Pani, Wazu Aur Gusl K Masail Hanfi 37
PAANI KA BAYAN
ALLAH T'ALA farmata hai..
✅Tarjama :-
🚿Aasman se humne paak
karne wala pani utara,
Aur farmata hai :-
✅Tarjuma :-
🚿Aasman se tum par pani
utaarta hai ki tumhe usse paak kare aur
shaitan ki paleedi tum se door kare.
✅HADEES :-
🚿IMAAME MUSLIM ne
HAZRATE ABOO HURAIRA
RADIYALLAH
T'ALA ANHU se riwayat ki,
ki RASUL ULLAH
SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI
WASALLAM
Farmate hain ki tum me se koi shakhs janaabat ki haalat me Rooke hue pani
me na nahaaye
( yani thode pani me jo
dah dar dah na ho is liye ki dah dar dah
bahte pani ke hukm me hai) logon ne kaha to ai
ABOO HURAIRAH ! Kaise kare
kaha usme se le le.
📚(Bahare shariat)
✅HADEES :-
🚿IMAAME MALIK WA ABOO DAAUD aur TIRMIZI ABOO HURAIRA RADHIYALLAHU T'ALA ANHU se riwayat karte hain ki ek shakhs ne HUZOOR SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI WASALLAM se poochha ki hum dariya ka safar karte hain aur apne sath thoda sa pani le kar jate hain to Agar Usse Wuzoo karein to pyaase Rah jayenge to kya samundar ke pani se hum wuzoo karein ?
🚿AAP ne farmaya Uska Pani Paak hai Aur uska mara hua jaanwar halaal hai yani machhli.
📚(Bahare shariat.)
✅Mas,ala :-
🚿Agar pani me koi aisi cheez Nikli jisse rang ya boo ya maze me farq aa gaya magar uska patlaapan na gaya jaise retaa choona yaa thoda zaafran to wuzoo jaiz hai aur jo zaafran ka rang itna aa gaya ki kapda rangne ke qaabil ho jaye to wuzoo jaiz nhi yuin hi purhiya ke rang ka hukm hai aur agar itna doodh mil ki doodh ka rang gaalib (zyada) na hua to Wuzoo jaiz hai,
Warna nahi,
🚿Gaalib Magloob ki pahchan yeh hai ki jab tak yeh kahe ki pani hai jisme kuch doodh mil gaya to wuzoo jaiz hai aur jab usse lassi kahein to wuzoo najaiz aur agar patte girne ya puraane hone ki wajah se rang badle to harz nhi lekin agar patto se pani gadhaa ho gaya to us pani se wuzoo jaiz nhi.
✅HADEES :-
🚿Sunne ABOO DAAUD WA TIRMIZI aur IBNE MAAJA me HAKAM IBNE AMR RADHIYALLAHU T'ALA ANHU se riwayat hai ki
HUZOOR E AKRAM SALLALLAHU T'ALA ALEIYHI WASALLAM ne is baat se mana farmaya ki aurat ke Tahaarat se Bache hue pani se mard wuzoo na kare.
📚(Bahare shariat)
✅HADEES :-
🚿AMEERUL MOMINEEN HAZRATE FAROOQE AAZAM RADHIYALLAHU T'ALA ANHU ne Farmaya ki Dhoop se Garm pani se gusl na karo ki woh bars (safed daag) paida karta hai.
📚(Bahare shariat)
☑KIS PANI SE WUZOO JAIZ HAI AUR KIS SE NHI :-
✅Mas,ala :-
🚿Jis pani se wuzoo jaiz hai us se Gusl bhi jaiz aur jisse Wuzoo najaiz usse gusl bhi najaiz hai,
✅Mas,ala :-
Menh,
Nadee,
Naale, Samundar,
Dariya,
Kuyein,
Barf
Aur
Aole ke pani se wuzoo jaiz hai,
(Naale se Muraad woh naala jisme najees na pahta ho balki saaf pani)
✅Mas,ala :-
🚿Jis pani me koi cheez mil gai ki bol chaal me use pani na kahein balki uska koi aur naam ho gaya jaise sharbat ya pani me koi aisi cheez daal kar pakaayein jisse maqsad meik katna na ho jaise shorba, chaay,
Gulaab ya aur ark usse wuzoo aur gusl jaiz nhi.
