Bid'at ka Mafhum 
Har Wo Kaam Jiski Koi Asal Bilwasta Ya Bilawasta Na
Quran Me Ho Na Sunnate Rasul Allah Me Ho, Aur Ise Zaruryat e Deen
{Jiska Inkar Kufr He}
Me Shumar Karte Huey Shamil e Deen Kar Dya Jaye.

Mutlaqan Har Naye Kaam Ko Az Roo e Shara Is Lye Bid'at Kehna K Wo Naya He To Is Se Shariat Ki Taalimat Me Kam o Besh 80% Kaam Najaaiz Ho Jaayenge Agar Kisi Ko Ikhtilaf He To Challenge H K Bid'at Ki Koi Tareef Likh Den.

Q. Agar Deen Me Koi Naya Acha Kaam Ho Jo Shariat Se Na Takraye To Uske Lye Kya Fazeelat He, Misaal Bhi Den?

A. Rasul Allah sallallahu alehi wasallam :
Mere Baad Koi Aisa Amal Jaari Kare Jo Deen Ki Asal Se Mutazad Na Ho Qayamat Tak Us Pe Amal Karne Walon Ka Bi Sawab Paye Ga
(MUSLIM)
E.g:
QURAN ki Mojuda Tartib (Pehle Quran Patthar Pe Likha Jata Tha)
Ab Kitabi Surat Bhi Hai
Earab o Tarajim
Ahadees,Uski Asnaad o Usool
Tiraweeh
Jumey Ki Azaan e Saani
Jalsey, Juloos
Masajid Ki Mojuda Surat Concrete aur Cement (Pehle Khajoor K Patte Se Masjid Banti Thi)
Namaz Ki Niyat Zuban Se Keh K Karna (Pehle Dil K Irade Se Hoti Thi)

Jo Deen Me Acha Kaam Ejaad Karey Usko Aur Jo Is Par Amal Karenge
Unko Bhi Sawab Jbke Ejaad Krne Wale Ko Inke Barabar Sawab Milega
Jo Deen Me Bura Kaam Ejaad Kare Usey Gunah Hoga Aur Jitne Log Isko Karenge Unko Aur Unke Barabr Isey Gunah Hoga
(Muslim V#1, P#327)
(Tirmizi V#2, H#872, P#239)

Deen Mein Nayi Ejad Ko Bid'at Kehte Hen. Iski Do (2) Qismen Hen:

1. Bid'at e Hasana (Jaiz, Mustahab Bulke Baaz Martaba Wajib) Wo Bid'at He Jo Kisi Sunnat Ke Mukhalif Na Ho.
Jese Ba Jama'at Tarawih

2. Bid'at e Sayyi'a (Mazmuma w Qabeeha) Wo Bid'at He Jo Sunnat Ke Mukhalif Ho. Ye Makrooh o Haraam He

Umer RadiyALLAHu anhu Ne Masjid e Nabwi Ke Sutoon Dubara Lagaye
Hazrt Usman Ne Bi Is Me Tabdili Aur Izafa Kya,
Deewaren Tarashey Hue Patharo Aur Choone Se Banayi
Jbke Rasoolullah AlehisalatuWasslaam Ke Dour Me Aisa Kuch Na Hua Tha.
(Bukhari V#1, H#430, P#240)
(Abu Dawood V#1, P#448, P#213)

Pichi Hadis Par Aimma Ke Aqwaal
Wo Kaam Jisey Ulama Aur Aarifin Ejaad Karen, Sunnat Ke Khilaf Na Ho To Acha Kaam He
(Roohul Bayan)

Jo Amal Logo Me Mash'hur Hojaye Aur Shariat Ke Mutabiq Ho Uski Itteba Zaruri He
(Badiyul Sanaya By Imaam Kaasani)

Jo Kaam Shariat Ke Mukhalif Na Ho Wo Bid'at e Hasana He
(Umdatul Qari By Allama Badruddin Aini)

