Hurmat wale mahine chaar hain aur inmein ( khas karke) apne upar zulm na karo (yani gunah na karo)
---------------
✦ Al Quran : Beshak Allah ke yahan mahino ki ginti barah mahine hai , Allah ki kitab mein jis din se Allah ne zameen aur aasman paida kiye unmein se char hurmat wale hain (Dhul Qaida, Dhul Hijja,Muharram,Rajab) yahi seedah deen hai isliye inmein ( in mahino mein) apne upar zulm na karo ( yani gunah ke kaam na karo)
Surah At-tauba (9) Verse 36
---------------
✦ Hadith: Abu Bakra Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasul -Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya saal barah mahine ka hota hai , unmein chaar hurmat ke mahine hain , teen to ek ke baad ek Dhul Qaida, Dhul Hijja aur Muharram aur ek Rajab jo jamadil aakhir aur shaban ke darmiyan hota hai
Sahih Bukhari, Vol 6, 5550

۞ Quran Majid ne 4 Mahinon ko Hurmat wala qaraar diya hai, inme se ek “Muharram” hai.

📕 Surah Tauba 9:36, Sahih Bukhari Hadees-3197

۞ Nabi Kareem (ﷺ) ne Muharram ko “Shahrullah” yaani Allah ka mahina kaha hai.

📕 Sahih Muslim-1123, Sunan Abu Dawud-2429

۞ Muharram ke mahine me Nafeel Roze rakhna Ramazan ke mahine ke Rozon ke baad Afzal tareen Roze hain.

📕 Sunan Abu Dawood 2429

۞ Muharram Qamari (Chaand ke Atbaar se) Saal ka pehla mahina hai.

Abdullah Bin Abbas RadiAllah Anhum se rivayat hai ki Jab Roza rakha RasoolAllah sallalahu alayhi wa ala alihi wa salam Ne Aashurey ke din (10 Muharram) ka aur Huqm (Order) Kiya is Rozey ka, to logo ne Arz ki Ya RasoolAllah sallalahu alayhi wa ala alihi wa salam ye din to aisa hai ki iski Taazim karte hain Yahud aur Nasara, To Aap sallalahu alayhi wa ala alihi wa salam Ne farmaya Ki Jab Agla Saal aayega to In sha Allah Hum 9 ka Roza Rakhege, Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap sallalahu alayhi wa ala alihi wa salam Ne Wafat Payee.
- Sahih Muslim, The Book of Fasting (Kitab Al-Sawm) Rozey Ke Masail.

Muharram-ul-Haram or Ashura ke roze ki fazilat

  • Hazrat Sayyiduna Abu Hurayrah radiallahu anhu say riwayat hay Huzoor-e-Akram, Shaafi’i-e-Umam sallallahu alaihi wasallam farmatey hayn: Ramazan kay ba’d Muharram ka roza afzal hay or farz Namaz kay ba’d afzal Namaz Salat-ul-layl (ya’ni raat kay nawafil) hay. 
    (Sahih Muslim, Safha. 891 Hadees. 1163)
  • Allah kay Habib sallallahu alaihi wasallam ka farman e rahmat nishan hay: Muharram kay har din ka roza aik mahinay kay rozo kay barabar hay.
    (Tabarani fi Sagheer, jild. 2, Safha.87, Hadees. 1580)
  • Hazrat Sayyiduna Abdullah Ibn-e-Abbas radiallahu ta'ala anhu farmate hain: Mene Sultan-e-Do Jahan, Rahmat Aalamyaan sallallahu alaihi wasallam ko kisi din kay roze ko aur din per fazeelat dayker justuju fermatay na daykha magar ye Ashura ka din aur ye kay Raamzan ka mahina.
    (Sahih Bukhari, jild. 1, Safha. 657 Hadees. 2006)
  • Nabi-e-Rehmat, Tajdar-e-Risalat sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya: Yaum-e-Ashura ka rozah rakho aur is may yahudiyon ki mukhalafat karo, is say pahlay ya ba’d may bhi aik din ka rozah rakho.
    (Musnad imam Ahmad, jild. 1 Safha. 518 Hadees. 2154)
    Note: Aashurah ka Roza jab bhi rakhay to sath hi 9 or 11 Muharram ka roza bhi rakh lena behtar hay.
  • Hazrat Sayyiduna Abu Qatadah radiallahu anhu say riwayat hay: Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam farmata hain: Mujhe Allah azzawajal per ghuman hay kay Ashura ka roza ek saal qabal kay gunah mita dayta hay.
    (Sahih Muslim, Safha. 590 Hadees. 1162)
  • Mufassir-e-Shaheer Hakim-ul-Ummat Hazrat Mufti Ahmad Yar Khan alaihi rahmatul mannan farmatay hayn: Muharram ki 9 or 10 ko rozah rakhay to bahut sawab paye ga. Baal bacho kay liye 10 Muharram ko khoob achay achay khana pakaye to Insha'allah azzawajal saal bhar tak ghar may barakat rahay gi behtar hay kay khichra paka ker Hazrat Shaheed-e-Karbala Imam Husain ki fatihah karay bahut mujarrab (Ya’ni Mua`ssir-o-Aazmudah) hay. Is tareekh ya’ni 10 Muharram-ul-Haram ko ghusal karay to tamam saal beemariyon say aman rahay ga kyun kay is din Ab-e-Zam Zam tamam paaniyo may pohanchta hay.
    (Tafseer Rooh-ul- Bayan, jild. 4, Safha. 142, Islami Zindagi, Safha. 93)

