Har aaqil o baaligh musalmaan mard O awrat k liye tahaarat ( paaki ) k ahkaam siikhna
ALLAH Ne FARZ Farmaya, jinse namaaz sahi ho sake.
Najaasat (naapaaki) ki 2 qismein hai
1.Najaasate Ghalizah
2.Najaasate Khafifah
NAJASATE GHALIZAH kise kehte hai ?
Insaan k badan se jo chiiz nikle ki usse ghusl ya wuzu
wajib ho...wo chiiz.. NAJAASATE GHALIZAH hai.. jayse...
Peshaab
Paakhaana
Behta khoon
Piip...paroo
Munh bhar Vomit
Haiz..Nifaas..ka khoon
Istehaaza ( bimari ) ka khoon
Mani, Mazi, Wadi.
NAJASATE KHAFIFAH kise kehte hai ?
Jin jaanwaron ka gosht halaal hai jaise..
Gaay, Bail,lBhais, Bakri, Uunt..wagaira..
In sab ka peshaab..or ghode ka peshaab or Jis parinde ka gosht haraam hai...chaahe shikaari ho ya na ho..Jaise.. Kauwa...Chil.....Shikra.... Baaz..or in ki biit ( paakhaana ).Ye sab...NAJAASATE KHAFIFAH hai...
BAHARE SHARIYAT
FATAWA AALAMGIIRI
FATAWA QAAZI KHAN
Jo khoon zakham se baha na ho wo paak hai.
Dukhti Aankh se jo paani nikle wo najaasate ghalizah hai.
Naaf ( Dhooti ) se ya pistaan ( awrat k siine ) se dard k saath paani nikle wo najaasate ghalizah hai.
Zamiin k har jaanwar ka behta khoon..Murdaar ka gosht or Charbi...ye sab najaasate ghalizah hai.
Jis jaanwar me behta khoon ho or agar baghair sharai tariqe k wo mar jaye...use Murdaar kehte hai.
Majusi ( parsi ) butparast ( hindu ) ya murtad ( musalmaan tha koi aysa kam kiya k islaam se khaarij ho gaya..nikal gaya ) in sab ka zabiha ( in k haath se kata huwa janwar ) bhi Murdaar hai.
FATAWA RAZWIYAH
Jild 1 safa..269..270..280
Haraam chopaaye ( 4 pairon wale ) jaanwar...jaise...Kutta...Sher...Lomdi... Billi...Chuha....Gadha...Haathi...Suwar...Khachchar...in sab ka paakhana..peshaab or ghode ki liid ye sab najaasate ghalizah hai.
Har halaal chopaaye ka paakhana..jayse..Gaay..Bhens ka gobar..Bakre..Uunt ki mengni...ye sab bhi najaasate ghalizah hai. Jo parinda uuncha na ude uski biit..jayse Murghi..Batakh..chhoti ho ya badi sab najaasate ghalizah hai.
Har tarah ki sharaab ( daaru ) or nashaa laanewali taadi najaasate ghalizah hai.
Saanp ( snake ) ka paakhana peshaab..us jangli saanp or mendak ka gosht k jin mein behta khoon ho or unki Khaal..chaahe zebah kiya gaye ho...tab bhi sukha liya ho tab bhi najaasate ghalizah hai.
Suwar ka gosht.. haddi..or baal...chaahe zebah kiya ho tab bhi najaasate ghalizah hai.
Chipkali ( sipkali ) or girgit ka khoon...
Dudh pite bachche ya bachchi ka peshaab..paakhaana..or...
Munh bhar vomit..bhi najaasate ghalizah hai.( Munh bhar vomit ka matlab...jis vomit ko taklif k baghair roka na jaa sake )
BAHARE SHARIYAT
Hissa 2 safa..112..113
KITNI NAJASAT-NAMAZ NA HOGI ?Najaasate ghalizah ka hukm ye hai k...Badan par aik dirham se "zyaada" lag jaaye to uska paak karna farz hai.
Agar baghair paak kiye namaaz padhli to namaaz na hogi..or..
Aysi haalat me namaaz padhna sakht gunah hai...or..
Agar namaaz ko halka samajh kar baghair paak kiye namaaz padhi to KUFR hai.
Agar dirham k "baraabar" kapde par ya badan par lagi ho to paak karna waajib hai.
Baghair paak kiye namaaz padhli to namaaz makroohe tehrimi hogi..or paak kar k firse padhna waajib hai...or...
Jaanbujhkar aysi haalat me namaaz padhna gunah hai.
Agar najaasate ghalizah dirham se "kam" kapde ya badan par lagi hai to use paak karna sunnat hai...
Baghair paak kiye namaaz padhli to ho jayegi..Magar khilaafe sunnat hai...aysi namaaz firse padh lein to behtar hai.
" Dirham " ka matlab agle massage mein post hoga.
BAHARE SHARIYAT
Hissa 2 safa 111
DIRHAM KI TARIF...defination..
Najaasate ghalizah ka dirham ya usse kam ya usse zyada k matlab ye hai k...
Najaasate ghalizah agar gaadhi ho jayse paakhaana..liid..to dirham ka matlab wazan mein...saadhe chaar maashaa...( 4.374 gram )..to agar najaasat dirham se zyada ya kam hai to iska matlab....wazan me 4.5 maasha se zyada ya kam hona hai..
Agar najaasat patli ho jayse peshaab wagaira to iska matlab lambaai chodaai hai.
Matlab...hatheli ko khoob phailaakar siidhi rakkhe or us par dhire se itna paani daalein k ab isse zyada hatheli par na ruk sake..
Ab jitna paani ka phailaaw hai utna badaa dirham samjha jayega.
Kisi kapde ya badan par kuch jagahon par najaasate ghalizah lagi or...kisi jagah bhi dirham k baraabar nahi...
Lekin sabko milaakar dirham k baraabar hai to..diram k baraabr samjha jayega..agar dirham se zyada hai to zyada samjha jayega.
Najaasate khafifah me bhi sabko milaakar hi hukm diya jayega.
BAHAARE SHARIYAT
Hissa 2 safa 111..115
NAJAASATE khafifah ka hukm...
Najaasate khafifah ka hukm ye hai k kapde k jis hisse ya badan k jis uzwa mein lagi hai...agar uska chothaai ( 1/4 ) se kam hai to muaaf hai..
Jaise aastiin mein najaasate khafifah lagi hai to agar aastiin ki 1/4 se kam hai...ya daaman mein lagi hai to daaman ki chothaai ( 1/4 ) ...( matlab daaman k 4 hisse kiye jaye to usme ka 1 hissa ) se kam hai ya isi tarah haath me lagi hai or 1/4 se kam hai to maaf hai.
Matlab 1/4 hisse se "kam" lagi hai or namaaz padhli to ho jayegi...or..
Agar poore chothaai ( 1/4 ) me lagi hai to baghair paak ( baghair dhoye ) kiye namaaz na hogi.
BAHARE SHARIYAT
Hissa 2 safa 111
JAANWAR ki JUGAALI ka hukm...
Har chopaaye ( 4 pair wale ) ki jugaali ka wahi hukm hai jo us k paakhaane ka hai.
Jaanwaron ka apne chaare ko pet se nikaal kar munh me do-baara chabaana....ise jugaali kehte hai.
Jaise Gaay..Uunt..Bakre apna munh chalaate rehte hai or un k munh se saabun ki tarah jhaag nikalta rehta hai.
Use jo jhaag nikalta hai jugaali me...ye najaasate ghalizah hai.
BAHARE SHARIYAT
DURRE MUKHTAAR
JANWARON ka pitta..vomit..biit..
Har jaanwar k pitte ka wahi hukm hai jo us k peshaab ka hai..
HARAAM jaanwaron ka pitta najaasate ghalizah hai or..
HALAAL janwaron ka pitta najaasate khafifah hai.
Har jaanwar ki vomit us k biit ( paakhane ) ka hukm rakhti hai....matlab jiski biit paak uski vomit bhi paak....
Jaise chidiya..kabutar ki biit paak to uski vomit bhi paak...
Baaz..kauwe..ki biit najaasate khafifah hai to unki vomit bhi najaasate khafifah hai..or..
Jiski biit najaasate ghalizah hai uski vomit bhi najaasate ghalizah hai..jaise murgi ( chicken )..bataq ( duck ).
BAHARE SHARIYAT
DURRE MUJHTAAR
FATAWA RAZWIYA
Najaasate ghalizah or khafifah k jo alag alag hukm bataaye gaye ye usi waqt hai jab k badan ya kapde me lage...
Agar kisi patli chiiz... jayse doodh ya paani me gir jaaye...chaahe ghalizah ho ya khafifah dono surton me wo doodh ya paani jisme najaasat giri hai naapaak ho jayega chaahe aik tiipa hi najaasat giri ho..or...
Najaasate khafifah agar najaasate ghalizah me mil jaye to wo tamaam najaasate ghalizah ho jayegi.
