Ramzan o Roze k Fazail aur Masail 16
Roze Ke Masail
1) AHAADEES FAZAILE RAMZAAN
2) MASAIL – E -FIQHIYYA
3) ROZE Ki TAARIF
4) Roze Ki Niyyat Ke Masail
5) Unn Cheezon ka Bayaan jinse Rozah Nahin Tootta
6) Rozah Todhne Waali Cheezon Ka Bayan
7) Unn Surton Ka Bayaan Jin Mein Sirf Qazaa Laazim Hai
8) Unn Surto Ka Bayaab JinMein Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai
9) Kaffara Ka Bayaan
10) Kaffara Laazim Hone Ki Shartein
11) Roze ke makhroohat ka bayaan
12) Sehri wa iftaar ka Bayaan
13) Kin Halaaton Mein Rozah Na Rakhne Ki Ijaazat Hai
14) Roze Ke Fidya Ke Masail
15) Etakaaf Ka bayaan
16) Etakaaf-e-wajib
17) Etakaaf-e-Sunnate Mu-akkida
18) Etakaaf-e-Mustahab
19) TARAAWEEH KA BAYAAN
20) Luqma dene ke masail
21) FAZAIL E SHAB-E- QADR
22) Chand K Masail
=====
AHAADEES FAZAILE RAMZAAN
Hadees– Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu t’aala Anhu Farmate hain k Huzoor Sallallahu T’aala Alaihiwasallam Farmate hain “Jab Ramzaan aata hai, aasmaan ke darwaze khol diye jaate hain. Ek riwayat Mein hai k “Jannat ke darwaze khol diye jaate hain.”Ek Riwayat Mein hai k “Rehmat ke darwaaze khol diye jaate hain”(BUKHARI & MUSLIM SHARIF)
Hadees– Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu Se riwayat hai k Rasul Allah sallallaahu T’aala Alaihi wasallam ne farmaya k “Ramzan Aaya ye barkat ka mahina hai Allah T’aala iske roze tumpar farz kiye, IsMe Aasman Ke Darwaze khol diye jaate hai aur dozakh ke darwaaze bandh kar diye jaate hai aur sarkash shaitaanon ke tauqe daal diye jaate haiN. (NASAI SHARIF)
Hadees– Hazrate Sahal ibne saad Radiyallahu T’aala Anhu Se Marwi hai k Rasoolullah Sallallahu T’aala Alahi Wasallam Farmate hain “Jannat Mein 8 darwaze hain,unme ek darwaze ka naam RAIYYAAN hai Uss darwaaze Se wohi jaayenge jo roze rakhte hain.
(BUKHARI)
Hadees– Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Rasoolullah Sallallahu T’aala Alaihi Wasallam ne Farmaya “ Jo Imaan ki wajah se Aur sawaab ke liye Ramzaan ka Rozah Rakhega uske Gunaah bakhsh diye jaayenge aur jo imaan aur sawaab ki Niyyat se ramzaan ki raaton ke qayaam karega ( Nawafil padhega) uske agle gunaah maaf kar diye jaayenge.
(BUKHARI,Muslim SHARIF)
Hadees– Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Huzoor-E-Aqdas Sallallahu T’aala Alahi Wasallam Irshad Farmate hain Agar kisine ek din nafl Rozah rakha Aur Zameen Bhar use sona diya jaaye jab bhi uska sawaab poora na hoga. Uska Sawaab to qayaamat hi ke din milenge.
(TIBRANI)
Hadees– Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Rasool-E -Akram Sallallahu T’aala Alaihi Wasallam ne farmaya “Har cheez ke liye zakaat hai aur badan ki zakaat Rozah hai aur Rozah Aadha sabr hai.
(Ibne Majah)
Hadees– Hazrate Abu MAsood Gaffari Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Huzoor-E-Aqdas Sallallahu T’aala Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya “Agar Bandon ko maloom hota k ramzaan kya cheez hai to Meri ummat tamanna karti k poora saal ramzaan hi ho.
(Ibne Khuzaima)
Hadees– Hazrate Salmaan Farsi Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat hai k Huzoor-e-Aqdas Sallallahu T’aala Alaihi Wasallam ne Irshad Farmaya “ Ramzaan ki Raat Mein Qayaam (Namaaz padhna)Tato’o( Sunnat hai) Jo Isme NEki ka koi kaam kare to aisa hai jaise aur kisi mahine Mein farz ada kiya aur Isme jisne farz ada kiya to aisa hai jaise aur dino Mein 70 farz adaa kiye.
(Baihaqi)
MASAIL – E -FIQHIYYA
Rozah bhi Misl Namaaz Ke(namaaz ki Tarah) farze a’in hai – Iski Farziyat ka munkir kaafir aur bila uzr tark karne wala sakht gunehgaar aur dozakh ka mustaheeq (Haqdaar) hai . Jo bachche Rozah rakh sakte ho unko rakhaya jaaye.
ROZE KE TAARIF
Rozah Urfe shara’a Mein musalmaan ka ibaadat ki Niyyat se subah saadiq se Gurub – E – Aaftaab tak apne ko jaan bujhkar khaane peene aur jima’a(HumBistari) se baaz rakhne ko kehte hain.
Roze Ki Niyyat Ke Masail
Masla– Adae Rozahe Ramzaan aur nazre mu’aiyyan aur nafl ke roze ke liye Niyyat ka waqt Gurube Aaftaab se Zuhuwe Kubra ( Shuru Zawaal ) Tak hai.
Masla– Zuhuwe Kubra( Shuru Zawaal) Niyyat ka waqt Nahin bal k isse pehle Niyyat ho jaana zaroori hai aur khaas Zuhuwe Kubra (Shuru Zawaal) ke waqt Niyyat ki to Rozah na hua.
Masla– Niyyat dil ke irade ka naam hai, Zubaan se kehna shart Nahin magar zubaan se keh lena mustahab hai.
Masla– Agar raat Mein Niyyat kare to , yu kahe “…………………………..Arbi Dua…………………..” aur din Mein Niyyat kare to ye kahe “………………………Arbi Dua…………………………….
Masla– Raat Mein Niyyat ki phir uske baad raat hi Mein khaaya, piya to Niyyat Nahin gayi, wahi pehli hi Niyyat kaafi hai phir Niyyat karne zaroori Nahin.
Masla– Din Mein Niyyat Kare To Zaroori hai K Ye Niyyat Kare k Main Subha Saadiq Se Rozahdaar hu Aur Agar Ye Niyyat Hai k Abse Rozahdaar Hu Subha Se Nahin To Rozah Na Hua
Masla– Din Mein woh Niyyat saheeh hai k subah sadiq se Niyyat karte waqt Rozah ke khilaaf koi amr na paya gaya ho-lihaza agar subah sadiq ke fauran baad Qasdan(Jaan Bujhkar) khaya, piya uske baad roze ki Niyyat ki to Rozah na hua aur agar subah sadiq ke baad bhool kar kha pi liya ab Niyyat ki to Rozah ho jaayega.
Masla– Rozah Todhne ki Niyyat se Rozah Nahin tutega jab tak todhne waali cheez na kare
Rozah Todhne ka pakka irada kiya magar todha Nahin to Rozah Saheeh hai.
