BARZAKH Maut K Baad Ki Zindigi 04
BARZAKH
Maut K Baad Ki Dunya
(Allah Ki Zaat Qadir Hai)
Marne Ke Baad Aur Qayamat Se Pehle Duniya Aur Aakhirat Ke Darmiyan Ek Aur Aalam Hain. Jisko Aalam E Barzakh Kehte Hain .
Tamam Insaano Aur Jinn’on Ko Marne Ke Baad Issi Aalam Mein Rehna Hota Hain Is Aalam E Barzakh Mein Apne Apne Aamaal Ke Aitebaar Se Kisi Ko Aram Milta Hai Aur Kisi Ko Takleef .
Marne Ke Baad Bhi Rooh Ka Taluq Badan Ke Saat Baki Rehta Hain, Agar Che Rooh Badan Se Juda Ho Gai Hain Magar Bande Per Jo Aalaaam ( Taqleef ) Ya Sadma Guzre Ga Rooh Zaroor Isko Mehsoos Karegi, Jis Tarha Duniyawi Zindagi Mein Badan Per Jo Rahat Aur Taqleef Pardhti Hain Uski Lazzat Aur Taqleef Rooh Ko Puhuchti Hain Issi Tarha Aalam E Barzakh Mein Bhi Jo Inaam Ya Azaab Badan Per Hota Hain Uski Lazat Aur Taqleef Rooh Ko Puhuchti Hain.
Marne Ke Baad Musalmano Ki Rooh’en Unke Darjaht Ke Aitebaar Se Mukhtalif Makamaat Per Rehti Hain. Baaz Ki Qabr Per Baaz Ki Zamzam Sharif Ke Quwen ( Well ) Mein Baaz Ki Asmaan O Zameen Ke Darmiyan Baaz Ki Asmaano Mein Baaz Ki Arsh Ke Niche Qindilon Mein, Baaz Ki Aala Elliyeen Mein, Magar Rooh’en Kahi Bhi Hon Apne Jism’on Se Ba’dastur Unko Taluq Rehta Hain Jo Koi Unki Qabr Per Aayen Usko Woh Dekhte , Pehchante Aur Uski Baton Ko Sunte Hain.
Issi Tarha Kaafiron Ki Rooh’en Unke Qabr Per Rehti Hain, Baaz Ki Yaman Ke Ek Naale Barhoot Mein, Baaz Ki Saat’on Zameen Ke Niche , Baaz Ki Sijeen Mein , Lekin Rooh’en Kahin Bhi Hon Unke Jism’on Se Unka Taluq Barkarar Rehta Hain. Chu Naa Che Jo Unke Qabr Per Aayen Woh Usko Dekhte Pehchante Aur Uski Baton Ko Sunte Hain.
Yeh Khiyal Ke Marne Ke Baad Rooh Kisi Dusre Badan Mein Chali Jaati Hain, Chahen Woh Kisi Admi Ka Badan Ho Ya Kisi Janwar Ka Jisko Philosopher Tanasukh Hindu Abagon Kehte Hain. Yeh Khiyal Hi Bilkul Baatil Aur Iska Manna Kufr Hain.
Jab Admi Marta Hain To Agar Dafnaya Jaye To Dafnane Ke Baad Aur Agar Naa Dafnaya Jaye Toh Who Jahan Bhi Ho Aur Jis Haal Mein Bhi Hon Uske Pass Do Farishte Aate Hain Jin Mein Se Ek Ka Naam Munkar Aur Dusre Ka Naam Nakir Hain, Yeh Dono Farishte Murde Se Sawal Karte Hain Ke Tera Rab Kaun Hain ? Tera Deen Kya Hain ? Aur Hazrat Muhammad Mustafa Sallalahu Alahi Wasalam Ke Bare Mein Pochte Hain , Yeh Kaun Hain ? Agar Murda Emaandaar Hon To Theek Theek Jawab Deta Hain Ke Mera Rab Allah Hain, Mera Deen Islam, Aur Hazrat Muhammad Mustafa Sallalahu Alahi Wasalam Allah Ke Rasool Hain.
Phir Uske Liye Jannat Ki Taraf Ek Khidki Khol Dete Hain Jisse Thandi Thandi Jannat Ki Hawa’e Aur Khusbooye Qabr Mein Aati Rehti Hain, Murda Aram Aur Chain Ke Maze Mein Pardh Kr Apni Qabr Mein Sukh Ki Neend Soota Hain Aur Agar Murda Emaandaar Naa Hon To Sab Sawalon Ke Jawab Mein Yehi Kehta Hain Ke Mujhe Kuch Nahi Maloom Phir Uski Qabr Mein Dozakh Ki Taraf Ek Khidki Khol Di Jaati Hain Aur Jahanam Ki Garam Garam Hawaye Aur Badhboo Qabr Mein Aati Rehti Hain, Aur Murda Tarha Tarha Ke Sakht Azaabon Mein Giriftaar Ho Kar Tarap Ta Aur Bekarar Rehta Hain, Farishte Isko Gurzo Se Marte Hain Aur Uske Bure Amal Saanp Bicho Bann Kr Use Azaab Puhucha Te Rehte Hain.
Murda Bhi Kalam Karta Hain Magar Uske Kalam Ko Insaan Aur Jinn Ke Siwa Tamam Makhlooqat Janwar’on Wagera Sunte Hain. Agar Koi Admi Sunn Len To Woh Behosh Ho Jayega.
Emaandaar Aur Neiko Ki Qabr’en Kisi Ki Sattar Sattar ( 70 ) Hath Chordi ( Width ) Ho Jaati Hain.
