Wirasat Ki Taqseem WAJIB Hai Nahi Karne Wala GUNAH e KABIRA Karne Wala FASIQ Hai. Fasiq Ki Tazim HARAM

Aisa Karne Wala ZALIM Bhi Hota Hai Aur ZALIM k Saath ALLAH Nahi.

Wirasat Marne K Baad Hi Taqseem Hoti Hai Aur Agar Kohi Shaitaan Kahe Ki Sab Mila Kar Rakho Wo Allah o Rasul K Khilaf Kaam Karta Hai,

Aison K Khilaf Bolna aur Dayra e Shariat Mein Ladna SAWAB Hai.

Lekin Ye Sab Kisi MUFTI Ki Nigrani Mein Hi Kro Warana Zara Sa Farq Mein Masla Badal Jata Hai.

Jite Ji Wirasat Taqseem Bhi Log Karte Hai, Jo Jayez Hai.
(Fitne Ka Khauf Ya Bimari Ya Aur Kohi Sharai Wajah Se)

Wirasat Ki Taqseem Ka HAQ Shariat Ka Hai (Allah aur Rasul Ka)
Wirasat K Maal Par Haq Warison Ka
(Muslaman Mard Aurat Bachchon Aur Budhon Ka Bhi)

Ye Kum Likha

Gunah Ki Shiddat Zyada Hai Isme -

1. Wajib Ka Tark : Gunah e Sagira
2. Zulm Gunah e Kabira
3. Bande Ka Gunahgar Bhi aur Allah Ka Bhi Toh TAUBA Ka Mamla Shadeed Hai
4. Gunah Musalsal Continue Hoga Matlb JARIA 

 Gunah e Kabira Jaria

Hissa Hadapne Wala JAHANNAM Mein Apni Jagah Khud Bana Lega.

☠️☠️☠️☠️☠️☠️☠️

 Gunah E Kabira Wa Sagira Me Kya Farq Hai?

📌 *Irshad: Gunah E Kabira 700 Hai. Al Jameh Ul Ahkam Ul Quraan Al Qurtabi) Unki Tafsil Boht Tawil. Allah Azwajjal Ki Ma'asiayt Jis Qadr Hai Sab Kabira Hai. Agar Sagir Wa Kabira Ko Alhida Shumar Karaya Jaye To Log Sagaar (Sagira Gunaho) Ko Halka Samjege, Wo Kabira Se Bhi Badatar Ho Jayega. Jis Gunah Ko Halka Jaan Kar Karega Wahi Kabira Hai. Unke Imtiyaz Ke Liye Sirf Is Qadr Kafi Hai Ke Farz Ka Tark Kabira Hai Aur Wajib Ka Sagira. Jo Gunah Bebaki Aur Israar Se Kia Jaye Wo Kabira Hai.*

---
☪️
Isme KUFR Bhi Log Bak Dete Hai

Jaise

Bitiyon Ka Hissa Quran Mein Hai

Ab Kohi Hero Bolega Betiyon Ka Hissa Nahi Hota

Matlab KUFR 

Ab Isko Quran Khol K Samjhaya Jayega Maan Liya Aur Tauba Kar Liya Toh Musalman Hi Hoga.

Nahi Mana Ada Raha Tab KAFIR Ka Huqm Bhi Lag Jayega.

☪️

------
Q. Kis Ko Wirasat Mein Hissa NAHI Milta Hai?

A.
1. Kafir Ko Ya Murtad Ko
2. Wahabi, DevBandi, 24, Shia, Rafzi, Qadyani, Suleh Kulli Ya In Jaise BadMazhab Ko
3. Haram Ki Aulad Ko
4. Qatil ya Khooni Ko
5. Aisa Fasiq Jisko Muashra Bhi Bura Jane - Jaise Sharabi, Juari, Zani, Charsi Ko
6. Yateem Pote - Poti Ko Dada Ki Wirasat Mein (Magar Yahan WASIYAT Karna Chahiye)
7. Palak (God Liye Hue / Adopted) Bachche Ko
8. Qareebi Rishtedaar Ki Maujudgi Mein Dur K Rishtedaar Ko 
(Jaise Baap ya Beta Hai Toh Bhai Ko NAHI Milega)
9. Gulam Ko
10. Kaneez Ko (lekin kaneez ka bachcha jayez hai iski wirasat hoti hai)
☪️.