Masla– Agar raat Mein roze ki Niyyat ki phir pakka irada kar liya ke Nahin rakhega to woh Niyyat jaati rahi agar nayee Niyyat na ki aur din bhar bhooka, pyaasa raha to Rozah na hua.
Masla– Sehri khaana bhi Niyyat hai khaah(chaahe) ramzaan ke roze ke liye ho ya kisi aur Rozah ke liye
Masla– Sehri khaate waqt ye irada hai k subah ko Rozah na hoga To yeh sehri khaana Niyyat Nahin
Masla– Adae Ramzaan aur nazrein mo’aiyyan aur Nafl ke alawa baaqi roze maslan qazae ramzaan aur nazre gair mo’aiyyan aur Nafl ki Qaza(yaani Nafl Rozah rakhkar todh diya tha uski qaza)inn sab Mein ain(exactly)subah chamakte waqt ya raat Mein Niyyat karna zaroori hai.
Masla– Gurube Aaftaab Se Zuhuwe Kubra(Shuru Zawaal) tak sirf teen qism ke roze ki Niyyat ho sakti hai.
a.) Adae Ramzaan.
b.) Nazrein Mo’Aiyyan.
c.) Nafli Roze
Inke Alawa Jitne roze hain maslan – Qazae ramzaan wagairah to inki Niyyat ka waqt Gurube Aaftaab ke baad se Subah Sadiq ke chamakte waqt tak hai. To agar kisine ramzaan ke qaza roze ki Niyyat subah sadiq ke baad ki, Rozah na hua.
Unn Cheezon ka Bayaan jinse Rozah Nahin Tootta : –
Masla– Bhool kar khaaya Piya HumBistari ki, Rozah na toota chaahe wo Rozah Nafl ho ya farz
Masla– Kisi Rozdaar ko bhool kar khaate – peete dekhe to yaad dilaana wajib hai, yaad na dilaya to Gunehgaar hua.
Masla– Makkhi ya Dhua ya Gubaar halaq Mein jaane se Rozah Nahin tootta.
Masla–Tel ya surma lagaaya to Rozah na toota agarche tel ya surma halaq Mein Meinhsoos hota ho balke thook Mein surma ka rang bhi dikhaayi deta ho jab bhi Nahin toota.
Masla– Gusl Kiya aur paani ki thandak andar Meinhsoos huyi, Rozah Nahin toota.
Masla– Kulli ki aur paani bilkul phek diya sirf kuch tari munh Mein baaki reh gayi thi, thook ke saath Use nigal gaya, Rozah Nahin toota.
Masla– Kaan Mein paani chala gaya, Rozah Nahin toota.
Masla– Tinke se kaan khujaya aur Uss (tinke) Par kaan ka mayl lag gaya phir wahi Mayl laga hua tinka Kaan Mein daala agarche chand baar kiya ho, Rozah Na toota.
Masla– daanton Se Khoon Nikalkar Halaq Tak Pahuncha Magar Halaq Se Niche Na Utra To Rozah Na Toota Aur Agar Halaq Se Niche Utra Magar Itna Kam Tha K Halaq Mein Mazah Meinhsoos Na Hua Jab Bhi Rozah Na toota.
Masla–Thook, Balgum, Naak ki Reet wagairah nigalne se Rozah Nahin toota.
Masla –Bhoole se Khana kha raha tha yaad aate hi fauran luqma phek diya ya Subha-saadiq se pehle kha raha tha aur subha hote hi Ugal diya , Rozah na gaya aur Nigal gaya to dono Surton Mein Rozah jaata raha.
Masla – Ehtlaam(Night Fall) hua ya Geebat ki to Rozah na gaya Agarche Geebat bahut sakht kabeera hai.
Quran-e-Majeed Mein Geebat karne ki Nisbat Farmaya jaise Apne Murda Bhai ka Gosht khaana(Surah-e-Hujraat Aayat 12) aur Hadees Mein Farmaya Geebat Zina se bhi Sakht Tar(Bahut Sakt) hai Agarche Geebat ki wajah se Roze ki Nooraniyyat jaati rehti hai.
Masla – Janaabat (Napaaki) ki haalat Mein Subha ki Agar saare din Naapak raha , Rozah na gaya magar itni der tak Qasdan Gusl na karna K Namaaz Qaza ho jaaye Gunah wa Haraam hai. Hadees Mein hai K Junub (Napaak) jis Ghar Mein hota hai usme Rehmat ke Farishte Nahin Aate.
Masla – Daanton Mein koi Cheez Chane se kam thi aur use Nigal gaya , Rozah na toota.
Masla – Injection Gosht Mein lagwaya jaaye ya rag Mein, dono Surton Mein Rozah na tootega.
Masla – Aankhon Mein dawa daalne se Rozah Nahin tootta.
Masla – Khoon Nikalwane ya chadhwaane se Rozah Nahin tootta isi tarah Glucose chadhane se bhi Nahin tootta.
Masla – Qasdan Qai (Ulti) ki, agar munh bhar na ho to Rozah na tootega.
Masla – Be-ikhtiyar Qai (Ulti) ho gayi to thodi ho ya Zyaada, Rozah na toota.
Masla – Khud-bakhud Ulti huyi phir use Nigal gaya to agar munh bhar na ho, Rozah na gaya.
Masla – Balgum ki Qai kitni hi ho use Rozah Nahin tootega.
Masla – Rozdar ke jism par Zakhm hai aur usse peep baha to Rozah na gaya.
Masla – Roze ki haalat Mein itr lagaya ya usko soonga ya phool soonga ya baal katwaya ya Naakhun kaata ya sar ya badan ke kisi aur hisse par baam ya tel ki Maalish ki ya Powder wa Cream wagairah lagaaya to inn sab surton Mein Rozah na gaya.
Masla – Roze ki Haalat Mein Aankh ka Operation karaya Ya aur kisi azu (Parts) ka Operation karaya, Rozah na gaya.
Masla – Aansu ya Paseena munh Mein chala gaya aur use nigal gaya to agar Qatra-2-Qatra hai Rozah na toota.
Rozah Todhne Waali Cheezon Ka Bayan
Masla – Jaan-bujhkar Khaane-Peene, HumBistari karne se Rozah Toot jaata hai.
Masla – Huqqa, Sigaar, Cigerate, Charat(Charas) wagairah Peene se Rozah toot jaata hai.
Masla – Paan ya Tumbaku khaane se Rozah toot jaata hai.
Masla – Shakar(Sugar) wagairah aisi Cheezein jo munh Mein rakhne se ghul jaati hai, Munh Mein rakhi aur Thook nigal gaya, Rozah toot gaya.
Masla – Daanton ke darmiyaan koi Cheez Chane ke barabar ya zyaada thi use kha gaya ya kam hi thi magar Munh se nikaal kar phir kha li to dono Surton Mein Rozah toot gaya.
Masla– Daanton se khoon nikalkar halaq se neeche utra aur uska mazah halaq Mein Meinhsoos hua,Rozah toot gaya.
Masla – Roze Mein Daant Ukharwaya aur khoon nikalkar Halaq se neeche utra Rozah toot gaya.
Masla– Naak Se Dawa Chadhayi Ya Kaan Mein Tel Dala Ya Chala Gaya Rozah Toot Gaya
Masla – Kaan Mein Jaanbujh kar paani daalne se Rozah toot jaata hai(Fatawae Razwiya).
