Juma Mubarak Kehna Jayez 42
1. Al Quran : Eh Imaan walon jab jumaa ke din namaz ke liye azan di jaye to Allah ke zikr ki taraf jaldi se aa jao aur kharid wa farokht chhodh do , tumhare liye yahi baat behtar hai agar tum ilm rakhte ho
Al Quran : Surah Al Jumaa (62) , verse : 9
2. Hazrat Aws bin Aws radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasul Allah SallallahuAlalhi Wasallam Ne farmaya tumharey tamam dino mein Jumaa ka din sabse afzal hai ki is din Hazarat Aadam Alalhi salam ko paida kiya gaya aur usi din unki rooh qabz ki gayee aur isi din soor phunka jayega aur isi din sab behosh hongey isliye is roz (juma ko) mujh par ziyada se ziyada durud
bheja karo kyunki tumhara durud Parhna mujh par pesh kiya jata hai, logon ne kaha ya Rasoollallah SallallahuAlalhi Wasallam Hamara Durud Parhna Aap par kis tarah se pesh hoga jabki Aap to Mitti ho gaye hongey,to Aap SallallahuAlalhi wasallam ne farmaya Allah taala ne Anbiya karam ke Jism ko Mititi par haram kar diya hai.
SunanAbuDawud, Vol 1,1035 ( Sahih)
3. Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab Jumaa ka din aata hai to farishtey masjid ke darwazey par aaney walon ka naam likhtey hain sabse pahley aane wala oont(camel) ki qurbani dene waley ki tarah likha jata hai, uskey baad aaney wala gaay (cow) ki Qurbani deney waley ki tarah phir maindey (sheep) ki Qurbani ka sawab milta hai , uskey baad murgi(chicken) ka, uskey baad andey(egg) ka lekin jab imam (khutba
dene ke liye) bahar aa jata hai to ye farishtey apney daftar band kar dete hain aur khutba sunney mein mashgul ho jatey hain.
Sahih Bukhari, Vol 2, #929
4. Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisney jumaa ke din ghusal kiya aur khub paki hasil ki aur Tel (oil) ya khushbu istemal ki phir jumaa ke liye chala aur Do aadmiyon ke beech mein na ghusa aur jitni uski kismat mein thi namaz Parhi phir jab Imam bahar aaya aur khutba shuru kiya to khamosh ho gaya,uskey is jumaa se guzrey (past) jumaa tak ke tamam gunaah baksh diye jayengey.
Sahih Bukhari, Vol 2, 910
5. Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne farmaya ye din (jumaa ) Eid ka din hai jo Allah ne musalmano ko ata farmaya hai, isliye jo jumaaa ke liye aaye to ghusal kar le aur khushbu
mil jaye to laga le aur tum par miswak bhi hai
Sunan ibn Majah, Vol 1, 1098-Hasan
6. Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne apney minbar par se irshaad farmaya Logon ko Namaz jumaa tark karney (chhoDh deney) se baaz rahna chahiye nahi to Allah taala unkey Dilon par Muhar laga dega phir wo Ghafeeleen mein ho jayengey
Sunan An Nasai, Vol 1, # 1373 (Sahih)
7. Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jab koi jumaa ke din aaye aur imam khutba ke liye bahar aa gaya ho to bhi 2 rakaat padh le.
Sahih Muslim, Vol 2, 2022
8. Hazrat Anas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh mujh par Ek martaba Durud
bhejega to Allah subhanahu us par 10 martaba rahmat bhejega aur uskey 10 gunaah maaf hongey aur 10 darjaat buland hongey
Sunan An Nasaii, Vol1, No. 1300 ( Sahih)
9. Abu seed khudri radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu Alaihi wasslkam ne farmaya Jo (Musalman) Juma ke din Surah Al-Kahaf ki tilawat kare to uske liye is juma se agle juma tak ek noor chamakta rahega
Mustadrak Hakim 3392-Sahih
Sahih Al jamee 647
.....
JUMA KE EHKAAM
Juma ka din hum Musalmano ke liye EID jaisa darja rakhta hai.
Juma ke din ki hui ek neki ka ajr 70 guna badh kar milta hai.
Aur ek burai ka Gunah bhi 70 gunah badh kar milta hai.
