Tazia Jayez Aur Mu'rawweja Tazia Haram 15
Tazia Ki 2 Qismen Hai
1. Sharai Tazia
2. Murwaja Tazia
Sharai Tazia Aisi Tazia Hai Jisme Kohi Bhi Amal Khilaf E Shariyat Na Ho.
Jaise
Ghar Mein Ya Muhalle Mein Imam Husain R.A k Roze ki Tasweer Lagana Ya Usse Milta Julta Temporary Structure Banana.
Aisa Toh Kaaba aur Madina Shareef Ka Har Ghar Mein Hota Hai, Jisko Bais E Barkat Mana Gaya Hai. Isme Kohi Harj Nahi Ye Jayez Hai.
Phir Naat Ki Mehfil Ho, Allah Ka Zikr Ho, Karbala Ka Sunni Bayan Ho, Esal E Sawab Ho, Radd E Shiya o Rafzi Ho, Tabbarukat Ki Ziyarat Ho, Padosi Rishtedaar Ko Khana Khilao, Sadqa Karo, Tohfa Lena Dena Ye Sab JAYEZ o SAWAB ka Kaam Hai.
Sharai Tazia Mein Mufti Azam Hind Maulana Mustafa Raza Khan R.A Khud Shirkat Farmate The Jo Bombay Mein Hoti Thi, Aur Aaj Bhi Sharai Tazia Mein Ulema Ahle Sunnat Shirkat Farmate Hai.
Sharai Tazia Ka Hawala Imam Ahmed Raza R.A Ki Kitab Risala Taziyadari Mein Maujud Hai.
MU'RAWWE'JA TAZIA
Aisi Tazia Hoti Hai Jo Lakdi Kagaz Kapde Se Bana Hua Kuch Hota Hai, Isme Shiaon Jaise Kapde (kaale , hare, laal) Pehen Kar Shirkat Karte Hai (Jabki safed Rang Ka Kapda Pehnna Islam Mein Afzal Hai).
Aur Isme Gair Sharai Rasm o Riwaj, Dhool, Matam, Shoog, Ka Mahol Hota Hai. YE MU'RAWWE'JA TAZIA HARAM HAI.
Murawweja Tazia k Zaruri Masail
1. TAZIYA Mamnua hai sharah meIski kuch Asl NAHI aur jo BIDAT
Unke saath kijati hai sakht
HARAM hai.
Fatawa-RAZVIYA V-24 p:490
.
2. TAZIYA Banana, Dekhna Jaiz NAHI aur Iski tazeem aur Is’se AQEEDAT rakhna sakht HARAAM hai
Fatawa-RAZVIYA
Vol-24 p:489
.
3. TAZIYE Mein Kisi Qism Ki Imdad Jayez Nahi
“Gunaah aur Ziyadati ke Muamlat Mein Ek Dusre Ki Madad Na Karo”.
Quran Surah:Maeedah A.2
4. Dhool -Taashe Bajana, Uchal Kood, Naach, Maatam, Azadari Ye Sab Jahalat Hai aur RAAFZIYO (shiyo) ki Rasmein Hain- Inse Bachein
5. Sunni Musalmano ko Chahiye ki
Ashrah’E MUHARRAM mein 3 Rango ko Pahanne se Bache!
Kaala
Hara
Laal
Fatawa-E-RAZAVIYA; V-24 p:496
6. MUHARRAM me NIKAH karna kaisa?
“Maah’E Muharram me NIKAH karna
Jaaiz hai,
6. MUHARRAM me NIKAH karna kaisa?
“Maah’E Muharram me NIKAH karna
Jaaiz hai,
NIKAH kisi MAHINE me Mana NAHI.
Fatawa-E-RAZAWIYYA; V-11
7. Sarkar AalaHazrat رحمة الله عليه se Puchha gya, Shoukat o Dabdaba ki Bina per taziya banana aur Nikalna, Alam o Bairaq aur Mehandi nikalna wagaira Jaiz hai ya nhi, Naiz Taziye ko Hajat Rawa Samajhna ya ye kehna k Taziya Hamari Mannat ka hai ager banana Band krege to hamare Jaan o Maal ka Nuqsaan hoga kaisa hai?
Ala Hazrat رحمة الله عليه ne Jawab me irshad farmaya, Alam, Taziya, Bairaq Mehandi, Jis trah Raiz hai sab Bid'At hai Aur Bid'At se Shoukat e Islam nhi hoti, Taziye to Hajat Rawa Samajhna Jahalat per Jahalat, Aur ise Mannat manna Himaqat, aur Na kerne ko Bais e Nuqsan samajhna Zanana jhen hai. Musalmano ko aisi Harkaat o Khayalaat se baaz aana chahiye.
Fatawa e Razwiya,
Jild 24, Page,500
=====
Musalmaan Aur Matam | Noha (Matam) Karna Aur Dekhna Dono Haram Hai
Mafhum-E-Hadees - E - Rasul :
Hazrat Abdullah Ibn Masood (Radi’allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke, Rasoolallah (صلی اللہ علیک و سلم) Ne Farmaya: “Jo (Apne) Chehre Ko Peete, Ghireban Phare (Maatam Kare) Aur Zamana-E-Jahiliyat Ki Batain Kare (Noha Kare) Wo Hum (Musalmanon) Me Se Nahi Hai.”
Mafhum-E-Hadees:
Hazrat Abu Malik Al-Ash’ari (Radi’allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki, Rasoollallah صلی اللہ علیک و سلم Ne Farmaya Ki Meri Ummat Mein Jahiliyat Ki (Yaani Kufr Ke Zamane Ki) 4 Cheezen He Jisko Ye Log Chhorte Nahi Hain.
1⃣ Ek Apne Hasab (Ohde) Par Fakhr Karna,
2⃣ Dusro Ke Nasab(Khandan) Par Taane Karna,
3⃣ Sitaron Se Paani Ki Ummid Rakhna,
4⃣ Aur Noha (Maatam) Karna, Agar Noha (Maatam) Karne Waale Bina Tauba Ke Mar Jaye To Allah Rabbul Izzat Subhanahu Usko Dozakh Ke Sholo Ka Kurta Pehnayega.
[Bukhari Sharif][Sahih Muslim Sharif]
Har Fitne Ka Radd Farz e Azam Hai.
Shia Rafzi
Wahabi Deobandi
Qadyani Ahmedi
Ye Saare Aaj K Bade Fitne Hai.
Ahle Sunnat Wa Jamat Se Inka Kohi Talluk Nahi.
الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