Huzoor Gaus e Aazam Sayyeduna Muhiyuddeen Abdul Qadir Jilani رضي الله عنه_*

Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ ki basharat.
Mea'raj ki raat jabh Huzoor ﷺ buraaq par sawar ho kar Hazrat e Jibreel e Ameen علیہ السلام ke saath rawana huwe to Sidrat ul Muntaha par Jibareel e Ameen علیہ السلام ruk gaye aur arz ki Aye Allah ke Rasul ﷺ abh agar Mai yahañ se baal barabar bhi aage gaya to Allah ﷻ ki tajalli se mere par (wings) jal jaenge ussi makam par buraaq bhi ruk gaya.

Iske baad Sarkar e Do Aalam ﷺ ki sawari ke liye rafraf haazir huwa lekin rafraf bhi bahot se hijabat tay karne ke baad ruk gaya abh Lahoot aur La-maqaa ke siwa kuch bhi naa tha.

Hazrat e Sultan bahoo رضي الله عنه apni kitab Noor ul Huda me likhte hai ke uss maqam par Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه ki mubarak rooh ko mehboobi soorat me Huzoor Nabi e Akram ﷺ ki khidmat me hazir kiya gaya. Sarkar ﷺ ke qadmoñ ke niche Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ki mehboobi soorat ne apni gardan pesh ki aur sawari ki hesiyat se Sarkar e Do Aalam ﷺ ko maqam e khaas Kaaba Kausain o adna tak pahucha diya.

Nabi e Kareem ﷺ ne uss maqam e Noor me Allah ﷻ se arz ki yeh kaun hai jisse meri aankhen thandi ho rahi hai to Allah ﷻ ne irshad farmaya Aye Habeeb ! tumhe mubarak ho ke yeh Muhiyuddeen Shaikh Abdul Qadir Jeelani ki rooh hai jo tumhari ummat ke wali e kamil aur tumhari Aulad se hoñge. Uss waqt Huzoor ﷺ intehayi shafkat se farmate hai aye Noor e nazar Muhiyuddeen jaisa ki tune apni gardan mere qadmoñ ke niche pesh ki kal tu Allah ﷻ ke hukm se kahega ke mera yeh qadam Allah ﷻ ke har wali ki gardan par hai aur meri ummat ke tamam Auliya apni gardane tere qadam ke niche pesh karenge.

Jabh Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه paida huwe to aap ki mubarak gardan par Huzoor Rehmatulil Aalameen ﷺ ke qadam shareef ka nishan maujood tha.
-Tafreehul Khatir.
=====

Hazrat e Imam Jafar Sadiq رضي الله عنه ne *Kashf ul Guyub* me tehreer farmaya ke jumu'ah ki raat 11 Rajjab hijri 140 mein Quraan e paak ki tilawat mein mashgul tha takriban aadhi raat khatam ho chuki thi mujh par neend ka galba gaalib huwa uss waqt ilham huwa ke iss waqt tilawat chordh kar so jaao.

Chunache maiñ so gaya to ussi halat me Aalam e malaqoot (Farishtoñ ki duniya) mein zahir huwa aur jald hi Aalam e malaqoot se Aalam e jabaroot ki taraf badha to khawab me ek baagh nazar aaya jiske har darakht par tajalliyañ nazar aa rahi thi kuch Farishte tasbeeh padh rahe the bahot se Ambiya e Kiram ki rooh e pak maujood thi.

Sahabi e Rasool ﷺ Hazrate Anas ibne Maalik رضي الله عنه mere paas tashreef laaye aur farmaya ki Huzoor ﷺ aapke intezaar mein hai Main Sarkar e Do Aalam ﷺ ki khidmat e akdas me haazir huwa wahañ ek bade maidan mein ek shandar khaima (tent) maujood tha aur maidan ke beech me ek takht bicha huwa tha jiss par do jahañ ke Rasool ﷺ jalwa farma they, mujhe dekh kar Rehmat e Do Aalam ﷺ ne irshad farmaya ki aye mere noor e nazar bahot jald tum hamare paas aane wale ho jo wakiya tumhe dekhne me aa raha hai usse duniya me likh dena, phir Huzoor ﷺ ne mujhe apne kareeb baithne ka hukm farmaya to kareeb baith gaya kuch deir ke baad 2 Rooheiñ Sarkar e do Aalam ﷺ ke takht ke kareeb aayi ek rooh ka rang heere ki tarah chamakdar tha aur doosri rooh ka rang jo piche thi wo yakoot jaisa tha.

Pehli rooh ko Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ ne apne sidhe Janoo par baithaya aur doosri rooh ko baaye Janoo par baithaya phir Sarkar e Do Aalam ﷺ ne pehli rooh ke mutalliq farmaya iska naam duniya mein Abdul Qadir Muhiyuddeen hoga iska martaba bohat buland hai iske asar se mazhab e islam mazboot hoga. Phir doosri rooh ke mutalliq irshad farmaya iska zuhoor Abdul Qadir ke baad hoga aur duniya mein iska naam Ali Ahmed Sabir hoga iske andar shaan e jalal zyada hogi aur ye haqq ke dushmano ko barbad kar dega uske baad Hazrat Jafar Sadik رضي الله عنه neend se bedaar huwe.
=====

Kalaeed ul Jawahir kitab ke musannif Hazrat Allama Shaikh ibne Yahya Hambali رضي الله عنه ka bayan hai ki mashoor buzurg Hazrate Abu bakr ibne Huwara رضي الله عنه ne barso pehle yeh gaib ki khabar di thi ke iraq mein 8 Awliya jo wilayat ke darje par faeez hoñge jinke naam hai:-

"Maroof Karkhi", "Ahmed Ibne Hambal", "Bishr Haafi", "Mansoor ibne Ammar", "Junaid baghdadi", "Sarri Sakti", "Suhail ibne Abdullah tustari" aur *"Abdul Qadir Jilani "رضي الله عنهم*

Jabh logoñ ne daryaft kiya ke Huzoor yeh Abdul Qadir Jilani kon hai to Hazrat e Abu bakr ibne Huwara رضي الله عنه ne farmaya ke yeh ek Ajami hai yeh jilan me paida hoñge aur baghdad inka thikana hoga aur 5vi sadi me inka zuhoor hoga aur wilayat me inka muqaam itna buland hoga ke ek din mimber par alal aailaan farmaenge ke mera yeh qadam tamam Awliya Allah ki gardan par hai.

