Momin Ki Aazmaish Ka Aqida 44
“Allah Ki Jaanib Se Aazmaish Jitni Sakht Hogi, Inam Bhi Utna Hi Azeem Hoga”
(Tirmizi Sharif: Hadith no.2396)
Aur zaroor Hum tumhe Aazmayen ge. kuch dar se aur bhook se aur kuch maalon aur jaanon aur phalon ki kami se aur khushkhabri suna un sabar waalon ko
ke jab un per koi museebat pare tu kahen hum Allah ke maal hain tu hum ko Usi ki taraf phirna.
(Surah Baqra, Quran)
Surah Baqrah me ye bhi Farmaya ke,
لَا يُكَلِّفُ اللَّهُ نَفْسًا إِلَّا وُسْعَهَا“Allah kisi Nafs ko Uske Bardasht se Jyada Nahi Aazmata”
(Surah Baqra, Quran)
...
Hazrat Mus’ab bin Sa’d RadiyAllahu Anhu Farmate hain ke Main ne RasoolAllah Sallallahu Aliahi Wasallam se Daryaft kiya: Ya RasoolAllah! Sab se zyadah Aazmayesh mein kin logon ko dala jata hai ?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya: “Ambiya Alaihis Salam ko, Phir use jo Ambiya se Qareeb tar ho, Phir use jo Ambiya se Qareeb ho (Yani jo Ambiya se Jitna zyadah Qurb o Talluq rakhega usey Utna hi zyadah Aazmaya jayega).
Aadmi ko us ke Deen ke mutabiq Aazmaya jata hai, Pas Agar wo apne Deen me pukhta ho tou us ki Aazmayesh bhi kadi hoti hai aur Agar us ke Deen me kamzori ho tou usey us ke Deen ke Baqadar hi Aazmayesh me dala jata hai, Aazmayesh bande ke sath hamesha rahti hai Yahan tak ke use (Gunahon se Aisa saaf) kar ke Chhorti hai ke wo Zameen par Aisi Halat mein chalta phirta hai ke us par koi Gunah baqi nahi rehta.”
[Urdu Ref :: Jami at-Timidhi :: Vol. 2 :: Hadith 284]
💫Allah Ta’ala baaz auqaat masaaib aur baaz auqaat neymaton ke sath azmaish mein dalta hai ta ke yeh pata chal sake ke kaun shukrguzaar aur kaun nashukra aur kaun ita’at guzaar aur kaun nafarman hai to phir inhen qayamat ke roz badla dega.
🔴Allah Ta’ala farmata hai :
” ▫🍃Hum azmaish ke liye har ek ko buraee aur bhalai mein mubtila karte hain aur tum sab hamari taraf lautaaye jaoge”.
📕Al-Ambiya : 35
➖Aur phir yeh azmaish bhi imaan ke aitbaar se hoti hai to logon mein sab se ziyada sakht azmaish Ambiya ki phir usse kam darje ki phir usse kam wale ki .
☑Nabi sallallaho alaihi wasallam ka irshad hai :
” Mujhe tanha itna tez bukhaar hota hai jitna ke do admiyon ko hota hai”
📚Sahih bukhari hadees number 5648
➖Allah Ta’ala ham ko kai qism ki azmaish mein dalta hai. Baaz auqaat to hame museebaton aur fitne mein daal kar imtehaan leta hai ta ke momin aur kafir aur ita’at guzaar aur nafarman aur shukr guzaar aur nashukre ka pata chal sake .
Aur baaz auqaat jab uske bande nafarmani karte hain to woh apne bandon ko museebaton mein mubtila kar ke unhen sikhata hai ta ke woh us nafarmani se baz aa jayen .
🔴Jaisa ke Allah Ta’ala farmata hai.
“▫🍃 Tumhe jo kuch bhi museebatein aati hain woh tumhare apne hathon ke kartoot ka badla hai aur woh to sab baton se to dar guzar farma deta hai”.
📒Ash- Shuara : 30
🔴Allah Subhana o taala ka farmaan hai :
” ▫🍃Aur hum ne inhen azaab mein bhi pakda lekin yeh log na apne Rabb ke samne jhuke aur naa hi unhon ne aajzi ikhtiyar ki”.
📘Al-Momin : 76
➖Allah taala apne bandon par bohat zyada Raheem hai aur ummat par baar baar azmaish lata hai ta ke woh wapas lout aayen aur gunaaho se tauba kar ke Allah Ta’ala ki haraam kardah cheezon ko tark kar de taa ke Allah taala inhen bakhash de .
🔴Allah Ta’ala Ka farmaan hai :
” ▫🍃Aur kya unko yeh dikhayi nahi deta ke yeh log har saal ek ya do baar kisi na kisi aafat mein phanse rehte hain phir bhi na tauba karte aur naa hi naseehat qubool karte hain”.
📗At- Taubah : 126
➖Aur Allah Ta’ala ki rahmat hai ke woh gunaaho ki saza duniya mein bhi deta hai ke ho sakta hai ke log apne gunaho se baaz ajaye aur khud me sudhaar le aayen aur maut se pahle pahle Allah ki taraf rujoo kar len.
🔴Allah Ta’ala ka farmaan hai.
” ▫🍃Aur yaqeenan hum inhen qareeb ke chhote se baaz azaab iss bade azaab ke siwa chakhayenge taa ke woh laut ayen”
📒Sajda : 21
➖Aur baaz auqaat Allah Ta’ala apne bandon ko museebaton mein isliye mubtila karta hai ke unke darjaat buland kare aur unki buraiyan khatam kare.
