hota, agar che Din me 70 martaba Gunah kare".
ABU DAWOD

"Aur zahiri aur poshida har tarah ke Gunah karna Chod do,Jo log Gunah karte hain wo anqarib apne kiye ki saza payenge." (Sura Al-Anaam:120)

Gunaaho Ke Do (2) Kism Hotey Hai,
1. Gunaah-e-Saghira (Chote Chote Gunah)
2. Gunaah-e-Kabira (Bade Bade Gunaah)
Gunaah-e-Saghira Acche Amaal Aur Ibadat Ki Barkat Se Muaf Ho Jate Hai, Lekin Gunaah-e-Kabira Uss Waqt Tak Muaf Nahi Hotey
Jab Tak Sacche Dil Se Taubah Karke Unsey, Hamesha Ke liye Parhez Karne Ka Pakka Ahad Na Kiya Jaye.

Jaise Kohi Sharab Pita Hai Aur Sadqa Deta Hai!
Ab Ye Sadqa Iske Gunah Nahi Khatam Karwa Sakta!
Isko TAUBA Karni Hogi Aur Hamesha K Liye Sharab Tark Karna Hoga.
Tab Ye Allah Se Ummeed Kar Sakta Hai Ki Sharab Pine Ka Gunah Maaf Hoga!

1. Janaze Ko Kandha Dena
2. HAJJ E MAQBOOL 
3. Salat ut Tasbeeh
4. Sachchi Tawba
Ye 4 Amal Aise Hai Jisse Gunah E Kabira Maaf Hojate Hai. Is Par Ulema E Ahle Sunnat Ki Ijma Hai.

Kafir Se Kohi Kohi Musalman Hua,
Uske Saare Gunah Maaf (Sagira aur Kabira Dono).

Sawal: Gunah e Kabira o Saghirah me kia Farq hey ?
Jawab: Gunah e Kabirah 700 hen. In ki Tafseel bohat Taweel. Allah Azzawajal ki Masiyat Jis Qadar hey Sab Kabirah he. Agar Saghirah o Kabirah ko Alaihda Shumar kia jaey to Log Saghair (Yani Saghirah Gunahon) ko Halka Samjhen gey, wo Kabirah se bhi Badtar hojaega. Jis Gunah ko Halka jan kar karega wohi kabirah hey. In ke Imtiyaz ke liye Sirf is Qadar kafi hey ke Farz ka Tark Kabirah hey aur Wajib ka Saghirah. Jo Gunah Be Baki aur Israr se kia jaey Kabirah hey.
(Malfoozat-e-Ala Hazrat, Page 137)