📚(Bahare shariat)
✅Mas,ala :-
🚿Bahte Pani ki usme tinka daal dein to bahaa le jaye woh pani paak aur paak karne wala hai,
🚿Najaasat padhne se napaak na hoga jab tak ki us najaasat se pani ka Rang,
Boo aur mazaa na badle aur agar najees se Rang,
Boo aur Mazaa badal jaye to pani napaak ho jayega,
🚿Ab us waqt pani paak hoga ki najaasat neeche baith kar uske ausaaf thik ho jayein ya paak pani itna mil jaye ki najaasat ko baha le jayein ya pani ke
Rang,
Boo aur
Mazaa thik ho jaye aur agar paak cheez ne
Rang,
Boo aur
Mazaa ko badal diya to usse wuzoo karna aur nahana jaiz hai jab tak dusri cheez na ho jaye.
(Yani kuch aur naam ho jaye jaise sharbat)
✅Mas,ala :-
🚿Naali ka pani ki barish ke baad thahar gaya agar usme najaasat ke tukde maloom hon ya rang aur boo ka pata chale to napaak warna paak hai.
📚(Bahare shariat)
✅Mas,ala :-
🚿Aise hi Naaliyon se Barsaat ka Bahta pani paak hai jab tak Najaasat ka Rang,
Boo aur Mazaa usme zahir na ho raha usse wuzoo karna agar us pani me dikhaai padhne wale najaasat ke zarre aise bahte ja rahe ho ki jo chullu me liya jayega usme ek aadh zarra najaasat ka bhi zaroor hoga tab to hath me lete hi napaak ho gaya,
🚿Usse wuzoo haraam hai warna jaiz hai aur bachna behtar hai.
📚(Bahare shariat)
✅Mas,ala :-
🚿Murda jaanwar nahar ki chourhaai me padha ho aur uske upar se pani bahta hai aur jo pani usse mil kar bahta hai usse kam ho,
🚿Jo Uske upar se bahta ya zyada ho ya barabar har jagah se wuzoo jaiz hai yahan tak ki najaasat ki jagah se bhi jab tak ki najaasat ki wajah se pani ke kisi wasf me tabdeeli na aaye.
✅Mas,ala :-
🚿Chhat ke parnaale se pani gire woh paak hai agarche us par jagah jagah najaasat padhi ho agarche najaasat parnaale ke muh par ho agarche najaasat se mil kar jo pani girta ho woh aadhe se kam ya barabar ya zyada ho jab tak najaasat se pani ke kisi haalat me tabdeeli na aaye,
🚿Yehi sahi hai aur agar meh (barish) ruk gaya aur pani ka bahna khatm ho gaya to ab thahra hua pani aur jo chhat se tapke najees hai.
✅Mas,ala :-
🚿Agar khushk (sukhe) talaab me najaasat padhi ho aur menh barsha aur usme bahta hua paak pani is qadr aaya ki bahaaw rukne se pahle dah-dar-dah ho gaya to woh pani paak hai aur agar us menh se dah-dar-dah se kam raha aur dobara barish se dah-dar-dar hua to sab najis hai,
🚿Haan Agar woh Bhar kar bah jaye to paak ho gaya agarche hath 2 hath baha ho.
📚(Bahare shariat)
✅Mas,ala :-
🚿Taalaab ya badha houj upar se jam gaya magar barf ke neeche pani ki lambaai chouraai (100 hath) muttasil dah-dar-dah ke miqdaar hai aur suraakh kar ke us se wuzoo jaiz hai agarche usme najaasat padh jaye aur agar muttasil dah-dar-dah nhi aur usme najaasat padhi to napaak hai,
🚿Fir agar najaasat padhne se pahle usme suraakh kar diya
aur usse pani ubal padha to dah-dar-dah ke miqdar feil gaya to ab najaasat padhne se bhi paak rahega aur usme dal ka wohi hukm hai jo upar (peechhle post) guzar chuka.
