Muharram aur Yaum e Ashura 19
۞ Quran Majid ne 4 Mahinon ko Hurmat wala qaraar diya hai, inme se ek “Muharram” hai.
📕 Surah Tauba 9:36, Sahih Bukhari Hadees-3197
۞ Nabi Kareem (ﷺ) ne Muharram ko “Shahrullah” yaani Allah ka mahina kaha hai.
📕 Sahih Muslim-1123, Sunan Abu Dawud-2429
۞ Muharram ke mahine me Nafeel Roze rakhna Ramazan ke mahine ke Rozon ke baad Afzal tareen Roze hain.
📕 Sunan Abu Dawood 2429
۞ Muharram Qamari (Chaand ke Atbaar se) Saal ka pehla mahina hai.
Muharram-ul-Haram or Ashura ke roze ki fazilat
- Hazrat Sayyiduna Abu Hurayrah radiallahu anhu say riwayat hay Huzoor-e-Akram, Shaafi’i-e-Umam sallallahu alaihi wasallam farmatey hayn: Ramazan kay ba’d Muharram ka roza afzal hay or farz Namaz kay ba’d afzal Namaz Salat-ul-layl (ya’ni raat kay nawafil) hay.(Sahih Muslim, Safha. 891 Hadees. 1163)
- Allah kay Habib sallallahu alaihi wasallam ka farman e rahmat nishan hay: Muharram kay har din ka roza aik mahinay kay rozo kay barabar hay.(Tabarani fi Sagheer, jild. 2, Safha.87, Hadees. 1580)
- Hazrat Sayyiduna Abdullah Ibn-e-Abbas radiallahu ta'ala anhu farmate hain: Mene Sultan-e-Do Jahan, Rahmat Aalamyaan sallallahu alaihi wasallam ko kisi din kay roze ko aur din per fazeelat dayker justuju fermatay na daykha magar ye Ashura ka din aur ye kay Raamzan ka mahina.(Sahih Bukhari, jild. 1, Safha. 657 Hadees. 2006)
- Nabi-e-Rehmat, Tajdar-e-Risalat sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya: Yaum-e-Ashura ka rozah rakho aur is may yahudiyon ki mukhalafat karo, is say pahlay ya ba’d may bhi aik din ka rozah rakho.(Musnad imam Ahmad, jild. 1 Safha. 518 Hadees. 2154)Note: Aashurah ka Roza jab bhi rakhay to sath hi 9 or 11 Muharram ka roza bhi rakh lena behtar hay.
- Hazrat Sayyiduna Abu Qatadah radiallahu anhu say riwayat hay: Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam farmata hain: Mujhe Allah azzawajal per ghuman hay kay Ashura ka roza ek saal qabal kay gunah mita dayta hay.(Sahih Muslim, Safha. 590 Hadees. 1162)
- Mufassir-e-Shaheer Hakim-ul-Ummat Hazrat Mufti Ahmad Yar Khan alaihi rahmatul mannan farmatay hayn: Muharram ki 9 or 10 ko rozah rakhay to bahut sawab paye ga. Baal bacho kay liye 10 Muharram ko khoob achay achay khana pakaye to Insha'allah azzawajal saal bhar tak ghar may barakat rahay gi behtar hay kay khichra paka ker Hazrat Shaheed-e-Karbala Imam Husain ki fatihah karay bahut mujarrab (Ya’ni Mua`ssir-o-Aazmudah) hay. Is tareekh ya’ni 10 Muharram-ul-Haram ko ghusal karay to tamam saal beemariyon say aman rahay ga kyun kay is din Ab-e-Zam Zam tamam paaniyo may pohanchta hay.(Tafseer Rooh-ul- Bayan, jild. 4, Safha. 142, Islami Zindagi, Safha. 93)Sarwar-e-Kainat sallallahu alaihi wasallam nay irshad farmaya: Jo shakhs Yaum-e-Aashurah Ismad Surma Ankhaun may lagaye to uski Ankhayn kabhi bhi na dukhayn gi. (Shu’ab-ul-Iman, jild. 03, safha. 367 Hadees. 3797)
Masnoon Amaal
۞ Hadees: Muharram me kasrat se nafli roze rakhne chahiye kyunki Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaya “Ramzaan ke baad Afzal tareen Roze Allah ke mahine Muharram ke hain.”
