Tayammum Ka Tariqa O Masail Hanfi 14
Tayammum ki niyyat karein..matlab ye k.. Wuzu ya ghusl ya dono se paaki hasil karne or namaaz jaaiz hone k liye tayammum karta hun.
Allah Ka Naam Le Kar.. dono haathon ki ungliyon ko khub faila dein.
Fir kisi paak chiiz k jo zamiin ki qism se ho..Jaise..Patthar..Chuna...Iinth..Diiwaar..waghaira par dono haath maar kar lot lijiye..or..
Agar zyada gard ( dhool ) lag jaaye to jhaad lijiye or usse saare munh ka is tarah masah karein k koi hissa reh na jaaye..Agar baal baraabar bhi koi jaga reh gayi to taymmum na hoga.
Fir dusri baar isi tarah haath zamiin par maar kar dono haathon ka naakhun se lekar kohoniyon k sath masah karein.
Iska behtar tariqa ye hai k ulte haath k anguthe ko chhod kar 4 ungliyon ka pet siidhe haath ki piith par rakkhein or ungliyon k naakhunon se le kar kohoniyon tak le jaayein or..
Fir wahan se ulte hi haath ki hatheli se siidhe haath k pet ko malte ( ragadte ) huwe kandhe tak laayein or ulte anguthe k pet se siidhe anguthe ki piith ka masah karein.
Isi tar-tib se siidhe haath se ulte haath ka karein.
Tayammum in chizon se ho sakta hai.
Jo chiiz aag se jal kar raakh hoti hai na pighalti hai na narm hoti hai..Wo zamiin ki jins ( type ) se hai..Usse tayammum jaaiz hai.
Raita..Chuna..Surma..Gandhak..Patthar..Zabarjad..Firoza..Atiiq..waghaira jawaahir se tayammum jaaiz hai..chahe in par gubaar ho ya na ho.
Pakki Iinth..Chini yaa Mitti k bartan se tayammum jaaiz hai..lekin agar in bartanon par aysi chiiz ki teh chadha di ho jo zamiin ki jins se na ho..Jaise kaanch ka gilit ya teh chadi ho..To taymmum jaaiz nahi.
Jis Mitti ya Patthar waghaira se taymmum kiya jaye uska paak hona zururi hai.
Zamin Diiwaar or Wo Dhool jo zamin par padi rehti hai..Agar naapaak ho jaye..Fir dhup ya hawaa se sukh jaaye or naapaaki ka asar khatm ho jaye to paak hai..or us par namaaz jaaiz hai magar usse tayammum nahi ho sakta.
BAHRUR RAAIQ
FATAWA AALAMGIRI
DURRE MUKHTAAR
Honth..Anguthi..Ghadi k masle.
Honthon ( lips ) ka wo hissa jo munh band hone k baad bhi dikhayi deta hai us par masah hona zaruri hai..Agar munh par haath pherte waqt kisi ne honthon ko zor se dabaa liya or ye hissa bhinchne ki wajah se masah hone se reh gaya to tayammum na hoga.
Anguthi..Ghadi wagaira pehne hon to utaar kar un k niiche haath pherna farz hai..or aurtein bhi chudiyan waghaira hata kar un k niiche masah kare..k tayammum ki ahtiyaatein wuzu se bhi zyada hai.
MARAAFIUL FALAAH-
MAA HAASHIYA TAH-TAAVI
BAHAARE SHARIYAT
Tayam-mum in chizon se ho sakta hai.
Agar kisi Lakdi..Kapde..ya Dari ( shatranji ) waghaira par itni dhool hai k haath maarne se ungliyon k nishaan ban jaye to usse tayammum jaaiz hai.
Isi tarah bus k safar mein agar bhiid zyada hai k na khade ho sake na jaga hai na pani hai to khidki se hath bus ki body par safar k doraan jo dhuul ki teh jami hoti hai us se bhi tayammum kar le or ishare se namaaz padh le fir eaadah kare ( M K N )
Chuna Mitti ya Iinton ki diiwaar..chahe ghar ki ya masjid ki ho usse tayammum jaaiz hai.
Magar us par Oil paint..Plastic paint..Met finish..ya Wallpaper waghaira koi aysi chiiz nahi honi chahiye jo zamin ki jins k siwa ho...Diiwaar par marble ho to koi harj nahi.
FATAWA AALAMGIRI
Tayammum in haalaat meinJaaiz hai.
Itni shardi ho k nahane se mar jaane ya bimaar ho jaane ka qawi andesha ( yaqiin ho ) or ghusl k baad thand se bachne ka koi saman bhi na ho to tayammum jaaiz hai.
