FAZAILE MAAHE RAJAB

Rajab ul Murajjab In Char Mahino Me Se Ek He Jinko Quraan Majeed ne Zikr Farmaya 
Be shak Mahino Ki Ginti ALLAH ke Nadzeek Barah (12) Mahine He ALLAH ki Kitab Me Jab Se Is Ne Aasman O Zameen Banayi In Me Char (4) Hurmat Wale He Yeh Seedha Deen He To In Mahino Me Apni Jaan Par Zulm Na Karo Aur Mushriko Se Har Waqt Larro Jesa Woh Tum Se Har Waqt Larrte He Aur Jaan Lo ALLAH parhezGaron Ke Sath Hai
(Para 10 surah E Tauba ayat 36)

CHAR MAHINO ME SE EK MAUZZAM MAHINA RAJAB Hai
Aur Kutb e Hadees Me Bhi Rajab Ki Badi Fazilat Warid He.
Rasul E Kareem  صلى الله عليه وسلم ne Farmaya "Rajab ALLAH taala Ka Mahina Hai Aur Shaban Mera Mahina Hai Aur Ramzan Meri Ummat Ka mahina Hai
(Ma sabata minassunnah: shafa 126)

Besak Rajab Azmat Wala Mahina He Isme Nekiyo Ka Sawab Dugna He Jo Sakhs Rajab Ka Ek Din Roza Rakhe Goya Usne Saal Bhar Ke Roze Rakhe
(Ma sabata minassunnah: shafa 26)

Rajab ki Fazilat Baki Mahino Par Esi He Jesi Muhammed Mustafa صلى الله عليه وسلم Ki Fazilat Baki Ambiya Alahis salam Par He Aur Ramzan Shareef Ki Fazilat Baki Mahino Par Esi He Jesi ALLAH taala Ki Fazilat Tamam Bando Par He
(Ma sabata Minassunnah: shafa 128)

Hazrat Sayyiduna Allama Saffuri رحمت اللہ علیہ  Farmate He Rajab Ul Murajjab Beej Boney Ka,Shaban Ul Muazzam Aab Pashi (yaani Pani Dene)Ka Aur Ramzan Ul Mubarak Fasal Kaatne Ka Mahina He Lihaza Jo Rajab Me Ibadat Ka Beej Nahi Bouta Aur Shaban Ul Muazzam Me Aansuon Se Sherab Nahi Karta Woh Ramzan Ul  Mubarak Mein Fasal E Rehmat Q Kar Kaat Sakega Mazeed Farmate He Rajab Jism Ko Shaban Dil Ko Aur Ramzan Rooh Ko Paak Karta he
(Nuzhat-Ul-Majlis Jild 1 Safha 209)

Hazrat E Sayyiduna Anas Bin Maalik رضي الله عنه Se Riwayat he Ke Rasool ALLAH صلى الله عليه وسلم Ne Irshad Farmaya Jannat Me Ek Nehar He Jise Rajab Kaha Jata He Jo Dhood Se Jiyada Safed Aur Sehad Se Jiyada Meethi He Jo Koi Rajab Ka Ek Roza Rakhe To ALLAH taala Use Is Nehar Se Sherab Karega.
(Shuab Ul Iman,Jild 3, Safha 367,Hadees 3800)

Tabain Buzurg Hazrat E Sayyiduna Abu Qilala رضي الله عنه Farmate He Rajab Ke Roza Daron Ke Liye Jannat Me Ek Mahal He
(Shuab Ul Imaan,Jild 3,safha 368,Hadees 3802)

RAJAB KE MUKHTALIF NAAM AUR MAANE
“Mukashafa-Tul-Qulub” Me He:  “RAJAB”  Dar-Asal [Tarjeeb] Se Mushtaq (ya’ni nikla) He Is Ka Mana He: “Ta’azeem Karna.” Is Ko [al-Asab]  (ya’ni Tez bahao) Bhi Kehte He Is liye Ke Is Mah E Mubarak Me Touba Karne walo Par Rehmat Ka Bahao Tez Ho Jata Aur 'Ibadat Karne Walo Par Qabuliyat Ke Anwar ka Faizan Hota He Ise [Al-Asam] (Ya’ni Bahra) Bhi Kehte He Q ke is  Me Jang-o-Jadal ki Awaz Bilkul Sunayi Nahi Deti
(Mukashafa-tul-Qulub,  safha  301) 

