Tilawat E Quran Ki Fazilat o Barkat 26
Ek Harf Ki 10 Nekiya’n
Quraan-e-Majeed ,Furqaan-e-Hameed Allah Ka Mubaarak Kalaam Hai , Iska Padhna ,Padhana Aur Sunna Sunaana Sab Sawab ka Kaam Hai
Quraan-e-Paak Ka Ek Harf Padhne Par 10 Nekiyo’n Ka Sawab Miltaa Hai Chunaanche Khaatamul Mursaleen , Shafeeul Mazneebin , Rahmatullil Aalameen (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ka Farman-e-Dil Nishan Hai ,
“Jo Shakhs Kitabullah Ka 1 harf Padhega Usko 1 Neki Milegi Jo 10 Ke Baraabar Hogi …Main Ye Nahi Kahtaa الم Ek Harf Hai , Balki “Alif” 1 harf hai , “Laam” 1 harf hai Aur “Meem” 1 Harf hai …..”
)سنن الترمذي ،ج-٤، ص٤١٧
Behtareen Shakhs
Nabiye Mukarram,Noore Mujassam , Rasul -e-Akram, Shahansha-e-Bani Aadam (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ka Farman-e-Muazzam Hai ,
“Tum Me Behtareen Shakhs Wo Hai Jisne Quran Sikhaa Aur Dusro Ka Sikhaya”
)صحيح البخاري ج-٣ ، ص- ٤١٠
Hazrat-e-Sayyiduna Abu Abdurrahman Sulami (Radiallahu Anhu) Masjid Me Quran-e-Paak Padhaya Karte Aur Farmate , “Isi Hadees-e-Paak Ne Mujhe Yaha Bitha Rakkha Hai”
)فيض القرير ج-٣ ،ص-٦١٨
Quraan Shafaa-at Karke Jannat Me Lejaaega
Hazrat-e-Sayyiduna Anas (Radiallahu Anhu) Se Riwaayat Hai Ki Rasul-e-Akram ,Rahmat-e-Aalam ,Noor-e-Mujassam,Shaah-e-Bani Aadam,Rasul-e-Muhtasam (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ka Farman-e-Muazzam Hai ,
“Jis Shakhs Ne Quran Sikha Aur Sikhaya Aur Jo Kuchh Quraan-e-Paak Me Hai Us par Amal Kiya ,Quraan Shareef Us Shakhs Ki Shafaa-at Karega Aur Jannat Me Lejaaega”
( تاريخ رمشق لابن عساكر ، ج-٤١، ص-٣
Aayat Yaa Sunnat Sikhaane Ki Fazeelat
Hazrat-e-Sayyiduna Anas Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Jis Shakhs Ne Quran-e-Majeed Ki Ek Aayat Yaa Deen Ki Koi Sunnat Sikhaai Qiyaamat Ke Din Allah Ta’aala Uske Liye Aisa Sawab Taiyyar Farmaaega Ki Isse Behtar Sawab Kisi Ke Liye Bhi Nahi Hoga
(جمع المجو امع للسو طي ج-٧، ص-٢٨١
1 Aayat Sikhaane Waale Ke Liye Qiyaamat Tak Sawab
Junnurain , Jameeul Quraan Hazrat-e-Saiyyiduna Usman Ibn-e-Affan Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ki Taajdar-e-Madina-e-Munauwarah , Sultaan-e-Makka-e-Mukarrama (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) Ne Irshad Farmaya,
”Jisne Quran-e-Mubeen Ki Ek Aayat Sikhaai Uske Liye Sikhne Waale Se Dugna Sawab Hai …
Ek Aur Hadees-e-Paak Me Hazrat-e-Sayyiduna Anas Radiallahu Anhu Se Riwaayat Hai Ki Khatam-ul-Mursaleen, Shafee-ul-Muznibeen, Rahmatullil Aalameen (Sallallahu Alaihi wa Sallam) Farmate hai ,
