Yamama Jung Mein Kuffar Bhi Takbeer Padhte The, 
Farq Tha Momin aur Karif Mein Nara "Ya Muhammada"
(Sallal La Hu Alayhi Wa Sallam)
Ya Rasul Allah,
Ya Habib Allah,
Dur Se Wisal K Baad Pukarna SAHABA Ka Tariqa Hai, Hazrat Khalid Bin Waleed Ka Yamama Jung Mein Nara "Ya Muhammada" Tha.
(Sal Lal La Ho Alayhi Wasallam)
Sunni Toh Sahaba Ki Nakl Karte Hai, Jo SUNNAT Hai. Hum Ne Ye Naya Nahi Banaya Hai. Isko Bidat Ya Shirk Kehna Sahaba Par Nishana Hai.
(Wahabi Gumrah Hai).
.....

Ahle Sunnat Wa Jamaat Ka Maukoof :
Yaa Rasul Allah Ya Nabi Allah Ya Nabi Allah Ya Rahmatallil Aalameen aur Is Tarah K Dusre Naam E Paak E Mustafa se Nida Karna, Imdaad K Liye Pukarna Chahe Dunya k Kisi bhi kone se Ho JAIZ HAI. Ab aaye Dalail k Jaanib hum point wise aitraaz aur jawab likh rahe hai. 

Quran E Karim Me Yaa se Nida Dena.
Ayat 01 : 

“يا أَيُّهَا النَّبِيُّ حَسبُكَ اللَّهُ وَمَنِ اتَّبَعَكَ مِنَ المُؤمِنينَ”

“AYE NABI (gaib ki khabre batane Waale) ALLAH TUMHE KAAFI HAI Aur Jitne Musalmaan Tumhare pairo Huwe ‘
(Surah Anfaal Ayat 64)

Ayat 02 :
يا أَيُّهَا النَّبِيُّ إِنّا أَرسَلناكَ شاهِدًا وَمُبَشِّرًا وَنَذيرًا

“Aye Gaib Ki Khabre Batane Waale NABI Beshak Humne Tumhe Bheja Haajir Naazir Aur Khushkhabri Deta Aur Darr Sunata”
(Surah No 33 Surah Ahzaab Ayat 45)

Ayat 03 :
يا أَيُّهَا المُزَّمِّلُ

“Aye Jhurmoot Marne Waale”
(Surah No 73 Surah Muzammil Ayat 01)

Ayat 04 :
يا أَيُّهَا المُدَّثِّرُ

“Aye Balaposh Oodhne Waale”
(Surah No 74 Ayat 01)
Is tarah Ki  Quran E Karim bahot se Makam Me Huzoor Nabi E Rehmat صلى الله عليه وآله وسلم ko YAA KAHKE khud ALLAH karim ne Pukara ye humne 04 aayat pesh ki  isi trah dusri aayat bhi hai jisme Yaa Kahke Dusre alkabat se pukara gaya aur Dusre Ambiya Alaihumusalam Ko unke Naam Se YAA Laga ke Pukara Gaya.

Agar ye Shirk Hota To Hargiz YAA Kahke Nahi pukara jaata Kya ALLAH khud Hi Apna Sharik Banalega ? Pata Chala k YAA Se Nida karna pukarna Nazaiz o Haram Nahi balki ye Qurani Faisla hai aur ye tum aaj bhi padte ho kya Mushrik hogye ? Agar YAA Se pukarna hi bas shirk hojaye to phir to ye Shirk Quran me hi bhara pada hai kya Quran khud Shirk ki tallim dega yakinan nahi to iska matlab saaf hai aapka bayan aur kayam karda tauheed shirk ki taleem galat hai.  