Tamam guzre huwe aur maujooda Awliya e kiram adab se apni apni gardan jhuka kar arz karenge ki aye Gaus e Aazam رضي الله عنه balki aap ka qadame mubarak hamare sar aur aankhoñ par hai.
=====

Shaikhul Mashaekh Hazrat Junaid e Baghdadi رضي الله عنه jo Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه se 200 saal pehle ke buzurg hai ek din muraqbe me the ke achanak sar uthaya aur farmaya mujhe Aalam e Gaib se maloom huwa ki 5vi sadi hijri me Saiyyudul Mursaleen Khatamun Nabiyyeen Alaihisalaatu wattasleem ki Aulaad e Pak me ek qutub e Aalam hoga, Jinka laqab Muhiyuddeen hoga aur naam e mubarak Abdul Qadir hoga aur woh Gaus e Aazam hoga aur unki paidaish jeelan me hogi aur unko hukm hoga ki ailaan kardo tamam agle pichle Auliya Allah ki gardan par mera qadam hai.
=====

Hazrate Fatima Ummul Khair رضي الله عنها farmati haiñ ki wiladat ke saath ehkame shari'at ka iss qadr ehteram tha ki mera beta Abdul Qadir ramzaan bhar din me katai doodh nahi peeta tha ek martaba badaloñ ki wajah se 29 shaban ko chand nahi dikhai pada to log shak me padh gaye kuch log Sarkar e Gaus e Pak رضي الله عنه ki walida ki bargah me hazir huwe aur daryaft kiya ke kya aapke bete ne aaj doodh pi liya ?

Hazrate Fatima Ummul Khair رضي الله عنها ne farmaya ki aaj mere bete Abdul Qadir ne sehri ke waqt se doodh nahi piya hai to logoñ ko yakeen ho gaya ke chand nikal aaya aur Ramzaan Shareef ki pehli tareekh hai.

Baad me sharai shahadat se yeh sabit bhi ho gaya ke chand nikal aaya tha aur khud Hazrate Gaus e Aazam رضي الله عنه ki walida mohtarma ka bayan hai ki doodh peene ke zamane me mere bete Abdul Qadir ki ye halat thi ke mera beta saal ke tamam hisso me doodh peeta lekin jaise hi maahe Ramzaan Shareef shuru hota to mera beta Abdul Qadir sehri ke waqt se iftari tak hargiz kuch khata peeta nahi tha lekin jaise hi hum log iftari karte to mera beta bhi doodh peeta.
=====

Bachpan me aam tor par bachhe khelkud ke shaukeen hua karte hain magar Allah ﷻ ko ye manzur nahi thha ki aasmane qutubiyat ka ye roshan sitara khelkud me rahe issiliye hazrate Gaus e Azam رضي الله عنه bachpan se hi khelkud se dur rahe aur farmate hai ke jab kabhi mai bachho ke sathh khelne ka irada karta to main sunta thha koi kehne wala keh raha hain ke aye barkat wale meri taraf aa jaa

Ek martaba sarkar Gaus e paak رضي الله عنه se logo ne puchha huzoor aap ko apni wilayat ka ilm kab hua ?
to sarkar Gaus e paak رضي الله عنه ne farmaya ki 10 baras ki umr me jab main madarse me parhne ke liye jaata thha to gaibi awaz aati thhi ke Allah ke wali ko bethhne ke liye jagah do taaki wo aram se bethh jaye
=====

Mashoor riwayat hai ki jabh Saiyyaduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ki umr shareef 4 saal ki huwi to islami rasmo riwaj ke mutabik walid e muhtaram Saiyyaduna Shaikh Abu Saleh رضي الله عنه aapko rasme Bismillah khwani ki adayegi aur maqtab me dakhil karane ki garz se le gaye

Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ko ustad ne kaha padho beta " بسم الله الرحمن الرحيم " Aapne Bismillah Shareef padhne ke saath saath Alif Laam Meem se lekar muqammal 18 paare quraan e pak ke muñh zabani padh liye, ustad ne hairat ke saath daryaft kiya ki yeh tumne kabh padha aur kaise yaad kiya?

Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ne farmaya meri walida majida 18 paaroñ ki haafiza hai jinka wo aksar wird kiya karti thi jabh maiñ maa ke peit me tha yeh 18 paare sunte sunte mujhe yaad bhi ho gaye.

Aapne 7 saal ki umr e paak me Quraan e Pak hifz kar liya, Aapke walid e majid ka inteqaal aap ki bahot choti si umr me ho gaya to Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ki aur Aapke chote bhai Hazrat Abu Ahmad Abdullah رضي الله عنه ki parvarish talim aur tarbiyat ka saara intezaam aap ki walida majida ne hi farmaya Hazrate Abu Ahmad رضي الله عنه ka inteqal bhi naujawani mein ho gaya phir Sarkar e Gaus e Pak رضي الله عنه ne 18 saal ki umr e pak tak Jeelan Shareef mein reh kar mukhtalif darsgaaho mein taa'lim haasil ki.
=====

Ek martaba Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه ne apne Jadde Amjad Sayyad e Aalam ﷺ ka dedaar kiya aur Huzoor ﷺ ne farmaya Aye mere pyare bete tu waaz (bayan) kyu nahi farmata to Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ne arz ki aye mere pyare Abba Huzoor mai ek ajami aadmi hu arab ke behtareen guftagu karne walo ke samne kaise bolu to Sarkar ﷺ ne farmaya apna muñh kholo aur Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ne muñh khola to Huzoor e Akdas ﷺ ne saat(7) martaba apna luaab e dahan shareef Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ke muñh me daala aur irshad farmaya logoñ ko apne Rabb ﷻ ki taraf bula hikmat aur acchi nasihat ke saath.

