HALAAL KAMAAII 
Karna Farz Hai.
Aaqa…alayhissalatu wassalaam…ne irshaad farmaya. Dusre faraaiz k baad halaal rozi haasil karna farz hai.
BAIHAQI..MISHKAAT
ZIYA UL HADIIS

Sirf Namaz Roza Nahi Hai,
KAAM Bhi Karna Bahot Zaruri Hai. Allah K Rasul Ki Sunnat Hai.

KAMCHOR Ban K Jamat Mein Ghumna, Khel Kud, Sufi Banna Sab Mana Hai Balki Farz Ka Tark Matlab GUNAH Hai.
Ambiya A.S Bhi Kaam Karte The!!

Hazrat Ka’ab ibne Iyaz (raziyallahuanhu),se rivayat hai,kaha,
Rasul e Akram
(sallallahualihiwasallam) ne farmaya : Har Ummat ki Ek Azmayish hoti hai,aur Meri Ummat ki Azmayish(fitnah) “MAAL” hai.
(Vol/2,Hadees No :2507)

Dars : Sabiqah Saare Ambiya e Kiram(Alihumussalam) ke ummatiyo ko kisi na kisi cheez ke zariyeh Azmaya gaya tha,jiski wajah se Wo Azmayish me padgaye tha aur Ummate Mohammadiyyah yani Hamari Azmayish wa Fitnah “MAAL” hai,jis ke sabab Banta apna Eiman bhi khodeta hai..!!

Matlab Kaam Karo 
Halal Kamao
Magar MAAL K Piche Apna Deen Kharab Na Karo!
Namaz Qaza Nahi
Roza Tark Nahi
Gunah Nahi

Halaal Rizq Ki Talab Aham Fariza hai.
Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k, Rizqe Halaal ko Talab karna Deen ke avvaleen Faraiz ke baad doosre darje ka Fariza hai"
Kanzul Ummaal , Jild 4 ,Hadees no 19231*

Huzoor Sallallahu Alaihivasallam aur Halaal Rizq ke Tareeqe, Dekhiye ! Jitne bhi Ambiya Alaihissalam is Duniya mai tashreef laye ,har ek se Allah Ta'ala ne kasbe Halaal ka kaam zaroor karaya aur Halaal Rizq haasil karne ke liye har Nabi ne jaddo jahad ki , Koi Nabi mazdoori karte they, koi Nabi Bada'i ka kaam karte they, koi Nabi Bakriya'n charate they, khud Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Makka Mukarrama ke pahado per ujrat per Bakriya'n charayi hai'n,
Bakriya'n Aapne charayi ,mazdoori Aapne ki ,Tijarat Aapne ki , Chunache Tijarat ke silsile mai Aapne Shaam ke safar kiye Jisme Aap Hazrat Khadijatul kubra Raziyallahu Anha ka samaane Tijarat le kar Shaam tashreef le gaye ,
Zara'at Aapne ki ,Madina Tayyaba se kuchh faasle per muqame zurf tha ,waha per Aap Sallallahu Alaihivasallam ne zara'at ka kaam kiya,
Lihaza Halaal kamane ke jitne tareeqe hai'n un Sab mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ka hissa aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Sunnat mojood hai , Agar koi Shakhs mulazmat kar raha hai ya Tijarat kar raha hai to ye niyat kar le k mai Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki itteba mai Tijarat kar raha hu'n ya Zara'at kar raha hu'n ya mulazmat kar raha hu'n , to is soorat mai ye Sab kaam Deen ka hissa ban jayenge ,
Momin Ki Duniya bhi Deen hai.

Hadees ne ek galat fahmi ye door kar di hai k Deen aur cheez hai aur Duniya kisi alag cheez ka naam hai ,
Haqeeqat ye hai k agar insaan gor kare to ek Momin ki Duniya bhi Deen hai, Jis kaam ko WO Duniya ka kaam samajh kar kar raha hai yani Halaal Rizq haasil karne ki fikr aur koshish ye bhi dar haqeeqat Deen hi ka hissa hai ,basharte k usko sahi tareeqe se kare aur Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki Taleem ki itteba mai kare ,
Bahar haal ek baat to ye maloom hui k halaal Rizq ki Talab bhi Deen ka hissa hai , agar ye baat zahan mai beth jaye to fir be shumar gumrahiyo ke raaste band ho jaye

