Imam Ahmed Raza MUJADID 1300 Hijri 48
Imam Ahmed Raza R.A 1300 Hijri K Mujaddid Hai. Aap Ki Zindigi Mubarak K Baare Mein Kuch Malumat.
WILADAT BA SA’ADAT =======================
# AALA-HAZRAT IMAM E AHLE SUNNAT MUJADID E DINO MILLAT HAMI E SUNNA HAZRAT ALLAMA MAWALANA SHAH IMAM AHMAD RAZA KHAN رضي الله تعالي عنه KI WILADAT BA SADAT BAREILLY SHREEF KE MOHALLA JASOLI ME 10 SHAWWAL UL MUKARRAM 1272 HIJRI BAROZ PEER BAWAQT ZOHAR MUTABIQ 14 JUN 1856 KO ALLAH K KARAM SE HUI
SANE PAIDAISH KE AITEBAR SE AAPKA NAAM AL MUQTAR HAI
# AALA-HAZRAT NE APNA SANE WILADAT PARA 28 SURATUL MUJADALA KI AYAT 22 SE NIKALA HAI.
ISS AYAT E KAREEMA KE ILM E ABJAD KE AITEBAR SE MUTABIQ 1272 ADAD HAIN AUR HIJRI SAAL KE HISAB SE YAHI AAPKA SANE WILADAT HAI
ISS BAR SAYYEDI AALAHAZRAT IRSHAD NE FARMAYA BIHAMDI ALLAHI TA'ALA MERI WILADAT KI TAREEQ ISS AYAT E KAREEMA ME HAI
اُولٓئِكَ کتبَ فی قلوبھم الایمان و ایدھمہ بروح منھہ
TARJUMA:"YE HAIN JIN KE DILO ME ALLAH NE IMAAN NAQSH FARMA DIYA AUR APNI TARAF KI ROOH SE IN KI MADA KI"
# AAPKA NAAM E MUBARAK MOHAMMAD HAI AUR AAP KE DADA NE AHMAD RAZA KAH KAR PUKARA AUR ISS NAAM SE MASHHUR HUE.
# APKI WILADAT SE KUCH DIN PAHLE AAPKE WALID MAJID ALLAMAH MAWLANA NAQI ALI KHAN(RADILLAHU ANHU) NE KHAWAB DEKHA. SUBHA UTH KAR AAPNE APNE WALID ALLAMA MAWALNA RAZA ALI KHAN SAHAB ( رضي الله تعالي عنه ) SE KHAWAB BAYAN KIYA. ISS PAR HAZRAT NE FARMAYA "YE MUBARAK KHAWAB HAI, BASHARAT HAI TUMHAY ALLAH TAALA AIK FARZAND ATAA FARMAAY GA JO ILM KE DARYA BAHA DEGA, JIS KI ILM KI SHOHRAT MAGHRIBO MASHRIQ TAK PHELAYGI
=======================
HAIRAT ANGEZ BACHPAN =======================
A'alahazrat رضي الله تعالي عنه Ka Bachpan Badi Ahmiyat Ka Hamil Tha.
# Bachpan Ki Umr Me Qoowate Hafiza Ka Ye Aalam Tha Ke Sade Chaar(4 Saal 6 Mah) Ki Kam Umr Me Quran Majeed Nazira Mukammal Padhne Ki Naimat Se Baryaab Hogae.
# Che (6) Saal Ke The Ke Rabiul Awwal Ke Mubarak Mahine Me Mimbar Par Jalwa Afroz Ho Kar MILADDUN NABI (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ke Mauzu Par Ek Bhot Bade Ijtema Me Niyat Pur Maqz Taqrir Farma Kar Ulama E Ikraam Aur Mashaik E Aizaam Se Tahseen O Afreen Dad Wusool Ki.
# Issi Umr Me Aapne Baghdad Shareef Ke Bare Me Simt Maloom Karli Phir Ta Dam E Hayaat Baghdad Shareef Ki Taraf Paun Na Phailaya,
# Namaz Se To Ishq Ki Had Tak Lagao Tha Chunanche Namaz E Panjgana Ba Jamat Takbi Re Oola Ka Tahafuz Karte Hue Masjid Me Jakar Ada Farmate,
# Jab Kisi Khatoon Ka Saamna Hota To Fauran Nazrein Nichi Karte Hue Jhuka Lya Karte,
# Goya Ke Sunnat E Mustafa ( صلی اللہ علیہ والہ وسلم ) Ka Aap Par Ghalba Tha Jis Ka Izhar Karte Hue Huzoor Purnoor ( صلی اللہ علیہ والہ وسلم Ki Khidmat E Aaliya Me Yun Salam Pesh Karte Hain