1. Juma ko gusal zaroor kare. Huzur saw ne farmaya” Jis shakhs ne JUMA ko (paak hone ke
bawjood sirf sawaab ki niyat se) gusal kiya to uske agle pichle sab gunah maaf ho jate hain”
Ek dusri hadees me hain ki ” Juma ka Gusal baalo ki jadon me se bhi Gunaho ko bhi nikal
phekta hai”
2. Juma ko Kasrat se Durood padhe. Kyunki Juma ko farishto ki ek jamaat sirf isi kaam me hoti hai ki Huzur saw per padha janewala DUROOD aap ke paas pahuchati hai. Sabse afzal
DURROD IBRAHIM hai.
3. JUMA ko SALAAT-ut-TASBEEH ki namaz bhi padhe. Huzur saw ne farmaya ki ” Ye namaz jo
padhta hai uske agle-pichle, chote-bade, jaan bijh kar kiye hue aur anjane me kiye hue, sabeera aur kabeera, sab Gunah maaf ho jate hain. ” Aur
JUMA ko sab amal ka sawaab 70 guna badh kar milta hai to is ki Fazeelat aur badh jati hai.
4. JUMA ko ASR ki namaz ke baad jo shaks ye DUROOD 80 padhega ” ALLAHUMMA SALLI ALAA
MUHAMMADIN NABIYIL UMMIYEE WA ALAA AALIHI WASALLIM TASLEEMA ” to uske 80 saal
ke Gunah maaf honge aur 80 saal ki Ibadat uske aamaal-naame me likhi jaegi.
5. JUMA ko SURA KAHF padhe, Huzur saw ne farmaya ” Jo shakhs Juma ko Sura Kahf padhega to agle hafte tak uske saath ek noor rahega jo KAABE tak pahuchta hoga aur agar is dauran
DAJJAL nikal aaya to uske fitne se mahfooz rahega ” Ek dusri Hadees me hai ki “Jo shakhs JUMA ko SURA KAHF padhega to agle hafte tak
ke uske Gunaho ka kaffara ho jaega”
ALLAH hum sab ko tofiq de aur zyada se zyada DEEN ki mehnat karne wala banaye.
Jumma Ki namaz ki Ahmiyat or Fazeelat or kch zruri ahkaam
Juma ka hukum : juma ki namaz har baaligh musalman par farz hai.Allah taala quran me irshaad farma raha hai k.
ﻳَﺎ ﺃَﻳُّﻬَﺎ ﺍﻟَّﺬِﻳﻦَ ﺁﻣَﻨُﻮﺍ ﺇِﺫَﺍ ﻧُﻮﺩِﻱَ ﻟِﻠﺼَّﻠَﺎﺓِ ﻣِﻦ ﻳَﻮْﻡِ ﺍﻟْﺠُﻤُﻌَﺔِ ﻓَﺎﺳْﻌَﻮْﺍ ﺇِﻟَﻰٰ ﺫِﻛْﺮِ
ﺍﻟﻠَّـﻪِ ﻭَﺫَﺭُﻭﺍ ﺍﻟْﺒَﻴْﻊَ ۚ ﺫَٰﻟِﻜُﻢْ ﺧَﻴْﺮٌ ﻟَّﻜُﻢْ ﺇِﻥ ﻛُﻨﺘُﻢْ ﺗَﻌْﻠَﻤُﻮﻥَ
Aye iman walo! jab juma k roz namaz keliye pukar hoto tum Allah k zikr ki taraf lapko aur apna karobaar (business) chordo.(surah juma-09)
hazrat hafsa raziAllahu anha se riwayat hai k nabi (pbuh) ne farmaya ” juma ki taraf jaana har baaligh musalman par farz hai.” (sunan nisayi)
Juma kin logon par farz hai : hazrat taariq bin shahab raziAllahu anhu se riwayat hai k nabi (pbuh) ne farmaya ” juma har baaligh musalman par farz hai.magar 4 ashkhaas par farz nahi
hai.
1.ghulam
2.aurat
3.baccha-
4. bimar.
(abu dawood)
aur isi tarha dosri riwayat hazrat ibn abbas raziAllahu anhu se hai k farmaya nabi(pbuh) ne
“jis shaqs ne juma ki azaan suni aur fir bhi wo masjid me nahi aaya iski koi namaz nahi illa ye k isse uzr ho.” sahaba raziAllahu anhum ne daryaft
kia “aye Allah k rasool (pbuh) uzr kia
hai?”farmaya”marz ya khauf”.(abu dawood)
Juma ki azaan : nabi(pbuh) hazrat abubakr o umar raziAllahu k zamane tak juma ki ek hi azaan
hoti thi aur wo is waqt jabke imam qutba keliye mimbar par aakar baith jaate.hazrat osman raziAllahu anhu k zamane me jab madina munawwara ki aabadi barh gayi to inho ne ek aur
azaan ko riwaaj dia.jo zora(masjid k darwaaze k qareeb ek buland jagah) par kahi jaati thi.