Q. Kinko Wirasat Mein Hissa Milta Hai?

A. Jo Upar Ki 10 Qismon Mein Nahi Aise
Dada
Dadi
Baap
Maan
Showhar
Biwi (1 Se Zyada Ho Toh Bhi Milega Sab Ko)
Betiyan

--
Phir Dursi Caregory Wale DUR K Rishtedar Hai Inko Kabhi Hissa Milta Hai Kabi Nahi

Bhai 
Behen
Sautela Bhai
Sauteli Behen
Chacha
Fupi

☪️
Q. Kis Maal Ki Wirasat Hoti Hai?

A. Isme 2 Traha Ka Maal Hai
1. Jo Khandani Hai
2. Jo Khud Kamaya Hai

Maal Mein Sab Aata Hai 

ZAMEEN 
MAKAN
GADI/BiKE/TRUCK
HIRA MOTI KHAZANA
IMLA
ZEVER
CASH
SONA CHANDI
MACHINERY
BARTAN
KAPDA
JUTA 
RAZAI KAMBAL CHADAR
GOODWILL
ROYALTY
White Goods (Fridge AC Wagaira)
BANK BALANCE
SHARE

SAB 😁

Lekin Ye Aalim ya Mufti Se Detail Puch Lena Sab Mein Hissa Hota Hai.

Khud Ki Kamai Ka Masla Alag Hai

Khandani Ka Alag.

🏳️
Ye Misal Aur Distributor Format Samjho Iske Upar Se Aage Bataunga -

ZAID Ka Inteqal Hogaya Iske Paas Kul Maal Ko Qeemat 160000 Thi.

Ab Iski Taqseem Kaise Hogi -

Total Wealth 160000

LESS
1. Qarz Agar Kisi Ka Liya Ho Ya Kafan Dafan Ka Kharcha Ya Qaza Roza Namaz Ka Fidya
2. Wasiyat - Upto 33% Of Total Wealth (Hanfi). iske baare mein aage likhunga
3. Hiba Gift Tohfa Jo Dey Chuka


Ye 1 2 3 Less Karne K Baad Agar 100000 Bacha Usme Pehle PURAY Maal K Waris

A. Baap Agar Zinda Hai (1/6 or 16.6%)
B. Maan Agar Zinda Hai (1/6 or 16.6%)
C. Bewa Biviyan Agar Zinda Hai (1/8 or 12.5%)

Ab Jo Raqam Bache Wo 
AULAD aur Dusrey Rishtedar Ka (Beta Beti Chacha Fupi Wagaira)

Agar Sirf Beti ya Betiyan Ho Toh Chacha Fupi Ka Hissa Bhi Lagega Lekin Bahot Kum Hota Hai

Agar 1 Bhi Beta Ho, Dusri Aurat Ka Ya 3rd Aurat Se Toh CHACHA FUPI Ka Hissa KHATAM, Chahe Apahij Kiyun Na Ho.

Zinda Taqseem Kare Ga Toh Bete aur Beti Ka Hissa Equal Ya Barabar

Marne K Baad Bete Ka Beti Se Double

☪️

Q. Bivi Ya Biwiyon Ka Hissa Kitna Hota Hai?
(Aksar Isko Bewa Ka Hissa Bolte Hai)

A. 
1. Agar Bewa Akeli Hai Aur Kohi Aulad (beta ya beti) Nahi aur Kohi Sautan Bhi Nahi Toh 25%

2. Agar Aulad Hai Toh 12.5%

3. Agar Aulad Hai Aur 1 Sautan Bhi Toh 6.25%

4. Agar Aulad Hai Aur 4 Bivi Thi Toh 12.5% Ko 4 Mein Taqseem Kia Jayega Lag Bhag 3%

Beva Ka Hissa Puray Maal Mein Hota Hai, Matlab Sab Se Pehle Logon Mein Iska Hissa Alag Hota Hai.