# Nichi Aankho Ki Sharm O Haya Par Durood.
# Unchi Biyni Ki Rif'at Pe Lakho Salaam.
# A'ala-hazrat Ne Bachpan Hi Ki Umr Me Taqwa Iss Tarah Apna Liya Tha Ke Chalte Waqt Qadmo Ki Ahat Tak Sunai Na Deti Thi,
# Saat Saal Ki Umr Me The Ke Mahe Ramdan Ul Mubarak Me Roza Rakhne Shuru Kardye
=======================
BACHPAN KI HIKAYAT =======================
# Sayyed Ayub Ali Sahab رحمة الله تعالي عليه Farmate Hai Pachpan Me A'alahazrat رضي الله تعالي عنه Ke Ghar Ek Molvi Sahib Quraan Majid Padhane Aaya Karte The,
#Ek Roz Ka Zikr Hai Ke Molvi Sahab Kisi Ayat E Kareem Me Bar Bar Ek Lapz Aap Ko Batate The Magar Aap Zaban E Mubarak Se Nahi Kahte The Wo Zabar Batate The Aap Zer Padhte The Ye Kaifiyat Jab Aapke Dada Jaan
# Hazrat Mawlana Raza Ali Khan رضي الله تعالي عنه Ne Dekhi To A'alahazrat Ko Apne Paas Bulaya Aur Kalame Paak Mangwa Kar Dekha To Iss Me Katib Ne Galti Se Zer Ki Jagah Zabar Likh Dya Tha,
# Yani Jo A'alhazrat Ki Zaban Se Nikalta Tha Wo Sahi Tha.
# Aap Ke Dada Ne Poocha Bete Jis Tarah Molvi Sahab Padhate The Tum Ussi Tarah Q Nahi Padhte The?
# Arz Ki: Mai Irada Karta Tha Magar Zaban Par Qabu Na Paata Tha.
# A'alhazrat Khud Farmate The Ke Mere Ustad Jin Se Mai Ibtedai Kitab Padhta Tha,
# Jab Mujhe Sabaq Padha Dya Karte, Ek Do Martaba Mai Dekh Kar Kitab Band Kar Deta, Jab Sabaq Sunte To Harf Ba Harf Lafz Ba Lafz Suna Deta, Rozana Ye Haalat Dekh Kar Ta'ajub Karte.
# Ek Din Mujh Se Farmane Lage Aye Ahmad Miya! Ye To Kaho Tum Aadmi Ho Ya Jin? Ke Mujh Ko Padhate Der Lagti Hai Tum Ko Yaad Karte Der Nahi Lagti!
# Aap Ne Farmaya ALLAH Ka Sukr Hai Mai Insaan Hu Haan ALLAH Ta'Ala Ka Fadl O Karam Shaamil E Haal Hai
=======================
BACHPAN KI HALAAT =======================
# Molvi Irfan Sahab Qadri Razvi Ka Bayan Hai Ke Ek Martaba Huzoor (A'alahazrat) Ne Irshad Farmaya Ke Mai Apni Masjid Ke Samne Khada Tha,
# Iss Waqt Meri Umr Sadhe Teen Saal (3 Yr 6 Mnth) Ki Hongi, Ek Sahab Ahle Arab Ke Libaas Me Malbus Jalwah Farma Hue, Ye Maloom Hota Tha Ke Arbi Hain,
# Inhone Mujh Se Arbi Zaban Me Guftagu Farmai, Maine Fasih Arbi Me Unse Guftagu Ki, Uss Buzurg Hasti Ko Fir Na Dekha
# Janab Sayyad Ayub Ali Sahab Farmate Hain Ke Huzoor (A'alahazrat) Ki Umr Taqriban 5, 6 Saal Hongi,
# Iss Waqt Sirf Ek Bada Kurta Pahne Hue Bahar Tashrif Lae Ke Saamne Se Chand Tawa'aif Zinaan Bazari Guzren,
# Aap Ne Fauran Kurte Ka Agla Daman Dono Hatho Se Utha Kar Chahrah Mubarak Jo Chupa Lya Aur Satr Khol Diya,
# Aapne Barjasta Jawab Diya"Jab Nazr Bahekti Hai Tab Dil Bahekta Hai, Jab Dil Bahekta Hai To Satr Bahekta Hai"Ye Jawab Sun Kar Wo Sakta Ke Aalam Me Hogai