BAHARE SHARIYAT
Hissa 2..safa ..112..113
DIWAR-JHAAD-ZAMIN kaise paak ho
Naapaak zamiin agar sookh jaaye or najaasat ka asar...matlab rang or baas baaki na rahe to wo zamiin paak ho gayi ...Chaahe wo naapaaki..
HAWA se sukhi ho...ya..
DHOOP se sukhi ho ya..
AAG se..sukhi ho.
Lihaaza ab aysi zamiin par NAMAAZ padh sakte hai...
Lekin us zamin se TAYAMMUM nahi kar sakte hai.
Jhaad..Ghaas..Diiwaar.... Or aysi iinth jo zamin se judi hui ho ye sab sookh jaane se paak ho jaate hai...agar rang or baas jaate rahein...or...
Agar iinth judi hui na ho to dhoye baghair paak nahi hogi...isi tarah jhaad ya ghaas bhi agar naapaaki sookhne se pehle hi kaat liye gaye to dhoye bagair paak na honge...dhona zaruri hai.
BAHARE SHARIYAT
Hissa 2 safa 123
ZAMIIN se judi hui chiiz k bare mein
Agar patthar aysa ho jo zamIin se juda hai or alag na ho sake to sookhne se paak ho jaayega...agar najaasat ka asar khatm ho jaye...warna dhone ki zarurat hai.
Jo chiiz zamiin se judi ( mili hui ) thi or naapaak ho gayi fir sookhne or najaasat ka asar khatm hone k baad alag ho gayi...to ab bhi paak hi hai.
Lekin jo chiiz sookhne ya ragadne waghaira se paak ho gayi...fir us k bad gili ho gayi to wo chiiz naapaak na hogi.( paak hi kehlaayegi )
Jaise zamin par peshaab padne se wo naapaak ho gayi...fir sookh gayi..or najaasat ka asar khatm ho gaya to wo zamin paak ho gayi.
BAHARE SHARIYAT Hissa 2
KHOON waali zamin-GOBAR ki zamin
Kisi bade ya bachche ne zamiin par peshaab ya paakhaana kar diya...ya zakham se khoon ya piip nikla...ya jaanwar zebah karte huwe zamiin par khoon gira...to...
Baghair paani k waise hi kisi kapde wagaira se ponch liya..or..
Agar sookh gaya...najaasat ka asar khatm ho gaya to wo zamiin paak ho gayi...us par namaaz padh sakte hain.
GOBAR se liipi gayi zamiin sookh gayi to bhi us zamin par direct namaaz jaaiz nahi...
Agar us par koi mota..jaada kapda bichhaa kar namaaz padhe to namaaz durust hogi.
BAHARE SHARIYAT
Hissa 2..safa..126
Chamgaadadh ki biit ( paakhaana ) or peshaab dono paak hai.
Jo halaal parinde uunche udte hai...jaise Chidiya..Kabutar..Mainaa..Murghaabi..waghaira..... inki biit bhi paak hai...
Machli or paani k dusre jaanwar or Khatmal ( maankad ) or Machchar ka khoon..Or...
Gadhe ka luaab ( thook ) or Pasiina... Ye sab paak hai...
Peshaab k bohot baariik chiinte ...sui ki nok k barabar agar badan ya kapde par ude..lage..gire... To kapda or badan paak hai....
Jis kapde par peshaab ki aysi hi baariik chiinte pade hon...agar aysa kapda paani me pad gaya to paani bhi napaak na hoga...
BAHARE SHARIYAT
Hissa..2..safa..113..114
Gosht..Tilli...Kaleji..mein jo khoon baaki reh gaya wo paak hai..or agar ye chiizein behte khoon me san jayein..lag jayein to naapaak hai..dhoye baghair paak na hogi.
Suwar k siwa tamaam jaanwaron ki wo haddi jis par murdaar ki chiknaai na lagi ho... Wo paak hai..or baal or daant bhi paak hai.
Haraam jaanwaron ka doodh naapaak hai....lekin ghodi ka duudh paak hai magar khaana jaaiz nahi..
Choohe ki mengni naapaak hai magar gehun ( ghaun ) me mil kar pis gayi ya tel me gir gayi... To aataa or tel paak hai...
Lekin taste..mazaa badal jaaye to naapaak hai...or agar roti k andar mil gayi to us k aaspaas se thodi si alag kar dein...baaki me kuch harj nahi..
Agar paakhaane par beth kar makkhi ude or kapde par bethe to kapda naapaak na hoga.....
Or raaste ka kiichad..chaahe baarish ka ho ya koi or.... Paak hai... Jab tak uska naapaak hona maaloom na ho jaaye.
ALAMGIRI...1 jild
BAHARE SHARIYAT
Hissa..2...safa..114..115..117
Kisi k munh se itna khoon nikla k thook me surkhi ( laali...laal ho gaya ) aa gayi or usne foran paani piya to ye jhuta paani naapaak hai...
Jab ye laali jaati rahe to us par laazim ( zaruri ) hai k kulli kar k munh paak kare...
Ya agar paani piyega to paak ho jayega lekin aysi surat mein thook nigalna sakht naapaak baat hai..or gunah hai.
Awrat k peshaab ki jagah se jo ratubat nikle wo paak hai...kapde ya badan me lage to dhona zaruri nahi...fir bhi dho lein to behtar hai.
Jo gosht sad gaya...badbu..baas aane lagi to uska khaana haraam hai..
Agarche wo naapaak nahi...
Aysi shishi jisme peshaab..khoon ya sharaab bhara hai or jeb ( pocket ) me rakkhi ho to namaaz na hogi...
Khoon test karwaane k liye jaate huwe shishi jeb mein ho to namaaz k waqt nikaal dein...
Murde k munh ka paani naapaak hai.
BAHARE SHARIYAT
Hissa..2..safa..63..117
FATAWA RAZWIYAH
Jild..1...safa..268
DURRE MUKHTAAR
Jild..1..saf..290
Tannoor ya tawe par naapaak paani ka chhiinta dala or aanch se uski tari jati rahi...ab jo roti lagayi wo paak hai.
Suuwar k siwa har jaanwar...halaal ho ya haraam or... Bismillah...keh kar zebah kiya ho or zebah k qaabil ho ( zinda ho )...to uska gosht or chamda paak hai...Yaad rahe k haraam janwar ka gosht O chamda paak hoga.... halaal na hoga...haraam hi rahega.
Darindon ka chamda sukha liya ho tab bhi us par bethna nahi chahiye...or namaaz bhi nahi padhni chahiye...k us par bethne se mizaaj me sakhti or takabbur paida hota hai.
Bakra...Bakri...Ghente..k chamde par bethne or pehenne se mizaaj me narmi or aajizi...khaaksaari paida hoti hai.
BAHARE SHARIYAT
Hissa 2..safa..124..125
Jo naapaaki dikhti hai use najaasate maraiiya.. Or jo nahi dikhti use najaasate ghair maraiiya kehte hain.
Najaasat agar daldaar ho matlab gaadhi ho..najaasate maraiiya ho..jaise Paakhaana..Gobar..Khoon..to dhone me ginti ki koi shart nahi...itna dhoye wo khatm ho jaye...
Agar aik baar dhone se khatm ho jaye to aik baar dhone se hi paak ho jayega...or agar 4..5..baar dhone se khatm hota ho to 4..5 baar dhona padega.
Agar 3 baar se kam me naapaaki khatm ho jaye to bhi 3 bar dho lena behtar hai.
Agar naapaaki duur ho gayi magar uska kuch rang or baas baaki hai to use bhi khatm karna zaruri hai....lekin agar uska asar taklif se jaata ho ( jaise..khoon ka dhabba ) to 3 baar dhole paak ho jayega....
Saabun..Khtaai..ya garm paani ki zarurat nahi.
BAHARE SHARIYAT
PEHLA TARIQA...
Agar naapaaki patli ho jaise peshaab ho to 3 baar dhone or har baar apni bharpur taaqat bhar nichodne se paak hoga...
Iska matlab ye hai k apni bharpur taaqat se itna nichode k ab nichodega to aik tipa bhi na tapkega...
Agar kapde ka khayal kar k achchi tarah na nichoda to paak na hoga....
Agar dhone waale ne achchi tarah nichoda lekin koi dusra aadmi jo taaqat me usse bhi zyada hai..ab nichode to 2..1..tipe tapak sakte hai to....pehle nichodne waale k liye ye kapda paak hai....or dusre nichodne wale k liye naapaak hai.
Pehli or dusri baar nichodne k bad haath paak kar lena behtar hai tisri baar haath or kapda dono paak hai.
Pehli ya dusri baar haath paak nahi kiya or uski tari se kapde ka paak hissa bhig gaya to ye bhi naapaak ho gaya.
Kapde ko 3 baar dho kar 3 baar nichod liya..fir sukhane k liye latka diya to usse paani tapka to ye paani paak hai.