Ayaat  05:
يا أَيُّهَا الَّذينَ آمَنوا لا تَرفَعوا أَصواتَكُم فَوقَ صَوتِ النَّبِيِّ وَلا تَجهَروا لَهُ بِالقَولِ كَجَهرِ بَعضِكُم لِبَعضٍ أَن تَحبَطَ أَعمالُكُم وَأَنتُم لا تَشعُرونَ

“Aye Imaan Waalo Apni Aawaz Oonchi Naa Karo Us gaib batane waale Nabi Ki Awaaz Se Aur Unke Huzoor Baat Chillakar Naa Kaho Jaise Aapas Me Ek Dusre K Saamne Chillate Ho Ki Kaheen Tumhare Aamal Akarat Naa Hojaye Aur Tumhe Khabar Naa Ho”
(Para 26 Surah Huzraat Ayat 02)
Tafseer : Sahabi E Rasool Hazrat Abdullah ibn Abbas رضي الله عنه Apni Tafseer me is aayat k tahet likha.
“Nabi Ko Is Tarah Naa Pukaro Jaise Ek Dusre Ko Pukarte Ho Balki Is Tarah Pukaro Nabi Ki Azmat, Waqaar Aur Sharf k Saath Pukaro Aur Huzoor Nabi E Karim Ko Is Tarah Pukaro YAA NABI ALLAH, YAA RASOOL ALLAH AUR YA ABUL KASIM”
Reference :
(Tanvir Al Mikbaas Min Tafseer Ibn Abbas Pg :547, Surah Huzraat Ayat 02 k Tahet)

Kya Dars De Rahe Hai Sahabi E Rasool k Nabi E karim صلى الله عليه وآله وسلم ko kaisa pukarna hai  Kis tarah Pukarna Hai Ye Sahabi Ki tafseer hai n aayat se humne ye saabit kiya k pukarna jaiz hai. Hazrat Jibrael Alaih Salam Ka YAA RASOOL ALLAH KAHNA.

Hadees 01 :
عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ، قَالَ لَمَّا أَسْلَمَ عُمَرُ نَزَلَ جِبْرِيلُ فَقَالَ يَا مُحَمَّدُ لَقَدِ اسْتَبْشَرَ
أَهْلُ السَّمَاءِ بِإِسْلاَمِ عُمَرَ

Hazrat Abdullah Ibn Abbas رضي الله عنه Se Rivayat Hai Jab Hazrat Umar رضي الله عنه Islaam Laaye To Jibril E Ameen ne Aake Kaha ‘YA MUHAMMAD’ Aasmano Me Malaika Hazrat Umar K Imaan Laane Se Khushiya Mana Rahe Hai.
Refernce :
(Sunan Ibn Majah Vol : 01, Pg : 75, Kitab Al Mukaddama, Hadees : 108)
Is Hadees se wajeh huwa k Jibril E Ameen Alaihisalam bhi YA Rasool Allah صلى الله عليه وآله وسلم kehke pukarte the agar ye Shirk tha to aur Huzoor صلى الله عليه وآله وسلم ki ibadat hai to zibril bhi ye ibadat kar bethe ? Aur Is Tarah ki Bahot si hadees mauzood hai jisme Roohul Ameen ne Yaa Kahke Nida Ki hai.
Kya Sahaba Ne Bhi Kabhi YAA RASOOL ALLAH k Pukara / Naare Lagaye Hai ?
Sahaba E Kiram Radi Allaho Anhuma Azmain Ka YA RASOOL ALLAH صلى الله عليه وآله وسلم Pukarna

Hadees 02:  
Ye Ek Taweel Hadees Hai Jab Nabi E Rehmat صلى الله عليه وآله وسلم Madina E Munawarra Pahuche Us Wakt Kya Manzar Tha
‏.‏ فَصَعِدَ الرِّجَالُ وَالنِّسَاءُ فَوْقَ الْبُيُوتِ وَتَفَرَّقَ الْغِلْمَانُ وَالْخَدَمُ فِي الطُّرُقِ يُنَادُونَ يَا مُحَمَّدُ يَا رَسُولَ اللَّهِ يَا مُحَمَّدُ يَا رَسُولَ اللَّهِ ‏.‏
“Hazrat Barra رضي الله عنه se rivayat Hai k Jab Nabi E Karim صلى الله عليه وآله وسلم Hizrat farma ke Madina E Paak Me Daakhil Huwe.
To Aurate’in Aur Mard Gharo ki Chatthho (Roof) Me Chadh Gaye Aur Bacche Gulam Gali Kucho’n Me Muttafarrik Hogye Naare Lagate The YA MUHAMMAD YA RASOOL ALLAH YA MUHAMMAD YA RASOOL ALLAH”
References :
(Sahi Musim Vol : 07, Pg :417, Kitab No Kitabuz Zuhd Wa Riqaak, Baab : Fi Hadees Al Hizraah , Hadees : 7522, “Online No : 7150”)