Lekin Ye Bahot Zyada Nahi Hota - Aksar 12.5% Nikalta Hai aur Baki 87.5% Dusre Rishtedaaron Ka Hota Hai.
☪️

☪️☪️☪️
Q. BETI Ka Hissa Baap Ki Wirasat Mein Kitna Hoga?

A. Beti K Hisse Ki 3 Surat Hai Usme Kum Ya Zyada Hota Hai, Magar Hissa Hota Hai. Puray Maal Mein (Zameen, Gaadi, Makan, Dukan Machinery, Dhanda Sab Mein).

Case 1
1 Hi Beti Hai Kohi Aur Bhai Behan Nahi (Saga aur Sautela Bhi.

 *50%* 

(Baki 50% Dusre Rishtedaar)

Case 2

2 Ya Usse Zyada Betiyan
(Kohi Bhai Nahi Na Saga Na Sutela)

 66.66%

(2 Mein Divide Hoga 1 Ko 33.33% Milega, Agar 3 Hai Toh 22% ...)

Aur Baki 33.33% Mein Baki Rishtedaar 

Case 3
Beti Aur Beta Dono Hai

Isme Bete K Barabar Jite Ji aur Marne K Baad  Bete Ka Aadha

Yahan % Lagu Nahi hoga. Case To Case Basis Hai.

Ladka Hone Ka Fayda Ye Hai Ki Chacha aur Buwa Ka Hissa Nahi Lagta Isliye Beta Hone K Baad Bhi Beti K Hisse Mein Zyada Fark Nahi Padta.

☪️☪️☪️

MasLa

Bivi Agar Inteqal Kar Jaye Aur Uski Kohi Aulad Na Ho, Pota Poti Bhi Na Ho Toh Showhar Ko Bivi Ki Wirasat Ka 
 50%
Hissa Milega Baki Dusre Ristedaar Ka.

Agar
Bivi K Bachche Hai (Ladka Ho Ya Ladki Ya Pota Poti, Ya Isme Se Kohi Bhi)

Toh Showhar Ko 25% Hissa Milega.

Baki Dusre Roshtedaar Ka.

Fiqh e Hanfi

☪️

MasLa
Agar Maa Baap Se Bete ya Beti Ka Hayat Mein Jhagda Ho Ya Kisi Wajah Se Baat Cheet Mel Jol Na Ho

Toh Bhi Usko Wirasat Milegi Uska Haq o Hissa Baqi Rahega.

Aisa Kahin Nahi Likha Na Quran Mein Na Hadees Mein Na Qaul Mein Ki Baap - Bete ya Maa - Beti Ka Jhagda Hojaye Toh Wirsat Ka Hissa Nahi Milega.

MasLa

Dehaj Ki Raqam (Sona Ya Furniture Ya Kohi Aur Saaman) Ek HADIYA Hai.

Iska Shumar Wirasat K Maal Mein NAHI Hoga. Wo Betiyon Ka Extra Hota Hai.

MasLa
Pension Ki Raqam Jo Mahana Govt. Officer Ki Maa Ya Bivi Ko Milti Hai

Wo Maal E Wirasat Mein Nahi Shamil Hogi Kiyun K Wo Hamari Milkiyat Mein Nahi Hoti.

MasLa
Provident Fund Ka Mamla Bank Balance K Jaisa Hi Hoga.
Ye Kamaya Hus Maal E Wirasat Hai.
Magar Nominees Ko Check Karna
Ijazat Wagaira K Mamla Hoga.

MasLa
Bank Mein Jo Nominees  Hote Hai Wo 1 Qism Ki WASIYAT Hai.
Wasiyat Wursa K Naam Se NAHI Ho Sakti
Ye Raqam Maal e Wirasat Mein Shamil Hogi
Aur TAQSEEM Bhi Hogi

Agar Wursa K Ilawa Kisi Ko Nominee Bana Diya Tab Yahan Mamla Pechida Hojayega.

Isliye BANK Mein Nominee Ya Share K Nominees Dhyan Se Banayen.

Aur Dusre Wurasa Ko Iska Ilm Hona Behtar Hai.

