Esal e Sawaab
Alhumdulillah Rasul Aur Sahaba Ki Sunnat o Tareeqa H,
Jo Kehte Hen Ye Biddat Hai Aise Logon Ko ALLAH Hidayat Ata Farmaye. Esal E Sawab Ka Ek Tariqa FATEHA ya FATIHA bhi h.

"Fatiha, Esaal e Sawab Ka Naam H Aur Momin Ke Amal e Naik Ka Ek Sawab Uski Niyyat Karte Hi Haasil Ho Jata He Aur Amal Karne Par Dus Gunaa Milta He, Iski Daleel Quraan, Hadees aur Ulema Ki Kitabon K Hawale Se - 

Khaana Saamne Na Ho To Sawab Na Puhnche Ga, Ye Gumaan Galat He
Sirf Baargah e Ilahi Me Dua Karna Ke Wo Sawab Mayyit Ko Puhnchaye"
(Al Hujja tul Fatiha LitTayyibit Ta'ayyuni Wal Fatiha P#14)

"Apni Zindagi Me Khud Apne Lye Esaal e Sawab Kar Sakta He"
(Malfuzat e Alahazrat P#48)

"Aye Hamarey Rabb Mujhey Baksh Dey Aur Merey Maa Baap Ko Aur Sab Muslmanon Ko Jis Din Hisaab Qaaim Hoga"
(Sura Ibrahim Ayat#41, P#13)

"Aur Woh InKe Baad Aaye,
Arz Karte Hen:
Aye Rabb Hamen Bakhsh Dey Aur Hamarey Bhaiyyon Ko Jo Hum Se
Pehle Imaan Laaye,
Aur Hamarey Dil Me Imaan Walon Ki Taraf Se Keena Na Rakh,
Aye Hamarey Rabb
Tu Hi Nihayat Mehrbaan Reham Wala Hey"
(Sura e Hashar Ayat#10, P#28)

Raawi:
Hazrat Abu Huraira
Farman e Rasoolullah:
"Insan Jab Mar Jaata Hai To Us Ke A'maal Khatam Hojatey Hen
Magar Teen Cheezen Baaqi Reh Jaati Hen
1.Sadqa Jariya
2.Ilm Jis Se Logg Faida Uthaen
3.Neik Aulad Jo Waldain Ke Lye Dua e Khair Karey
(Muslim V#2, P#41)
(Abu Dawood V#2, P#298)

Khatam Sharif Me 3 Cheezen Hoti Hen
1.Sadqa
2.Quran Ki Tilawat
3.Dua e Khair
Teenon A'mal Ko Qur'an Ki Roshni Me Parhye- 

Sadqa
"Aur ALLAH Ki Raah Me Kharch Karo Aur Apney Hathoun  Halakat Me Na Paro
Aur Bhalai Waley Hojao, Beshak Bhalai Waley ALLAH Ke Mehboob Hen"
(Sura e Baqarah P#2, Ayat#195)

"Aur Tum Se Puchtey Hen
Kya Kharch Karen,
Tum Farmao Jo Faazil Bachey"
(Sura e Baqarah P#2, Ayat#129)

Tilawat
"Aur Jab Qur'an Parha Jaye To Isey Kaan Laga Kar Suno
Aur Khamosh Raho Ke Tum Par Reham Ho"
(Sura e A'araf P#9, Ayat#204)

Tilawat
"Aur Beshak Hum Ne Qur'an Ko Yaad Karne Ke Lye Aasaan Farma Dya,
Tu He Koi Yaad Karne Wala"
(Sura e Qamar P#27, Ayat#32)

Dua e Khair
"Aye Mehboob Jab Tum Se Mere Bandey Puchen,
Tu Me Nazdeek Hun,
Dua Qubool Karta Hun Pukarne Waley Ki,
Jab Mujhe Pukaren
Tu Inhey Chahiye Mera Hukum Maanen
Aur Mujh Par Imaan Laayen Ke Kahin Raah Payen"
(Sura e Baqarah P#2, Ayat#186)

Dua e Ibrahim Alehissalam
"Aye Rab Mujhe Bukhsh Dey Aur Mere Maa Baap Ko Or Sabko Jis Din Hisaab Qaim Ho"
(Sura e Ibrahim P#13, Ayat#41)