Huzoor Gaus e Paak رضي الله عنه farmate hai uske baad mai namaz e zohr padh kar takreer karne ke liye baitha magar takreer naa kar saka phir Maula e Kaainaat Hazrat Ali e Murtuza رضي الله عنه ko dekha jo majlis mein tashreef farma hai aur farmate haiñ aye mere pyare bete tu kalaam kyu nahi farmata Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ne arz ki aye mere walid e girami meri zaban bandh ho gayi hai to Hazrate Ali رضي الله عنه ne farmaya muñh kholo aur Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ke muñh me 6 baar apna thhook mubarak daala, aapne arz ki saatvi baar kyu nahi daala to farmaya Sarkar ﷺ ke adab ki wajah se.

Uske baad ilm ke samandar ne aapke muqaddas seene se zaban pak par mauje maari aur behtareen guftagu aur takreer farmane lage ke arab me bade bade takreer karne wale aapke samne fike pad gaye yeh Allah ﷻ ka fazl tha aap par, Uske baad aapki takreer ko woh shohrat mili ke aapke shagird shaikh Abdullah zubai رضي الله عنه farmate hai ek takreer se muta'asir hokar 1 lakh se zyada fasik o gumrah ne tauba ki hazaro yahoodi isaai mazhabe islam me dakhil huwe.
=====

Sarkar e Gaus e Pak رضي الله عنه ke waaz aur takreer me bhala yeh taseer kyu paida na hoti ke Aapne Deeni Uloom me kaafi maharath hasil kar li thi Ibadat ke zariye Nafs ko Pak kar liya tha Taqwa, Parheizgaari, Rooh ki Safai, Aamal e Swaleha jaisi sifate aaliya se muzayyan ho chuke the iske alawa Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ aur Maula e Kainaat Hazrate Ali رضي الله عنه ki nazar e shafkat shamil thi aap par.

Islami rehbar wa rehnuma ke liye Aapne kuch sharait bayan farmaye  ke "jisse deen ke uloom hasil ho tasavvuf wa marefat ke faido se wakif ho balki unka mushaheda kar chuka ho aur tajurbekaar ho inn khususiyat ke saath islam ka muqammal ilm o amal ho."

Hidayat - Sarkar e Gaus e Pak رضي الله عنه ke irshadaat unn hazraat ke liye nasihat wa hidayat ka umda zariya hai jo na maulana  hai naa aalim aur bina ilm e deen hasil kiye waaz wa takreer karte hai ye log hakikat aur marefat ki jhoothi numaish karke awaam ko shari'at se dur karte hai halaki shari'at asl hai
=====

Sarkar e Gaus e Pak رضي الله عنه ki ibadat aur riyazat ka andaza issi baat se lagaya jaa sakta hai ke Aapne 40 saal tak pabandi se isha ke wazu se fajr ki namaz adaa farmate rahe 15 saal tak Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه ne isha ki namaz ke baad se fajr tak poora quraan e pak tilawat farmaya aur 25 saal aapne jungaloñ me aise bitaye ke naa koi aap ko pehchanta tha aur naa aap kisiko pehchante the.

Zaahir hai ke jo mard e haqq duniya aur duniyawalo se aise beparwah ho gaya ho aur iss tarah zindagi basar kar raha ho to uski mashgooliyat Allah ﷻ ki ibadat aur riyazat ke siva kya hogi.

Allah ﷻ apne Pyare Habeeb Do Jahaañ ke Tabib Malik o Mukhtar Janab e Ahmed e Mujtaba Muhammed Mustafa ﷺ ke sadke aur peerane peer dastageer Huzoor Saiyyaduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ke sadke tufail sab ki jaaez muradoñ ko poora farmaye aur hum sab ahle iman ka hashr sarkar ﷺ ke qadmoñ mein arsh ke saaye mein aur Gaus e Pak رضي الله عنه ke jhurmoot me ho.
=====

Shehzada e Sarkar e Gaus e Aazam رضي الله عنه Hazrat Abdul Razzak رضي الله عنه ka bayan hai ek martaba mulke ajam se mere walid e majid Sarkar Gaus e Pak رضي الله عنه ke paas ek sawal aaya jo isse pehle iraq ke bade bade muftiyoñ ke samne pesh ho chuka tha magar kisi mufti ne uss sawal ka jawab naa diya tha sawal ki soorat yeh thi,

Ek shaks ne kasam khaayi woh koi aisi ibadat karega jiss ibadat ke waqt poori kainaat me doosra koi shareek naa hoga aur agar wo shaks aisi ibadat naa kar sake to uski biwi ko 3 talaq aisi halat me woh kaunsi ibadat kare ke jiss me koi shareek naa ho tamam aulma iss sawal ka jawab nahi de paaye phir jabh yeh sawal Sarkar e Baghdad ke paas aaya to Aapne fauran uss par fatwa diya ke wo shaks Makkah Muqarramah chala jaaye aur mataaf yaani tawaf karne ki jagah uske liye khali kardi jaaye aur woh tanha Kaaba Shareef ka tawaf kare to uski kasam nahi tootegi.

Ye sun kar bade bade aulma hairan reh gaye kyuki yahi sirf ek soorat thi jiss me woh shaks tanha ibadat kar sakta tha aur uski kasam poori ho sakti thi.
=====

Jabh Sarkar e Gaus e Pak رضي الله عنه ke waaz ki shohrat har taraf badhne lagi aur digar waaz karne waaloñ me awaam kam hone lagi to 100 waaz karne waaloñ ne socha ke hum sab 1 - 1 masaeel chun le jo sakht se sakht ho aur bhare majme me puchenge Gaus e Pak رضي الله عنه ko aur Aap ek saath itne sakth masaeel ke jawab nahi de payenge aur logo ki Aapse aqeedat khatam ho jaaye, Allah ki panah

Chunanche har waaz karne wala ne mushkil se mushkil 1-1 masla chun liya aur Aapke waaz me pahuche theek ussi waqt Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه ke seena e mubarak se noor ki bijli chamki jisse koi naa dekh saka magar jisse Allah ﷻ ne chaha usne yeh dekha woh bijli ek ek karke un 100 sawal puchne waaloñ ke seene me paiwast ho gayi phir woh saare ke saare chikhne lage aur apne kapde faadne lage aur daud kar Peerane Peer ke mubarak qadmo me apna sar daalne lage.

