Asl Mas'la Ye Hai -
Ibadat Par Ujrat Lena HARAM Hai.
Fatawe Razvia - J 19 - P 486

(Ujrat = Salary or Fee or Payment)

Siwae Baaz Halat K Jis Ka Bayan Aap Kisi Aalim Se Puch Sakte Hai.

Ba Halat e Majburi Daur e Hazra Mein Imam Ko Ujrat Lena Ye JAYEZ Karar Diya Gaya Hai Aur Inke Piche Namaz Bhi Ho Jayegi.

Jab Ulema Ne Isko Jayez Kehdiya Ab Ye Behas Fuzul Hai Ki Namaz Hogi Ya Nahi, Namaz Bey Shak Hojayegi aur Imam Par Is Bunyad Par Itraz Karna Galat Hoga aur Is Wajah Se JAMAT Tark Karna Bhi Khilaf e Shariat Hi Hoga.
--

Aisa Shaqs Jo Imamat Ki Ujrat Leta Hai Uske Liye Ujrat Toh Jayez Hai Magar Aakhirat Mein Is Ko Kohi Sawab Nahi Milega.

Fatawe Razvia, J 19, P521

Behtar Ye Hai Ki Imamat Ki Ujrat Na Lijaye aur Akhirat Ki Fikr aur Allah Par Tawakkal Kia Jaye.
--

Jab Bhi Ye Mas'la Mein Bayan Karta Hu Kuch Nadan Sa Sawal Log Puchte Hai -

Q. Kia Iman K Bivi Bachche Nahi? 
(Wagaira)

Ye Sawal Behad Fuzul Hai. Aison Se Mera Sawal Hai Ki Kia Imam Ka KHUDA Nahi Hai?
--

Kuch Aisi Surten Hai Jisme Imam Agar Imamat Ki Ujrat Na Le Aur Kisi Aur Cheez Ka Paisa Le Jaise Waqt Wagaira Tab Toh Jayez Bhi Hoga Aur Sawab Bhi.
--

Ishi Tarha Quran Ki Tilawat Ki Ujrat Lena Bhi HARAM Hai.
(Haan Sikhane Ki Ujrat (Tution Fee) Lena Jayez Hai).
Ishi Tarha Fuqaha K Nazdeek Taraveeh Padhnae Ki Ujrat Lena Bhi Gunah Hai (Sawab Ka Toh Tasawwur Hi Nahi Hai)

Sureh Bakra Wagaira Padhne Ki Ujrat Log Lete Hai Wo HARAM Hai. (Haan Waqt Ki Qimat Le ya De Sakte Hai)
--

Aaj Kal Toh Islam Ko Itna COMMERCIAL Bana Diya Gaya Hai Ki Namaz E Janaza Padhane Ka Bhi Paisa Maang Kar Le Rahe Hai.

Insaan Ko Thodi SHARAM Toh Honi Hi Chahiye, Sab Gaon Mein Chhod Kar Aajate Hai.

Aur Jo Log FREE Mein Kaam Karte Hai Unpe Itraz Bhi Karte Hai. Shariat Ki Ijazat Ba Halat e Majburi Hai Warna Masjid Wiraan Hone Ka Ya BadMazhabon Ka Qabza Hone Ka Darr Hai.
--
Imamat Kaun Kar Sakta Hai -

Mas'ala:

Imamat Ka Sab Se Ziyadah Musta'hiq Wo Shakhs Hai Jo Namaz O Taharat Ke Ehkam Ko Sab Se Ziyadah Janta Ho, Agar Che Baqi Uloom Par Use Maharat Na Ho, Quran Itna Yaad Ho Ki Masnoon (Sunnat) Tariqe Par Padhe Aur Sahi Padhe Aur Makharij Se Ada Kare Aur Fawahish (Behayaie Ke Kaam) Se Bachta Ho, Iske Baad Wo Shakhs Jo Tajveed (Ilme Qirat) Ziyadah Rakhta Ho, Agar Aise Kai Shakhs Hon Jin Me Ye Baten Hon To Unhe Use Imam Banaye Jo Haram To Haram Shubah Wali Chizon Se Bhi Bachta Ho, Aise Bhi Bahot Hon To Unme Ziyadah Umar Wale Ko Jiski Umar Ka Bada Hissa Islam Me Guzra Ho, Isme Bhi Sab Barababar Hon To Ziyadah Achche Akhlaq Wale Ko.
Isme Bhi Sab Barababar Hon To Phir Tahajjud Guzar Ko Isme Bhi Sab Barabar Hon To Khubsurat Phir Ziyadah Sharifun Nasab Phir Ziyafah Maldar Phir Ziyadah Izzat Wala Phir Wo Jiske Kapde Saaf Suthre Hon Agar In Tamam Baton Me Sare Imam Barababar Hon To Phir Musalmano Ki Jamat Apna Imam Chune Jiski Taraf Log Ziyadah Hon Wahi IMAMAT Kare.
{Durre Mukhtar, Jild-2, Page-354}

