Hajj K Masail Pillar of Islam 40
Islam Ki Buniyadi 5 Sutun (Pillars) Hai-1- Emaan
Hajj Wo Rukne Islam Hai Jo Sirf Us Muslman Par Zindagi Me Ek bar Farz Hai
Jo Is Ki Istat'at Rakhta Ho Is Ki Farziyat Ka Inkaar Karne Wala kafir Hai Is Azeem Ibadat Ki Sa'adat Bar Bar Naseeb Nhi Hoti Aksar Logon Ko Zindgi Me Hajj Ka Ek Hi Bar Mauka Milta Hai Agar Khuda na khawsta Us Me Koi Khami Ya Naqs Waqai Ho Jae To Sakht Mahroomi Aur Zindagi Bhar Ka Pachtawa Ho.
Is Liye Safar E Hajj Se Pahle Hi Us Ke Ahkaam wa Masail Achhi Tarah Seekh Lena Chahiye Taaki Hajj e Mabroor Ki Sa' adat Hasil Ho Ki Hajj E Mabroor Hi Ke Bare Me *Rasool ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺍﻟﮧ ﻭﺳﻠﻢ* Ki Uska Sawab Jannat Hi Hai.Kisi Bhi Ibadat Ko *Allah ﷻ* Ki Baargah Me Maqbool Hone Ki Bunyaadi Shart Ye Hai Ki Wo Allah Wa *Rasool ﷺ* Ke Btaye Hue Tarike Par Ki Gayi Ho.Jab Hum Kisi Ibadat Ke Ahkam Aur Tarike Se Waqif Hi Na Ho To Humare Liye Ye Mumkin Hi Nahi Ki Hum Us Ibadat Ko Kama Haqqan Kamil Tarike Se Ada Kar Saken Aur Na Hi Hum Ye Jaan Sakte Hai Ki Is Ibadat Ki Adayegi Me Humse Kya Kotahiyan Aur Galtiya Sarzad Huyen.Lehaza Ye Ashad Zaruri Hai Ki Hum Ibadat Ke Taluq Se Shariate Mutahirah Ke Btaye Hue Tarike Ko Sikhen Aur Ibadat Ke Dauran Use Zahen Me Rakhen Aur Hazbe Istat'at Koshish Karen Ki Humari Ibadat *Mustafa Jane Rahemat ﷺ* Ki Taleem Ke Mutabiq Ada Ho Aur Fir Khud Na Khwsta Humse Koi Galti Ho Jae To Isi Ilm Ki Roshni Me Uska Tadraak Kiya Jae.
Rasul Allah *ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺍﻟﮧ ﻭﺳﻠﻢ* Ne Hajj Ke Jo Fazael Bayan Farmaye Hai Wo Usi Waqt Hasil Ho Sakte Hai Jab Hajj Ki Adaegi Ahsan Tarike Se Hogi Aur Agar Ibadat Hi Naqas Ho To Kamil Fazilat Ki Toqah Kaise ?Balki Ibadat Ke Masael Na Sikhna Aur Allah Aur *Rasool ﷺ* Ke Bataye Hue Tarike Ke Khilaaf Ibadat Karna Allah Wa Rasool Ko Naraz Karna Aur Gunah Wa Musibat Me Mubtla Hona Hai.Wo Log Jo Hajj Wa Umra Ka Irada Rakhte Ho Unko Chahiye Ki Wo Is Kitab Ka Bagoor Mutalah Karen Aur Haj Wa Umra Ke Tamam Masael Zahen Nasheen Farma Le.Mukhtalif Duwaen Jo Is Kitab Me Naqal Ki Gayi Hai Wo Bhi Ho Sake To Yaad Kar Le.Duwaen Yaad Na Ho To Pareshan Wa Fikar Manad Na Ho Balki Har Mauke Par Darood Shareef Pdhe Ki Tamam Duwaen Se Bahter Wa Afzal Hai.Aur Agar Maysar Ho To Kisi Sunni Aalime Deen Ke Hajj Ke Tarbeeti Program Me Shareek Ho Kar Apni Maloomaat Pukhta Kar Len Taaki Hajj Kamil Tarike Se Ada Ho Sake Aur Aap Hajj Ke Faizan Wa Barkat Se Mustafid Ho.
.....
Hajj wa Umra Ke Fazail
*Irshadat E Rabbani :*
1-Be Shak Sab Me Pahla Ghar Jo Logon Ke Ibadat Ko Mukarrar Hua Wo Hai Jo Makkah Me Hai. Barkat Wala Aur Saare Jahan Ka Rahenuma Usme Khuli Hui Nishaniyan Hai Ibrahim Ke Khade Hone Ki Jagah Aur Jo Usme Aye Imaan Me Ho Aur Allah Ke Liye Logon Par Us Ghar Ka Hajj Karna Hai Jo Chal Sake Aur Jo Munkar Ho To Allah Saare Jahan Se Be Parwah Hai..
2-Aur Hajj Wa Umra Allah Ke Liye Pura Karo.
*Irshadat E Nabiwya*
Hadees 1:- *Hazrat Abu Huraira رضى الله تعالى عنه* Se Marvi Hai Ki *Rasool ﷺ* Ne Khutba Padha Aur Farmaya Aye Logo Tum Par Hajj Farz Kiya Gaya Lehaza Hajj Karo Ek Shakhs Ne Arz Kiya Rasool Allah Kya Har Saal ?
*Huzoor ﷺ* Ne Sakoot Farmaya Unhone Teen Bar Ye Kalma Kaha Irshad Farmaya Agar Main Haan Kahe Deta To Tum Par Wajib Ho Jata Aur Tum Se Na Ho Sakta Phir Irshad Farmaya Jab Tak Main Kisi Bat Ko Bayan Na Karu Tum Mujh Se Swwal Na Karo Agle Log Kasrate Sawal Aur Phir Ambiyen Ki Mukhalifat Se Halaak Hue Lehaza Jab Main Kisi Baat Ka Hukum Doon To Jahan Tak Ho Sake Use Karo Aur Jab Main Kisi Bat Se Mana Karu To Use Chhod Do.