Aur Kisi Kisi Ki Qabr’en Itni Chordi Ho Jaati Hain Ke Jahan Tak Uski Nighan Jaati Hain.
Aur Kaafiron Aur Baaz Gunahagaaro Ko Qabr Is Qadar Zor Se Dabati Hain, Aur Is Qadr Tang Ho Jaati Hain Ke Eedar Ki Phasliya Udhar Aur Udhar Ki Phasliya Eedar Ho Jaati Hain.
Qabr Mein Jo Kuch Azaab Wa Sawab Murde Ko Diya Jata Hain Aur Jo Kuch Is Per Guzarti Hain Woh Sab Cheeze Murde Ko Maloom Hoti Hain, Zinda Logo Ko Iska Koi Ilm Nahi Hota Jaise Sota Hua Admi Khwab Mein Aram Wa Takleef Aur Kisam Kisam Ke Manazir Sab Kuch Dekhta Hain, Lazzat Bhi Paata Hain Aur Taqleef Bhi Uthata Hain Magar Uske Pass Hi Mein Jaghta Hua Admi In Sab Baton Se Bekhabar Betha Rehta Hain. Barzakh Mein Entry K Sath Munkar Naqeer K Sawalat Shuru Hojayenge! Job Paisa Ghar Makan Mansab Zameen Dukan Karobar Sirf Ek Ankh Band Hui Dusron Ka Hojayega!!
ROOHon Se Mulaqat Aur Kalam
Salaeh Momin Ki Rooh Bahot Badi 15 Ft Ki Aur Noorani Aur Achche Libas Mein Aati Hai.
Aam Musalman Ki Roohon Ka Qad Chota Hota Hai 5 Ft, Noor Kum Hota Hai, Kapde Thode Gande Bhi Hote Hai.
Ishi Tarha Gunehgaar BeyHaal Aur Pareshen Aur Bikhre Baal Mein Aata Hai.
Murde Bolte Hain
Rasul Allah (Sws) Ka Irshad Mubarak Hai
Marne Ke Baad Nek Aadmi Ki Mayyit Apne Ahle Khana Se Mukhaatib Hokar Kahti Hai
” Mujhe Jaldi Le Chalo , Mujhe Jaldi Le Chalo”
Aur Bure Aadmi Ki Mayyit
” Haay Afsos Mujhe Kahan Liye Ja Rahe Ho”
Nabi E akram (Sws) Ka Irshad Hai
” Qabr Me Munkar Nakeer Ke Sawalon Ke Jawab Me Kamyaab Hone Ke Baad Momin Aadmi Ko Pahle Jahannum Dikhaayi Jaati Hai Phir Jannat Me Uska Thikaana Dikhaaya Jaata Hai, Isi Tarah Kaafir Aadmi Ke Nakaam Hone Par Pahle Use Jannat Dikhaayi Jaati Hai pHir Use Jahannum Aur Usme Use Uska Thikaana Dikhaaya Jaata Hai”
(Ahmad, Abu dawood)
Aap (Sws) Ka Irshad Hai
” jab Munkar Nakeer Qabr Me Aate Hain Toh Mayyit Ko (Uthaakar) Bitha Dete Hain”
(Bukhari, Muslim , ahmad)
Momin Aadmi Arzi Karta Hai
“Aiy Mere Rabb! Qayamat Jald Qayam Farma”
Jabki Kaafir Aadmi Yah Arzi Karta Hai
“Aiy Mere Rabb! Qayamat Qayem Na Karna”
(Ahmad, abu Dawood)
Rooh Marne K Baad Kahan Rehti Hai -
Marne K Baar Rooh Mukhtalif Jagahon Par Hoti Hai.
Momin Ki Rooh -
1. Uski Qabr Par
2. Zam Zam K Kuwwe Mein
3. Zameen aur Pehle Aasman K Beech
4. 7ve Aasman Par
5. Jannat K Parindion K Poton Mein
6. Kuch Ki Masjid K Taak Mein
Apne Apne Aamal K Aur Allah Ki Ata K Mutabik Inme Se Kahin Bhi Hoti Hai
Kaafir Ki Roohon Ko Zameen K Andar Dhasa Kar Qaid Kar Diya Jata Hai Aur Uspe Aazab Hota Rehta Hai.
Marne K Baad Apni ROOH Ko Behtar Maqam Par Dekhna Chate Ho Toh Kuch Hidayat Yaad Rakho -
Har Musalman K Andar ROOHANI Quwwat Hoti Hai (kisi mein kum kisi mein zyada)
Agar Aap Ko Andaz Karna Hai Ki Aap K Andar Roohani Quwwat Zyada Hai Toh In Alamaton Par Gaur Karo
1. Khwab Ka Saaf Dikhna
(ye aam khwab se alag hote hai iske background mein chandi k jaisi roshni hoti hai)
2. Peer, Ustad, Aalim, Buzurg, Saheb e Mazar, Awali Ka Khwab Mein Aksar Aana
3. Dua Ya Zikr K Waqt Jism Mein Jhatka Aana
4. Qabrastan Ya Mazar Par Hazri K Baad Kandha Bhari Hona
5. Qabr ya Mazar par Hazri K Baad Jism Garam Hojana Ya Haath Sun Padh Jana
Ye Sab Chand Alamat Hai Ki Aap Ki ROOH Saaf aur Qavi Hai.