☪️☪️

Q. Zinda Rehte Bivi K Naam Par Property Kar Sakte Hai?

A. Haan Kar Sakte Hai Magar Wo Khud Ki Kamai Hui Ho aur Family Propery Hai Toh NAHI Usme Dusron Ka Haqq Zyada Hota Hai ( Bivi Ka 12.5%) Tak Nikalta Hai Wo Bhi Marne K Baad, Agar Bivi Pehle Margayi Toh Wo Bhi Nahi.

Aur Islam Mein Bewa Ko Dusri Shadi Ki Ijazat Hai Isme Nuksaan Hoga.

Bivi Ki Sirf Ladkiyan Hogi Toh Saale Saale Ka Hissa Lag Jayega.

Ye NAHI Karna Behtar Hai.
Kharcha Do Gift Do Yahan Tak Thik Hai.

Agar Bahot Zyada Meharbaan Ho Toh Upto 10% Tak Ka Kar Do.
Saale Sali Log Itne Bhi Sharif Nahi Hote Jitne Bante Hai.

Beti Ka Hissa Baap Mein Jo Hota Hai Wo Zyada Hai Wo Nahi Nikalte

Beva Ka Hissa Jo Kum Hai Wo Lene Aa Jate Hai.

Sab Ek Se Ek Gamer Hote Hai.
Isme Maxumum Dispute Hota Hai.
Apni Kamai Apne Naam Par Rakho Aur Apne Sharai Warison Ko Do.

Jo Allah Ka Faisla Wo Sab Se Sahi Faisla!


NOTE -

1. Wirasat Ki Taqseem Maut Hone K Baad Ushi Din Kar Sakte Hai. (Kuch Log Teeje K Baad Karte Hai)
2. Taqseem Se Pehle Wirasat Maaf Karna Na Jayez Hai. Maaf Nahi Hoga.
3. Apahij Beta Ya Beti Ka Bhi Hissa Hota Hai.
4. Jiski Shadi Nahi Hui Uska Bhi Hissa Hota Hai.
5. Jiske Bachche Nahi Hue Uska Bhi Hissa Hota Hai.
6. Bewa K Peit Mein Agar Bachcha Ho To Uski Bhi Wirasat Hogi 
(Isliye Iddat Wagira Ka 4 Majina Hota Hai)
7. Pagdi K Dukan Makan Mein Bhi Hissa Hota Hai

--
☪️
Baap Ka Maal aur Aulad Ka Maal Dono Alag Hota Hai.

Baap K Wursa aur Bete ya Beti K Wursa Dono Alag Hote Hai

Isliye Jab Baap Ki Wirasat Taqseem Hoti Hai Toh Aulad Ki Kamai Ko Alag Kar Diya Jayega

Jaise

Baap Dukandar Hai Uski Milkiyat 100000
Beta Doctor Hai Uski 200000
Beti Teacher Hai Uski 50000

Ab Kohi Ye Nahi Keh Sakta Ki 350000 Ki Taqseem Hogi, Sirf Dukandaar Baap Ka 100000 Hi Taqseem Hoga (Agar Baap Ka Inteqal Hua)

Waise Hi
Bete Ka

Waise Hi
Beti Ka

Sab Seprate Calculation Hoga.

☪️☪️
Wlidain Ki Khidmat Mein Jo Mahana Raqam Aulad Pesh Karti Hai ikhrajat K Liye Wo Isme ADD NAHI Hogi.

Wo Unka Haqq Hai

Rehna
Khana
Dawa Ilaj
Kapda 

Ye Sab Budhe Maa Baap ka Saari Aulad Mil Kar Karegi.

Iska AJR Akhirat Mein Milega.

--
Maal Jama Kia Aur Haqdaar Ka Haq Nahi Ada Kia Toh Aisa Insaan JAHANNAMI Hai 

Uspar Dard Naak Aazab hoga
Haqdaar Mein Faqeer Miskeen Bhi Hai Jinko Zakat aur Qurbani Wagaira  Ki Raqam Dena Hota Hai.

Ye MAAL Aazmaish Hai.
Ye Apna Nahi Hota ALLAH Ka Hai.