Uske baad Sarkar e Gaus e Pak رضي الله عنه har ek ko apne seena e akdas se lagate jaate aur farmate jaate the ki tera yeh sawal hai iska yeh jawab hai issi tarah Aapne sabke sawal aur jawab dono irshad farma diye.

Jabh majlis khatam huwi to un sawal puchne waaloñ se pucha gaya ke aap logoñ ko yeh kya ho gaya tha kyu kapde faad rahe the to unhone bataya ke jaise hum iss mubarak majlis me aakar baithe to jo kuch humein aata tha achanak humare seene se aise gayab huwa jaise humne ek lafz bhi kabhi naa padha tha phir jabh Sarkare Gaus e Pak رضي الله عنه ne apne mubarak seene se lagaya to hamara saara ilm wapas aa gaya aur itne zyada ilm se hum log malamal ho gaye jo hum pehle nahi jante the.
=====

Hazrate Abdullah Zayyal رضي الله عنه farmate hai ek martaba raat ke waqt maiñ, Sarkar e Gaus e Pak رضي الله عنه ke madarse me khada tha ki Huzoor Peerane peer Dastagir Sarkar Gaus e Aazam رضي الله عنه andar se apne mubarak haath me asaa lekar bahar tashrif laaye

Achanak mere dil me khayal aaya ki kaash aap iss asaa ke zariye koi karamat dikhate yeh khayal mere dil me aate hi Sarkare Gaus e Pak رضي الله عنه ne asaa ko zameen mein gaad diya bas woh asaa mashal ki tarah raushan ho gaya aur kaafi deir tak raushan raha.

Jabh Aapne usse zameen se ukhada to phir woh apni asli halat me aagaya Sarkare Gaus e Pak رضي الله عنه ne irshad farmaya "aye Abdullah tum yahi chahte they?"
=====

Sarkar e Gaus e Aazam رضي الله عنه majme me jiss par apni nazare muqaddas aankhon se tawajjoh farmate woh kaisa hi sakht tabiyat kyuñ na hota wo Aapka farmabardar aur gulam ban jata tha.

Hazrat e Umar Bazzaz رضي الله عنه farmate haiñ ek din Main Sarkar e Gaus e Aazam رضي الله عنه ke saath jumaa ke din jaama masjid ja raha tha raaste me kisine Aapko salam naa kiya Main hairat me dub gaya aur khayal aaya ki har jumaa kitni bheed hoti hai ke mushkil se masjid tak pahuch paate hai malum nahi aaj kya majra hai ke koi Aapko salaam tak nahi karta.

Iss khyal ka aana tha ke Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ne muskura kar meri janib dekha isske saath hi log kasrat se salam wa musafe ke liye toot pade aur issi hungame me, Main Aapse durr ho gaya aur sochne laga ke mere liye pehle wale halaat acche the kam-az-kam Main Aapke qareeb to tha.

Ye khyal mere dil mein aate hi Sarkar e Gaus e Pak رضي الله عنه ne phir muskura kar meri janib dekha aur irshad farmaya aye Umar tumhi ne iski khwahish ki thi kya tumko malum nahi hai ke logo ke dil mere haath me hai agar Main chahu to unhe apni taraf se phair du aur chahu to unhe apni taraf jhuka 
=====

Hazrate Muhammed ibne Abbas Abul Khizr husseini ﺭَﺣْﻤَﺔُ ﺍﻟﻠﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴْﻪ farmate hai mere walid e mohtaram ne khawaab mein dekha ki duniya ke tamam buzurgane deen ek bahot bade maidan mein jama hai aur un buzurgoñ ke beech Shaikh Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه sadar ki haisiyat se jalwa farma hai.

Unn buzurgoñ mein se baaz ke sar par sirf amama shareef hai aur baaz ke amame ke uper ek chadar hai aur baaz ke amame ke uper do chadare hai aur Janab e Gaus رضي الله عنه ke amame shareef mein teen chadare hai khawaab mein khyal aaya ki Sarkar Gaus e Aazam رضي الله عنه ke amame shareef mein ye teen chadare kaisi hai?
Itne mein meri aankh khul gayi to maiñe dekha ki Sarkare Gaus e Pak رضي الله عنه mere sarhane khade hai aur farma rahe hai ek chadar Shari'at ki dusri chadar Hakikat ki aur teesri chadar Azmat ki hai.
=====

Hazrat e Mutahhar رضي الله عنه ka bayan hai ke jabh mere walid e mohtaram ka waqte aakhir huwa to maiñe daryaft kiya ki Aapke baad kiski pairweeh karu to farmaya Shaikh Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه maiñe samjha shayad marz ki wajah se aisa bol rahe hai dobara pucha phir wahi jawab diya mere dil me abh bhi yahi khayal aaya shayad marz ki wajah se aisa bol rahe hai phir teesri baar pucha ke walid e mohtaram Aapke baad kiski pairweeh karu farmaya Shaikh Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه ki pairweeh karo kyuki ankareeb woh zamana aane wala hai ki sirf janab e Gaus e Pak رضي الله عنه ki pairweeh ki jaaegi.

Walid sahab ki wafat ke baad maiñ baghdad shareef aaya uss waqt sarkare Gaus Aazam رضي الله عنه waaz farma rahe the bade bade buzurgaan e deen majlis me hazir the Sarkare Gaus e Aazam رضي الله عنه ne mujhse farmaya aye Mutahhar tumhe apne walid ki wasiyyat ek martaba kafi na huwi ke teen martaba pucha, maiñ bilkul khauf zada ho gaya aur Aapke qadmoñ mein sar rakh kar maafi talab ki
=====

Ek riwayat me hai ke Ramazan ka mahina tha ek khadim ne aakar Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه ki bargaah me hazir ho kar arz ki Huzoor meri tamanna hai ke aaj mere gareeb khane par Roza iftaar kare Sarkar Gaus e Aazam رضي الله عنه ne manzoor farmaya woh khadim khushi khushi wapas gaya uske baad doosre khadim ne bhi yahi khwahish zahir ki Aapne unki dawat bhi qabool farma li unke jaate hi teesre khadim aaye unhone bhi aajizi ke saath yahi darkhwast ki to aapne unse bhi wada farma liya issi tarah 70 aqidatmand aaye aur sabne yahi arz ki,

Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه ne kisi ka bhi dil naa toda aur sabse wada farmate gaye jabh iftar ka waqt aaya to Huzoor ek hi waqt me har ek khadim ke yahañ jalwa afroz huwe aur roza iftaar kiya subah jabh aqidatmand jama huwe to ek doosre se fakhr se bayan karne lage ke kal mujhpar Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه ka bada karam huwa mere gareeb khane par roza iftaar farmaya doosre ne kaha tum galat kehte ho Huzoor mere yaha tashreef le gaye the aur roza iftaar farmaya.