(sahihbukhari-abu dawood-nisaayi).
Juma k roz ki fazeelat aur wo kaam jo is roz mustahab hain : hazrat abu huraira raziaAllahu anhu se riwayat hai k nabi(pbuh) ne farmaya”subse accha din jis din suraj tulu hua juma ka din hai.is roz aadam alaihissalam ki
paidaayesh hui isi din jannat me daakhil kiye gaye aur isi din jannat se nikaale gaye.aur qayamat bhi
juma k din hi aayegi.”
(sahih muslim-abu dawood-tirmizi-nisaayi).
hazrat jabir raziAllahu anhu se marwi hai k nabi(pbuh) ne farmaya “juma k din 12 ghariyan hain jinme se ek ghari aisi hai jinme koi musalman
banda sawal karta hua nahi paaya jaata magar Allah taala iska sawal poora karta hai.tum is ghari(waqt) ko asr k baad aakhri waqt me talaash
karo.(sunan nisaayi-abu dawood -haakim)
Juma k din aur raat me nabi(pbuh) par darood bhejne ki fazeelat :
hazrat aos bin aos raziAllahu anhu se riwayat hai k nabi(pbuh) ne farmaya
“tumhare dinon me sabse afzal din juma ka din hai.isi me hazrat aadam alahissalam ki paidaayesh hui aur isi me inki wafat hui,isi me qayamat aayegi.lehaaza is roz tum mujhpar
kasrat se darood bhejo isliye k tumhara darood mujhpar pesh hone wala hai.” sahaba raziAllahu
anhum ne arz kia aye Allah k rasool aap par hamara darood kaise pesh hoga.halanke aap (pbuh) boseeda hochuke honge?farmaya
”Allah taala ne haraam kardia hai k wo anbiya k jismon ko khaaye”.
(abu dawood-nisaayi-ibn maaja-
ahmed).
Juma k din nahane,miswaak karne,khushboo lagane aur umda libaas pahanne ki fazeelat :
hazrat abu sayeed raziAllahu anhu se riwayat hai k nabi(pbuh) ne farmaya
”har musalman ko chahiye k juma k din nahaye,apne umda kapre pahne aur agar iske paas khushboo hoto usse lagaye.
(sahih bukhari wa muslim-ahmed)
Juma k din masjid me jald se jald pahunchne ki fazeelat : hazrat abu huraira raziAllahu anhu se
riwayat hai k nabi(pbuh) ne farmaya k juma k din ghusl e janabat jaisa ghusl kia aur fir masjid gaya goya usne ek oonth(camel) ka sadqa kia, fir jo shaqs dosri ghari me gaya goya isne ek gaaye ki qurbaani di fir jo shaqs teesri ghari me gaya usne
goya ek singhon waale mendhe ki qurbaani di fir jo shaqs chauthi (4th) ghari me gaya goya usne ek
murghi ka sadqa kia fir jo paanchwi ghari me gaya goya usne ek ande ka sadqa kia iske baad jab imam aajata hai(yaani jab qutba shru hojaata
hai) to farishte aakar qutba sunna shru kardete hain.
(sahih bukhari wa muslim-abu dawood-tirmizi-nisaayi)
Juma k din qutba shru hone se pahle nafil parhneki fazeelat :
hazrat abu huraira raziAllahu anhu se
riwayat hai k nabi(pbuh) ne farmaya”jis shaqs ne juma k din ghusl kia fir juma ki namaz keliye aaya
aur jitni nafil namaz isse hosaki isne parhi fir imam k qutba se faarigh hone tak khamooshi aur dhiyaan se qutba sunta raha aur fir iske peeche
namaz parhi to iske is juma se agle juma k darmiyan k gunah aur teen din mazeed k gunah muaaf kardiye gaye.”(sahih muslim) qutbe k dauran : hazrat abu huraira raziAllahu anhu se riwayat hai k nabi(pbuh) ne farmaya
”jis waqt imam qutba deraha ho is waqt tumne apne
saathi se ye kaha k khamoosh hojao to tumne fazool baat ki.