Aise Insaan Ko Deeni Mamlat Mein Bahot Jald Kamyabi Milti Hai
QALB Ko Saaf Rakho Rooh Ko Taqat Milegi -
QALB Ki Bimari No.1
HASAD
Bhai Se Sage Bhai Ka QATL Karne Wala Gunah e Kabira Jo Insano Mein Sab Se Pehla Gunah Bhi Hai Usko *HASAD* (jealosy or envy) Kehte Hai.
Ye *QALB* Ki Bimari Hai, *HASAD* Rakhne Wala Insan Roohaniyat Mein *ZERO* Hota Hai.
QABEEL Ne Apne Bhai Habeel Ka Qatl HASAD Ki Wajah Se Kia.
Hazrat Yousuf Alayhisalam K Bhaiyon Ne HASAD Ki Wajah Se Unko Andhe Kuwe (well) Mein QATL K Irade Se Daal Diya.
Bhai - Bhai aur Khandani Jhagde Mein HASAD Ka Bahot Bada Role Hota Hai.
Isse Bacho! YE BARBADI HAI.
Hasad ka Taruf: [Hasad kise Kehte hai]
“Kisi Ko Khaata-Peeta Ya Falta-Foolta dekh kar Dil me Jalna aur Uski Neymato ke Zawaal (Khatam Hone) ki Tamanna Karna iss Kharab Aadat ka naam Hasad hai.”
✦ Hasad Bahut hi kharab aadat aur Nihaayat hi buri bala hai, Gunaah-e-Azeem hai. Hasad karne waale Ki saari zindagi Jalan aur Ghutan ki Aag me jalti rehti hai aur Ussey Chain wa Sukoon kabhi Naseeb nahi hota. [Ahyaaul Uloom Jild-3, Safa-187]
✦ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya: “Kisi Insan ke Dil me Emaan aur Hasad ikhatte nahi reh sakte.” [Sahih Bukhari Sharif]
– Yaani ke Imanwala Hasad nahi kar sakta. Ya fir jo Hasad karey wo Emaanwala nahi.
✦ Ek Riwayat me Aap (ﷺ) farmatey hai: “Apne Aapko Hasad (Jalan) se Bachao! Beshaq Hasad Nekiyon ko iss tarah kha jata hai, Jaise Aag Sookhi Lakdi ko kha jaati hai.“ [Abu Dawood]
✦ Hasad Aisi Buri Cheez hai jo Emaan ko Khokla aur Allah ki Rehmat se Mehroom kar deti hai. [ Gaus e Azam Hazrate Abdul Qadir Jilani (Rahmatullah Alayh)]
☪️☪️☪️
QALB KI BIMARI No.2 HIRS (Lalach)
Jab Aadmi per Duniya Kï Muhabbat ka nasha chadhta he to Wo Hirs ka mareez ban jata he ,Yani uske paas kitna hi maal v Daulat Jama ho jaye magar fir bhi Wo zyada ka talabgaar rehta he ,
Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Agar Aadmi ko Sone se bhari hui ek poori Vaadi bhi de Dï jaye to wo doosri vaadi ka talabgaar hoga aur agar doosri de di jaye to Wo teesri ka talabgaar hoga ,
Aur Aadmi ka pet to sirf mitti hi bhar sakti he ( yani Marne ke baad is laalach ka silsila khatm hoga ) aur Jo Tauba kare to Allah Ta'ala Uski Tauba qubool farmayega ,"
⚀•RєԲ: Bukhari Sharif, 2/953
◈ Ek doosri Rivayat me Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Aadmi bada ho jata he aur uske saath Uski Do khwahishe'n bhi badhti he'n ,Ek MAAL Kï Muhabbat doosri Lambi Umar Kï Tamanna,"
⚀•RєԲ: Bukhari Sharif, 2/950
◈ Hirs ke marz ko khatm karne ke liye un ahadees ko saamne rakhna chahiye jinme Duniya Kï mazammat waarid hui he'n ,Maslan ek Rivayat me he k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Duniya Momin ke liye qaid khana he aur Kaafir ke liye Jannat he ,"
⚀•RєԲ: Muslim Sharif, 20/407
◈ Isi tarah ek aur Rivayat me Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he ,
" Jo Apni Duniya se lagaav rakhega Wo Apni Akhirat ka nuqsaan karega
Aur Jo Apni Akhirat pasand karega Wo apni Duniya ganwayega ,Lihaza fana hone wali Duniya ke muqable me baqi rehne wali Akhirat ko tarjeeh do ,"
⚀•RєԲ: Mishkaat Sharif, 2/441
◈ isi tarah Hirs ko khatm karne ke liye ye Yaqeen bhi rakhna chahiye k Allah Ta'ala ne hamara rizq pehle se hi matayyan kar diya he ,Wo Hume baharhal mil kar rahega aur hamari Maut us waqt tak nahi aa sakti jab tak k hum apne muqaddar ke har har luqme ko na hasil kar le
☪️☪️☪️
QALB Ki Bimari No.3
BUKHL (Kanjusi)
Duniya Kï Muhabbat se Jo marz felte he'n Unme ek " Bukhl " he Jo insaan ko bahut se Amaale khair se rokne ka sabab banta he ,Bukhl MAAL Kï Muhabbat me ESA majboor ho jata he k Aqal ke taqaze aur Shara'i ahkaam ke bavjood use kharch karna bahut sakht bojh maloom hota he ,