Masla – Kulli kar raha tha Be-ikhtiyaar paani Halaq se Utar gaya, Rozah toot gaya.
Masla – Naak Mein Paani Chadhaya aur Dimaag ko chadh gaya Rozah toot gaya.
Masla – Aansu ya Paseena Munh Mein chala gaya aur nigal gaya to agar do Qatre se zyaada hai aur uski Namkeeni poore Munh Mein Meinhoos huyi, Rozah toot gaya.
Masla – Jaanbujh kar Munh bhar Qai (Ulti) ki to Rozah toot gaya.
Masla – Be-Ikhtiyaar Bhar Munh Qai (Ulti) ho gayi phir use Nigal gaya Rozah Toot Gaya
Masla – Ye Gumaan tha k Subah Nahin hui aur khaya ya piya baad ko Maloom hua k Subah ho chuki thi Rozah na hua.
Masla – Ye Gumaan tha k Aaftaab Doob gaya Aur Iftaar kar liya Baad ko Maloom hua k na Dooba tha Rozah na hua.
Masla – Jiska Rozah toot gaya Maslan Galti se Paani Wagairah koi Cheez Halaq Mein ja rahi to jo kuch Din Baaki reh gaya use Roze ki tarah Guzaarna Wajib hai.
Masla – Naswaar Naak Mein lagaakar Upar Kheechne se Rozah toot jaata hai.
Masla – Lobaan, Agarbatti wagairah ke Dhue ko Jaanbujhkar Naak Ya Munh se Kheecha , Rozah toot gaya.
Masla – Manjan Ya Toothpaste wagairah kar raha tha aur uske kuch Ajza Halaq se neeche utar gaye Rozah toot gaya.
Masla – Inhaler (jo ke Dama ke Mariz Aksar Istamaal karte hain) Roze ki haalat Mein Istamaal kiya Rozah toot gaya. Isi Tarah Sardi Ke Inhaler Se Bhi Rozah toot Jaayega.
Masla – Sheenk Aane ke liye Naak Mein Sufoof (Powder) Rakhkar upar ko Saans Kheechne se Rozah toot Jaayega.
Unn Surton Ka Bayaan Jin Mein Sirf Qazaa Laazim Hai
Masla– Ye Gumaan Tha K Subah Nahin Huyi Aur Khaaya ya Piya Ya HumBistari Ki Baad Ko Maloom Hua K Subah Ho Chuki Thi To Sirf Qazaa Laazim Hai Yaani Iss Roze Ke Badle Mein 1 Rozah Rakhna Hoga
Masla– Bhoolkar Khaaya Piya Ya HumBistari Ki Ya Ehtlaam(Night Fall) Hua Ya Ulti Hui Aur Inn Sab Surton Mein Ye Gumaan Kiya K Rozah Toot Gaya Ab Jaan Bujhkar Kha Liya To Sirf Qazaa Farz Hai.
Masla– Kaan Mein Tel Tapkaya Ya Naak Se Dawa Chadhayi Ya Subah Ko Niyyat Nahin Ki Thi Din Mein Zawaal Se Pehle Niyyat Ki Aur Niyyat Ke Baad Khaa Liya Inn Sab Surton Mein Sirf Qazaa Laazim Hai Kaffara Nahin.
Masla– Guroob Samajhkar Iftaar Kar Litya Haalaki Din Baaki Tha Sirf Qaza Laazim Hai.
Masla– Naabaalig Bachche Ne Rozah Rakhkar Todh Diya To Uspar Qaza Nahin
Masla– Qai (Ulti) Aayi Ya Bhoolkar Khaya Piya Aur Inn Sab Surton Mein Use Maloom Tha K Rozah Na Gaya Phir Kha Liya To Kaffara Laazim Nahin(Qazaa Zaroori Hai).
Unn Surto Ka Bayaab Jinme Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai
Masla–Ramzaan Mein Rozah daar Mukallaf(Jispar Rozah Farz ho) Muqim Ne K Adaaye Rozahe Ramzaan Ki Niyyat Se Rozah Rakha Aur Geeza Ya Dawa Khaayi Ya Paani Piya Ya Koi Cheez Lazzat Ke Liye Khaayi Ya Pi Inn Sab Surton Mein Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai.
Masla– Jis Jagah Rozah Todhne Se Kaffara Laazim Aata Hai Usme Shart Hai k Raat Hi Se Rozae Ramzaan Ki Niyyat Ki Ho Agar Din Mein Niyyat Ki Thi Aur Todh Diya To Kaffara Laazim Nahin
Masla– Kaffara Wajib Hone Ke Liye Bhar Pet Khaana Zaroori Nahin.Thodasa Khaane se Bhi Wajib Ho Jaayega
Masla–Tel Lagaaya Ya Geebat Ki Phir Ye Gumaan Kar Liya K Rozah Toot Gaya Phir Usne Kha Pi Liya Jab Bhi Kaffara Laazim Hai
Masla-Jin Surton Mein Rozah Todhne Par Kaffara Laazim Nahin Unme Shart Hai K Ek Hi Baar Aisa Hua Ho Aur Gunaah Ka Iraada Na Kiya Ho Warna Unme Kaffara Dena Hoga.
Masla– Sehri Ka Niwala munh Mein Tha K Subah Tulo’o Ho Gayi Aur Use Nigal Gaya Kaffara Wajib Hai.
Masla– Bhoolkar Kha Raha Tha Yaad Aa Gaya Aur Nigal Gaya, Kaffara Wajib Hai.
Masla– Ehtlaam(Night Fall) Hua Aur Use Maloom Tha K Rozah Na Gaya Phir Kha Liya To Kaffara Laazim Hai.
Masla– Ramzaan Ka Rozah Qasdan(Jaanbujhkar)Todhne Se Kaffara Laazim Aata Hai
Kaffara Ka Bayaan
Rozah Todhne ka Kaffara ye hai k Ek Raqba (Loundi ya Gulaam) Aazaad kare aur ye na ho sake jaise iss Zamaane Mein Gulaam milte hi Nahin to lagaataar (pe dar pe) 60 Roze rakhe agar ye bhi na kar sake to 60 Miskeeno ko Bhar-Bhar pet Dono waqt Khana Khilaaye aur Roze rakhne ki soorat Mein agar Beech Mein Ek Din ka Rozah Bhi choot gaya to Ab se 60 Roze Rakhe pehle ki Ginti Nahin, 59 rakh chuka tha aur 60’va na rakh saka , Bimaari wagairah kisi Uzr se to phir se 60 Roze Poore lagaatar rakhe. Pehle Roze Shumaar na honge Albatta Aurat ko agar Haiz ki Wajah se jitne Naaga(Gap) hue Ye Nahin Geene jaayenge yaani pehle ke Roze aur Haiz ke baadwale Roze Dono Milkar 60 ho jaane se Kaffara Adaa ho Jaayega.
Kaffara Laazim Hone Ki Shartein
Rozah Todhne Se Kaffara Laazim Hone Ki Chand Shartein Hai Jab Ye Sab Paayi Jaayengi Tab Kaffara Laazim Hoga Warna Nahin.