Agar ye gumaan hai k paani talaash karne mein dusre saathiyon se bichhad jayega ( ya train chhut jaayegi ) to tayammum jaaiz hai.
Masjid mein so raha tha k ghusl farz ho gaya to jahan tha wahin foran tayammum karl e yahi ahtiyaat k qarib hai..aysi haalat mein foran nikal jaye der karna haraam hai.
Awrat haiz o nifaas se paak ho gayi or pani par qudrat nahi to tayammum kare.
FATAWA AALAMGIRI
FATAWA RAZWIYA
BAHARE SHARIYAT
Tayam-mum in surton mein jaaiz hai.
Jiska wuzu na ho ya nahane ki haajat ho or paani na ho..Chaaron taraf aik aik mile tak na ho..To wuzu or ghusl k badle tayammum kare.
Aysi bimaari k wuzu ya ghusl karne se badh jayegi ya der mein achchi hogi to in surton mein tayammum kar sakte hai.
Is k liye zaruri hai k koi musalman doctor jo fasiq ( aelaaniya gunah karne wala ) na ho wo kahe k..Paani se nuqsan hoga..Ya apna tajruba ho k pehle bhi aysi haalat mein paani se nuqsan huwa tha.
Agar aabe zamzam paas mein hai or itna hai k wuzu ho jaye to tayammum jaaiz nahi.
BAHAARE SHARIYAT
DURREUKHTAAR
RADDUL MOHTAAR
FATAWA QAAZI KHAAN
AALAMGIRI
Tayammum in chizon se tut-ta hai.
Jis par ghusl farz hai us k liye zaruri nahi k wuzu or ghusl dono k liye do tayammum kare..bl k dono mein aik hi niyyat karle dono ho jayenge.
Jin chiizon se wuzu tutta hai un se tayammum bhi tut jaata hai.
Jin chiizon se ghusl farz hota hai un se tayammum bhi tut jata hai.
Or jayse hi majburi khatm hogi tayammum bhi tut jayega..Jayse bimari khatm hona..Paani ka mil jaana.
Agar awrat ne naak mein phuul waghaira pehna hon to nikaal le warna phuul ki jaga masah nahi ho sakega.
FATAWA QAZI KHAN
FATAWA TAATAAR KHAANIYA
FATAWA AALAMGIRI
BAHAARE SHARIYAT
Tayammum k kuch aur masail.
Waqt itna tang..kam reh gaya k wuzu ya ghusl karega to namaaz qaza ho jayegi to tayammum kar k namaaz padh le..Fir wuzu ya ghusl kar k namaaz fir se padhna laazim hai.
Agar koi aysi jaga hai k jahan na paani milta hai na tayammum k liye paak mitti to..namaaz k waqt namaaz jaysi surat banaye..
Matlab namaaz mein ham jaysi harkatein karte hai wo sab namaaz ki niyyat k baghair kare..Fir paani ya paak mitti milne par wuzu ya tayammum kar k namaaz padhni hai.
Wuzu or ghusl dono k tayammum ka aik hi tariqa hai.
FATAWA RAZWIYAH
BAHAARE SHARIYAT
Tayammum mein 3 farz hai.
★ Niyat karna.( iraada )
★ Saare munh par haath pherna.
★ Kohoniyon k saath dono haath ka
masah karna.
BAHAARE SHARIYAT
Tayammum ki 10 Sunnat e Rasul o Sahaba.
★ Bismillah sharif kehna.
★ Haathon ko zamin par marna.
★ Zamin par haath maar kar lot
dena matlab..aage badhana
or piiche lana.
★ Ungliyaan khuli hui rakhna.
★ Haathon ko jhaad lena..dono
haath k anguthon ki jad se
takrana.
★ Pehle munh par haathon ka
ma-sah karna.
★ Dono haath k masah aik k baad
aik foran karna.
★ Pehle siidhe fir ulte haath ka
masah karna.
★ Daadhi ka khilaal karna..matlab gale ki taraf se siidhe haath ki ungliyan dakhil kar k aage ki taraf nikaalna.
★ Ungliyon ka khilaal karna.
BAHAARE SHARIYAT
Har Fitne Ka Radd Farz e Azam Hai.
Shia Rafzi
Wahabi Deobandi
Qadyani Ahmedi
Ye Saare Aaj K Bade Fitne Hai.
Ahle Sunnat Wa Jamat Se Inka Kohi Talluk Nahi.
الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