Hadees 2:- *Hazrat Abu Huraira رضى الله تعالى عنه* Se Marvi Hai Ki *Huzoor E Akdas ﷺ* Se Arz Ki Gayi Kaun Sa Aml Afzal Hai ? Farmaya Ya Allah Wa Rasool Par Imaan Lana Arz Ki Gayi Us Ke Baad Kya ? Farmaya Ya Allah Ki Raah Me Jihaad Karna ,Arz Ki Gayi Phir Kya? Farmaya Haj E Mabroor .
Hadees 3:- *Hazrat Abu Huraira رضى الله تعالى عنه* Se Marvi Hai Ki *Rasool ﷺ* Farmate Hai Ki Jis Ne Hajj Kiya Aur Rafas(Fahash Kalam)Na Kiya Aur Fisq Na Kiya To Gunaho Se Paak ho Kar Aisa Lauta Jaise Us Din Hi Maa Ke Pet Se Paida Hua.
hadees 4:- *Hazrat Abu Huraira رضى الله تعالى عنه* Se Marvi Ki Umrah Se Umrah Tak Un Gunaho Ka Kaffara Hai Jo Darmiyan Me Hue Aur Hajj E Mabroor Ka Sawab Jannat Hi Hai.
Hadees 5:- *Hazrat Ibne Aas رضى الله تعالى عنه* Se Marvi Hai Ki *Rasool ﷺ* Farmate Hai Ki Hajj Un Gunaho Ko Dafa Kar Deta Jo Peshtar Hue Hai.
Hadees 6:- *Ummul Momenin Hazrat Umme Salma رضى الله تعالى عنه** Se Riwayat Hai Ki *Rasool ﷺ* Ne Farmaya Ki Hajj Kamzoro Ke Liye Jihaad Hai ...
Hadees 7:- *Hazrat Ayesha Siddiqui رضى الله تعالى عنه** Se Riwayat Hai Ki Maine Arz Ki Ya Rasool Allah Kya Aurton Par Jihaad Hai? Farmaya “Haan Un Ke Zimme Wo Jihaad Hai Jis Me Ladna Nahin ”Hajj Wa Umrah.
Hadees 8:- *Hazrat Ayesha Siddiqui رضى الله تعالى عنه* Se Marvi Hai Ki *Rasool Allah ﷺ* Ne Farmaya Ki Tumhara Jihaad Hai.
Hadees 9:- *Hazrat Abdullah Bin Masood رضى الله تعالى عنه* Se Raawi Hai Ki *Huzoor E Aqdas ﷺ* Farmate Hai Ki Hajj Wa Umrah Mohtaaji Aur Gunaho Ko Aise Dur Karta Hai Jaise Bhatti Lohe Aur Chandi Aur Sone Ke Mail Ko Dur Karti Hai Aur Haj E Mabroor Ka Sawab Jannat Hi Hai..
Hadees 10:- *Hazrat Abdullah Bin Abbas رضى الله تعالى عنه* Se Rivayat Hai Ki *Huzoor E Aqdas ﷺ* Ne Farmaya Ki Ramzan Me Umrah Mere Sath Hajj Ke Barabar Hai.
Hadees 11:- *Hazrat Abu Musa رضى الله تعالى عنه* Se Rivayat Hai Ki *Huzoor E Aqdas ﷺ* Ne Farmaya Ki Haaji Apne Ghar Walo Me Se Char Sau Ki Shafa'at Karega Aur Gunaho Se Aisa Nikal Jaega Jaise Us Din hi Maa Ke Pet Se Paida Hua...
Hadees 12:- *Hazrat Abdullah Bin Abbas رضى الله تعالى عنه* Se Rivayat Hai Ki *Rasool ﷺ* Farmate Hai Ki Jo Makkah Se Paidal Hajj Ko Jae Yahan Tak Ki Makkah Wapas Aye Uske Liye Har Qadam Par Sath Sau Nekiyan Haram Shareef Ki Nekiyon Ke Misl Likhi Jaegi Pucha Gaya Haram Ki Nekiyon Ki Kya Mikdar Hai Farmaya Har Neki Lakh Neki Hai.
Is Hisab Se Har Qadam par Sath Crore Nekiyan Hui..
Hadees 13:- *Hazrat Abu Huraira رضى الله تعالى عنه* Se Riwayat Hai Ki *Huzoor E Aqdas ﷺ* Ne Irshad Farmaya Ki Haaji Ki Magfirat Ho Jati Hai Aur Haaji Jis ke Liye Istagfar Kare Us Ki Bhi.
Hadees 14:- *Hazrar Abdullah Bin Abbas رضى الله تعالى عنه* Se Riwayat Hai Ki *Rasool ﷺ* Ne Farmaya Ki Haj E Farz Jald Ada Karo Ki Kya Maloom Kya Pesh Aye.
Hadees 15:- *Hazrat Abu Zar رضى الله تعالى عنه* Se Riwayat Hai Ki *Rasool Allah ﷺ* Ne Farmaya Ki *Daud عَلَيـهِ السَّــلَام* Ne Arz Ki Aye Allah Jab Tere Bande Tere Ghar Ki Ziyarat Ko Aye To Unhe Tu Kya Ata Farmayega ? Farmaya Har Zahid Ka Us Par Haq Hai Jiski Ziyarat Ko Jaye Unka Mujh Par Ye Haq Hai Ki Duniya Me Unhe Aafiyat Dunga Aur Jab Mujhse Milenge To Unki Magfirat Farma Dunga..