1)Ramzaan Ke Mahine Mein Ramzaan Ka Rozah Adaa Karne Ki Niyyat SE Rozah Rakha Ho
2)Rozah daar Muqim Ho Musaafir Nahin
3)Mukallaf(Aaqil-o-Baalig) Ho To Agar Bachche Ya Paagal Ne Todha To Kaffara Nahin
4)Raat Hi Se Rozae Ramzaan Ki Niyyat Ki Ho To Agar Din Mein Niyyat Ki Phir Use Todh DiYA To Kaffara Nahin
5) Rozah Todhne ke baad koi aise Amr na Waaqey hua ho jo Roze ki Munafi (Khilaaf)Ho jaise Aurat ko Haiz wa Nifaas Aa gaya ho, ya Rozah Todhne ke baad itna Bimaar ho gaya ho k use Rozah na Rakhne ki Ijaazat ho to Kaffara Laazim na hoga.
Roze ke makhroohat ke bayaan
Hadees– hazrat Abu Hurairah Radiyallahu T’aala anhu se Riwayat hai k Rasoolullah sallallaahu t’aala alaihi wasallam ne farmaya “ JO BOORI BAAT KeHNa AUR USPAR AMAL KARNa NAHIN ChhOdhE TO ALLAH T’aala Ko Uski Kuch Haajat Nahin K Usne Khaana Peena Chhodh Diya Hai. (BUKHARI ,TIRMIZI SHARIF)
Hadees: HAZRAT ABU HURAIRAH Radiyallahu t’aala anhu se Riwayat Hai k Rasoolullah sallallaahu t‘aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad farmaya “rozah Uska naam Nahin k khaane peene se baaz Rehna ho rozah to ye hai k bekaar aur behooda baaton se bacha jaaye(haakim)
Masla: Jhoot, Geebat, Chugli,Gaali dena Behooda baat kisi ko takleef dena k ye cheezein waise bhi na jaayez -o-haraam hain roze Mein aur zyaada haraam. aur inki wajah se roze Mein karahat Aati hai
Masla: Rozahdar ko bila uzr kisi cheez ka chakhna ya chabana makrooh hai.
Masla:chakhne ke liye uzr ye hai k maslan kisi aurat ka shouhar bad mijaaz hai k namak kam wa zyaada hoga to naaraaz hoga to iss wajah se chakhne Mein harj Nahin.
Masla: chakhne ke wo maana Nahin k jo aaj kal aam rivaaj hai yaani Kisi cheez ka mazah maloom karne ke liye Usme se thoda kha lena k Yu to karahat kaisi Rozah hi toot jaayega . balki kaffara ke sharait Paaye jaayen to kaffara bhi LazIm hoga.
Masla: chakhne se muraAd ye hai k zubaan par rakhkar Mazah maloom karle aur use thook de Uss Me se Halaq Mein Kuch Na Jaana Paaye Warna Rozah Toot jaayega
Masla: T.V dekhna,Cricket, Badminton, mobile aur computer game ,carom, football, volley ball, chess, hockey ,tennis,card, ludo,wagairah khelna aur dino Mein bhi Na jaayez-o-gunaah hai ramzaan sharif Mein aur sakht gunaah aur isse Rozah Bhi makhrooh hota hai.
Masla: gulaab ya itr wagairah sunghna daadhi, mooch Mein tel lagaana aur surma lagaana makhrooh Nahin.
Masla: Roze Mein miswaak karna makhrooh Nahin balki jaise aur dino Mein sunnat hai roze Meiin bhi sunnat hai.
Masla: roze Mein manjan, toothpaste,wagairah ka istemal makhrooh hai aur agar ye cheezein halaq se neeche utar gayi to Rozah toot gaya.
Masla: rozahdar ke liye kulli karne aur naak Mein paani charhaane Mein mubaalga karna makrooh hai.
Mubaalga karne ke ye matlab hai k bhar munh paani le
Masla: thandak pahunchaane ke liye kulli karna ya gusl karne makhrooh Nahin
Masla: munh Mein thook ikattha karke nigal jaana makhrooh hai
Sehri wa iftaar ka Bayaan
Hadees: hazrate anas Radiyallahu t’aala anhu se Riwayat hai k huzoor-e- aqdas sallallaahu T’aala alaihi wasallam ne farmaya “SEHRI KHAO K SEHRI KHAANE MEIN BARKAT HAI.(bukhari&muslim )
Hadees: hazrat Abdullah ibneumar Radiyallahu t’aal anhuma se Riwayat hai k huzoore akram sallallaahu T’aala alaihi wasallam Ne farmaya “ALLAH AUR USKE FARISHTE SEHRI KHAANE WAALON PAR DU ROOD BHEJTE HAIN (TIBRANI).
Hadees: hazrat abu saeed khudri Radiyallahu t’aala anhu se Riwayat hai k huzoor sallallaahu T’aala alaihi wasallam ne farmaya sehri kul ki kul barkat hai use na chhodhna agarche ek ghoont paani bhi peele kyun ki sehri khaane waalon par allah aur uske farishte durood bhejte hain.(musnad imam ahmed bin hambal)
hadees – hazrate Sahal Bin Sa’ad RadiYallahu T’aala anhu Se Riwayat Hai K Huzoor E Aqdas SallalLaahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Farmaya HaMesha Log Khair K Sath Raheinge Jab Tak Iftaar Mein Jaldi Karenge(Bukhari, Muslim Sharif)
Hadees– Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat Hai K Huzoor sallalLaahu T’aala Alaihi wasallam Ne Farmaya K Allah T’aala Ne Farmaya Mere Bandhon Mein Mujhe Zyaada Pyaara Woh Hai Jo Iftaar Mein Jaldi Karta Hai. (Tirmizi)
Hadees– Hazrate Salman Bin Aamir Radiyallahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai K Huzoor-E-Aqdas SallalLaahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Jab Tumme Se Koi Rozah Iftaar Kare To Khujoor Ya Chhohare Se Iftaar Kare K Woh Barkat Hai Agar Woh Na Mile To Paani Se K Woh Paak Karne Wala Hai. (Abu Dawood, Tirmizi Sharif)
Hadees– Huzoore-E-Aqdas SallalLahu T’aala Alaihi Wasallam Iftaar ke waqt Ye Dua Padhte
Arbi Dua
(Abu Dawood)
Masla– Sehri Khana Aur Usme Taakhir Karna Mustahab Hai Magar Itni Taakhir Makrooh Hai k Subah Ka Shak Ho Jaaye.