📕 Sahih Muslim-1163, 1123, Abu Dawud 2429
۞ Hadees: Khusoosan Yaum-e-Ashoora (yaani 10 Muharram) ka Roza rakha jaye. isse guzishta Saal ke Gunaah muaf ho jate hain.
📓 Sahih Muslim-1162, Ibn Maaja-1730
۞ Hadees: 10 Muharram ke sath sath 9 Muharram ko bhi Roza rakh lena chahiye taaki yahudiyo ki mukhalfat ho jaye. yahudi bhi Ashoora ka Roza rakhte they kyuki is din Musa (Alaihi Salam) ko Firon se nijat hasil hui thi tou woh Allah ke Shukr ke taur par Roza rakhte they. Aur isi wajah se Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne bhi Roza rakhne ka hukm diya aur sath sath yeh bhi farmaya ki agle saal me 9 Muharram ka (bhi) Roza rakhunga lekin aapki Wafat ho gayi.
📓 Sahih Muslim-2666
۞ is mahine me Zulm wa Ziyadti se Ahtmaam ke sath bachna chahiye, bachna tou har waqt chahiye lekin Hurmat wale mahino me Gunaah ka Jurm badh jata hai, isliye ki Allah Ta’ala ne farmaya “In Mahino me tum apne Nafs par Zulm na karo”
📕 Surah Tauba 9:36
- 10 Muharram-ul-Haram Ashura kay roz Hazrat Sayyiduna Adam Safiullah ala Nabiyyina Wa-alayhis salatu wassalam ki taubah qabool huyi.
- Isi din Hazrat Sayyiduna Adam Safiullah ala Nabiyyina Wa-alayhis salatu wassalam ko payda kiya gaya.
- Isi din Hazrat Sayyiduna Adam Safiullah ala Nabiyyina Wa-alayhis salatu wassalam ko Jannat may dakhil kiya gaya.
- Isi din Arsh
- Kursi
- Aasman
- Zameen
- Suraj
- Chand
- Sitaray aur
- Jannat payda kiye gaye
- Isi din Hazrat Sayyiduna Ibrahim Khaleelullah alaihis salam payda huway.
- Isi din Hazrat Sayyiduna Ibrahim Khaleelullah alaihis salam ko aag say nijaat mili.
- Isi din Hazrat Sayyiduna Musa Kaleemullah alaihis salam aur aap ki ummat ko nijat mili or Fir’awn apni qaum samait gharq huwa
- Hazart Sayyiduna Esa Ruhullah ala Nabiyyina Wa-alayhis salatu wassalam payda kiye gaye
- Isi din Hazart Sayyiduna Esa Ruhullah ala Nabiyyina Wa-alayhis salatu wassalam ko aasmanaun ki taraf uthaya gaya
- Isi din Hazrat Sayyiduna Nooh Ala Nabiyyina Wa-alayhis salatu wassalam ki kashti koh-e-joodi per thehri.
- Isi din Hazrat Sayyiduna Sulayman Ala Nabiyyina Wa-alayhis salatu wassalam ko mulk e azeem ata kiya gaya.
- Isi din Hazrat Sayyiduna Yunus Ala Nabiyyina Wa-alayhis salatu wassalam machli kay pait say nikalay gaye.
- Isi din Hazrat Sayyiduna Yaqoob Ala Nabiyyina Wa-alayhis salatu wassalam ki binaye ka zu’af door huwa
- Isi din Hazrat Sayyiduna Yusuf Ala Nabiyyina Wa-alayhis salatu wassalam gehray kunwayn say nikalay gaye.
- Isi din Hazrat Sayyiduna Ayyub Ala Nabiyyina Wa-alayhis salatu wassalam ki takleef raf’a ki gaye.
- Aasman say zameen per sab say pehlay baarish isi din nazil huyi aur
- Isi din ka rozah Ummataun may mashhoor tha yahan tak kay ye bhi kaha gaya hay kay is din ka roza Mah-e- Ramazan-ul-mubarak say pehlay farz tha phir mansookh ker diya gaya. (Mukashafa-tul-Quloob, Safha. 311)
- Imam A’ali Maqaam, Imam Arsh-e-Maqaam Sayyiduna Imam Hussain radiallahu anhu ko bam’a shezadagan-o-rufaqa 3 din bhooka rakhne ke ba’d isi Aashurah ke roz dasht-e-karbala mein intehaye saffaki kay sath shaheed kiya gaya