Maal aur Aulad Se Muhabbat Par SABR Karna Momin Ki Nishani Hai 

Ek Din Ye Bhi Aaye Ga -

AL Quran : 
Phir jis waqt kaano ko bahra kar deney wala shor barpa hoga (yani Qayamt ka din), Us din Aadmi apney bhai se dur bhagega , Aur apni maa aur apne walid se (dur bhagega) Aur apni biwi aur apne bachcho se (dur bhagega), har shaksh ki aisee halat hogi ki auro ki taraf se beparwah ho jayega ( yani usko apne khud ki fikar hogi).

Surah Abasa (80), 33-37

☪️

Wasiyat Ka Matlab WILL Hai.
Wasiyat Karna Ambiya Ki SUNNAT Hai. 

Isme Upto 33.33% Property Ka Malik Kisi Deeni Adare Ya Tanzeem Ya School Trust Masjid Wagaira Ko Bana Sakte Hai.

100% NAHI Dey Sakte Agar Kar Diya Toh Wo IN VALID Hogi Aur Cancel Hojayegi.

Wasiyat Mein Kisi K Zimme Kuch Kaam Daal Kar Uski Ujrat Bhi Likh Sakte Hai

Yateem Pote Ko Kuch Property Dey Sakte Hai.

WARISON Ka Naam Wasiyat NAHI Hoti Ye Alag Hai.

Agar 33.33% K Upar Wasiat Ki Raqam Hai Toh Waris Usko Cancel Karwa Sakete Hai - Kisi Bhi Darul Ifta Hanfi Se Fatwa Nikal Kar.

HIBA
Matlab GIFT Hai. Kisiko Gift Mein Kohi Raqam Ya Propery Dey Sakte Hai Magar Iska Qaida Ye Hai Ki Uska Taba Gift Lene Wale Ko Mukammal Milna Zaruri Hai Warna Hiba NAHI Mana Jayega.

Jaise Kisiko Ghar Hiba Kar Diya Aur Usme Khud Bhi Saath Mein Rehta Hai Toh Ye HIBA Nahi Hua ( Ye 1 Qism Ki Cheating Hui).

Bike Car Mobile Wagaira Aksar Hiba Mein Karte Hai.

--

Aaj Kal Log OverSmart Ban K Makan Dukan Hiba Karte Hai Aur Khud Use Karte Hai Wo HIBA Hota Hi Nahi.
Haan Agar Taba (Possession) Complete Dey Aur Khud Nikal Jayr Apna Saman Nikal Le Aur Bhada Wagaira Bhi Na Le Toh HIBA Hia.

HIBA Mein

Paper Work 
+
Possession 

Dono Zauri Hai. PAPER par naam dalne se HIBA NAHI Hoga.



MasLa
Kohi Waris Apna Hissa Mangne Aaye Toh Usko Jhidakna Ya Tana Dena Ya Sakht Kalam Karna Ya Mazak Udana Ya Maar Pit Police Kachehri Karna Sakhkt Na Jayez Hai aur Gunah Hai.

Quran Farmata Hai "Unse Achche Baat Kahe".

RISHTEDARI TODNA GUNAH e KABIRA Hai

Mafhoom-e-Hadees: Aqbaa Bin Aamir (RaziAllahu Anhu) Kehte Hain Ki, Mai Rasool’Allah (ﷺ) ki Baargaah me Hazir hua aur Aap ka Mubarak Haath Thamkar Arz Kiya: “Ya Rasool’Allah (ﷺ)! Mujhe Behtareen Amaal Bataaiye”

Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaaya: “Aqbaa!

1. Qata-e-Taalluk Ke Karne Wale (Tumse Rishta Todne Wale) Se Sila Rahmi (Rishta Jod K Rakho) Karo,
2. Jo Tumhe Mehroom Kare Usey Ataa Karo.
3. Jo Tum Par Zulm Kare Usey Muaf Kar Do.”
– (Mukashifat-ul-Quloob, Page – 157, Baab-23)

Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ”Allah ke yaha sab se bura amal Allah ke sath shirk karna, phir rishtedari torna hai.” [

📚 Sahih Al jaame Al saghir: 166]

Aur tumse yeh bhi baeed nahi ke tum ko agar hukumat mill jaye to tum zameen par fasaad berpa kardo aur rishtay natay tor dalo. [

📖Quran 47:22]

Allah taala ne jab sila rehmi ko wujood mein laya to iska naam reham apne naam Rehman se mushtaq kiya aur reham (rishtedari) ko milaane ka hukm diya aur tornay se mana farmaya, chunancha yeh harkat shirk ke baad Allah taala ko sab se buri lagti hai, isliye har momin ko chahiye ke woh apne rishtedaron se achhe tallukaat banaye, unka khaas khayal rakhe.