Masla– Iftaar Mein Jaldi Karna Mustahab Hai Magar Iftaar Uss Waqt Kare K Gurub Ka Gaalib Gumaan Ho Jab Tak Gumaan Gaalib Na Ho Iftaar Na Kare Agarche Mu-azzin Ne Azaan Keh Di Hai Aur Baadal Ke Dino Mein Iftaar Mein Jaldi Na Kare
Masla– Baaz Log Fajr Ki Azaan Tak Sehri Khaate Rehte Hai Unka Roza Nahin Hota
Masla– Subah Saadiq Tak SEHRI Kha Sakte HaiN Magar Ehtiyaatan 5 Minute Pehle Khaana Pina Mauqoof Kar Dena Behtar Hai
Masla– Kisi Bhi Roze Ke liye Sehri Shart Nahin Ye Jo Awaam Mein Mashoor Hai k Nafli Roze Ke Liye Sehri Zaroori Hai Iski Koi Asl Nahi Balke Bagair Sehri Bhi Ye Roze Ho Jaayenge
Kin Halaaton Mein Rozah Na Rakhne Ki Ijaazat Hai
Masla– Safar Wa Hamal(Pregnancy) Aur Bachcha Ko doodh Peelana Aur Marz Aur Budhapa Ye Sab Rozah Na Rakhne Ke Liye Uzr Hain Inn Wujooh Se Koi Rozah Na Rakhe To Gunehgaar Nahin
Masla-Safar Se Muraad Safar-e-Sharaiy Hai Yaani Itni Door Jaane Ke Iraada Se Nikle K Yaha Se Waha Tak 92 Kilometer Ya Usse Zyaada Ho.
Masla– Din Mein Safar Kiya To USS Din Ka Rozah Iftaar Karne Ke LIYE Aaj Ka Safar Uzr Nahin Albatta Agar Todhega To Kaffara Laazim Na Hoga Magar Gunehgaar Hoga
Masla– Hamal wali(pregnancy)Aurat KO Apni Jaan Ka Khauf Ho To Ijaazat Hai K Wo Uss Waqt Na Rakhe
Masla-Mareez ko Marz Badhjaane Ya Der Mein Achcha Hone Ya Tandrust ko Bimaar Ho Jaane Ka Gumaane Gaalib Ho To Inn Sabko Ijaazat Hai K USS Din Rozah Na Rakhe
Masla– Inn Surton Mein Gaalib Gumaan Ki Qaid Hai Mehez Weham(khyaal) Kaafi Nahin
Masla– Kisi Kaafir Ya Faasiq Doctor Ke Kehne Par Rozah Todhna Jaayez Nahin Agar Todhega To Kaffara Laazim Aayega
Masla– Jin Logo Ne Inn Uzro Ke Sabab Rozah Todha Unpar Farz Hai k Inn Rozo Ki Qaza Rakhe Magar Hukm Ye Hai K Uzr Jaane K baad Doosre Ramzaan Aane Se PEHLE Qaza Rakhle.
Hadees Mein Farmaya Jispar Peechle Ramzaan Ki Qaza Baaki Hai Aur Wo Na Rakhe Uske Iss Ramzaan Ke Roze Qubool Na Honge Aur agar Roze Na Rakhe Aur Doosra Ramzaan Aa Gaya To Ab Pehle Iss Ramzaan Ke Roze Rakhle Qaza Na Rakhe(Yaani Ramzaan Ke Baad Rakhe)
Masla– Khud Uss Musafir Ko Aur Uske Saathwale Ko Rozah Rakhne Mein Zarar(Nuqsaan) Na Pahunche To Rozah Rakhna SAfar Mein Behtar Hai Warna NA Rakhna Behtar
Roze Ke Fidya Ke Masail
Masla– Har Roze Ka Fidya Baqadre Sadqae Fitr Hai(Yaani 2 Kilo 50 gm Gehu Ya Uski Qeemat)
Masla– Shaikhe Faani yaani Budha jiski Umr Aisi Ho Gayi K Ab Roz Baroz Kamzor Hi Hota JAayega Jab WoH Rozah Rakhne Se Aajiz Ho Yaani Na Ab Rakh Sakta Hai Na Aainda Usme Itni Taaqat Aane Ki Koi Ummeed Hai K Rozah Rakh Sakega Use Rozah Na Rakhne ki Ijaazat Hai Aur Har Roze Ke Badle Mein Fidya Yaani Dono Waqt Ek Miskeen Ko Bhar Pet Khana Khilana Uss Par Wajib Hai Ya Har Roze Ke Badle Mein Sadqae Fitr Ki Miqdar Miskeen Ko De De.
Masla– Agar Aisa Budha Garmiyon Mein Ba Wajah e Garmi(Garmi Ki Wajah Se) Ke Rozah Nahin Rakh Sakta Magar Jaadho(Sardi) Main Rakh Sakega To Ab Na Rakhe Aur Inke Badle Ke Jaadho Mein Rakhna Farz Hai.
Masla– Agar Fidya Dene Ke Baad Itni Taaqat Aa Gayi K Rozah Rakh Sakega To Fidya Sadqae Nafl Hokar Reh Gaya Unn Rozon Ki Qaza Rakhe.
Etakaaf Ka bayaan
Hadees– Ummul Momineen Siddiqa Radiyallahu T’aala Anha Se Riwayat Hai K Rasoolullah Sallal Laahu T’aala Alaihi Wasallam Razmzaan Ke Aakhri Ashra(Aakhri 10 din) Mein Etakaaf Farmaya Karte (Bukhari, Muslim)
Hadees– Hazrate Abdullah Ibne Abbas Radiyallahu T’aala Anhuma Se Riwayat Hai K Huzoor Sallal laahu T’aala Alaihi Wasallam Etakaaf Karne Wale Ke Baare Mein farmaya Woh Gunaahon Se Baaz Rehta Hai Aur Nekiyon Se Use iss Qadar Sawaab Milta Hai Jaise Usne Tamaam Nekiyaan Ki. (Ibne Maajah)
Hadees– Hazrate Husain Radiyalllahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai k Huzoore Aqdas Sallallaahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Jisne Ramzaan Mein 10 Dino Ka Etakaaf Kar Liya To Aisa Hai Jaise 2 Haj Aur 2 Umre Kiye.(Baihaqi)
Masla– Masjid Mein Allah Ke Liye Niyyat Ke Saath Theherna Etakaaf Hai Aur Uske Liye Musalmaan Aaqin(Aql Wala) Hona Aur Janaabat(Napaaki) Aur Haiz Aur Nifaas Se Paak Hona Shart Hai, Baalig Hona Shart Nahin.
Etakaaf Ki 3 QIsmein Hai
1) Wajib
2) Sunnate Mu-akkida
3) Mustahab
1)Etakaaf-e-wajib
Ye Mannat Ka Etakaaf Hai Jaise kisi Ne Mannat Maani K Fulah Kaam Ho Jaayega To MAIN 1 Din Ya 2 Din Etakaaf Karuga To Ye Etakaaf Wajib Hai Iska Poora Karna Zaroori Hai. Etakaafe Wajib Ke Liye Rozah Shart Hai Bagair Rozah Ke Saheeh Nahin.
2) Etakaaf-e-Sunnate Mu-akkida
Ye Ramzaan Ke Poore Ashraye Aakhira Yaani Aakhiri 10 Din Mein Kiya Jaaye.
Masla– 20’svi Ramzaan Ko Suraj Doobte Waqt Etakaaf Ki Niyyat Se Masjid Mein Maujood Ho Aur 30’svi Ko Suraj Doobne Ke Baad Ya 29’svi Ko Chaand Hone Ke Baad Nikle.
Masla– Agar 20’svi Taarikh Ko Baad Namaaz-E-Magrib Etakaaf Ki Niyyat Ki To Sunnat-e-Mu-akkida Adaa Na Hogi.
Masla– Ye Etakaaf Sunnat-e-Mu-akkida Kifaya Hai k Agar Sab Chhodh de to Sab Pakre Jaayen Aur Agar 1 Ne Bhi Kar Liya To Sab Choot Jaayen.
