Sureh Al Asr 
(Quarn Ki Sab Se Choti Sureh Mein ALLAH Ne Ye Farmaya)

1. Zamane Akhir ki qasam
2. Insan dar haqeeqat badey khasarey(nuksaan) mein hai.
3: Siwaye un logon ke jo
     a. iman laye aur 
     b. neik aamal karte rahe aur 
     c. ek dusrey ko haqq ki nasihat aur 
     d. sabr ki talqeen karte rahe.
===

Zindigi Dhoop Mein Rakhe Barf Ki Tarha Hai Jo Pighal Rahi Hai. 
Apni Bachi Zindigi Ko Rahe Khuda Mein Laga Do. Warna MAUT K Waqt Saat Mein Kohi Amal e Khair Na Hoga.
Tumhara WAQT Khatam Ho Raha Hai!!

Farmane Mustafa (Sallallahu Alaihay Wassallam) Hai Ke, 
“Lazzaton Ko Khatm Karne Waali Maut Ko Kasrat Se Yaad KiyaKaro”.
(Sahih Bukhari)

Hazrat Abu Hurera(Razi Allaho Anhu) Se Riwayat H Ke, Rasul Allah (Sallallahu AlaihayWassallam) Ne Farmaya,

“Tum Me Koi Mout Ki Aarzoo Na Kare
(Isliye Ke) 
Woh Ya Toh‘ Nekokar’ Hoga, Toh Mumkin Hai Iss Ke Nek Amal Me ‘Ziyadati’ HoJaye. 
Aur Ya ‘Badkar’ Hoga, Toh Ho Sakta Hai Ke Aainda Tauba Kar Ke Allah Ki ‘Khushnoodi’ Haasil Karle”.

(Bukhari Shareef),
 Anwar-Ul- Hadees, Page Number 226)

Qaul-E-Mubarak

“Mout Ko Hamesha Yaad Rakho, Magar Mout Ki Aarzoo Kabhi Naa Karo”.

- Hazrate Umar (Razi Allaho Anhu)

Qaul-E-Mubarak

“Mout Ko Yaad Rakhna Nafs Ki Tamaam Bimaariyo Ki DawaaHai”.
- Hazrate Gaus-E-Aazam(Rahmatullah Alayh)

Aayiye Ab Kuch Aisi NEKI Batate Hai Jiski Aap Ko Khabar Nahi (magar wo aksar log karte hai)

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah subhanahu farmata hai mere liye aapas mein muhabbat karne walo ke liye noor ke mimbar honge jin par Anbiya aur shohda (Shaheed) bhi rashk karenge.

Jamia Tirmidhi 2390-Sahih

Hazrat Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Bewaon aur miskeenon ke kaam aane wala Allah ke raastey mein Jihad karney wale ke barabar hai ya Raat bhar Ibadat aur din bhar Roza rakhne wale ke barabar hai

Sahih Bukhari, Jild 6, 5353

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu us Shaks ko khush rakhein jisne hamari koi baat suni aur phir bilkul usee tarah dusro tak pahucha di jis tarah suni thi,kyunki bahut se aise log jinhe hadith pahuchegi wo sunne wale se zyada samajh aur ilm rakhte honge

Jamia Tirmizi Jild 2, 552-Sahih

Sinan Al-Aslami Radi Allahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya khana kha kar (Allah ka) Shukr ada karne walo ko roza rakhkar sabr karne walo ke barabar sawab milta hai

Sunan Ibn maja , Jild 1, 1765-Hasan

Abu Huraira Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ek shakhs raaste par chal raha tha ki usne waha kaante daar daali dekhi , usne usko hata diya to Allah subhanahu ne uska ye amal Qubul kiya aur uski magfirat farma di

Sahih Bukhari, Jild 3, 2472

✦ Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Maine jannat mein Ek Shaksh ko Maze karte huye dekha jisne ek aise darakht ko raah mein se kaat diya tha jis se logon ko takleef hoti thi

Sahih Muslim, vol 6, 6671

Abu Umama Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jisney Allah ki khatir Muhabbat ki, Allah ki khatir nafrat ki, aur Allah ki khatir (maal) diya aur Allah ki khatir roka to beshaq usney apna imaan mukammal kar liya
Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1254 -Sahih

Allah K Liye Dusmani Karna Ye Bahot Badi KhushNasibi Ki Baat Hai, Ambiya K Zindigi Par Gaur Karo -

Musa A.S
Firaun + Samri + Karoon + Lashkar

Ismaeel A.S
v
Namrood

Sulaiman A.S
v
Jinn o Shayateen

Nooh A.S
v
Mushrikeen

Loot A.S
v
GAYs

Quraan Mein Bahot Se Sureh Mein Haq V Batil Ki Ladai Ka Zikr Hai.

Ye Ibadat Sab K Naseeb Mein Nahi Hoti
Abu Dharr (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki kuch (Gareeb) Sahabi Allah ke Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke pass aaye aur arz kiya:

“ Ya Rasul Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ! maal wale sara sawab kama kar le gaye! isliye ki wo Namaz padhte hai jaisa ki hum namaz padhte hai aur Roza rakhte hai jaisa ki hum roza rakhte hai aur apne zyada maalo se Sadqa bhi detey hai.

Tou aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: Tumhare liye bhi tou Allah Subhanahu Ta’ala ne sadqe ka samaan kar diya hai.
∗ Har Tasbeeh (Subhanallah kahna) Sadqa hai,
∗ Aur har Takbir (Allahu Akbar kahna) Sadqa hai,
∗ Aur har Tahmeed (Alahmdulillah kahna) Sadqa hai,
∗ Aur har Tahleel (La ilaha illallah kahna) Sadqa hai,
∗ Aur har Acchi Baat Sikhana Sadqa hai,
∗ Aur har Buri Baat se Rokna Sadqa hai,
∗ Aur har Shakhs ke badan ke tukde me Sadqa hai.
(Yaani Apni Biwi/Shohar se Sohbat karna bhi Sadqa hai)

Logon ne arz kiya: Ya Rasul Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam)! hum me se koi shakhs apne badan se apni shahwat nikalta hai (yaani apni Biwi se Sohbat karta hai) to kya usmey bhi Sawab hai, tou Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: kyu nahi (yaani haan), agar wo Haraam me sarf karta tou uss se wabal (Gunaah) hota ki nahi ?,.  isi tarah jab Halaal me sarf karta hai tou Sawaab hota hai.

– (Sahih Muslim, Vol 3, Hadith 2329)

الصلوۃ والسلام و علیک یا رسول اللہ