Hazrat Saad R.A;
"Meri Walda Fout Hogayi,
Agar Me Inki Taraf Se Sadqa Karun Tu Unhe Nafaa Puhnchey Ga?"
Farmaya;
"Haan"
(Bukhari V1, P#286)
(Abou Daud:pg422,Tirmizi,jd:2,Pg:85)

Raawi;
Abdullah Bin Umar RadiyALLAHu Anhu
"Jab Koi Nafli Sadqa Karey Aur Isey Apne Waldein Ki Taraf Se Karde
To Uska Apne Waldein Ko Ajar Milta He Aur Iske Ajar Me Koi Kami Nahi Hoti"
(Sharahus Sudoor Syouti)
(Tibrani Ausat)
(Kunzul Ammal)
(Tarikh e Damishq)
(Jamiyul Sagheer)

Raawi;
Uqba Bin Amir Radia Allah Hu Anhu
"Beshak Sadqa Qabar Walon Se Quboor Ki Aatish (Aag) Bujha Deta He"
(Tibrani)
(SharahusSudoor)

"Murde Apni Qabron Me 7 Din Aazmayish Me Hote Hen Sahaba In Dino Murde Ki
Taraf Se Khana Khilane Ko Mustahib Jantey"
(SharahusSudoor P#132)
===

Wahabi aur DevBandi Maulviyon Ki Kitabon Se Esal E Sawab Ka Saboot- 

"Nawab Siddiqe Bhopali Wahabi;
"Murde 7 Din Aazmaish Me Daley Jate Hen, In 7 Dino Me Unki Taraf Se Khana Khilaya Jaye"
(Bazlul Hayaat P#29)

=====

Raawi;
Ibne Abbas RadiyALLAHu Anhu
"Jab Eid, Jummah Ya Aashoora Ka Din Hota He, Ya Shabe Bar'at Hoti He To Amwaat Ki Roohein Apne Gharon Ke Darwazey Par Khari Kahti Hen,
He Koi Hamen Yaad Karey,
Hum Par Taras Khaye? "
(Khazain ur Riwayaat
Daqaiq ul Akhbaar P#123 - Imam Ghazali)

Raawi;
Hazrat Ali RadziAllah Hi Anhu
"Jo Shakhs Qabrastan Se Guzrey Aur 21 Martaba Surah e Ikhlas Parh Kar Qabar Walo Ko Bukhshe,
Jitne Logg Wahan Dafan Honge Unki Ta'daad Ke Barabar Usey Sawaab Miley Ga"
(Kanzul Ammal)
(Firdous ul Akhbaar)
(Tafseer e Mazhari)
(Tafseer Rooh ul Bayaan)

"ALLAH Ta'ala Naik Bande Ke Darjaat Jannat Mein Buland Farmata Hey Tu Banda Arz Karta Hey;
Aye Rub!!
Mujhey Ye Darja Kesey Mila?
Jawab Milta He;
Tere Bachey Ke Tere Lye Dua e Magfirat Karne Ki Wajah Se.."
(Mishkat P#206)
(Adab ul Mufrid P#30)
(Ibn e Maja P#268)
(Tibrani Osat J5 P#349)

Qayamat Me Jab Gunahgaar Apni Nekiyan Paharoun Ki Tarah Dekhey Ga To Baargah e Khudawandi Me Arz Kare Ga;
Ye Kahan Se Ayin?
Jawab Milega Ke Ye Teri Aulad Ki Bakhshish Mangne Se Hen
(Mishkat P#198)
(SharahusSudoor P#127)
(Adab ul Mufrid P#30)
(Ibn e Maja P#268)
(Tibrani Osat J5 P#349)

"Beshak ALLAH Farmata He;
Me Apne Bande Ke Guman Ke Sath Hun Jab Wo Mujhse Dua Karey"
(Muslim V2 P#343)
(Bukhari V2 P#121)

"Jo ALLAH Se Dua Na Kare Ga ALLAH Us Par Ghazab Farmaye Ga"
(Ibne Maja V2 P#280)
(Musnad Ahmed V2 P#443)
(Kanzul Ammal)
(Durr e Mansoor)

Ijtemayi Duaa
"Ek Jaga Jama Hokar Log Dua Karen Ke Koi Dua Kare Aur Sab Aameen Kahen To Sabki Dua Qubool Hoti He"
(Mustadrik Lil Haakim)