    Sarwar-e-Kainat sallallahu alaihi wasallam nay irshad farmaya: Jo shakhs Yaum-e-Aashurah Ismad Surma Ankhaun may lagaye to uski Ankhayn kabhi bhi na dukhayn gi. (Shu’ab-ul-Iman, jild. 03, safha. 367 Hadees. 3797)

Masnoon Amaal

۞ Hadees: Muharram me kasrat se nafli roze rakhne chahiye kyunki Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaya “Ramzaan ke baad Afzal tareen Roze Allah ke mahine Muharram ke hain.”

📕 Sahih Muslim-1163, 1123Abu Dawud 2429

۞ Hadees: Khusoosan Yaum-e-Ashoora (yaani 10 Muharram) ka Roza rakha jaye. isse guzishta Saal ke Gunaah muaf ho jate hain.

📓 Sahih Muslim-1162,  Ibn Maaja-1730

۞ Hadees: 10 Muharram ke sath sath 9 Muharram ko bhi Roza rakh lena chahiye taaki yahudiyo ki mukhalfat ho jaye. yahudi bhi Ashoora ka Roza rakhte they kyuki is din Musa (Alaihi Salam) ko Firon se nijat hasil hui thi tou woh Allah ke Shukr ke taur par Roza rakhte they. Aur isi wajah se Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne bhi Roza rakhne ka hukm diya aur sath sath yeh bhi farmaya ki agle saal me 9 Muharram ka (bhi) Roza rakhunga lekin aapki Wafat ho gayi.

📓 Sahih Muslim-2666

۞ is mahine me Zulm wa Ziyadti se Ahtmaam ke sath bachna chahiye, bachna tou har waqt chahiye lekin Hurmat wale mahino me Gunaah ka Jurm badh jata hai, isliye ki Allah Ta’ala ne farmaya “In Mahino me tum apne Nafs par Zulm na karo”