📚 Sahih Bukhari : jild 8, kitab Al-Adab 78, hadith no. 5984

Jo Allah aur akhirat par Imaan rakhta hai usay apne rishtedaaron ke saath sila rehmi karni chahiye.
(Sahih Bukhari: 6138)

Jo shakhs apne rizq mein wus’at aur umr mein izafah pasand kare woh sila rehmi kare.
(Sahih Bukhari: 2067)

Ek aadmi ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se arz kiya, Aap mujhe koi aisa amal bataiye jo mujhe jannat mein le jaye. Is par logon ne kaha ke aakhir yeh kya chahta hai. Lekin Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke yeh to bahut ahem zaroorat hai. (Suno) Allah ki ibadat karo aur us ka koi shareek na thehrao. Namaz qayem karo. Zakat do aur sila rehmi karo.
(Sahih Bukhari: 1396)

Koi gunah aisa nahi ke us ka karne wala dunya mein hi us ka ziyadah saza-waar ho aur akhirat mein bhi yeh saza usay milegi siwaye zulm aur rishta todne ke.
(Ibn e Majah: 4211)

Jannat mein rishte todne aur kaatne wala nahi jayega.
(Sahih Muslim: 2556)

Kisi musalman ke liye halal nahi ke woh apne bhai ko teen raton se ziyadah chore rakhe woh dono milein to yeh is taraf muh phair le aur woh (us taraf) muh phair le aur un dono mein se behtar woh hai jo salam mein pehal kare.
(Sahih Muslim: 2560)

Main aise aadmi ko jhoota shumaar nahi karta jo logon mein sulah karane ki gharz se koi baat banata ho aur us ka maqsad siwaye sulah aur islaah ke kuch na ho, aur jo shakhs ladayi (jung) mein koi baat banaye aur shauhar jo apni biwi se ya biwi apne shauhar ke samne koi baat banaye.
(Abu Dawood: 4921)

Aye Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Mere rishtedaar hain main un ke saath sila rehmi karta hun woh log qata rehmi se kaam lete hain, mein un ke saath husn e sulook karta hun aur woh mere saath bad-sulooki karte hain, main burdbaari ka maamla karta hun aur woh mere saath zayadti ka maamla karte hain to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Agar tum aise hi ho jaisa kaha, to goya un par qaumon ka afsos hai, jab tak tum apni isi haalat par rahoge Allah Taala ki madad tumhare saath rahegi.
(Sahih Muslim: 2558)

Ans bin malik r.a say rawayiat hai kay maine rasool ALLAH p.b.u.h ko farmatay huyay suna kay jo apnay rizq main wusat ya umer main darazi chahay to usay chayiye kay wo sila e rehmi keray. 
(sahih bukhari)

✍🏻Hazrat Abdullah ibne umar ﺭﺿﻲ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻲ ﻋﻨﻪ se ravayat hai ki Rasool Allah ﷺ ne farmaya 
👉Badla cukane wala silaye rehmi Karne waala ni hai. Sila rehmi karne waala vo hai ki jab usse rishtedaari todi jaye tab bhi vo Sila rehmi kare.👈

👆🏻Mazkura Hadees se Ye bat samajh me aayi ki koshish kre ki rishtedaaro se hamara rishta kisi bhi Keemat par tutne na paaye agar Koi rishtedaar humse acha sulook kre aur hum bhi acha sulook kre to Ye achi bat hai Lekin sahi ma'ane me Sila rehmi Ye hai ki agar hamara rishtedaar Humse acha sulook na bhi kre tab bhi Hum usse acha sulook kre. InshaAllah iski barkate nazar aayengi.🌻

HADEES :

Rishta'daar ko Sadqa deny mei "2" Sawab hai,
Aik Sadqa Krny ka Or Aik Sila'Rehmi Krny ka.