◈ Kanjoos Aadmi aur Sadqa khairaat karne wale Kï misaal ese do Shakhso Kï tarah he Jo Lohe Kï do Zirhe pehne hue ho Jiski ( tangi Kï ) vajah se unke dono haath unke seene aur gardan se chimat gaye ho ,
Pas Jab Sadqa dene wala Sadqa dena shuru karta he to uski Zireh khulti chali jati he ,
Aur jab Bakheel kuchh sadqe ka iraada karta he to Zireh ke sab ajra mil jate he'n aur har har jod apni jagah pakad leta he ( Jiski Vajah se Bakheel ke liye sadqe ka iraada poora karna bada mushkil ho jata he ),
⚀•RєԲ Muslim Sharif, 1/328
◈ Zaroori aur Wajibi jagah per kharch karne me Bukhl karna Qur'an Kareem me kaafiro aur Munafiqo ka Amal bataya gaya he ,Bilkhusoos Zakaat farz hone ke bavjood Zakaat na nikaalna bad tareen azaab ka mojib he ,
◈ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Do Aadate'n Allah Ta'ala ko pasand he'n aur Do Aadate'n na-pasand he'n ,
Jo Do Aadate'n Pasand he'n Wo Sakhawat aur Khush Akhlaqi he aur Na-pasandida Aadate'n Bad khalqi aur Kanjoosi he ,Chunache Jab Allah Ta'ala kisi bande Se bhalai ka iraada farmate he'n to use logo Kï zaruriyaat poori karne ke kaam me laga dete he'n, "
⚀•RєԲ:- Shobul imaan ,7/436
☪️☪️☪️
QALB Ki Bimari No.4
BUGZ o Adawat (dushmani)
◈ Dil ko jin bad tareen Amraaz se bachana zaroori he unme ek Bada Marz kisi se Keena aur Bugz rakhna he ,Iska Duniyavi nuqsaan to zahir he k is Bugz v Adawat Kï Vajah se maamla kaha se kaha pahunch jata he ,aur Deeni nuqsaan ye he k Jab kisi se Bugz hota he to fir us per ilzamaat lagaye jate he'n, geebate Kï jati he'n ,Sazishe rachayi jati he Goya k ek marz na Jane kitne Kitne marzo ki vajah ban jata he ,
◈ Chunache Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya he ,
" Har hafte me do baar Peer aur Jumeraat ke din ( Allah Ta'ala ke darbaar me ) logo ke Amaal naame pesh kiye jate he'n, Pas Allah Ta'ala har imaan wale Shakhs Kï magfiat farmata he ,Sivaye ese Aadmi ke Jiski doosre se Dushmani aur Bugz ho to keh diya jata he k in dono ko abhi chhod do taki ye dono Sulah kar le ,"
⚀•RєԲ: Kanzul Ummal ,3/187
◈ Aur Baaz Rivayaat me he k Sha'baan Kï Pandrhvi Shab ko magfirat Kï jati he magar Keena parvar Kï is Raat me bhi magfirat Nahi hoti ,
⚀•RєԲ: Kanzul Ummal, 3/186
◈ Isliye Shariyat e islamiya ne Bugz v Adawat ke taqazo per Amal karne se nihayat sakhti se mana kiya he ,
[13/03, 11:13 am] Sarosh Bahaduri: 🏴🏳️🏁
Bimari Matlab ROOHANI Kamzori Jiski Wajah Se Deen Mein Tarraqi NAHI Hoti.
Isko Dur Karne Ko Kai Log "Qalb Ki Safai" Bhi Kehte Hai
☪️☪️☪️
QALB Ki Bimari No.5
TAKABBUR (ghamad or ego)
Ye Sab Se Pehle Shaitan (iblis) Ne Kia, Firaun Bhi Isi Bimari Mein Mubtela Raha.
Jo Takabbur Karta Hai Wo Inki Wirasat Hasil Karta Hai
Khud ko AFZAL, dusron ko HAKEER jaan ne ka naam takabbur hai.
NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM farmatey hai ki TAKABBUR haq ki MUKHALIFAT aur logou ko HAKEER jaan ne ka naam hai.
[Sahih Muslim, Kitabul Iman, Baab: Tahrimul kabir, Hadith 91]
AL QURAN:-
Yaad karo jab hum (ALLAH) ne Farishton ko hukm diyaa ki Aadam Ko Sajda
karo to sab ne Sajda kiya siwaaye Iblis ke Munkir huwa aur Guroor kiya
aur Kaafir Ho gaya.
(Al-Bakrah, 34 - Kanzool Eman)
☪️
Buzurg Farmate Hai QALB Mein Noor Ki Entry Ka 1 Point Hai
Aur Exit K 7 Points Hai
Ye 7 Point GUNAH Ko Rokne Se Band Hojate Hai
Aur Phir Insan Rohaniyat Mein Aage Badhta Hai.
Huzur Ashraful Fuqaha (mere peer) Farmate Hai Ye Raah (tariqat) Ek Khayi (valley) Hai Jisko Paar Karna Talwar Par Chalna Hai Isme Jism Nahi IMAN Kat Jata Hai.
Misal-
Agar Allah Daulat Dega Aur Insan Sabr Nahi Karega Toh Takabbur aur Bukhl Se Kat Jayega
Agar Allah Tangi Garibi Dega Aur Insan Sabr Nahi Karega Toh HASAD aur Lalach Se Kat Jayega!
Isko Paar Karna Hai Toh *SABR* Ka Pahad Banna Padega!!