📚(Bahare shariat)
✅Mas,ala :-
🚿Badhe houj ke najis na hone ki yeh shart hai ki uska pani muttasil (mila hua) ho to aise houj me latth ya karhiyaan gaarhi gai hon to un karhiyon latthon ke alawa 100 hath hai to badha warna nhi yani latth wa karhiyon warairah ko pura me se ghata kar dekhna padhega,
🚿Albatta patli patli cheezein jaise ghaas, narkool kheti ho to uske muttasil hone me farq na aayega,
✅Mas,ala :-
🚿Badhe houj me aisi najaasat padhi ki dikhaai na de jaise sharab ya peshab to us houj ke har taraf se wuzoo jaiz hai aur agar dikhane me aati ho jaise pakhana ya mara hua jaanwar to jis taraf woh najaasat ho us taraf wuzoo na karna behtar hai dusri taraf wuzoo kare,
✅TAMBEEH :-
🚿Jo najaasat dikhaai de use mar,iyyaa aur jo na dikhaai de use gair mar,iyya kahte hain.
🚿Aise houj par bahut se log jamaa ho kar wuzoo karein to bhi kuch harz nhi agarche wuzoo ka pani usme girta ho,
🚿Haan usme kulli daalna aur naak sinakna nhi chahiye ki paakizgee ke khilaaf hai.
📚(Bahare shariat)
Wazu Namaz Ki Kunji Hai..
Wazu Ko TAHARATE SUGRA Kehte Hain..
Bagair Kamil Wazu Ke Namaz Na Hogi...
✅Pehle Wazu Ke Fazayel Quran O Hadees Se Padhen, Phir Wazu Ke Tamam Masayel.....
🔷 QURAN. 🔷
🔶Aye iman Walo Jab Namaz Ko Khade Hona Chaho To Apna Muh Dho Aur Kohniyon Tak Hath..
🔷Aur Saron Ka Masah Karo... Aur Gatton Tak Paon Dhowo..
📚{Para-6, Ruku-6, Sure Maydah Ayat No-6}
✅HADEES:-
🔶Qayamat Ke Din Meri Ummat Is Haal Me Pukari Jayegi Ke Muh Aur Hath Paon Wazu Ke Aasaar Se Chamakte Honge To Jo Chahe Apni Chamak Ziyadah Kare (wazu ziyadah kare)
📚{صحیح البخاري، كتاب الوضوء، باب فضل الوضوء، جلد-۱، صفحہ-۷۱، حدیث-۱۳۶}
✅HADEES:-
🔷Jo Eik Eik Bar Wazu Kare (wazu Me Apne Aaza Ko 1-1 Bar Dhoye) To Ye Zaroori (farz) Hai Aur Jo 2-2 Bar Dhoye Uske Liye Doona Sawab Hai...
🔶Aur Jo 3-3 Bar Dhoye Ye Mera Aur Pichle Ambiya Ka Wazu Hai.....
📚{Musnade imam Ahmad Bin Hambal, Jild-2, Page-417, Hadees No-5739}
✅HADEES:-
🔶Jo Shakhs Wazu Par Wazu Kare (wazu Hote Huye Bhi Taza wazu Kare) Uske Liye 10 Nekiyan Hain..
📚{جامع ترمذي، أبواب الطهارة، باب ماجاء أنه يصلي الصلوات بوضوء واحد، جلد-۱، صفحہ-۱۲۴، رقم الحدیث-۶۱}
🔷Wazu Me Char Chizen Farz Hai...
✔Muh Dhona.
✔Kohniyon Samet Hath Dhona.
✔Sar Ka Masah Karna.
✔Takhno Samet Paon Dhona..
🔶Badan Ke Jis Hisse ka Wazu Me Dhona Farz Hai Us Pe Kam Az Kam 2 Boond Pani Bah Jaye...
