Suraj aur Chand Grahan Ki Namaz K Masail -
(Solar Eclipse and Lunar Eclipse Muslim Prayer and Method)
*************
Suraj Grahan Ki Namaz Sunnt E Muaqqada Kifaya Hai Aur 

Chand Grahan Ki Mustahab (Nafil) Hai.

Suraj Grahan Ki Namaz Jamat Se Padhani Mustahab Hai Aur Tanha-Tanha Bhi Ho Sakti Hai.
Aur Jamat Se Padhi Jaaye To Khutbe Ke Siwa Tamaam Sharaite Jumuah Iske Liye Shart Hai.

Yaani Wahi Shakhs Uski Jamat Kayam Kar Sakta Hai Jo Jumuah Ki Kar Sakta Hai.
Wah Na Hoto Tanha-Tanha Ghar Me Ya Masjid Me.
(Durre Mukhtaar)

Sunnat e Muaqqada Kifaya Ka Matlab Agar Puray Shahar Mein 1 Bhi Musalman Ne Padha Toh Kohi Hi Bhi Gunahgaar Na Hoga aur Agar 1 Ne Bhi Nahi Padha Toh Sab K Sab Pura Shahar Gunahgaar Hoga. 

Grahan Ki Namaz Usi Waqt Padhe Jab Aaftaab Grahan Ho Yaani Jab Grahan Lag Raha Ho, Grahan Chhoot Ne Ke Baad Nahi.
Aur Agar Grahan Chutna Shuru Ho Gaya Magar Abhi Baaki Hai Us Waqt Bhi Shuru Kar Sakte Hai Aur Grahan Ki Haalat Me Us Par Abr (Badal) Aa Jaaye Jab Bhi Namaz Padhe.
Aise Waqt Me Grahan Laga Ki Us Waqt Namaz Mana Hai To Namaz Na Padhe.
Balki Dua Me Mashgul Rahe Aur Isi Haalat Me Doob Jayein To Dua Khatm Karde Aur Magrib Ki Namaz Padhe.
(Johara, Raddul Muhtaar)
---

Bahar-E-Shari’At Teesra Hissa 4 Safa 92,93
Namaz e Kusoof padhne ka tarika -
Suraj Grahan aur Chand Grahan Ki Namaz
Lunar Eclipse and Solar Eclipse Muslim Prayer - 

Niyat - 
Niyat Ki Mein Ne 2 Rikat Namaz E Kusoof (Agar Suraj Grahan Hai Toh SUNNAT aur Chand Grahan Hai Toh NAFIL, Zayad Qayam aur Ruku K Sath, Waste Allah Tala K Chehra Mera Qaba e Sharif K Taraf - ALLAH HU AKBAR)
Dil Mein Niyat Bhi Kar Sakta Hai Zuban Se Kehna Zaruri Nahi.

1. Taqbeer (Allahu akbar) kah kar namaz ki shuruat kare. 

2. Fir Sana padhe 

3. Surah Fatiha padhe

4. Ab lamba qayaam kare yaani Quran ki surat ya aayaat padhe.

5. Fir Ruku me jaaye (Ye ruku lamba hona chahiye)

6. Fir Ruku se uthe

7. Ab firse qayaam kare jo lambi hogi lekin pahle qayaam se choti hogi. [Surah Fatiha + koi surat/aayaat]

8. Ab fir ruku me jaaye jo ki lambi hogi lekin pahle wali ruku se choti hogi.

9. Ab sajde me jaaye. [2 sajde karne hai]

10. Sajde ko ada karne ke baad wapis se uthe (yaha ek rakat namaz muqammal hui)

11. Fir Surah Fatiha padhe

12. Ab firse koi surat ya aayaat padhe jo ki lambi hogi lekin dusre qayaam se choti hogi.

13. Ab Ruku me jaaye jo ki lambi hogi lekin dusre ruku se choti hogi.

14. Ab fir qayaam kare jo ki teesre qayaam se choti hogi. [Surah Fatiha + koi surat/aayaat]

15. Ab firse Ruku me jaaye aur ye ruku teesre ruku se choti hogi.

16. Ab sajde me jaaye aur sajda ada kare. [2 sajde karne hai]

17. Ab Tashahhud aur baaki chize padhe jo har namaz me padhi jati hai.

18. Fir salaam fere.

Apki do rakat namaz e Kusuf muqammal hui.

Sahih al bukhari, kitab al kusoof (16), hadees- 1052.

Namaz e Kusoof Mein
2 Rikat 
4 Qayam
4 Ruku
4 Sajde
1 Qayda e Akhira 
2 Salam Hota Hai.

Aam Dogana Se 2 Qayam aur 2 Ruku Zyada.
--

Urdu Mein Namaz E Kusoof Ka Tariqa 

نماز کسوف کا طریقہ: یہ ہے کہ
 انسان تکبیرِ تحریمہ کہے اور پھر دعائے استفتاح پڑھنے کے بعد تعوّذ پڑھے اور اس کے بعد سورہ فاتحہ کے ساتھ کسی دوسری سورت کو ملاتے ہوئے لمبی قراءت کرے۔

پھر لمبا رکوع کرے۔

پھر رکوع سے سر اٹھا کر : ” سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ، رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ ” کہے

پھر دوبارہ سے سورہ فاتحہ کے ساتھ کسی دوسری سورت کو ملا کر لمبی قراءت کرے، تاہم اب کی بار قراءت پہلے سے قدرے کم ہو گی۔

پھر دوسری بار لمبا رکوع کرے لیکن یہ پہلے رکوع سے قدرے کم لمبا ہو گا۔

پھر رکوع سے سر اٹھائے اور ” سَمِعَ اللهُ لِمَنْ حَمِدَهُ، رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ ” کہے پھر کافی دیر تک کھڑا رہے۔

پھر دو لمبے لمبے سجدے کرے، اسی طرح دونوں سجدوں کے درمیاں بھی کافی دیر تک بیٹھے [جلسہ کرے]۔

پھر دوسری رکعت کے لیے کھڑا ہو اور بالکل پہلی رکعت کی طرح دوسری رکعت بھی ادا کرے لیکن دوسری رکعت کا ہر عمل پہلی رکعت کے اعمال سے قدرے چھوٹا ہو گا، پھر اس کے بعد تشہد بیٹھے اور آخر میں سلام پھیر دے۔
---

HADEES 

Suraj aur Chand me Grahan kisi Shakhs ki Maut se nahi lagta. Yeh dono to Allah Ta”ala ki Qudrat ki Nishaniyan hai. Is liye usey dekhte hi khade ho jaao aur Namaz padho.”

Bukhari 1041

Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya: ‘Chand aur Suraj ka graham asaar e qudrat hain. Kisi ke marne, jeene (ya kisi aur wajah) se namudaar nahi hote. Balke Allah (apne) bando’n ko ibrat dilaane ke liey zahir fermata hai. Agar ’tum aise asaar dekho to jald az
jald dua, isteghfar aur yaad ilaahi ki taraf rujoo karo’.

(Bukahri: al Kasoof 1059 – Muslim: al Kasoof 912)


Is Post Ka Talluk Ahle Sunnat Wa Jamat - Maslak e Ala Hazrat - Sunni - Hanfi - Barelvi  Se Hai.

Dusre Imamon K Masail Alag Ho Sakte Hai.

Kisi Bhi Batil Firqon Se Jaise Wahabi, Ahle Hadees, Devbandi, 24, Qadyani, Shia, Rafzi, Bohri Wagaira Se Hamara Talluq Nahi.


الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