Haez o Nifaas K Masail Farz Uloom 41
HAEZ KI TAREEF:
Baligha ladki k aagey k muqaam se jo khoon aadi taor
per nikalta hai aur bimari ya bacha hone ki waja se
na hawa se hua HAEZ kehte hain aur bimari se hua to
istehaaza aur bacha hone k baad ho to nifaas kehte
hain.
MASAYEL
HAEZ ki muddat kam se kam 3 din aur 3 raate hain
yaani purey 72 ghante se zara bhi pehle khatam
hojaye to HAEZ nahi balkey istehaaza hai, haan agar
subah ko kiran chamakte hi shuru hua aur 3 din 3
raatey puri hokar kiran chamakne hi k waqt khatam
hua to HAEZ hai aur is surat me 72 ghante pura hona
zaruri nahi.
ALbatta kisi aur waqt shuru ho to ghanto hi se shumaar hoga aur 24 ghante ka ek din raat liya jayega.
(BAHARE SHARIYAT)
10 raat din se kuch bhi zyada khoon aaya to agar ye
HAEZ pehli martaba isey aaya hai to 10 din tak HAEZ
hai baad ka istehaaza aur agar pehle isey HAEZ aa
chukey hain aur aadat 10 din se kam kit hi to aadat
se jitna zyada hua istehaaza hai isey yu samjho k
paanch din ki aadat thi ab aaya 10 din se kam to kul
HAEZ hai aur 12 din aaya to 5 din HAEZ k, baaqi 7
din istehaazar k.
Aur agar ek haalat muqarrar na thi balkey kabhi 4
din aaya kabhi 5 din aaya to pichli baar jitney din
aaya itne hi din HAEZ k samjhe jaye baaqi istehaaza
hai.
Ye zaruri nahi k muddat me har waqt khoon jaari
rahey jabhi HAEZ ho balkey agar baaz waqt aaye jab
bhi HAEZ hai.
HAEZ AANEY KI UMAR
Kam se kam 9 baras se HAEZ shuru hoga aur intehaayi umar HAEZ ki 55 saal ki umar hai, is umar wali ko aayisa aur is umar ko san ayaas kehte hain.
(ALAMGIRI)
MASAYEL
9 baras ki umar se pehle jo khoon aaya wo istehaaza hai, yun hi 55 saal ki umar k baad jo khoon aaye wo istehaaza hai, albatta agar 55 baras ki umar k baad khaalis khoon aaye ya jaesa pehle aata tha isi rang ka aaya to HAEZ hai.
(ALAMGIRI)
Hamal wali ko jo khoon aaya istehaaza hai, yu hai
bacha hote waqt jo khoon aaya aur abhi bacha aadhe
se zyada baahar nahi nikla to wo istehaaza hai.
Do HAEZo k darmiyaan kam se kam purey 15 din ka
faasla zaruri hai yun hi nifaas o HAEZ k darmiyaan
bhi 15 din ka faasla zaruri hai to agar nifaas
khatam hone k baad 15 din purey na huye the k khoon
aaya to ye istehaaza hai.
HAEZ is waqt shumaar kiya jayega jab k khoon firf
kharij me aagaya to agar koi kapda rakhliya hai
jiski waja se khoon firj kharij me nahi aaya dakhil
hi me ruka raha to jab tak kapda na nikalegi HAEZ
wali na hogi namaazey padheygi, roza rakhegi.
HAEZ K RANG
MASAYEL
HAEZ k 6 rang hain, siyaah, surkh, sabz, zard,
gadla, mateela, safed rang ki ratobat HAEZ nahi.
10 din k andar ratubat me zara bhi ma’elapan hai to
wo HAEZ hai aur agar 10 din raat k baad bhi maelapan
hai to adat wali k liye jo din adat k hain itne din
haez k aur adat k baad wale istehaaza aur agar kuch
aadat nahi to 10 din raat tak HAEZ baqi istehaaza
hai.
Jis aurat ko umar bhar khoon aaya hi nahi yam agar 3
din se kam aaya to umar bhar wo paak hi rahi aur
agar ek baar 3 din raat khoon aaya phir kabhi na
aaya to wo faqat 3 din raat HAEZ k hain baqi hamesha
k liye paak.
NIFAAS KA BAYAAN
NIFAAS KI TAREEF AUR MUDDAT
Nifaas yaani wo khoon jo bacha janne k baad aata hai
(matoon) iski kami ki jaanib koi muddat muqarrar
nahi aadhe se zyada bacha nikalne k baad ek aan bhi
khoon aata to nifaas hai aur zyada se zyada nifaas
ka zamana chalees din raat hai.