Hadees 16:- *Hazrat Abu Huraira رضى الله تعالى عنه* Se Riwayat Hai Ki *Rasool Allah ﷺ* Ne Farmaya Ki Jo Hajj Ke Liye Nikla Aur Mar Gaya Qayamat Tak Uske Liye Hajj Karne Wale Ka Sawab Likha Jaega Aur Jo Umrah Ke Liye Nikla Aur Mar Gaya Us Ke Liye Qayamat Tak Umrah Karne Ka Sawab Likha Jaega Aur Jo Jihaad Me Gaya Aur Mar Gaya Us Ke Liye Qayamat Tak Gaazi Ka Sawab Likha Jaega.
Hadees 17:- *Ummul Mominin Hazrat Ayesha Siddiqui رضى الله تعالى عنه* Se Riwayat Hai Ki *Rasool Allah ﷺ* Farmate Hai Ki Jo Hajj Ya Umrah Ke Liye Nikla Aur Mar Gya Uski Peshi Nahi Hogi Na Hisaab Hoga Aur Usse Kaha Jaega Tu Jannat Me Dakhil Ho Ja.
Hadees 18:- *Hazrat Abu Imama رضى الله تعالى عنه* Se Riwayat Hai Ki *Rasool Allah ﷺ* Ne Farmaya Ki Jise Hajj Karne Se Hajat E Zahirah Manah Hui Na Zalim Baadsha Na Koi Aisa Marz Jo Rok De Phir Bagair Hajj Kiye Mar Gaya To Chahe Yahudi Ho Kar Mare Ya Nasrani Ho Kar.Isi Ke Misl Tarmzi Ne Hazrat Ali Se Rivayat Ki Hai.
.....
Masael E Faqhiya
Hajj Nam Hai Ehram Bandh Kar Nauvi Zil'haj Ko Arfat Me Thaherne Aur Kaba E Muazzam Ke Tuwaf Ka Aur Us Ke Liye De Ek Khas Waqt Mukarrar Hai Ki Us Me Ye Afaal Kiye Jaye To Hajj Hai .
Hajj 9Hijri Me Farz Hua Us Ki Farziyat Qatyee Hai Jo Is Ki Farziyat Ka Inkar Kare Wo Kafir Hai Magar Umar Bhar Me Sirf Ek Bar Farz Hai
Dikhawe Ke Liye Hajj Karna Aur Maal Haram Se Hajj Ko Jana Haram Hai.
Haj Ko Jane Ke Liye Jis Se Ijazat Lena Wajib Hai Bagair Us Ki Ijazat Ke Jana Makruh Hai Maslan Maa Baap Agar Us Ki Khidmat Ke Mohtaaj Ho Aur Maa Baap Na Ho To Dada Dadi Ka Bhi Yahi Hukum Hai Ye Hukum Sirf Hajj E Farz Ka Hai Aur Haj E Nafil Ho To Mutalakn Waliden Ki Ata'at Kare.
Jab Hajj Ke Liye Jane Par Qadir Ho Hajj Fauran Farz Ho Gaya Yani Usi Saal Me Aur Ab Takhir Gunah Hai Aur Chand Saal Tak Na Kiya To Fasiq Hai Aur Uski Gawahi Mard Wa Digar Jab Karega Ada Hi Hai Qaza Nahi.
Maal Maujood Tha Aur Hajj Na Kiya Phir Wo Maal Khatm Ho Gaya To Qarz Le Kar Jaye Agar'Che Ye Jaanta Ho Ki Ye Qarz Ada Na Hoga Magar Niyat Ye Ho Ki Allah Tala Qudrat Dega To Ada Kar Dunga Phir Agar Ada Na Ho Saka Aur Niyat Ada Ki Thi To Umeed Hai Ki Allah Tala Us Par Muwakhiza Na Farmaye.
Hajj Ka Waqt Sawal Se Dasvi Zil'haj Tak Hai Ki Us Se Peshtar Hajj Ke Afwaal Nahi Ho Sakte.
....
Hajj Wajib Hone Ki Sharte
Hajj Wajib Hone Ki Chand Sharten Hai Jab Tak Wo Sab na Payi Jayen Hajj Farz Nahi Hota.
1-Islam :- Muslman Hona.
2- Daarul Harab Me Ho To Ye Bhi Zaruri Hai Ki Jaanta Ho K Hajj Islam Ke Faraez Me Dakhil Hai Aur Darul Islam Me Ho To Hajj Farz Ho Jayega Agr'Che Hajj Ka Farz Hona Use Maloom Na Ho.
3 -Balig Hona : Na Balig Par Hajj Wajib Nahi.
4- Aaqil Hona : Hajj Majnoon Par Farz Nahi.
5-Tandurast Hona : Ki Hajj Ko Ja Sake Yani Ki UsKe Aaza Salamat Ho Ankhiyara Ho Apahij Aur Falij Wale Ya Jis Ke Paon Kate Ho Aur Us Budhe Par K Sawari Par Khud Na Baith Skta Ho Hajj Farz Nahi Yun Hi Andhe Par Bhi Wajib Nahi.
6-Safar Ke Kharch Ka Malik Hona :- Apne Watan Se Makka Muazzama Tak Jane Aur Waha Se Wapas Ane Ke Ausat Darje Ke Akhrajaat Par Qadir Ho Aur Wapsi Tak Aeyaal Ka Nafqa Aur Makan Ki Marammat Ke Liye Kafi Maal Chhod Jaye..
7-Sawari Par Qadir Hona :- Khwah Sawari Us Ki Mulk Ho Ya Us Ke Pas Itna Maal Ho Ki Kiraya Par Le Ske ...
8-Waqt Hona :- Yani Hajj Ke Mahino Me Tamam Sharaet Paye Jaye.
*┄┅═══════❁❁═══════┅┄*
*Sharayat-E-Ada*
Mandarja Zil Sharten Payi Jaye To Khud Hajj Ko Jana Zaruri Hai Aur Sab Na Payi Jayen To Khud Jana Zaruri Nahi Bal k Dusre Se Kara Skta Hai Ya Wasiyat Kar Jaye..