# Ek Martaba Mohalla Saudagaran Ne Samjid Ke Qarib Ek Buzurg Se Mulaqat Hui,
# Inhone A'alahazrat Ke Sar Se Paaun Tak Bagaur Dekha Aur Kai Bar Dekha, Aapne Farmaya,
# Tum Raza Ali Khan Ke Kon Ho?Huzoor Ne Jawab Diya: Mai Unka Poota Hu,Farmaya "Jabhi"Aur Tashrif Le Gae.
# Ke Ek Roz Molvi Sahab Bachon Ko Padhwa Rahen The The Ke Ek Bachen Ne Salaam Kya,
# Molvi Sahab Ne Jawab Diya: Jeete Raho Iss Par Huzoor Ne Arz Kya: Ye To Salaam Ka Jawab Na HuaWa'alaykum As'Salaam Kahna Chahiye Tha
# Molvi Sahab Sun Kar Bhot Khoosh Hue Aur Bhot Duaen Di,
=======================
TAQREEB ROZA KASHAI =======================
# Sayyed Ayub Ali Sahab Ka Bayan Hai Ramdan ul Mubarak Ka Muqaddas Mahina Hai Huzoor A'alahazrat Ke Pahle Roza Kashai Ki Taqreeb Hai,
# Kashana E Aqdas Me Jahan Iftaar Ka Aur Bhot Samaan Hai, Aftab Nisful Nihar Par Hai,
# A'alahazrat Ke Walid Majid Aapko Iss Kamre Me Le Jaate Hain Aur Darwaza Band Kar K Ek Pyala Utha Kar Dete Hain Ke Usse Khalo,
# Arz Karte Hain Ke Mera To Roza Hai, Kaese Khaoon?
Irshad Hota Hai:
# Bacchon Ka Roza Aisa Hi Hota Hai, Kha Lo, Maine Darwaza Band Kardiya Hai, Koi Dekhne Wala Bhi Nahi Hai,
Aap Arz Karte Hain...:
# JisKe Hukm Se Roza Rakha Hai, Wo To Dekh Raha Hai,
# Ye Sunte Hi Huzoor Ke Walid Majid Ki Chashmaane Mubarak Se Ashko Ka Taar Bandh Gaya , Aur Kamra Khol Kar Bahar Le Aae
=======================
TA'ALEEM KA HAAL =======================
# Nawab Wahid Ahmad Khan Sahab Razvi Bareilvy Tahrir Farmate Hai Ke Molvi Ahsan Husain Sahab Marhoom Jo Nihayat Khaliq, Had Darja Deen Dar The,
# Jama Masjid Bareily Me Darse Hadees Ba'ad Namaz E Zohar Dete The, Aur Apna Ziyada Waqt Jama Masjid Me Muta'ala Hadees Shareef, Darood O Wazaif Me Guzarte The,
# Molvi Sahab Se Ek Martaba Faqeer Ne A'alahazrat Imam Ahle Sunnat Mawalana Mohammad Ahmad Raza Khan Sahab Radiallahu Anhu Ke Babat Isteftar Kya ,
# To Molvi Sahab Ne A'alahazrat Ke Ilm O Fadl Ki Bhot Ta'areef Ki,
# Aur Farmaya Ke Maine A'alahazrat Qibla Ka Ibtedai Ta'aleem Arabi Me Ham Sahabq Raha Hu,
# Shuru Hi Se A'alahazat Ki Zahanat Ka Ye Haal Tha Ke Ustad Se Kabhi Ruba'a(Chauthai) Kitab Se Ziyada Nahi Padhi,
# Ek Ruba'a Kitab Ustad Se Padhne Ke Ba'ad Baqiya Tamam Iktaab Az Khud Padh Kar Yaad Karke Suna Diya Karte The
=======================
ASATIZA (Teachers) =======================
A'alahazrat Farmate The Ke:
# Jamadil Ula 1294 Hijri Me Sharf E Bai'at Se Musharraf HuaTa'aleem Tareeqat Huzoor Peer O Mursheed Bar Haq Se Hasil Kiya1296 Hijri Me Hazrat Ka Wisal Hua ,
# To Qabl Wisal Mujhe Hazrat Sayyedna Shah Abul Husain Ahmad Noori Apne Abnul Abn Wali Ahad O Sajjada Nasheen Ke Supurd Farma Diya.