Masla– Iss Etakaaf Mein Bhi Rozah Shart Hai Magar Wahi Ramzaan Ke Roze Kaafi Hai.
3) Etakaaf-e-Mustahab
Etakaafe Wajib Aur Etakaafe Sunnat-e -Mu-akkida Ke Alaawa Jo Etakaaf Kiya Jaaye Wo Mustahab Hai. Etakaafe Mustahab Ke Liye Rozah Shart Nahin, Ye Thodi Der Ka Bhi ho Sakta Hai Masjid Mein Jab Jab Jaaye Iss Etakaaf Ki Niyyat Kar Le Chaahe Thodi Hi Der Masjid Mein Rehkar Chala Aaye Jab Masjid Ke Bahaar Aa Jaayega Etakaaf Khatm Ho Jaayega Aur Uski Niyyat Ye Hai.
Arbi Dua
Aur Urdu Mein Iss Tarah Kahein Maine- Allah Ke Waaste Etakaaf-e-Mustahab Ki Niyyat Ki.
Masla : Mard ke Etakaaf ke liye masjid zaroori hai.
Masla : Aurat apne ghar ki Uss jagah Mein Etakaaf kare jo jagah Usne namaAz ke liye mukarrar kar rakhi ho.
Masla : Agar aurat ne namaz ke liye koi jagah mukarrar Nahin Kar rakhi hai to ghar Mein etakaaf Nahin kar sakti , albatta agar iss waqt yaani jab ke etakaaf ka irada kiya kisi jagah ko namaaz ke liye khaas karliya to Uss jagah etAkaaf kar sakti hai.
Masla: Aurat ke liye ye mustahab hai k ghar Mein namaaz padhne ke liye koi jagah mukarrar karle aur Use paak aur saaf rakhe .
Masla: mutakIf (Etakaaf karne wala) ko masjid se bagair uzr nikalna haram hai agar nikla to Etakaaf toot jaayega, chaahe bhool kar hi nikla ho jab bhi.
Masla: Aurat agar apne Etakaaf ki jagah se nikli to Etakaaf jaata raha ,chaahe ghar hi Mein rahe.
Masla : mutakif (Etakaaf karne wala) masjid hi Mein khaaye peeye soye in Umoor ke liye masjid se bahaar hoga to Etakaaf jaata rahega, magar khaane peene Mein yeh Ehtiyaat lazim hai k masjid aaluda na ho.
Masla : Mutakif ke siwa aur kisi ko masjid Mein khaane peene sone ki ijaazat Nahin aur agar yeh kaam karna chaahe to Etakaaf ki Niyyat karke, masjid Mein jaayen aur namaaz padhen ya zikr-e-ilahi kare phir yeh kaam kar sakta hai.
Masla: Mutakif na chup rahe na baat kare balki quran-e-majid ki tilawat hadees ki Qeerat aur durood sharif ki kasrat kare, ambiya wa auliya wa saaleheen ke haalaat padhe.
Masla: Etakaaf jis wajah se bhi toote Qasdan ya bila Qasd beHerhaal qaza wajib hai.
Masla: sunnat-e-muakkida Etakaaf agar todha to jis din todha faqat Uss ek (1) din ki qaza hai poore das (10) dinon ki qaza wajib Nahin.
Masla : agar nafl Etakaaf todh De to iski qaza Nahin.
TARAAWEEH KA BAYAAN
Masla: TARAAWEEH MARD WA AURAT SABKE LIYE SUNNAT-E-MUAKKIDA HAI ISKA TARK jaayez Nahin.
Masla: jamhur ka mazhab ye hai k Taraaweeh bees (20) rakatein hain aur yehi ahaadees se sAabit.
Masla: Taraaweeh ka waqt isha ke farz padhne ke baad se subha sadiq nikalne tak hai.
Masla: Taraaweeh Mein jamaat sunnat-e- kiffaya hai k agar masjid ke sab log chhodh denge to gunehgar honge aur agar kisi ek (1) ne ghar Mein tanha padhli to gunehgar Nahin.
Masla: Taraaweeh masjid Mein ba jamaat Padhna Afzal Hai Agar Ghar Mein JAMAAT SE Padhi To Jamaat ke tark ka gunaah na hua magar Woh sawaab na milenga jo masjid Mein padhne ka tha.
Masla: Agar fout ho jaayen to inki qaza Nahin aur agar qaza tanha padhli to Taraaweeh Nahin balki nafl mustahab hai.
Masla: Taraaweeh Mein ek (1) baar quran-e-majid khatm karna sunnat-e- muakkida hai. Logon ki susti ki wajah se khatm ko tark na kare.
Masla: Agar muqtadiyon par giraani ho to tashahaud ke baad “ Arbi Dua” par iktefa kare.
Masla: Agar ek (1) khatm karna ho to behtar hai k sattaiswi (27) shab Mein khatm ho phir agar Iss Raat Mein ya iske pehle khatm ho to Taraaweeh aakhir ramzaAn tak Baraabar padhte rahe k sunnat-e- muakkida hai.
Masla: Afzal ye hai k ek imaam ke peeche Taraaweeh padhe aur do (2) ke peeche padhna chaahe to behtar hai k poore Tarwihah par imaam badle maslan aanth (8) ek (1) ke peeche aur baarah (12) doosre ke.
Masla: Ramzan sharif Mein vittr jamaat ke saath padhna afzal hai khwah Usi imaam ke peeche jis ke peeche isha wa Taraaweeh padhi hai ya doosre ke peeche.
Masla: ye jayeez hai k ek (1) shakhs isha wa vittr padhae doosra Taraaweeh.
Masla: Agar isha jamat se padhe aur Taraaweeh tanha to vittr ki jamaat Mein sharik ho sakta hai .
Masla: Agar isha tanha padhli agarche Taraaweeh bajamaat padhi to vittr tanha padhe.
Masla : Muqtadi ko ye jaayez Nahin ke baitha rahe jab imaam rukoo karne ko ho to khadha ho jaaye k ye munafiqeen se mushabahat hai , allah T’aala irshaad farmata hai “ Munafiq jab namaaz ko khade hote hain to thake ji se . (surre nisa aayat no 142).
Masla: Taraaweeh ramzan ki har shab Mein bees(20) rakat sunnat-e-muakkida hai baaz log ye karte hai k che (6) din ya das (10) Din Mein poora quran sharif sun kar poore ramzan Taraaweeh Nahin padhte woh gunehgar aur fasiq hai. Woh ramzan-ul-mubaraq ki baqiya(Baaqi) raaton Mein bhi Taraaweeh padhe.
Luqma dene ke masail
Masla: imaam agar bhool jaaye to luqma dena jaayez hai aur agar imaam ne luqma le liya to Uss par sAjda- e- sahu Nahin.
Masla : foran luqma dena makrooh hai Thoda tawaqquf (theherna ) chaahiye k shaayed imaam khud nikaal le.
Masla: imaam ko makrooh hai k muqtadiyon ko luqma dene par majboor kare balki kisi doosri sureh ki taraf muntaqil ho jaaye ya doosri aayat shuru karde bashart ye k Uska Wasl mufside namaaz na ho .