Sahaba e Ko Ba Jama'at Namaz e Taravih Parhtey Dekh ker Hazrat Umar RadiyALLAH Ne Farmaya:
"Kitni Achi Bida'at He"
(Bukhari V2, H#1906, P#707)

Bid'at Kabhi Wajib Bhi Hoti He
Mulla Ali Qari
Bid'at Ki Iqsaam Bayan Farmatey Hue Likhte Hen:
Bid'at e Wajiba:
Jese Ilm e Nehw Aur Qur'an Samajney K Lye Usool e Fiqh Ka Jama Karna
Isi Tarah
Bid'at e Haram,
Mustahabba,
Makroh,
Mubaha,
Ye Sab Bi Bid'at Ki Iqsaam Hen
(Mirqat V1, P#337)

Natija Ye Nikla Ke Achey Kaam,
Meelad,
Esaal e Sawab,
Urs Ki Taqarib,
Khaas Raato Me Shab e Bedari,
Azaan Se Pehle Aur Jummah Me Salat o Salam,
Chehlum o Barsi Wgera
Na Ye Kaam Shariat Se Takrate Hen, Na Shariat Ne In Se Mana Kya
LIHAZA
Sawab Ki Niyyat Se In Kaamo Ka Karna Bid'at e Hasana He.

Aaj Kal Hone Wale Bahot Se Kaam Deen Mein Aa Gaye Hai Jo Pehle Nahi They, Magar Inka Karna Deen Ko Fayda Pahuchata Hai. Ye Bhi Bidat Hai Magar HASNA "Achchi Bidat".
Jaise,
WhatsApp Par Deeni Malumat Dena
Blog Ka Istemal
Quran Ka CD aur Software
Masjidon Mein AC
Azan Mein LoudSpeakers
Masjid K Staff Ko Salary
6 Kalimey
Masjid ki Mehraben

Agar Maulvi Log Aisi Choti Choti Baton Par GUMRAH Karenge Toh Awam Ko Sahi Samajh Kaise Hasil Hogi?
Agar Har Bidat Gumrahi Hai Aur Har Gumrahi Jahannam Mein Le Jayegi Toh
Upar Bataye Har Kaam Awam Kar Rahi Hai, Kia Sab JAHANNAMI Hai? 
NAHI

Deen Ko Samajhna ZARURI Hai.
--
Q. Azan K Pehle Darud Padhna Kaisa?

(Wahabiyon K Nasdik Ye Bhi Bidat Hai, Magar Ye Deen Ki Zarurat Bhi Hai Zamane Pur Fitan Mein aur Ahle Sunnat K Nasdik Ye MUSTAHAB Hai)

A. Panjgana Farz Namaz Ki Azan Dena Sunnat e Muaqqada Hai Aur Azan K Pehle Darud Padhna Ye MUSTAHAB Hai.

Azan Ke Pehle Darud Padhna Ye Hazrat Salahuddin Ayyubi R.A Ne Shuru Krwaya Tha (Barelviyon Ne Nahi), Taake Ahle Sunnat aur Dusre Firqon Ki Azan Mein FARQ Hojaye aur Awam Ko Masjid K Imam Ka Aqida Pata Chal Jaye.

Azan K Pehle Drud Padne Par Ahle Sunnat Ka IJMA Hai, Us Ijma Mein GAUS e AZAM Bhi Shamil Hai.

(Gaus e Azam aur Hazrat Salahuddin Ayyubi R.A Ka Zamana Lagbhag Ek Hi Hai)

Aisa Karne Se Kohi Sunnat Tark Bhi Nahi Hoti, Isliye Ye Bidat Toh Hohi Nahi Sakta.

☪️☪️☪️
As Salato Was Salamo Alayka 

Har Fitne Ka Radd Farz e Azam Hai.
Shia Rafzi
Wahabi Deobandi
Qadyani Ahmedi
Ye Saare Aaj K Bade Fitne Hai.
Ahle Sunnat Wa Jamat Se Inka Kohi Talluk Nahi.
الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