Baaz Sufiyo Ka Tawakkul Kar ke beth Jana, Baaz Sufiya Kiraam ki taraf ye mansoob hai aur unse ye tarze Amal manqool hai k unhone koi pesha akhtyar nahi kiya aur Rizq ki Talab mai koi kaam nahi kiya balki Tawakkul ki zindgi is tarah guzaar di k bas apni jagah per bethe hai'n, Allah Ta'ala ne Jo kuchh gaib se bhej diya aur Us per Shukr kiya aur qana'at kar li ,agar nahi bheja to sabr kar liya ,
is bare mai ye samajh Lena chahiye k Sufiya Kiraam se is qism ka Jo tarze Amal manqool hai WO do haal se khaali nahi , Ya to WO Sufiya Kiraam ese they Jin per galaba e haal ki kaifiyat taari hui aur apne aam hosho hawaas mai nahi they ,aur Jab insaan apne hosho hawaas mai na ho to WO ahkaam e Shariyat ka mukallif nahi hota ,is vajah se agar unhone ye tarze Amal akhtyar kiya to ye unka apna makhsoos maamla tha ,Tamaam ummat ke liye ye Aam hukm nahi tha ,
Ya fir un Sufiya Kiraam ka Tawakkul itna zabardast aur kaamil tha k WO is baat per raazi they k agar mahino faaqa bhi guzarta hai to Hume koi fikr nahi , Hum na to kisi ke saamne haath failayenge ,na kisi ke saamne shikwa karenge , Ye bade mazboot sifaato wale, bade A'ala darje ke maqamaat rakhte they ,inhone is per ikfa kiya k hum apne zikr v shagal mai mashgool rahenge aur faaqe ki bhi nobat aati to koi baat nahi aur unke saath koi doosre Huqooq wabasta nahi they, Na Bivi bachche they k unko khana khilana ho ,
Lihaza  ye in Sufiya Kiraam ke makhsoos halaat they aur unka khaas tarze Amal tha Jo aam logo ke liye aur hum jese kamzoro ke liye qabile taqleed nahi hai ,Hamare liye Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne Sunnat ka Jo Raasta bataya WO ye hai k Rizq Halaal ki Talab doosre Deeni faraiz ke baad doosre darje ka fariza hai ,Talab Halaal ki Ho.

Rizq Talab karna Fariza us waqt hai Jab Talab Halaal ki ho , Roti, kapda aur Paisa bizzaat khud maqsood nahi hai ,ye niyat na ho k bas paisa haasil karna hai ,Chahe jis tarah bhi haasil ho , Jaa'iz tareeqe se haasil ho ya Na-jaa'iz tareeqe se haasil ho ,Halaal tareeqe se haasil ho ya Haraam tareeqe se haasil ho ,
Is soorat mai ye Talab ,Talab Halaal na hui Jiski fazilat bayan ki gayi aur Jiski Fariza qaraar diya gaya hai ,Kyunki Momin ka ye Amal us waqt Deen banta hai Jab WO islami talimaat ke mutabiq haasil kare ,Agar usne Halaal haraam ki tameez hata di aur jaa'iz na-jaa'iz ka khayal zahan se mita diya to fir ek Musalman mai aur kaafir mai Rizq haasil karne ke aitbaar se koi farq na raha ,
Baat to tab banegi jab WO Rizq Allah Ta'ala ke hukm ke mutabiq qaayam ki hui hudood ke andar kare , Usko ek ek paise ke bare mai fikr ho k ye paisa Halaal tareeqe se aa raha hai ya iske khilaaf aa raha hai,
Agar Ye Allah ki raza ke khilaaf aa raha hai to usko Jahannam ka Angara samajh kar chhod de , Kitni hi badi se badi daulat ho ,lekin agar WO haraam tareeqe se aa rahi hai to usko laat maar de aur kisi qeemat per bhi us haraam ko apni zindgi ka hissa banane per raazi na ho ,

Halaal Rizq mai Barkat Hai ,
Allah Ta'ala ne Halaal Rozi ke andar Jo Barkat rakhi hai WO Haraam ke andar nahi rakhi , Haraam ki bahut badi raqam se WO Faayda haasil nahi hota Jo Halaal ki thodi si raqam mai haasil ho jata hai ,
Huzoor Sallallahu Alaihivasallam har Wazu ke baad ye Dua farmaya karte they
*اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي ذَنْبِي وَوَسِّعْ لِي فِي دَارِي وَبَارِكْ لِي فِي رِزْقِي*
*Allahummagfirli Zanbi wa Wassi'ali fi daari wa Baarik li fi rizqi ,*
Ey Allah, 
Mere gunaah ki magfirat farma aur mere ghar mai wus'at farma aur mere Rizq mai Barkat ata farma.

Jogi Banke Pahad Pe Jana,
Tabligi Banke Jamat Mein Jana,
Islam Mein NAHI Hai.

As Salato Was Salamo Alayka 

Har Fitne Ka Radd Farz e Azam Hai.
Shia Rafzi
Wahabi Deobandi
Qadyani Ahmedi
Ye Saare Aaj K Bade Fitne Hai.
Ahle Sunnat Wa Jamat Se Inka Kohi Talluk Nahi.
الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