Zil Hajj Ki Fazilat aur Barkat 03
Abu Qatada (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (ﷺ) se Youm-e-Arfa (9 Zil Hajj) ke Rozey ke baarey me poocha gaya tou Aap (ﷺ) ne farmaya: “Is din ka Roza guzishta(guzre hue) saal aur aainda(aane wale) saal ke Gunnaho ka kaffara hai.”
📕 Sahih Muslim, Kitabul Siyaam, Hadith no. 367
ZILL HIJJA
mein BAAL aur NAKHUN Nahi Katna Mustahab Hai
(Nahi Kata To Sawab aur Agar Kaat Liya Toh Kohi GUNAH Nahi)
Ummul mumineen umm e salama رضى الله تعالى عنها se riwayat hai keh huzur صلى الله تعالى عليه وسلم ne farmaya jis ni zilhijjah ka chaand dekh liya aur uska iraadah Qurbaani ka hai to jab tak Qurbaani na kar le baal o naakhuno se na le yani na tarashwaye
(Muslim / tirmizi / nasai)
Jis ko Qurbaani karne ka iradah ho us ke liye mustahab hai keh zilhijjah ka chaand dekhne ke ba’d naakhun baal wagairah na kaate
Agar kisi shakhs ne (31) din se kisi uzr ke sabab, khwah bila uzr naakhun na tarashe hon, khat banwaya na ho keh chaand zilhijjah ho gaya to agarcheh Qurbaani ka iradah rakhta ho is mustahab par amal nahin kar sakta keh ab daswen tak rakhega to naakhun o khat banwaye huye ektaaliswan (41) din ho jaayega aur 40 din se ziyadah na banwana gunaah hai Fe’l e mustahab ke liye gunaah nahin kar sakta
(Fatawa razviyyah jild 8 safah 358)
Jise dosre ya teesre din Qurbaani karni hai us ke liye bihtar hai keh oh dosre ya teesre din Qurbaani ke ba’d naakhun o baal wagairah kaate
Eid ki namaz ke ba’d aur Qurbaani se pahle naakhun baal wagairah katwa liya to is men bhi harj nahin
ARFAH O EIDAIN WAGAIRAH KI RAATO MEN SHAB BEDAARI
HADEES ::::: hazrat e abu umamah رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم farmate hain jo eidain ki raato men qiyaam (ibadat) kare uska dil na marega jis din logo ke dil marenge
(Ibn e maajah)
HADEES ::::: hazrat e ma’aaz bin jabal رضى الله تعالى عنه se riwayat hai farmate hain jo 5 raaton men shab bedaari kare us ke liye jannat wajib hai zulhijja ki aathwen, nauwen, daswen aur eidul fitr ki raat aur sha’ban ki pandrahwe raat yani shab e barat
(Asbahani)
MASLAH::: eidain aur pandrahwen sha’ban ki raaton aur ramzan ki akheer 10 raato aur zulhijjah ki pahli 10 raaton men shab bedaari mustahab hai aksar hissa men jaagna bhi shab bedaari hai
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: eidain ki raaton men shab bedaari ye hai keh isha o subah (fajar) dono jamat e oola se hon keh sahih hadees men farmaya jis ne isha ki namaz jamat se padhi us ne aadhi raat ibadat ki aur jis ne namaz e fajar jamat se padhi us ne saari raat ibadat ki un raato men agar jaagega to namaz e eid o Qurbaani wagairah men diqqat hogi lihaza isi par iktefa kare aur agar in kaamo men farq na aaye to jaagna bahut bihtar
(Bahar e shari’at)
MASLAH::: in raato mem tanha nafl namaz padhna aur tilawat e Quran e majeed aur hadees padhna aur sunna aur durood shareef padhna shab bedaari hai na keh khaali jaagna
(Bahar e shari’at)
Bahut se log in raaton men idhar udhar ghoom kar laa yani aur fuzul baaton men poora waqt guzaar dete hain ise shab bedaari nahin kahte balkeh shab bedaari ye hai keh agar zindagi men namazen qaza hon to use ada karen ya nafl padhen ya durood o azkaar o wazaaif aur auraad men mashgool rahen, ,
Allah تعالى hamen in raaton ki ta’zeem o takreem ki taufeeq ata farmaye aur in raaton men ziyadah se ziyadah ibadat o riyazat ki taufeeq ata farmaye
Aameen
ARFAH KE DIN DUA BIHTAR HAI
Hazrat e amr bin shuaib رضى الله تعالى عنه se riwayat hai keh huzur nabi kareem صلى الله تعالى عليه وسلم ne irshad farmaya “bihtar dua arfah ki dua hai ” (tirmizi)
Hazrat e abdullah bin amr bin aas رضى الله تعالى عنهما se riwayat hai keh rasoolullah صلى الله تعالى عليه وسلم ne irshad farmaya keh bihtar dua arfah ke din ki dua hai, aur bihtar wazeefah oh hai jo mera aur ambiya e saabiqeen ka raha hai yani
” لَا اِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيْكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلٰى كُلِّ شَيْئٍ قَدِيْر ”
YAUM E ARFAH 9WEN ZULHIJJAH KO KAHTE HAIN
Hadees :
Hazrat Abdullah Bin Abbas رضی اللہ تعالٰی عنہما Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool ﷺ Ne Eid Ke Din (Eidul Adha Me) Jo Paisa Qurbani Par Kharch Hua Usse Pyara Koi Rupya Nahi
{المعجم الكبير، جلد-11، صفحہ-15، الحديث-10894}