Aur Kutoob e hadees me ye bhara pada hai k SAHABA E KIRAM Yaa Rasool Allah صلى الله عليه وآله وسلم kahke Pukarte The yaha sirf 02 hadees upar bayan ki k Izmai Taur Pe Pukarna Bhi Jaiz Hai Naare Ki Tarah Pukarna bhi Jaiz Hai.
.....
Hayat E Zahiri Me Dur Se Pukarne Ka Saboot

Hadees  03: Arabic Text of Sunan Ibn Majah
عَنْ عُثْمَانَ بْنِ حُنَيْفٍ، أَنَّ رَجُلاً، ضَرِيرَ الْبَصَرِ أَتَى النَّبِيَّ ـ صلى الله عليه وسلم ـ فَقَالَ ادْعُ اللَّهَ لِي أَنْ يُعَافِيَنِي ‏.‏ فَقَالَ ‏"‏ إِنْ شِئْتَ أَخَّرْتُ لَكَ وَهُوَ خَيْرٌ وَإِنْ شِئْتَ دَعَوْتُ ‏"‏ ‏.‏ فَقَالَ ادْعُهْ ‏.‏ فَأَمَرَهُ أَنْ يَتَوَضَّأَ فَيُحْسِنَ وُضُوءَهُ وَيُصَلِّيَ رَكْعَتَيْنِ وَيَدْعُوَ بِهَذَا الدُّعَاءِ ‏"‏ اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ وَأَتَوَجَّهُ إِلَيْكَ بِمُحَمَّدٍ نَبِيِّ الرَّحْمَةِ يَا مُحَمَّدُ إِنِّي قَدْ تَوَجَّهْتُ بِكَ إِلَى رَبِّي فِي حَاجَتِي هَذِهِ لِتُقْضَى اللَّهُمَّ فَشَفِّعْهُ فِيَّ
Translation :
Hazrat Sayyidna Usmaan bin Hunaif رضي الله عنه Se Rivayat Ek Naabina Sahabi Ne Bargaah E Risaalat صلى الله عليه وآله وسلم  Me Haazir Hoke Arz Ki Allah Se Duwa Kijiye Kijiye K Mujhe AAFIYAT De.
Nabi E Karim صلى الله عليه وآله وسلم  Ne Farmaya Agar Tu Chahe To Tere Liye  Duwa Karu Aur Tu Sabr Kar Aur Tere Liye Ye Behtar Hai.
Us Nabina Sahabi Ne Arz Ki Huzoor Dua Farma Dijiye.
Nabi E Karim صلى الله عليه وآله وسلم Ne Unhe Hukm Farmaya K WAJU KARO AUR ACCHA WAJU KARO Aur Do Rakaat Namaz Padh K Ye Duwa Padho.
‏"‏ اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ وَأَتَوَجَّهُ إِلَيْكَ بِمُحَمَّدٍ نَبِيِّ الرَّحْمَةِ يَا مُحَمَّدُ إِنِّي قَدْ تَوَجَّهْتُ بِكَ إِلَى رَبِّي فِي حَاجَتِي هَذِهِ لِتُقْضَى اللَّهُمَّ فَشَفِّعْهُ فِيَّ
Aye ALLAH Mai Tujhse Sawal Karta Hoon Aur Waseela Pesh karta Hoon Aur Teri Taraf Mutwajjah Hota Hoon Tere Nabi Muhammad K Jariye Se Jo Nabi E Rehmat Hai.
YAA MUHAMMAD Mai Huzoor K Jariye Se Apne Rab ki Hajaat ki Taraf Mutwajjah Hota Hoon. Taaki Hajaat Puri Ho Aur Unki Shafaat Mere Haq Me Kabool Farma.
Hazrat Sayyidna Usman Bin Hunaif رضي الله عنه Farmate Hai KHUDA ki Kasam Hum Uth Bhi Naa Paaye Bethe Hi The K Wo Shaks Hamare Pass Aaye Goya Kabhi Nabina Hi Nahi The”
References :
(Sunan Ibn Majah Vol : Pg : Kitab No 5 Kitab Ikamasulat Baab : Hadees : 1448)
(Jamai Tirmizi, Vol : Pg : Kitab No 48 Kitabut Duwat Aana Rasool Allah , Baab : , Hadees : 3578)
(Imam Tabrani Al Mujamul Kabeer Vol :09, Pg :30, Hadees :8311)
(Imam Ibn Khuzaymaah Sahih ibn Khuzaymah Vol : 02, Pg : 225, Hadees :1219)
(Imam Bukhari Al Tarikhul Kabeer Vol : 09, Pg : 30, Hadees : 8311)
(Imam Hakim Al Mustadrak Vol : 01, Pg : 458, Hadees : 1180)
(Imam Munziri At Targeeb Wa Tarheeb Vol : 01, Pg : 272, Hadees : 1018)  
(Imam Qustallani Al Muwahibul Ladunya Vol : 04, Pg :
(Qazi Shawkani At Tohfa Tuzakireen Pg : 194/95)
Imam ibn Majah, Imam Hakim, Imam Ibn Hibban, Imam ibn Khuzayma, Imam Zahabi Ne Farmaya YE HADEES SAHI HAI.
Imam Tirmizi Ne Kaha Ye Hadees HASAN Hai.
Salafi Saudi Arabiya Idara Darusalam ne Likha Ye Hadees Sahi Hai.
Ab Wahabi ka Aitraaz tha k Dur Se Yaa kahke Nida kare tab bhi SHIRK Hai aur ye koi akele Bilal ka nhi hai balki puri wahabiat ka aitraaz hai aur Is Hadees me Zahiri Zindagi Me Dur Se Nida Karna Bhi Saabit Hai.