Jitne dawat dene wale the kuch deir mein saare jama ho gaye aur aapas me behais hone lagi jabh sab madarse pahuche to madarse walo ne kaha ke kal to Sarkare Gaus e Aazam رضي الله عنه ne madarse se bahar qadam bhi nahi nikala yahi maujood rahe aur madarse me iftaar kiya.

Aakhir me sab log Sarkar e Gaus e Aazam رضي الله عنه ki khidmat me hazir huwe aur arz ki ke Huzoor ye kya baat hai to Aapne farmaya iss me ta'ajjub ki kya baat hai? Allah ﷻ ne Awliya Allah ko itni taqat bakhshi hai ke woh ek hi waqt me bahot se maqamat par pahuch sakte hai.
=====

Sarkare Gaus e Aazam رضي الله عنه ki qudrat wa taaqat ka aalam bahot hi baland wa aala tha Aapke dudh peene ke zamane me daaee ki godh se dudh peete peete uchal kar aaftaab(suraj) me chup jaate the.

Jabh Aap bade ho gaye to ek din wahi daaee Sarkare Gaus e Aazam رضي الله عنه ke paas aakar puchne lagi aye beta Abdul Qadir رضي الله عنه jabh main tumhe dudh pilati thi to kabhi kabhi tum meri godh se uchal kar aaftaab me chup jaate the kya abh bhi wahi haalat hai to Sarkare Gaus e Pak رضي الله عنه ne faramaya aye madare mohtaram woh zamana to mere bachpan ka tha uss waqt maiñ aaftab me chhup jaata tha aur abh meri taqat aur quwwat ka yeh aalam hai ke agar aise hazaaroñ aaftab aa jaye to mujh me gayab ho jaaye aur unka kahi pata naa chale.
=====

Ek shakhs Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ki bargah me haazir huwa aur arz ki meri biwi ko jinn bahot satate hai bahot daure padte hai bade bade aalim aajiz aa gaye hai aapne farmaya woh sarandeep ke jungle ka sarkash jin hai aur farmaya jaao apni biwi ke kaan me keh dena ki baghdad wale Shaikh Abdul Qadir رضي الله عنه ne farmaya hai aainda kabhi mat aana warna halaaq kar diye jaaoge usne aakar issi tarah kaha ussi waqt se aaram ho gaya aur kabhi yeh shikayat naa huwi.

Abu Nazar baghdadi bayan karte hai mere walid bahot bade aamil the ek martaba jinno ko hazir hone ke liye dua padhi lekin waqt par koi bhi jinn naa aaya sab waqt guzarne ke baad aaye,

Walid sahab ne pucha tum log waqt par kyu nahi aaye? to kaha hum Gausus Saqalain (insan aur jinnat ke Gaus) ki mehfil e waaz me the jabh unki majlis ka waqt aata hai to hum sabh wahañ hazir hote hai aise waqt humein naa bulaya kijiye.

Mere walid sahab ne jinno se pucha kya tum log bhi Sarkare Gaus e Pak رضي الله عنه ki majlis wa waaz me jaate ho to jawab diya ke hamari tadaad Gaus Us Saqalain ki majlis me insaano se zyada hoti hai.
=====

Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ ne Hazrat Umar Farooque e Aazam رضي الله عنه aur Hazrat Maula Ali كرم الله تعالٰی وجهه الكريم ko Hazrat e Owais Qarni رضي الله عنه ke paas jaane ki wasiyat farmayi aur farmaya ki tum dono Owais Qarni ko mera salaam kehna, aur mera jubba dekar kehna ki woh meri ummat ki bakhshish ke liye dua kare.

Chunache jabh Hazrat e Umar رضي الله عنه aur Hazrat Ali e Murtuza كرم الله تعالٰی وجهه الكريم Hazrat e Owais Qarni رضي الله عنه ke paas gaye aur Sarkar e Do Aalam ﷺ ka farmaan sunaya to Hazrate Owais Qarni رضي الله عنه ne sajde me apna sar rakh kar ummat e Muhammadiya ke liye dua maangni shuru ki.

Ussi waqt nida (aawaz) aayi ke sajde se apna sar utha le kyuki teri dua e shafa'at se apne Mehboob (ﷺ) ki aadhi ummat ko bakhsh diya aur aadhi ummat ko apne Mehboob e Aazam ke ladle farzand Gaus e Aazam Abdul Qadir (رضي الله عنه) jo mera bhi Mehboob hai uski shafa'at se bakhshunga jo tere baad paida hoga.

Hazrat e Owais Qarni رضي الله عنه ne arz ki aye Parwardigar tera woh Mehboob banda kaun hai aur kaha hai ke Maiñ uski ziyarat karu to nida aayi ke jisska tarjama- "Sach ki Majlis me azeem qudrat wale badshah ke huzoor yaani Allah ﷻ ki bargah me hazir hai"

Woh mera mehboob hai aur mere Mehboob e Aazam Muhammadur Rasool Allah ﷺ ka bhi mehboob hai aur Sahaba e Kiram aur Aaeemma e Izaam ke ilawa tamam agle pichle Auliya ki gardano par uska qadam hoga aur jo usse qabool karega maiñ usko dost rakhunga.