Masla: qari (imaam) ko pareshaan karne ki Niyyat se luqma dena haraam hai. (Fatwae razwiya)
FAZAIL E SHAB-E- QADR
SHAB- E- QADR ke fazail Mein surah-e-qadr nazil hui , allah T’aala ne isi shab Mein quran-e-haqim yaqbaargi lauhe Mehfooz se aasmaane duniya ki taraf nazil farmaya.
Iss Shab Mein Ibaadat Karna Hazaar Mahinon Ke Ibaadat Se Behtar Hai Iss Shab Mein Hazrat Jibrael Alaihissalaam Aur Beshumaar Farishtein Duniya Ki Taraf Utarte Hain Aur Jo Log Ibaadat Wa Riyaazat Mein Mashgool Rehte Hain Unhein Salaam Pesh Karte Hain Aur Unke Liye Istigfaar Karte Hain Aur Ye Farishte Subha Saadiq Tak Rehte Hain.
Iss Shab Ki Fazilat Mein Ahadees Bahot Hai Yaha Kuch Zikr Ki Jaati Hain
Hadees– Hazrat Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai K Huzoore Aqdas Sallal laahu T’aala Alahi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Ramzaan Mein 1 Raat Aisi Hai jo Hazaar MAHEENON Se Behtar Hai Jo iski Bhalaiyo Se Mehroom Raha Wo Beshak Mehroom Hai.(Nasai)
Hadees– Hazrat Anas Radiyallahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai Kehte Hai Ramzaan Aaya To Huzoore Aqdas Sallallaahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Ye Maheena Aaya Iss Mein 1 Raat Hazaar Maheenon Se Behtar Hai Jo Isse Mehroom Raha Wo Har Cheez Se Mehroom Raha Aur Uske Khair (Bhalai) Se Wahi Mehroom Hoga Jo Poora Mehroom Hai.(Ibne Majah)
Hadees– Hazrat Salman Farsi Radiyallah8u T’aala Anhu Se Riwayat Hai Huzoore Aqdas Sallal laahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Farmaya- Aye Logo! Tumhaare Paas Azmat Wala Barkat Wala Maheena Aaya Wo Maheena Jisme 1 Raat Hazaar Maheenon Se Behtar Hai.(Baihaqi)
Hadees– Hazrat Abu Hurairah Raduyallahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai k Huzoore Aqdas Sallal laahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Jo Imaan Ki Wajah Se Aur Sawaab Ke Liye Shabe Qadr Mein Ibaadat Karega Uske Agle Gunaah Bakhsh Diye Jaayenge.(Bukhari,Muslim)
Lijhaza Iss Raat Mein Zyaada Se Zyaada Ibaadat Karni Chaahiye, Ye Raat Bahut Buzurgi Aur Fazeelat Wali Hai Iska Har Har Lamha Ibaadat Mein Guzaarna Chaahiye, Iss Raat ko Idhar Udhar Ghoom Kar Behuda Baaton Mein Guzaar Dena Sakht Mehroomi Hai.Baaz Log Aisi Raaton Mein Raat Ke Aakhir Hisse Tak Jaagte Hain Phir So Jaate Hain Aur Din Mein Uthte Hai.Iss Tarah unki Fajr Ki Namaaz Qaza Ho Jo Jaati Hai Jo K Jaayez Nahin Jin Logo Ko Fajr Mein Bedaar Hone Ka Yaqeen Na Ho unko Aise Waqt Mein Sona Hi Mana Hai Aise Logo Ko Chaahiye K Isha Ki Namaaz Jama’at Se Padhkar So Jaaye Aur Fajr Ki Namaaz Jama’at Se Padhe K Hadees Sharif Mein Hai k Huzoore Akram SallalLaahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Jisne Ba Jama’at Isha Ki Namaaz Padhi Goya Aadhi Raat Qayaam Kiya(Ibaadat Kiya) Aur Jisne Fajr Ki Namaaz Jama’at Se Padhi Goya Poori raat Qayaam(Ibaadat) Kiya (Muslim Sh)
iss Tarah Unko Raatbhar Ibaadat Karne ka Sawaab Mil Jaayega Aur Fajr Ki Namaaz Qaza Na Hogi. iss Raat Mein Qasrat Se Nawafil Padhe Aur Agar Zindagi Qaza Namaaze Ho To Behtar Ye Hai K Nawafil Ki Jagah Qaza Namaaze Padhe Aur Taakhir Se Adaa Karne K Apne Rab Se Maafi Maange.Aala Hazrat Azimul Barkat Imam Ahmed Raza Fazile Bareilvi Radiyallahu T’aala Anhu Irshaad Farmate Hain Qaza Har Roz Ki Namaaz Faqat 20 Rakaton Ki Hoti Hai 2 Fajr ki, 4 Zohar Ki, 4 Asr Ki, 3 Magrib , 4 Isha, 3 Vitr. Agar Waqte Buloog Na Maloom Ho To Iske Liye Mard 12 Baras Aur Aurat 9 Baras Ki Umr Se Namaaz Ka Aisa Hisaab Lagaaye k TakhMeena Mein Baaqi Na Reh Jaaye.Zyaada Ho Jaaye To Harj Nahin Aur Wo Sab Baqadre Taaqat Rafta rafta jald Adaa Karein Kaaheeli Na Karein. Jab Tak Farz Zimaa Rehta Hai Koi Nafl Qubool Nahin Kiya Jaata.Niyyat Unn Namaazon Ki Iss Tarah Ho Maslan 100 Baar Ki Fajr Ki Qaza Hai To Har Baar Yu Kahe Ki Sab Se Pehli Jo Fajr Mujhse Qaza Hui Har Dafa Yehi Kahe yaani 1 Adaa Huyi To Baakiyon Mein Jo Sabse Pehli Hai Isi Tarah Zohar Wagairah Har Namaaz Mein Niyyat Karein.Jis par Bahut si Namaaze Qaza Ho Uske Liye Takhfeef Ki Surat Ye Hai k 1) Farz Ki Teesri Chouthi Rakaaton Mein Surah-e-Fateehah Ki Tilaawat ki Jagah 3 Baar Subhanallah Kehkar Rukoo Mein Jaaye.2)Nez Tasbeehaate Rukoo Aur Sujood Mein Sirf 1 Baar Subhana Rabbiyal Azeem Aur Subhana Rabbiyal A’ala Padhlena kaafi Hai.(Yaad Rahe Ye Tasbeehaat Rukoo Mein Jaane Ke Baad aur Uthne Se Pehle Adaa Karen)3)Tashahhud Ke Baad Dono Durood Sharif Aur Dua Ke Bajaaye ALLA HUMMA SALE ALAA SAYYEDINA MUHAMADEU WA AALIHI Keh Kar Salaam Pher De.4) Vittro Mein Bajaaye Qunood Ke 3 Baar Rabbig phirli Kehna Kaafi Hai.Tuloo, GurUb Wa Zawwaal Ke Alaawa Qaza Namaaze Har Waqt Adaa Ki Ja Sakti Hai.(Fatawae Razviya Jild 3, SAFA No 621-622) ALLAH T’AALA Ham Sab Logo Ko Iss Raat Ke Ehtaram Ki Taufeeq Ataa Farmaaye.