1-Raste Me Aman Hona: Yani Agr Galib Guman Salamati Ka Ho To Jana Wajib Aur Galib Guman Ye Ho Ki Badamni Se Jana Zaya Ho Jaye Gi To Jana Zaruri Nahi..
2-Aurat Ke Sath Maheram Hona: Aurat Ko Makka Tak Jane Me Teen Din Ya Zyada Ka Rasta Ho Yani 92 Kilometer Ka Fasla Ho To Uske Humrah Shauhar Ya Maheram Hona Shart Hai Khawah Wo Aurat Jawan Ho Ya Budhiya Aur Teen Din Se Kam Ki Raah Ho To Begair Maheram Aur Shauhar Ke Bhi Ja Sakti Hai.
3- Aurat Ka Iddat Me Na Hona: Magar Jab Kisi Haq Ki Wajah Se Qaid Me Ho Aur Us Ke Ada Karne Par Qadir Ho To Ye Azr Nahi Aur Baadshah Agr Hajj Ko Jane Se Rokta Ho To Ye Azr Hai.
*┄┅═══════❁❁═══════┅┄*
*Hajj Ke Faraez*
Hajj Me Ye Cheeze Farz Hai
1-Ahram Ki, Ye Shart Hai
2 -Waquf E Arfa Yani Nauvi Zilhaj Ke Aaftab Dhalne Se Dasvi Ki Subha Sadiq Se Peshtar Tak Waqt Arfaat Me Thaherna...
3-Tawafe Ziyarat Ka Aksir Hissa Yaani Char Phere Waquf E Arfa Aur Tawaf E Ziyarat Hajj Ke Rakn Hai ...
4-Niyat Yaani Ki Dil Ka Pakka Irada Ho..
5-Tartib Yaani Pahle Ahram Baandhna Fir Waquf Fir Tawaf ...
6 -Har Farz Ka Apne Waqt Par Hona Yaani Waquf Us Waqt Hona Jo Mazkoor Hua Us Ke Baad Tawaf Us Ka Waqt Waquf Ke Baad Se Akhir Umar Tak Hai..
7-Makaan Yani Waquf Zameen E Arfaat Me Hona Siwa Batne Ura Na Ke Aur Tawaf Ka Makaan Masjid AL Haram Shareef Hai .
. *┄┅═══════❁❁═══════┅┄*
*Hajj Ke Wajibat*
Hajj Ke Wajibat Ye Hai-
1-: Meeqaat Se Ahram Bandhna Yani Meeqaat Se Bagair Ahram Na Gujarna ,Meeqaat Se Pehle Hi Ahraam Baandh Liya To Jaiz Hai.
2 -:Safa Marwah Ke Darmiyan Duadna Us Ko Sa'ee Kahte Hai.
3-:Saee Ko Safa Se Shuru Karna Aur Agar Marwah Se Shuru Ki To Pahla Fera Shumar Na Kiya Jaye.
4:-Agar Uzr Na Ho To Paidal Saee Karna .Saee Ka Tawaf Kam Se Kam Char Phero Ke Baad Hona.
5:- Din Me Wuqoof E Arfa Kiya To Itni Der Tak Wuqoof Kare Ki Aaftaab Doob Jaye Khawah Aaftaab Dhalte Hi Shuru Kiya Ho Ya Baad Me ,Guroob E Aaftaab Tak Wuqoof Me Mashgool Rahe Aur Agar Raat Me Wuqoof Kiya To Us Ke Liye Kisi Khas Had Tak Wuqoof Karna Wajib Nahi Magr Wo Us Wajib Ka Taarik ( Chodne wala )Huaa Ki Din Me Guroob Tak Wuqoof Karta.
6-: Wuqoof Me Raat Ka Kuch Juz ( Hissa ) Aa Jana.
7:- Muzdalfa Me Thaherna..
8:Magrib Aur Esha Ki Namazen Waqt E Esha Me Muzdalfa Me Aa Kar Padhna..
9:-Teeno Jamru Par Dasvi Gyarhvi Barahvi Teeno Din Kankariya Maarna Yaani Daswi Ko Sirf Jamurat Al Aqbia Par Aur Gyarhvi Barahvi Ko Teeno Jamurat Ki Ramee Karna..
10:-Jamurat Aqbia Ki Ramee Dasvi Ke Din Halq Se Pahle Hona..
11:-Har Roz Ki Ramee Ka Usi Din Hona ..
12:-Sar Mundhwana Ya Baal Katwana..
13:-Aur Uska Ayaam E Nahr (Das Gyarah Barah Zi Al Haj) Me ..
14:- Aur Haram Shareef Me Hona Agar'Che Meena Me Na Ho..
15:-Quran Wa Tamtah Wale Ko Qurbani Karna..
16:-Us Qurbani Ka Haram Aur Ayaam E Nahr Me Hona..
17:- Tawaf E Afaza Ka Aksir Hissa Ayam Nahr Me Hona Arfaat Se Wapsi Ke Baad Jo Tawaf Kiya Jata hai Us Ka Naam Tawaf E Afaza Hai Aur Use Tawaf E Zyarat Bhi Kahte Hai.
18 :-Tawaf Hateem Ke Bahar Se Hon.
19:-Daheni Taraf Se Tawaf Karna Yaani Kaaba Muazzamma Tawaf Karne Wale Ki Baayen Janib Ho..
20:- Azr Na Ho To Pao Se Chal Kar Tawaf Karna..
21:- Tawaf Karne Me Nijasat E Hakmia Se Paak Hona Yaani Be Gusl Ya Be Wazu Hona Agar Be Wazu Ya Jnabat Me Tawaf Kiya To Aadah Kare.
22:-Tawaf Karte Waqt Satr Chupa Hona..