Ye zaruri nahi k aik saath 3 baar dho lein...agar alag alag waqton ya alag alag dinon me dhoya to bhi paak ho jayega.
BAHARE SHARIYAT
Hissa..2...safa..122
DUSRA TARIQA
3 baar dho kar har baar nichodna...ye hukm us waqt hai jab thode paani me dhona ho...
Agar....hoze kabiir...ya nadi ya naher ya samandar waghaira mein dhoyein ya nal..pipe..ya lote se dhoyein...to...bohot sa paani bahaaein ya behte paani me dhoyein to nichodne ki zarurat ( shart ) nahi..
Fatawa Amjadiya...
Jild..1..safa..35...
Fuqha farmate hai dari ya taat ya koi naapaak kapda behte paani mein raat bhar pada rehne dein to paak ho jayega..or...
Asal ye hai k jitni der mein ye zann e ghaalib ho ( confirm ) ho jaaye k paani najaasat ko bahaa kar le gaya to paak ho gaya k...behte paani me paak karne mein nichodna shart nahi.
BAHARE SHARIYAT
Hissa..2..safa..121
PAAK-NAPAAK SAATH MEIN DHONA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Agar baalti...ya kapde dhone ki machine mein paak kapdon k saath aik bhi naapaak kapda daal diya to saare hi kapde naapaak ho jayenge...or shariyat mein aysa karne ki ijaazat nahi...jaaiz nahi.
Siyedi sarkaare Aalahazrat...alayhirrehmah...farmate hai....K..Baghair zarurat paak chiiz ko naapaak karna najaaiz O gunah hai...
Aik jaga farmate hai...jism O libaas baghair zarurate sharaiiya k naapaak karna.... Ye haraam hai..Bahrurraaiq me hai...paak chiiz ko naapaak karna haraam hai.
Isliye zaruri hai k paak O naapaak kapde alag alag dhoyein...or agar saath hi dhona ho to naapaak kapde ka najaasat wala hissa pehle paak kar lein..Fir tamaam kapdon ko saath mein washing machine mein aik saath dho sakte hai..
FATAWA RAZWIYAH
Jild..1...4...p...585
NAPAAKI DUUR KARNE ME ASAANI
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
TISRA TARIQA...
Kapde paak karne ka aik aasaan tariqa ye bhi hai k ...baalti ( dol ) me kapde daal kar uupar se nal khol dein
Kapdon ko Haath ya kisi lakdi waghaira se is tarah dubo kar rakhiye k kahin se kapde ka koi hissa paani k baahar ubhra huwa na rahe ...
Jab baalti k uupar se paani uubal kar itna beh jaaye k yaqiin ho jaaye k paani najaasat ko bahaa kar le gaya hoga to....
Ab woh kapde or baalti ka paani or haath ki lakdi ka jo hissa paani k andar tha wo paak ho gaya....
Agar kapde par naapaaki ka koi asar baaki na raha to paak ho gaya.
Is kaam k doraan is baat ka khayal rahe k paak hone se pehle naapaak paani ka koi chiinta badan ya kapde ya chiiz par na pade...
MAAKHUA-AZ-BAHARE SHARIYAT
WASHING MACHINE mein kapde paak karne ka tariqa
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Washing machine mein kapde daal kar pehle paani se bhar lijiye or kapdon ko haath se paani me daba kar rakhiye k koi hissa paani k uupar ubhra huwa na rahe...
Uupar ka nal khula rakkhein ab tank k niche ka out flow bhi khol dein...is tarah uupar nal se paani aata rahega...or niiche se paani baahar niklta rahega..
Jab yaqiin ho jaaye k paani naapaaki ko bahaa kar le gaya hoga....to kapde or machine k andar ka paani paak ho jayega....jab ki naapaaki ka asar kapdon par baaki na rahe..
Ye baat yaad rakkhein k jin machines mein uupar se paani girne k doraan niiche se out flow chaalu rakhne ki system nai hogi to kapda paak na hoga..
Paani ka uupar se girna or niiche se nikalna aik saath hoga to hi behte paani k hukm ki wajeh se napaak kapda paak hoga.
NAAPAAK KAPDA OR GHAIR MUSLIM
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Kisi ghair muslim dhobi ko kisi musalmaan ne naapaak kapda dhulne k liye diya to kya wo kapda paak ho jaayega ?
Agar kapde par najaasat ka asar ( najaasat ya uska ka rang ya baas ) baaki na rahe to wo kapda paak hai.
FATAWA AMJADIYA
Jild..1..safa...31
NAL K NIICHE KAYSE PAAK KAREIN
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
CHOTHA TARIQA...
Is tariqe par paak karne k liye baalti ya bartan ki zarurat nahi...nal k niiche haath me pakad kar bhi paak kar sakte hai.
Jaise rumaal naapaak ho gaya ...to basin me nal k niche rakh kar itni der tak paani bahayein k yaqin ho jaaye k paani naapaaki ko bahaa kar le gaya hoga to paak ho jayega.
Bada kapda ya uska naapaak hissa bhi isi trah paak kiya jaa sakta hai...magar is baat ka khayaal rahe k naapaak paani k chiinte kapde..badan..ya or chiizon par na pade...
MAAKHUZ-AZ-BAHARE SHARIYAT
Carpet (ghaalicha) Chataaii, Chamde ki chizein, Ya wo chizein jo patli naapaaki ko chusne ki salahiyat rakhti hai ko Paak karne ka tariqa
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Carpet ka naapaak hissa aik baar dho kar latka dein..itni der tak k paani tapakna band ho jaaye...
Fir dobaaraa dho kar latkayein itni der tak k paani tapakna band ho jaye..
Fir tisri baar bhi aysa hi karein...jab tisri baar bhi paani tapkna band ho jayega...to carpet paak ho jayega.
Chataaii..chamde k chappal..mittii k bartan waghaira....Ya...
Wo chizen k jinme patli najaasat ( naapaaki ) ko choosne ki salahiyat ho usko bhi isi tarah paak karein.
Aysa naazuq ( kamzor ) kapda k nichodne se phat jane ka dar ho use bhi isi tarah paak karein.
Agar naapaak carpet ya kapda "behte paani" me itni der rakh dein k yaqiin ho jaaye k paani naapaaki ko bahaa kar le gaya hoga tab bhi paak ho jaayega..
BEHTA PAANI...Ye hain...
★ Dariya..
★ Neher..
★ Ya pipe...
★ Ya tunti..
★ Nal....in sab k...
Jaari ( chalte ) paani... Ye sab behte paani hain...
Yaad rahe K aik din k bachche ka peshaab bhi naapaak hai....
Carpet par bachcha peshaab kar de to paani k chand chiinte maarne se paak nahi hoga.
MAAKHUZ-AZ-BAHARE SHARIYAT
Napaak telwala kapda dhona.
Kapde ka kuch hissa naapaak ho kaise paak karein..
Naapaak rang kaise paak..
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Kapde ya badan mein naapaak tel laga tha 3 baar dho lene se paak ho jayega..chaahe tel ki chikaas maujood ho tab bhi...
Lekin agar murdaar ( mare huwe janwar ki ) ki charbi lagi thi to jab tak uski chikaas na jaaye paak na hoga..
Kapde ya haath mein naapaak rang lag gaya ya naapaak mehndi lagayi to itni baar dhoyein k saaf paani girne lage to ab paak hai chaahe kapde ya haath par rang baaki reh jaaye...
Kapde ka koi hissa naapaak ho gaya or ye yaad nahi k wo konsi jagah hai..to behtar ye hai k pura hi dho daalein...
Jayse ye to yaad hai k aastin k kisi hisse par naapaaki thi..magar ye yaad nai hai k kis hisse par thi to puri aastiin dho dalein..or..
Agar andaaze se "soch" ( yaad karne ki koshish ) kar k uska koi bhi hissa dho lein to bhi paak ho jayega...
Or baghair soche ( baghair koshish ) koi hissa dho liya to bhi paak ho jayega...
Lekin kuch namaazein...padhne k bad yaad aaya k naapaak hissa wo nahi tha jo dhoya tha to...ab dhoye or sab namaazein dohraayein...
Or agar "soch" kar dhoya tha ab yaad aaya k naapaaki wala hissa nahi dhoya tha tab bhi namaazein ho gayi, dohraane ki zarurat nahi.
BAHARE SHARIYAT..Hissa...2
Safa..119..120..121..122
MANI WALE KAPDE KAYSE PAAK HO
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Mani kapde me lag kar sookh gayi to...sirf masal kar jhaadne or saaf kar dene se kapda paak ho jaayega...chaahe masalne k bad uska asar kapde mein baaki rah jaye.
Is masale me Awrat..Mard..Insaan..Haiwaan..Tandrust..Biimaar e jiryaan..sab ki mani ka aik hi hukm hai...
Biimaar e Jiryaan...matlab kisi ki mani patli ho gayi k waqt be waqt be irada tapakti ho...