(Tirmizi,
J#2, P#142, H#658)

Hazrat Anas Bin Malik Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs ye chahe ke uske rizq mein farakhi ki jaye aur uski umar daraaz ki jaye, usko chahiye ke apne rishtedaron ke saath sila rehmi kare. 
(Bukhari: 5986)

Sarkar صلی اللہ علیہ والہ وسلم ne farmaya: Jo tum se Qataa Rehmi kare tum us se Sila Rehmi karo jo tum per Zulm kare usay Muaf kardo aur jo tumhain na dai tum usay do. 
(Shoaib ul Iman, Jild 6, Page 261, Hadis 8081)

Qur'an Majeed me qata rehmi aur fasaad fil arz karne walo par la'nat ki Waeed ayi hai :-


Aur Jin tallukat Ko allah ﷻ ne jodne ka hukm diya hai un Ko todte hain

Surah ra'ad ayat no 25.


aur farmaya:- pas tum se is baat ki ummeed hai ke agar tum wali ban jao to Zameen me fasad karo aur apne rishte kaat do, yaHi log hain Jin par Allah ne la'nat ki pas unhe behra kar diya aur  un ki ankhein andhi kar di.

Surah Muhammad ayat no 22.

Wo sila rehmi jo Allah ﷻ ham se chahta hai us ko Rasool Allah ﷺ  ne  bayan farmaya hai:-
Sila rehmi karne wala shakhs wo nahi jo barabar ka muaamla karta hai lekin asal sila rehmi karne wala shakhs wo hai ke jab us ki rishtedari todi jaye to wo use milaye.
Saheh bukhari:-5991.

Q. Rishtedari Kab Todna SAWAB Hai?

A. Kohi Rishtedaar Kafir o Murtad ya Wahabi DevBandi Ahle Hades Shia Rafzi Suleh Kulli Qadyani Ya BadMazhab Ya Gumrah Hojaye Toh Rishtedari Todna SAWAB Hai 
Yahan TODNA Sila Rehmi Hai.

Q. Fasiq Se Rishtedari Todna Kaisa?

A. Baaz Surton Mein Jayez Hai

Jaise QATIL KHOONI SHARABI JUARI CHARSI JADUGAR Wagaira Se

Magar Yahan Kisi MUFTI Se Mashwara Karna Behtar Hoga.

Q. Dur Se Rishtedari Rakhna Kaisa?

A. Thoda DUR Hi Raho Toh Behtar Hai

Eid Ya Tevhar
Bimari
Taklif
Dukh Pareshani Mein
Shadi Biyah
Maut 

Ye Sab Mein Shamil Raho
Salam Dua
Khair Khabar Lete Raho
Aur Apne Kaam Dhande Mein Zyada Dhyan Rakho.
Dur Rehne Ka Matlab
TODNA Nahi Hota

Kuch Log Focus aur Peace K Liye Aisa Karte Hai.
☪️☪️☪️☪️☪️☪️
☪️☪️☪️

"ACHHAAYI KA HUKM DENA AUR BURAAYI SE ROKNA *WAJIB* HAI. IS PAR UMMAT KA IJMAA’ HAI."
--
Hadees-

"ALLAH TA’ALA SAB LOGON KO BAAZ LOGON KE AMAL KE SABAB AZAAB NAHI DETA MAGAR JAB KE WOH APNE DARMIYAAN BURE KAAM HOTE DEKHEIN AUR USEY ROKNE KI TAAQAT RAKHTE HUWE NA ROKEIN. AGAR UNHONE AISA KIYA TO KHUDA E TA’ALA AAM AUR KHAAS SAB KO AZAAB DEGA." 

(MISHKAAT SHAREEF, SAFHA 438)
☪️☪️☪️

Jitan Elm Hasil Karliya Unta Logo Ko Bhi Bato.

☪️☪️☪️
MEHAR Ki Raqam Ka Khulasa -

Dirham Matlab *Chandi* Ka Sikka

Fiqh e Hanfi Mein 10 Dirham Minimum Mehar Hota Hai

Matlab Total 34 Gram Chandi

2022 Value 34 x 60 (silver rate per gram) 
= Rs. 2040/- 

Ye MINIMUM MEHAR Hai. Iske Upar Jitna Showhar *Aasani* Se De Sake. 