📕 Surah Tauba 9:36

10 Muharram - Ashura ki 25 khususiyat (Importance of Ashura):
  1. 10 Muharram-ul-Haram Ashura kay roz Hazrat Sayyiduna Adam Safiullah ala Nabiyyina Wa-alayhis salatu wassalam ki taubah qabool huyi.
  2. Isi din Hazrat Sayyiduna Adam Safiullah ala Nabiyyina Wa-alayhis salatu wassalam ko payda kiya gaya.
  3. Isi din Hazrat Sayyiduna Adam Safiullah ala Nabiyyina Wa-alayhis salatu wassalam ko Jannat may dakhil kiya gaya.
  4. Isi din Arsh
  5. Kursi
  6. Aasman
  7. Zameen
  8. Suraj
  9. Chand
  10. Sitaray aur
  11. Jannat payda kiye gaye
  12. Isi din Hazrat Sayyiduna Ibrahim Khaleelullah alaihis salam payda huway.
  13. Isi din Hazrat Sayyiduna Ibrahim Khaleelullah alaihis salam ko aag say nijaat mili.
  14. Isi din Hazrat Sayyiduna Musa Kaleemullah alaihis salam aur aap ki ummat ko nijat mili or Fir’awn apni qaum samait gharq huwa
  15. Hazart Sayyiduna Esa Ruhullah ala Nabiyyina Wa-alayhis salatu wassalam payda kiye gaye
  16. Isi din Hazart Sayyiduna Esa Ruhullah ala Nabiyyina Wa-alayhis salatu wassalam ko aasmanaun ki taraf uthaya gaya
  17. Isi din Hazrat Sayyiduna Nooh Ala Nabiyyina Wa-alayhis salatu wassalam ki kashti koh-e-joodi per thehri.
  18. Isi din Hazrat Sayyiduna Sulayman Ala Nabiyyina Wa-alayhis salatu wassalam ko mulk e azeem ata kiya gaya.
  19. Isi din Hazrat Sayyiduna Yunus Ala Nabiyyina Wa-alayhis salatu wassalam machli kay pait say nikalay gaye.
  20. Isi din Hazrat Sayyiduna Yaqoob Ala Nabiyyina Wa-alayhis salatu wassalam ki binaye ka zu’af door huwa
  21. Isi din Hazrat Sayyiduna Yusuf Ala Nabiyyina Wa-alayhis salatu wassalam gehray kunwayn say nikalay gaye.
  22. Isi din Hazrat Sayyiduna Ayyub Ala Nabiyyina Wa-alayhis salatu wassalam ki takleef raf’a ki gaye.
  23. Aasman say zameen per sab say pehlay baarish isi din nazil huyi aur
  24. Isi din ka rozah Ummataun may mashhoor tha yahan tak kay ye bhi kaha gaya hay kay is din ka roza Mah-e- Ramazan-ul-mubarak say pehlay farz tha phir mansookh ker diya gaya. (Mukashafa-tul-Quloob, Safha. 311)
  25. Imam A’ali Maqaam, Imam Arsh-e-Maqaam Sayyiduna Imam Hussain radiallahu anhu ko bam’a shezadagan-o-rufaqa 3 din bhooka rakhne ke ba’d isi Aashurah ke roz dasht-e-karbala mein intehaye saffaki kay sath shaheed kiya gaya
=====
Musalmaan Aur Matam | Noha (Matam) Karna Aur Dekhna Dono Haram Hai

Mafhum-E-Hadees:
Hazrat Abdullah Ibn Masood (Radi’allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasoolallah (صلی اللہ علیک و سلم) Ne Farmaya: “Jo (Apne) Chehre Ko Peete, Ghireban Phare (Maatam Kare) Aur Zamana-E-Jahiliyat Ki Batain Kare (Noha Kare) Wo Hum (Musalmanon) Me Se Nahi Hai.”

Mafhum-E-Hadees:
Hazrat Abu Malik Al-Ash’ari (Radi’allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki, Rasoollallah صلی اللہ علیک و سلم Ne Farmaya Ki Meri Ummat Mein Jahiliyat Ki (Yaani Kufr Ke Zamane Ki) 4 Cheezen He Jisko Ye Log Chhorte Nahi Hain.
1⃣ Ek Apne Hasab (Ohde) Par Fakhr Karna,
2⃣ Dusro Ke Nasab(Khandan) Par Taane Karna,
3⃣ Sitaron Se Paani Ki Ummid Rakhna,
4⃣ Aur  Noha (Maatam) Karna, Agar Noha (Maatam) Karne Waale Bina Tauba Ke Mar Jaye To Allah Rabbul Izzat Subhanahu Usko Dozakh Ke Sholo Ka Kurta Pehnayega.
[Bukhari Sharif][Sahih Muslim Sharif]

As Salato Was Salamo Alayka 

Har Fitne Ka Radd Farz e Azam Hai.
Shia Rafzi
Wahabi Deobandi
Qadyani Ahmedi
Ye Saare Aaj K Bade Fitne Hai.
Ahle Sunnat Wa Jamat Se Inka Kohi Talluk Nahi.

Youm e Ashura

(10 Muharram) Ko KHUSHI Manana Ahle Sunnat K Nazdeek Kaisa?

Jawab- 

 Sakhti K Saath Mana Hai.

Aisa KHAWARJI Karte Hai, Jo Log Yazeed Paleed Ko Sahi Maante Hai Usko Ameer o Khalifa Mante Hai aur Imam Husain R.A Ko BAGHI Kehte Hai (MazAllah).

Hawala-
Ibne Kasir, Albidaya WaNihaya, Jild 11, Safa 577

الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