☑Jaisa ke farmaan nabwi sallallaho alaihi wasallam hai :
“Kisi bhi musalman ko koi takleef, bemari, gham, pareshani, afsos hatta ke agar koi kaanta bhi chubhta hai to uski binaa par Allah Ta’ala uske gunah maaf kar deta hai.”
📚Sahih bukhari hadees number 5641
...
Allah Apne Har Nek Bando Ko Azmata Hai, Aazamish Par Hamara Iman Hai. Agr Musibat Aajaye Toh Fauran Allah Ki Panah Mein Aa Jao-
1. Darud Ki Kasrat (Roz 100 Baar)
2. A staffer Roz 100 Baar
3. Ayat e Karima Kam Se Kam 40000 Bar 11 ya 21 ya 41 Din Mein Padho
Aur Khoob Duaein Karo.
Isse Aazmaish Musibitat Khatm Hojati Hai,
(Aamil/Baba/Tantrik K Paas Bhagne Ki Zarurat Nahi)
Khuda Har Ambiya, Awlia, Sahaba aur Momin Ko Aazmata Hai. Quran Farmata Hai "Tum Sabr aur Namaz Se Madad Hasil Karo".
.....
Kuch Ambiya aur Buzurgon Ki Aazmaishon Ka Zikr-
1. Sayyed Ul Ambiya, Sarkar e Do Aalam Muhammed Sallallahu Alayhi Wa Sallam Par
Patthar Mar Kar Lahu Luhan Kia Gaya,
Sare Fazrand Hayat Mein Hi Guzar Gaye.
Paidaish Yateem Hue aur Maa Bhi Jald Chal Basi.
Social Boycott Hua, Dunya Ne Kachra Raste Mein Dala.
Zindigi Ka Lamba Hissa Jangon Mein Guzra aur Apne Sathiyon Ko Aakhon K Saamne Shaheed Hote Dekha.
Faake Aksar Hua Karte.
Shadeed Bimariyon Ne Ghera.
MAGAR Hamesha SABR o SHUKR Se Zindigi Guzar Di.
2. Adam A.S Jannat Mein Rehte The, Unko Is Dunya Mein Akele 500 Saal Se Zyada Rehna Pada. Jannat K Saamne Dunya Haqeer Hai.
3. Younus A.S Ko Machli Nigal Gayi, ALLAH Ne Madad Farmayin Aur Wo Zinda Wapas Hue.
4 . Yusuf A.S Maa Baap Se Bichad Gaye, Andhe Kuwwe Mein Dala Gaya, Jhoota Ilzam Laga, Qaid Hui.
5. Ismaieel A.S Ko Namrood Ne Aag Mein Dala Magar Allah Ki Madad Se Wo Sard Hogayi.
6 Ibragim A.S Ko Allah Ne Apne Bete Ki Qurbani Ka Huqm Diya, Wo Kamyab Hue Aur Dumba Gaib Se Aagaya.
7. Dawood A.S Ko Jinnat aur Jadu Se Azmaya.
8. Ayyub A.S Ko Sakht Bimari Se.
9. Musa A.S Ko Zalim Badshah aur Shareer Qaum Se.
10. Esa A.S Ko Gareebi Se.
11. Sahaba Ko Dushmani Se, Mushrik e Makka Ki Aziyat Se.
12. Imam Abu Hajifa Ka Janaza Qaid (jail) Se Nikla.
Jo Hamari Zindigi Mein Hota Hai Wo Inke Saamne Bahot Halka Ha Hai. SABR o SHUKR o NAMAZ Se Kaam Liya Karo, Allah Har Kaam Bana Dey Ga, Wo Har Haal Mein Zamin Hai, Woh QADiR Hai.
.....
momin banda Allah k nazdek baz firishto se b zyada izzat wala hai'
(ibne maja 1745)
“Momin tou aise hotey hai
1. Jab Allah ka Zikr Aata hai tou Unke Dil Hil jaate hai
2. Jab Allah ki Aayat Unke Saamne Padkar Sunaayi jaati hai tou Wo Aayat Unke Imaan ko aur Zyaada kar Deti hai
3. Wo Allah par Poora Bharosa karte hai
4. Jo Namaz Ki Paabandi karte hai
5. Jo Kuch Hamne (Allah) Unko Diya Hai Uss me se Kharch Karte hai
Pas yeh Sacche Momin hai Unke Liye Allah ke Yahan Bade Darjaat hai aur Magfirat hai aur Izzat ki Rozi hai.”
– Surah Al-Anfal 8:2-4
Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne
Kaaba-e-Mouzzama Se Muqhaatib Ho Ke Farmaya:
“Momin Ki Hurmat Tujh Se Jyada Hain.
– (Tabarani: Chapter-‘Ikramul Muslimeen’)
--
☪️
Tariqat Mein Kaun Hota Hai?
Har Musalman Jo Shariat Ka Paband Ho
(Farz Wajib Sunnat E Muaqida Tak)
Gunah e Kabira Se Bachta Ho aur Agr Sagira Hojaye Toh Fauran Tauba Karta Ho
Wo MOMIN K Zumre Mein Hua
And MOMIN Jab Kisi Peer E Kamil Se Bait Ho Tab Usko TARIQAT Mein Mana Jaye Ga.
Bahot Se Log TARIQAT Mein Hote Hai - Aazmaish Chalti Rhti Hai Magar Unko KHABAR Bhi Nahi Hoti.
(Jab Tumhare Gunah Ki Saza Dunya Mein Fauran Hone Lage Toh Samajhlo Allah Ki Nazr e Karam Hai Aur TAUBA Karo)