Farman-e- Rasul ﷺ :

طَلَبُ الْعِلْمِ فَرِيضَةٌ عَلَى كُلِّ مُسْلِمٍ

“Elm Ka Hasil Karna Har Musalman Par Farz Hai”

Sunan Ibne Majah, Al Muqadmah, Fazl-lil-Ilm, Jild: 01, Safa: 146, Hadees: 224 

Kitna Ilm Sikhna Farz Hai ?
(1) Aqaid Ka Ilm — Sabse Aham-Tareen Farz Yeh Hai Ki Bunyadi Aqaid Ka Ilm Hasil Kare. Jissey Aadmi Sahih-ul-Aqeeda Musalman Banta Hai. Jaise Allah Ta’ala Ke Ta’alluk Se Kon-Kon Se Aqaid Rakhna Chahiye, Nabi Wa Rasool, Aasmani Kitabe, Douzakh, Jannat, Jinn, Firishte, Mouzja, Karamaat, Taqdeer, Qiyamat Aur Aakhirat Wagairah Ke Muta’allik Aqaid.

(2) Ahkam-e-Shariya Aamaliya Ka Ilm Namaz : Namaz Me Masail Yani Sharait Wa Faraiz Wa Mufsidat (Namaz Todne Wali Cheeze) Seekhe Taki Namaz Sahih Tour Par Ada Kar Sake.
Roza : Ramzan Shareef Me Rozo Ke Masail, Niyyat, Roza Kab Tootta Hai Aur Kab Makhrooh Hota Hai Wagairah Me Masail
Zakat : Zakat Ke Masail, Zakat Kab Farz Hogi, Kya Karenge To Zakat Ada Hogi, Kisko Zakat De Wagairah.
Hajj : Sahib-e-Istitaa’at Ho To Hajj Ke Masail Wagairah.

Isi Tarah Nikah, Talaq, Tijarat (Business), Halal Wa Haram Ke Masail Bhi Sikhna Farz Hai.

(3) Gunah Ki Marifat — Batini Faraiz Maslan Tawakkul, Ikhlas, Aazizi Wagairah Aur Inko Hasil Karne Ka Tareeqa Aur Batini Gunah Maslan Taqabbur,  Riyakari, Hasad Aur Inka Ilaaj Sikhna Har Musalman Par Aham Farz Hai.
Fatawa Razwiyya, Jild: 23, Safa: 623-624 

Al-Quran:
Allah Ta’ala Yakinan Unn Logon Ko Jo Tum Me Se Imaan Laaye, Aur Jinhone Ilm Haasil Kiya Unke Darjaat Buland Kar Ke Rahega.
[Surat Al-Mujadila(58): Ayat-11]

Isi Tarha Ilm Ki Fazilat Aur Ahmiyat Ke Talluk Se Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmate Hai –
Hadith: “Ilm Haasil Karna Har Musalmaan Par Farz Hai”.
[Miskat P:24]

Mafhoom-e-Hadees:
“Ilm Hasil Karna Har Ek Musalman (Mard Aur Aurat) Par Farz Hai”.
[Sunan Ibn Majah, Vol-1, Hadith-224]
Mafhoom-e-Hadees:
“Har Cheez Ka Ek Raasta Hai Aur Jannat Ka Raasta Ilm Hai”.
[K.Ummal]
Mafhoom-e-Hadees:
“Raat Me Ek Pal (Ghadi) Ke Liye Ilm Padhna Padhaana Raat Bhar Ki Ibadat Se Behtar Hai”.
[Darami, Mishkat Sharif, Anwarul Hadis Page-58]
Mafhoom-e-Hadees:
“Ilm Ki Majlish Me Haazir Hona 1000 Nafil Padhne Se Afzal Hai”.
[Tafseer Roohul Bayaan, Jild#10, Page#221]
Mafhoom-e-Hadees:
“Behtareen Sadqa Yeh Hai Ki Musalman Aadmi Ilm Haasil Kare, Phir Apne Musalman Bhai Ko Sikhaaye”
[Ibn-e-Majah J:1 S:158 H:243]
Mafhoom-e-Hadees:
“Ilm Ki Talab Me Jis Ke Qadam Khak Aalud Ho. Allah Uske Jism Ko Jahannam Par Haraam Kar Dega Aur Allah Ke Farishte Uske Liye Dua-e-Magfirat Karenge”.
[Tafsir-e-Kabir]
Mafhoom-e-Hadees:
“Jo Ilm Ki Talaash Me Kisi Raste Par Chalta Hai, Allah Uske Liye Jannat Ka Rasta Aasaan Farma Deta Hai”.
[Ibne Maja, Jild-1, Page:145]
Mafhoom-e-Hadees:
“Jo Shakhs Talab-e-Ilm Me Rehta Hai, Allah Uske Rizq Ka Zaamin Hai”.
[Tareekh-e-Baghdad, Raqam-1535, Jild-3, Page-398]
Mafhoom e Hadith:
“Jis Ne Ilm Talash Kiya Tou Yeh Talash Uske Gujasta Gunaaho Ka Kaffara Ho Gayi”.
[Mir’aatul Manahij, Jild 1, Safa 203]
Mafhoom e Hadith:
“Jis Shakhs Ko Iss Haal Me Mout Aaye Ki Wo Ilm Hasil Kar Raha Ho, Taa’ki Iss Ke Zariye Islam Ko Zinda Kare(Faila Sake) Tou Uss Ke Aur Ambiya Ke Darmiyan Jannat Me Sirf Ek Darjah Ka Farq Hoga”.
[Mishkat Sharif: Hadith no.231]

Isliye
Agar Kisi Ko Ye Khadsha Ho Ki Uski Maut Qareeb Hai (La Ilaj Bimari Wagaira) Toh Wo Elm e Deen Hasil Karne Lag Jaye aur Duston Ko Sikhane Ki Koshish Kare.
Allah Uske Darjat Ko Buland Farmaye Ga. 