23:-Tawaf Ke Baad Do Rak'aat Namaz Padhna .Agr Na Padhi To Dam Wajib Nahi
24-:Kankariya Fekne Qurbani Karne Sar Mundhana Aur Tawaf Me Tarteeb Hona Yaani Pahle Kankariya Fekenge Phir Gir Mafrood Qurbani Kare Phir Sar MundhwaYe Phir Tawaf Kare..
25:-Tawaf E Sadr Yaani Maikaat Se Bahr Ke Rahne Walo Ke Liye Rukhsat Ka Tawaf Karna.Jo Aurat Haiz Ya Nifas Se Hai Aur Tahart Se Pahle Qafila Rawana Ho Raha Ho To Us Par Tawaf E Rukhsat Nahi..
26 :-Waquf E Arfa Ke Baad Tawaf E Ziyarat Aur Sar Mundhwane Tak Jam'a Na Hona.
27 :-Ahram Ke Mamnu'aat Masla Salaa Kapda Pahnne Aur Munh Ya Sar Chupane Se Bachna..
☆ *Note:-* Wajib Ke Tark Se Dam Lazim Aata Hai Khwah Qasd'an Tark Kiya Ho Ya Sahuwan Khata Ke Taur Par Ho Ya Bhul Kar Wo Shaksh Us Ka Wajib Hona Jaanta Ho Ya Nahi Ha Agr Qasd'an Kare Aur Jaanta Bhi Ho To Gunehgar Bhi Hoga Magr Wajib Ke Tark Karne Se Haj Batil Na Hoga Albatta Baaz Wajib Ka Us Ka Hukm Se Astasnaye Hai Ki Tark Par Dam Lazim Nahi Hota Maslan Tawaf Ke Baad Ki Do Rakaten Ya Kisi Azr Ki Wajah Se Sar Mundhwana Ya Muzdalfa Me Magrib Ki Namaz Ka Esha Tak Muhkhar Na Karna Ya Kisi Wajib Ka Tark Aise Azr Ki Wajah Se Ho Jis Ko Shar'a Ne Mohtbar Rakha Ho Yaani Waha Ijazat Di Ho Aur Kaffara Sakit Kar Diya Ho In Surto Me Dam Lazim Nahi..
*┄┅═══════❁❁═══════┅┄*
*Hajj Me Ye Baaten Sunnat Hai*
1:-Tawaf E Qadoom Yaani Maiqaat Ke Bahr Se Aane Wala Makkah Muazzamma Me Hazir Ho Kar Sab Se Pahla Jo Tawaf Kare Use Tawaf E Qadoom Kahte Hai Tawaf E Qadoom Mafar Dawar Qarun Ke Liye Sunnat Hai Matmatah Ke Liye Nahi.
2:-Tawaf Ka Hajre Aswood Se Shuru Karna.
3:-Tawaf E Qadoom Aur Tawaf E Farz Me Ramil Karna.
4:-Sfaa Wa Marwah Ke Darmiyan Jo Do Mayle Akhzar Hai Unke Darmiyan Daudna.
5:-Aathvi Ke Fajar Ke Baad Makkah Se Ravana Hona Taaki Meena Me Paanch Namazen Padh Li Jaye .
6:-Naovi Raat Meena Me Guzarna.
7:-Aftaab Nikalne Ke Baad Meena Se Arfaat Ko Rawana Hona.
8:-Waquf E Arfa Ke Liye Gusl Karna.
9:-Arfaat Se Wapsi Me Muzdalfa Me Raat Ko Rahena.
10:-Aura Aftaab Nikalne Se Pahle Muzdalfa Se Meena Ko Chala Jana..
11-Das Aur Gyarah Ke Baad Jo Dono Raaten Hai (Gyarhvi Or Baarhvi Shab)Unko Meena Me Guzarna Aur Agar Tehrvi Ko Bhi Meena Me Raha To Baarhvi Ke Baad Ki Rat Ko Bhi Meena Me Rahe..
12:-Abtah Yaani Wadee Mohassab Me Utarna Agar'Che Thodi Hi Der Ke Liye Ho.
*┄┅═══════❁❁═══════┅┄*
*Aadab- E-Safar*
1:-Jis Ka Farz Aada Ho Ya Amanat Paas Ho Ada Kar De Jin Ke Maal Nahaq Liye Ho Wapis De Ya Maaf Kara Le Agar Pata Na Chale To Itna Maal Faqeero Ko De De.Jis Ka Us Par Karz Aata Hai Us Waqt Na De Sake To Usse Bhi Ijazat Le Sake.
2:-Namaz, Roza ,Zakat Jo Ibadat Zimme Par Ho Ada Kare Aur Taayeb Ho Aainda Gunah Na Karne Ka Pakka Irada Kare..
3:-Jiski Ijazat Ke Begair Safar Makrooh Hai Jaise Maa Baap Shauhar Use Raza Mand Kare Hajj E Farz Kisi Ki Ijazat Na Dene Se Ruk Nahi Sakta Ijazat Me Koshish Kare Na Mile Jab Bhi Chala Jaye.
4:-Apni Niyat Ko Durast Kar Le Is Safar Se Maqsood Sirf *Allah ﷻ* Or *Rasool ﷺ* Ki Raza Ho Ya Wasma Fakhr Se Bacha Rahe.
5:-Aurat Ke Sath Jab Tak Shauhar Ya Mahram Balig Qabil E Itminan Na Ho Jisse Nikah Hmesha Ko Haram Hai Safar Haram Hai Agar Kregi Hajj Hajj Ho Jaega Magar Har Qadam Par Gunah Likha Jaega.
6:-Tosha Maale Halal Se Le Warna Qabool Hajj Ki Ummeed Nahi Agar Che Farz Utar Jaega Agar Apne Maal Me Kuch Shuba Ho To Qarz Le Kar Haj Ko Jaye Aur Wo Qarz Apne Maal Se Ada Kare
7:-Hajat Se Zyada Tosha Le Kar Rafiqo Ki Madad Aur Faqeero Par Tasdik Karta Chale Ye Hajj E Mabroor Ki Nishani Hai.