”Jisne Quran-e-Azeem Ki 1 Aayat Sikhaai Jab Tak Us Aayat Ki Tilawat Hoti Rahegi Uske Liye Sawaab Jaari Rahega
(جمع المجو امع للسو طي ج٧-ص٢٨٢
Allah Ta’aala Qiyamat Tak Ajr Badhata Rahega
Ek Hadees Shareef Me Hai Jis Shakhs Ne Kitaabullah Ki 1 Aayat Yaa Ilm Ka Ek Baab Sikhaya Allah Ta’aala Taa Qiyaamat Uska Ajr Badhata Rahega
(تايخ دمشق لا بن عساكر ، ج٠٩ ص٢٩٠
Quran Se Mu’tallik Kuchh Hadees-e-Mubaarka
Ameerul Muamineen Hazrat-e-Saiyyiduna Umar Faarooq-e-Aazam Radiallahu anhu Rozaana Subha Quran-e-Majeed Ko Chumte The Aur Farmate:- “Ye Mere Rab Ta’aala Ka Ahad Aur Uski Kitaab Hai ”
Tilawat Ke Aaghaaz Me “Auzu” Padhna Mustahab Aur Ibtidaa-e-Surat Me “Bismillah”Sunnat Warna Mustahab
Baa-Wuzu ,Qibla Ru, Achchhe Kapde Pahan kar Tilawat Karna Mustahab Hai
Quran-e-Majeed Dekh Kar Padhna ,Zabaani Padhne Se Afzal Hai Ki Yeh Padhna Bhi Hai Aur Dekhna Aur Haath Se Iska Chhuna Bhi Aur Yeh Sab Kaam Ibaadat Hai
Quran-e-Majeed Buland Aawaj Se Padhna Afzal Hai Jab Ki Kisi Namaazi Yaa Mareez Yaa Sote Ko Izaa Na Pahunche
Quran-e-Majeed Sunna, Tilaawa Karne Aur Nafl Padhne Se Afzal Hai
Jo Shakhsh Ghalat Padhta Ho To Sunne Waale Par Wajib Hai Ki Bataa De Ba Sharte Ki Bataane Ki Wajah Se Kina Wa Based Na Ho
Jab Qaran-e-Paak Khatm Ho To 3 baar Surah-e-Ikhlaas Padhna Behtar Hai Agarche Taraaweeh Me Ho , Albatta Agar Farz Namaz Me Khatm Kare To Ek Baar Se Ziyada Na Padhe.
Quran-e-Kareem Ki Durust Makharij Se Adaaegi Aur Ghalat Padhne Se bachna Farz-e-Ain Hai
Mere Aaqa Aalahazrat Imam-e-Ahl-e-Sunnat Maulana Shah Imam Ahmad Raza Rahmatullah Alay Farmate Hai: “Bilaa Shubaa Itni Tajweed Jis Se Tasheeh-e-Huroof Ho (Ya’ni Qawaaid-e-Tajweed Ke Mutaabik Huroof Ko Durust Makhariz Se Adaa Kar Sake) Aur Ghalat Khwaani (Ya’ni Ghalat Padhne ) Se Bache Farz-e-Ain Hai”
-Fatawa Razwiya ,Jild-6,Safa-343
Allah Ta’aala Zameen Waalo Par Azaab Karne Ka Iraada Farmata Hai Lekin Jab Bachcho Ko Quran-e-Paak Padhte Suntaa Hai To Azaab Ko Rok Detaa Hai
Kuchh Zaruri Ma’alumaat
Aayat-e-Sajdaa Padhne Yaa Sunne Se Sajda Wajib Ho Jaata Hai
Agar Wuzu Na Ho To Quran-e-Azeem Ko Chhune Ke Liye Wuzu Karna Farz Hai
Be Chhuwe Zabaani Dekh Kar Be Wuzu Padhne Me Koi Harz Nahi
Quran Ka Tarjama Faarsi Yaa Urdu Yaa Kisi Aur Zabaan Me Ho Uske Chhune Aur Padhne Me Quran Majeed Hi Ka Saa Hukm Hai
-Bahar-e-Shari’at (Hissa-2, Safaa-327)
Kitaab Yaa Akhbaar Me Aayat Likhi Ho To Us Aayat Par Neez Us Aayat Waale Hissa-e-Kaaghaz Ke Ain Pichhe Be Wuzu Aur Be Ghusl KO Haath Lagaana Jaaiz Nahi.
As Salato Was Salamo Alayka