Badan me agar mani lag jaye to bhi isi tarah paak ho jaayega..
Peshaab kar k paaki na ki...na paani se na dhele ( patli chiz ko choos sake aysa iint ya patthar ka tukda ) se or mani us jaga par guzri jahan peshaab laga huwa hai...to ye masalne se paak nahi hogi bal k dhona zaruri hai...
Jis kapde ko masal kar paak kar liya ab agar paani se bhig jaye to naapaak na hoga.
Agar mani kapde mein lagi hai or ab bhi tar hai sookhi nahi to dhone se paak hoga..masalne se paak na hoga.
BAHARE SHARIYAT
Hissa..2..safa...119..122..123
Dusre k naapaak kapde ki khabr dena OR..Ruui paak karne ka tariqa.
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Kisi dusre musalaman k kapde me najaasat lagi dekhi or yaqiin hai k usko baata diya to paak kar lega to batana WAAJIB hai..agar na bataya to gunahgaar hoga..
Lekin awrat ne agar ghair k kapde me naapaaki dekhi...jayse bhabhi ne dewar k kapde me dekhi to batana zaruri nahi.
Ruuii ka agar itna hissa naapaak hai k dhunne se naapaaki uud jaane ka sahih gumaan ( yaqin ho ) ho to dhunne se paak ho jaayegi...warna baghair dhoye paak na hogi....Or..
Agar malum nahi k kitni naapaak hai to bhi dhunne se paak ho jaayegi.
BAHARE SHARIYAT
Hissa..2..safa..125..127
BARTAN-CHHURI-CHAAKU ki paaki
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Aysi chiiz jo najaasat ko chusti nahi jayse Chiini k bartan...Lohe k...Taambe ...Piital..waghaira dhaatuon ki chiizein...to use sirf 3 baar dhona kaafi hai...Or..
Iski bhi zarurat nahi k use itni der tak latkayein k paani tapakna band ho.
Lohe ki chiiz jayse Chhuri...Chaaku...Talwaar...waghaira...jisme na zang..( kaat ) ho na kisi tarah ki naqsh o nigaar..( design )....
Agar naapaak ho jaaye to achchi tarah se ponch lein....paak ho jayegi...chaahe naapaaki patli ho k daldaar ho...
Isi tarah Chaandi...Sone...Piital...Gilit or har tarah ki dhaat ki chiizein ponchne se saaf ho jaati hai agar design na ho....
Agar naqsh o nigaar matlab design waali hon ya lohe me zang laga ho to dhona zaruri hai..ponchne se paak na honge.
BAHARE SHARIYAT
Hissa..2 safa..121..122
AAINA-JOOTA kayse paak karein
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Aaina or kaanch ki tamaam chiizein or chiini k bartan ya mitti k wo bartan jin par kaanch ka patla pad chadha hota hai ya polish ki huwe lakde ki chiiz....kapde se is tarah ponch lein k naapaaki ka asar bilkul jaata rahe... To paak hai.
Magar yaad rahe k daraadh ( toote huwe ki faat ) ho...
Ya kahin se kuch ukhad gaya hai...
Ya kuch hissa tuuta huwa hai....
Ya kahin se polish nikal gayi hai to ayse hisse ko sirf ponch lene se paak nahi hoga...dho kar paak karna hoga.
Chamde k moze ya joote me daldar (gaadhi) najaasat lagi ho jayse Paakhaana...Gobar...to khurachne or ragadne se paak ho jayega...chaahe naapaaki tar ho...or..
Agar peshaab ki tarah patli naapaaki ho or mitti ya raakh daal kar ragad daalein jab bhi paak ho jaayenge.... Or aysa na kiya yahan tak ki najaasat sookh gayi to baghair dhoye paak hai..
BAHARE SHARIYAT
Hissa...2..safa..122..123
KAAFIR KA ISTEMAAL KIYA HUWA
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Kuffaar k istemaal ( used...wapre huwe ) shuda Swetar...Carpet..or Puraane kapde....jab tak in par najaasat ka asar na ho paak hai...
Baghair dhoye namaaz padhne me haraj nahi.... Lekin paak kar lena munaasib hai..
Bahaare shriyat hissa..2..me likhte hai...K...Faasiqon ( be namaazi ) k waapre huwe kapde jinka naapaak hona malum na ho...paak samje jayenge....
Magar be namaazi k payjaame waghaira me achcha ye hai k paak kar liye jaayein...k aksar ayse log paaki ka khayal nahi karte...
BAHARE SHARIYAT..Hissa..2
Baarish k pani k masaail...
Chhat or naale ka paani...
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Chhat k parnaale se baarish ka paani gire wo paak hai chaahe chhat par jaga jaga najaasat padi ho....chaahe najaasat parnaale k munh par ho...
Jab tak najaasat se paani k kisi khoobi mein badlaaw na aaye ( Rang..Baas..Mazaa ) na badle tab tak...or..
Agar baarish ruk gayi or paani ka behna bhi ruk gaya..to ab wo thehra..ruka huwa paani hai or ab chhat ka paani najis..naapaak hai.
Ayse hi naaliyon se barsaat ka behta paani paak hai jab tak naapaaki ka Rang..Baas..ya Mazaa usme zaahir na ho..or..
Agar us paani me najaasate maraiiya matlab dikhne waali naapaaki k zarraat ayse behte jaa rahe hain k...
Chullu liya jayega to us mein aikaad zarra us naapaaki ka bhi zarur hoga to ye paani haath me lete hi naapaak ho gaya Wuzu usse haraam..
Or agar naapaaki k zarre nahi aate hai to jaaiz hai or bachna behtar hai.
Naalon ka paani k baaris k baad theher gaya ruk gaya.....
Agar us mein naapaaki k zarre pata chalein ( mehsus ho ) ya uska Rang or Baas pata chale..( mehsus ho ) to naapaak hai....or agar aysa nahi ho to paak hai...
BAHARE SHARIYAT
Hissa..2..safa..52
Naaliyon me ruka huwa baaris..or..
Sadak par chhidke jaanewala...paani k masaail.
Dah dar dah ki taarif..( defination )
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Nichle ilaaqon ki galiyon or sadkon par baarish ka jo paani khada ho jata hai wo paak hai chaahe uska rang gadla ho jata ho...
Kabhi gutter ka paani bhi usme mil jata hai.... Lekin yahan bhi yahi qaeda hai....
K naapaaki ki wajah se us paani ka Rang...Baas...Mazaa badal jaaye to naapaak hoga...warna paak hai...
Agar baarish ruk gayi or paani behna band ho gaya...Or dah dar dah se kam hai....
Or usme koi najaasat ya us k zarre nazar aa rahe hai to ab ye paani naapaak hai...
Isi tarah usme kisi ne peshaab kar diya to naapaak hai...
Dah dar dah matlab 10 *10 haath..lamba choda..
{ 100 square haath...aik haath ka matlab hai..k..biich ki badi ungli k naakhun se le kar kohni tak aik haath..or aaj k foot k hisaab se 325 square feet hota hai...
Or agar golaai mein ho to 35 haath ki golaai se dah dar dah kahlaayega }
Chappal se ud kar kiichad k jo chiinte payjaame k pichle hisse par padte hai wo paak hai..jab tak uska naapaak hona yaqini tor par malum na ho..
Sadak par paani chhidka jaaraha tha..zamin se chhiinte ud kar kapde par pade..kapda naapaak na huwa magar dho lena behtar hai..
BAHARE SHARIYAT
Hissa...2..safa...116
KUTTE OR BILLI K kuch masaail
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Kutta badan ya kapde se lag ( touch ) jaaye to...kapde ya badan paak hai chaahe kutta bhiga huwa ho.
Agar us k badan par najaasat lagi ho ya uska luaab ( thook..raal ) lage to naapaak kar dega.
Kutta...Suuwar...Sher...Chiita..Bhediya..Haathi..Giidadh...or dusre Darinde...k jinka thook naapaak hai....Ye agar aate me munh daale....to...
Agar aata gundha huwa tha to jahan uska munh laga utni jaga ka nikaal kar pheink dein..
Or agar sookha tha to jitna us k thook se tar huwa wo pheink dein...
Kutte ne bartan me munh daala to...agar Chini...Dhaat...ya koi Chikna bartan ho to 3 baar dhone se paak ho jayega..or...agar bartan aysa nahi to har baar sukha kar paak karein..
Agar Chini k bartan baariik kotran kiye huwe ( embosed designed ) ho ya daraadh ( faant ) ho to 3 baar sukha kar paak karein...sirf dhone se paak nahi hoga.
Ghar me rehnewale jaanwar jayse Billi...Chuha...Saanp...Chipkali..ka jhuuta ( munh laga huwa ) makruh hai..
BAHARE SHARIYAT
Hissa..2...safa...117..64..65
MANI - MAZI - WADI
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
MANI...ka matlab...Wo safaid laisdaar maaddaa jo uzwu e tanaasul ( mard ki peshab ki jaga ) se inzaal ( chhoot ) k waqt uchhal kar josh se nikalta hai...