🔷Bheeg Jane Ya Tel (Oil) Ki Tarah Chapad Lene Se Ya 1 Aadh Boondh Bah Jane Ko Dhona Nahi Kahege Na Usse Wazu Ya Gusl Pura Hoga....
📚{FATAWA RAZVIYAH, BABUL WAZU, Volume-1, Page-218}
✅Mas'ala:-
🔷Hath me Challe Aur Anguthiyan Dhage Ya Kangan Ho To Unke Niche Pani Bahana Farz Hai Agar Hila Kar Pani Paohche To Theek Warna Utar Kar Pani Bahana Farz Hai...
📕{Fatawa Razviyah Jild-1, Page-216}
🔶Yad Rakhiye Jism Ka Jo Hissa Wazu Me Dhona Farz Hai Usme Khoob Mubalega Aur Ahtiyat Se Dhona Pani Paohchana Chahiye Taki Wazu Mukammal Ada Ho....
🔷Ab wazu Ki Sunnaten Padhe Aur Puri Koshish Kijiye Ke Sunnat Ke Mutabiq Wazu Ada Ho Taki Sawab Pura Pura Mile....
✅Sunnat:-
🔷Wazu Ki IBTEDA Bismillahi Se Kare..
✅Sunnat:-
🔶Pehle 3 Baar Hath Gatthon Tak Dhoye.
✅Sunnat:-
🔷Kam Se Kam 3-3 Martaba Danton Me Dayen Bayen Upar Niche Miswak Kare....
🔶Aur Har Martaba Miswak Ko Dho Le...
Aur Miswak Na Bahot Narm Ho Na Bahot Sakht....
🔷Miswak Peelu Ya Zaitoon Ya Neem Ki Kadwi Lakdi Ka ho..
🔶Miswak Ki size.
Choti Ungli Ke Barbar Moti Aur 1 Balisht Lambi Ho Isse Zaiyadah Lambi Na Ho...
🔷Chunki Hadees Me Allah Ke Pyare Mahboob Sal'lallahu Alaihi wasallam Ka Ye irshad Maujood Hai....
🔶2 Rakat Namaz Jo Miswak Kar Ke Padhi Gai Be Miswak Ki 70 Rakaton se Afzal Hai......
📚{At Targeeb War Tarheeb.. jild-1, Page-102, Hadees No-18}
🔷Afsos Ki Aaj Hum Se Miswak Ka Riwaj Uthta Ja Raha Hai...
✅Sunnat:-
🔶Agar Miswak Na Ho To Ungli Se Dant Manjhe.. Agar Dant Na Ho To Ungli Ya Kapda Masudon Me Pher Le.
✅Sunnat:-
🔷Phir 3 Chullu Pani Se 3 Kulliyan Kare Aise Ke Muh Ke Har Hisse Me Pani Jaye...
Roza Na Ho To Gar Garah Kare..
✅Sunnat:-
🔷Phir 3 Chullu Nak Me Pani Dale..
Jahan Narm Haddi Hai...
Pani Sidhe Hath Se Dale Nak ulte Hath Se Saf Kare...
✅Sunnat:-
🔶Muh Dhote Waqt Dadhi Ka Khilal Kare..
✅Sunnat:-
🔷Hath Paon Ki Ungliyon Ka Khilal Kare...
Paon Ki Ungliyon Ka Khilal Is Tarah Kare Ki Pehle Sidhe Paon Ki Sab Se Choti ungli se Shuru Kare Aur Anguthe Par Khatm Kare....
🔶Phir Ulte Paon Me Anguthe Se Shuru Kar Ke Choti ungli pe Khatm Kare...
✅Sunnat:-
🔷Jo Aaza Dhone Ke Hain (hath paon muh pair) unhe 3-3 Baar Dhoye Har Martaba Is Tarah Dhoye Ki Koi Hissa Na Reh Jaye... warna Sunnat Ada Na Hogi.
🔶Insha'allah Aage Wazu ke Mustahibbat Aur Makruhat & Mufsidaat Ka Bayan Hoga....