8:-Ilm Kutbe Fihqa Baqadr Kifayat Sath Le Le Aur Jo Masael Se Na Waqif Hai Wo Kisi Aalim Ke Sath Jaye Ye Bhi Na Mile To Kam az Kam Ye Risala Humrah Ho
9:- Aayina,Surma,kangha Miswak Sath Rkhe Ye Sunnat Hai
10:-Akele Safar Na Kare Kyun ki Ye Mana Hai Rafiq Deen Dar Aur Salah Ho Ki Bad Deen Ke Humrah Hargiz Na Jaye Is Se Akele Jana Behtar Hai.
11:-Hadees Me Hai Ki Jab Teen Aadmi Safar Ko Jaye Apne Me Se Ek Ko Ameer Bana Le Usme Kamon Ka Intezam Rheta Hai Ameer Use Banaye Jo Khush Khalq Aaqil Aur Deen Dar Ho.Ameer Ko Chahiye Ki Apne Rafiqo Ke Aram Ko Apni Aasaish Par Maqdm Rkhe.
12:-Chalte Waqt Sab Azeezo Dosto Se Mile Aur Apne Qasoor Maaf Karaye Aur Ab Un Par Lazim K Dil Se Maaf Kar Den Hadees Me Hai Ki Jis Ke Paas Us Ka Musalmaan Bhai Ma'azrat Laaye Us Par Wajib Hai Ki Qabool Kar Le Warna Hauz E Kausar Par Ana Naseeb Na Hoga.
13:-Waqt E Rukhsat Sab Se Dua Karaye Ki Barkat Hasil Hogi Kyun ki Dusro Ki Dua Ke Qabool Hone Ki Zyada Ummeed Hai Aur Ye Nahi Malum K Kis Ki Dua Maqbool Ho Lehaza Sab Se Dua Kraye Aur Wo Log Jo Haaji Ya Kisi Ko Rukhsat Kare To Waqt E Rukhsat Uske Liye Dua Kare..
14:- Libaas E Safar Pahen Kar Ghar Me Char Rakaat Nafal Namaz Is Trah Padhen Ki Pehli Rakaat Me *Alhamd Shareef* Ke Baad *Surah Kafiroon* Dusri Me *Surah Ikhlaas* Teesri Me *Surah Falaq* Aur Chauthi Me *Surah Naas* Padhen Ye Rakaten Wapis Aane Tak Uske Ahal Wa Maal Ki Nighrani Kregi
15:- Ghar Se Nikalne Se Pahle Or Baad Kuch Sadqa Kare.
16:-Ghar Se Nikle To Ye Khayal Kare Jaise Duniya Se Ja Rahe Hai Chalte Waqt Ye Dua Padhe.
Page No : 20.dua kitab me dekhe
Insha Allah Wapsi Tak Maal Wa Ahelo Ayaal Mahfooz Rahenge.
17:-Darwaza Se Bahar Nikalte Hi Ye Dua Padhen Aur Durood Shareef Ki Kasrat Kare .
Page No : 20 Dua kitab me dekhe
18:- Sabse Rukhsat Hone Ke Baad Apni Masjid Se Rukhsat Ho Agar Waqt E Karahat Na Ho To Usme Do Rakaat Nafal Namaz Padh Le.
19:- Usi Waqt Aaytul Kursi,Surah Kafiroon,Surah Aeza Jae,Surah Ikhlaas Surah Falaq Aur Surah Naas Sab Me Bismillah Padhe Phir Aakhir Me Ek Bar Bismillah Shareef Padh Le Insha Allah Raaste Bhar Aram Rhega..
20:- Nez Us Waqt (Page No 20 Dua ) Ek Bar Padh Le Ba Khair Wapis Aayega..
21:- Jab Sawari Par Sawar Ho Bismillah Shareef 3 Bar Aur (Page No.20 dua )Ek Bar Kahe Phir Ye Pdhe
Page No 20 Dua pdhe
22:- Agar Pani Ke Jahaz Me Sawar Ho Ye Kahe
Page no.21 Dua kitab me dekhe
Insha Allah Doobne Se Mahfooz Rhega.
*Note:-* Dua kitab bhar E hajj me dekh le sb.
23:-Waapsi Ki Tarikh Aur Waqt Ki Itlah Aane Se Pahle Deere Bagair Itlah Hargiz Na Jaye Khususan Raat Me..
24:-Logo Ko Chahiye Ki Haaji Ka Isteqbaal Kare Aur Uske Ghar Pahunchne Se Qabl Dua Karaye Ki Haji Jab Tak Apne Ghar Me Qadam Nahi Rakhta Uski Dua Qabool Hoti Hai.
25:-Sabse Pahle Apni Masjid Me Aa Kar Do Rakaat Nafal Padhe Phir Do Rakaat Ghar Me Aa Kar Padhe Us Ke Baad Sab Se Bakashadah Peshani Mile.
26:-Azeezo Aur Doston Ke Liye Kuch Na Kuch Tohfa Zarur Laye Haji Ka Tohfa Tabrukate Hur Me Sharfeen Se Badh Kar Kya Ho Sakta Hai ? Dusra Tohfa Dua Ka Ki Ghar Pahunchne Se Pahle Istaqbaal Karne Walo Aur Tamam Musalmano Ke Liye Dua Kare.