MASAYEL
Nifaas ka shumaar is waqt se hoga jab k aadey se
zyada bacha nikal aaya.
Tambi’aa
Is bayaan me jahaan bacha hone ka lafz aayega aur
iska matlab aade se zyada bacha baahar aa jaana
hai.
Kisi ko 40 din se zyada khoon aaya to agar iskey
pehli baar bacha paeda hua hai ya ye yaad nahi k
issey pehle bacha paeda hone me kitne din khoon aaya
tha to in dono surto me 40 din raat nifaas hai baqi
istehaaza aur jo pehli aadat malum hai to aadat k
dino tak nifaas hai aur jitna din zyada aaya to
istehaaza aur jo pehli adat malum hai to adat k dino
tak nifaas hai aur jitna din zyada aaya wo istehaaza
hai jaese aadat 30 din kit hi.
Is baar 45 din aaya to 30 din nifaas k aur 15
istehaaza k hain.
Bacha paeda hone se pehle jo khoon aaya wo nifaas
nahi balkey istehaaza hai agarche bacha aadha baahar
agaya ho.
Hamal saaqat hone se pehle kuch khoon aaya kuch baad
ko to pehle wala istehaaza hai baad wala nifaas hai
lekin ye is surat me hai jab koi azu ban chukka ho
warna pehle wala agar HAEZ ho sakta hai to HAEZ hai
nahi to istehaaza hai.
40 din k andar kabhi khoon aaya kabhi nahi to sab
nifaas hi hai, agarche 15 din ka faasla hojaye.
Is rang k baarey me wahi ehkaam hain jo HAEZ me
bayaan huye.
HAEZ O NIFAAS K EHKAAM
MASAYEL
HAEZ o nifaas ki haalat me namaz padhna roza rakhna
haraam hai.
In dino me namazey muaaf hain, inki qaza bhi nahi
albatta rozo ki qaza in dino k baad rakhna farz
hai.
Namaz k waqt me wazu karkey itni der tak zikr e
ilahi durood e shareef aur dusrey wazeefey padhliya
karey jitni der namaz padha karti thi taakey aadat
rahey.
HAEZ o nifaas wlai ko QURAN MAJEED padhna dekhkar ho
ya zubani aur iska choona agarche jild ya choli ya
hashiya ko ungli ki nok ya badan ka koi hissa lagey
ye sab haraam hain.
Kaaghaz k parche per koi aayat likhi ho iska choona
bhi haraam hai.
QURAN MAJEED jizdaan me ho to is jizdaan k chooney
me harj nahi.
Is haalat me QURAN MAJEED aur deeni kitabo k chooney
k sab ehkaam wahi hain jo be ghusul waley k hain
jiska bayaan ghusul me guzra.
Muaallama ko HAEZ o nifaas ho to eke k kalma saans
to d tod kar padhadey aur hijje karane me koi harj
nahi.
Is haalat me dua e qunoot padhna makrooh hai.
QURAN MAJEED k alawa aur tamaam azkaar, kalmia
shareef, Rasul Allah Par Durood waghaera padhna bila
karahat jayaz hai, balkey mustahib hai wazu ya kulli
karkey padhna behtar hai aur waese bhi harj nahi,
aur inkey chooney me bhi harj nahi.
Jimaa is halaat me haraam hai albatta letne baethne
sath khaaney peeney aur bosa lene me harj nahi.
ISTEHAAZA KA BAYAAN
ISTEHAAZA KI TAREEF AUR HUKUM
Wo khoon jo aurat k aagey k muqaam se nikley aur
haez o nifaas ka na ho wo istehaaza hai.
MASAYEL
Istehaaza me na namaz muaaf hai na roza muaaf hai na
aesi aurat se jimaa haraam hai.
Istehaaza agar is had tak pahoch gaya k itni mohlat
nahi milti k wazu karkey farz namaz ada kar sakey to
namaz ka pura ek waqt shuru se aakhir tak isi haalat
me guzar jaane per isko maazoor kaha jayega, Ek wazu
se is waqt me jitni namazey chahey padhe khoon aaney
se is ek purey waqt k andar tak wazu na jayega.
Agar kapda waghaera rakh kar itni der tak khoon rok
saki hai k wazu karkey namaz padhley to maazoor
nahi.
Reference:-
(QANOON E SHARIAT)
As Salato Was Salamo Alayka