Hazrate Owais Qarni رضي الله عنه ne yeh sun kar apni gardan jhuka di aur arz ki aye Parwardigar maiñ bhi usse qabool karta hu.
-Tafreeh ul Khatir
-Manazil ul Awliya fee Fazaeelul Asfiya
-Hamare Gaus e Aazam
=====

Ek martaba ek Allah wale dariya e dajla ke kinare se jaa rahe the ke achanak kinare par behta huwa saib (apple) dekha unhe bhookh lagi thi to usse nikal kar aapne kha liya phir kuch aage gaye to khyal aaya ke saib malum nahi kiska hai qayamat ke din Allah ﷻ sawal karega to kya jawab dunga ye khayal aate hi saib ke malik ke paas maaf karane ya kimat dene ke irade se jis taraf se saib behta huwa aaya tha ussi jaanib chal pade to ek baagh me pahuche jiski daliyañ dariya ki taraf thi unhe khyal aaya ke jo saib khaya hai wo issi baagh ka hoga pata karne par malum huwa ke yeh bagh Hazrate Abdullah sumai ﺭَﺣْﻤَﺔُ ﺍﻟﻠﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴْﻪ ka hai.

Chunanche woh Allah wale Hazrat e Abdullah ﺭَﺣْﻤَﺔُ ﺍﻟﻠﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴْﻪ ki bargah me hazir huwe aur saib khane ka wakiya sunaya aur maaf karne ya kimat lene ke liye arz ki Hazrat e Abdullah Sumai ﺭَﺣْﻤَﺔُ ﺍﻟﻠﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴْﻪ ne farmaya beta saib ki keemat bahot hai adaa nahi kar paoge, magar uss Allah wale ne israr kiya to Hazrat e Abdullah Sumai ﺭَﺣْﻤَﺔُ ﺍﻟﻠﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴْﻪ ne kaha uski kimat ye hai ke mere bagh ki rakhwali tum ek (1) saal tak karo.

Aap wahi par do (2) saal rakhwali karte rahe ek din Hazrat e Abdullah Sumai ﺭَﺣْﻤَﺔُ ﺍﻟﻠﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴْﻪ farmate hai tumhe saib maaf karwane ke liye ek aur kaam karna hoga aur woh yeh ke tum meri beti se shadi karo jo dono aankh se andhi, dono kaan se behri, dono haath se looli, dono pair se langdi aur zaban se goongi hai uss Allah wale ne saib maaf karwane ke liye yeh baat bhi maan li aur aap ki shadi hogayi jabh kamre mein gaye to hairaan huwe ke waha bahot hi khubsoorat haseen o jamil aurat maujood thi woh Allah wale ulte qadam bahar nikle aur Hazrate Abdullah Sumai ﺭَﺣْﻤَﺔُ ﺍﻟﻠﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴْﻪ ke paas gaye aur kaha jisse meri shadi huwi wo ladki kamre me nahi hai balki doosri hai.

Hazrat e Abdullah ﺭَﺣْﻤَﺔُ ﺍﻟﻠﻪِ ﺗَﻌَﺎﻟٰﻰ ﻋَﻠَﻴْﻪ ne farmaya wahi tumhari biwi hai aur jo maiñe kaha tha uska matlab yeh hai ke uss ladki ne kabhi zaban se shari'at ke khilaf baat nahi ki isiliye wo goongi hai, usne apne kaano se kabhi koi buri baat nahi suni isiliye wo behri hai, usne kabhi kisi gair mehram ko nahi dekha isiliye wo andhi hai, usne apne haatho se kabhi galat kaam nahi kiya isilye wo looli hai, uske pair kabhi gunah ki taraf nahi barhe isiliye wo langdi hai.

Uss muqaddas khatoon ka naam Saiyyada Fatema hai aur kunniyat Ummul khair hai laqab Amtul Jabbar hai aur uss Allahwale ka naam Saiyyad Moosa رضي الله عنه aur kunniyat Abu saleh aur laqab Jangi dost hai.

Inhi dono mubarak aur Allah walo ke zariye haqeeqat o marefat aur shari'at ka ek aisa mahekta huwa phool khila jisne saare aalam ko apni khushbu se mehka diya jo Gausiyat aur Qutbiyat ka taajwar ban kar wilayat ke aasman par chand wa suraj ki tarah jagmagaya aur subhe qayamat tak jagmagata rahega jise duniya Gaus e Aazam رضي الله عنه ke naam se janti hai.
=====

Manaqib e Gausiya (किताब) me Hazrate Sahabuddin Soharwardi رضي الله عنه se manqul (इनका कौल है) hai ke Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ki wiladat (पैदाइश) ke waqt 5 azeem ush shaan karamato ka zuhoor huwa.

Hazrat e Gaus e Aazam رضي الله عنه ke walideiñ majideiñ ko Allah ﷻ ne aalam e khawaab me basharat di ke jo ladka tumhare yahañ paida hoga woh sultan ul Auliya hoga uska mukhalif gumrah aur bad-deen hoga.

Jabh Aapke walid e majid ko khawaab mein Huzoor Saiyyad e Aalam Noor e Mujassam ﷺ ki ziyarat naseeb huwi to Huzoor ﷺ ne farmaya aye mere bete Abu Saleh tujhe Allah Ta'ala ne woh farzand (बेटा) diya hai jo mera beta aur mehboob hai Khuda e Ta'ala ka bhi mehboob hai aur uska marataba Auliya me aisa hoga jaisa mera martaba Ambiya (नबीयों) me hai.

Tamam Ambiya e Kiram علیہ السلام ne Hazrat Gaus e Aazam رضي الله عنه ke walid Hazrat Abu Saleh رضي الله عنه ko khawab me basharat di ke aye Abu Saleh tamam sahaba e kiram رضي الله عنهم aur Aeemma e kiram علیہ رحمۃ ورضوان ke alawa tamam agle aur pichle Auliya (वली) tumhare noor e nazar Shaikh Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه ke farmabardar hoñge aur uska qadam apni gardano par rakhenge aur uski ita'at waliyoñ ke martabo ki balandi ka sabab (कारण) hoga.

Hazrat Gaus e Aazam رضي الله عنه ki paidaish ke waqt jeelan me jitne bacche paida huwe sab ke sab ladke the jinki tadad 1100 thi aur sab ladke Auliya e kamileen baney.

Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ne mea'raj ki raat jo Huzoor Gaus e Aazam رضي الله عنه ki gardan par qadam mubarak rakha tha uska nishan Gaus e Pak رضي الله عنه ki paidaish ke waqt Aapki gardan mubarak par maujood tha. Paidaish ke waqt Hazrat Gaus e Aazam رضي الله عنه ka Chehra mubarak itna raubdaar aur noorani tha ki koi shakhsh Aapko gaur se na dekh sakta tha aur Aapko, Allah ﷻ ne Saiyyad e Aalam ﷺ ke jamal ka mazhar bana kar duniya mein bheja.
=====

Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ka ye mashoor irshad e paak hai ki jabh tak kisi me ye 12 khaslate (ख़ासियत) naa paida ho jaaye usko peer bana kar peeroñ ki gaddi par baithna jaiz nahi.

1) Kisi ke Aaiboñ ko chupana.
2) Reham dili karna.
3) Shafkat karna.
4) Meharbaani karna.
5) Hamesha sach bolna.
6) Haqq bolna.
7) Neik baatoñ ka hukm dena.
8) Buri baatoñ se mana karna.
9) Gareeboñ ko khana khilana.
10) Ibadat ke liye raatoñ ko jaagna.
11) Zaruriyat e deen ka ilm hasil karna.
12) Sakhawat aur bahaduri ikhteyaar karna.

Aaj ke daur me peer ke andar upar likhi huwi shartein paayi jaana bahot mushkil ho gaya hai isiliye Aala hazrat رضي الله عنه farmate hai agar yeh 4 sharte bhi paayi jaaye to uss peer se mureed ho sakta hai
1) Peer ka silsila Huzoor ﷺ se mila huwa ho beech me kahi silsila toot naa gaya ho.
2)Peer sunni sahihul aqeeda ho kyuki badmazhab gumraah ya wahabi ka silsila iblis tak pahuchega Sarkar e Do Aalam ﷺ tak hargiz naa pahuchega.
3) Itna ilm rakhta ho apni zaruriyat ke masaeel khud kitaboñ se nikal le aur ahle sunnat ke aqeedoñ se wakif ho.
4) Peer fasik e mo'allin naa ho yaani alal ailaan peer gunah ke kaam na karta ho jaise namaz naa padhta ho, darhi ek musht se kam rakhta ho ghar ki auratoñ ko pabandi karata ho qawwali taziya maatam tamam galat kaamoñ se bachta ho.
=====

Shaykh Ahmed Kabir Rifaee رضي الله عنه farmate hai ke Shaykh Abdul Qadir رضي الله عنه ke martabe ko kaun pehchan sakta hai aapke dahini taraf shari'at ka samandar hai aur ba'yee taraf tariqat ka samandar hai jisse chahe bhare iss waqt koi unke barabar nahi,

Jab Aapke bhateeje Baghdad Shareef jaane lage to aapne taqeed farmayi ke dekho jis waqt Baghdad Shareef mein dakhil hona to sabse pehle Gausus Saqalain Shaykh Abdul Qadir Jeelani رضي الله عنه ki khidmat mein hazri dena kyuki unke muta'allik yeh ahad liya jaa chuka hai ke jo shakhsh Baghdad Shareef mein aaye to pehle unki ziyarat ko hazir ho warna uska silsila cheen liya jayega.
=====

Naqal hai ki sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ke zamaane mein ek wali ki wilayat khatm hogayi aur sabh unhein mardood kehne lage unhone 308 Auliya-e-Kaamileen se iltija ki aur sabh ne unke liye Allah Ta’ala ki baargah mein sifarish ki lekin kisi ki sifarish qubool na huwi, unhone uska naam Lohe Mahfuz mein Ashkiya ki fehrist mein dekha to usse khabar di ki tum kabhi falah naa paa sakoge phir unka chehra syaah yaani mayus ho gaya, Aakhirkar woh Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ki baargaah e Aqdas mein haazir huwe, Aapne farmaya agar tu mardood hogaya hai to maiñ khudaye buzurg ke izn se maqbool bana sakta hu. Phir Aapne uske liye dua ki, Gaib se nida aayi kya tum nahi jaante ki 308 Auliya ne uske liye sifarish ki thi Maiñ uska naam lohe Mahfuz mein shaki badbakht likh chuka hu.

Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ne arz kiya, Ilaahi! Tu mardood ko maqbool aur maqbool ko mardood banane par Qaadir hai. Nida aayi Aye Abdul Qaadir! usse Maiñe tere supurd kar diya jo chahe bana de Tumhara Mardood mera mardood aur tumhara maqbool mera maqbool hai.
-Tafrihul Khatir, Safah 48

Tashreeh : Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه  ko Auliya mein yeh Maqaam haasil hai ke atal Taqdeer ko bhi maqaame mehboobiyat mein tabdeel karwa dete hai.

*سبحان الله سبحان الله*
=====

Shaikh Abu Abdullah Muhammed Bin Abi Al-Majaali Bin Qaid Abaani رحمة الله عليه se manqul hai ki aapne farmaya ki ek Aurat Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ki khidmat me apna ladka laayi aur kehne lagi ki maiñ is ladke ka dil dekhti hu ki Aapki taraf bahot ta’alluq rakhta hai maiñ Allah Ta’ala ke liye aur aap ke liye apne haq se darguzar karti hu tabh Aapne usko Qubool kiya aur usko mujahida aur riyazat ke tareeqe par chalne ki talqeen ki phir ek roz jabh uski waalida apne ladke se milne aayi to dekha ki woh bhook aur bedaari (जागने) ki wajah se zard rang ka ho raha hai aur jau(जौ) ka tukda kha raha hai phir woh Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ki khidmat mein haazir huwi to Aap ke saamne bhooni huwi murgi ki haddiya padi thi jo ki aap abhi khakar faarig huwe the usne kaha Aye Mere Sardar! Aap khud to murgi khate hai aur mera beta jau ki roti khata hai tabh Aapne apna mubarak haath un haddiyo par rakha aur farmaya ki us Allah ke hukm se zinda hoja, jo ki un haddiyo ko zinda karega jo ki purani ho chuki hongi ussi waqt woh murgi khadi ho gayi aur chillai tabh Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه ne farmaya jabh tera beta is darje par pahuch jaayega to jo chaahe khaye.
-Bahjatul Asraar, Safa 199

Tashreeh - Murde ko zinda karna waise hi bada kamaal hai aur isse bhi badhkar us murde ko jiski sirf haddiya reh gayi ho jaise bhooni huwi murgi ki jiska gosht khatam ho chuka tha use asli haalat me laana aur zinda karna aap ki azeem karaamat hai.
=====

Beemar ko Tandrust karne ka Bayaan.
Taaoon ke Mareezoñ ko Shifa dena.