# Hazrat Noori Miyan Sahab Se Ba'az Ta'aleem Tareeqat O Ilm Taksir , Ilm Ja'afar Wagaira Uloom Maine Hasil Kye.
# Al Garz! A'alahazrat Ke Asatiza Ki Fahrist Bhot Muqtasar Hai.
# Hazrat Walid Majid Sahab Qudassa Sirahul'aziz Ke Alawah Panjtan Paak Ke Ashariq Sirf Ye Panch Nufuse Qudsiya Hain.
# A'alahazat Ke Wo Ustad Jinhone Ibtedai Kitaben Padhai
# Janab Mirza Ghulam Qadar Baig Sahab رحمة الله تعالي عليه
# Janab Maulana Abdul A'ala Sahab Raampuri رحمة الله تعالي عليه
# Hazrat Salalae Khandan E Barkatiya Sayyedna Shah Abul Husain Ahmad Noori رحمة الله تعالي عليه
Aur Walid Majid
Peer O Murshid Ko Shamil Karke Che (6) Nufuse Qudsiya Hote Hain
# In Che (6) Hazraat Ke Alawah A'alahazrat Ne Kisi Ke Samne Zanue Adab Ta Nhi Kya,
# Magr ALLAH Ta'ala Ne Mahez Apne Fadl O Karam Aur Aap(A'alahazrat) Ki Mahmat O Zahanat Ki Wajah Se Itne Uloom O Funoon Ka Jama'ae Banaya Ke Pachas (50) Funoon Me A'alahazrat Ne Tasnifaat Farmai,
# Muqalefin Muqalifaten Karte, Apni Siyah Qalbi Ki Wajah Se Buraiya Karte ,
# Magar Sath Sath Tape Ka Ye Band Zaroor Kahne Par Majboor Hote Ke Ye Sab Kuch Magar Mawlana Ahmad Raza Khan Qalm Ke Badshah Hain,
# Jiss Masla Par Qalm Uthaya, Na Mu'afiq Ko Zaroorat Afzaish, Na Muqalif Ko Dam Zadan Ki Gunjaish Hoti Hai
=======================
MARAHRA SHAREEF KI HAZRI =======================
# Hadrat Sayyad Shaha Ismail Husain Sahab Mahrahrvi Farmate Hain Ke
# Maulana Badayuni (Hadrat Tajul Fahul Allama Abdul Qadir رحمة الله تعالي عليه ) Ke Hamrah Mawlana Naqi Ali Khan Sahab Aur Mawlana Ahmad Raza Khan Sahab Marahrah Shareef Hazir Hue The,
# Faqir Ke Walid Hadrat Sayyed Shah Mohammad Sadiq Aur Sayyed Shah Abul Husain Ahmad Noori Miyan Sahab رحمة الله تعالي عليه Bhi In Dono Marahrah Me Hi Tashrif Farma The,
# Iss Din Zohar Ka Waqt Mawlana Badayuni, Mawlana Naqi Ali Khan Sahab Aur Mawlana Ahmad Raza Khan Sahab Aur Mirza Abdul Qadir Baig Sahab Ko Hamrah Le Kar,
# Hadrat Khatamul Akabir Sayyed Shaha Aale Rasool Khudasa Sirahul Aziz Ki Khidmat E Akhdas Me Hazir Hue,
# Faqeer Ke Walid Hadrat Sayyed Shah Mohammad Sadiq Aur Hadrat Noori Miyan Bhi Hamrah Gae,
# Hadrat Khatimul Akabir Ne Mawlana Baqi Ali Khan Sahab Phir Mawlana Ahmad Raza Khan Sahab Phir Mirza Abdul Qadir Baig Sahab Ko Daqil E Silsilah A'aliya Qadiya Barkatiya Jadidah Farmaya,
# Aur Issi Jalsa Me Hadrat Ne Khilafat O Ijazat Jumla Salasil O Asnad O Tabarukat Khandan E A'alilya Barkatiya Bhi Mawlana Naqi Ali Khan Sahab Aur Mawlana Ahmad Raza Khan Sahab Ko Musharraf Farmaya,
# Bai'at O Khilafat Ke Ba'ad Kuch Arsa Tak In Hazraat Ne Faqeer Ke Makaan Khayam Farmaya,
# Aur Issi Dauran In Me Mawlana Tajul Fahul Badayuni Ne Faqeer Se Irshad Farmaya Ke Mawlana Ahmad Raza Khan Sahab Ka Hadrat Ba'at Hojana,
# In Ke Lye Bhi Acha Hua, Aur Mere Lye Bhi Acha Hua.
ALLAHU AKBAR!
# Kaisi Nazr E Kimiya Asr Peer O Murshid Ki Thi Aur Kis Qalb Saafi Le Kar Bai'at Farmae The Ke Iss Jalsa Me Peer O Murshid Barhaq Ne Tamam Silsila Ki Ijazat O Khilafat Ata Farma Kar Khailfa E Mijaaz Bana Diya,
# Aur Tamam Tariqo Se Bai'at Lene Ki Ijazat E A'amma Ata Farmai
=======================
HAJ O ZIYARAT (AWWAL)
=======================
# 1295 Hijri Me Hazrat Walid Majid Ke Sath Ziyarat E Harmain Tayyebain Se Sharf Ifteqar O Imtiyaz Hasil Farmaya.
# Aur Akabir Ulama Daryae Misl Hazrat Sayyed Ahmad O Mufti Shafiya O Hazrat Abdul Rahman Siraj Mufti Hanfiya Se Sanad O Fuqha O Usool O Tadris O Digar Uloom Hasil Farmai.
# Ek Din Namaz E Magrib Muqam E Ibrahim Me Ada Ki, Ba'ad Namaz,
# Imam Shafey'a Hazrat Husain Bin Sal'ah Jamalul Lail Ne Bila Ta'aruf Aap Ka Hath Pakda Aur Lete Hue Apne Daulatkadah Shareef Le Gae, Aur Der Tak Aapki Peshani Pakad Kar Farmaya
# "BESHAK MAI ALLAH KA NOOR ISS PESHANI ME PATA HUN"
# Aur Saha Sitta Aur Silsilae Qadriya Ki Ijazat Apne Dast E Mubarak Se Likh Kar Inayat Farmai Aur Farmaya Ke Tumhara Naam Ziyauddin Ahmad Hai.