Khana Saamne Rakh Kr Dua
"Jab Mousam Ka Naya Phal Aata To Sarkar Yun Dua Farmatey;
Aye ALLAH Hamare Shehar Ko Hamare Lye Barkat Bana Aur Hamarey Phooloun Men, Hamarey Naap Toul Men Barkat Hi Barkat Farma.
Phir Un Men Sab Se Kam Umar Hota Us Men Taqseem Kartey"
(Muslim)
(Ibne Majaa)

Sanaullah Amritsri Wahabi;
"Qur'an Parh Kar Ya Sadqa Khairat Karke Mayyat Ke Lye Astagfar Karna Ahsan Tareeqa He"
(Fatawa Sanaiyya V2 P#34)

Nawab Siqqidue Hassan Bhopali Wahabi;
"Pehle Do Rak'at Namaz Parhey,
Har Rak'at Mei Surah e Ikhlaas 11 Baar Phir Baad Me Salam Aur 111 Baar Durood Parhey.Phir Sheerni Par Fatiha Parh Kar Sheikh Abdul Qadir Jilani RadiyALLAHu Anhu Dum Kar Ke Taqseem Karey"
(Aldha Walidwah P#154)

Ismail Dehalwi Wahabi;
"Pas Har Wo Ibadat Jo Muslaman Ada Karey,
Iska Sawab Guzre Hue Ki Rooh Ko Puhnchaye, Uske Lye Dua Karey To Ye Buhat Behtar He,
Aur Rusoom Me Fatiha Karey,Urs Karey,
Murdoun Ki Nazar O Niyaz Karne Ki Rasmoun Ki Khobi Me Shakk o Shuba Nahi"
(Sirat e Mustaqim P#55)

Ismail Wahabi
@Sirat e Mustaqim;
"Jab Mayyat Ko Nafa Puhnchana Maqsood Ho To Khane Pr Mouquf Na Kare, Agar Mayassar Na Ho To Sura e Fatiha Aur Sura e Ikhlaas Behtreen Sawaab He"
(P#89)

"Ba Wuzu Namaz Ki Tarah Betho,
Khuwaja Ka Name Lo
Fatiha Parho,
Phir Waseeley Se Dua Karo"
(P#221)

Haji Imdadullah Muhajir Makki Jo Deobandio Ke Peer O Murshid Hen
Ye Sahihul Aqida They
Farmate Hen;
"Kashaf Quboor Ke Wastey Zikar Aur Pehle Qabar Ke Paas Beth Kar Mayyat Par Fatiha Parhey"
(Kulliyat e Imdadiya P#45)
Aaj Kal Inko Manne Waley Deobandi Wahabi Ye Baatein Bhool Gaye

Deoband Ke Haji Imdadullah Makki;
"Nazar O Niyaz Qadim Zamane Se Jari He Lekin Is Zamaney Ke Log Inkaar Krtey Hen"
(Imdaadul Mushtaq P#92)

AshrafAli Thanvi;
"Har Shakhs Ko Ikhtiyar He Ke Apne Amal Ka Sawab Murda Ya Zinda Ko Dey,
Jis Tarah Murda Ko Sawab Bheja Jaata He, Zinda Ko Bhi Jaata He"
(Attazakur V3 P#95)

Wahabi Rasheed Gangohi;
Ahadees Se Faida Punhchana Tehqeeq Se Saabit,
Jamhur Sahaba o Ayimma Ka Mazhab He
(Tazkira e Rashid P#26)

Q.Murdey Ko Sadqaat Ka Sawaab Bakhsha To Usey Sawab Puhanchta He Ya Nahi?
A.Puhanchta He
(Ahsanul Fataawa V4 P#206
- Rasheed Gangohi)

Taj ush Shariah Mufti Akhtar Raza Khan Azhari Farmatey Hen;
"Jis Khane Par Bismillah Parhi Jaye Usey Shaitaan Hath Nahi Lagata,
Aur Jis Khane Par Fatiha Parhi Jaye Usey Bara Shaitaan Ya'ni Wahabi Deobandi Haath Nahi Lagaata"

Fatiha 
Esaal e Sawaab
Ka Tariqa -
Baa Wuzu Qibla Rukh Hokar Do Zaanu Beth Kar Niaz Saamne Rakhen (Sheerni/Khana Wagira)