(sahih bukhari wa muslim-abu dawood-nisaayi-tirmizi)
Hadeeso me Jumme ki badi Fazilat bayan ki gai h ,
sabse pehle 12 Rabi- ul-
Awwal 1 Hijri ko Nabi e Pak (Sallal Lahu Alaihi Wassalam) ki Imamat me padi gai,
Jisme Sahabao ki Tadaat 100 thi … !!
(Mohsine Insaniyat 703) Jumme ki Murakbaad Dene ka b Ajr h .. Hadees:
Ae Musalmano k Giroh.. !!
Beshak Ye Jumma woh Din h Jisko Allah ne Eid Banaya h … !!
(mishkat Hadees no. 123)
Hadees:
Jo mujhpar Jumma k din Duruud pade Uski Shafa’at karunga !
(Kanzul Ummat jild 1 Safa 225 hadees
2236) Hadees:
Jisne Juma k Din Mujhpar 200 bar Duruud pada ,uske 200 saal k Guhaan maaf ho gaye!
(Kanzul Ummal Had no. 2238)
Hadees:
Jo Jumme k Din ya Raat 100 bar Duruud pade, Uski 100 Hajate puri hongi . 70 Akhirat me or 30 dunyavi!
(Musnad Abu)
Jumme ki Namaz na chhode ..
Hadees:
Jisne Jumme ki Namaz (2 Rakat jumma) se Pehle ,
4 Sunnat Namaz or Jumma k baad ,,
4 Sunnat , 2 Sunnat, 2 Nafil padi …
Allah uss par Jahannam ki Aag Haram kar dega !
(Tizimi v1 Hadees 410)
Hadees:
Jumma k Din Jaldi masjid me Pahuchne wala , Jald Jannat me jayega … !!
Hadees:
Jumme ki Namaz k liye Azaan di jaye ,,
To 2m Allah ki Yaad k liye Chal pado ,,
K 2mhare liye Behtar h agr 2m Jante ho !
(bukhari)
Hadees:
Jumme ki Namaz 2sre Jumma k ,,
Gunaho ko Maaf kar deta h … !!
(Ibn e Maaja) Hadees:
Jo Shaks Jumma ki Namaz Jama’at k sath padta h ,,
Allah uske liye 1 Maqbool Haj ka Sawab likhta h … !!
(Ghuniya tul Taliban)
Hadees:
Jisne 3 Jumma Susti Barte Hue Chhod diye to ,,
Allah Ta’ala uske Dil par Mohar Laga
dega … !!
(Abu Daud ,, Tirzimi)
Jumme k Din khas tor se Gusl kare ,,
Ye Jumma ki Sunnato me se 1 h …
Hadees:
Jumma ka Gusl .. Aadmi k Gunaho ko , Uski Baal k Jad se Kheech leta h … !!
(Tibrani)
Hadees:
Jo ShaksJuma k din Gusl karke Awwal waqt me Masjid jaye ,,
Goya usne Oont ki Qurbani ki … !!
(Muslim)
Jumma k Din Duao ki Qubuliyat ka Din b h ..
Hadees:
Jumma k Din Aisi Ghadi aati h ,,
Jisme Agar koi Muslaman banda Khada Namaz pad paha ho ,,
Or Dua mange to Allah uski Dua Qubuul kare … !! Kuchh Hadeeso me Khutbe k baad ka waqt or Jumme ki namaz ,, k baad jo Dua mango puri hone ka b Zikr h … !! Jumme ki Fazilate Itni h k Bayan b nai ki jaa
sakti ..
Hadees:
Jumma k Din 1 Neki ka Sawab ,,
70 Guna (7o times) or Guhan karne ka Azab 70 times se b zyada h … !!
(Mirat jil 2 page323)
Jumma ki Sunnate
Gusl karna ,,
Saaf Kapde Pehanna ,,
Khushbu Tel Surma lagana ,,
Nakhun Katna ,,
Masjid Jald jana or Paidal jana ,, Surh Kahaf
padna
Musafa karna
Or Jumma ki Mubarakbad dena To mere Bhaiyo or Behno .. !!
Ye to sirff kuchh hi Fazilate likhi h
mene ,,
Jumme ki ti Itni Fazilat h … K aap soch b nai sakte .. !!