MAZI...ka matlab..Wo patla chikna maaddaa jo shehwat k ghalbe k waqt nikalta hai..
( shehwat ubharne k waqt)
WADI...ka matlab...Peshaab karne k baad kabhi safed chikna maadda nikle...use wadi kehte hai.
BAHAARE SHARIYAT
QAANUNE SHARIYAT
BAALIGH KISE KEHTE HAI...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
LADKE....ko 12 se 15 saal ki umar k darmiyan AHTILAAM hona...ye BAALIGH hone ki nishaani hai...
LADKI...ko 9 se 15 saal ki umar k darmiyaan HAIZ aana...ye BAALIGH hone ki nishani hai.....
AHTILAAM KISE KEHTE HAI..?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Ladke ko nind ki haalat mein peshaab ki jagah se chikna gaadha maadda ( ragde ki trah ) shehwat k saath nikle.... Isko AHTILAAM kehte hain...
Chaahe koi khwaab dekh kar ho ya khwaab na dekha magar kapde par ayse nishan dekhe to bhi ye ahtilaam hai.....
HAIZ KISE KEHTE HAI...?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
LADKI ko 9 se 15 saal ki umar mein peshaab ki jagah se kam se kam 3 din ya zyada se zyada 10 din khoon ka aana.... Ise HAIZ kehte hai...
Jitne waqt haiz ki haalat mein rahegi itne waqt namaaz maaf hai jaise hi haiz se farigh hogi foran us waqt se fir namaaz padhna shuru kar de.....
Agar 3 din se kam ya 10 din se zyada hai to ye ISTIHAAZA ( bimaari ) hai....
Agar 10 din se zyada hai to 10 din k baad awrat ko namaaz padhni hai chahe khoon jari ho tab bhi..
Agar BAALIGH hone ki umar tak koi nishaani zaahir na ho to..?
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Agar ladke ki umar 15 saal ho gayi or AHTILAAM na huwa tab bhi BAALIGH kehlayega or islami qaanun k hisaab se ab tamaam ahkamaat par amal karna hoga warna gunahgar hoga...
Agar ladki ki umar 15 saal ho gayi or HAIZ na aaya tab bhi ab wo BAALIGH hai or islaam k tamaam qaanun us par nahafiz ho jayenge.
..........
ISTINJE KA BAYAN
ISTINJE (Pakhana/Peshab) Ko Jate Waqt Har Musalman Ko Chahiye Ki Sunnat Ke Mutabiq Apni Hajat Se Faragat Paye....
Islam Jo Kamil aur Qayamat Tak Rehne wala Mazhab Hai Usne Hame Zindagi Ke Har Shobe Me Rehnumai Farmai Hai.....
Hadees......
Rasul Allah علیہ السلام Jab Qazae Hajat Ka irada Farmate To Kapda Na Hatate Jab Tak Zameen Se Qareeb Na Ho Jate...
{Jame Tirmizi, jild-1, page-92}
Hadees.....
Huzoor Jab Qazae Hajat Ko Tashrif Le Jate To itni Door Jate Ke Koi Na Dekhta.....
{Sunane Abi Dawood, jild-1, page-35}
Hadees......
2 Shakhs Pakhana Ko Jayen Aur Satar Khol Kar Baten Karen To Allha Unpe Gazab Farmata Hai.....
{Abu dawood, jild-1, page-40}
Hadees.....
3 chizen Jisse Lanat Hoti Hai, unse Bacho....
Ghat Pe Aur Beech Raste Me Aur Darakht Ke Saye Me Peshab Karna.....
{Abu dawood, jild-1, page-43}
MASAIL
Jab Pakhana Ya Peshab Ko Jaye To Pehle Ye Dua Padh Le...
Bismillahi Allahumma Inni Aauzu Bika Minal Khubusi Wal Khaba'is"....
Phir Ulta Qadam Pehle Daale Aur Nikalte WAQT Sidha Qadam Pehle Nikale......
Aur Nikalne Ke Bad Ye Dua Padhe....
"Gufranaka Alhamdulillahil Lazi Azhaba Anni Maa Yuzeeni Wa Amasaka Alaiyya Ma Yanfa'uni"
Mas'ala
Pakhana Peshab Ke Phirte Waqt Chahe Makan Me Ho Ya Jangal Me Muh Aur Peeth Qibla Rukh Na Ho Agar Bhool Kar Baitha Tha To Yaad Aate Hi Faoran Rukh Mood Le .....
{Durre Mukhtar, jild-1, page-608}
Mas'ala:-
Bachche Ka Muh Qibla Rukh Kar Ke Pakhana Peshab Phirane Wala GunehGar Hoga.....
{Bahare-e-Shariat Hissa-2, Page-408}
Mas'ala:-
Peshab Pakhana Karte WAQT Chand Aur Suraj Ki Taraf Na Muh Ho Na Peeth (jab khule maidan me ho) isi Tarah Hawa Ke Rukh Peshab Karna Mana Hai....
{Bahare Shariyat Hisaa-2, Page-409}
Mas'ala:-
Kuwen Ya Hauz Ya Chashma Ke Kinare Ya Behte Paani Me Ya Ghaat Pe Ya Phaldar Darakht Ke Niche Ya Us Khet Me Jisme Fasal Ho Ya Jahan Log Uthte Baithte Hon Ya Masjid Ya Eidgah Ke Bagal Me Qabrastan Ya Raste Me Ya Jis Jaga Maweshi (Paltu Janwar) Bandhe Hon Un Sab Jagho Par Pakhana Ya Peshab Karna Makrooh Hai isi Tarah Jahan Gusl Ya Wazu Hota Ho Wahan Peshab Karna Makrooh Hai
{FATAWA HINDIYAH Jild-1, page-50}
Mas'ala:-
Aisi Sakht Zameen Pe Peshab Karna Jisse Cheeten Ud Kar Aayen mana Hai,
Aisi jagah Ko Kured Kar Narm Kare Ya Zara Sa Garha Khod Le.....
{Alamgiri Jild-1, page-50}
Mas'ala:-
Khade Ho Kar Ya Pura Nanga Ho Kr Peshab Karna Makrooh Hai,
Neez Nange Sar Peshab Pakhana Ko Jana Aur Saath Me Aisi Chiz Rakhna Jis Pe Dua Ya Allah O Rasool Ka Naam Ho Ya Kis Buzrug Ka Naam Likha Ho Mana Hai, Aur Baten Karna Makrooh Hai....
{Bahare-e-Shariat Hissa-2, page-409}
Pyare Sunni Jannati Bhaiyon In Tamam Masayel Ko Gaur Se Padhe Bar Bar Padhe Taki Aapki Ibadat Masnoon Tariqe Par Ada Ho.
........
Agar Kisi Ko Aur Detail Janna Hai Wo Aage Padhe
✅HADEES NO. 1 :-
📌SAHI BUKHARI wa MUSLIM me ASMAA BINTE ABOO BAKR RADIYALLAHU T'ALA ANHU se marwi ki ek aurat ne arz ki YA RASOOLULLAH SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI WASALLAM Hum me jab kisi ko haiz ka khoon lag jaye to kya karein?
📌Farmaya jab tumme se kisi ke kapde ko haiz ka khoon lag jaye to use khurche fir pani se dhoye tab usme namaaz padhe.
📚(Bahare shariat)
✅HADEES NO. 2:-
MUSLIM SHAFEEF me hai ki SIDDEEQA RADIYALLAHU T'ALA ANHA farmati hain ki main RASOOLULLAH SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI WASALLAM ke kapdon se manee ko Mall Daalti fir HUZOOR us se namaaz padhte.
📚(Bahare shariat/Hissa 2, page 109)
✅HADEES NO. 3 :-
📌MUSLIM SHAREEF me ABDULLAH IBNE ABBAS RADIYALLAHU ANHUMA se marwi hai ki RASOOLULLAH SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI WASALLAM farmate hain chamrha jab paka liya jaye to paak hai.
✅HADEES NO. 4 :-
📌IMAAME MAALIK UMMUL MOMINEEN SIDDEEQA RADIYALLAHU T'ALA ANHA se rawi hain ki Murdaar ki khaalein jab ki paka li jayein to unhe kaam me laya ja sakta hai.
📚(Bahare shariat /Hissa 2, page 109)
✅HADEES NO. 5:-
📌IMAAME AHMAD wa ABOO DAAUD aur NASAI ne riwayat ki
ki RASOOLULLAH SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI WASALLAM ne Darindon ki khaal se manaa farmaya hai.
✅HADEES NO. 6 :-
📌Dusri Riwayat me hai ki unke pahanne aur us par baithne se manaa farmaya hai.
📚(Bahare shariat /Hissa 2, page 109)
NAJAASAT KE MUA'ALLIQ AHKAAM...