☠️☠️☠️
Shaitaan Ka Makr o Fareb

Jo Musalman Neki Ka Irada Karta Hai Usko Sahaitaan Kai Tariqon Se Behkata Hai

Uski NIYAT Ko Kharab Ya Halka Kar Deta Hai

Uske WAQT Ko Kum Darje Ki Ibadat Mein Zaye Kardeta Hai

Jaise Ushi 1 Ghante Mein Insaan Elm e Deen Hasil Kar Sakta Hai (jo FARZ hai) aur Behek Gaya Wahi 1 Ghanta Muraqebe Mein Laga Dega Jo Mustahab Hai.

Allah Shaitan K Fareb Se Bachaye!

Mahfum-e-Hadees: 
Rasool’Aallah (Sallallahu
Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –

Jis Shakhs Ko Sirf *Duniya* Ki Fikr Ho To
Allah Ta’ala Uske Kaam Me *Pareshaani* Daal Dega,

*Aur Uski Muflisi Dono Aankhon Ke Darmiyan Kar Dega
*Aur Duniya Usko Utni Hi Milegi Jitni Uski Taqdeer Me Likhi Hai...
Aur Jiski *Niyat Aakhirat Ki Taraf Ho Tou Allah Ta'ala Uske Sab Kaam Durast Kar Dega* ,...
*Aur Uskey Dil Me Be-Parwahi Daal Dega
Aur Duniya Bila Shuba Uske Pass Aayegi”.

– (Sunan Ibn Majah)

“Duniya ki Misaal Aakhirat ke Muqable me Aisee hai Jaisey Tum me se Koi Apni Ungli Samandar me Daley Phir Dekhey ki Kitna Paani Uski Ungli me Lagta hai.”
(Matlab Samandar (akhirat) K Aur (dunya) 1 Boond Bhi Nahi)

[Sunan Ibn Majah, Vol-3, 989-Sahih]

Shaitaan Tumko (Garibi/Tang Dasti/Faqeeri) Se Darata Hai aur Bure Kaam Karne Kehta Hai.
(Mafhoom)
Quran Sureh Bakra Ayat 268

 ☪️☪️☪️
FARZ vs NAFIL (mustahab)

Pehli Baat Ye Hai Iska Kohi Comparison Hai Hi NAHI Ye Toh Aap K Samajh Mein Aajaye Iskiye Likh Raha Hu

1. 2 Rikat Namaz Farz 2000 Rikat Nafil Se Bhi Zyada Behtar Hoti Hai

2. 100 Rupya Farz Sadqa (ZAKAT) 100000 Rupya NAFIL Sadqe Se Bhi Behtar Hota Hai

3. Elm e Deen (Farz Uloom) Mein Invest Kia Hua 1 Saal Zindigi 50 Saal K Nafil Muraqebe Se Behtar Hota Hai

4. Elm e Deen (farz uloom) Sikhana Aur Faylana Sab Se AFZAL Zikr Mein Se 1 Hai Jo Marne K Baad Bhi JARI Rehta Hai (sawab e jaria)

5. 1 Farz Roza Agar Qaza Hojaye Toh Pura Saal Bhi Nafil Roza Rakhne Se Uski Fazilat Hasil NAHI Hogi

Oont K Saamne Bakri Ka Bachcha
Aur 
Suraj K Aage Chirag Ka Kohi Muqabla Nahi Hosakta.

As Salato Was Salamo Alayka 

Har Fitne Ka Radd Farz e Azam Hai.
Shia Rafzi
Wahabi Deobandi
Qadyani Ahmedi
Ye Saare Aaj K Bade Fitne Hai.
Ahle Sunnat Wa Jamat Se Inka Kohi Talluk Nahi.

☪️☪️☪️

"ACHHAAYI KA HUKM DENA AUR BURAAYI SE ROKNA *WAJIB* HAI. IS PAR UMMAT KA IJMAA’ HAI."
--
Hadees-

"ALLAH TA’ALA SAB LOGON KO BAAZ LOGON KE AMAL KE SABAB AZAAB NAHI DETA MAGAR JAB KE WOH APNE DARMIYAAN BURE KAAM HOTE DEKHEIN AUR USEY ROKNE KI TAAQAT RAKHTE HUWE NA ROKEIN. AGAR UNHONE AISA KIYA TO KHUDA E TA’ALA AAM AUR KHAAS SAB KO AZAAB DEGA." 

(MISHKAAT SHAREEF, SAFHA 438)
☪️☪️☪️

الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ 
Jitan Elm Hasil Karliya Unta Logo Ko Bhi Bato..