🔶Tafseel Ke Liye Bahare-e-Shariat & Fatawa Razviyah Sharif Ka Mutala Kisi Sunni Alim Ki Nigrani Me Kare....
"Wazu Me Makruhaat"
🔷Qaydah- Lafz Makrooh Jab Mutlaq Bola Jaye To Usse Makroohe Tehrimi Murad Hota Hai.....
🔶Aur Makroohe Tehrimi Wo Hai jiska Karne Wala GunahGar Hota Hai Magar iska Gunah Haram Se Kam Hai...
🔷Aur Musalsal ise Karna Gunahe Kabira (Bada Gunah) Hai....
🔶Aur 1 Makrooh Hai Tanzihi Jiske Karne Par Gunah To Nahi Hoga Magar Karna Achcha Nahi Aur Lagatar Kiya To Baherhaal GunahGar Hoga....
🔷Wazu Me Kuch Baten Makrooh Hai Hame Isse Bachna Chahiye...
🔸Aurat Ke Gusl Ya Wazu Ke Bache Huye Pani Se Wazu Karna.
🔹Wazu Ke Liye Napak Jagah Baithna Ya Napak Jagah Wazu Ka Pani Girana Ya Masjid Ke Andar Wazu Karna.
🔸Lote Me Wazu Ke Qatre Tapkana Ya Reenth Khankhar Dalna, Qibla Rukh Thookna Ya Kulli Karna, Bila Zaroorat Dunya Ki Baten Karna Ya ziyadah Pani Kharch Karna,
Ya itna Kam Pani Kharch Karna Ki Sunnat Ada Na Ho..
Zor Se Muh Pe Pani Marna.
🔹1 hath Se Muh Dhona.
Gale Ka Masah Karna,
Ulte Hath Se Nak Me Pani Dalna,
Ya Kulli Karna,,
🔸Sidhe Hath Se Nak Saaf Karna,,
Apne Liye Wazu Ka Nal Ya Lauta Khas Karna,,
3 Bar New Pani Se Sar Ka 3 Bar Masah Karna,,
Dhoop Ke Garm Pani Se Wazu Karna,,
Muh Dhulte Waqt Hont Aur Ankho Ka Zor Se Band Karna Aur Agar Kuch Sukha Reh Gaya To Wazu Hi Na Hoga
📚{Bahare-e-Shariat Hissa-2, Page-301}
✅Mas'ala:-
🔹Agar Wazu Na Ho To Namaz Aur Sajdae Tilawat & Namaze Janaza Aur Qurane Pak Ko Chhune Ke Liye Wazu Karna Farz Hai
📚{Noorul Izah, Page-18}
✅Mas'ala:-
🔹Tawafe Kaba Ke Liye Wazu Karna Wajib Hai....
📚{Durre Mukhtar, Volume-1, Page-205}
✅Mas'ala:-
🔸Gusle Janabt (Biwi Se Sohbat Ki To Gusl Farz Hua,
Us Gusl Ko Gusle Janabt Kehte Hain,
Miya & Biwi Dono Pe Gusl Farz Hai) Se Pehle Aur Jumbi (sohbat ke Bad Jispe Gusl Farz Hua) Ko Khane Peene Se Pehle,
Aur Sote Waqt,
Azan & AQAMAT,
JUMA & EIDAIN Ke Khutbe Ke Liye Aur Sarkar Sal'lallahu Alaihi wasallam Ke Rozae Pak Ki Ziyarat Ke Liye,
waqufe Arfa Aur Safa & Marwah Ki Saee Ke Liye Wazu Karna Sunnat Hai....
📚{Bahare-e-Shariat, Hissa -2, Page-302}
✅Mas'ala:-
🔹Sote WAQT Aur Uthne Ke Bad,
Mayyat Ko Nehlane Ya Othane Ke Bad,
Aur Sohbat Se Pehle,
Quran Ko Zuban Se Padhne Ke Liye,,
Aur Jab Gussa Aaye, Hadees Aur ILME DEEN Padhne & Padhane Se Pehle,, juma Aur Eidain Ke Khutbo Ke Ilawa Aur Khutbo Ke Liye (jaise nikah ka) Aur Deeni Kitabo Ko Chhune Se Pehle...