☠️☠️☠️
Bahot Se Hamare Qareebi Log Hote Hai Jinko Allah Gareebi aur TangDasti Se Azmata Hai Wo Sabr Nahi Karte Aur LOOT CHORI HASAD HIRS QATL Mein Mubtela Ho Kar Deen aur Dunya Dono Barbad Karlete Hai
(Ye Qabeel aur Yahuda aur Uske Bhaiyon Jaisa Hojate Hai)
Aur Bahot Se Hamare Qareebi Log Hote Hai Jinko Allah Bahot Maal Daulat Asbab Taqat Deta Ye Sabr Nahi Karte Aur TAKABBUR ISRAF AYYASHI NASHA ZINA ADAWAT BUKHL Ka Shikar Hojate Hai
(Ye Iblees Firaun Haman Shaddad Abu Jahel Jaise Ban Jate Hai)
Jab Ke Agar
Garibi Par Sabr Kare Toh Hazrat e Esa Alayhi Salam Ka Rasta Hoga
Daulat o Taqat Par Sabr Kare Toh Hazrat Suleiman Alayhisalam Ka Rasta Hoga
Bimari Par Sabr Kare Toh Hazrat Ayyub Alayhisam Ka Rasta Hoga
Ilzam Par Sabr Kare Toh Hazrat Yousuf Alayhisalam Ka Rasta Hoga
Kuffar Ki Sakhtiyon Pe Sabr Kare Toh Nabi e Karim Muhammed Musatafa Sallalaho Alayhiwasallam Ka Rasta Hoga
Akelepan aur Tanhahi Par Sabr Kare Toh Hazrat e Adam Alayhisalam Ka Rasta Hoga
Zalimon K Zulm Se Muqabla Kare Toh Hazrat Musa Alayhisalam Ka Rasta Hoga
Muslaman AMBIYA Ki Zindigi Se Dars Hasil Karke Uspar Amal Karega Toh KAMYABI Hai
☪️☪️☪️
Hazrat Anas r.a. se riwayat hai ki Rasool ﷺ ne farmaya, “Jis aadmi me teen baate hogi woh Emaan ka maza Paa lega,
“Ek woh aadmi jise Allah aur uske Rasool puri dunya se zyada mahboob ho,
dusri ye ki jo kisi bande se mahaz *Allah hi ke liye mohabbat kare* aur teesri baat ye ki jise Allah ne kufr se nijaat di ho, fir dobara kufr ikhtiyar karne ko woh aisa bura samjhe jaisa aag me gir jane ko bura janta hai.”
Sahih al-Bukhari,21
Vol. 1, Book 2, Hadith 21
Aur Jo
Allah K Liye Dosti Karega
Allah K Liye Musalmano Se Muhabbat Rakhe Ga
Usko IMAN Ki Lazzat Mehsus Zarur Hogi.
Isme Kaun Si Mehnat Hai (physical) Ye Toh Sirf DIL Ki Baat Hai.
Apna DIL Musalmano K Liye SAAF Rakha Karo.
Dar Guzar Se Kaam Lo
اِنَّمَا وَلِیُّکُمُ اللّٰہُ وَ رَسُوۡلُہٗ وَ الَّذِیۡنَ اٰمَنُوا الَّذِیۡنَ یُقِیۡمُوۡنَ الصَّلٰوۃَ وَ یُؤۡتُوۡنَ الزَّکٰوۃَ وَ ہُمۡ رٰکِعُوۡنَ
“(Musalmaano!) Tumhaara Dost Khud Allaah Hai Aur Uska Rasool Hai Aur Eemaan Waale Hain Jo Namaazon Ki Paabandi Karte Hain Aur Zakaat Adaa Karte Hain Aur Woh Rukoo (Khushoo Wa Khuzoo) Karne Waale Hai."
وَ مَنۡ یَّتَوَلَّ اللّٰہَ وَ رَسُوۡلَہٗ وَ الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا فَاِنَّ حِزۡبَ اللّٰہِ ہُمُ الۡغٰلِبُوۡن
"Aur Jo Shakhs Allaah Se Aur Uske Rasool Se Aur Musalmaanon Se Dosti Kare, Yaqeen Maaney Ke Allaah Ta’aalaa Ki Jamaat Hi Ghaalib Rahegi.”
[Soorah Al-Maaidah, Aayat: 55-56]
Aur Allaah Ka Farmaan Hai:
مُحَمَّدٌ رَّسُوۡلُ اللّٰہِ ؕ وَ الَّذِیۡنَ مَعَہٗۤ اَشِدَّآءُ عَلَی الۡکُفَّارِ رُحَمَآءُ بَیۡنَہُم
“Muhammad (ﷺ) Allaah Ke Rasool Hain Aur Jo Log Unke Saath Hain Kaafiron Par Sakht Hai Aur Aapas Mein Raham Dil Hain.”
[Soorah Al-Fath, Aayat: 29]
Aur Farmaaya:
اِنَّمَا الۡمُؤۡمِنُوۡنَ اِخۡوَۃ
“(Yaad Rakho!) Saarey Musalmaan Bhaai Bhaai Hain.”
[Al-Hujuraat, Aayat: 10]
Hazrat Aboo Dhar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain
Ki Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : (Allah ‘Azza Wa Jalla Ke Nazdik) Aamaal Me Sab Se Afzal Amal (Aur Ahmad Kee Riwayat Me Hai Ki Sab Se Pyara Amal Aur Bazzar Kee Riwayat Me Hai Ki Sab Se Afzal ‘Ilm) Allah ‘Azza *Wa Jalla Ke Liye Mahabbat Rakhna Aur Allah ‘Azza Wa Jalla Hee Ke Liye Dushmani* Rakhna Hai.”
[Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/198, Raqam-4599,
Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/146, Raqam-21341,
🏴🏳️🏁
yuuñ to sayyad bhī ho mirzā bhī ho afġhān bhī ho
tum sabhī kuchh ho batāo musalmān bhī ho?
