ROOH
Q.Rooh Kitni Hoti Hai?
Har Insaan Musalman Ya Kafir Sab Ki 2 Roohein Hoti Hai.
Ek Uske Jism Mein Paidaish Se Maut Tak Hoti Hai.
Dusri Kabhi Jism K Bahar Bhi Aati Jaati Rehti Hai.
(Jaisa Ki Hadeeson Mein Aaya Agar Wazu Kar K So Jao To Rooh Kaabe Ka Tawwaf Bhi Karti Hai)
Agar Ye Dono Roohein Jism Se Nikal Jaye To MAUT Hoti Hai. Agar Ek Nikli Ek Jism Mein Hai Toh Need Ka Aalam Hota Hai.
Lekin ROOH Kahin Bhi Ho, Jism Se Uska Talluk Hayat Mein Hamesha Rehta Hai. Kuch Insaan Ki Rooh Ko Mauwakil Jinnat Farishton Se Bhi Zyada Qudrat Hasil Hoti Hai.

Allah K Zirk, Namaz, Roza, Rasul Allah Par Darud, Quraan, Elm Se Rooh Ko Giza Aur Takat Miti Hai.

Rooh Marne K Baad Kahan Rehti Hai -
Marne K Baar Rooh Mukhtalif Jagahon Par Hoti Hai.
Momin Ki Rooh -
1. Uski Qabr Par
2. Zam Zam K Kuwwe Mein
3. Zameen aur Pehle Aasman K Beech
4. 7ve Aasman Par
5. Jannat K Parindion K Poton Mein
6. Kisi Ki Masjid Mein
Apne Apne Aamal K Aur Allah Ki Ata K Mutabik Inme Se Kahin Bhi Hoti Hai.
(Rooh Ka Kohi Fix Mamla Nahi Hota, Albatta Kuch Hadeeson aur Aqwal K Bunyad Par Ye 6 Jagah Naql Ki Hai)

Kaafir Ki Roohon Ko Zameen K Andar Dhasa Kar Qaid Kar Diya Jata Hai Aur Uspe Aazab Hota Rehta Hai.

Dunya Mein Aane Se Pehle Sab Ki Rooh Aalam E Arwah Mein Rehti Hi.

ROOH Kia Hai?
Rooh Allah K AMR Se Bani E Quwwat Hai Jiska Talluk Insaan Ki Paidaish Se Pehle Se Maut K Baad Tak Rehta Hai.
[09/07, 11:03 am] SAROSH: Kia Marne K Baad Rooh Kisi Ki Madad Kar Sakti Hai Ya Nuksaan Pahucha Sakti Hai?
Haa
Momin Ki Rooh Ko Ye Quwwat Hasil Hai

Kafiron Ki Rooh Ko Na Madad Na Nuksaan Kisi Ki Qudrat Nahi. Wo Qaid Hoti Hai.

Ye Jo Alag Alag Naam Se Aamil aur Tantrik Log Kehte Hai Wo Rooh Nahi Wo Jinnat Ya Hamzad Hote Hai.
Bhoot
Pari 
Pishach
Khabis 
Ye Sab ROOH Nahi Jinn Ki Qism Hai. 
Jaise Pari Jinn Ki Aurton Ko Kaha Jata Hai.

ROOH Kaisi Dikhti Hai?
Ek Rooh Aksar Hu Bahu Aap K Maujuda Shakl O Surat K Jaisi Hoti Hai

Dusri 
Noor Ki Ek Lehar Hoti Hai.

Rooh K Bare Mein Quran Kia Kehta Hai?
1. Rooh Ka ELM Insaano Ko Bahot KUM Diya Gaya Hai.
2. Rooh Ne Allah Ko Dekha Hua Hai Iskiye Usme Azeem Taqat Hoti Hai.
3. Rooh Allah K AMR Se Hai (huqm o Irade) Rooh Ka Inkaar KUFR Hai.

ROOH K bare Mein Thodi Malumat Zaruri Hai. Warna Confuse Hojaoge.

Kia Rooh Ko Dekh Sakte Hai?
Haa
Lekin Batini Aakhon Se.

Ya Ali Madad
Ya Gaus Madad
Bolne Se Ye Buzurgon Ki Rooh Direct Madad Karti Hai.

Imam Shafai Radi Allahu Anho (Born 150 to 204 Hizri) :
Hazrat Imam Shafai Radi Allaho Anho Ne Farmaya Ki Mai Imam Abu Hanifa Se Barkat Hasil Karta Houn Aur Unki Qabr Ke Paas Aata Houn. To Jab Mujhe Koi Hajat Pesh Hoti Hai To Mai Do Rakaat Namaaz Padta Houn Aur Unki Qabr Ke Paas Allah Taala Se Duaa Karta Houn To Hajat Jald Puri Ho Jati Hai.
(Khatib Bagdadu ne Sahi Sanad Se Tarikh E Baghdad Jild 01 Pg : 123)
(Ibn Hajar Al Haytami ne Al Khayratul Hisan Fi Manaqib Al Imam Al Aazam Abu Hanifah Pg 94)
(Muhammad Zahid Al Kawthari ne AL Maqalat pg : 381)
(ibn Aabideen As Shami Ne  Raddulmuhtar Zild : 1, Pg. 41)