27:-Jab Aap Haj Aur Umrah Ke Safar Par Niklenge To Jagah Jagah Dushwariya Pesh Ayengi Aap Ko Apne Humrayo Se Ya Arab Bshando Se Taklif Pahuchegi Aisi Surat Me Aap Sabar Wa Tehmul Ka Daman Hath Se Na Chhode Na Hi Shikwa Shikayat Zuban Par Laaye Aur Na Hi Kisi Se Jaghda Mol Le Usse Sawab Me Kami Ho Sakti Hai Kyun ki *Allah ﷻ* Ne Qabool E Haj Ke Liye Teen Sharten Bayan Farmayi Hai -
Page No.21 Arbi.(Surh Bakar Ayat 197)
( Tu Na Aurton Ke Saamne Sohbat Ka Tazkirah Ho Na Koi Gunah Na Kisi Se Jaghda Hajj Ke Waqt Tak)
Aapko Jab Kabhi Kisi Ki Masiyat Ka Khayal Ho Fauran Sar Jhuka Kar Qalb Ki Traf Matuwajja Ho Aur Is Ayat Ki Tilawat Karen Aur Lahula Shareef Padhe To Ye Bat Jaati Rahegi Zaruri Nahi Ki Jaghde Ki Ibteda Aap Ki Taraf Se Ho Ya Aap Ke Rafiqae Hi Ke Sath Jidaal Ho Balki Baaz Auqat Imtehanan Kisi Se Bhi Be Sabab Uljha Dete Hai Balki Sab Washtum Wa Lano Wat'an Ko Taiyar Hote Hai Aap Har Waqt Hoshiyar Rahe Mubada Ek Do Kalme Me Sari Mehnat Aur Rupya Barbaad Ho Jata Hai Ahel E Makkah Sakht Mijaz Hote Hai Unse Narmi Ikhtiyar Kare Aur Khasusan Ahel E Madeena Ke Af'aal Par Aitraaz Na Kare Na Hi Dil Me Karwarat Laaye Isi Me Dono Jahan Ki Sa'adat Hai.
28:- Khabar Daar Daurane Safar Namaz Hargiz Na Tark Kare Ki Ye Gunah Kabirah Hai Aur Aap *Allah ﷻ* Wa *Rasool ﷺ* Ke Darbar Me Hazir Hone Ja Rahe Ho Aur Unke Hukm Ki Na Farmani Karte Ho Kya Wo Aapse Razi Honge ?
Bahut Se Haji Ko Dekha Gaya Hai Ki Namaz Se Gaflat Karte Hai Aur Thodi Taklif Par Namaz Chhod Dete Hai Halan ki Shar'a Mut'hrah Ne Jab Tak Aadmi Hosh Me Hai Namaz Sakit Nahi Ki..
*┄┅═══════❁❁═══════┅┄*
*Saman Ki Fehrisat*
(JAB KOY HAJ YA UMRA KA IRADA KARE TO USE CHAHYE KE MUNASIB ZARURIYAT E SAFAR APNE SATH LEN IN ME SE CHND YE HAIN.)
1 - Mosam Ke Lihaz Se Hasabe Zaruriyat Kapre Or Chnd Jodi Chappal Len.
2- 1Bara Beg Saman Rakhne Ke Liye Or 1 Chota Beg Safare Mina Wagera Ke Liye.
3- 1 Gale me Latka Ne Wala Beg Tikit Ya Passport Or Digar Dastaveg Wagera Ke Liye.
4- Aharam Ki Char Chadaran ( Do Sit) Kamar Ka patta.
5- Odhane Ke Liye Kambal Ya Chadar.
6- Chatai Or Takye Safare Mina Wa Arfat Ke Liye.
7- Pani Ki Botel, Choti Balti Lota Or Munasib Bartan.
8- Aam Amraz Masl'an, Khasi, Jukham, Bukhar, Peichis ,BanHazmi,Wager Ki Khuch Dawayen.
9- Quran Majid,Musllah,Tasbih Wagera Or Masalile Hajj Se Mutali'q Kitaaben.
*NOTE.* Tuar Se Hajj Karne Walon Ko Tuar Ki Taraf Se Bahot Si Sahulaten.Faraham Ki Jati Hain.Lihaza Saman Isi Munasibat Se Sath Liya Jaye..
*┄┅═══════❁❁═══════┅┄*
*ISTALAHAT*
☆ Is Se Qabl Hum Munasib ke Hajj Ka Bayan Karen.Munasib Ye Hai Ki Aap Haji Sahebaan Mand Rja Zail Istalahat Or Asma E Maqamaat Wagaira Zehan Nasin Kar Len Taa'ki Aage Muta'llah Karne Me Aasani Rahe..
*1.* AEHRAM-Jab Hajj Ya Umre Ya Dono Ki Niyyat Kar Ke Talbiyah Padhte Hai To Kuch Halal Chizen Bhi Haram Ho Jati Hain.Is Halat Ko Aehram Kehte Hai.Arfe Aam Me In Chadaron Ko Bhi Aehram Kehte Hai.Jo Aehram Ki Halat Me Iste'amaal Hoti Hai.
*2.* TALBIYAH-لببیک اللهم لببيک Padhne.
لببیک .Ye Hai
Pege no 23. dua kitab me dekh le
*3.* IZTABA'A-Aehram Ke Upar Wali Chadar Ko Sidhi Bagal Se Nikal Kar Is Tarah Ulte Kandhe Par Dalna Ki Sidha Kandha Khula Rahe.
*5.* RAMAL- Tawaf Ki Ibtidaai Teen Phero me Shane Hilate Hue Chote Chote Qadam Uthate Hue.Is Qadar Tezi Se Chalna Jaise Qavi Or Bahadur Log Chalte Hain.
*6.* TAWAF- Khana E Ka'aba Ke Gird Saat Chakkar Lagana,Ek Chakkar Ko Shoot Kehte Hain.
*7.* TAWAF E QADUM- Makka E Muazzama Me Dakhil Hone Par Pehla Tawaf,Ye Afrat Ya Quran Ki Niyyat Se Hajj Karne Walon Ke Liye.Sunnat Hai.Tama'ta Karne Walo Ke Liye Ye Tawaf Nahi.