- Iqbal
Aaj Kal Toh Musalman Ki Apasi Dushmani Badhte Ja Rahi Hai (jo sakht khilaf e shariat hai)
Political Dushmani
Language (zuban) Par Dushmani
Shaher (city/state) Par Dushmani
Ameer - Gareeb Ka Farq
Zaat aur Khandan Ka Farq
Khankahon Mein Dushmani
Tanzeemon Mein Dushmani
Iska Khatma Zaruri Hai
☠️☠️☠️☠️☠️☠️
🏳️🏴🏁
Wo (sahaba) Mu’aziz (honoured) The Zamane Me
*Musalman* Ho kar,
Aur Tum Khwar Ho chuke hai
Tareek-e-QURAN Ho kar.
–Iqbal
Quran Ki Talim Bhula Doge Toh ZILLAT Hi Paoge.
☪️☪️☪️
‘momin banda Allah k nazdek baz firishto se b zyada izzat wala hai'
(ibne maja 1745)
“Momin tou aise hotey hai
1. Jab Allah ka Zikr Aata hai tou Unke Dil Hil jaate hai
2. Jab Allah ki Aayat Unke Saamne Padkar Sunaayi jaati hai tou Wo Aayat Unke Imaan ko aur Zyaada kar Deti hai
3. Wo Allah par Poora Bharosa karte hai
4. Jo Namaz Ki Paabandi karte hai
5. Jo Kuch Hamne (Allah) Unko Diya Hai Uss me se Kharch Karte hai
Pas yeh Sacche Momin hai Unke Liye Allah ke Yahan Bade Darjaat hai aur Magfirat hai aur Izzat ki Rozi hai.”
– Surah Al-Anfal 8:2-4
Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne
Kaaba-e-Mouzzama Se Muqhaatib Ho Ke Farmaya:
“Momin Ki Hurmat Tujh Se Jyada Hain.
– (Tabarani: Chapter-‘Ikramul Muslimeen’)
☪️☪️☪️
ALLAH K Liye DUSHMANI
یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَتَّخِذُوۡا عَدُوِّیۡ وَ عَدُوَّکُمۡ اَوۡلِیَآء
“Aye Eemaan Waalon ! Mere Aur Khud Apne Dushmanon Ko Apna Dost Na Banaao...”
[Al-Mumtahinah, Aayat : 1]
Balke Allaah Ta’aalaa Ne Tou Muminon Par Kuffaar Ki Muhabbat Ko Haraam Qaraar Diya Hai Chaahey Woh Kaafir Kitne Hi Qareebi Rishtedaar Hi Kyun Na Ho.
Farmaan ilaahi Hai:
یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَتَّخِذُوۡۤا اٰبَآءَکُمۡ وَ اِخۡوَانَکُمۡ اَوۡلِیَآءَ اِنِ اسۡتَحَبُّوا الۡکُفۡرَ عَلَی الۡاِیۡمَانِ ؕ وَ مَنۡ یَّتَوَلَّہُمۡ مِّنۡکُمۡ فَاُولٰٓئِکَ ہُمُ الظّٰلِمُوۡنَ
“Aye Eemaan Waalon ! Apne Baapon Ko Aur Apne Bhaaiyon Ko Dost Na Banaao Agar Woh Kufr Ko Eemaan Se Zyaada Azeez Rakhein, Tum Mein Se Jo Bhi Unse Muhabbat Rakhega Woh Poora Gunahgaar Zaalim Hai.”
[Soorah At-Taubah, Aayat : 23]
[15/03, 11:50 am] Sarosh Bahaduri: Allah K Liye Dosti aur Dushmani Donon Haqeeqat Mein Eemaan Ki Bunyaadi Sifaat Hain.
Allaah Se Muhabbat Ka Taqaaza Yeh Hai Ke Allaah Ke Ambiyaa Karaam Aur Unke Itaa’at Guzaaron Se Muhabbat Kee Jaaye.
Isi Tarah Allaah Aur Uske Ambiyaa Karaam Ke Dushmanon Se Adaawat (Dushmani) Rakhi Jaaye Aur Unke Naafarmaano Se Zyaada Se Zyaada Bughz (Nafrat) Rakha Jaaye.
[15/03, 11:50 am] Sarosh Bahaduri: Allaah Ne Farmaaya :
یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَتَّخِذُوا الۡیَہُوۡدَ وَ النَّصٰرٰۤی اَوۡلِیَآءَ بَعۡضُہُمۡ اَوۡلِیَآءُ بَعۡضٍ ؕ وَ مَنۡ یَّتَوَلَّہُمۡ مِّنۡکُمۡ فَاِنَّہٗ مِنۡہُمۡ ؕ اِنَّ اللّٰہَ لَا یَہۡدِی الۡقَوۡمَ الظّٰلِمِیۡن
“Aye Eemaan Waalon ! Tum Yahood Wa Nasaara Ko Dost Na Banaao Woh Tou Aapas Mein Hi Ek Doosre Ke Dost Hain. Tum Mein Se Jo Koi Unse Dosti Karega Tou Phir Beshak Woh Bhi Unhi Mein Se Hai. Zaalimon Ko Allaah Hargiz Seedha Raasta Nahi Dikhaata.”
[Al-Maaidah, Aayat : 51
Jo Bhi Allah K, Ambiya K, Sahaba aur Awalia K Dushman Hai Wo Hamare Dushman Hai.