Imam Muhammad ibn Muhammad Huzzatul Islam Imam Ghazali
(Born 450 Hizri to 505 Hizri)
Imam Ghazali Alaih Rehma Farmate hai “Jab Bhi koi Shaks Musibat Me Ho To Wo Qabr Waalo se Madad Maange, Jo Ruhani Taqat Waale Hote Hain aur isme koi shak nahi k unki kabr ki jiyarat se roohani madad milti hai aur faiz haasil hota aur bahot baar jab unka waseela ALLAH ki bargaah me pesh kiya jaata hai to Musibato ko khatm kar diya jaata hai” [Tafseer e Roohul Maani]

Shah Abdul Haq Muhaddis Dahelvi Alaih Rehma (Born 925 -1052 Hizri)
Hazarat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlavi Bukhari Rahmatullahi Alaihi Farmate Hai Ki Hazrat Imam Shafai Ne Farmya Ki Qabr Duaa Ki Maqbuliyat Ke Liye Anmol Azmai Hui Jagah Hai. (Ref : Ash’atullam’aat Zil.1, Pg.715)


Aap Farmate Hai Ki Qabro Ki Ziyarat Bil Ittefak Mustahab (Behtar) Hai (Ash’atullam’aat Zild: 1 Pg.715)

Allama Ibne Aabideen ShameeAlaihi Rehma (Al Mutawaffa 1253 Hizri)

Aap Farmate Hai Ki Auliya Allah Khuda-E-Ta’aala Ki Bargah Me Mukhtalif Darja Rakhte Hai. Aur Ziyarat Karnewalo Ko Apne Ma’aarif Wa Asrar (Ruhani Raj) Ke Lihaj Se Faida Pahunchate Hai.
(Ref : Raddulmuhtaar Zild 1, Pg:604)

Aur Farmate Hai Kibuzurgo Ki Qabro Ki Ziyarat Se Barkat Hasil Karna Budi Aurto Ko Harz Nahi Aur Jab Ki Jawan Ho To Najaiz Hai. Jaise Ki Jama’at Ke Liye Masjido Me Hazir Hona Ja
(Ref : Raddulmuhtar Jild : 01, Pg : 604)

Ye Jo SUFI Orders Hote Hai
Qadri
Chishti
Nakshbandi
Ashrafi
Inka Kaam Hai Roohon Ko Powerful Banana, Buzurgon Ki Roohon Se Connect Karna.

Rooh Marne K Baad Kahan Rehti Hai -
Marne K Baar Rooh Mukhtalif Jagahon Par Hoti Hai.
Momin Ki Rooh -
1. Uski Qabr Par
2. Zam Zam K Kuwwe Mein
3. Zameen aur Pehle Aasman K Beech
4. 7ve Aasman Par
5. Jannat K Parindion K Poton Mein
6. Masjid K Taak Mein

Apne Apne Aamal K Aur Allah Ki Ata K Mutabik Inme Se Kahin Bhi Hoti Hai

Kafir Ki Roohon Ko Zameen K Andar Dhasa Kar Qaid Kar Diya Jata Hai Aur Uspe Aazab Hota Rehta Hai.

Momin Ki Rooh Qabz Karne Ke Liye Malkal Maut ( Hazrat Izraeel Alayhi Salam )Apne Hamraah "Rahmat" Ke 6 Lac Farishte Laate Hain Aur 
Kafir Ki Rooh Qabz Karne Ke Liye 6 Laakh "Azab" Ke Farishte Unke Saath Hote Hain. 

Ma'rijun Nubuwwa,Jild-3 , Safa No 105

Malakul maut jab kisi Momin ki rooh qabz karne ke liye tashreef late hain . To Is shan ke saath aate hain ki unke saath haseen aur khoobsoorat chehre wale farishton ki aik muqaddas jamat hoti . Ye farishte jannati kafan aur jannati khushboo lekar aate hain . Aur hazrat Malakul maut apni naram aur meethe lehje me Is tarah irshad farmate hain ki :

اخرجی اییتھا النفس الطیبۃ کانت فی الجسد الطیب اخرجی حمیدۃ وابشری بروھ و ریحان و رب غیر غضبان 

Yaani nikal jaa aye paak jaan . jo paak badanme thi . Nikal to qabil e tareef hai . Aur to raahat aur khushboo aur us rab ki basharat hasil kar jo tujh se kabhi naraz nahi hoga.

Uske baad farishton ki jamat us rooh ko jannati kafan me lekar aasmanon ki taraf jati hai . Aur uske liye aasmanon ke darwaze khol diye jate hain , Phir aasmani farishton ki jamat ye kah kar us paak rooh ka istiqbal karti hai , Ki : Khush Aamdeed ” aye paak jaan , Jo paak badan me thi . Jannat me dakhil hoja , To qabil e tareef hai . Tujh ko rahat o khusboo aur us rab ke deedar ki basharat di jati hai jo tujh par kabhi naraz nahi hoga . Phir farishton ke us Naaara Ke saath ye mubarak rooh darbar e Ilahi tak pahunch jati hai.