EK martaba Baghdad Shareef me Taaoon (प्लेग) is kasrat se huwi ki rozana hazaaroñ log marne lage logoñ ne Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه se is baat ki shikayat ki to Aapne farmaya, hamare Madarse ki Ghaas kootkar mareezoñ ko khilai jaaye, Allah Ta'ala uski barkat se shifa dega, aur Taaoon ki beemari jaati rahegi. Logoñ ne Aapke hukm ki taameer ki, mareez shifa paane lage mareezoñ ki zyada tadaad ki wajah se Aapne farmaya jo hamare madarse ka ek katra paani pee lega usse bhi shifa hogi logoñ ne Aapke Madarse ka paani pee kar Shifa-e-Kaamil haasil ki aur Taaoon ka marz jaata raha aur Aapke zamane me yeh beemari dobara nahi aayi.
*Tafrihul Khatir, Safah 78.*

*Tashreeh-* Aap ke Madarse ki ghaas aur paani me bhi Allah Ta’ala ne shifa rakhi hai Aapne ek maqaam par farmaya ki jo shakhs mere Madarse se ho kar guzar jaaye us par dozakh ki aag haraam hai, Aap ke madarse ki be shumaar barkatein hai.

Ye aisa hai ki jaise Sayyade Aalam ﷺ ne farmaya ki meri qabr aur mimbar ke darmiyan jo jagah hai woh Riyaze Jannat hai yaani Jannat ki Kiyaari jo Riyazul Jannat me pahuch gaya woh goya jannat me pahuch gaya.
=====

Baghair Tahaarat (पाकी) Aapka Naam lene wale ki saza

Naql hai ki shuru shuru me Sayyiduna Gaus e Aazam رضي الله عنه par kalaalat ka galba tha aur uski kaifiyat yeh thi ki jo koi Aapka naam e mubarak baghair tahaarat (नापाकी की हालत) ke leta woh halaaq ho jata tabh Aapne Apne Nanajaan Huzoor ﷺ  ko dekha ki Aap ﷺ farma rahe hai ki is haal ko chordh do Kyuki ek zamana aisa aane wala hai jisme log Allah Ta’ala aur Mera naam bhi baghair tahaarat ke lenge phir Aap ne Sayyide Aalam ﷺ ki ummat par shafaqat farmate huwe yeh kaifiyat wapas le li.
-Tafrihul Khaatir, Safah 33

Tashreeh: Sayyiduna Gause Aazam رضي الله عنه sifaate Jamali aur Jalaali ke mazhar e kaamil hai lekin Aap ka jalaal gustakho, be-adabo, aur Aap ko aazmane waaloñ ke liye aur Aap ka bura chahne waaloñ ke liye hai, Aap ka jamaal Aap ke mureedoñ,  aqeedatmandoñ aur adab wa ehtiraam karne waaloñ ke liye hai is karamat se yeh bhi maloom huwa ki kaifiyate jalaali ko wapas lena Allah Ta’ala hi ka kaam tha, lekin usne apne mehboob awliya ko yeh tasarruf aur ikhtiyar farmaya hai ki wo kisi kaifiyat ko barkarar bhi rakh sakte hai aur wapas bhi le sakte hai is karamat se Aap ki azmat ka bhi pata chalta hai ke baghair tahaarat naam lene wale ka yeh hashr huwa to gustakho ka kya haal hoga.
=====

Sarkar Gaus e Aazam رضي الله عنه ne apne zaahiri wisal se kuch dino pehle hi apne ghar waloñ ko bata diya ke abh meri wafat ka zamana kareeb aa gaya hai uske baad Aap marz me mubtila huwe aur 2 mahine tak Aap musalsal beemar rahe.

Jis raat Aapka zahiri wisal huwa uss din aapne farmaya tum par afsos hai mere muta'allik tumhara kya khayal hai Maiñ naa kisi insan se darta hu naa jinn se naa malakul maut se naa kisi aur cheez se aye malakul maut mujhe uss zaat ki bargah me pahucha do jo mujhko dost rakhta hai aur mere tamam kaamoñ ka waali hai yaani Rabb e Kareem ki bargah me.

Fir Aapne farmaya tum par salamati ho aur Allah ﷻ ki rehmate ho aur barkate nazil ho sacche dil se tauba karo aur siwaad e aazam (ये वोह बड़ी जमात है जो सहाबा और औलिया के मानने वाले हैं) mein dakhil ho jaao issi maqsad ke liye Maiñ aaya hu taaki tum ko Nabi e Kareem ﷺ ki itteba(पैरवी) ka hukm du aur farmaya narmi karo.

Iske baad Aapne teen martaba Allah Allah Allah kaha phir "La Ilaha Il Allah Muhammed ur Rasool Allah ﷺ" parha aur zaban e mubarak talu se chipak gayi aawaz kamzor hogayi aur rooh e aqdas jism e paak se parvaaz ho gayi.

 *ﺇِﻧَّﺎ ﻟِﻠّﻪِ ﻭَﺇِﻧَّـﺎ ﺇِﻟَﻴْﻪِ ﺭَﺍﺟِﻌﻮﻥ*

Aap ke bade shehzade Hazrat Saiyyad Shah Abdul Wahab رضي الله عنه ne Aapki namaz e janaza padhayi aur Madrasa Jamia Qadiriya me Aapko dafn farmaya gaya Baghdad Shareef me aaj bhi Huzoor Gaus e Pak رضي الله عنه ka Mazar e Anwar awaam wa khawaas ke liye faiz dene wala hai aur subhe qayamat tak log faiz hasil karenge
 *إِنْ شَاءَ اللَّهُ تعالیٰ*

Book Reference
Humare Gaus e Aazam

As Salato Was Salamo Alayka 

Har Fitne Ka Radd Farz e Azam Hai.
Shia Rafzi
Wahabi Deobandi
Qadyani Ahmedi
Ye Saare Aaj K Bade Fitne Hai.
Ahle Sunnat Wa Jamat Se Inka Kohi Talluk Nahi.

الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