Jaise -
Iblees, Firaun, Qarun, Namrud, Haman, Shaddad, Abu Jahel, Sab K Sab MUSHRIK KAFIR aur Sab K Sab GUSTAKHI (Rafzi Shia Dev Bandi 24 Wahabi Qadyani)
DUSHMANI aur DOSTI K Usool Bhi Quraan Mein Clear Hai
Zalim o Maqroor Se Muqbla Karo
Unka Haath Roko
Mazloom Ki Madad Karo
Dekho Phir Deen Mein Kitni Tarraqi Hoti Hai
Ye Sab Ambiya aur Sahaba Ki Zindigi Se Seekho!
Allah Ki Raza Hasil Karne K Tariqe 10 Hazar Se Zyada Hai Koshish Karte Raho Wo Apni Taraf Bula Lega!
Rasta Kuch Bhi Ban Jayega
🏳️🏴
Mere Kuch Pehchan Wale Hai Jo "Biradri Se Darte Hai" Lekin Unko Allah Ki Raza Bhi Hasil Karna THA
25 Saal Se Zyada Hogaya *MURAQEBA* Karte Hue ALLAH Nahi Mila 😁
Tahir ul Qadri Ko Pakad K SUFI Ban Gaye!
25 Saal Bhi Gaya
GUMRAH Bhi Hogaye!!!
Aur Jo RADD e WAHBIYA Wgaira Karte Rahe Unka Iman Bhi Salamat Hai Kamyab Bhi Hai
Pehle DUSHMANI Karo Phir Pata Chalega 25 Saal Muraqeba NAHI Karo
25 Din Allah K Liye Dushmani Karo
Farq Pata Chalega.
Aur BOYCOTT Wagaira Se Drana NAHI,
*ABU LAHAB aur Kuffar e Makka Ne Nabi e Karim Ka BOYCOTT* Kia Tha.
(Ye Sab Hoga Isse Darjat Buland Honge)
☪️☪️☪️
Hazrate Abi bin Kaab ne Hazrat UMAR Faruq Razi Allahutala Anhu se puchha ke
“ *Taqwa Kya Hai* "?
Aap ne farmaaya
“Kabhi kaantedaar raaste par chale ho?
Jaise waha Kapdo ko aur Jism ko bachaate ho waise hi Gunaaho se bachne ka naam Taqwa hai.”
☪️☪️
aadmi apnay dost kay deen aur aklaaq par hota hai, isliye tum may say (har) ek ko dekhna chahiye kay vo kis say dosti kar raha hai.
(jaamiya tirmizi 2378)
Qur’an :
10 Surah al-Yunus, Aayat 62-63-64 :
Wo log (wali) jo *imaan* laaye aur (hamesha) *taqwa* par rahe.Un ke liye duniya ki zindagi me (izzat wa kaamyabi ki) khushkhabari hai aur aakhirat me bhi (maghfirat wa shafa’at ki).
Qur’an :
9 Surah at-Tauba, Aayat 112 :
Wo *Tauba* karne wale, *Ibaadat* karne wale , (ALLĀH ki) *Ta’arif* karne wale, Rooku’ karne wale, Sajdah karne wale, Achhi baato ka hukm karne wale aur buri baato se rokne wale aur ALLAH ke hudood (shariat e islaam) ki hifaazat karne wale hain aur aise Mo’mino ko (jannat ki) khushkhabari suna do.
Ambiya Mein Sab Se Zyada Gareeb Hazrat e Esa Alayhi Salam aur Nabi e Karim Muhammed Mustafa Sallalahu Alayhiwasallam Ne Ikhitiyar Ki
(Faaqa Hona Payband Wale Kapde Pehanna Inki Zindigi Ka Hissa Raha)
Aur
Waise Hi Sahaba Mein Sab Se Zyada Gurbat Se Aazmaye Jane Wale
*Hazrat Umar Faruq* Razi Allahutala Anhu Bhi Hai
Inka Libas Aisa Hojata Tha Ki Kohi Sawali (Bhikari) Bhi Inse Sawal Nahi Karta Tha.
Chappal Tute Hue
Kapdon Mein Kayi Saare Payband
Garibi Is Ummat K Aksar Logon (majority) K Saath Hogi.
SABR Toh Karna Hi Hai Warna Gunah Se Barbad Hojaoge.
Aur Jo Log *QALB Jari* Karne K Khahish Mand Ho Ya Lataif Wagaira Ko Jari Karna Chahte Ho
Wo Kuch FANCY MURAQEBA Wagaira Na Kare (25 Saal Bhi Kuch NAHI Hota)
SulehKulli Sufiyon Ka Chakkar GUMRAHI Hai
Kohi KAMIL Peer Talash Karo Wo Maan Jaye Toh Ye Sab *5 MINUTES* Ka Kaam Hai
☪️☪️☪️
MURAQEBA
Islam Mein Iski Haqiqat Hai. Nabi e Karim aur Buzurgon Se Sabit Hai. English Mein Isko Meditation Kehte Hai. Isse Roohani Tarraqqi Bhi Hoti Hai aur Bahot Sawab Bhi Hai.
*LEKIN*
1. Ye Jahilon K Liye NAHI
2. Ustad Ya Peer Ki Rehnumai Zaruri Hai
3. Farz Uloom Compulsory Hai
4. Aqida Maslak e Ala Hazrat Wala Ho
-
Muraqeba
Na Farz Hai
Na Wajib Na Sunnat e Muaqqda
Nahi Bhi Kare Toh Kohi Kabahat Ya Gunah Nahi.
