Shab E Ba'rat
(Night of forgiveness)
Shaban Ki Pandravi Shab Ko Kehte Hai. Iski Badi Fazilat Hadeeson Se Sabit Hai, Jo Aage Darj Ki Gai Hai. 
Is Mein Kiye Jane Wale MUSTAHAB amal - 
1.Roza Rakhna Behtar H
2. Gusl Ki Fazilat Bahot H
3. Asr Baad Se Ibadat Shuru Karna
100 Darud
100 Istagfar Pura
100 LaHawl 
4.Tamam Momin O Muminat K Naam Ki Fatiha 
5.Rikat Nafl 2-2-2 Magrib Baad DUA e Nisf Shaban K Saath
Umr Daraz Bil Khai - 2 Rikat 
Makhluk Ka Mahutaj Na Hone K Liye - 2 Rikat
Bala Dafa Hone K Liye - 2 Rikat
Phir Isha Ki Namaz
6. Phir Qaza E Umri Compulsory
(20 Rikat 1 Din Ki Farz O Wajib)
7.Phir Dusri Nafl Namaz Agar Himmat Ho.
8.Phir  Allah Se DUA Awwal Akhir Darud.
9.Phir Thoda Neend 
10.Phir Tahajjud 4 Rikat (Sunnat E Gair Muakida)
11.Namaz E Hajat 
Ya
Darud 
Ya
Istagfar

Phir FAJR Aur Dusra DIN shuru.
=====

Is Raat ki Fazilat Qur'an Paak Se Ba'az Sahaba e Kiram Ki Tehqiq Se Sabit Hey
QURAN
Surah e Dukhan Aayat 1-4
ALLAH Ney Qasam Yaad Farma Kar Is Raat Ko "LAILATUL MUBARAKA" Kaha.

1- Allama Aalusi;
"Hazrat e Akrama aur 1 Jamat e Sahaba Is Taraf Hey Ke Is Sey Muraad Sha'ban Ki Nisf Raat
(Yani Pandharween Raat Jisey Shab e Bar'at Kaha Jata He) He
(Tafseer e Roohul Mua'ani)

2- Abu Saud;
"Lailatul Mubaraka Se Murad Lailatul Bar'at (Nisf Shaban) B Hey
(Tafseer e Abi Saood)

3- Allama Imam Raazi;
"Hazrat Akrama Aur Dusrey Sahaba Ne Kaha Ke Ye Lailatul Bara'at Hey Jo Sha'ban Ki 15th Hey"
(Tafseer e Kabir)

4- Allama Sawi;
"Lailatul Mubaraka Se Murad Sha'ban Ki 15th Hy.
Yahi Qoul Akrama Aur Kayi Dusrey Sahaba Ka He

Is Raat k 4 Naam Hen
1.Mubaraka
2.Rehma
3.Bar'at
4.Sak
Aur is Raat Ibadat Karna Afzal Hy
(Saawi)

Muta'addid Ahadees Sey
Is Shab Ki Fazilat Sabit Hey

Sihah Ki 2 Kutub
Tirmizi, Ibn e Maja
Ke Ilawa
Musnad e Ahmed,
Baheeqi,
Musannaf Ibn e Abi Sheba
Me Kayi Ahadees Iski Fazilat Pr Mazkur Hen.

Kuch Ahadees Mulahiza Hon Jin Me Nabi Paak Ke Irshad Se Fazeelat Ki Wazeh Tayeed Hey

1- Hazrat Ali Sy Marwi;
Rasul Karim Ny Farmaya;
"Jab Sha'ban Ki Nisf Raat Aaye To Tum Raat ko Qayaam Karo Aur Din Ko Roza Rakho.
Beshak Guroob e Aftab Se Subeh Sadiq Tak ALLAH Paak Ki Rehmat ka Nuzool Aasman e Dunya Par Hota Hey.
Rabb Ta'ala Ki Taraf Se Aawaz Di Jaati Hey,
Khabardar !!
Hey Koi Jo Mujse Bakhshish Talab Karey,
Mey Usey Bakhsh dun. Khabardar !!
Hey Koi Rizq Ka Taalib
Ke Usey Rizq Ataa Karun. Khabardar !!
Hey Koi Musibat Zada
Ke Mey Usey
Aafiyet Ataa Karun.
Khabardar Koi Is Tarah Hy?
Khabardar Koi Is Tarah Hy?"
(Ibn e Maja -
Bab Ma Jaa'a Fi Lailatin Nisf Min Sha'ban P#99)