🔹Satre Galeez (Aurat Ya Mard Ki Sharamgah) Chune Ke Bad,, jhoot Bolne & Gali Dene, Ganda Lafz Zuban Se Nikalne, Kafir Se Badan Chhu Jane Ke Bad, Saleb Ya But Chhune, Kodhi Ya Safed Dag Wale Ko Tuch Hone Bagal Khujane Se Jab Ki Usme Bad-Boo Ho, Gibat Karne Zor Zor Se Hansne, Bekar Ke Sher Padhne Aur Oont Ka Gosht Khane, Kisi Aurat Se Badan Tuch Ho Aur Beech Me Koi Kapda Na Ho In Sab Surton Me Wazu Karna Mustahab (achcha) Hai.
📚{Bahare-e-Shariat, Hissat-2, Page-302}
"Wazu Todne Wali Chizon Ka Bayan"
Dhyan Se Padhen...
Insha'allah ILM Me Izafa Hoga.....
✅Mas'ala:
🔶Pakhana,
Peshab,
Mani,
Mazi (wo safed patla pani jo Sohbat ke khayal Se Nikalta Hai Bahot Mamooli miqdar Me),
Aur Wadi (wo Safed Pani Jo Peshab Ke Bad Nikalta Hai), keeda,
Hawa (Mard Ya aurat ke Pichle Maqam Se Hawa Nikalna)
Pathri Mard Ya Aurat Ke Aage Ya piche Se Nikle Wazu Jata Rahega....
📚{Bahare-e-Shariat Hissa-2, page-303}
✅Mas'ala:
🔷Khoon Ya Peep kahi Se Nikal Kar Baha Aur Beh Kar Jism Ke us Hisse Par Paohcha Jiska Wazu Ya Gusl Me Dhona Farz Hai To Wazu Jata Raha..
🔶Khoon Ya Peep Sirf Chamka Aur Ubhra Magar Baha Nahi Aur Khilal Ya Miswak Ya Ungli Se Dant Manjhte WAQT khoon ka Asar Paya Ya Naak Me Ungli Dali Uspe Khoon Ka Asar Malum Hua Magar Wo Behne ke Qabil Nahi To Wazu Na Toota...
📚{Bahare-e-Shariat, Hissa-2, Page-304}
✅Mas'ala:
🔷Khoon Nikla Magar Beh Kar Aisi Jagah Nahi Aaya jiska Dhona Farz Tha To Wazu Na Toota...
🔶Jaise Aankh me Dana Tha Aur Phoot Kar Ankh Me Hi Phail Gaya Bahar Nahi aaaya To Wazu Nahi Toota...
🔷KAAN Me Dana Tha Toot Kar uska Pani Surakh Se Bahar Nahi Nikla To Wazu Baqi Raha...
📚{Bahare-e-Shariat, Hissa-2, Page-305}
✅Mas'ala:
🔷Muh Se Khoon Nikla Agar Wo Thook Par Galib Tha Yani Khoon ka Rang Garha Tha To Wazu Toota Agar Khoon Ka Rang Pheka Tha aur Thook ziyadah Tha To Nahi Toota...
📚{Bahare-e-Shariat, Hissa-2, Page-305}
✅Mas'ala:
🔷Muh Bhar Ke Ulti Hona Ya Ulti Me Safra Ya Paani Ya Khana Hi Nikle Tab Bhi Wazu Toota, Walti Me Sirf Balgam Hi Nikla To Wazu Nahi Toota....
📚{Bahare-e-Shariat, Hissa-2, Page-305}
✅Mas'ala:
🔶So Jane Se Wazu TootTa Hai, oonghne Ya Baithe Baithe Jhonkne (Dhilki marne) Se Wazu Nahi TootTa...