✅Najaasat 2 qism ki hain
ek woh jiska hukm sakht hai usko galeeza kahte hain.
✅Dusri Woh jiska hukm halka hai use khafeefa kahte hain,
✅Mas,ala :-
📌Najaasate galeeza ka hukm yeh hai ki agar kapde ya badan me ek dirham se zyada lag jaye to uska paak karna farz hai agar be-paak kiye Namaaz to hogi hi nahi aur agar jaanboojh kar pahhi to gunaah bhi hua..
📌Aur agar istikhfaaf (halka samajhna) ki niyat se ki to kufr hai,
📌Aur agar dirham ke barabar hai to paak karna wajib hai agar be-paak kiye Namaaz padhi to makroohe tahreemi hui yani aisi namaaz ka loutana wajib hai aur jaanboojh kar padhi to Gunahgaar bhi hua agar dirham se kam hai to paak karna sunnat hai ki Be-Paak kiye Namaaz ho gai lekin sunnat ke khilaaf hai aur uska loutana behtar hai,
✅Mas,ala :-
📌Agar Najaasat Gaadhi hai jaise pakhane leeed ya gobar to dirham ke barabar ya kam ya zyada ke ma'ana yeh hai ki wajan me us ke barabar ya kam ya zyada ho aur dirham ho aur dirham ka wajan is jagah shariat me saadhe 4 maashe aur zakaat me 3 masha 1.5 (one half) ratti hai aur agar patli hai jaise aadmi ka peshab aur sharab to dirham se murad uski lambaai churhaai hai aur shariat ne uski miqdaar hatheli ke gahraai ke barabar bataai yani hatheli khub faila kar barbabar rakhe aur us par aahista se itna pani daalein ki us se zyada pani na rook sake ab pani ka jitna failaaw hai utna badha dirham samajha jaye aur uski miqdaar taqreeban yahan (India) ke rupye ke barbar hai.
📚(Bahare shariat /Hisaa 2, page 109-110)
Mas,ala :-
📌Najis tel kapde par gira aur us waqt dirham ke barabar na tha fir fail kar dirham ke barabar ho gaya to us me Aalimon ko bahut iktelaaf hai lekin tarjeeh is baat ki hai ki paak karna wajib ho gaya,
Mas,ala :-
📌Najaasate Khafeefa ka yeh hukm hai ki kapde ke jis hisse ya badan ke jis uzw me najaasat lagi hai agar uske chouthai se kam hai
(jaise daamam me lagi hai ti daaman ki 4thaai se kam)
📌Aastin me lagi hai to aastin ke 4thaai se kam aur aise hi hath me lagi ho to hath ke 4thaai se kam) to muaaf hai ki namaaz ho jayegi aur pura 4thaai me hai to be-dhoye namaaz na hogi,
Mas,ala :-
📌Najaasate Galeeza aur Khafeefa ke Alag Alag hukm bataye gaye hain yeh usi waqt hain ki badan ya kapde me lagein aur agar kisi patli cheez jaise pani ya sirke me gire to chaahe galeeza ho ya khafeefa kul Napaak ho jayega agarche ek Qatra gire jab tak woh patli cheez kasrat ki had par yani dah-dar-dah na ho,
📌Dah-dar-dah ka matlab yeh hai ki lambaai 10 hath aur chourhaai 10 hath ho aur gahraai itni ho ki zameen na khule,
Mas,ala :-
📌Insan ke jism se aisi cheez nikale ki us se gusl ya wuzoo wajib ho najaasate galeeza hai jaise peshaab, pakhana, bahta khoon, peep, bhar muh qai, haiz, nifaas, istihaza ka khoon, manee, mazee, wadee.
Mas,ala :-
📌Shaheede fiqhi
(yani woh shaheed jise gusl nahi diya jata) uska khoon jab tak uske badan se juda na ho paak hai,
Mas,ala :- Dukhti aankho se jo ani nikale najaasate galeeza hai yuin hi naaf pistaan se dard ke sath jo pani nikla najaasate galeeza hai.
Mas,ala :-
📌Balgami Ratoobat naak ya muh se Nikale najis nahi Agarche pet se charhe ya beemari ke sabab ho,
Mas,ala :-
📌Doodh peete ladke ladki ka peshab najaasate galeeza hai yeh jo aksar aawam mash,hoor ki doodh peete bache ka peshab paak hai bilkul galat hai,
Mas,ala :-
📌Doodh peene wale bache ne doodh daal diya agar bhar muh hai to najaasate galeeza hai.
📚(Bahare shariat /Hissa 2, page 110-111)
Mas,ala :-
📌Chhipkali ya girgir ka khoon
najaasate galeez hai,
Mas,ala :-
📌Angoor ka shira kapde par
padha to agarche kai din guzar jaye
kapda paak hai,
Mas,ala :-
📌Hathi ke sund ki rutubat
aur shair, kutte, cheete aur dusre
darinde choupya ka luaab (thook)
najaasate galeeza hai,
Mas,ala :-
📌Jis jaanwar ka gosht halaal
hai jaise Gaay, Bhains, Bail, Bakri aur
Uont wagairah unka peshab aur
ghode ka peshab aur jis parinde ka
gosht haraam hai chahe shikari hon
ya nahi jaise kawwa, cheel, shikara,
baaz, aur bahri uski beet najaasate
khafeefa hai,
Mas,ala :-
📌Jo parind halaal unche udte
hain jaise kabootar, maina, murgabi
aur qaaz unki beet paak hai,
Mas,ala :-
📌Har choupaye ki jugaali ka
wahi hukm hai jo uske pakhane ka
hai,
Mas,ala :-
📌Har jaanwar ke pitte ka
wahi hukm hai jo uske peshab ka hai,
haraam jaanwaron ka pitta najaasate
galeeza aur halaal jaanwaron ka
najaasate khafeefa hai,
Mas,ala :-
📌Agar najaasate galeeza khafeefa se mil jaye to kul galeeza hai,
Mas,ala :-
📌Machli aur pani ke dusre jaanwaron aur khatmal aur machchhar ka khoon aur gadhe ka
luaab aur paseena paak hai,
Mas,ala :-
📌Peshab ki nihaayat bareek chhinte sui ke nok ke barabar ki
badan ya kapde par padh
jayein to kapda aur badan
paak rahega,
Mas,ala :-
📌Jis kapde par aisi hi peshab ki bareek chhinte padh gai agar woh kapda pani me padh gaya to pani bhi napaak na hoga,
Mas,ala :-
📌Jo khoon zakhm se baha na ho woh paak hai,
Mas,ala :-
📌Gosht, tilli aur kaleji me jo khoon baqi rah gaya paak hai aur agar yeh cheez bahte hue khoon me sann jaye to napaak hai, bagair dhoye paak na hogi.
📚(Bahare shariat/Hissa 2, page 112)
Mas,ala :-
📌Jo Bachcha paida ho usko god me le kar Namaaz padhi Agarche usko Gusl de liya ho Namaaz na hogi aur agar zinda paida ho kar mar gaya aur be-Nahlaaye God me le kar Namaaz padhi jab bhi nahi hogi,
📌Haan Agar Usko Gusl de kar god me liya tha to ho jayegi magar mustahab ke khilaaf hai,
📌Yeh baatein us waqt hai ki Musalmaan ka Bachcha ho aur Kafir ka Murda Bachcha hai to kisi haal me Namaaz na hogi gusl diya ho ya na diya ho,
Mas,ala :-
📌Agar Namaaz padhi aur jeb Wagairah me shishi hai aur usme peshan ya khoon ya sharab hai to Namaaz na hogi aur jeb me anda hai aur uski zardi khoon ho chuki hai to Namaaz ho jayegi,
Mas,ala :-
📌Rooi ka kapda Udheda gaya aur uske andar chuha sukha hua mila to agar usme suraakh hai to 3 din raaton ko namaaz loutaye aur na ho to jitni Namaazein us se padhi hain sab ko loutaye,
Mas,ala :-
📌Kisi kapde ya badan par chand jagah Najaasate galeeza lagi aur kisi jagah dirham ke barabar nahi magar sabko mila kar dirham ke barabar hai to dirham ke barabar samajhi jayegi aur zyada hai to zyada aur najaasate khafeefa me bhi majmua'a (kul) par hi hukm hai..
Mas,ala :-
📌Haraam Jaanwar ka Doodh najis hai albatta ghodi ka doodh paak hai magar khana jaiz nahi,
📌Chuhe ki Mengni genhoo me pis gai ya tel me padh gai to aata aur tel paak hai aur haan agar maze me farq aa jaye to najis hai aur roti ke andar mili to uske aas paas se thodi si alag kar dein baqi me harz nahi,
Mas,ala :-
📌Resham ke kide ki beet aur uska pani paak hai.
