Achchi aur Buri Taqdeer Par IMAN Rakhna Zaruriyat e Deen Mein Se Hai. Har Ambiya o Awliya Taqdeer Par IMAN Rakhte Hai. Agar Kohi Taqdeer Ka Inkaar Kare Wo Musalman Nahi.

(Jaise Jinn o Frishte Par Iman Lana Zaruriyat E Deen Mein Hai Waise Hi Taqdeer Ka Mamla Hai)

Insaan Puri Tarha Majboor Lachar Beybas Nahi Wo  

1. Koshish Kar Sakta Hai

2. Neik Amal Kar Sakta Hai

3. Dua Kar Sakta Hai

4. Dua Karwa Sakta Hai

Agar Taqdeer Badal Hi Nahi Sakti Toh Allah DUA Kiyun Banata? Ambiya Sahaba Awlia Dua Kiyun Karte? 

Jo Taqdeer Mein Likha Hai Wo Hi Hoga, Phir Gunah Ka Azab Insaan Par Kiyun? Aisa Kehna Aur Soochna Islam K Khilaf Hai.

Allah Ne Loh o Qalam Se Taqdeer Mein Wahi Likha Hai Jo TUM Apne Irade aur Faysle Se Karne Wale Ho, Haan Kuch Baatein ALLAH Ka Faysla Hota Hai Jo Nahi Badalta Uspar SABR Zaruri Hai. Aage Taqdeer Ki Qismon Mein Iska Zikr Hai.

..

Taqdeer kay lughwi mani andaza lagana hain, qaza aur faisla bhi isi main atay hain. Istelah main us andazay aur faislay ka naam taqdeer hai jo Allah ki tarf say apni makhlooq kay muta’liq  tahreer main aa chuka. 

Taqdeer ki teen qismain hain:

  1. Mubram- Jis main tabdeeli mumkin nahi. (UNCHANGEABLE) - Jaise Humari Paidaish Ka Waqt.
  2. Mushabiha Mubram- Yeh khaas Awlia o Ambiya ki Dua ya Waseele Se Badal Jati Hai. (Jaise Barish Na Ho Aur Kohi Allah Ka Wali Dua Karde Toh Barish Hojati Hai Ya Awlad Ata Hoti Hai)
  3. Moallaq- Ye aam musalmanio ki duaon aur naik amaal say badalti rehti hai. (Nek Amal Jaise SADQA Musibat Ko Talta Hai Ya Dua Se Allah Fateh o Kamyabi Ata Karta Hai, Kaam Pura Hota Hai)

Hazrat Ibrahim ko Hazrat Loot kay liye dua kernay say rok diya gya tha, kyun k un per dunyawi azab mubram ho chuka tha. 

Hazrat Adam ki dua say Hazrat Da’ud ki umar bajaye saath (60) saal kay sau (100) saal ho gyi. Pehli qaza mubram thi, dusri moallaq.

Khayal rahay k taqdeer ki wajha say insaan pathar ki terha majboor na ho gaya, werna qatil phansi na pata aur choor kay hath na katay jatay. 

Allah Ta’ala kay ilm main ye baat aa chuki hai k falan apnay ikhtyarat say ye harkat keray ga. Dua, dawa, humari tadbeerain aur ikhtyarat sab taqdeer main dakhil hain.


Kia Shadi Taqdeer Se Hoti Hai?

Jodiyan Aasmano Meim Bani Hoti Hai?

Nikah Taqdeer Se Hota Hai?

Teeno Ka Jawab Ulema K Nazdeek HAAN Hai.

Ahle Sunnat Wa Jamat Ka Aqida Yehi Hai.

Albatta

Dil Ki Tassali K Liye Wazifa Wagaira Bata Dete Hai.

As Salato Was Salamo Alayka 


Har Fitne Ka Radd Farz e Azam Hai.
Shia Rafzi
Wahabi Deobandi
Qadyani Ahmedi
Ye Saare Aaj K Bade Fitne Hai.
Ahle Sunnat Wa Jamat Se Inka Kohi Talluk Nahi.
..

Arkaan e imaan ka chata(6th) rukun ye hai ke ek musalmaan is ke saath paesh aane wali har achi ya buri taqdeer par imaan rakhe, is ki tashreeh karte hue imaam nowi r.h apni kitaab (arbayeen nowiya) me farmate hai Allah ta’ala ne zamana qadeem me har cheez ki taqdeer likhi aur Allah subhana wa ta’ala ko ilm hai ke ye cheez apne muqarrar waqt me kisi m’aniya jagha par waqu pazeer hokar rahegi chunanche har cheez Allah ta’ala ki is taqdeer ke mutabiq waqu pazeer hoti hai.


Hadees:

Riwayat hai Abdullah bin Amro say, fermatay hain fermaya Rasool Allah (SalAllaho Aliehe Waslam) nay:

Allah nay makhlooq ki taqdeerain asmaan o zameen ki paidaish say pachas hazaar (50,000) bars pehlay likhien.

Fermatay hain k us ka arsh pani per tha.

(Muslim)

Sharah:

Yani qalm nay loh e mahfooz per Allah kay hukam say azal say abad tek kay waqiyat, zerra zerra qatra qatra likh diya hai. Khayal rahay k ye tehreer is liye na thi k Allah ko bhool janay ka der tha balkay is ka mansha farishton aur ba’az mahboob insaanon ko mutla’ kerna tha. Allah Ta’ala kay ba’az banday saray waqiyat e alam per khabar rakhtay hain, werna tehreer bekar jati. Loh e mahfooz ko Quran e Kareem nay Kitab e Mubeen fermaya, yani zahir kernay wali kitab. Agar loh e mahfooz sab ki nigahon say chupi hoti to mobeen na hoti.

Is say maloom hota hai k pani asmaan o zameen waghaira say pehle paida hua, arsh kay pani per honay ka matlab ye hai k un donon kay beech koi aar na thi, na ye k pani per rakha hua tha.


Hadees:

Riwayat hai Hazrat ibn e Umar say, fermatay hain fermaya Rasool Allah (SalAllaho Aliehe Waslam) nay:

Her cheez andazay say hai, yahan tek k ajzi aur aqalmandi.

(Muslim)


الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ 

Link52