📚{FATAWA RAZVIYAH, Jild-1, Page-367}
✅Mas'ala:
🔷BeHoshi,
Junoon,
Gashi Aur itna Nasha Karna Ki Chalne Me Paon Ladkhadaye Ye Sab Wazu Tod Deta Hai...
📚{Durre Mukhtar, Jild-1, page-299}
✅Mas'ala:
🔷GUTHNA Ya Satar Apna Ya Paraya Khulne Se Ya Use Dekhne Se Wazu Nahi TootTa.
📚{Fatawa Razviyah, jild-1, Page-319}
..........
⚫"GUSL KA TARIQAH"⚫
🔷Gusl Yani islami Tariqe Se Paki Hasil karne ka masnoon Tariqa Dhiyan Se Padhiye insha'Allah Samajh Me aayga.....
🔶Jab Bhi Gusl Karna Ho Pehle Niyyat Kar Ke Gusl khane Me Dakhil Ho,
🔷Phir Dono Hath 3 martaba Gatthon Tak Dhoyen,
🔶Phir Istinja Ki Jagah Ko Dhoyen Chahe Gandgi Lagi Ho Ya Na Lagi Ho....
🔷Phir Badan Ke Jis Hiss8e Par Najasat Lagi Ho use Dhoyen uske Bad Namaz Jaisa wazu Kare...
🔶Magar Paon Na Dhulen Haan Agar Aap Chowki Ya Unche Patthar Ya Kisi Takhte Par Baithe Hon To Phir Paon Bhi Dhule.....
🔷Phir Badan Par Tel (Oil) Ki Tarah Paani Chapad Le.........
🔶Phir 3 Martaba Sidhe Kandhe Phir 3 Martaba Ulte Kandhe Par Pani Bahaye........
🔷Phir Sar Pe Pani Bahaye Phir 3 Baar Pure Badan Par Bahaye is Tarah Ki Koi Jagah Dhulne Se Baqi Na Rahe..........
🔶Pehle Aagr Wazu Karne Me Paon Nahi Dhule The To Ab Dhul Le.....
🔷Tamam Badan Par Hath Phere Aur Male...
🔶Gusl Aisi Jagah Kare Jahan Koi Na Dekhe...
🔷Agar Aam Jagah Gusl Kar Raha Ho Jahan kisi Ki Nazar Padti Hai To Aisi Jagah Apne Naaf Se Ghutno Tak Kapda Pahen Le Aur Phir Gusl Kare.....
Nahate Waqt Qibla Rukh Na Ho...
🔶Nahate WAQT Na Baat Kare Na Kisi Qism Ki Dua Padhe...
🔷Jahan kisi Ke Dekhne Ka Ehtemal Na Ho Wahan Nanga Nahane Me Harj Nahi....'
🔶Gusl Me Aurton Ko Bahot Ehtiyaat Chaiye Hatta Ki Aurton Ko Baith Kar Nahana Chaiye Aur Gusl Hote Hi Kapde Pahen Le....
🎴Note-
🔶Gusl Me 3 Baten Farz Hai Aur kuch Sunnat & kuch Mustahab Hai....
🔷Farz Me Se Agar 1 Farz Pe Bhi Amal Na Hua To Gusl Hi Nahi Hua.....
📚{Qanoone Shari'at, Hissa-1, page-57}
⚫Fara'ize Gusl Ye Hain.........
🔘Kulli karna,
🔘Naak Me Pani Dalna,
🔘Tamam Badan Pe Pani Bahana....
⚪"GUSL KE FARA'IZ Aur Masayel"⚪
⚫Gusl Me 3 Chizen Farz Hai, Kisi 1 Farz Pe Amal Na Hua To Gusl Hi Nahi Hoga.....
🔘KULLI KARNA:-
🔶Is Tarah ki muh ke Har Purze Goshe Hont Se HALAQ Ki Jad Tak Har Jagah Paani Beh Jaye.. Aksar Log Zara Sa Pani Muh Me Leke Ugal Dete Hain Ye Kulli Na Hui Jab Tak Zaban aur HALAQ Ki Jad Tak Pani Na Jaye...