.....

BAAD AZ WISAAL YAA RASOOL ALLAH KAHNE KA SABOOT 

Imam Bukhari Rahimullah K Ustaad E Buzurg Imam Ibn Abi Shayba Rahmatullah Alaih ne Apni kitab me Sahi Sanad Se likha

Hadees 02:
“Hazrat Maalik Daar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Daur E Farooque E Aazam Radi Allaho Anho K wakt me Kahet saali Hogayi, Ek Saahib Huzoor Rehmat E Aalam Sal Allaho Alaihi Wassalam K Rauz e Aqdas Pe Haazir Huwe Aur Arz Kiya YAA RASOOL ALLAH apni ummat k liye barish talab farmaaye ki log halaak horahe hai.
Janab E Risalat Ne Un Sahab k Khwab Me Laake Tashreef Farmaya Umar k pass jaake mera Salam Kaho  Aur Use Bataao Ke Tum Sairaab Kiye Jaaoge Aur Umar Se (Yah Bhi) Kah Do (Deen Ke Dushman {Saamraajee} Tumhaari Jaan Lene Ke Dar Par Hain) Aklamandee Ikhtiyaar Karo, Aklamandee Ikhtiyaar Karo.
Phir Wo Sahaabi Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Paas Aa’e Aur Unhein Khabar Dee To Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ro Pade Aur Farmaya Aye Allah Mein Kotaahi Nahin Karta Magar Yah Ki Aajiz Ho Jaaoo’n.”
References :
(Imam ibn Abi Shayba Al Musannif Vol :06, Pg :356, Hadees :32002)
(Imam Bayhaqi Dalailul Nabuwaah Vol :07, Pg :47)
(Imam Hussamul Hindi Kanjul Umool Vol :08, Pg : 431,Hadees :23535)
(Ibn Kathir Al Badaya Wa Nihaya Vol : 05, Pg :167 likhte hai وقال : إسناده صحيح،Iski Sanad Sahi Hai)
(Imam Qustallani Al Muwahibul Ladunya Vol : 04, Pg : 276)
(Gair Mukkalid k Imam Ibn Taimya Al Iqtida As Siratal Mustaqim Vol : 01, Pg : 373)
Wo Sahabi Hazrat Bilal ibn Haaris Radi Allaho Anho The
Imam Ibn Hajar Asqalani Futoohul Baari Shara E Sahi Bukhari Vol : 03, Pg :430, Hadees : 1010 Likhte Hai ye Hadees Sahi Hai.
وقال : رواه ابن أبى شيبة بإسناد صحيح
Ye Hadees Ki Sanad SAHI HAI.
(Imam Asqalani Ne Al Isaabah Fi Tamyiz E Sahaba Vol : 03, Pg :484)