2- Hazrat Abu Moosa Ash'ari Sy Marwi;
Huzur Ny Farmaya;
"Beshak ALLAH Ki Rehmat Ka Sha'ban Ke Nisf Ki Raat Mey Zuhoor Hota Hy.
ALLAH Apni Tamam Makhlooq Ko Muaf Farma Deta Hy
Siwaye
Mushrik,
Logon Sy Bughz Rakhnay Walay,
Dushmani Karny Waley"
(Ibn e Maja)

3- Hazrat Ayesha Sy Marwi; Huzoor;
"Sha'ban Ki Nisf Raat My Saal My Paida Hony
Aur Fout Hony Walon,
Baais e Rif'at Naik A'amal Aur Rizq Ke Asbab Likh Dye Jaaty Hen"
(Bahiqi)
(Mishkat)

4- Hazrat Urwa Sy Marwi; Hazrat Ayesha;
"May Ny Ek Raat Rasulullah Ko Gum Paaya To Apki Talaash Ke Lye Nikli.
Aap Baqee(Qabrastan) Me Aasman Ki Taraf Sar Uthaye Huey They.
Huzur Ny Farmaya...
.....Beshak ALLAH Paak Apni Rehmat e Kaamila Sy Nisf Sha'ban Ki Raat
(Shab e Bar'at)
Aasman e Dunya Par Nuzool Farmata Hy.
Banu Kalb Ki Bakriyon Ke
Baalon Sy Zyada Magfirat Farmata Hy"
(Tirmizi)

Is Mazmun Ki Ahadees Muta'addid Asnad Sy
Warid Huin

5- Shab e Bar'at Ki Fazeelat Waly Baab Me
Hazrat Abubakar Sy Bhi Tirmizi My Hadees Marwi Hy

6- Huzur Ny Farmaya;
"15th Sha'ban Ko
ALLAH Paak (Ki Rehmat) Aasman e Dunya Ki Taraf Nuzool Farmata Hy.
Is Raat Har Gunahgar Ki Bakhshish Hoti Hy
Siwaye Mushrik w Keena Parwar Ke"
(Behiqi)

7- Muaz Bin Jabal Sy Bi Yahi Manqool Hy

8- Ata Bin Yasar Sy Marwi;
"Koi Raat Lailatul Qadar K Baad 15th Sha'ban Ki Shab Sy Zyada Fazilat Wali Nahi"
(Behiqi)

9- Hazrat Ka'ab Sy Marwi;
"ALLAH Jibraeel ko 15 Sha'ban Ki Shab Jannat Ki Taraf Bhejta Hy,
Ke Wo Aarasta Hony Ka Hukum Puhncha Den.
Or Keh Den K ALLAH Is Raat My
Aasman Ke Sitaron,
Dunya Ke Din Raat,
Darakht Ke Patton,
Paharon Ke Wazan
Auur Rait Ke Zarron Ki Ginti
Ke Barabar Bandon Ko Aazad Karega"
(Baheeqi)

10- Akrama Sy Marwi;
"15 Shaban Khuda Ki Taraf Sy Hikmat Waly Har Kaam Ka Faisla Kya Jaata Hy
Zinday Likhey Jaaty
Aur Haji Qalamband Hoty Hen
Phir Is Sy Na Koi Barhta Hy
Aur Na Kam Hota Hy"
(Ibn e Jarir)
(Ibn e Manzar)
(Ibn e Abi Hatim)


✦ Aayesha radi allahu anha se rivayat hai ki maine Rasool-Allah Sallallahu-Alaihi-Wasallam ko Ramadhan ke siwa kisi bhi mahine ke sare roze rahte hute unhe nahi dekha aur kisi mahine mein Shaban se ziyada Roze rakhte nahi dekha 
Sahih Muslim , Vol3, 2721

✦ Imran bin Husain Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne unse farmaya tumne shaban ke beech mein kuch roze rakhe unhone kaha nahi to Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ki tum (ramadhan ke) iftar ke din purey kar lo to ( iske badle mein) do roze rakhna
Sahih muslim, Vol3 ,2751

✦ Imran bin Husain Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne ek shakhs se farmaya ki tumne is mahine (yani shaban ) ke beech mein (ya aakhir mein) roze rakhe isne kaha nahi to Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya tum jab ramadhan ke rozo se farig ho jao to 2 rozey rakh lo iske ewaz(badle) mein
Sahih muslim, Vol3, 2752