Mas'ala:

Kisi Shakhs Ki Imamat Se Log Shari Wajah Se Naraz Hon To Uska Imam Banna Makroohe Tehrimi Hai, Agar Narazgi Dunyawi Mamle Me Ho To Imam Ko Imamat Ka HAQ Hai.
{Durre Mukhtar, Jild-2, Page-354}

Mas'ala:

Fasiqe Molin (Dadhi Katta Ya Eik Musht Se Ka Dadhi Rakhne Wala, T.V Movie Dekhne Wala Jayez Kehne Wala, Tasveer Banwane Wala) Sharabi, Juwari, Zinakar, Soodkhor, Chugalkhor, Aur Jo Gunahe Kabriah (Bade Gunah) Khul Ke Karte Hon Unko Imam Banan Gunah Hai Unke Piche Namaz Makroohe Tehrimi Hai Jiska Dohrana Wajib Hai.
{Durre Mukhtar, Jild-2, Page-356}

Mas'ala:

Gulam, Dehqani (Jahil) Andhe, Waladuz'zina (Harami) Amrad (Chikna Chhokra, Jo Khubsurat Ho) Falij Ki Bimri Wala (Jiske Hath Pair Me Hawa Maari Ho) Safed Dag Wala, Bewaquf Jo Dhoka Khata Ho, In Sab Ki Imamat Makroohe Tanzihi Hai, Agar Jamat Me Inse Behtar Koi Na Ho To Phir Karahat Nahi.
{Sharah Munyatul Musalli, Page-514}

☪️☪️☪️
MASJID Ki FAZiLAT

Masjid Mein Jamat K Saath Namaz Padhne Ka Sawab Kum Se Kum 25 Darja Zayada Hota Hai (matlab 2 rikat ka 50 rikat (tanha) k barabar.

Allah Ko Masjiden Bohut Zyada Mehboob Hain Aur Bazaar Intihayi Na Pasand Hain.
(Muslim, Hadees: 671)

Jo Shakhs Masjid Banaye (Aur) Is Kai Zariye Allah Ki Razamandi Chahay, Allah Is Kai Liye Bahisht (Jannat) Me Ghar (Mahal)  Banata Hai.
(Bukhari, Hadees: 450)
(Muslim, Hadees: 533)

jab banda Wuzu Kar ke Masjid main aata hai to Allah Subhanahu uske har Qadam ke badle das  nekiyan likhte hai phir jab wo Masjid mein Namaz padh kar wahi baith jata hai to wo roza rakhne wale aur Qayam Karne wale ki tarah hota hai jab tak ki wo laut na aaye

Masnad Ahmed # 591-Sahih

Farishtey Tum Mein Se Us Namazi Ke Liye Us Waqt Tak Yu Hi Dua Kartey Rahtey Hain Jab Tak (Namaz Parhney Ke Baad) Wo Apney Musalley Par Baitha Rahey Aur Hadas (Hawa Kharij) Na Karey Ki Eh Allah Iski Maghfirat Farma, Eh Allah Is Par Raham Farma Tum Main Se Wo Shkash Jo Sirf Namaz Ki Wajah Se Ruka Hua Hai Ghar Janey Se Siwa Namaz Ke Aur Koi Cheez Uskey Liye Aham Nahi To Uska (Ye Sara Waqt) Namaz Hi Mein Shumar Hoga.
(Sahih Bukhari; Jild:1 #659)

Al Quran : Allah ki Masajidein wohi Aabad karte hain jo ALLAH par aur aakhirat par Imaan late hain aur namaz padhte aur Zakat dete hain aur ALLAH ke siwa kisi se nahi darte so wo log ummedwar hain ki hidayat walon mein se ho 
Surah At-Tauba (9), Aayat 18

الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