Aur Ye Parhen:
3 Martaba Durood
Ta'awwuz Aur Bismillah Sharif
Chaar Qul Sharif
Sura e Ikhlas 3 Martaba
Phir Sura e Fatiha
Aur Sura e Baqarah Ki Ek Ruku
Phr Ayat e Durud
3 Martaba Durood e Paak

Aur Phir Sab Se Pehle Nabi Paak Sallallahu Alahi Wasallam Ko Iska Sawab Paish Karen
Phir Ambiya, Sahaba Ko Darja Ba Darja Paish Karke
Kul Mo'minin Mo'minaat Ko Puhncha Kr Jiske Esaal e Sawab Ki Mehfil He Usey Hadya Krden Fatiha Karna SUNNAT e Gair Muaqida H.

Kohi Agar Nahi Karta Toh Uspe Sakhti NAHI H.

Quran:
Aur Khao jo kuch tumhe Allah ne Rozi di Halal pakiza'h aur Daro Allah se Jis par tumhe Iman hai.

HALWA KHANA SUNNAT YA BID'AT?

Wahabi bolta hai k halwa bid'at hai magar samjhta nahi k kya bol raha hai Q k Hadis-e-Paak me hai k "Hazrat Aaisha Siddiqa'h radi Allah anha farmati hai k Rasool Allah sallallaho alaihi wa sallam ko Shahad aur HALWA Pashand tha"
(Bukhari,Vol.3,kitabut Talaq)

is Hadis se malum howa k Rasool Allah sallallaho alaihi wa sallam ko Halwa Pashand tha yani "Halwa khana Sunnat" ya "Meetha Luqma Huzur Ko Pasand Hai"
Maleeda, Kheer, Halwa, Laddu, Halwa, Isliye Fatiha Mein Aksar Rakhte Hai aur Taqseem Karte Hai. Agar Ye Na Bhi Ho Toh Fatiha Hojayegi Magar Sawab Thoda Kum Hoga.

Dusra Tariqa Hai Langar Ya Khana Baat Kar Esal e Sawab Kar Do. Jaise Khichda, Biryani, Pulaw, Roti Wagaira.

--
☪️☪️☪️
MARHUMEEN (jo musalman inteqal famya gaye) K Naam Ki FATIHA ya ESAL e SAWAB Ka Khana Kud NA KHAYE 

*🛑Maiyyat Ka Khana. Khana Kaisa Hai?🛑*

*Sawal…❓*
*Marhum Ke Isale Sawab Ke Liye Jo Khana Banate Hain Wo Khana Garib Ke Alawa Maldar Log Bhi Kha Sakte Hain Ya Nahi? Aur Jo Mehman Aate Hain Unhe Khilana Chahiye Ya Nahi?*

*💢Jawab…!*
Maiyyat Ke Naam Par Maiyyat Walo Ki Taraf Se Aam Khas Sab Logo Ko Dawat Dekar Khilana NaJaiz Aur Buri Bid’at Hai, 
Kyun Ke Shariat Ne Dawat Khushi Me Rakhi Hai Na Ke Gam Me

📔Fatawa Aalamgiri Jild 1 Page 168, 
📔FathulBaari Jild 2 Page 142, 
📔Tetawi + Maraqil Falah Jild 1 Page 617, 
📔Durre Mukhtar + Raddul Mohtar Jild 2 Page 240,

👑Imam e Ahle Sunnat Aala Hazrat Maulana Ahmad Raza رحمة الله عليه​ Farmate Hain, 
Murde Ka Khana Sirf Fuqra (Yani Jo Sahib e Nisab Na Ho) Ke Liye Hona Chahiye, Aam Dawat Ke Taur Par Jo Karte Hain Ye Mana Hai, Gani (Sahib e Nisab) Na Khaye’n,

📔Fatawa Razviya Jild 9 Page 536

Aur Farmate Hain:

Maiyyat Ke Yaha’n Jo Log Jama Hote Hain Aur Unki Dawat Ki Jati Hai Ye Khana Har Tarah Mana Hai,

📔Fatawa Razviya Jild 9 Page 673

Aur Farmate Hain:

Maiyyat Ki Dawat Biradari Ke Liye Mana Hai, 

📔Fatawa Razviya Jild 9 Page 609

Aur Farmate Hain:

Tije. 10we. 20we. 40we. Wagairah Ka Khana Miskino Ko Diya Jaye, Biradari Me Bantna Ya Biradari Ko Ikattha Kar Ke Khilana BeMatlab Hai,

📔Fatawa Razviya Jild 9 Page 667

🌹SadarusShariAh Hazrat Allama Amjad Ali Aazmi رحمة الله عليه​ Farmate Hain:

Aam Maiyyat Ka Khana Fuqra (Jo Sahib e Nisab Na Ho’n) Ko Khilaye’n Aur Biradari Me Agar Kuch Log Jo Sahib e Nisab Na Ho’n Unko Bhi Khila Sakte Hain, Aur Apne Rishtedaro Me Agar Ayse Log Ho’n To Unko Khilana Auro’n Se Behtar Hai, Aur Jo Sahib e Nisab Ho’n Unko Na Khilaye’n Balke Ayse Logo Ko Khana Bhi Na Chahiye,

📔Fatawa Amjadiya Jild 1 Page 337

🌹Hazrat Mufti Shariful-Haq Amjadi رحمة الله عليه Farmate Hain:

Kuch Jagah Ye Riwaj Hai Ke Maiyyat Ke Khane Ko Biradari Apna Haq Samajhti Hai, Agar Na Khilaye’n To Aeb Lagate Aur Tana Dete Hain Ye Zarur Buri BidAt Hai, Lekin Agar Maiyyat Ko Sawab Pahuchane Ke Liye Khana Pakwa Kar Gareeb Musalmano’n Ko Khilaye’n To Isme Harj Nahi, Ye Khana Agar Aam Musalmano’n Me Se Kisi Ko Sawab Pahuchane Ke Liye Hai To Maaldaro (Sahib e Nisab) Ko Khana Mana Hai, Aur Fuqra (Gair Sahib e Nisab) Ko Jaiz, Aur Agar Buzurgan e Deen Ko Sawab Pahuchane Ke Liye Hai To Ameer Gareeb Sabko Khana Jaiz Hai, 

📔Fatawa Amjadiya Jild 1 Page 337

Aur Isi Liye Jis Surat Me Dawat NaJaiz Hai Wo NaJaiz Hi Rahegi Chahe Maiyyat Ki Dawat Kahi Jaye Ya Sirf Dawat Keh Kar Khilayi Jaye, Aur Mana Hone Ki Buniyad Fateha Nahi Hai, Ki Fuqra Ka Khana Alag Fateha Karne Aur Baqi Logo Ka Alag Bagair Karne Karne Kharabi Door Ho Jayegi,

Musalmano Par Lazim Hai Ki Is Galat Riwaj Ko Khatm Kare’n, Jis Chiz Ka NaJaiz Hona Sabit Ho Jaye Uske BaWajud Agar Usko Karega To Wo Gunahgar Hai, 

📔Fatawa FaizurRasul Jild 1 Page 657 Se 662

🌹Aala Hazrat رحمة الله عليه Farmate Hain:

Tajurbe Ki Baat Hai Ki Jo Log Maiyyat Ke Tije. 10we. 20we. 40we. Barsi. Wagairah Ke Khane Ke Talabgar Aur Shauqin Rehte Hain Unka Dil Murda Ho Jata Hai, Allah Ki Yaad Aur Ibadat Ke Liye Unke Andar Wo Chusti Nahi Reh Jati Kyun Ke Wo Apne Pet Ke Luqme Ke Liye Musalman Ki Maut Ke Intezare Rehte Hain,Aur Khana Khate Waqt Apni Maut Se BeKhabar Hokar Khane Ke Maze Me Khoye Rehte Hain, 

📔Fatawa Razviya Jild 9 Page 667

AMBIYA - SAHABA - AWLIA Ki Afzaloyat Ki Tartib Janne K Liye 
Is Link Par Click Kare 


As Salato Was Salamo Alayka

Har Fitne Ka Radd Farz e Azam Hai.
Shia Rafzi
Wahabi Deobandi
Qadyani Ahmedi
Ye Saare Aaj K Bade Fitne Hai.
Ahle Sunnat Wa Jamat Se Inka Kohi Talluk Nahi.
الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