==
Hadees  01:
“Huzoor ﷺ Ne Farmaya Shabaan Mera Mahina Hai Aur Ramzan Allah Ka Mahina Hai”
(Imam Suyuti Jame Us Sageer, Vol : Pg :301, Hadees : 4889)

Hadees 02 :
“Hazrat Abdullah ibn Abi Qays Radi Allahu Anho Se Marvi Hai Kay Unhone Ummul Momineen Sayyida Ayesha Siddiqa Radi Allahu Anha Se Suna Huzoor Nabi E Karim ﷺ Ka Pasandida Maheena Shabaanul Muazzam Tha Ki Isme Roza Rakha Karte Phir Usse Ramzanul Mubarak Se Mila Dete”
References :
(Sunan Nasai, Vol : 03, Pg : 267, Kitabul Sawm, Baab : Huzoor Kay Roze Ka Bayan, Hadees : 2352)
(Sunan Abu Dawood, Vol : 03, Pg : 163, Kitabus Sawm, Baab : Shabaan Me Roza Rakhne Ka Bayan, Hadees : 2425)

Aaka  Karim Shabaan Kay Aqsar Roza Rakhte The 
Hadees 03 :
“Hazrat Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha Farmati Hai Rasool Allah ﷺ Shabaan Se Zyada Kisi Mahine Me Roza Naa Rakha Karte Balki Pura Shabaan hi Roza Rakh Liya karte the Aur farmaya Karte Apni Istitaat Kay mutabik Amal karo ki Allah Us wakt Apna Fazl Nahi rokhta Jab Tak tum Uqta naa jao”
Reference :
(Sahi Bukhari Vol :03, Pg :118, Kitabus Sawm, Baab : Shaban Kay Roze Ka Bayan, Hadees :1970)

Hadees 04:
“Hazrat Ayesha Siddiqa Radiallaho Anha Farmati Hai Rasool Allah ﷺ Ramzaan kay baad sabse zyada Roza Kisi Maah Me rahte to wo Shaban Ka Maahina Tha” Reference :
(Sahi Bukhari Vol :03, Pg :117, Kitabus Sawm, Baab : Shaban Kay Roze Ka Bayan, Hadees :1969)

Ye Hadees E Sahi Se saabit hai kay Huzoor Nabi E Akram  ﷺ ko sabse zyada pasandida mahina Shaban ka tha aur ye wo maah hai jispe Roza ummat pe Ramzan Ul Mubarak ki tarah Farz nahi hai lekin Aaka Is Maah Sabse zyada Roza Rakha karte the Ramzan Kay baad phir bhi koi anpadh laa ilm bas bugz me Is mahine ki fazilat ka inkaar kare to bhala iske zimmedar hum Ahle Sunnat Kaise hai ?
Kisi Kay ilm me nahi yaa ilm se yatim ho aur dawa ahle hadees ka to aise shaks ki apni ilmi kami ko dur karna chahye naa ki ummat pe biddat kay fatwe maarna chahye.
Maahe Shabaan Naam E Aamal Allah Taala Ki Taraf Uthaye Jaate Hai 
Hadees 05 :
Hazrat Sayyidna Usama bin Zaid Radiallahuanhu Farmate Hai Maine Arz Ki Yaa Rasool Allahﷺ Mai Dekhta Hoon Jis Tarah Aap Shaban Me Roza Rakhte Hai Is Tarah Kisi Bhi Maheene Me Nahi Rakhte ?
Farmaya Razzab aur Ramzan Kay darmiyan Me Mahina Hai Log Is Se Gaafil Hain, Log Is Se Gaafil Hai Isme Logo Kay aamal Allah Rabbul Aalameen Ki Taraf Uthaye Jaate Hai Aur Mujhe Ye Mahboob Hai Kay Mere Aamal Is Haal me uthaya jaaye ki mai rozadaar hoon” 
Reference :
(Sunan Nasai Vol : 03, Pg : 269, kitabus Sawm, Baab 70 : Nabi Kay Roze Rakhne Ka Bayan,  Hadees : 2359)


Marne Waalo Ki Fehrist Ka Mahina 
Hadees 06:
“Sayyida Ayesha Siddiqa Radi allahuanha farmati hai Tazdaar E Risalat ﷺ Pure Shabaan Kay Roze Rakha Karte The. Farmati hai Maine Arz Ki Yaa Rasool Allah ﷺ Kya Sab Mahino Me Aapke Nazdeeq Ziyada pasandida Shabaan Kay Roze Rakhna Hai ? 
To Mehboob Rabbul Aalameen  ﷺ  Ne Irshad Farmaya Is Saal Marne Waali Har Jaan Ko Likh Deta Hai Aur Mujhe Yah Pasand hai Jab Mera Waqt e rukhsat Aaye aur mai rozdaar hoon” 
Reference :
(Musnad Abu Yaala Vol : 08, pg : 311, Hadees :4911)