# Iss Sanad Ki Badi Qubi Ye Hai Ke Iss Me Imam Bukhari Tak Faqat Girah(11) Waste Hain,
# A'alahazrat Ne Baymae Hazrat Saiykh Jamalul Lail Mausuf Un Ki Tasnif "Latif Jawarah" Muffed Manasik Haj Shafi'ay Ka Urdu Tarjuma Kya Aur Ek Sharah Do Din Me Tahrir Farmai,
# A'alahzrat Ne Tanha Masjid E Khaif Me Iqamat Ki, Aur Magfirat Ki Basharat Se Mubashshir Hue.
=======================
AALA HAZRAT KI APNE
AAQA PAR JAANISAARI =======================
'Karu Tere Naam Pe Jaa(n) Fida, Na Bas Ek Jaa(n) 2(Do) Jahaa(n) Fida:
2(Do) Jahaa(n) Se Bhi Nahi Jee Bharaa, Karu Kya Karodo Jahaa(n) Nahi'
(Aala Hazrat)
"Hamd" Us Ke WajHe Kareem Ko Jis Ne Apne Bande(Ahmad Raza Khan) Ko Ye Hidayat Di,
Ye Isteqaamat Di K Wo Na A'aazim-e-Akaabir(Ulama-e-
Pareshan Hota He Balke Shukr Bajaa Laata He K Tu Ne Mahaz Apne Karam Se is Na-Qaabil Ko is Qaabil Kiya K Ye Teri Azamat Aur Tere Habeeb(SallAllahu Alaihe Wa Sallam) Ki izzat Ki Himayat Karke Gaaliya Khaaye Aur
مُحَمَّدٌ رَّسُولُ اللّه صلى اللّه عليه وسل
Ki Sarkar Ke Pah'ra Dene Waale Kutto Mai Us Ka Chahra Likha Jaaye.
والله العظيم
Wo Banda-e-Khuda(Ahmad Raza) Ba-Khushi Raazi He Agar Ye Dushnaami(Gustakh) Hazraat Bhi is Badle Par Raazi Ho K Wo Allah wa Rasool(Jalla-Jalaalahu wa SallAllahu Alaihe Wa Sallam) Ki Janaab Mai Gustakhi Se Baaz Aaye Aur Ye Shart Lagaaye K Rozaana Is Banda-e-Khuda Ko 50,000(50 Hazaar) Mugallaza Gaaliya Sunaaye Aur Likh-Likh Kar Shaai Kare Aur Agar is Qadr Par Pait Na Bhare Au
مُحَمَّدٌ رَّسُولُ اللّه صلى اللّه عليه وسلم
Ki Gustakhi Se Baaz Rehna Is Shart Par Mashroot Rahe K is Banda-e-Khuda Ke Saath Is Ke Baap-Daada Aur Akaabir Ulama(Quddisat Asraarahum) Ko Bhi Gaaliya De To Aneeham-Bar-ilm Aye Khusha-Naseeb is Ka K Us Ki Aabru Uske Aaba-o-Ajdaad Ki Aabru Bad-Goyo Ki Bad-Zabaani S
مُحَمَّدٌ رَّسُولُ اللّه صلى اللّه عليه وسلم
Ki Aabru Ke Liye Sipar Ho Jaaye. Sayyiduna Hassan Bin Saabit Ansari RadiyAllahu Anh Bad-Goyaan-e-Mustafa(
فَاِنَّ اَبِى وَوَالِدَه وَ عِرضِى، لِعِرضِ مُحَمَّدٍ مِِّنكُم وَقَاء
Yaani Aye Bad-Zabaano !!! Mai Is Liye Tumhare Muqaabil Khadaa Hu K Tum Rasul (SallAllahu Alaihe Wa Sallam) Ki Bad-Goi Se Gaafil Ho Kar Mujhe Aur Mere Baap-Daada Ko Gaaliya Dene Mai Mashgool Ho Jaao. Meri Aur Mere Baap-Daada Ki Aabru Muhammad Mustafa(SallAllahu Alaihe Wa Sallam) Ki izzat Ko Sipar Ho Jaaye. ilaahi Aesa Hi Kar.
Aameen.
Yahi Waje He K Bad-Go Hazraat is Banda-e-Khuda(Ahmad Raza Par) Kya-Kya Tufaan Bohtaan Us Ke Zaati Muaamilaat Mai Uthaate Hai.
Akhbaaro,ishtehaaro Mai Tarah-Tarah Ki Man-Ghadato Se Kya-Kya Khaake Udaate Hai Magar Wo Aslan Qat'an Na is Taraf Na iltefaat Karta Na Jawab Deta He.
Wo Samajhta He K Jo Waqt Mujhe Isliye Ataa Farmaya K Ba-Aaunihi Ta'aala izzate
مُحَمَّدٌ رَّسُولُ اللّه صلى اللّه عليه وسلم
Ki Himayat Karu. Haasha K isey Apni Zaati Himayat Mai Zaai Hone Du. Ach'cha He K Jitni Der Mujhe Bura Kehte Hai
مُحَمَّدٌ رَّسُولُ اللّه صلى اللّه عليه وسلم
Ki Bad-Goi Se Gaafil Rehte Hai.