*8.* TAWAF E ZIYARAT- Isse Tawafe Ifaza Bhi Kehte Hai.Ye Hajj Ka Rukn Hai.Iska Waqt 10 Zil Hijja Ki Subha Sadiq Se 12/ Zil Hijja Gurub E Aaftab Tak Hai.Magar 10/Zil Hijja Ko Karna Afzal Hai.
*9.* TAWAF E WIDA'A- Wo Tawaf Jo Makk'a Mukarra'ma Se Rukhsat Hote Hue Kiya Jata Hai.Ye Har Aafaqi Haji Par Wajib Hai.Ise Tawaf E Sadar Bhi Kehte Hain.
*10.* TAWAF E UMRA- Ye Tawaf umar karne Walon par Farz hai.
*11.* ISTELAAM- Hazare Iswad ko Bausa Dena Ya Hath Ya Lakdi Se Chu Kar Hath Ya Lakdi Chum Lena.Ya Hathon Se Is Ki Taraf Isara Kar Ke Inhen.Chum Lena.
*12.* SAEI- Safa wa Marwa Ke man Bein Saat (7) Faire Lagana.(Safa Se Marwa Tak ek Faira Or Marwa Se Safa Tak Dusra Faira Hota Hai. Yun Marwa Par Saat Chakkar Pure Honge.
*13.* KOHE SAFA- Ka'aba Shareef Ke Junub Me Wake'a Hai. Or Yahan Se Saei Shuru Ho Jati Hai.
*14.* KOHE MARWA- Kohe Safa Safa Ke Samne Wake'a hai. Safa Se Marwa Tak Puhnch Ne Par Saei Ka ek Faira Khatam Ho Jata Hai.Or Satwa (7) Faira Yahi Marwa Par Khatam Ho Jata hai.
*15.* RAMI- Jamraat Yani (Saitaano) Ko Kankaryan Marna.
*16.* HALAQ- Aehram Se Bahir Hone Ke Liye Hudu'de Haram Me Pura Sir Mundwana.
*17.* QAJAR- Baal Katarwana Sir Me Jitne Baal Hai. In me Se Chotai(1/4) Balon Me Se Kam Az Kam Ungli Ke ek Pore Ke Barabar Katrana Hai.Ye Ahram Se Bahir Hone Ke Liye Zaruri Hai.
*18.* BABE SAFA- Masjid E Haram Ke Junubi Darwajo Me Se ek Darwaja Jis Ke Nazdik Kohe Safa Hai.
*19.* MILAINE AKHZARIN- Yani Do Sabz Nisaniyan Safa Se Janib Marwa Khuch Dur Chalne Ke Baad Thore Thore Fasle Par Dono Taraf Ki Diwar Or Chatt Me Sabaz Light Lagi Hoti Hai.Niz Ibtida Or Intehaa Par Fars Par Bhi Sabaz Marbal Ka Patta Bana Hua Hai.In Dono Sabaz Nisano Ke Darmiyan Dorane Saei Mardo Ko Dorna Sunnat Hai.
*20.* MUSNA'A- Milane Akhzarin Ka Darmiyani Fasla Jaha Dorane Saei Mard Ko Dorna Sunnat Hai.
*21.* MIKAAT- Mikaat us Jagah Ko Kehte Hai. Ke Jiske Aage Mak'ka Jane Wale Ko Biger Aehram Jana Jaiz Nahi.
*22.* MIKAATI- Wo Sakhs Jo Mikaat Ki Hudud Ke Andar Rehta Hai.
*23.* AAFAQI- Wo Sakhs Jo Mikat Ki Hudud Bahir Rehta Hai.
*24.* HARAM- Mak'ka E Muazzama Hurmat Wa Taqddus Ki Wajah Se Haram Kehlaata Hai.Har Janib Is Ki Had Par Nisaan Lage Hain.
Hudude Haram mein Geir Muslim Ka Dakhil Hona Mamnu'a Hai.Jo Sakhs Hudude Me Rehta Ho.Usse Harmi Ya Aehle Haram Kehte Hai.
*25.* HIL- Hudude Haram Se Bahar Mikaat Tak Ki Zameen Ko HIL Kehte Hai.Is Jagah Wo Chizen Halal Hoti Hai.Jo Haram Me Haram Ki Hurmat Ki Wajah Se Haram Hai.Masll'an ,Sikar Karna.Khodaro Podhe Ka Ukherna.
*26.* MINA- Masjide Haram Se 5 km. Par Wo Wadi Jaha Haji (8) Zil hijja se (12) Zil hijja Tak Qiyam Karte Hain.
*27.* JAMRAAT- Mina Or Mak'ka Ke Darmiyan Wo Teen Maqamat Jaha Kankariyan Mari Jati hai.Pehle Ka Naam Jamratu'l Aqbah Hai.Is se Bara Saitaan Bhi Bolte Hai.Ye Mak'ka E Muazzama Pehla Or Masjide Khaif Se pichla Hain.Dusre Ko Jumra'tul Wusta Manzla Saitaan Or Tisre Ko Jumra'tul Aula Chota Saitaan Kehte Hai.Ye Masjide Khaif Se Qareeb
---
☪️
JaldBazi (ghaai) Karna Aam Taur Se Islam Mein Pasand Nahi. Albatta Kuch Kaamon Mein JaldBazi Karna Shariat Ne Pasand Farmaya Wo Ye Hai -
1. Baligh Hone Par NIKAH Karne Mein
2. Maut K Baad Dafn Karne Mein
3. Qarz Ada Karne Mein
4. Amanat Lautane Mein
5. Hajj Farz Ho Toh Ushi Saal Hajj Karne Mein
6. Namaz K Waqt Ho Toh Namaz Padhne Mein
7. Gusl Wajib Ho Toh Gusl Karne Mein
8. Bimari Ho Toh Ilaj Karne Mein