“Ghunya-tut-Talibeen” Me He Ke Is Maah ko [Shahr-e-Rajam] Bhi Kehte He Q Ki Is Me Shaytan Ko Rajam (ya’ni Pathar maare Jate He) Taaki Woh Musalmanon Ko Eiza Na De.Is Maah Ko [Asam] (ya’ni Bahra) Bhi Kehte He Q Ki Suna  Nahi Gaya Ke Is Maah Me Kisi Qoum Par ALLAH Ta’ala Ne ‘Aazab Nazil Farmaya,ALLAH Ne Guzashta Ummaton Ko Har Mahine Me Aazab Diya Aur Is Me Kisi Qoum Ko Aazab Na Diya.
 (Ghunya-tut-Talibeen,  jild  1,  safha  319-320) 

RAJAB ME TEEN (3) HURUF Hai

رجب  [Me Teen Huruf He [Raa  ر [Jeem] ج [Baa] ب . RAA Se Murad Rehmat E Ilahi,JEEM Se Murad Banday Ka Jurm,BAA Se Murad Birr Yaani Ehsan O Bhalayi Goya ALLAH Farmata He Mere Bande Ke Jurm Ko Meri Rehmat Aur Bhalayo Ke Darmiyan Kar Do
(Mukashafa-Tul-Qulub, Safha 301)

Rajab Me Roze Rakhne Ki Fazilat Aur Sawab
Hazrat Sayyiduna Abdullah Ibn e Abbas رضی اللہ عنہ Se Riwayat He Ki huzoor Nabi E Kareem صلى الله عليه وسلم  Ka Farman E Rehmat Nishan He "Rajab Ke Phele Din Ka Roza Teen (3) Saal Ka Kaffara He Aur Dusra Din Ka Roza Do (2) Saal Ka Aur Teesre Din ka Roza Ek (1) Saal Ka Kaffara He Fir Farmaya Har Din Ka Roza Ek Mah Ka Kaffara He
(Al Jame Us Sageer Lis Suyuti Safha 311 Hadees 5051., Fazail E Rajab Lil Khallaal Shafa 7)

Hazrat E Sayyiduna Anas رضي الله عنه Se Riwayat He Ke Rasoolullah  صلى الله عليه وسلم ne Farmaya Jis Ne Rajab Ka Ek Roza Rakha To Woh Ek Saal Ke Rozo Ki Tarah Hoga,Jis Ne Sath (7) Roze Rakhe Us Par Jahannam K3 Sathon Darwaze Band Kar Diye Jayege Jis Ne Aant (8) Roze Rakhe Us Ke Liye Jannat Ke Aathon Darwaze Khol Diye Jayege Jis Ne das (10) Roze Rakhe Wo ALLAH se Jo Mange Ga ALLAH Use Aata farmayega Aur Jis ne Pandra (15) Roze Rakhe To Aasman se Ek Munadi Nida (Yaani Elaan Karne Waka Elaan) Karta He Ke Tere Pichle Gunah Bakhsh Diye Gaye ps Tu Az sar E Nou Amal Shuru kar Ke Teri Buraiyan Neki Se Badal Di Gayi.Aur Jo Zaed Kare To ALLAH use ziyada De.
Aur Rajab Me Nooh Alahis Salam Kasti me Suwar Huwe To khud Bhi Roza Rakha Aur Hum Raahiyon Ko Buo Roze Ka Hukm Diya In Ki Kasti 10 Muharram Tak 6 maah Barsar e Safar Rahi
(Shuab ul Imaan jild 3 Safha 368 Hadees 3801)