فَاِنَّ اَبِى وَوَالِدَه وَ عِرضِى، لِعِرضِ مُحَمَّدٍ مِِّنكُم وَقَاءُ
[Hussam-ul-Harmain,Safha-49-
=======================
ANGREZO SE NAFRAT THI
AALA HAZRAT KO =======================
1318 Hijri Mai Jab Nadwiyo(Wahabiyo) Ne Angrezi Hukoomat Ki Tareef Mai Ye Alfaaz Kahe K
"Government Angrezi Ka Muaamla Khuda Ke Muaamlo Ka Pura Namoona He"
To A'ala Hazrat Quddisa-Sirrahu Ne Patna Azeemabad Ke Jalsa-e-Aam Mai Un Ka Radd Karte Huwe Farmaya
"Nadwa Tamaam Bay-Deeno Gumraho Se ittehaad Farz Karti He Aur Kehti He K Government Angrezi Ka Muaamla Khuda Ke Muaamlo Ka Pura Namoona He.
Ye Kalimaat Aur Un Ke Amsaal-e-Khurafaat Sab Sareeh-o-Shadeed Nakaal(Azaab) Azeem Wabaal wa Mojib-e-Gazab -e-Zul-Jalaal(Allah Ki Na-Raazgi Ka Sabab] Hai"
[Hayat-e-A'ala Hazrat, Safha-127]
Zaalim BarTania(Britain) Ke Khilaf Aap Ke Jazba-o-Gairat Ka Ye Aalam Tha K Angrezi Hukoomat Ka Nihayat Haqeer Faida o i'aanat Bhi Aap Ko Na-Gawaar Thi.
ChunaanChe Ek Martaba Aap Ne Apne Ek Mukhlis Haji Alaauddin Sahib Se Farmaya K
"Aap Ke Jo Khutoot(Letters) Aate Hai, Un Mai Ticket Zayaada Lage Hote Hai Halaanke(2 Paisa) Mai Lifaafa Aata He."
Haji Sahib Ne Kaha K "Ticket To Aam Logo Ke Khutoot Mai Jaate Hai.
"Farmaya K "Bila-waje Nasaara(Christians) Ko Rupiya Pahunchaana Kesa ?
"Haji Sahib Ne Tasleem Kiya Aur(Zaaid Ticket Lagaana) Chorhne Ka Waada Kiya.
[Hayat-e-A'ala Hazrat, Safha-140]
Ye He A'ala Hazrat Ke Tadabbur-o-Siyaasat, Gairat-e-imaani wa Angrez-Dushmani, Baalig-un-Nazri Aur Qaumi-Hamdardi Aur Khair-Khwaahi Ka Mukhtasar Bayan.
=======================
ANGREZO'N KI SAAZISH =======================
A'ala Hazrat Mujaddid-e-Millat Ko Jin Fitno Ki Sar-Koobi Ke Liye Muntakhab Kiya Gaya.
Ye Fitne Umooman Angrezi Saazish Ki Paida-waar The Aur Us Ki Waje Ye Thi K Angrez Hukoomat Ne Is Haqeeqat Ko Jaan Liya Tha K Bay-Sar-o- Saamaani Aur Ba-Zaahir Kamzori o Iqtedaar Se Mahroomi Ke Baa-wajood Jab Tak Musalman Ke Dil Mai Muhammad-ur-Rasoolullah SallAllahu Alaihe Wa Sallam Ki Aqeedat o Niyaz-mandi He, Us Waqt Tak Us Par Tasallut Jamaana Aasaan Nahi. ChunaanChe Safaid-Faam wa Siyah-Dil Angrez Ne Is Soorat-e-Haal Se Nibatne Ke Liye Ba-Qaul Iqbal Ye Saazish Tayyaar Ki K :
"Ye Faaqa-Kash K Maut Se Darta Nahi Kabhi:
Rooh-e-Muhammad Un Ke Badan Se Nikaal Do:
Fikr-e-Arab Ko Dekar Firangi Takhayyulaat:
Islam Ko Hijaz-o-Yamen Se Nikaal Do"
Phir Is Saazish Ko Amali-Jaama Pahnaane Aur Musalman Ke Dil Se Rooh-e-Muhammad(Sallallahu Alaihe Wa Sallam) Nikaalne Ke Liye Naam-Nihaad Musalmano Hi Se 2(Do) Giroh Tayyaar Kiye Gaye.
Ek Angrezi Shakl-o-Soorat Ka Modern Tabaqa Aur Dusra Molviyaana Waz'a-Qat'a Ka Bay-Adab Tola.