Jin per Waeed-e Aayi Hai, jo Bagair Toba k Muaaf Nahi Hote Aur aik Gunah bhi Jahannam me le Jane k liye kafi Hai.
1.Hiqarat se kisi pr hnsna.
2.Ta’an Karna.
3.Bure Laqab se Pukarna.
4.Badgumani karna.
5.Kisi ka Aib talash karna.
6.Kisi ki Gibat karna.
7.Bila waje kisi ko bura Bhala khna.
8.Chogli khana.
9.Tohmat Lagana.
10.Dhoke dena.
11.Aar dilana.
12.Kisi k Nuqsan per Khush hona.
13.Takabbur karna.
14.Faqr Karna.
15.Zarurat mand k bawajood Khudrat k Madat na karna.
16.Kisi k maal ka Nuqsan karna.
17.Kisi ki Aabru per Sadma Pohchana.
18.Choto per rahem na karna.
19.Bado ki Izzat na Karna.
20.Bhuko aur Nango ki Haisiyat k Mua’fiq madat na karna.
21.Kisi Dunyawi ranj se 3 din se zyada bolna Chhordena.
22.kisi ki Zameen per Mooursi ka Da’wa karna.
23.Kisi Jandar ki Tasweer Banana.
24.Hatte katte ko Bheek mangna.
25.Dadhi Mundwana ya aik musht se km per Katarwana.
26.Kafiro aur Fasiqo ka Libas Pahenna. (Jaise TIE Christian Ka Libas Hai Zakir Naik Pehenta Hai)
27.Mardo ko Aourton ka Libas Pahenna.
28.Aourton ko Mardon ka Libas Pahenna.
29.Bdkari karna.
30.Chori karna.
31.Daketi Daalna.
32.Jhuti Gawahi dena.
33.Yateem ka maal khana.
34.Be khata jaan ko qatal karna.
35.Maa Baap ki Nafarmani karna aur un ko Takleef dena.
36.Jhuti Qasam khana.
37.Rishwat Dena.
38.Rishwat Lena.
39.Rishwat k mua’mle me Padhna.
40.Sharab Pina.
41.Juwa khailna.
42.Zulm karna.
43.Kisi ki koi cheez Bagair Ijazat lena.
44.Sood dena.
45.Sood Lena.
46.Sood likhna.
47.Sood per Gawah Banna.
48.Jhoot Bolna.
49.Amanat me Khayant karna.
50.Wada Khilafi Karna.
51.Oopher se Pehne huwe Kapdo se Takhno ko Dhakna.
52.Bagair uzre Sharaie Jamat Chhord dena.
53.Shar’ie parda na karna.
54.Shar’ie Tariqa se tarke ko Taqseem na karna bilkusoos Bahno ko miras me se un ka Hissa na Dena.
55.Riya kari karna yani dikhawe k liye koi kaam karna.
56.Duniya kamane k liye ilm deen Hasil karna.
57.Padosi ko Takleef Pohchana.
58.Qat’a Rahmi karna Yani Qareebi Rishtedaron se kisi Dunyawi ranjish ki wajeh se Ta’aluq todna.
59.Allah k farayez me se kisi Farz ko Chhordna Masaln Namaz, Roza, Zakat, Haj Farz hone k Bawajood ada na karna.
60.Paishab k Chinton se Badan aur Kapde ki Hifazat na Karna.
61.Kisi se kina Rakhna yani Bdla lene ka jazba dil me Rakhna.
62.Ajab yani apne Aap ko Accha Samajhna.
63.Bukhal yani Shariyat ne Jaha Kharch krne ka Hukm diya hai Waha Kharch na Karna.
64.Hirs yani maal jama Karne me Haram aur na Jayez Tariqon se na Bachna.
65.kisi jaandar ko Aag me Jalana.
66.Maal ko Gunah per Kharch karna.
67.Mazdoor se kaam le kr us ki mazduri Na dena ya km dena Ya Dair karna.
68.Khud kshi karna.
69.Jadu tona karna ya karana.
70.Shara’an jo kaam krna zaroori hai ba wajood Khudrat k un ka hukm na karna, Isi tarah jo kaam Haram hai Ba wajood khudrat k us se na rokna.
71.Allah ki Rahmat se Mayus hona.

Allah Tala Hame Gunaho se Bachne ki Toufeeq Ata Farmaye.

Gunah Karne se 27 Qisam k Nuqsanat Duniya me Paish Aate Hai 
1. Gunah karne se Aadmi Ilm deen se Mahroom ho jata hai.
2. Gunah karne se Rizq me Kami ho Jati hai.
3. Gunah karne se Khuda Tala se Wahshat hoti hai.
4. Gunah karne se Aadmiyon se Bilkhusus Naik logo se Wahshat hone Lagti hai.
5. Gunah karne se Aksar kamo me Dushwari Paish Aati hai.
6. Gunah karne se Qalb me Aik Qisam ki Tariki Mahsoos hoti hai.
7. Gunah karne se Dil aur jism me Kamzori Paida hojati hai.
8. Gunah karne se Aadmi Ta’aat (ibadat) se Mahroom ho jata hai.
9. Gunah karne se Umr Ghat ti hai aur Zindagi ki Barkat Nikal jati hai.
10. Gunah karne se Aik Gunah doosre Gunah ka sabab ban jata hai.
11. Gunah karne se toba ka Irada kamzor hojata hai yaha tk k Toba ki Toufeeq Khatam ho jati hai.
12. Gunah karne se chnd roz me Gunah ki burai dil se Khatam hojati hai.
13. Har Gunah Dushmana ne khuda me se Kisi ki meeras hai, Lehaza ye Shaksh Mal’oon Qoumo ka waris banta hai.
14. Gunah karne se khuda Tala k Nazdeek Zaleel-o-Khwar ho jata hai Aur Makhlooq me bhi izzat nahi Rahti.
15. Gunah ki Nahusat se Doosri Makhlookh ko bhi Zarar Pahonch ta hai is wajeh se digar Makhluqat is per la’nt Karti hai.
16. Gunah karne se Aqal me Futoor aur kami ho jati hai.
17. Gunah karne se Gunahgar Shaksh Huzoor S.A.W ki la’nt me Dakhil ho jata hai Kyu k Aap ne bahot se Gunaho per La’nt Farmai hai. 18. Gunah karne se Aadmi Farishton ki Dua se Mahroom ho jata hai.
19. Gunah karne se Tarah Tarah ki Kharabiya Zameen me paida ho jati hai Pani, Hawa, Galla, Phal naqis Hojata hai.
20. Gunah karne se Haya aur Gairat jati Rahti hai.
21. Gunah karne se Allah Tala ki Azmat dil se Nikal jati hai.
22. Gunah karne se Ne’maten Salb hojati hai Balao aur Musibaton ka Hujoom hota hai.
23. Gunah karne se Tareef aur Izzat k Laqab Chin kar Zillat-o-Ruswai k Khitabaat milte Hai Masaln Fasikh, Fajir, Zalim Wagaira.
24. Gunah karne se Shayateen us per Musallat ho jate hai.
25. Gunah karne se dil ka Itminan Jata Rahta hai.
26. Gunah karne se khuda ki Rahmat se Na Ummidi ho jati hai is Wajeh se toba nahi karta Aur be toba Marta hai.
27. Gunah karte karte Wahi Gunah dil me Bus jata hai Yaha tk k Marte Waqt kalima Tk Muh se Nahi Nikalta.