15 Shabaan Ka Roza Rakhna 
Hadees 07:
“Hazrat Aliyul Murtaza Radiallahu Anhu Ka Farmaan E Azeem Hai Jab 15 Shaban Ki Raat Aaye To Us Me Kiyaam (Yaani Ibadat) Karo Aur Din Me Roza Rakho Beshak Allah Taala Guroob E Aftaab Se Aasman E Dunya Par Khas Tazalli Farmata Hai Aur Kahta Hai Koi Mujh Se Magfirat Talab Karne Waala Ki Usse Baksh Doon Hai koi Rozi Talab Karne Waala Ki Usse Rozi Doon Hai koi Musibat Jada Ki Usse Aafiyat Ata Karoon Hai koi Aisa ! Hai koi Aisa ! Aur Yeh Us Waqt Tak Farmata Hai ki Fazr Tuloo Hojaye” 
Reference :
(Sunan Ibn Majah Vol : 02, Pg :334, Kitab Iqamusalat Wasunnat, Baab : Maa Jaa Fi Lailatul Min Nisf Shabaan, Hadees : 1388)
(Khatib Tazrezi Mishkat Al Masabih )
(Imam Munziri Attargeeb Wattarheeb Vol : 02,Pg : 52) 

Shab E Baraat Aur Ziyarat E Quboor 
Hadees :
“Ummool Momineen Sayyida Ayesha Siddiqa Radi Allahu Anha Se Farmati Hai Maine EK Raat Sarwar E Kaynaat Shah E Mauzoodat ﷺ Ko Naa Dekha To Baki E Paak Me Mujhe Mil Gaye, Aap Ne Mujh Se Farmaya Kya Tumhe Is Baat Ka Darr Tha Ki Aur Uska Rasool Tumhari Haq Talafi Karenge ?
Maine Arz Kiya Yaa Rasool Allah ﷺ Maine Khayal Kiya Tha Ki Shayad Aap Azwaz E Mutahirat Me Se Kisi Kay Pass Tashreef Legaye Honge ?
To Farmaya Beshaq Allah Taala Shaban ki 15vi Raat Aasmaan E Dunya Par Tazalli Farmata Hai, Pas Kabila E Bani Qalb Ki Bakriyo’n Kay Baalo Se Bhi Ziyada Gunahgaro Ko Baksh Deta Hai” 
References : (Jamai Tirmizi, Vol : 02,Pg :179, Kitabus Sawm, Baab 39 : Shaban Kay Mahine Me Darmiyani (15vi Shab) Kay bare me bayan, Hadees : 739)
(Sunan Ibn Majah Vol : 02, Pg : 334, Kitabul Iqamah Wa Sunnah, Baab : Baab : Maa Jaa Fi Lailatul Min Nisf Shabaan,,Hadees : 1389)

Yaha Imam Tirmizi Imam Ibn Majah Rahmatullah Alaiheem azmayeen ne pure baab hi Nisf E Shaban kay naam se kayam kiye hai unhe bhi nahi maloom tha kay aisi koi cheez hi nahi hai ye biddat hai aaj 1400 saal baad ek jahil giroh nikal pada hai dawa Quran Hadees magar naa to talluk Quran se Hai naa hadees ka fahem hai.

 ☪️☪️☪️
 *Sunnat e Muaqada* Namaz Ki Hadees - 

Ummum Momeeneed Umm habiba Radhi allahu anha se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya jisne Raat din mein 12 rakat (sunnat) namaz ada ki uske liye jannat mein ek ghar banaya jayega 
Umm habiba Radhi allahu anha ne kaha ki jabse maine ye hadith Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam suni maine uske baad se un 12 rakato ko kabhi nahi chodha 

Sahih Muslim, Vol 1, 1694 

Ulmaon ke hisab se Wo 12 Rakat Sunnat is tarah hain

• 2 Rakat Fajr se pahle,
• 4 Rakat Zuhar ki farz namaz se pahle ,
• 2 Rakat Zuhar ke baad,
• 2 Rakat Maghrib ke baad,
• 2 Rakat Isha ke baad.
--

Aur Isme AFZAL Fajr Ki 2 Sunnat Hai Isko WAJIB K Qarib Mana Gaya Hai.