Modern Tabaqa Ne Daawa-e-Islam Ke Baa-wajood Angrezi Saazish Ke Tahat Gulamaan-e-Muhammad(SallAllahu Alaihe Wa Sallam) Ki Muhammadi Soorat, Muhammadi Seerat, Muhammadi Libaas Aur Muhammadi Muashirat Ko Bigaadne Aur Angrezi Fashion Ka Rung Chadhaane Ki Koshish Ki Aur Ladkiyo Ko Bay-Pardagi Aur Schoolo(Schools) Collego(Colleges) Mai Unhe Angrezi Taleem Dilaane Ki Tahreek Chalaayi.
Bay-Adab Tola Ne Angrez Saazish Ke Tahat Apni Molviyaana Waz'a-Qat'a(Zaahiri Molvi Jesi Rung-Dhang) Se Qaum Ko Fareb Diya Aur Toheed Ka Naara Lagaa Kar Mehboobaan-e-Khuda Ki Toheen-o-Tanqees Ka Mashgala Ikhtiyaar Kiya Aur Aashiqan-e-Mustafa(SallAllahu Alaihe Wa Sallam) Ke Noorani Aqaaid wa Pakeeza Jazbaat Ko Paa-Maal Karna Chaaha. Aala Hazrat Mujaddid-e-Millat Quddisa-Sirrahu Ne Apni Imaani Faraasat wa Siyaasi Baseerat Se Jab is Saazishi Programme Ka Mushahida Kiya Aur Iske KhatarNaak Nataa'ij-o-Awaaqib Ka Andaaza Farmaya To Aap Hifazat-e-Deen wa Tahaffuz-e-Namoos -e-Risalat Ki Khaatir Angrez Aur Uske Aalah-Kaaro Ke Muqabila Mai Seena Sipar Huwe.
"Gau-Laakh Zamaana Dushman Ho Halaat Bhi Khush-Atwaar Na Ho:
Baatil Se TakRaane Waale Baatil Se TakRaate Hai"
=======================
KOI CHEEZ TAKLEEF NA DEGI =======================
Ek Martaba Imam Ahmad Raza Bareilvi Malik-ul-Ulama Mawlana Zafaruddin Bihari(RadiyAllahu Anhuma) Ke HumRah Ek Daawat Par Tashreef Le Gaye.
Saahib-e-Khaana Ki Maali Haalat Kamzor Thi Aur Unhone Sirf Bade Gosht Ke Kabaab Tayyaar Rakhe The.
Waapsi Par Mawlana Zafaruddin Ne A'ala Hazrat Se Arz Ki "Huzoor !!! Doctor Ne To Aapko Badaa Gosht Khaane Se Man'a Kiya He Lekin Aap Ne Kabaab Khaa Liye.
"A'ala Hazrat Ne Farmaya "Mawlana !!! Agar Mai Na Khaata To Gareeb Sunni Ka Dil Toot Jaata.
"Ma'anHadees-e-Paak Yaad Aa Gayi K Sarkar-e-Do(2) Aalam(SallAllahu Alaihe Wa Sallam) Ne Farmaya "Jo Shakhs Ye Dua -
بِسْمِ اللّٰهِ الَّذِىْ لَا يَضُرُّ مَعْ اِسْمِه شَيْءٌ فِى الْاَرْضِ وَلَا فِى السَّمَآءِ وَهُوَ السَّمِيْعُ الْعَلِيْ
Padh Kar Koi Cheez Bhi Khaayega Wo Usey Takleef Na Degi. Lihaaza Yahi Dua Padh Kar Mai Ne Kabaab Khaa Liye."
Sarkar-e-Do Aalam SallAllahu Alaihe Wa Sallam Ne Farmaya
"Jo Shakhs Kisi Museebat-Zada Ko Dekh Kar Ye Dua Padh Le Ga Wo Us Museebat Se Mahfooz Rahega -
اَلْحَمْدُ لِلّٰهِ الَّذِىْ عَافَانِىْ مِمَّا ابْتَلَاكَ بِه وَفَضَّلَنِىْ عَلٰى كَثِيْرٍ مِمَّنْ خَلَقَ تَفْضِيْلَا
Imam Ahmad Raza Ka Yaqeen-e-Kaamil Dekhiye Farmate Hai K
"Jin-Jin Amraaz(Diseases) Ke Mareezo(Patients), Jin-Jin Balaao Ke Mubtilaao Ko Dekh Kar Mai Ne Isey Padha, Bi-Hamdihi Ta'aala Aaj Tak in Sab(Museebato) Se Mahfooz Hu Aur Bi-AauNihi Ta'aala Hamesha Mahfooz Rahunga."
=======================
QADAM CHOOMNA =====================
"Jab Koi Shaksh Hajj Karke Alahazrat Ki Khidmat Mai Aata To Aap Us Se Sawal Karte Ke Aapne Huzoor ﷺ Ke Rauza E Athar Par Bhi Haziri Di Thi.
Agar Wo Kahta Ke Ha To Aap Foran Us Ke Qadam Choom Lete Aur Agar Kahta Ke Nahi To Fhir Uski Taraf Mutawwajje Nahi Farmate".