22) Chand K Masai
Mas'ala : 5 Mahino Ka Chaand Dekhna Wajib e Kifaya Hai.
Shaaban , Ramzaan , Shawwal , Zil Qaida, Zil Hajj.
(FAtawa e RAzviyah Shareef)
Mas'ala : Shabaan Ki 29 Tareekh Ku Shaam Ke Waqt Chaand Dekhen.Dikhayi De To KaL Roza Rakhen.Warna Shabaan Ke 30 Din Pura KArke Roza Rakhen.
(AalamGiri Jild 1 Safa 184)
Matla Na Saaf hone Me Yaani Aasmaan Me Abar O Ghubaar Hone Ki Halat me Sirf Ramzaan Ke Chaand Ka Suboot Ek Musalmaan Aaqil O BAligh Mastoor Ya Aadil Ki Gawahi Ya Khabar Se Ho Jata HAi.Chahe MArd Ho Ya Awrat Aur Ramzaan Ke Siwa Tamam Mahino Ka Chaand Us Waqt Sabit Hoga JAb Do Mard, Ya Ek MArd Aur 2 Awraten Gawahi Den.Aur Sab Paband Shara Hon.Aur Ye Kahen Ke My Shahadat Deta Hon Ke Myne Is Mahine Ka Chaand FAlaan Din Khud Dekha HAi.
(Hidaya O Radd Al Muhtar O Bahar e Shari'at)
Aadil Hone Ka ye Matlab HAi Ke Kabeera Gunahon Se Bachta Ho, Aur Sagheera Gunahon Per Israr Na Karta Ho, Aur Aysa Kaam Na KArta Ho Jo Tahzib O Murawwat ke Khilaaf ho..Jaise BAzaron Me Saadkon Per Chalte Phirte Khana, Peena.
Mastoor Se Ye Muraad Hai ke Jis Ka Zahir Haal Sh'ara Ke Mutabiq Hai.Magar Batin Ka Haal Maloom Nahi
(Radd Al Muhtar)
Mas'ala : Jis Aadil Shakhs Ne Chaand Dekha He Us Per Wajib He Ke Usi Raat Mai Shahadat De.
( AalamGiri , J-1 ,S-185)
Mas'ala :. Gao(n) Mai Chaand Dekha Aur Waha Koyi Haakim Ya Qaazi Nahi
Jiske Samne Gawahi De
To Gao(n) Walo Ko Jama Ker Ke Unke Samne Chaand Dekhne Ki Gawahi De.
Agar Ye Gawahi Dene Wala Aadil Hai.Logo Per Roza Rakhna Laazim Hai.
( AalamGiri , J-1 , S- 185)
Matla Agar Saaf Ho To Jab Tak Bahot Se Log Shahadat Na De Chaand Ka Saboot Na Hoga.
( Chahe Ramzan Ka Chaand Ho.. Ya Eid Ka Ya Kisi Aur Mahine Ka )
Raha Ye Ke Kitne Logo Ki Gawahi Is Surath Mai Chahiye.
To Ye Qaazi Ki Raay Per He Jitne Gawaho(n) Se Use Galib Gumaan Hojaye
Utne Gawaho(n) Ki Shahadat Se Chaand Hone Ka Hukm Dega
Lekin Agar Shaher Ke Bahar Kisi Onchi Jaga Se Chaand Dekhna Bayaan Kare.
To Ek Mastoor Ka Bhi Qual Sirf Ramzan Ke Chaand Mai Maan Liya Jayega.
( Durre Mukhtar , J-2 ,S-93 -o-
Bahare Shari'at , J-5 , S-106 )
Mas'ala : Agar Kuch Log Aaker Ye kahe Falaa(n) Jagah Chaand Huwa.
Balke Agar Shahadat Bhi De Ke Falaa(n) Jagah Chaand Huwa.
Balke Agar Ye Shahadat De Ke Falaa(n) Falaa(n) Ne Dekha.
Balke Agar Ye Shahadat De Ke Falaa(n) Jaga Ke Qaazi Ne Roza Ya Iftar Ke Liye Logo(n) Se Kaha.
Ye Sab Tariqe Chaand Ke Saboot Ke Liye Naa-Kafi Hai.
Aur Is Qism Ki Shahadato(n) Se Chaand Ka Saboot Na HosakeGa.
( Durre-Mukhtar-o- Radd-Ul-Muhtar-o- Bahare Shari'at)
Mas'ala :Kisi Shaher Mai Chaand Huwa.
Aur Waha Se Chand Jama'Ate(n) Dusre Shaher Mai Aaye Aur Sab Ne Khabardi Ke Waha Falaa(n) Din Chaand Huwa He Aur Tamam Shaher Mai Ye Baat Mash'hoor He Aur Waha Ke Logo(n) Ne Chaand Nazar Aane Ke Bina Per Falaa(n) Din Se Roze Shuru Ker Diye Hai
To Yaha Walo Ke Liye Bhi Saboot Hogaya.
( Radd-Ul-Mukhtar -o-Bahare Shari'at , J-5 , S-107 )
Mas'ala :.Kisi Ne Akele Ramdan Ya Eid Ka Chaand Dekha Aur Gawahi Di.
Magar Qaazi Ne Uski Gawahi Qubool Nahi Ki
To Khud Us Shakhs Per Roza Rakhna Laazim He.
Agar Na Rakha Ya Tod Dala To Qaza
Lazim.
( Hidaya , Durre Mukhtar , AalamGiri ,J-1 , S-185 )
Mas'ala : Agar Din Me Chaand Dikhayi Diya Chahe Dopaher Se Pehle Ya Dopaher Ke Baad BaharHaal Wo Aane Wali Raat Ka Chaand Mana JAyega.Yaani Jo Raat Aayegi Usi Se Mahina Shuru Hoga. Maslan, Tees(30) Ramzaan Ko Din Me Chaand Nazar Aaya. To Ye Din Ramzaan Hi Ka Hai Shawwal Ka NAhi . Aur Roza Pura Karna Farz HAi Aur Agar Shaaban Ki Tees(30) Tareekh Ko Din Me Chaand Nazar AaGaya To Ye Din Shaaban Hi Ka Hai Ramzaan Ka NAhi.Lihaza Aaj Ka Roza Farz Nahi.
(Dur Al Muqtaar Wa Rad Al Muhtaar)
Mas'ala : Taar, TelePhone, Radio Se Chaand Dekhna Sabit Nahi Ho Sakta. Isliye Agar In Khabron Ko Har Tarha Sahi Maan Liya Jaye Jab Bhi Ye Mehaz Ek Khabar Hai.Shahadat NAhi Hai.Aur Mehaz Ek Khabar Se Chaand Ka Suboot NAhi Hota.Aur Isi Tarha Bazaari Afwahon Se Aur Jantariyoun Aur Akhbaron me Chapne Se Bhi Chaand Nahi Ho Sakta.
Mas'ala : Chaand Dekh Kar Uski Janib Ishara Karna Makruh HAi.Agarche Dosron Ko Batane Ke Liye Ho.
(AalamGiri Wa Durr Al Muqtaar Jild 2 Safa 97)
Ye Post Hamara Nahi Hai, Mufti Dilshad Ahmed Razvi Ka Ata Karda Hai.