🔷Danton ki jad aur surakhon me koi Chiz phansi ho To Use Nikale Aur Wahan Tak Pani Paohchaye....
🔶Haan Dant Agar Taar Ya Kisi Masale se Jamaya Gaya Ho Aur Wahan Tak Pani Na Pahochta Ho To Maaf Hai
📚{Bahar-e-shariat Hissa-2, page-316}
🔘NAK ME PANI DALNA:-
🔶Hath Ka Katora Bana Kar Pani Le Aur Nak Me soongh kar Upar Chadhaye Baal Barabar Bhi Jagah Dhulne Se Reh Na Jaye Warna Gusl Na Hoga..
🔷Naak ki Reenth Andar Sookh Gai Ho To Use Chhudana Farz Hai Neez Nak Ke Balon Ka Dhona Bhi Farz Hai...
📚{Bahar-e-Shariat Hissa-2, page-317}
🔘PURE BADAN KA DHONA:-
🔶Yani Sar Ke Baal Se Paon Ke Talwon Tak Jism Ke Har Purze Ka Dhona Aisa Ke Har Rangote Par Pani Beh Jaye Farz Hai.....
🔷Tafseel Bahar-E-Shariat Me Dekhe Ya Kisi Sunni Alim Se Apne Wazu Gusl Ka Mukammal Tariqa Maloom Kare.....
⚫"GUSL KIN BATON SE FARZ HOTA HAI"⚫
💠Wo 5 Baten Hain Jinki Bina Par Gusl Farz Hota Hai.......
🔷Mani Ka Apni Jagah Se Shehwat (Maze) Se Nikalna......
🔶Ehtelam Yani Sote Me mani Ka Nikalna (night Fall) ......
🔷Sharmgah Me Hashfah Ka Chale Jana Khawah Maze Se Ho Ya Bila Maza mani nikle ya Na Nikle (mard ke peshab ke maqam ka agla hissa hashfa kehlata hai jise Aam zuban Me Topa Kehte Hain agar Wo ki sharmgah Me Dakhil Ho To Gusl Farz Hua)
🔶Aurat Ka Haiz Se Farig Hona.....
🔷Nifas Yani Bachcha Janne Ke Bad Jo Khoon aata Hai usse Farig Hone Ke Bad......
🔶Yahi wo 5 Baten Hain Jinse Gusl Farz Hota Hai....
✅Mas'ala:-
🔷Mani Shehwat Se Apne Maqam Se Juda Na Hui Balki Boojh Uthane Ya Oonchai Se Girne Par Nikli To Gusl Wajib Na Hua Haan Wazoo Toot Gaya...
📚{Fatawa Alamgeeri, jild-1, page-10}
✅Mas'ala:
🔷Khawab Dekha Mani Nikalne Ko Thi Ki Pakad Ke Daba Liya Aur Mani Nikalne Na Dee...
🔶Phir Jab Aale Ki Sakhti Khatm Hui Aur Ab Mani Nikle To Gusl Wajib Ho Gaya
📚{Fatawa Razviyah, Jild-1, Safah-518}
✅Mas'ala:
🔷Jispe Gusl Farz Ho Use Masjid Me Jana,
Tawafe Kaba,
Qurane Pak Chhuna Ya Zabani Padhna...
🔶Ya Kisi Ayat Ka Likhna Ya Qurani Taviz Ka Likhna Ya Chuna Haram Hai....
📚{Bahar-e-shariat, Hissa-2, Page-326}
✅Mas'ala:
🔷Be-Gusli Ko Tafseer Hadees Fiqah Ki Kitabon Ko Chhuna Makrooh Hai,
🔶Pichli Asmani Kitaben Jaise Taurat Zaboor Enjeele Muqaddas Ka Chuna Aur Padhna Bhi Makrooh Hai,
🔷Darood Sharif & Duayen Kulli Ya Wazu Kar Ke Padh Sakta Hai & Azan Ka Jawab Dena Bhi Jayez Hai...
📚{Fatwa Hindiya, Volume-1, Page-38}