Aur
Qaza e Umri Baqi Hai Tob Ye Karna Mana Hoga (Farz Par Dhyan Rakhe)
ALLAH Ki RAZA Hasil Karna Musalman Ki Zindigi Ka Asal Maqsad Hai.
Har Amal (Namaz Roza Zaqat Hajj Tauba Zikr Uthna Baithna Chalna Sona Kamana Khana Sab)
Allah Ki Raza Hasil Karne Ki Niyat Se Hi Ho.
Agar Allah Ki Raza 1 Lamhe K Liye Bhi Hasil Hojaye Toh Dunya Jahan Mein Jo Kuch Bhi Hai Usse Behtar Inam Hai.
Jisse Allah Razi Hota Hai Uski Madad Khud Allah, Uska Rasul, Ambiya, Auliya, Nek Musalman, Farishte Aur Farishton K Rasul Hazrat Jibraeel Alay Hi Salam Bhi Karte Hai.
Tamam Allah Ki Makhlooq Isse Muhabbat Karne Lagti Hai
Toh NIYAT Sirf Allah Ki Raza Hasil Karna Hi Ho.
☠️☠️☠️
Shaitaan Ka Makr o Fareb
Jo Musalman Neki Ka Irada Karta Hai Usko Sahaitaan Kai Tariqon Se Behkata Hai
Uski NIYAT Ko Kharab Ya Halka Kar Deta Hai
Uske WAQT Ko Kum Darje Ki Ibadat Mein Zaye Kardeta Hai
Jaise Ushi 1 Ghante Mein Insaan Elm e Deen Hasil Kar Sakta Hai (jo FARZ hai) aur Behek Gaya Wahi 1 Ghanta Muraqebe Mein Laga Dega Jo Mustahab Hai.
Allah Shaitan K Fareb Se Bachaye!
Q. QALB Jari Hone Ka Kia Matlab Hai?
Ye Aksar Peer e Tariqat Karte Hai Apne Muridon Ka.
Dil K Paas Ek Noorani Nukhta Hota Hai Uspar Peer Apne Noor Ki Roshni Ya Tawajjo Farmata Hai
Jisse Isnaan Ka Dil Allah Ki Ibadad Mein Zyada Lagta Hai Aur Alag Alag Roohani Mushahidaat Bhi Hote Hai, Dil K Paas Kabhi Kabhi Ek Phad Phadane Ki Kaifiyat Bhi Mehsus Hoti Hai.
Wahi Noor Pure Wajood Mein Fayl Jata Hai Aur Insaan Roohaniyat Mein Bahot Aage Badh Jata Hai.
Jiska Qalb JARI Hota Hai Uska Maximum Time Allah K Zikr Allah Ki Baat Elm e Deen Wgaira Mein Invest Hojata Hai aur Zindigi Kamyaab Hoti Hai
☪️
Allah K Zikr Ki Qismen
A. Zikr e Jahri - Jo Buland Awaz Se Hota Hai. (Ye Qadri Silsile Mein Hota Hai)
B. Zikr e Qalbi ya Khafi - Jo Awaz Se Nahi Saans Ya Tawwjjo Se Hota Hai
(Ye Naqshbandi Silsile Wagaira Mein Hota Hai)
Dono Mein Se Behtar Kaun Sa Hai?
Ulema K Nazdeek Dono NAFIL Hai Aur Dono Mein Se Jo Zyada Chupa K Kare aur Jisme Tawwajjo Zyada Ho Wo Behtar Hai.
Albatta
Jo Jis Silsile Se Hai Usko Waisa Hi Zikr Karna Behtar Hota Hai.
Zikr K 1 Aur Qism Ulema Bayan Farmate Hai
C. Zikr e Badani (body parts jisse allah ki yaad ho ya allah ka kaam kare) Jaise
1. Namaz Padhne Mein Jo Body Ka Movement Hai (Qayam Karna, Ruku Karna, Sajda Karna, Qayda, Salam Pherna) Ye Sab ZIKR e ELAHI Hai
2. HAJJ Aur TAWWAF Mein Chalna (Walking) aur Bhagna (Running)
3. Roze K Dauran Bhooka Payasa Rehkar Jism Ko Allah Ki Huqm K Mutabik Rakhna
4. Elm e Deen Hasil Karne K Liye Chalna ya Taklif Uthana
5. Madrassa Ya Masjid Ya Tanzeem K Kaam Mein Jismani Mehnat Karna
6. Jihad Karna Ya Uske Liye Kasrat aur Paractice Karna
Wagaira......
--
MasLA
Namaz Farz Hai aur Jamat Wajib
Ab Masid Mein Namaz Chal Rahi Ho aur Kohi Side Mein Baith K Nafil Allahu Allahu Ka Zikr Karega Toh Usko
*Sawab Milega Ya Gunah?*
Gunahgaar Hi Hoga Allah Isse Razi Nahi Hoga.
Jo FARZ o WAJIB Hai Wo Sab Se Pehle *TOP PRIORITY*
🏁🏁🏁🏁🏁🏁🏁🏁
Jiska Farz Uloom Baqi Hai Wo Gaar o Gufa Mein Baith K Nafil Zikr Karega Muraqeba Karega Usko Kuch NAHI Hasil Hoga.
*FASIQ* Hi Rahega!
Har Fitne Ka Radd Farz e Azam Hai.
Shia Rafzi
Wahabi Deobandi
Qadyani Ahmedi
Ye Saare Aaj K Bade Fitne Hai.
Ahle Sunnat Wa Jamat Se Inka Kohi Talluk Nahi.
الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