Hazrat Abu hurairah r.a se riwayat hai k Rasulullah s.a.w ne farmaya: Momin banda jab koi gunah karta hai to us k natije me us k dil per aik siya noqta lag jata hai, phir agr us ne us gunah se toba ki aur Allah Tala k huzoor memuaafi aur bakhshish ki ilteja o dua ki to wo siya noqta zayel ho kar qalb (dil) saaf ho jata hai aur agr us ne gunah k baad toba o istegfar k bajaye mazeed gunah kiye aur gunahon ki wadi me qadam badhaye to dil ki wo siyahi aur badh jati hai, yahan tak k qalb pr cha jati hai,

Aap s.a.w ne farmaya k: yahi wo zang aur siyahi hai jis ka Allah Tala ne is aayat me Zikr farmaya: un ki badkariyon ki wajeh se un k dilon per zang aur siyahi aagai hai.{83:14} (musnad ahmad, tirmizi).

Aur Yehi Dil Ki ZANG o SIYAHI
Jab Khatam Hogi Tab Tumhara QALB Allah K Qareeb Hoga! Yehi Hai Peer Ka Kaam! 

Momin Ki Rag E Jaan Se Zyada Qareeb Hai!
(Quran)
ALLAH IS CLOSER THAN YOUR JUGULAR VEIN.
 اللہ تمہاری شہ رَگ سے بھی زیادہ قریب ہے.

Jab Dil aur Allah K Beech Ka Parda Hat Jayega HAQIQAT Samne Aajayegi!!

Apne Aap Ko AMEER Samjoge Toh Shariyat Se Galat Hoga
(Guroor)
Faqeer Bologe Toh Tariqat Se Galat Hoga
(Ibadat Ka Dikhava Riya Kari);
Isliye Ye Sab Mein KHAMOSHI Behtar Hai.

Imam Malik (R.A)
Farmate Hai, Jisko Elm e Zahir (Shariyat) Nahi Hasil, Usko Elm e Batin (Tariqat o Hqiqat o Marifat) Hasil Ho Hi Nahi Sakta.

Fana Fil Sheikh

Ka Martaba Kaise Hasil Hoga?? (Jo Tariqat Ka Second Step Hai, Pehla Bait Hona)

Fana Fil Sheikh Kohi Bahot Difficult aur Rare Cheez Nahi Hai.

Agar Aap Ka Peer Sahiul Aqida Sunni aur Shariyat Par Hai aur Aalim Bhi Hai TOH -

Apni Saari Nafsani o Dunyawi Khawahishat Uske Taabe Karde aur Apne Dil Mein Uske Liye Sachchi Muhabbat Rakhkhe.

--

Jaisi Hidayat Shijre Mein Hai Usko Follow Kare.

Yehi Fana Fil Sheikh Hai.

☪️☪️☪️
Jawani Ki Ibdat

1. Allah Ko Bahot Pasand Hai 

2. Jawani Ka 1 Sajda Budhape K 70 Sajdon Se Bhi Afzal Hai

3. Aisa musalman jo apni jawani allah ki ibadat mein laga de usko 
a. Qayamat k roz Allah apne Arsh k Saaye mein jagah ata farmayega.
b. Uspar Allah FAKAR Karta Hai aur Farishton Mein Uska Charcha Karta Hai.
c. Usko Allah 72 Siddiqeen K Barabar Sawab Ata Farmata Hai.
d. Aisa shaqs Allah ka Qurb aur Uski Raza Hasil Karne mein bahot jald kamyab hojata hai.
e. Uski DUA Bahot Jald Qubool Hoti Hai

☪️☪️☪️
GUSSA

Ye Ek Aag Hai Jo Insaan K Andar Allah Ne Rakhi Hai Jisko Insan Apni Hifazat K Liye Hatyar Ki Tarha Istemal Karta Hai.