📚(Bahare Shariyat/Hissa 2, page 112)
Mas,ala :-
📌Napaak kapde me paak kapda ya Paak Kapde me napaak kapda lapeta aur us napaak kapde se yeh paak kapda nam ho gaya to napaak na hoga basharte ki Najaasat ka Rang aur Boo us paak kapde me zahir na ho warna Nam hone se bhi napaak ho jayega,
📌Haan Agar Bheeg jaye to napaak ho jayega aur yeh usi soorat me hai ki woh napaak kapda pani se tar hua ho aur agar peshab ya sharab se taree usme hai to paak kapda nam ho jane se bhi napaak ho jayega aur agar napaak kapda sukha tha aur paak tarr tha aur us paak kapde ki taree se napaak kapda tar ho gaya aur us napaak ki itni taree lagi ki us se chhut kar us paak ko lagi to yeh napaak ho gaya warna nahi,
Mas,ala :-
📌Bheege hue pani Najis zameen ya Bichhoune par rakhe to napaak na honge agarche paao,n ki taree ka us par dhabba maloom ho,
📌Haan Agar us Zameen ya Bichhoune ko itni taree pahunchi ki uski taree paao,n ko lagi to paao,n Najis ho jayenge,
Mas,ala :-
📌Bheegi hui Napaak Zameen ya Najis ya Bichhoune par sukhehue paao,n rakhe aur paao,n me taree aa gai to najis ho gaye ar seel hai to nahi,
Mas,ala :-
📌Jis jagah ko Gobar se lesaa aur woh sukh gai to Bheega kapda us par Rakhne se Najis na hoga jab tak ki Taree use itni na pahunche ki us se chhut kar kapde ko lage,
Mas,ala:-
📌Najis kapda pahan kar ya najis bichhoune par soya aur paseena aaya aur paseene se kapde ki woh napaak jagah bheeg gai fir us se badan tar ho gaya to napaak ho gaya warna nahi,
Mas,ala :- napaak cheez par hawaa ho kar guzri aur badan ya kapde ko lagi to napaak na hoga,
Mas,ala :-
📌Miyaani tar thi aur hawaa nikali to kapda najis na hoga,
Mas,ala :-
📌Napaak Cheez ka dhuaa,n kapde ya badan ko lage to napaak nahi aise hi napaak cheez ko jalaane se jo dhuaa,n uthe unse bhi najis na hoga agarche unke kapde bheeg jaye
haan agar najaasat ka asar usme zahit ho to najis ho jayega.
📚(Bahare shariat /Hissa 2, page 113-114)
Mas,ala :-
📌Koi najis cheez Dah-dar-dah pani me fenki aur us fenke ki wajah se pani ki chhinte kapde par padi to kapda napaak na hoga,
📌Haan agar Maloom ho ki yeh chhinte us najis ki hain to is soorat me najis ho jayega,
Mas,ala :-
📌Agar pakhane par makkhiyaan udh kar kapde par baithi to kapda najis na hoga,
Mas,ala :-
📌Raste ka kichadh paak hai jab tak uska najis hona na maloom to agar paao,n ya kapde me lagi aur be-dhoye padh li to ho gai magar dho lena behtar hai,
Mas,ala :-
📌Sadak par Pani Chhirhka jaa raha tha aur zameen se chhinte udh kar kapde par padhi to kapda najis na hua magar dho lena behtar hai,
Mas,ala :-
📌Aadmi ki khaal Agarche nakhoon barabar thode pani (yani dah-dar-dar se kam) pad jaye to woh pani napaak ho gaya aur khud gir jaye napaak nahi,
Mas,ala :-
📌Peshab pakhane ke baad dhele se Istinjaa kar liya fir us jagah se paseena nikal kar kapde ya badan par laga to badan aur kapde napaak na honge,
Mas,ala :-
📌Agar paak mitti me napaak pani milaya to najis ho gai,
Mas,ala :-
📌Agar paak Mitti me Napaak bhusa milaya to agar thoda ho to paak hai aur jo zyada ho jab tak sukh na jaye napaak hai,
Mas,ala :-
📌Kutta badan ya kapde se chhoo na jaye to agarche uska jism tar ho badan aur kapda paak hai haan agar uske badan par najaasat lagi ho to aur baat hai aur agar uska luaab (thook) lage napaak kar dega,
Mas,ala :-
📌Kutta wagaira kisi aise jaanwar ne jiska luaab napaak hai aate me muh daala to agar aata gondha hua tha to jahan tak uska muh pada usko alag kar dein aur baqi paak hai aur sukha ho to jitna tar ho gaya use fenk dein,
Mas,ala :-
📌Istemaal kiya hua pani paak hai aur Nousdaar bhi paak hai,
Mas,ala :-
📌Suwar ke Alawa tamaam jaanwar ki haddi jis par murdaar ki chiknaai na lagi ho paak aur uske baal aur daant bhi paak hain,
Mas,ala :-
📌Aurat ke peshab ki jagah se jo ratoobat nikale paak hai,
agar kapde ya badan me lage to dhona zaroori nahi
haan behtar hai,
Mas,ala :- jo gosht sadd gaya aur usme se badboo paida ho gai uska khana haraam hai agarche najis nahi.
📚(Bahare shariat /Hissa 2, page 114-115)
NAJIS CHEEZON KO PAAK KARNE KA TAREEQA
📌Jo cheezein Aisi hain ki woh khud najis hain jinko Napaaki ya Najaasat kahte hain jaise sharab ya galeez cheez,
📌Aisi Cheezein jab tak apne asl ko chhiorh kar kuch aur na ho jayein paak nahi ho sakti,
📌Sharaab jab tak sharab hai Najis hi rahegi aur sirka ho jaye to ab paak hai,
Mas ,ala :-
📌Jis bartan me shraab thi aur shirkaa ho gai to woh bartan bhi Andar se utna paak ho gaya jahan tak us waqt sirkaa hai,
📌Agar bartan ke muh par sharab ki chhinte padi thi aur woh sukh gai to woh chhinton wali jagah sharab ke sirka hone se paak na hogi,
📌Yuin hi Agar sharab muh tak bhari thi fir kuch gir gai ki bartan thodi khaali ho gaya, Uske baad sirka hui to yeh bartan ke upar ka hissa jo pahle napaak ho chuka tha paak na hoga,
📌Agar sirka us se uledhaa jaye to woh sirka bhi napaak ho jayega q ki bartan ke upar ka hissa napaak hai,
📌Hasn agar chamcha Wagairah se nikal liya jaye to paak hai aur agar pyaaj lahsoon sharaab me padh jaye to sirka hone ke baad paak ho gaye,
Mas,ala :-
📌Sharaab me chuha gir kar fool fatt gaya to sirka hone ke baad bhi paak na hoga aur agar foola fata nahi tha to agar sirka hone se pahle nikaal kar fenk diya uske baad sirka hui to paak hai aur agar sirka hone ke baad nikaal kar fenka to sirka bhi napaak hai,
Mas,ala :-
📌Sharaab me peshab ka qatra gir gaya ya kutte ne muh daal diya ya napaak sirka mila diya to sirka hone ke baad bhi haraam aur najis hai.
📚(Bahare shariat /Hissa 2, 116)
Mas,ala :-
📌Musalmaan ke liye sharab ka khareedna,
Mangna,
Uthana ya rakhna haraam hai Agarche Sirke rakhne ki niyat se ho,
Mas,ala :-
📌Najis jaabwar namak ki khaan me gir kar namak ho gaya to woh namak paak aur halaal hai,
Mas,ala :-
📌Uple ki Raakh paak hai aur agar raakh hone se pahle bujh gaya to napaak hai,
Mas,ala :-
📌Jo cheezein zaati tour par najis nahi balki kisi najaasat ke lagne se napaak hui uske paak karne ke mukhtaleef tareeqe hain,
📌Pani aur har bahne wali cheez se (jis se najaasat door ho jaye) dho kar najis cheez paak kar sakte hain jaise sirka gulaab ki unse Najaasat door kar sakte hain to kapda ya badan un se dho kar paak kar sakte hain,
FAAIDA :-
📌Bagair zaroorat gulaab wa sirke wagaira se paak karna najaaiz hai is liye ki fuzool kharchi he.
Mas,ala :-
📌Istemaal kiya hua pani ya chaay (tea) se dhoye to paak ho jayega,
Mas,ala :-
📌Thook se agar najaasat door ho jaye to paak ho jayega jaise bachche ne doodh pee kar pistan par qaiy ki fir kai baar doodh piya yahan tak ki uska asar jata raha to paak ho gaya,
Mas,ala :-
📌Doodh,
Shorba Aur Tel se dhone se paak na hoga ki unse najaasat door na hogi,
Mas,ala :-
📌Najaasat Agar Daldaar ho (Jaise Pakhana, Gobar aur khoon wagaira) to dhone me gitni ki koi shart nahi balki usko door karna zaroori hai tab paak hoga to agar ek baar dhone se napaaki door ho jayega to ek hi martaba dhone se paak ho jayega aur agar 4-5 baar dhone se paak hoga to 4-5 baar dhona padega
haan agar 3 martaba se kam dhone se najaasat door ho jaye to 3 baar pura kar lena mustahab hai,
Mas,ala :-
📌Agar Najaasat door ho gai magar kuch asar Rang ya boo baqi hai to use bhi door karna zaroori hai,
📌Haan Agar uska asar mushkil se jaye to asar door karne ki zaroorat nahi
3 baar do liya paak ho gaya, saabun khataai ya garm pani se dhone ki zaroorat nahi.
