DUA Momin Ka Hatyar Hai, Dua Se Taqdeer Badalti Hai aur Dua Allah K Lashkaron Mein Se Ek Lashkar Hai.

Quran-E-Kareem Me Farmane Bari
Ta’ala Hai :
Tarjuma-E-Kanzul Iman :
"Aur Tumhare Rabb Ne Farmaya Mujh Se Dua Karo Mein Qubool Karoonga Beshak Woh Jo Meri Ibadat Se Unchey Kheenchtey (Takabbur Karte) Hain An Qareeb Jahannum Me Jayenge Zaleel Ho Kar."
Reference {Al Qur’an : Parah: 24 , Al'Mominoon : 60}

Ek Maqaam Par Irshaad Farmaya :
Tarjuma-E-Kanzul Iman :
"Aur Aye Mehboob Jab Tum Se Mere Bandey Mujhe Poonchey Toh Mein Nazdeek Hoon Dua Qubool Karta Hoon Pukarney Wale Ki Jab Mujhe Pukarey Toh Unhein Chahiye Mera Huqm Maaney Aur Mujh Par Imaan Laaye Ki Kahin Raah Paayein."
Reference {Al Qur’an : Parah : 2 , Al' Baqarah : 186}

Neez Rasul Allah ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﻲ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺍﻟﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ne Kaseer Ahadees Mubaraka Me Baar Baar Dua Mangney Ki Targheeb Dilaayi Hai. Chunanchey Irshaad Farmaya :
“Dua Ibadat Ka Maghz Hai”
Aur Na Maangney Ki Surat Me Rabbe Jaleel Ka Nihayat Sakht Huqm Bhi Sunaya :
“Jo Mujh Se Na Mangega Mein Us Par
Ghazab Farmaonga”

Aadab-E-Dua
Sadrul Afazeel Hazrate Allama Maulana
Sayyed Mohammad Naeemuddin
Muradabadi ﺭﺣﻤﺔ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﻲ ﻋﻠﻴﻪ “Khazainul Irfan” Me Farmatey Hain :
ALLAH Ta’ala Bando Ki Duaaein Apni Rehmat Se Qubool Farmata Hai Aur Un Ke Qubool Ke Liye Chandd Shartein Hain :
Ek Ikhlas (Dua Me)
Doosri Yeh Ki Qalb Ghair Ki Taraf
Mashgool Na Ho.
Teesri Yeh Ki Woh Dua Kisi Amre
Mam’nu Na Ho
Chauthi Yeh Ki ALLAH Ta’ala Ki Rehmat Par Yaqeen Rakhta Ho.
Paanchwi Yeh Ki Shikayat Na Kare Ki Mein Ne Dua Maangi Qubool Nahi Hui. Yeh Sharaait Naql Farmaney Ke Baad Sadrul Afazeel Farmatey Hain :
Jab In Sharton Se Dua Ki Jaati Hai, Qubool Hoti Hai. Hadees Shareef Me Hai Ki Dua Karne Wale Ki Dua Qubool Hoti Hai Ya Toh Us Ki Muraad Duniya Hi Me Us Ko Jald De Di Jaati Hai Ya Aakhirat Me Us Ke Liye Zakheera Hoti Hai Ya Usse Uske Gunahon Ka Kaffara Kar Diya Jaata Hai

Dua Ke Teen (3) Faayde:
Shehenshahe Madina, Qarar-E-Qalbo Seena ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟٰﯽ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺍﻟﮧ ﻭﺳﻠﻢ Ka Farmane Aalishan Hai :
Jo Musalman Aesi Dua Karey Jis Me Gunah Wa Qataye Rehmi Ki Koi Baat Shamil Na Ho Toh ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Usey Teen (3) Cheezon Me Se Koi Ek Zaroor At’aa Farmata Hai :

1⃣ Us Ki Dua Ka Nateeja Jald Hi Us Ki
Zindagi Me Zaheer Ho Jata Hai.

2⃣ ALLAH ﻋﺰﻭﺟﻞ Koi Musibat Us Bandey Se Door Farma Deta Hai.

3⃣ Us Ke Liye Aakhirat Me Bhalayi Jama Kar Di Jaati Hai.

Ek Riwayat Me Hai Ki Banda Jab Aakhirat Me Apni Duaaon Ka Sawab Dekhega Jo Duniya Me Mustajaab (Yani Maqbool) Na Hui Thi Toh Tamanna Karega : Kaash ! Duniya Me Meri Koi Dua Qubool Na Hui Hoti.
Reference {Tirimizi : 5/243 , Hadees : 3382
Al Jama ul Sageer : Safha : 377 , Hadees :
6069}
Reference {Tirimizi : 5/292 , Hadees : 3490
Islam Ki Buniyadi Baatein-Hissa 3 (Hindi),
Maktabatul Madina-Hind, Safha : 333 - 335}

Hazrate Sayyeduna Abu Hurairah رضي الله تعالٰی عنه  Se Riwayat Hai Ki Nabi-E-Kareem صلی اللہ تعالي علیہ والہ وسلم Ne Farmaya :
“Dua Momeen Ka Hathiyaar, Deen Ka Stuoon Aur Zameeno Aasman Ka Noor Hai.”
Reference {Mustadrak: Jild 2 , Safha 162
Jannat Me Le Jaane Wale Aa’mal (Hindi), Maktabatul Madina-Hind, Safha 483}

Ameerul Momineen Hazrate Sayyeduna Umar bin Al-Khattab رضي الله تعالٰی عنه  Farmate Hain Ki
“Beshak Dua Zameeno Aasman Ke Darmiyan Ruk Jaati Hai Aur Jab Tak Tum Apney Nabi  صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Par Durood-E-Paak Na Padh Lo, Us Me Se Koi Cheez Buland Nahi Hoti.”