Uske Upar ZOOR Nahi Hota. 
Kohi Aasani Se 11000 Ya 11 Lac Bhi De Sakta Hai Toh Le Sakte Hai.

☪️☪️☪️
Nabi e Kareem Apni Ghar Ki Ladkiyon Ka Mehar 400 Dirham Lena Sabit Hai
(2022 Ka Bhav)
Matlab 1 Kg 800g Chandi 

= Rs. 108000

(Hazrat Sayyeda Fatima Zehra Raziyallahu AnHa Ka Meher Itna Hi Hai)

Isko Mehar e FATMI Bhi Kehte Hai!!

Itna Rakho Sunnat Hai.

Ladki Ki Kharabi 
Baap aur Bhai Shuru Karte Hai

Hissa Wagaira Nahi Dete
Waisa Hi 
Showhar aur Beta Bhi Karta Hai

Dono Taraf Se Kuch Nahi Milta

Jab K Dono Taraf Uska Banta Hai (kum zyada)

Baap Ki Paas 
Showhar K Paas 

Dono Jagah!

☪️☪️☪️
Q. Aurat Ka Naara Lagana Kaisa?

(Aaj Kal Political Social Naara Bahot Lagati Hai)

Jawab -

Mas'La Ye Hai Ki Aurat Ki Aawaz Bhi Aurat Hai 
Matlab - Chupane Ki Cheez.

Aurat Ka Hajj K Dauran LABBAIK Ka Zikr Bhi Zor Se Karna Mana Hai Tab

Gala Phad Phad Kar Political Socail Naaraa Lagana Kahan Se Jayez Hoga!

Na Jayez Hai.
(Gair Mehram Se Apni Aawaz Ki Bhi Hifazat Karna Zaruri Hai)

☪️☪️☪️
Damad aur Sasural K Sharai Masail -
1. Damad Sasural Ka Ek FARD Hai (family member).
2. Sasural K Deeni o Dunyavi Mamlat Mein Damad Ka Bhi Shamil Rehna Zaruri Hai.
(Jaise Shadi, Mayyat, Bimari, Musibat, Wirasat Wagaira)
3. Damad Sasural Mein Aa Ja Sakta Hai (bina ijazat) Blki Zarurat Padhne Par 2 - 3 Din Reh Bhi Sakta Hai. (Uske Baad Sasur Ki Ijazat Le kar rehna hoga)
Jaise Sardi Garmi Ki Chutti Par Bivi Bachchon K Saath Aana Jana Wagaira.
4. Agar Damad K Huquq Na Mile Toh Wo Qazi e Shara Se Shikayat Bhi Kar Sakta Hai Aur Us Bunyad Par Rishta Khatam Bhi Kar Sakta Hai.
5. Saali Se Parda Hai Isliye Agar Kohi Gair Mehram Sarural Mein Ho Toh PARDE Ka Khayal Rakhe.
6. Agar Ghar Kaseer Bada Hai Toh Kohi Harj Nahi. 500 Sq Ft Se Zyada (iska masla alag hai)
7. Damad Waris Nahi Hota Magar Bivi K Intekal K Baad Bivi K Maal Ka Waris Hai.
8. Damad Kuch BADE HUQUQ Shariat Mein Hai Isliye Wo Haqdar Bhi Hai.
9. Bivi Ki Wafat K Baad Agar Damad Zinda Hai Toh Uska Kuch HISSA Bhi Wirasat Mein Hoga 
10. Saas MEHRAM Hai, Usse Maan Jaisa Hi Rishta Hota Hai. Saath Mein Hajj Kar Sakte Hai.

☪️☪️☪️☪️

Hind Mein Aksar Log KAFIRon K Jaisa Rasm O Riwaj Ikhtiyar Karte Hai Magar Islam Mein Masail Alag Hai.

Hazrat Abu Bakr Siddiq RaziAllahu Tala Anhu Huzur K Sarur Hai aur Maula Ali Razi Allahu Tala Anhu Damad.

Reference K Liye Inko Study Kar Lo.

الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