Gusse Ki 2 Qism Hai
1. JAYEZ
2. Na JAYEZ

Jab Apne Deen Allah aur Rasul K Liye Gussa Aaye ya Apni Izzat aur Naam aur Maal Ki Hifazat K Liye Aaye Ya Gunah Rohne  Liye Ho Tab Ye Zayez Hai

Aur Jab Ye Kisi Dunyavi aur Gair Sharai Mamlat Mein Ho Tab Ye Na Jayez Hota Hai.

Dono Surat Mein GUSSA Insan Ki AQL Ko Kamzor Kardeta Hai Aur SHAITAN Apne Waswase Mein Insaan Ko Mubtela Kar Deta Hai.
Isliye GUSSA Se Bachna Behtar Hai.

Gussa Aane Ki Wajah Jo Imam Gazali Ne Bayan Farmai Wo 5 Hai -

1. Takabbur
2. Guroor
3. Mazak
4. Aib Johi o Malamat
5. Maal o Mansab Ki Hirs

GUSSE Se Buraiyan Paida Hoti Hai -

1. Hasad
2. Shamadat (kisi ki taklif par khush hona)
3. Geebat
4. Jhooth
5. Fahesh (gaali galoch)
6. Keena (nafrat)
7. Dusron Ko Haqqer Janna
8. Haqq Mein Kotahi
9. Mazak Udana
10. Taana Dena
11. Dusron Ko Takleef Dena

 ☪️☪️☪️
Allah Gussa Pi Lene Walon Ko Bahot Pasand Farmata Hai

Agar Kisi Musalman Par Gussa Aaye Aur Usko Pi Liya Jaye Toh Bahot Mumkin Hai Iski Wajah Se ALLAH Razi Hojaye Ga.

GUSSA Qabu Karne K Liye

1. PAANI pi le
2. Thande Paani Se Wazu Kar Le
3. Naak Mein Paani Daale
4. Khada Ho Toh Baith Jaye
5. Allah Ko Yaad Kare
6. Shaitaan Se Allah Ki Panah Mange

Muttkin wo hai ! Jo Gussa pine wale aur logo se dargujar karne wale hai, 
ALLAH TA'ALA in neko karo ko dost rakhta hai.
Quran
(Sura Ale Imran : 3/134)

Koi ghunt pine ka sawab ALLAH ke pas itna nahi jitna sawab gusse ka ghunt pine men hai jo ki aadmi ALLAH ki rjaa chahte huye piye.
Hadees 
(Ibne Mazah : 3377)
😊
Allah Ki Raza Hasil Karne K Liye
Namaz Roza Zakat Hajj Par Qayam Rehte Hue Aur Bhi Bahot Kuch Karna Hai
🏴
Hazrat Esa Alayhisalam Ne Hazrat Zakariya Alahihisalam Ko 
(1 Nabi Ne Dusre Nabi Ko)

Nasihat Farmai -

"GUSSA NAHI KARNA"

Phir Hazrat Zakariya Alahisalam Ne Farmaya "ye kaise mumkin hai main 1 insaan hu mujhme ye gussa allah ne rakha hai"

To Hazrat Esa Alayhisaman Ne Kaha

"GUSSA AAJAYE TOH GAALI NAHI DENA"

(matlab zuban par qabu kar lena)
Jo Log Roohaniyat Mein Tarraqi Chahte Hai Unke Liye Ye Bahot Badi Nasihat Hai!

 *GUSSA NAHI KARNA*
Yehi Amal Hazrat Yousuf Alayhisalam Ne Apne Bhaiyon K Saath Kia
Unke Jaani Dushman Bhaiyon Ko MAAF Kardiya!
Isko MAMULI Nahi Samjho

--
Kisi 1 Muslaman Ko (jo nahaqq ho aur tumhe taklif bhi deta ho)
Usko Allah K Liye MAAF Kar Do!
Tumhari Zindigi Badal Jayegi!!
Nahi Badli Toh Jo Bolo Wo Haarunga!!

Qayamat K Din Farishte Elan Karenge 
"Jinka Qarz Allah Par Baki Hai Wo Utho!"

Bahot Saare Murde Uth Jayenge Aur Unko Allah Bina Hisab Kitab JANNAT Mein Dakhil Farma Dega.

Ye Wo Log Honge Jo Allah Ki Raza K Liye Musalmano Ko MAAF Kar Dete Hai.

As Salato Was Salamo Alayka

Har Fitne Ka Radd Farz e Azam Hai.
Shia Rafzi
Wahabi Deobandi
Qadyani Ahmedi
Ye Saare Aaj K Bade Fitne Hai.
Ahle Sunnat Wa Jamat Se Inka Kohi Talluk Nahi.

الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