Ab Is hadees pe bhi fitrat k mutabik kaum e wahabiya YAA GOOGLE AL MADAD kaa naara lagaygi aur Kahegi k ye Zaif hai Malik Ad Dar ek unknown raavi hai kyu kyuki ALBANI sahab ne bola hai na 1400 saal baad paida huwe aur ye jo bolenge wo sab maano.
Malik Ad Dar Rahimullah Farooque E Aazam k Wazir E Khazana tha aur maroof (famous) Sikah Authentic Shaks Hai jo bahot muhadiseen ne likha hai Aur ye hadees sahi hai.
Hadees Pe Mukhtasar Tabseera :
01) Is hadees pe gaur Kare to pata chala k baad Az Wisaal Sahaba Jaate the Roza E Aqdas pe khud apni dua karte aur Imdad Talab Karte Ya Rasool Allah pukarte ye To Wahabio k mutabik shirk huwa naa ?
02) Aur Hazrat Umar Radi Allaho Anho ne bhi ye nahi kaha k Tum Roza E Aqdas pe chale gaye haazri lagane faryaad karne ab ye Sab Shirk hai balki unhone bhi iski tasdeek ki hai ab Yaa Rasool Allah kahne pe imdaad maangne pe jo shirk k fatwe hum pe thokte ho wo kaha tak jaata hai dekhlo.
Humne ye Subahat ka jawab bhi Dalil E sahi se diya hai ab aaye aage move to next step.

Objection - Subahat : Ye To Kabr E Nabi Sal Allahu Alaihi Wassalam K Pass Jaake Pukarna Saabit Huwa Dur Se Nahi.
Our Reply : Awaal To Tumhare Nazdik Pukarna hi shirk tha goya zinda ho yaa wisaal karda par jab jawab raasta nahi bacha to naye naye aitraaz tumhara koi paimana nahi hai.
Chale Dur Se Pukarna Bhi Saabit Hai Mulahiza kare.
.....

BAAD AZ WISAAL YAA RASOOL ALLAH DUR SE KAHNE KA SABOOT

Hadees 04: Imam Bukhari ne apni Kitab Al Adabul Mufrad me ye hadees Likhi
حَدَّثَنَا أَبُو نُعَيْمٍ، قَالَ‏:‏ حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، عَنْ أَبِي إِسْحَاقَ، عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ سَعْدٍ قَالَ‏:‏ خَدِرَتْ رِجْلُ ابْنِ عُمَرَ، فَقَالَ لَهُ رَجُلٌ‏:‏ اذْكُرْ أَحَبَّ النَّاسِ إِلَيْكَ، فَقَالَ‏:‏ يَا مُحَمَّدُ‏.‏ Translation :

Hazrat Abdul Rehman bin Saad Farmate Hai Maine Hazrat Abdullah ibn Umar k Paanv (Leg) Sunn Hogaya To Kisi Ne Kaha Apne Mehboob Ko Yaad Karlo, Bole YAA MUHAMMADAH ”
References :   (Imam Bukhari Al Adabul Mufrad,  Pg : 217, Kitab 41 Gestures, Baab No  437: بَابُ مَا يَقُولُ الرَّجُلُ إِذَا خَدِرَتْ رِجْلُهُ ,’Kya Kare Wo Shaks Jab Pair Sunn Hojaye’ Hadees : 990  {Al Adabul Mufrad English Translation Hadees No 964,  English No Book 41, Hadees : 13})

(Imam Munziri At Targeeb Wa Tarheeb Ye Hadees Sahi Hai)
(Imam Ibn Saad At Tabkaat Vol :04, Pg :154)
(Imam Nawawi Ash Shafai Kitab Al Azkaar Pg : 271)
(Qazi Al Ayaaz Ash Shifa Vol :02,Pg : 23)
(Imam Khafazi Naseemur Riyaz Shara E Shifa Vol :03, Pg :355)
(Imam Jazri Shafai Al Hisnul Wal Haseen pg : 30)
(Qazi Shawkhani Tohfatuz Zakireen Pg : 266)

As Salato Was Salamo Alayka

Har Fitne Ka Radd Farz e Azam Hai.
Shia Rafzi
Wahabi Deobandi
Qadyani Ahmedi
Ye Saare Aaj K Bade Fitne Hai.
Ahle Sunnat Wa Jamat Se Inka Kohi Talluk Nahi.
الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ 

https://youtu.be/QLXZ4G3Dg8c