Sunnat e Muaqqada Ka Tark (bila ujr) GUNAH e SAGIRA Hai.

Jannat Mein Ghar Milna Kitni Badi Fazilat Hai

Wo Bhi DAILY.

Isliye Sunnat e Muaqqada Padha Karo

1 Din Ki Pagar Salary Mein Kaun Sa Ghar Ban Jata Hai?
10 Ghanta Kaam Karte Hai Log!
Ye Toh 10 Minute Ki Baat Hai

Ayesha r.a. se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ Nawaafil (sunnat) me se kisi cheez par itni muhafizat aur mudawemat nahi karte the jis qadr Fajr ki 2 rakat (sunnat) par karte the.

Sahih al Bukhari, kitab al tahajjud ﴾19﴿, hadees- 1163.

Nabi e Karim Ye 2 Rikat Fajr Ki Sunnat e Muaqqada SAFAR Mein Bhi Trak Nahi Karte.

"Farz Namaz ke Alawa (Sunnat aur Nawafil namazein) Ghar mein padhna meri is masjid (Masjid-e-Nabwi) me Namaz padhne se bhi afzal hai”

– (Sunan Abi Dawud 1044-Sahih)

Jisko Zyada Sawab Hasil Karna Ho Wo SUNNAT Ghar Mein Padhe

Hazrat Aaisha (R.A) Se Riwayat Hai Ki Rasoolullah (S.A.W) Nawafil (Sunan) Me Se Kisi Cheez Par Itni Muhafizat Aur Mudawemat Nahe Kartay Thay Jis Qadar Fajr Ki Do (2) Sunnaton Par Kartay Thay.
(Bukhari, Hadees: 1169)
(Muslim, Hadees: 724)

Rasoolullah (S.A.W) Jab Fajr Ki Do (2) Sunnatain Padhtay To Dayain Pehlu Par Lait’tay Thay.
(Bukhari, Hadees: 626, 1170, 6310)
(Muslim, Hadees: 736)

☪️☪️☪️
Asr Ki 4 Sunnat e Gair Muaqada Ki Fazilat :

Asar Namaz Ki Sunnat Ki Fazilat.
Asar Se Pahle 4 Rakat E Sunnat Padhe.
Hadees: Ahmed Wa Abu Dawood Wa Tirmizi Ibne Umar Radiallau Ta’Ala Anhuma Se Raavi Farmate Hai ﷺ Us Shakhs Par Raham Kare Jisne Asar Se Pahle 4 Rakat E Padhi.
Hadees: Tirmizi Maula Ali Radiallau Ta’Ala Anhu Se Raavi Ki Huzoor ﷺ Asar Se Pahle 4 Rakat E Padah Karte Aur Abu Dawood Ki Riwayat Me Hai Ki 2 Padhte The.
Hadees: Tabraani Kabir Me Ummul Mominin Umme Salma Radiallahu Ta’Ala Anha Se Raavi Ki Rasoolullah ﷺ Farmate Hai Jo Asar Se Pahle 4 Rakat E Padhe Allah Ta’Ala Uske Badan Ko Aag Par Haraam Farma Dega.
Dusri Riwayat Tabrani Ki Amr Ibne Aas Radiallahu Ta’Ala Anhu Se Hai Ki Huzoor ﷺ Ne Sahaba Ke Majme Me Jisme Amirul Mominin Umar Ibne Khattab Radiallau Ta’Ala Anhu Bhi The Farmaya Jo Asar Se Pahle 4 Rakat E Padhega Use Aag Na Chuyegi.
Bahare Shariat Hissa 04 Safa 11
[02/03, 2:18 pm] Sarosh Bahaduri: 😊
Badi Raat Ki NAFL Bade Shauk Se Padhte Hai

Usse AFZAL Sunnat Daily Padha Karo.

☪️☪️☪️
Allah rabbul izzat ne farma diya ke

"mein tumhare sathh hu agar tum namaz qaym rakhoge or zakaat dete rahoge".

(sureh Al maaydah: 12)
As Salato Was Salamo Alayka

Har Fitne Ka Radd Farz e Azam Hai.
Shia Rafzi
Wahabi Deobandi
Qadyani Ahmedi
Ye Saare Aaj K Bade Fitne Hai.
Ahle Sunnat Wa Jamat Se Inka Kohi Talluk Nahi.
الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