Namaz E Tahajjud Sunnat E Gair Muakkidah Hai Aur Rasul Àllah ﷺ Se 8 Rekaat Tak Sabit Hai.

Ye Namaz 2-2 Karke Ya 4-4 Karke Bhi Padh Sakte Hai, Sureh Fatiha K Baad Ek Baar Sureh Ikhlas Ya Kohi Aur Sureh Padhna Kafi Hoga.

Sufi Iqbal Ahmed Noori R.A Aksar 4 Rikat Tahajud Ek Salam Se Padhe Ka Taqiqa Bataya Karte Hai.

Ashraful Fuqaha Mufti Mujeeb Ashraf Razvi Kehte Hai 2 Rikat Padhna Bhi Kafi Hai.

Nabi Kareem Par 6 Waqt Ki Namaz Farz Thi, Ummat Par 5 Waqt Ki. Jo Ek Extra Thi Wo Tajhajud Thi.

Agar Kisi Ki Qaza e Umri Baki Hai Toh Bhi Wo Tahajjud Padh Sakta Hai Kiyun K Ulema E Ahle Sunnat K Nazdeek Ye NAFL Nahi Sunnat e Gair Muaqida Hai. Iski Maqbuliyat aur Afzaliyat Zyada Hai.

Niyat:

Niyat Ki Mein Ne 2 Rikat SUNNAT Namaz Tahajjud, Waste Allah, Chehra Mera Kaaba Sharif Ki Taraf "ALLAH hu AKBAR".

Baad Salam Darur Ek Baar Phir Dua Phir Darud. InShaAllah Dua Zarur Qabool Hogi. 

..........

Tahajjud Namaz ki fazilat 

Rasooll Allah salla Allaahu 'alayhi wa salaam ne farmaya"ki Qayamat me tamam log k shaath uthaye jaye ge , fir ek pukarne wala pukare ga kaha hai wo log jo raat ki ibadat ke liye apne bistar ko khali chordh diya karte hai , yae sen kar tahjjud guzar bande jamah ho jayee ge aur unko bina hisab wo kitab jannat me dakhil kar diya jayega , is ke baad baki logo ka hisab kiya jayega ,,
[ Hadees ; Bahki sharif ] 

Hazrat Abu Hurairah  se rivayat hai ki 

Rasooll Alla salla Allaahu 'alayhi wa salaam ne farmaya"ki ALLAH tala har Raat Aasman e Duniya ki taraf Nuzul farmata hai, us waqt jab Raat ka Aakhri Tisre hissa baqi rah jata hai
Aur ALLAH tala farmate  hai, Kaun hai jo Mujhse Dua karta hai ki main uski Dua Qubul karu , Kaun hai jo Mujhse Mangta hai kimain us Ye du Kaun hai jo Mujhse Bakhshish talb karta hai ki main uski Bakshish karu.

AFZAL NAMAZ 

Rasooll Alla salla Allaahu 'alayhi wa salaam ne farmaya ki farz namaz ki baad raat ki namaz tamam namazo se Afzal hai , jis tarah ramzan ke roze ke baad Aasurah ka roza tamam Rozo me afzal hai , 
[Hadees ; muslim sharif] 

Kasrat Se "Allah" Ka Zikr Karne Wale: (Yani Raat Me Namaz Parhne Wale)
Hazrat Abu Huraira Raziallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Rasool 'Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Fermaya:” Jab Aadmi Raat Ko Uthey Aur Apni Biwi Ko Bhi Uthae Aur Dono 2 Rak’at Namaz Adaa Karain To Allah Ta’la Inka Naam Kasrat Se (Zikar) Kerney Waley Mardon Aur Aurton Main Likh Deta Hai.
(Abu Dawood , Ibn-E-Majah) 

Tahajjud Rab Se Mulaqaat Ka Bhetreen Waqt Hai - Tahajjud Or Fajr Ke Beech Me Neend "Sunnat"
.....

TAHAJJUD KA WAQT 

Raat me jab so kar utha jaye, Aur subah sadiq se pahle Tahajudd Padh Liya karen.

Tahajjud Ka Waqt

Esha Ki FARZ K Baad Sirf 1 Minute Ki Need Bhi Aajaye Toh Shuru Hojata Hai.

Esha Ki Wajib Is Waqt K Liye Shart Nahi.

Agar Raat K 9 Baje Bhi Esha K Baad Need Aajye Toh 9:15 Par Tahajjud Padh Sakte Hai. 

------

Kasrat Se "Allah" Ka Zikr Karne Wale: (Yani Raat Me Namaz Parhne Wale)
Hazrat Abu Huraira Raziallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Rasool 'Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Fermaya:” Jab Aadmi Raat Ko Uthey Aur Apni Biwi Ko Bhi Uthae Aur Dono 2 Rak’at Namaz Adaa Karain To Allah Ta’la Inka Naam Kasrat Se (Zikar) Kerney Waley Mardon Aur Aurton Main Likh Deta Hai.
(Abu Dawood , Ibn-E-Majah) 

Qayamullail kise kahte hay?
Jawab:-Soye bager isha ke bad se tulu fajar tak jo Sunnate wo Nawafil Padhi jati hay inko Qayamullail kahte hay.

Tahajjud me kia asar hay?

Jawab:-Yu to har Namaz Aahista Aahista har gunah chuda deti hay,magar Tahajjud me ek khas asar hay tahajjud se dil me ek nuraniyat paida hoti hay jayse jayse ye Nuraniyat badhti jati hay wayse wayse tahajjud padhne wale ke Dil me Gunaho se Nafrat paida hoti hay.

As Salato Was Salamo Alayka

Har Fitne Ka Radd Farz e Azam Hai.
Shia Rafzi
Wahabi Deobandi
Qadyani Ahmedi
Ye Saare Aaj K Bade Fitne Hai.
Ahle Sunnat Wa Jamat Se Inka Kohi Talluk Nahi.
الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