Ameerul Momineen Hazrate Sayyeduna Ali رضي الله تعالٰی عنه Se Marwi Hai Ki “Har Dua Rok Di Jaati Hai Jab Tak ALLAH Ke Mehboob صلی اللہ تعالٰی علیہ والہ وسلم  Par Durood Na Padh Liya Jaaye.”

Reference {Jamia At Tirmizi : Hadees 486
Book ref. : 3, Hadees 35
Eng ref. : Jild 1, Book 3, Hadees 486}
Reference {Tabrani : Jild 1, Safha 211}
Reference {Jannat Me Le Jaane Wale Aa’mal, Maktabatul Madina Hind, Safha 501.}

Dua "Ibadat" Hai Aur Ibadat Sirf Allah Ki.
RasulAllah
AwliaAllah
Ka Wasela Ya Wasta Pesh Kar Sakte Hai, Magar DUA Nahi Kar Sakte.
Wo Khuda NAHI, Isliye Unki Ibadat Nahi, Isliye Unse DUA Nahi.

Dua Ki Sharai Hasiyat "SUNNAT" Hai.
Dua Agar Na Bhi Qabool Ho (us waqt) Tab Bhi Sunnat Ka Sawab o Barkat Zarur Milti Hai. Isliye ALLAH Se Hamesha DUA Kia Karo.

Dua Kabhi Bhi Karo, Agar Insan Nek Hai Qabool Zarur Hoti Hai aur Kuch Khas Mauqe Jisme Dua Khaas Taur Se Qabool Hoti Hai Wo Hai -
1. Har FARZ Namaz K Baad.
2. Raat K Akhri Hisse Mein (Subah Saqiq K Pehle K 2 Ghante)
3. Juma Ka Pura Din aur Shab e Juma Ki Puri Raat.
4. Mazlum Ki Dua Aur BadDua Dono Seedha Allah K Paas Jati Hai.
5. Eid ul Fitr aur Eid ul Adha K 3 Din aur 3 Raat.
6. Pura Ramzan aur Iftaar K Waqt Khas.
7. Safar Karte Waqt.
9. Baap Ki Dua Aulad K Liye.
10.Hakim (badshah) Ki Dua Uski Riyaya K Liye.
11.Arfah 9 Dul Hijja K Din
12.Yaum E Ashura K Din
(Aisa Bahot Waqt Hai Jisme Dua Qabool Hoti Hai Jinme Se Kuch Likha Hai)
Neki Karte Waqt
Jaise Sadka Dey Rahe Ho, Saath Mein Dua Karo Qabool Hogi.

Waise Kafir O Mushrik Ki Dua Bhi Allah Qabool Karta Hai 
(Wo Allah Ka Mamla Hai)
Jaise
1. Yajooj o Majuj Dua Karenge "InshaAllah Ye Diwar Kal Chat Kar Puri karenge Wo Qabool Hogi.
2. Sharabi Tauba Karta Hai
Toh Sharab SIRQA Ban Jata Hai,
Hazrat Umar R.A Wala Waqia.
(Allah Ki Shaan Hai,
WO JISKI Chahe Jab Chahe Dua Qabool Kare).
3. Jab Kafiron Par ZULM Ho
4. India K Mushrik Dargah Par Jate Hai, Mannat Karte Hai Buzurgon K Waseele Se Dua Karte Hai
Unki Bhi Mannat o Dua Qabool Hojati Hai.
....
Hazrat Ibrahim Bin Adham Rahmatullah Alayh, 
se kisi ne sawal kiya k hame kiya huwa k hamari dua qabool hi nahi hoti toh 
Hazrat Ibrahim Bin Adham ra ne Farmaya is liye k tumhare dil 10 cheezon ki waje se murda ho chuke hai, Poochne wale ne pucha wo 10 cheezen kya hai?  

Hazrat Ibrahim Bin Adham Rahmatullah Alayh ne Farmaya - 

1.Tum Allah ko pehchante ho magar us ki Ita’at Nahi karte.
2.Tum Rasulullah sallaallahu alaihi wasallam ko pehchante ho magar un ki sunnaton ki itteb’aa nahi karte.
3.Tum Quran ko pehchante ho magar us per Aml Nahi karte.
4.Tum Allah ki naimaton ko khate ho magar Shukr ada nahi karte.
5.Tum jannat ko pehchante ho magar us ko Talab nahi karte.
6.Tum dozakh ko pehchante ho lekin tumus se door nahi bhagte.
7.Tum shaitan ko jante ho lekin us se ladte nahi ho bal k tum uski mushabihat, karte ho.
8.Tum mout ko jante ho lekin uski tayyari nahi karte.
9.Tum murdon ko dafan karte ho lekin tum un se Ibrat hasil nahi karte.
10.Tum Neend se bedar ho ker logon k uyoob daikhne me mashgool hojate ho aur apen uyoob ko bhool jate ho.

As Salato Was Salamo Alayka 

Har Fitne Ka Radd Farz e Azam Hai.
Shia Rafzi
Wahabi Deobandi
Qadyani Ahmedi
Ye Saare Aaj K Bade Fitne Hai.
Ahle Sunnat Wa Jamat Se Inka Kohi Talluk Nahi.
الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