QAWWALI SUN NA  KAISA?

Iska Jawab Sheikh Sadi R.A Ne Diya Kaun Ye Sawal Puch Raha Hai Wo Dekha Jayega,

Agar Talib E Dunya Hai - Toh Najayez

Agar Talib E Akhirat Hai - Toh Jayez

Agar Talib E ALLAH Hai - Toh Jayez

=====

Qutbul Aktaab Sayidna Fareduddin ganj shakkar rematullahi taala alai ke mureed aur Sayidna Mehboob e ILAHI Nizamuddin Awlia Dehlvi Rehmatullahi taala alai ke Khalifa Sayidna Muhammed bin Mubarak Alwi Qirmani Rehmatullahi taala alai apni mashoor kitab "Sairul Awliya" mai tehreer farmate hai: 

Mehboob e ILAHI Khwaja Nizamuddin Dehlvi Alaihirrehmatu warridwan ne farmaya ki chand sharait ke saath simah halal hai

1) Sun ne wala mard kamil ho chota baccha aur aurat na ho.
2) Sun ne wala yaad e KHUDA se gafil naho.
3) Joh qalam padha jaye, fahash, behayaai aur mashkhargi na ho.
4) Aalae simah yani sarangi mazamir wa rubab se paak ho.

-Sirul Awliya

=====

Mazhab e islam mai dhol baaze aur mazamir humesha se haraam rahe hain, 

Rasul Allah ne irshad farmaya 

"Jarur meri ummat mai se aise log hone wale hai joh zina, reshami kapdo, sharaab aur baazon taashon ko halal thrayenge”.
-Sahi Bukhari

Dusri Hadees e Pak mai Huzur Nabi e Pak Alaihissalatu wassalam ne qayamat ki nishaniyan bayan karte huwe farmaya 

"Qayamat ke kareeb naachne gaane waliyon aur baazon taashon ki kasrat ho jayegi
-Tirmizi, Miskaat

AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:
Mujhy dhool aur bansari torney ka hukm dia gaya hai.”
-Firdoos Al-Akhbaar, 📑Hadees:483

AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya jo shaks gana suney ga tou qayamat k din es k kaano main pighla hua seesa daala jai ga.”
Kanzul Aamal, Hadees:40226)

AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:
“2 awaazon per duniya aur akhrat main lannat hai,
1.Neimat k waqt bajaa

2.Museebat k waqt chilana".

-Kanzul Aamal, Hadees:40654

AAQA kareem صلی اللہ علیہ وسلم ney fermaya:
“Gaana dil main nafaq es terhan ugata hai jeisey sabzey ko paani.”
-Firdoos Al-Akhbaar,Hadees:4204

Fatawa e Alamgiri joh ab se kareeb 350 saal pahele Hazrat Muhiyuddin Aurangzeb Alamgiri Rehmatullah taala alai ke huqm se us daur ke takreeban sabhi mustanad wa moatbar ulamaye kiraam ne jama hokar murattab farmayi joh arbi zubaan mai takreeban 3000 safhat aur 6 zildon par faila huwa ek azim islami encyclopedia hai usmai likkha hai - 

Sima, Qawwali aur Raks(naach kud) joh aaj kal ke naam nihad sufiyon mai raiz hai yeh haraam hai ismai shirkat jaez nahi

-Fatawa Alamgiri

Aaj K Daur Mein Na Qawwali Sunne Wala Sahi Mil Raha Hai, Na Sunane Wala, Isko Inpar Jayez Kehna Galat Hoga.

Aur Ye Kohi Farz Ya Wajib Toh Hai Nahi Ki Karna Hi Karna Hai. TARK Karna Behtar Hai.

As Salato Was Salamo Alayka

Har Fitne Ka Radd Farz e Azam Hai.
Shia Rafzi
Wahabi Deobandi
Qadyani Ahmedi
Ye Saare Aaj K Bade Fitne Hai.
Ahle Sunnat Wa Jamat Se Inka Kohi Talluk Nahi.
الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