Kafir Ki Rooh Kaise Nikali Jati Hai?

Malakul maut jab kisi Kafir ki rooh nikalne ke liye aate hain to unke saath kale kale chehro wale , darawani shakal wale , Azab ke farishton ki aik jamat hoti hai . jin ke saath aik taat ( chatai ) hoti hai aur malakul maut us badkaar insan ke sar ke pas baith kar mihayat sakht lehje me kahte hain : Nikal aye khabees jaan , jo khabees badan me rahti thi , tu mazammat ke laay hai aur tujh ko garam garam pani aur jahannamiyon ke peep aur isi tarah ke qism qism ke azab ki saza hona hai . 

Phir azab ke farishte us rooh ko jab jahannami taat me lapet kar aasmanon ki taraf jate hain , To us ke liye aasmanon ke darwaze nahi khole jate . Aur aasmanon ke farishte us rooh ko ye kah kar dhutkarte hain , ki aye khabees badan me rahne wali khabees jaan ham tere liye khush aamdeed nahi kahte . tu wapas laut ja , tu yahan rahne ke qabil nahi . Isliye tere liye aasmanon ke darwaze nahi khole jayenge . Lihaza tu is qabil nahi ki darbar e ilahi tak teri pahunch ho sake 

--
☠️☠️☠️
Shaitaan Ka Makr o Fareb
Jo Musalman Neki Ka Irada Karta Hai Usko Sahaitaan Kai Tariqon Se Behkata Hai

Uski NIYAT Ko Kharab Ya Halka Kar Deta Hai

Uske WAQT Ko Kum Darje Ki Ibadat Mein Zaye Kardeta Hai

Jaise Ushi 1 Ghante Mein Insaan Elm e Deen Hasil Kar Sakta Hai (jo FARZ hai) aur Behek Gaya Wahi 1 Ghanta Muraqebe Mein Laga Dega Jo Mustahab Hai.

Allah Shaitan K Fareb Se Bachaye!
Mahfum-e-Hadees: 
Rasool’Aallah (Sallallahu
Alaihay Wasallam) Farmatey Hai –
Jis Shakhs Ko Sirf *Duniya* Ki Fikr Ho To
Allah Ta’ala Uske Kaam Me *Pareshaani* Daal Dega,

*Aur Uski Muflisi Dono Aankhon Ke Darmiyan Kar Dega
*Aur Duniya Usko Utni Hi Milegi Jitni Uski Taqdeer Me Likhi Hai...
Aur Jiski *Niyat Aakhirat Ki Taraf Ho Tou Allah Ta'ala Uske Sab Kaam Durast Kar Dega* ,...
*Aur Uskey Dil Me Be-Parwahi Daal Dega
Aur Duniya Bila Shuba Uske Pass Aayegi”.

– (Sunan Ibn Majah)

“Duniya ki Misaal Aakhirat ke Muqable me Aisee hai Jaisey Tum me se Koi Apni Ungli Samandar me Daley Phir Dekhey ki Kitna Paani Uski Ungli me Lagta hai.”
(Matlab Samandar (akhirat) K Aur (dunya) 1 Boond Bhi Nahi)

[Sunan Ibn Majah, Vol-3, 989-Sahih]

Shaitaan Tumko (Garibi/Tang Dasti/Faqeeri) Se Darata Hai aur Bure Kaam Karne Kehta Hai.
(Mafhoom)
Quran Sureh Bakra Ayat 268

☪️☪️☪️
FARZ vs NAFIL (mustahab)

Pehli Baat Ye Hai Iska Kohi Comparison Hai Hi NAHI Ye Toh Aap K Samajh Mein Aajaye Iskiye Likh Raha Hu

1. 2 Rikat Namaz Farz 2000 Rikat Nafil Se Bhi Zyada Behtar Hoti Hai

2. 100 Rupya Farz Sadqa (ZAKAT) 100000 Rupya NAFIL Sadqe Se Bhi Behtar Hota Hai

3. Elm e Deen (Farz Uloom) Mein Invest Kia Hua 1 Saal Zindigi 50 Saal K Nafil Muraqebe Se Behtar Hota Hai

4. Elm e Deen (farz uloom) Sikhana Aur Faylana Sab Se AFZAL Zikr Mein Se 1 Hai Jo Marne K Baad Bhi JARI Rehta Hai (sawab e jaria)

5. 1 Farz Roza Agar Qaza Hojaye Toh Pura Saal Bhi Nafil Roza Rakhne Se Uski Fazilat Hasil NAHI Hogi

Oont K Saamne Bakri Ka Bachcha
Aur 
Suraj K Aage Chirag Ka Kohi Muqabla Nahi Hosakta.

Har Fitne Ka Radd Farz e Azam Hai.
Shia Rafzi
Wahabi Deobandi
Suleh Kulli 
Qadyani Ahmedi
Ye Saare Aaj K Bade Fitne Hai.
Ahle Sunnat Wa Jamat Se Inka Kohi Talluk Nahi.

الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