Hazrat E Sayyiduna Abu Huraira رضي الله عنه Farmate He Sattisvi (27) Rajab Ko Jo Koi Roza Rakhe ALLAH us Ke Liye Shaat (60) Mahino ka Sawab likhe
(Faizal shahr e Rajab lil Khallal safha 10)

Hazrat E Sayyiduna Salman Faarsi رضي الله عنه Se Marvi He ki ALLAH ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Ka Farman He Ki Rajab Me Ek Din Aur Ek Raat He Jo Us Din Roza Rakhe Aur Raat Ko Ibadat Kare To Goya Us Ne 100 Saal Le Roze Rakhe 100 Baras Ki Shab Bedari ki Aur Yeh Rajab Ki Sattaees (27) Tareek He.
(Shuab Ul Imaan Jild 3 Safha 374 Hadees 3811)

Hazrat Sayyiduna Abdullah Ibn E Zubair رضی اللہ عنہ Se Riwayat He Jo Maah E Rajab Me Kisi Musalman Ki Paresani Dur Kare To ALLAH taala Us Ko Jannat Me Ek Mahal Aata Farmaye Ga Jo Had E Nazar Tak Wasee Hoga tum Rajab Ka Ikram Karo ALLAh Tumare Hazaae Karamaton Ke Sath Ikr Farmayega.
(Ghunya tut Talibeen Jild 1 Safha 324, mu Jam us Safar Lis Salfi Safha 419 raqam 1421)

RAJAB KE MAHINE ME PADHNE KI DUAA
"اللهم بارك لنا في رجب و شعبان و بلغنا رمضان "
" Allahumma  Barik Lana  Fi  Rajaba  Wa Sha'aban  Wa  Balligna Ramazan "
Tarjama--
"Aey  ALLah Hamare  Liye  Rajab  Aur  Sha'aban  Ke Mahine  Me  Barkat Farma  Aur  Hamein   Ramazan  Tak  Ponhchade "
Jab  Rajab  Ka  Chand  Nazar  Aata  To Aap  SaLLaLLahu  Alayhi  WasaLLam  Upar Likkhi  Hui  Duaa Padhte  The.
Mishkat  Sharif, Page  No-  121

Rajjab K Mubarak Mahine Mein Ki Jane Wali Fatiha o Niyaz

6 Rajjab Huzur Garib Nawaz R.A
15 Rajjab Huzur Imam Jafer Sadiq R.A
22 Rajjab Hazrat Ameer Muawia R.A
(Sab Milakar 1 Niyaz Bhi Kar Sakte Hai)
---
[06/03, 12:07 am] Sarosh Bahaduri: Hzt Anas Bin Malik RaziALLAHU anhu se riwayat hai ke pyare NABI sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya:

Jannat Me ek naher(river) hai jiska naam RAJAB hai, jo doodh se ziyada safedh aur shahed se ziyada meeti hai, jo koi Rajab ka ek roza rakhega ALLAH paak usko us naher se sairaab karega.

(📚Shu'abul imaan jild-3 hadees-3800)
[06/03, 12:08 am] Sarosh Bahaduri: Hazrat Sayyiduna Abdullah Ibn Abbas RadhiAllah Anhuma Se Rivayat Hai Ke Rasoolullah صلی اللہ تعالی علیہ و اٰلہ و سلم Ka Farman Rahmat Nishan Hai:

Rajab Ke Pahle Din Ka Roza 3 Saal Ka Kaffarah Hai, ...
Doosre Din Ka Roza 2 Saal Ka ... aur
Teesre Din Ka 1 Saal Ka Kaffara Hai,
Phir Har Din Ka Roza Ek Maah ka Kaffara Hai.

 الجامع الصغیر للسیوطی ، ص 311، حدیث 5051 ، فضائل شھر  رجب، للخلال، ص 8.

As Salato Was Salamo Alayka 

Har Fitne Ka Radd Farz e Azam Hai.
Shia Rafzi
Wahabi Deobandi
Qadyani Ahmedi
Ye Saare Aaj K Bade Fitne Hai.
Ahle Sunnat Wa Jamat Se Inka Kohi Talluk Nahi.
الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