Professer Doctar Abulkhair Kasafi Farmate Hai Ke Imam Ahmad Raza Ke Bare Mai Ek Waqia Jisne Mere Qalb Mai Bahut Gahra Asar Dala Ke Wo Ye Hai Ke
Jo Shaksh Bareily Sharif Mai Hajj Ada Karke Aur Nabi E Kareem ﷺ Ke Dayar Ki Jiyarat Ke Baad Wapis Lautta To
Alahazrat Apni Azmat Wa Ala Mansab Ke Wabajood Uske Pas Jate The Aur Uske Qadmo Ko Apne Ro'omal Se Saaf Karte The.
Is Liye Ke Qadmo Ne Dayar E Paak Ke Zarro Ko Bosa Diya Tha".
[Imam Ahmad Raza Khan Or Dars E Adab Safa.32-Mufti Faiz Ahmad Owaisi]
=======================
RAZA KA ISHQ-E-KAAMIL =======================
Roza Se Sehat-Yaabi :
Imam Ahmad Raza Farmate Hai "Ek Baar Ramazan-ul-Mubarak Me Mai Sakht Bimaar Ho Gaya Lekin Koi Roza Na Choota.
Al-Hamdu-Lillah Rozo Hi Ki Barkat Se Allah Ta'aala Ne Mujhe Sehat Ataa Farmayi Aur Sehat Kyu Na Milti K Sayyid-ul-Mahboobeen SallAllahu Alaihe Wa Sallam Ka Irshad Mubarak To He :
صُوْمُوْا تَصَحُّوا
Yani : "Roza Rakho Sehat-Yaab(Tandrust) Ho Jaaoge."
Baarish Mai Tawaaf :
Imam Ahmad Raza Jab Dusri Martaba Hajj Par Gaye To Wahaa Tabi'at Kharaab Ho Gayi.
Muharram Ke Aakhri Dino Mai Tabi'at Theek Huwi To Aap Ne Hamaam(Bathroom) Mai Gusl Farmaya.
Baahar Aaya To Kya Dekhte Hai K Ghataa Chaa Gayi.
Haram Sharif Tak Pahunchte-Pahunchte Baarish Shuru Ho Gayi. Ma'an Aap Ko Ek Hadees Yaad Aa Gayi K "Jo Baarish Mai Tawaaf Kare Wo Rahmat-e-ilaahi Mai Tairta(Swimming Karta) He
"Aap Rehmatullah Alaihe Ne Usi Waqt Hajr-e-Aswad Ko Bosa Diya Aur Tawaaf Shuru Kar Diya. ChunaanChe Sardi Ki Waje Se Bukhaar Phir Lot Aaya.
Ye Kaifiyat Dekh Kar Mawlana Sayyid Isma'eel Sahab Ne Farmaya "Mawlana ! Aap Ne Ek Za'eef Hadees Ke Liye Apni Jaan Ko Takleef Di He.
"Imam Ahmad Raza Ne Jo Jawab Diya Wo Bhi Aab-e-Zar Se Likhne Ke Qaabil He.
Farmaya "Hazrat !! Hadees AgarvChe Za'eef He Lekin Allah Ta'aala Se Umeed To Qawi He."
Is Mazmoon Ko DoBaara Se Padhe Aur A'ala Hazrat Ke Ishq-e-Kaamil, ilm-e-Raasikh Aur Apne Aaqa Alaihis-Salaam Ki Ahadees o Irshadaat Par Yaqeen o Amal Ka Andaaza Farmaye.
SubHaanAllah, Ma-Sha-Allah
Aala Hazrat Alaihir-Rahmatur-Ridwaan, 25 Safar 1340H.(28th October 1921) ko Juma Mubarak Ke Din 2 Bajkar 38 Min Par Ain Azaan -e-Juma'a Me Udhar حي على الفلاح Hayya Alal Falah Ki Pukaar Suni Udhar Aap Ki Rooh Parvaaz Hogayi .
"Ay Imaam Ahle Sunnat taajdaare Ilm-o-fan.. Khoob ki tajdeed-e-Millat Tumne Ay Sarware Chaman..
Naa'ibe Shaahe danaa ho jaanishe Awliyaa..
Raunaqe Bazme tareeqat waaqife sirro-Alan.
Yaadgaare Bu-Hanifa Gause Aazam ke shabeeh..
Naazishe Mardaane Haqq Ho Zeenat-e-Baago Chaman.
Aap ke awsaaf tak kis ki rasaa'ee ho bhala..
Ho Nabi ke Maujeza bas Khatam hai ispe Sukhan..
Arz karta hai Naeeme Qaadri basad Adab!..
hum pe barsaa'o Shahaa! Ab khaas Niyamat ki bharan ..
Maulana Muhammad Na'eemudden Siddiqi Qadri Alaihir-rehmah
Book: HAYAT-E-AALA HAZRAT