📚(Bahare shariat /Hissa 2, page 116-117)
Mas,ala :-
📌Kapde ya hath me najis rang laga ya Napaak Mehendi lagaai to itni baar dhoye ki saaf pani girne lage to paak ho jayega agarche kadpe par rang baqi ho,
Mas,ala :-
📌Zaafran ya Rang kapde Rangne ke liye ghola tha usme kisi bachche ne peshab kar diya ya aur koi najaasat pad gai to us rang se kapda rang liya to 3 baar kapda dho le paak ho jayega,
Mas,ala :-
📌Godna ki sui chubho kar us jagah surma bhar dete hain to khoon itna nikalta hai ki bahne ke Qaabil ho to zahir hai ki woh khoon napaak hai aur surma jo us par dala gaya woh bhi napaak ho gaya fir us jagah ko dho dale paak ho jaayegi agarche napaak surme ka rang bhi baqi rahe yuin hi zakhm me raakh bhar di fir dho le to paak ho gaya agarche rang baqi ho,
Mas,ala :-
📌Kapde ya badan me napaak tel laga tha to 3 baar dho lene se paak ho jayega Agarche tel ki chiknaai moujood ho is takalluf ki zaroorat nahi ki saabun ya garm pani se dhoye lekin agar murdaar ki charbi lagi hi to jab tal uski chiknaai na jaye paak na hoga,
Mas,ala :-
📌Agar Najaasat patli ho to 3 baar dhone aur 3 baar zor se nichorhne se paak hoga aur zor se nichorhne ka matlab yeh ki woh shakhs apni taaqat bhar is tarah nichorhe ki agar fir nichorhe to us se koi qatra na tapke agar kapde ka khayaal karke achi tarah nahi nichorha to paak na hoga,
Mas,ala :-
📌Agar Dhone wale ne achi tarah nichorh liya magar abhi aisa hai ki koi dusra shakhs jo taaqat me us se zyada nichorhe to ek 2 boond tapak sakti hai to dhone wale ke haq me paak aur is dusre ke haq me napaak hai is dusre ki taaqat ka aitebaar nahi hai.
📌Haan Agar yeh dhota aur usi Qadr Nichorhta to paak na hota,
Mas,ala :-
📌Pehli aur dusri baar nichorhne ke baad hath paak kar lena zaroori hai aur jo kapde me itni taree rah gai ki nichorhne se ek aadh boond tapakegi to kapda aur hath 2no napaak hain.
📚(Bahare shariat /Hissa 2, page 117)
Mas,ala :-
📌Pahli ya dusri baar hath paak nahi kiya aur uske taree se kapde ka paak hissa bheeg gaya to yeh bhi napaak ho gaya fir agar pahli baar nichorhne ke baad bheega hai to use 2 baar dhona zaroori hai aur dusri baar hath ki taree se bheega to ek baar dhoya jaye,
📌Yuin hi agar us kapde se jo ek baar dho kar nichorh liya gaya hai koi paak kapda bheeg jaye to yeh dusra kapda 2 baar dhoya jaye aur agar dusri baar nichorhne ke baad us se yeh kapda bheega to ek baar dhone se paak ho jayega,
Mas,ala :-
📌Kapde ko 3 baar dho kar har baar khub nichorh liya hai ki ab na tapakega fir latka diya aur us se pani tapka to yeh pani paak hai aur agar khub nahi nichrha tha to yeh pani napaak hai,
Mas,ala :-
📌Doodh peete ladke aur ladki ka ek hi hukm hai ki unka peshab kapde ya badan par laga hai to 3 baar dhona aur nichorhna padega,
Mas,ala :-
📌Jo cheez Nichorhne ke qaabil nahi hai (jaise chataai, bartan aur joota wagaira) usko dho kar chhhorh de ki pani tapakna ruk jaye
yuin hi 2 martaba aur dhoye,
3sri martaba jab pani tapakna band ho gaya to woh cheez paak ho gai,
📌Use har baar dho kar sukhana zaroori nahi,
yuin hi jo kapda nazuk hone ki wajah se nichorhne ke qaabil nahi use bhi aise hi paak kiya jaye,
Mas,ala :-
📌Agar aisi cheez ho ki usme najaasat zajb na hui jaise chini ke bartan ya mitti ka puraana istemaali chikna bartan ya lohe taanbe peetal wagaira ki cheezein to use sirf 3 baar dho lena kaafi hai iski bhi zaroorat nahi ki use itni der chhorh de ki pani tapakna ruk jayein,
Mas,ala :-
📌Naapaak bartan ko mitti se maanjh lena behtar hai,
Mas,ala :-
📌Pakaya hua chamrha agar napaak ho gaya to agar use nichorh sakta hai to nichorh de
nahi ti 3 baar dhoye aur har baar itni der chhorh de ki pani tapakna band ho jaye.
📚(Bahare shariat /Hissa 2, 118-119)
Mas,ala :-
📌Aaina aur shishe ki tamaam cheezein aur chini ke bartan ya mitti ke rogani bartan ya polish ki hui lakdi garaz ki woh tamaam cheezein jinme suraakh na hon kapde ya patte se is qadr ponchh li jayein ki najaasatka asar bilkul jata rahe to paak ho jati hai,
Mas,ala :-
📌Manee agar kapde me lag kar sukh jaye to sirf mal kar jhadhne aur saaf karne se kapda paak ho jayega agarche uska kuch asar kapde me baqi rah jaye is mas,ale me AuraT, Mard, Insan, Haiwaan, Tandrust aur jiryaan ke mareez sab ki manee ka ek hi hukm hai,
Mas,ala :-
📌Badan me agar manee lag jaye to bhi isi tarah paak ho jayega,
Mas,ala :-
📌Agar peshab karke pani ya dhele se tahaarat na ki aur manee us jagah par guzri jahan peshab laga hua hai to yeh malne se paak na hogi balki dhona zaroori hai aur agar tahaarat kar chuka tha ya manee jast karke yani kood kar nikali ki us najaasat ki jagah par na guzari tto malne se paak ho jayegi,
Mas,ala :-
📌Jis Kapde ko mal kar paak kar liya agar woh pani se bheeg jaye to napaak na hoga,
Mas,ala :-
📌Agar manee kapde me lagi hai aur ab tak tarr hai to dhone se paak hoga malna kaafi nahi
yani jab manee sukh jaye to mal kar paak kar sakte hain aur tarr hone ki haalat me kapda ya badan paak karna hai to dhona zaroori hai.
Mas,ala :-
📌Chamrhe ya moze ya joote me daldaar najaasat lagi jaise pakhana gobar ya manee to agarche woh najaasat tarr ho khurachne ya ragadhne se paak ho jayega,
Mas,ala :-
📌Aur peshab ki tarah koi patli najaasat chamrhe wale joote ya chamrhe wale moze me lagi ho aur us par mitti ya retaa ya raakh daal kar ragadh daalein jab bhi paak ho jayegi aur agar aisa na kiya yahan tak ki najaasat sukh gai to ab be-dhoye paak na hogi,
📚(Bahare shariat /Hissa 2, page 121-122)
Mas,ala :-
📌Agar napaak zameen sukh jaye aur najaasat ka asar yani rang aur boo jati rahe to paak ho jayegi chaahe woh hawaa se sukhi ho ya dhoop ya aag se magar us se tayammum karna jaiz nahi albatta us par namaaz padh sakte hain,
Mas,ala :-
📌Jis kuwe,n me pani napaak ho aur woh kuwaa,n sukh jaye to paak ho jayega,
Mas,ala :-
📌Ped, Poudhe, Ghaas, Deewaar aur aisi eet jo zameen me jarhi ho sukhne ke baad paak ho jati hain,
📌Isi tarah Napaak darakht ya napaak ghaas sukhne se pahle kaat li to paak karne ke liye dhona zaroori nahi hai,
Mas,ala :-
📌Agar patthar aisa ho ki zameen se judaa na ho sake to khushk (sukha) hone se paak hai nahi to dhone ki zaroorat nahi hai,
Mas,ala :-
📌Chakki ka patthar sukh jane se paak ho jayega,
Mas,ala :-
📌Kankari jo zameen ke upar hai sukhne se paak na hogi
aur jo zameen me chipki hui ho woh zameen ke
As Salato Was Salamo Alayka
Har Fitne Ka Radd Farz e Azam Hai.
Ye Saare Aaj K Bade Fitne Hai.
الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