Ye Gareebo ki haj h ,,
Gunaho ka Kaffra h ,,
Qubuliyat ka Din h ..
Isliye Jumme ki Taiyari Eid ki tarha kare ,,
Duruud pade or Sunnato par Amal kare .. !!
Or ise jitna ho sake Failaye…
Likhne me koi Galti hui ho to zarur
Bataye … !!
Jume ki Mubarakbad
Roze JUMU’AH ROZE EID hai… khud hadees me hai-
“JUMU’AH KA DIN TUMHARE LIYE EID KA DIN HAI PAS TUM MAT BANAAO EID KE DIN KO ROZE KA DIN.”
(fatawa mustafavia, page:305)
Neez ye Hadees e Paak hashiya mishkaat or muslim shareef me bhi
mazkoor hai… Is Hadees e paak se
pata chala ke JUMU’AH KA DIN yaume EID ki tarah hai to jis tarah EID ki mubarak baadi dena durust hai isi tarah JUMU’AH ki mubarak
baadi dena bhi jaaez hai.
.....
Jumma ki namaz zohar ke waqt parhi jati hai. Farq itna hai keh zohar tanha bhi parh saktay hain magar jumma jamat hi se parha jaye ga. Is main pehle 4 sunnatain phir 2 farz jamaat ke sath phir 4 sunnatain, phir 2 sunnatain, phir 2 nafal. Jumma ke din masjid main jummay ke waqat saaf suthray kapray pehan kar jaye aur jahan jagah milay baith jaye.
.....
Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks juma k din masjid mein hazir ho kar khamoshi aur sakoon k saath khutba suney, kisi musalman ki gardan na phaangey, kisi ko takleef na de to ye amal uske guzishta juma se le kar us juma tak aur teen din mazeed uske gunaho ka kaffarah ban jata hai, kyunki Allah ta'ala ne farmaya k har naiki k liye das guna (*10) sawaab hai". (Abu Dawood Kitabus Salaat Hadees no. 1113)
Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "jo shaks juma k rooz khoob acchi tarah nahaaye, aur masjid mein jaye kisi sawari par sawar na ho, imam k nazdeek ho kar dil jumi'e se khutba suney aur koi lagu baat na kare to usko har qadam par ek baras k roozo ka aur uski raato k qayam ka sawab hoga".(Tirmizi Kitabuj Juma Hadees no. 496, Abu Dawood Kitabut Taharah Hadees no. 345, Ibne Hibban 559, Imam Hakim 1:281, 282 aur Hafiz Zahbi ne ise sahih kaha)
Hazrat Salman Faarsi Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jo shaks juma ko nahaaye aur jis qadar paaki hasil ho sake kare, (muchey kutarwaye, nakhoon kataaye, zair e naaf baal moondhey aur baghlo k baal door kare wagairah) phir tail ya apne ghar se khushboo lagaaye aur (juma k liye) masjid ko jaye (waha) do aadmiyo k darmiyan raasta na banaaye (balkey jaha jagah miley baith jaye) phir apne muqaddar ki namaz padhey, phir doraan e khutba khamoosh rahe to uske guzishta juma se le kar us juma tak k gunah baksh diye jate hai". (Sahih Bukhari Kitabuj Juma Hadees no. 883)
JUMA K DIN QABOOLIYAT WALI GHADI
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Juma k din ek ghadi aesi hai k jo musalman us ghadi mein Allah ta'ala se bhalaayi ka sawal kare to Allah ta'ala usko qabool karta hai aur aapne haath se ishaarah kiya k ye waqt qaleel hota hai". (Sahih Bukhari Kitabuj Juma Hadees no. 935, Sahih Muslim Kitabuj Juma Hadees no. 852)
Hazrat Abu Musa Ash'ari Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi Rahmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Juma ki qabooliyat ki ghadi imam k (mimbar par) baithne se le kar namaz k khatimey tak hai". (Sahih Muslim Hadees no. 853)
Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k "is ghadi ko asar k baad talaash karo". (Abu Dawood Hadees no. 1048)
Hazrat Anas bin Maalik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Is ghadi ko juma k din asar se ghuroob aaftaab tak talaash karo". (Tirmizi Hadees no. 489)
Quran Kareem Mein Sureh Juma Hai.
Juma K Din Qayamat Qayam Hogi.
Juma Hafte K Sab Dino Ka Sardar Hai.
Juma Ko Adam A.S Paida Hue.
JUMA MUBARAK